Thursday, July 29, 2010

Waqt-E-Safar Qareeb Hai Bistar Samait Loon


Waqt-E-Safar Qareeb Hai Bistar Samait Loon.
Bikhra Hua Hayat Ka Daftar Samait Loon.


Phir Jany Hum Milen Na Milen, Zara Ruko!
Main Dil K Aainy Mein Ye Manzar Samait Loon.


Ghairon Ne Jo Sulook Kiye Unka Kiya Gila,
Phainky Hen Doston Ne Jo Wo Pathar Samait Loon.

 
Bharak Rahi Hai Zamany Mein Jitni Aag,,
Ji Chahta Hai Seeny K Andar Samet Loon

koi aisi nazam likhon kabhi teri baat baat ki roshni


koi aisi nazam likhon kabhi
teri baat baat ki roshni
mere harf harf main bhar saky
tere lams ki ye shaguftagi
mere jism o jan main utar saky
koi chandni kisi ghere rang k raz ki
mere raston main bhikr saky
teri guftagu say banaon main
koi dastaan koi kahkashan
hon mohaboton ki tamaztien bhi kamal ki trah mehrban
tere bazaon ki bahar main
kabhi jholtay hwy gaon main
teri justuju k chargh ko
sar e sham dil main jalaon main
is jhilmilati si sham main
jo chamak uthy
koi khusgawar si dhoop ho
jo wafa ki taal k raks ka
koi jeeta jaata aks ho
koi aisi nazm likhon kabhi
k har aik lafz k hath main
tere hath k
tere harf e taaza kalam k
kai raaz hon
jinhien munkashif bhi kron ager
to jahan e sher e baab main
mere dil mein rakhi kitaab main
tere chasm o lab bhi chamak sakien
tujhe roshni ki fizaon main kahien ghair lien
koi aisi nazm likhon kabhi

Kabhi kaha na kisi say teray fasanay ko



Kabhi kaha na kisi say teray fasanay ko
Na janay kaisay khabar ho gai zamanay ko

Dua bahar ki maangi to etnay phol khilay
Kahin jaga na rahi meray aashiyanay ko

Meri lehad pe patangon ka khoon hota hai
Huzor shama na laya keren jalanay ko

Suna hai ghair ki mehfil mein tum na jao gay
Kaho to aaj saja loon ghareeb khanay ko

Daba k qabar mein sab chal diye dua na salam
Zara see dair mein kaya ho gaya zamanay ko

Qamar zara bhi nahe tum ko khauf_e_ruswai
Chalay ho chaandni shab mein unhein bulanay ko

Kal shab teray khayal say ghafil raha tha main


Kal shab teray khayal say ghafil raha tha main
Bhoolay say apnay ap ko yaad aa gaya tha main

Kyun daur_e_berukhi ko samjhta husool_e_ishq
Kaya ap k mizaj say na_aashna tha main

Phir kaya hua ye rah ki dushawryon say pooch
Bus etna yaad hai teri janib chala tha main

Kal rat ek shakhs tha mujh sa kisi k sath
Janay meri nigah ka dhoka tha, ya tha main

Maqsad ka ziker kaya mujhy ye bhi pata nahe
Jana kahan hai aur kahan say chala tha main... .

maut ik giit raat gaatii thi zindagii jhuum-jhuum jaatii thi


maut ik giit raat gaatii thii
zindagii jhuum-jhuum jaatii thii

kabhii diivaane ro bhii pa.Date the
kabhii terii bhii yaad aatii thii

kis ke maatam me.n chaa.Nd taaro.n se
raat bazm-e-azaa sajaatii thii



rote jaate the tere hijr nasiib
raat furqat kii Dhalatii jaatii thii



kho_ii kho_ii sii rahatii thii vo aa.Nkh
dil kaa har bhed paa bhii jaatii thii

zikr thaa ra.ng-o-buu kaa au' dil me.n
terii tasviir utaratii jaatii thii

husn me.n thii in aa.Nsuuo.n kii chamak
zindagii jin me.n muskuraatii thii

dard-e-hastii chamak uThaa jis me.n
vo ham ahal-e-vafaa kii chhaatii thii

tere un aa.Nsuuo.n kii yaad aa_ii
zindagii jin me.n muskuraatii thii

thaa sukuut-e-fazaa tarannum-rez
buu-e-gesuu-e-yaar gaatii thii

Gam-e-jaanaa.N ho yaa.N Gam-e-dauraa.N
lau sii kuchh dil me.n jhil-milaatii thii

zindagii ko vafaa kii raaho.n me.n
maut Khud raushanii dikhaatii thii

baat kyaa thii ki dekhate hii tujhe
ulfat-e-ziist bhuul jaatii thii

the na afalaak gosh bar aavaaz
beKhudii daastaa.N sunaatii thii

karavaTe.n le ufaq pe jaise subah
ko_ii doshizaa ras-masaatii thii

zindagii zindagii ko vaqt-e-safar
kaaravaa.N-kaaravaa.N chhupaatii thii

saamane tere jaise ko_ii baat
yaad aa-aa ke bhuul jaatii thii

vo teraa Gam ho yaa Gam-e-duniyaa
shamma-sii dil me.n jhil-milaatii thii

Gam kii vo daastaan-e-niim-shabii
aasmaano.n koo nii.nd aatii thii

maut bhii gosh bhar sadaa thii "Firaq"
zi.ndagii ko_ii giit gaatii thii

abhi farmaan aayaa hai wahaaN se


abhi farmaan aayaa hai wahaaN se
ke haT jaauuN maiN un ke darmiyaaN se

yahaaN jo hai tanaffus hii meN kam hai
parinde uR rahe haiN shaaKh-e-jaaN se

dariichaa band hai yaadoN kaa aur maiN
havaa suntaa huN peRon ki zabaaN se

thaa ab tak m’arkaa baahaar kaa dar-pesh
abhii to ghar bhii jaanaa hai yahaaN se

falaaN se behtar thii Ghazal falaaN kii
falaaN ke zaKhm acche the falaaN se

Khabar kyaa duuN maiN shah’r-e-raftugaaN kii
ko’ii lauTe bhii shah’r-e-raftugaaN se

yahii anjaam kyaa tujh ko havas thaa
ko’ii puuche to meer-e-daastaaN se

main ne jo giit tere pyaar kii Khaatir likkhe


main ne jo giit tere pyaar kii Khaatir likkhe
aaj un giito.n ko baazaar me.n le aayaa huu.N

aaj dukaan pe niilaam uThegaa un kaa
tuune jin giito.n pe rakkhii thii muhabbat kii asaas
aaj chaaNdii kii taraazuu me.n tulegii har chiiz
mere afakaar merii shaayarii meraa ehasaas


jo terii zaat se manasuub the un giito.n ko

muflisii jins banaane pe utar aa_ii hai
bhuuk tere ruKh-e-rangii.n ke fasaano.n ke ivaz
chand aashiyaa-e-zaruurat kii tamannaa_ii hai



dekh is arsaagah-e-mehanat-o-sarmaayaa me.n
mere naGme.n bhii mere paas nahii.n rah sakate
tere jalve kisii zaradaar kii miiraas sahii
tere Khaake bhii mere paas nahiin rah sakate


aaj un giito.n ko baazaar me.n le aayaa huu.N
main ne jo giit tere pyaar kii Khaatir likkhe

dil ko Khyaal-e-yaar ne maKhmuur kar diyaa



dil ko Khyaal-e-yaar ne maKhmuur kar diyaa
saagar ko rang-e-baadaa ne purnuur kar diyaa

maayuus ho chalaa thaa tasallii se haal-e-dil
phir tuune yaad aa ke ba-dastuur kar diyaa

gustaaKh-dastioN kaa na thaa mujh meN hausilaa
lekin hujuum-e-shauq ne majbuur kar diyaa

kuch aisii ho gayii hai tere Gham kii mubtilaa
goyaa kisii ne jaan ko mashuur kar diyaa

betaabioN se chhup na sakaa maajraa-e-dil
aaKhir huzuur-e-yaar bhii mazkuur kar diyaa

ahl-e-nazar ko bhii nazar aaya na ruu-e-yaar
yaaN tak hijaab-e-yaar ne mastuur kar diyaa

“Hasrat” bahut hai martabaa aashiquii buland
tujh ko to muft logoN ne mash’huur kar diyaa

Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa kbhi door sa


Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa ... kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi meenha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan ... kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai ... kbhi sayebaan

kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhaly
kbhi sirf rang-e-bahar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa
kbhi dastaras k qareeb qareeb
kbhi door ... paas ... kahin nahi
ye jo ukhra ukhra sa shaks hai
ye jo bikhra bikhra sa shaks hai

Sarab Aankhein Sarab Dekhein K Jab Bhi Dekhein Azaab Dekhein


Sarab Aankhein, Sarab Dekhein
K Jab Bhi Dekhein Azaab Dekhein

Gulabi Aankhon Mein Jo Sitam Hai,
Yeh Hai K Aansu Seelab Dekhein,

Yeh Aarzu Hai K Ankhein Har Shab,
Sirf Tumhara Hi Khuwab Dekhein,

Jo Unki Aankhon Mein Kho Gaye Hain,
Woh Kya Me-Khana Sarab Dekhein,

Yeh Unse Kehdo "SABAR" K Aaye Na,
Phir Se Hijr Na Azaab Dekhein

Nikala Hua Suraj Mujhe Raat Lag Rahi Hai


Nikala Hua Suraj Mujhe Raat Lag Rahi Hai,
Mere Dais Pe Sitam Hai Mujhe Aag Lag Rahi Hai,

Mere Noor KI Woh Karnein Mere Baagh Ki Woh Moti,
Sehmi Hui Si Raahein Mujhe Saaf Lag Rahi Hai,

Woh Bujhti HUi Chiraghaan Woh Uthti Hui Hawayein,
Aandheeron Ki Hakomat Mujhe Paas Lag Rahi Hai,

Rukhi Hui Si Saansein Kahin Baat Na Nikal Jaye,
Mere Jism Ki Yeh Chadar Mujhe Chaak Lag Rahi Hai,

Mere Hukmeraan Ki Baatein Hain Jhoot Ka Palanda,
Kisi Gair Ki Siyasat Mujhe Aaj Lag Rahi Hai,

Mere Dais Ki Banduqein Mere Dais Pe Hi Chalein,
Mujhe Injaam Ki Khabar Hai Mujhe Pyaas Lag Rahi Hai,

Saja Hua Jo Kal Tha Woh Ujhra Hua Hai Aaj,
Koi Aajaye Maseeha Mujhe Aas Lag Rahi Hai.

waqt thora hai guzara nahi jata mujh se


waqt thora hai guzara nahi jata mujh se
zeest ka qarz utara nahi jata mujh se

taaq se lafz utara nahi jata mujh se
shair is tor nikhara nahi jata mujh se

mera rehber hai to phir meri taraf dhyan bhi kar
har qadam par to pukara nahi jata mujh se

daikh kar mujh ko tujhay Husn-e-atam yaad aye
is qadar khud ko s'nwara nahi jata mujh se

aaj tak jeet meri ho na saki hai lakin
baat you'n bhi hai k hara nahi jata mujh se

aasteeno'n mein palay sa'np dasain ge yasir
aur asar zehr ka mara nahi jata mujh se

Raat ki tanhaai mein hum aawaz diya karte hai,


Raat ki tanhaai mein hum aawaz diya karte hai,

Chand sitaron se aapka zikra kiya karte hai,

Aap aao ya na aao,Par ham aapka intezaar,

khwaboan mein kiya karte hain.

Raat dhal gayi, sitare chale gaye..

Gairo se kya gila jab apne chale gaye..

Jeet to sakte the ishq ki baazi hum bhi..

Par unko jitne k liye hum haarte chale gaye.

Yeh Safar Nahi Azaab Hai



Yeh Safar Nahi Azaab Hai,
Yahan Har Kisi Pe Naqab Hai,
Yahan Bad-Gumani Ka Raaj Hai,
Yahan Be-Wafayi Riwaaj Hai,

Abhi Hosh Khonay K Din Nahi,
Abhi Tere Ronay K Din Nahi,
Abhi Waqt Hai Mujhe Chorr Ja,
Abhi Sari Nagri Andair Hai....!!!

Gar yeh shart-e-taaluk hai ke hai hamko juda rehena,


Gar yeh shart-e-taaluk hai ke hai hamko juda rehena,
to khwabon mein bhi kyun aayo, khayalon mein bhi kya rehena!

shazar zakhmi umeedon ke abhi tak leh-lahate hain,
inhen patjhar ke mausam mein bhi aata hai hara rehena!

puraane khwaab palkon se jhatak do soochte kya ho,
muqaddar khusk patton ka hai shaakhon se juda rehena!

ajab kya hai agar tum par yoorish-e-gham hai,
Hawayon ki to aadat hai charagon se khafa rehena!

tumhein mujh se Muhabbat ho nahi sakti



abhi Tum keh rahi thi na!
tmhein mujh se Muhabat ho nhi skti
chalo mana k Ye sach hai
magr Ay chand si Larki
mujhe itna btaao tm
k jb mosam badalte hain
Gullon mein rang bharte hain
to phir kyun muztrib ho kr
akele pan se ghabra kr
Hawa ko raaz deti ho
mujhe awaz deti ho

Suno Ay chand si Larki
tumhare saamne koi
mera jb naam leta hai
to phir kyun chonkk jati ho
chalo maana k tmhein
mujh se Muhabat ho nhi skti
magr itna samjh lo tum
Jahan chahat nhi hoti
wahan nafrat k hone ka
koi imkaan nhi hota
magr Daawa hai chahat mein
jahan nafrat nhi hoti
wahan aksar ye dekha hay
agar kuch waqt kut jaye
samay ki dhool chat jaye
tu wehshat bhaag jati hay
muhubat jaag jati hay....

Tujh se dil ki bat kahon kis trha?


Tujh se dil ki bat kahon kis trha?
To meri jan hy tujhe btaon kis trha?

To anjan hy ya ban raha he?
Ye andaza lagaon kis trha?

Muqadar se muqadar milna to dor ki bat,
Tere dil se dil milaon kis trha?

To mily na mily ye qismat ki bat hy mgr,
Tujhe chaha hy tujhe bhol jaon kis tarha.

Qadam Qadam pe tha ik Marhala mein kya karta


Qadam Qadam pe tha ik Marhala
mein kya karta
Taweel hota gaya Faasla main kya karta

Ghum-e-Hayat
Ghum-e-ishq aur Ghum-e-Ehbaab
Ulajh gaya tha har ik Silsila Main kya karta

Wo Aansuon ki Zubaan jante na they
Mujhe Bayaan ka na tha Hausla
Main kya karta..!

Suno Ab Sans Ki Amad-o-Raft dushwar Lagti Hai


Suno, Ab Sans Ki Amad-o-Raft dushwar Lagti Hai,
Muhabbat Ki Zuban Se Zindagi Bezar Lagti Hai,

Wafa Ki Raah Mein Har Nigah Ashkbar Lagti Hai,
Yeh Kaisi Raat Hai Jo Aankhon Mein Bedar Lagti Hai,

Kya Aisa Ho Nahi Saqta Achanak Tum Chalay Aao,
Meri Har Sans Achanak Tham K Rawan Ho Jaye,

Muhabbat Ki Zuban Khud Zindagi Ki Zuban Ho Jaye,
Muhabbat Ki Yaad Mein Roti Nigha Be-Emaan Ho Jaye,

Guzarti Shab Achanak Mujhpe Mehrbaan Ho Jaye,
Suno, Kya Aisa Ho Nahi Saqta Achanak Tum Chalay Aao.....!!!

Alfaz ke jhote bandhan main har shahks muhabbat karta hai


Alfaz ke jhote bandhan main

har shahks muhabbat karta hai

halaan ke muhabbat khuch bhi nahi

sub jhote rishte naate hain

sub dil rahkne ki batain hain

kab koun kisi ka hota hai

sub asli roop chupate hain

ehsas se khali log yahan

lafzon ke teer chalaty hain

ek baar nazar main aa ke wo

phir sari umar rulate hain

ye ishq_o_muhabbat mehr_o_wafa

sub rasmi rasmi batain hain

her shahks khudi ki masti main

bus apni khatir jeeta hai...........!

har dard pehn lena har khwab mein kho jana


har dard pehn lena har khwab mein kho jana
kya apni tabiat hai, harr shakhs ka ho jana

ik shehr basa lena bitchrhey huwe laugo'n ka
phir shab k jazirey mai dil tham k so jana

mozu e sukhan kuchh ho ta dair usey takna
har lafz pe ruk jana, harr baat pe kho jana

aana tau bikhar jana sanso'n mai mehek ban kar
jana tau kalejey mai sanso'n sa bikhar jana

jatey huwe chup rehna unn bolti aankho'n ka
khamosh takallum se palko'n ka bhigo jana

har shaam azaaim k kuchh mehel bana jana
har subho irado'n ki dehleez pe so jana

maine akser khuwab mein dekha



maine akser khuwab mein dekha
khof tarashey kuhsaron ki god mein jesey
ik pathereeli qabar bani hai
qabar ki ujli peshani par
dhundley meiley sheshey ki takhti k pechey
tera mera nam likha hai

tera mera nam k jis mein
sheshey pather jesi koi bat nahi hai
teri shuhrat mein b
meri ruswayee ka haat nahi hai
phir b !
socho !!
maine akser khuwab mein dekha ... !!!

Wo he gardishein, Wo he paich-o-kham tere baad b



Wo he gardishein, Wo he paich-o-kham tere baad b
Wo he hosly mere dum-ba-dum tere baad b.

Tere sath thi teri her jafa mujhe moatabr;
Tere saary gham mujhe mohtaram tere baad b.

Mere sath hai meri her khushi teri muntazir,
Teri muntazir meri chashm-e-Nam tere baad b.

Tu kisi k qalb-e-arzu ma dhal gaya,
Ma Na ho saka kabhi khud ma zam tere baad b.

Mere baad kitny he Roop tu ne badal liye,
Ma wo he hon ab b Teri qasam Tere baad b.

Ujray heoy logo se gurizan na hoa kar


Ujray heoy logo se gurizan na hoa kar
halat ke qabron k khutbay b parha kr,

us shaks k tum se marasim hain to hon gay,
wo jhoot na bolay ga meray samnay aa'kar,

ab wo thukra day ga to kahan jaogy,
Maine to kaha tha k mere dil main rha kr,

har ek se hasana tmhara
tumhen barbad na kr day,

tanhai k lamhon main kabi ro b lia kar,
wo aj b sadyon ki musafat pe khara hai,

dhonda tha jisay halat ki diwar gira kar,
a dile nadan tujay dushman ki pehchan kahan?

tu halqa-e-yaran main bhe muhtat raha kar,

is shab k muqadar main saher hi nahen "Mohsin"
dakha hai kai bar charghon ko buja kar..!

Aaj ki raat bohat kathan hai


Aaj ki raat bohat kathan hai
aaj ki raat bohat zalim hai.
aaj ki raat mere paas chalay aao.
k kisi tor kisi tor to yeh raat katty.

main ne to tanha hi guzar li hain ratein saari.
phir yeh kioon aaj tum bohat yaad aatay ho.
aakhir kiya baat hai iss qadar aaj ki shab.
aansoo ban ban k miri aankhoon se bahay jatay ho.

tu na tha to bhi aabad thi dunya meri.
tere bina bhi zindgi muskrati thi.
yeh kiya hoa tere anay se k ratein badleen.
mere din meri bohat si batein badleen.
tu na tha to bhi to haseen thay manzar.
magar yeh kia hoa mere maola meri aankhein badleen.

main jo aaj tere ru ba ru khara hoon aisay.
zara poocho to mujhay kaon yahan laya hai.
yeh teri masoom si aankhein yeh tere piyaray se hont.
yeh teri bahain mujhay roz bulati hain yaheen
main tere piyar k talissam main kho kar sanam.
yoon hi roz tere paass chala aata hoon.
yoon hi tujhay piyar kartay hoay raatein guzreen.
magar yeh kia sanam k aaj ki raat to kat,ti hi nahi.

sochta hoon k ratoon ko guzaaroon kaisay.
k chaand k kaan main dil ki baat keh doon.
tere intzaar ka iztraab keh doon.
ya tere hontoon pe hont rakh k.
dukhoon k sare hisaab keh doon.
tu nahi pass to kia hua tere ihsaas to hai.
mere maola tere shukkar TANHAI ka libaas to hai.

tu agar mere paas hoti to yoon karta.a
teri bahoon main meri jaan raha karta.
jee bhar k aaj main tum se mohabbat karta.
teri aankhoon main wafa ban k main raha karta.
aaj ki raat agar mere paas hotay to.............

Chalay aao mere paas chalay aao zara.
aaj ki raat bohat paas chalay aao zara
k kisi tor kisi tor to yeh raat kattay.

Sheh-rag k pas jaisy KHUDA rehta hai


Sheh-rag k pas jaisy KHUDA rehta hai
, Dil men aisy mery ik Dil-ruba rehta hai ,

Wo meri ankh men basy benaie ban kar ,
Laho ki tarah meri ragon men us ka pyar behta hai

Rishta mera aur us ka qaim azal sy hai , Nadan hai ,
jo us ko mujh sy juda kehta hai Ankhen hain us ki jaisy koi gehra smndr ,

Shaid isi ley wo chup chap sa rehta hai ,
Keun na karon khud par naz main ay ¤§Ã¦gér¤ Mehfil-e-yaran men apni jan mujhy wo kehta hai.

Mujh pe ye shaam is tarah Jadu sa kar gai


Mujh pe ye shaam is tarah Jadu sa kar gai
Phir teri yaad chhor kr janay kidhar gai

Aasan to bohat hai tujhay bhulna magar
Main kya karun mujhe teri Aadat si par gai

Ye zindgi bhi ab hai tamasha bani hui
Kabhi ruk k chal pari kabhi chal k theher gai

Lab si liye thay mainay judai k mour pe
Bas dekhti Rahi thi jahan tak nazar gai

Tere liye to khuwab tha, aaya guzar gaya
Par dekh zara meri to zaat bikhar gai...!!

Aye Chand Zara Ek Kaam Toh Karna


Aye Chand Zara Ek Kaam Toh Karna,
Uskay Ghar Mein Jana Jis Ghar Mein Ek Apna Rehta Hai,
Jo Mujhko Apna Kehta Hai,
Jis Ki Aankhon Mein Mere Sapnay hain,
Jis K Saray Dukh Sukh Apnay hain,
Woh Is Waqt Sakon Ki Neend Sota Hoga,
Uski Pyaar Bhari Aankhon Ka Chupkay Se Ik Bosa Lena,
Aur Kehna K Koi Tumein Buhat Yaad Karta Hai.......!!!!

Yadoun ko bhulanay mein


Yadoun ko bhulanay mein
KUCH DAIR TO LAGTI HY

Ankhoun ko sulanay mein
KUCH DAIR TO LAGTI HY

Kisi shaks ko bhula daina Aasan nahi hota

Dil ko samjhanay mein
KUCH DAIR TO LAGTI HY

Bhari mehfil mein jab koi
Achanak yad ajaye

Phir ashk chupanay mein
KUCH DAIR TO LAGTI HY

Jo shaks jan se piyara ho,
Achanak door hojaye

To dil ko ykeen dilanay mein
KUCH DAIR TO LAGTI HY..

Mujhe Bar Bar Sada Na De


Mujhe Bar Bar Sada Na De

Meri Hasrton Ko Hawa Na De

Mere Dil Mein Aatish-E-Ishq Hy

Meri Aag Tujko Jala Na De

Mera Ishq Hy Meri Zindagi

Mera Pyar Hy Meri Bandgi

Muje Ashiqon Mein Shumar Kar

Muje Aashqi Ka Sila Na De

Me Gada Nahi Hun Fakeer Hun

Me Qlandro Ka Ameer Hun

Muje Tujse Kuch Nahi Chahiye

Muje Mangne Ki Ada Na De

Muje Dard-O-Soz-O-Gudaaz De

Muje Apne Gham Se Nawaz De

Tera Dard Bhi Mere Dil Mein Ho

Muje Dard-E-Dil Ki Dawa Na De!

Tera mera taaluq Mazboot ho kar bhi


Tera mera taaluq
Mazboot ho kar bhi
Kis qadar adhoora thaa
Sirf teen lafzoon ne
Donoo ko mila diya
Aur sirf teen hurfoon ne
Humein juda kar diya
Lafzoon ke is khail ne
Taaluq adhoora kar diya
Na tum mile na hum milay
Lafz milay bhi
Aur hurf juda kar gaye
Tum apni jagah hum apni jagah
Donoo adhooray reh gaye ...

Main Mar Jaon Toh Aana Kuch Dair K Liye



Main Mar Jaon Toh Aana Kuch Dair K Liye,
Ashkay Ghum Bahana Kuch Diar K Liye,

Agar Koi Tumse Puchay Main Kon Hon Tumhara,
Apni Nazron Ko Jhukhana Kuch Dair K Liye,

Yeh Duniyaan Mela Hai Rukna Hai Pal Do Pal K Liye,
Aisi Baaton Se Behlana Khud Ko Kuch Dair K Liye,

Meri Khuli Aankhein Gwahi Hai Ap K Intezar Ki,
Band KrK Kehna Arse Bad Soya hai Na Uthana Kuch Dair K Liye...!!!

Woh Kisi Aur Ka ho Ga Toh Qayamat Hogi


Woh Kisi Aur Ka ho Ga Toh Qayamat Hogi,
Phir Kisi Ko Na Kisi Se Muhabbat Hogi,

Usay Dekhay Koi Acha Nahi Lagta Mujhko,
Usay Barh Kar Bhi Koi Muhabbat Hogi,

Raat Chand Ko Dekha Toh yeh Ehsas Hua,
Woh Akela Hai Usay meri Zarurat Hogi,

Aey Chand Usko Kisi Aur Ka Na Honay Dena,
Zindagi Bhar Mujhe Phir Shikayat Hogi.....!!!

zindagi kanch ka khilona akhir toot jana hay


zindagi kanch ka khilona

akhir toot jana hay

do ghry baith merey pass

mujh ko boht dur jana hay

tu ne hasi dekhi hay mere gham nhi dekhey

mere paon main musafton k zakhum nhi dekhey

yado ka hasil b akhir bhool jana hay

main us ko paney ki khwahish main khud ko kho baitha hoon

jo mera ho nhi skta main us ka ho betha hoon

bohat masoom chaht hay bara zalim zaman hay

zindagi kanch ka khilona hay akhir toot jana hay

Itna Arsa Yaad Rahe ho



Itna Arsa Yaad Rahe ho
Lamha Lamha Yaad Rahe Ho

Zehan Me Koi Or Nahi Tha
Tum Bus Tanha Yaad Rahe Ho

Me Kab Tum ko bhool Saka Hoon
Misl-e-Tamanna Yaad Rahe Ho

Jitna Zyada Door Ho Gaye The
Itna Zyada Yaad Rahe Ho

Apna Khayal B Kab Tha Baaqi
Tum to Esa Yaad Rahe Ho

Chalo baatain karain itni


Chalo baatain karain itni,
Falak ki goud main simtay sitaray sojayen,
Zameen per bikhray manzar sab k sab hairan hojayen,
Hawa hairat se dekhti jaye,
Chalo baatain karain itni,
Bina matlab,
Bina maqsad,
Chalo na boltay jayen,
Chalo baatain karain itni,
K ik lamha zara ruk kar tumhe kuch sochna dushwar hojaye,
Or aisay main achanak hi tumhari zaban se mohabbat ka iqrar hojaye.

kab talak apni duhayee dey ga



kab talak apni duhayee dey ga
khud s kia khud ko rehayee dey ga ?

akhiri bar sada dey mujko !
phir muje kuch na sunayee dey ga

isi umeed pe dekhon har su
voh agar hai to dikhayee dey ga

phir voh yad aya hai lamha bhar ko
phir voh sadiyun ki judayee dey ga

dil se kia uzar e mohabbat kijiye !
ghair kia apni safayee dey ga ?

Mil geya tha to usey khud se khafa rakhna tha


Mil geya tha to usey khud se khafa rakhna tha
dil ko kuch dair to masroof e dua rakhna tha

main na kehta tha k saanpon se attey hein raastey
ghar se nikley they to haathon mein aasa rakhnatha

baat jab tark e tualuq pe hi thehri thi to phir
dil mein ehsaas e gum e yaar b kia rakhna tha

daman e moj e hava yun to na khaali jata
ghar ki dehleez pe koi to dia rakhna tha

kia khabar us k taqub mein hon kitni sochain ?
apna andaz to auron se juda rakhna tha

chandni bund kuvarron mein kahan utrey gi ?
ik dareecha to bharey ghar mein khula rakhna tha

uski khushbu se sajana tha jo dil ko Mohsin
uski sanson ka laqab moj e saba rakhna tha 

Har baar mere saamney aati rahi ho tum






Har baar mere saamney aati rahi ho tum
Har baar tum se mil k bicharta raha hoon main
Tum koun ho ye khud bhi nahi jaanti ho tum
Main koun hoon ye khud bhi nahi jaanta hoon main
Tum mujh ko jaan kar he pari ho aazaab main
Our is tarha khud apni saza ban gaya hoon main


Tum jis zameen par ho main us ka khuda nahi
Pas sar basar aziyat o azaar he raho
Bezaar ho gayi ho bohot zindagi se tum
Jab bas main kuch nahi hay to bezaar he raho
Tum ko yahan k saaya e partu se kya gharz
Tum apne haq main beech ki deewaar he raho


Main ibtedaaye ishq se be meher he raha
Tum intehaaye ishq ka maiyaar he raho
Tum khoon thookti ho ye sun kar khushi howe
Is rang is aada main bhi pur kaar he raho


Main ne ye kab kaha tha k mohabbat main hay nijaat
Main ne ye kab kaha tha wafadaar he raho
Apni mitaa e naaz luta kar mere liye
Bazaar e iltifaat main nadaar he raho


Jab main tumhay nishaat e mohabbat na de saka
Ghum main kabhi sukoon e rafaqat na de saka
Jab mere sab chiraagh tamanna hawa k hain
Jab mere saray khawaab kisi be wafa k hain
Phir mujh ko chahney ka tumhay koi haq nahi
Tanha karahney ka tumhay koi haq nahi........!!!!!!!!

Shehr-e-Aazaar ko Khulti hui Khirki ki Thakan


Shehr-e-Aazaar ko Khulti hui Khirki ki Thakan

Meri Ankhon ko Bhigoti hui Awara Hawa,

Dosh'e'Diwar pe Bezaar Ghari ki Tik Tik,

Mery Anjam pe Rota hua Sanson ka Sitaar,

Tuti Almari main Bikhry hoe Chahat k Naqoosh,

Raqs karti hui Tanhai k Piyaasy saaye,

Main Akela hoon..

Magar phir bhi,

AKELA TO NAHI....!!!

Mohabbat kis qadr sehr aafreeN maloum hoti hai


Mohabbat kis qadr sehr aafreeN maloum hoti hai
k wo jo baat keh dain dil nasheen maloum hoti hai

Elahi kyun asr hota nahin in be-wafaoN per
hamain to baat apni dil nasheen maloum hoti hai

dil e nadaaN ne khaye hain muhabbat main faraib itny
k us kafir ki haaN bhi ab nahin maloum hoti hai

te're koochy main alam hai ye apni khaksari ka
nishan e sajda main pinhaaN jabeeN maloum hoti hai

faraghat aur qayamat ki faraghat hum ko jannat bhi
kisi kafir k kochay ki zameeN maloum hoti hai

tabassum aa gaya un k labooN per haal e dil sun kr
hamari dastaaN sehr aafreeN maloum hoti hai

Tabassum kis ki jawah reziyaaN hain bazm e imkaaN main
k jo shay hai nigahooN main haseeN maloum hoti hai

Bht be-dard hoon na main?


Bht be-dard hoon na main?

Staata hoon bht tumko?

Rulata hoon bht tumko?

K tumko chorh kr tanha,

Khizaan lamhon ki banhon main,

Bht he door sochoon main,

Chala jata hoon main aksar?

Chalo aisa karo jana...!

Muje koi saza de lo,

K jab sone ko mann chahe,

To Meri palkon ka ghunghat orh kr,
Tum ru-bru aana,

Meri saanson main bs jana,

Zara b door apni yadon se,

Kbi hone nhi dena,

Suno tm aisa krna k...

MUJE SONE NHI DENA...
MUJE SONE NHI DENA.  

kare dariyaa na pul mismaar mere



kare dariyaa na pul mismaar mere
abhii kuchh log hain us paar mere

bahut din guzare ab dekh aauN ghar ko
kahenge kyaa dar-o-diivaar mere

vahin suraj kii nazarain thin ziyaadaa
jahaN the peD saayaadaar mere

vahii ye shahar hai to shahar vaalo
kahaN hai kuuchaa-o-baazaar mere

tum apanaa haal-e-mahajurii sunaao
mujhe to khaa gaye aazaar mere

jinhain samajhaa tha jaan_paravar main ab tak
vo sab nikale kafan bar_daar mere

guzarate jaa rahe hain din havaa se
rahain zindaa salamaat yaar mere

dabaa jis se usii patthar main Dhal kar
bikay chehray sar-e-baazaar mere

dariichaa kyaa khulaa merii Gazal kaa
havaayain le uDii ashaar mere

Bikharti Rait Per Kis Naqsh Ko Abaad Rakhe Ga



Bikharti Rait Per Kis Naqsh Ko Abaad Rakhe Ga,
Wo Mjh Ko Yaad Rakhe B To Kitna Yaad Rakhe Ga,

Usay Buniyad Rakhni Hy Abi Dil Mein Mohabat Ki,
Mgr Ye Sang Seenay Pr Wo Mere Baad Rakhe Ga,

Palat Kr B Na Dekhain Teri Ye Be-Rukhi Hum b
Bhula Den Ge Tjhe Aisa K Tu B Yaad Rakhe Ga.

kuhr mein ghira mera kamra jis ka zarra zarra


kuhr mein ghira mera kamra
jis ka zarra zarra
teri khushboo mein basa hai!
wohi chand kitabain
jin ke safhay safhay per tere tasveer kashida hai!
wohi qalam
jis ki siahi tere siwa kuch likh nahi sakti!
aur sab se badh ker
wohi mein, mera badan
jis ki pour pour teray lazzat fisha'n lams se makhmoor!
wohi mere baal
jin ki shikan shikan tere unglion ki mahak se muamber!
han!
mere is hamraaz kamray mein
wo sab kuch to hai
jis ki mujhay kami hai!

hamaare shauq kii ye intehaa thi


hamaare shauq kii ye intehaa thi
qadam rakhaa ke manzil raastaa thi

bichaR ke Daar se ban-ban phiraa vo
hiran ko apnii kastuurii sazaa thi

kabhii jo Khvaab thaa vo paa liyaa hai
magar jo kho gayii vo chiiz kyaa thi

maiN bachpan meN khilaune toRtaa thaa
mere anjaam kii vo ibtidaa thi

muhabbat mar gayii mujhko bhii Gham hai
mere acche dinoN kii aashnaa thi

jise maiN chhuu luuN vo ho jaaye sonaa
tujhe dekhaa to jaanaa bad-du’aa thi

mariiz-e-Khvaab ko to ab shafaa hai
magar duniyaa baRii kaRvii davaa thi

gurayz shab say sehar say kalam rakhty thay

gurayz shab say, sehar say kalam rakhty thay,
kabhi wo din thay k zulfon main shaam rakhty thay,

tumhary haath lagy hein to jo karo so karo,
wagirna tum say to hum so(100)ghulam rakhty thay,

hamein bhi gheir lia ghar ky zu'am nay to khula,
kuch or log bhi is mein qayam rakhty thay,

ye or baat hamein dosti na raas ai,
hawa thi sath to khushboo maqam rakhty thay,

na jany kon c rut mein bichar ga'ay wo log,
jo apny dil mein bohat ehtaram rakhty thay,

wo aa to jata kabhi, hum to uskey rusto'n per,
diay jalay hoay subh o shaam rakhtay thay,

Woh mujh ko likhta tha aye meri jan


Woh mujh ko likhta tha

aye meri jan...!!!

judaiyo ki udas rut mein,

khafa na hona..

mai laot aya to qurbtoon k

haseen mosum se,

dil ka aangan sanwaar donga,

bahar us me utar donga,

mai le k aon ga sath apne

mohbton k gulab mosum,

wafa me dobey seemab lmhy,

tmhari khatir, tmhari khatir...


magar....!

wo aya

to uzar laya,

jawaz laya,

wazahaton ka mahaz laya..

mai jin dukhoon ki tha inteha per,

wo phir se unka aghaaz laya...!!!

saadagii par us kii mar jaane kii hasarat dil me.n hai


saadagii par us kii mar jaane kii hasarat dil me.n hai
bas nahii.n chalataa ki phir Khanjar kaf-e-qaatil me.n hai


dekhanaa taqariir kii lazzat ki jo usane kahaa
mai.nne yah jaanaa ki goyaa yah bhii mere dil me.n hai


garache hai kis kis buraa_ii se vale baa ii.n hamaa
zikr meraa mujh se behatar hai ki us mahafil me.n hai

bas hujuum-e-naa umiidii Khaak me.n mil jaayagii
yah jo ik lazzat hamaarii sa_i-e-behaasil me.n hai


ra.nj-e-rah kyo.n khe.nchiye vaamaa.ndagii ko ishq hai
uTh nahii.n sakataa hamaaraa jo qadam ma.nzil me.n hai


jalvaa zaar-e-aatash-e-dozaKh hamaaraa dil sahii
fitanaa-e-shor-e-qayaamat kis kii aab-o-gil me.n hai


hai dil-e-shoriidaa-e-Gaalib tilism-e-pech-o-taab
raham kar apanii tamannaa par ki kis mushkil me.n hai

Bicharney Waaley Tujhe khabar hai


Bicharney Waaley !

Tujhe khabar hai !

Ke tere jaaney se mera jeewan !

Hazaar khaano mein batt gaya hai !

Tujhe khabar hai bicharney waaley !

Ke meri khushiyan hi kho gai hain !

Main kitna tanha sa ho gaya hoon !

Wajood mera to is safar mein !

Yeh daikh zakhmon se att gaya hai !

Main sochta hoon !

Magar yeh sochien !

Kyun ik nuqtey pe jamm gai hain !

Mujhe yeh mehsoos ho raha hai !

Ke jaise saansein hi thamm gai hain !

Mujhe bata de bicharney waley !

Ke khud ko kaise sambhalna hai !

Hijr ke raaston pe chalte chalte !

Yeh mere paon lahoo mein tar hain !

Yaqeen kar ley main thak gaya hoon !

Bicharney waley !

Tujhe khabar hai !

Main kab ka khud se bichar chuka hoon...!

shamma ko machalne me der kitni lagti Hai


shamma ko machalne me der kitni lagti Hai
phir hamen bhi marne me der kitni lagti Hai

Zindagi Ki Raahon Per Kyon Udaas Phirte Ho
Zindagi Badalne Mein Deir Kitni Lagti Hai

Hichkian Si Aati Hain, Yaad Aa Rahe Ho Tum
Saans Ke Ukharne Mein Deir Kitni Lagti Hai

Waqt Ho Judai Ka, Ya Kisi Se Milne Ka
Aankh Ke Barasne Mein Deir Kitni Lagti Hai

Jis Qadar Bhi Jee Lein Hum, Phir Bhi Mar Hi Jana Hai
Khak Ban Ke Urney Mein Deir Kitni Lagti Hai.

Popular Posts