dil ko Khyaal-e-yaar ne maKhmuur kar diyaa
saagar ko rang-e-baadaa ne purnuur kar diyaa
maayuus ho chalaa thaa tasallii se haal-e-dil
phir tuune yaad aa ke ba-dastuur kar diyaa
gustaaKh-dastioN kaa na thaa mujh meN hausilaa
lekin hujuum-e-shauq ne majbuur kar diyaa
kuch aisii ho gayii hai tere Gham kii mubtilaa
goyaa kisii ne jaan ko mashuur kar diyaa
betaabioN se chhup na sakaa maajraa-e-dil
aaKhir huzuur-e-yaar bhii mazkuur kar diyaa
ahl-e-nazar ko bhii nazar aaya na ruu-e-yaar
yaaN tak hijaab-e-yaar ne mastuur kar diyaa
“Hasrat” bahut hai martabaa aashiquii buland
tujh ko to muft logoN ne mash’huur kar diyaa
No comments:
Post a Comment