Tuesday, April 27, 2010

Us Larki Ke Naam

Us Larki Ke Naam..

Zindagi ki khawahish main,
Ek benaam se manzil per,
Chalti hoye ye Larkiyaan,
Kya jaaney,
Ye raasta unheen kahan tak le jaaye ga,
Waqt ka pahiyaa jab achanak be reham ho jaaye ga,
Wafa ka waada kerne waala bewafa kehlaaye ga,
Chahat ke dawa kerne wala, tum ko doshi therayega,
Tab khulay gi ek haqeeqat,
Ye duniya mardoo ki hai,
Raaj chalta hai chaar soo inka,
Qoom hamaari hai bebuss,
Dekho tu larki, ghoor karo,
Tum hi kyon majboor bano,
Zalimoo ke zulm saho,
Kyon tum ne banaya khud ko bequss,
Lachaar, majboor aur bebuss,
Kyon ansoo hain taqdeer tumhari,
Kyon khushiyaan tum se rooth gaye hain,
Kyon Aurat hi hai wafa ki devi,
Kyon iske zimmay hi qurbani,
SHAYAD...
Barsoon se aisa hi hota aya hai,
Sadiyoon tak aisa hi hota jaaye ga,
Ek na ek din her jhoota bharam toot hi jaaye ga,
Haath pakar ker chalne wala jab dhoka de jaaye ga,
Ye raasta sirf aur sirf MAUT tak le jaaye ga,
Phir tum soocho gi, ghabraow gi,
Roo lo gi, pachtaaow gi,
SUNO LARKI,
Gaar tum bachna chahti ho,zinda rehna chahti ho,
Apnay qadam wapis le lo,
Ab bhi waqt hai lautt aaow,
Laut aaow tum lautt aaow...

No comments:

Popular Posts