Saturday, December 3, 2011

Suna hai Koi kaanch toota hai


Suna hai
Tumharey haathon se chhot kar
Koi kaanch toota hai
Kirchi kirchi wo kaanch
Bhikra pada hai rah may
Tehro
Ruko zara
Mat chhoona un kirchiyun ko
Ungliyan nazuk hain
Lahu lahu ho jayen gi

Suno jaanan
Kaanch ke tukron ko
Samaitney ke waastey
Meray haath le jao tum

Sard mousamon ke dukh Kitney sard hotey hain

Sard mousamon ke dukh
Kitney sard hotey hain
Koi aah
Koi faryad
Koi shikwah
Koi shikayat
kuch bhi to nahi hota in mein

In mousamon ke baasi shajar bhi
Be-libas rehtay hain
Pattay bhi na janey
Fanna ki kin gehrayun may
Be-awaz gir jatey hain
Phool na janey kiyun bin khillay hi
Be-naam si mout mar jatey hain

Sard mousamon ki hawain
Ajeeb rang may nooha kanan hoti hain
Jaise kisi jawan marg pe
Kaheen chupke chupke
Kisi koney may aanchal lapetay
Koi ujri suhagan
Hichkiyun may sisakti ho

Aisa hi aik sard mousam
To meray andar bhi rehta hai
Janey kiyun isqadr tanha sa lagta hai
Yaadon ke sub zard pattey jhar chuke hain

Sard mousamon ke sub dukh
Meray andar utar chukey hain

_________________

Chalo jaanan Milkar sawan ke dukh Baant-te hain

Chalo jaanan
Milkar sawan ke dukh
Baant-te hain
Usay bhi shikast-e-muhabbt may
Zabt sikhatey hain
Usay bhi behtay houay ashkon ki
Faryad sunatey hain

Chalo jaanan
Thaam lain uski sisakti
baarishon ko
Abr-e-aasman ki machalti
tammanaon ko

Chalo jaanan
Ke baarishon ke sang
Hum bhi baras jayen
Apney qatra qatra khuwabon sameet
Zameen ki atha gehrayun may
Utar jayen

Ke zameen ki wusatoon may ta-abad
Koh jayen
Chalo jaanan
Chalo jaanan

Kisi dard ka aihsas likh raha hon main

Kisi dard ka aihsas likh raha hon main
Goya pani ki piyas likh raha hon main

Chalta mai raha door talak tanha magar
Qadmon ko hasrat-o-yaas likh raha hon main

Jugnu chamkey kaheen andheray mein jab kabhi
Teri khusbu ko qiyaas likh raha hon main

Kabhi pani pe qadam tehra kartey nahi
Unhi qadmon ko asaas likh raha hon main

Sanbhal jata hon jo aksar gir ke main
Khiyal-e-vasl udaas likh raha hon main

Guzri shab phir mujhey wo pathar keh gaya

Guzri shab phir mujhey wo pathar keh gaya
Jisey gul samjha wohi khaar keh gaya

Raakh may ab kia talash kartey ho
Chahat ka wo mandir to kab ka deh gaya

Unko maan tha ahl-e-saahil honey ka
Toofan jo aya to saahil hi beh gaya

Chaley to saath hi they safar-e-ulfat may
Raah may thak kar kaheen door wo reh gaya

Uski qurbat may itna to seekha main ne
Kiye jo uss ne waar sub hi seh gaya

Husn-o-ishq ki kahani buhat purani hai

Husn-o-ishq ki kahani buhat purani hai
Hijr-o-vasl ki dastaan buhat purani hai

Chalo qissey chehrain nai muhabaton ke
Kaie din ke baad tabiyat seelani hai

Buhat roya kiye hum gham-e-hijr may jaanan
Ab to har nai subah buhat suhani hai

Sarey gham mitt gaye jab deed hoi uski
Guzri hoi har karwi yaad mittani hai

Koocha-o-baazar may kaheen mil to jaye
Marham-e-jafa ki taseer dikhani hai

Sard ratain phir Dar pe dastak denay lagien

Sard ratain phir
Dar pe dastak denay lagien
Jaisey udasiyan pichley baras
Ki loutney hon lagien
Phir aik kohra bahir chah jaye ga
Doja kaheen ander buhat gehrai may
Sar uthaye ga

Jugnu bhi yaadon ke ooud ayen ge
Sung kuch
Talkhiyan
Wehshatain
Aahatain
Kuch zakhm zakhm muskrahatin
Kuch tooti kirchi kirchi chahatain
Bhi le ayen ge

Jab bhi khunk hawa
Kuwar meray bajaye gi
Tamam khunki tab
Meray lahu may utar jaye gi
Chandni bhi hogi sehmi sehmi
Raastey sub sanaton ki
Oorh kar chadar
Meethi neend
Sojayen ge

Fursatain bhi humain hongi haasil
Apne kamal ki
Aur
Aalam-e-takhiyul may
Dareechey kaie khul jayen ge
Aur
In sub may kaheen
Ooas qatron ki maanind
Ashk palkon pe meray
Tanha tehar jayen ge

Meri neendain khrarab kar dalien

Meri neendain khrarab kar dalien
Beeti yaadain aazab kar dalien

Liye chehra udaas aaye ho
Meri saansain be-taab kar dalien

Kaisi mehfil sajaye behtey ho
Sari nehrain sharab kar dalien

Bazm-e-dil mein ajab tammasha hai
Chand lakeerain kitaab kar dalien

Jo matta-e-hiyaat hotien thein
Wo chahatain aazab kar dalien

Koi to ishara ho Yaadon se teri janaan

Koi to ishara ho
Yaadon se teri janaan
Kaisey bhi kinara ho
Thakney lagey hain paaon meray
Naseeb may ab nahi
Koi bhi chhaon meray

Kab talak iss dasht-e-yaad may
Chalta rahon mai
Yunhi shaam-o-sehar jalta rahon mai
Nashter guzrey lamhon key
Sehta rahon mai

Nikal sakon mai iss koocha-e-aatish se
Aisa meray Moula
Koi gaeib se ishara ho
Zindaan-e-muhabbat se
Rehai ka koi istaara ho

Wo jisay Rashk-e-chaman jana

Wo jisay
Rashk-e-chaman jana
Wo jisey
Jaan-e-bahar maana
Jo thi
Dil-e-be-qaraar ka qaraar

Wo jisey haasil raha
Guftagu may kamaal
Wo ke jiska raha
Neendon may bhi khiyaal

Wo ke jiski madaah
Karti rehi zubaan
Wo ke jiskey husn-e-be-misaal pe
Chaand bhi raha sada heraan

Wo jaan-e-bahar
Guzrey baras ki
Bahar may
Dagh-e-judai de gayi
Aur
Khud se pewasta
Kuch yaadain
Sisakney ko chhor gayi

_________________

Ankhon mein baghawat kaisi



Ankhon mein baghawat kaisi
Honton pe shikayet kaisi

Nazron se giraya tum ney
Phir dil mein muhabbat kaisi

Sawan ney lagai mann may
Uss aag se ulffat kaisi

Toota koi sapna chhan se
Neendon se shikayet kaisi

Aansu ka bahana kaisa
Palkon pe ye zehmat kaisi

Likhon ga kabhi ye qissa
Bassi dil mein nafrat kaisi

Chhor chaley ho shehar ko
Seekhi hai baghawat kaisi

Dil ke daman se meray judaa hai

Dil ke daman se meray judaa hai
Kismaton ka meri jo khuda hai

Mai na chahon usay bholna phir
Lab pe tehra jo ban ke dua hai

Khaak choomon ga mai bhi wahan ki
Jis jagah aansu tera gira hai

Dunya walon se kaisey chupaon
Meray aaqa se jo bhi milla hai

Kis se poochon meh khana kahan hai
Apney saaqi se aik ye gilla hai

Shikwah kia karain phir diye se
Teri mehfil may jo ab jala hai

Jayen ge phir kabhi unko milney
Abhi to unhain hum se gila hai

Lagta hai bahar aarehi hai
Ghar ke aangan may aik gul khila hai

Chalo likhain wohi dastaan phir
Milli jis ki humain ye saza hai

Bazm-e-sukhan sajai teray shehar mein

Bazm-e-sukhan sajai teray shehar mein
Phir wo ghazal sunai teray shehar mein

Lahu-e-dil se likhi gayi dastaan
Hoi na pazeerai teray shehar mein

Dekhi ja saki na jazbaat ki aseeri
Kaisey milay rehaai teray shehar mein

Janey kab nibhaao ge apney wo ehad
Ho rehi hai ruswai teray shehar mein

Kab se baras rehi hai ashkon ki barkha
Koh chuki hai beenai teray shehar mein

Sili sili si shaam hoi hai

Sili sili si shaam hoi hai
Janey kiyun badnam hoi hai

Hai kaie dinon se uljhi uljhi
Saza jo meray naam hoi hai

Khool dareechay aney de andar
Dhoop ye dar-o-baam hoi hai

Chhor diya phir hum ney mehkhana
Nazar jo teri jaam hoi hai

Sooch rehain hain mar jayen dono
Kar ke ruswaa jo shaam hoi hai

Kuch shaam se pehlay hi Teri yaad

Kuch shaam se pehlay hi
Teri yaad ki parchhayan
Aangan may utar rehi hain
Kuch ghabra rehi hain

Bujhey diye dekhay to
Teharney se dar rehi hain
Bechain ho kar phr idhar udhar
Talaash-e-dil-e-nashaad phir rehi hain
Per sadiyun se
Dar band pada hai
Iss dil-e-nashaad ka

Koi rozan
Koi dareecha
Koi dewaar ho giri si
Kuch bhi to nahi paya
Sitam-e-waqt dekha to

Yaadain tamam wo saari
Khud aap hi mar rehi hain

Barkha ruton mein aag hai barsi

Barkha ruton mein aag hai barsi
Milan ko teray aankh hai tarsi

Kia kahon mai raat ka aalam
Neend nagar se aayi na daasi

Tanha akeeli raat thi kaali
Dekhi gayi na sitam zareefi

Dekha nahi wo shaam ka manzar
Dekhi nahi wo purwah piyaasi

Kis ne kaha tha shair wo kehtay
Raha dair tak sehar phir taari

Chalo tum ko hum sunain Sadmon ki kahani

Chalo tum ko hum sunain
Sadmon ki kahani
Kahani kia kahain issay
Dastan hai purani

Jo labon pe naam aaye
Aankhon may rang jhalkain
Lagney lagey khizaan bhi
Jaisey ho bahar suhani

Dil may phhot jaye
Jo koonpal shajr-e-muhabbat
Phir rehta nahi kuch bhi
Hosh khud may baaqi
Kehnay lagti hai dunya bhi dewaani

Per meray humnawaao
Ye jitni lagey haseen hai
Uss se kaheen sangeen hai
Jo leti hai kabhi ye imtihaan
Kar dey phir heraan

Tum ko bus aik baat hai batani
Mat jhonk dena
Phoolon si jawani
hai ye aisi aatish
durr se lagey hai jaisey ho chandni
dass le kisi ko
maangey na wo paani
aafat hai bus ye koi nagehaani

naam-e-muhabbat
suno tum jo kaheen per
samjho houa sub kuch faani

_________________

Mujhey khuwabon se ab dar lagta hai

Mujhey khuwabon se ab dar lagta hai
Inn mein bassa hota hai jo
Rait per banna shehar lagta hai
Pal may sehra
To
Pal may sagar
Kaheen phoolon ki seaj hai saji
Kaheen angaron ka raqs hai jari
Kabhi aangan may utarti hai chandni saari
Kabhi teeragi ki padti hai chott kaari

Aik pal may tamer jo kartey hain
Wo mehal aksar agley pal may
Koi puraana sa khandar lagta hai
Khuwabon ki nagri bhi ajab nagri hai

Shamma aksar khuwahishon ki yahan jalti hai
Jo zara tehar jaaon may kaheen
Anjuman dar anjuman waheen sajti hai
Phir bhi janey kiyun
Mujhey ye nagar
Meray Moula ka qehar lagta hai



Bana kar tujhey kajal aankhon mein saja loon

Bana kar tujhey kajal aankhon mein saja loon
Sindori koi shaam sung teray bitta loon

Bethon kuch dair ko teri zulfon ke saaye
Suna kar tujhey dard mai ashk baha loon

Saahil pe likhon naam tera aur yun ho
Bipahrti hoi moujon ko dushman banna loon

Kuch dair ke waastey angrai na tooro
Kaliyun ko chtakhney ki adda seekha loon

Kehta hai ye mousam kaanon may meray
Banna kar tujhey sawan rooh may bassa loon

Chalak raha hai sagr-o-jam kehna

Chalak raha hai sagr-o-jam kehna
Hosh may rehay na dar-o-baam kehna

Hawaon ka badla hai rukh yahan kaisa
Safar hi may honey lagi shaam kehna

Shab-e-udaas hai na jugnu na taara
Haathon se chhota hai phir jam kehna

Likhay they kaghaz pe kabhi jo chand lamhey
Wohi hurf kar gaye badnaam kehna

Oorh li hai qaba-e-madhoshi hum ney
Bujh gaye diye bhi sar-e-shaam kehna

Kabhi socha to nahi hoga

Kabhi socha to nahi hoga

Teray haathon ne jisey
Mittaya hoga
Wo
Kisi behan ke sar ki chhaya
Kisi baap ki aankhon ka taara
Kisi maa ke kalejay ka
Tukra hoga

Aye insan yaqinan to ne
Kabhi socha to nahi hoga

Tarapta houa ye jawaan laasha
Ye bhi kabhi aaghosh-e-madir
May soya hoga
Aasman-e-tammanaon pe ye bhi
Janey kin kin ki
Umeedon ka taara hoga

Hasti may iske
Koi basti to basi hogi
Koi khanak koi hansi
To goonjo hogi

Kisi ke khuwab
Kisi ki neend
Iss se to judi hogi
Aye ghafil
Na janey
Kis kainat ko to ney
Hawas may apni
Mittaya hoga

Mujh ko hai ye
Yaqeen-e-kaamil
To ne dolat to payi hogi
Per
Sakon-e-dil na paya hoga

_________________

Dard-e-hijar kia mila

Dard-e-hijar kia mila
Ke
Haathon may jam mila
Humko to har din bus
Aek naya gham mila
Kehtay hain wo harjai humain
Nahi dekha kabhi
Unhon ney
Kaisey teeragi may jiya hamara jala

Jo hoti unko khabar
Hanstey aur keh jatey
Ay naadan ishq may
Tujhey kia mila

Chalo chhoro in shikwon ko
Aatish-e-man se
Kisi ka ghar to aakhir roshan houa
Hamara kia hai
Humain to har bar
Khaali hi har jam mila

_________________

Umeed-e-sehar mein janey kitney Andheray thak kar soo gaye hain

Umeed-e-sehar mein janey kitney
Andheray thak kar soo gaye hain
Taarey jo jagtey they aasman per
Buhat dinon se kaheen koh gaye hain

Shab-e-tareek may
Ajab Kal aek manzar dekha gaya hai
Suna hai koi toot-ta houa
Aek taara
Chiragh-e-shab-e-udaas ko chhoo gaya hai
Chhoney se uskey
Roshni wo chiragh apni koh gaya hai

Gumaan houa ke
Shayed ye hai koi
Nishan-e-qurb-e-sehar
Per
Umeed ka har
Lamha jaisey sarab ho gaya hai

Har saans chal rehi hai
Faqt aye sehar teray intizaar may
Janey kab bur aaye ye aas
Ab to jism bhi bot ho gaya hai

Raastey

Raastey

Ye raastey
Kisi ko milan dain
Kisi ko judai
Kabhi ye asaan hon
To
Kabhi ye mushkil

Ajab rang iskey
Ajab dhang iskey
Kabhi pholoon ki tarah se lagain
Kabhi ho jayen kaanton se ye
Kisi ko milay inpey manzil yahan
Koi koh jaye inmay nihan dar nihan

Kabhi de jayen laboon pe tabassum ye
Kisi ke liye ban jayen zakhm bhi ye
Aansu bhi behtay rehay hain yahan
Khusiyun ke gul bhi khiltey rehay hain yahan

Raastey bhi ajab asraar hain
Jo hul ho na saki wo pehali hain ye

Ye
Raastey
Jab kabhi bulain tumhey
Yaadon ki ungli pakar kar tum
Chaley aana
Aur
Koh jana inki wusatoon may phir
Raastey phir koh na jayen kaheen

Tashtiryun pe sajey hain katey sar

Tashtiryun pe sajey hain katey sar
Haathon may liye khanjr
Zameen-e-ilm bhi banjar
Shahon ki jholi chali sikon se bhar
Awam bhook se phiray dar-ba-dar

Soguwar houa har shehar
Khoon aalood hoi har shaam-o-sehar
Be sakoni ka raaj ho raha hai
Harsu behar-o-bar

Ye sub samaitey ja raha hai saal-e-rawaan
Dekhiye
Kia lata hai
Soghat ye saal-e-nau

Meri sisakti hoi rooh atki Lab-e-baam hai

Meri sisakti hoi rooh atki
Lab-e-baam hai
Gar ho sakey aek
Ehsaan kar jana

Kisi sham chupkey se
Bina aahat kiye
Tum khalwaton may meri
Chali aana
Jo guzarey hain lamhey tum ne
Nazron se oojhal reh kar
Bina meri qurbaton ke
Maajra wo sara un saaton ka
Surat fasanney ki biyan kar jana

Haan
Ghabra kar nashter-e-tanhai se
Agar kuch ashk bahaye hon jo tum ne
Unhain taqseem meri
Aankhon may kar ke
Heeran tum kar jana

Gar ye sub na kar pao
To
Jaanan
Koi shikwah nahi
Koi gilla nahi
Koi hurf-e-shikayet nahi
Bus iltija hai tum se

Hawaley kar ke
Meray jasd ko lehad ke tum
Aek ehsaan kar jana
Jo phool tumharey baalon may
Sajaya tha mai ne
Usay meray sarhaney rakh jana

Bus ye ehsaan kar jana
Meri muhabbat ko
Aek amar dastaan kar jana

_________________

Usay chahney ka saleeqa bhi nahi tha shaid

Usay chahney ka saleeqa bhi nahi tha shaid
Oss se mera koi rishta bhi nahi tha shaid

Lamhon may gunwaya hai mai ne sadiyun ka naata
Ghar basaney ka qareena bhi nahi tha shaid

Koh kar ussay jana mai ne ye raaz-e-ulfat
Dunya may uss sa khazeena bhi nahi tha shaid

Ghaer rakha tha kuch iss tarah bunhwar ne mujhey
Nikal pata wo safeena bhi nahi tha shaid

Joor to leta toot-tey houye khuwab magar
Neendon se koi rishta bhi nahi tha shaid

Gali ke uss koney pe Khadi wo akeli si shaam



Gali ke uss koney pe
Khadi wo akeli si shaam
Kitini tanha hai wo
Sisakti hoi si shaam
Kitney aanchal houye be-zameen-o-aasman
Janey kasiey layi hai ye piyaam

Har ghar may ajab hai matam bichha
Aahon ka ho jaisey koi toofan utha
Ye kaandhon pe kis ke hain jism dharey
Ajab jin ke chehron pe hain
Fassaney likhey
Poochtey hain ye nanhey haath hum se
Jin talwaron se katey hain ye galey
Rehti hain jin may ye talwarain sabhi
Batao kahan rakhi hai aisi niyaam

Dam ghutney laga hai
Iss shaam-e-khoon ashaam se
Chalo ab manayen iss
Jalti
Machalti
Bilakti
Rooti
Hoi shaam ko
Aansuon se bhujain
Aatish-e-aalaam ko



_________________

Paharon se girtey jharne

Paharon se girtey jharne jaisi
Chand ki chandni may dhuli jaisi
Lehjey may kaei sur samaitey houaye
Aasman ki hoor ho jaisey
Wo zameen ki jo hai baasi

Magar uskey dukh koun janey
Wo to rehti hai kisi band kali jaisi
Kabhi jo uski aankhon ki
Tishnagi parh paao
Jaisey ho sadiyun ki piyasi
Lab-e-darya hai uska maskan
Phir bhi labon per har dam
Rehti hai aik piyas

Khud se bhi apney dard
Chupa leti hai
Hoonton pe muskan hai sajaye rehti
Per tanha jab bhi ho wo khud may
Takiye tamam shab wo hai bhigoti

Uske dard ka darmaan koi nahi
Uske dasht may nakhlistan koi nahi
Sawan ke barastey pani may
Janey kiyun hai wo jalti
Zaat may apni kainat hai wo
Dunya ke sagar may ho jaisey mooti

_________________

Gali gali may hai raat taari

Gali gali may hai raat taari
Roshni se kiyun jang hai jaari

Lahu-e-insaan houa hai arzaan
Zameen pe aya ye waqt hai bhari

Hewan bhi aksr sharma gaye hain
Insniyat bhi yahan hai haari

Shehar may kaisi udaasi chahai
Kohi kisi ne phir matta saari

Beta nahi phir louta kisi ka
Talash karti hai maa bechari

Ye soondhi khusbu Kahan se chali aarehi hai

Ye soondhi khusbu
Kahan se chali aarehi hai
Lagta hai gaaon may meray
Barish barasti ja rehi hai

Chand ki chandni se munawer
Wo galiyan
Wo raatain suhani
Wo baatain purani
Sub ki buhat yaad aarehi hai

Wo daadi ka lekar
Sub bachon ko bithana
Phir pariyun ki kahani sunana
Jo honey lagey kuch uktahat si
Shagufey suna kar phir buhat hansana
Kabhi jo rooth jaye bacha koi
To
Usay chupkey se mithai khilana

Aaj phir ye yaadon ki mehak
Aa rehi hai
Meray bekul mann ko
Bechain kiye ja rehi hai
Ke
Mujhey aaj shiddat se
Gaaon ki yaad aarehi hai
Aur
aankhon may meri
Aansu laa rehi hai

_________________

Ye piyas Jo labon pe tehri hai

Ye piyas
Jo labon pe tehri hai
Kisqadr ye piyasi hai

Honton per darya
Rakh kar bhi dekhey
Per ye waisi ki waisi hai

Ye piyas
Jiska zahoor lamhon may nahi houa
Barson ki kathnayun se
Guzar kar janam pazeer hoi hai ye
Shiddat-e-aihsas-e-tashnagi se
Buhat muztarib rehti hai

Kabhi dareecha-e-dasht se
Sawan nagari may jo
Jhank leti hai

Piyas ki ye
Tarapti
Bilakti
Sisakti
Piyas mazeed barh jati hai
Janey kisqadr ye piyasi hai

Sapoot qoumon ke soya nahi kartey

Sapoot qoumon ke soya nahi kartey
Sunheri lamhon ko kohya nahi kartey

Mushkilain hazar hi hon aan padi
Himat ki nao dobaya nahi kartey

Guzrain hon jo khud kanton ki chubhan se
Raahon may khaar wo boya nahi kartey

Dekhain hain kaie rang zamaney ke logo
Sachey hain jo sar jhukaya nahi kartey

Dastanain sunkar bhi shahedon ki
Daman kabhi hum bhigoya nahi kartey

Dekho ye jo sar ko sajdon may jhuka rakha hai

Dekho ye jo sar ko sajdon may jhuka rakha hai
Khana-e-dil may magar button ko saja rakha hai

Banna kar mathon pe nishan baney hain namazi
Dil per magar naqsh-e-ilaahi mitta rakha hai

Quran aya hai banker yahan hidayet naama
Barson beetay muslim ne issey bhula rakha hai

Rab-e-Muhammad* ne jissey haram kaha hai
Dunya paraston ne hallal bana rakha hai

Chalo dar-e-moula faryad kartey hain
Umeed ka har diya waheen jala rakha hai

Buhat roya karo ge tum

Buhat roya karo ge tum
Jab lout kar ghar tum aao ge
Kuwaar khula na pao ge
Aangan may raqsan andehra hoga
Diya bhi na koi jalta hoga
Manzr tum ye dekh na pao ge
Buhat roya karo ge tum

Paide ke neechay beth kar tum
Jab soocho ge
Yaadain jugnu ki maanind
Sataney tum ko ayen gi
Aek aek pal jo guzra sang meray
Tum ko tarpaney ayen ge

Jab shajr pe likha naam mera dekho ge
Kitna tanha usay tum pao ge
Aahain uski suno ge jab
Apney neer rok na pao ge
Haath uss naam pe rakh kar tum
Ehad-e-wafa duhrao ge
Per
Jawab may kuch bhi na sun pao ge
Buhat roya karo ge tum

Ghabra kar
Shab-e-inteezar ki tawaalat se
Sehar ko pukaro ge
Per
Jaan-e-jan
Un ujaalon may bhi
Mujhey kaheen na tum pao ge
Phir sada hi
Buhat roya karo ge tum

Aaj saj dhaj kar bethi ho

Aaj saj dhaj kar bethi ho
Pehlu-e-raqeeban may
Chehray pe saji muskan teri
Janey kiyun be-rang si lagti hai
Rang-e-hina dekho to zara
Aaj tumharey haathon may
Ujra ujra sa lagta hai

Aek baat to batao
Sach sach humko
Meri khamosh muhabbat se kia
Anjan rehi tum sada
Kia meri aankhon may jhilmilatey rang
Nazar na aye kabhi tumko
Kia meri muhabbat ki mehak se
Na mehka kabhi aangan tera
Kiyun na samajh payi tum
Meray isharon ki wo pak zuban

Mai bhi sada ka sodai
Na keh paya kabhi
Dil ki wo betabi

Tum hi thien meri zindagani

Aaj tumhe koh kar jana
Ab to mai musafir tehra hon
Teray hijar ke sehra ka
Piyaas teri deed ki liye
aankhon may apni
tarpa karon ga shab-o-sehar ab main

Main ne kaha hijr kia hai

Main ne kaha hijr kia hai
Usnay kaha roohon ka milan
Main ne kaha kaise
Usnay kaha na ho milan jismon ka tu
roohon ka vasl hota hai
tishnagi barh jaye tu
piyas ko aram hota hai

main ney kaha deed ko tarsain ge aankhen
usnay kaha tarsna tu
loh-e-taqdeer-e-ishq hai
na ho gr tarsna tu
kiyunkr ulffat ka panapna ho

main ney kaha koi umeed bar aye jo vasl ki
usnay muskra kar kaha aur chal di
kachi neendon ke khuwab bunna
acha nahi hota
lahu apna hoga
ungliyan jis may tar hon ge
kaanch ke tukron ko chunna acha nahi hota


main ney aankhain moondi aur
rida-e-khaak oorh kar sogaya
ke vasl ki har manzil sar kar gaya


Chalo Raat ke daaman se Neendain churatey hain

Chalo
Raat ke daaman se
Neendain churatey hain
Phir kuch khuwab buntey hain
Khuwab
Wo sarey jinhain hum ne
Saahil ki rait pe likha tha
Baarish ki nanhi nanhi boondon may dekha tha
Khuwab wo
Jinhain oos qatron
May piroya tha

Un khuwabon ko amar to karna hoga
Yaani
Taaber ko unki sub kohna hoga

Dekho
Aihtiyat ka daaman na chhotey
Un khuwabon may kaheen koi
Shab-e-vasl
Ehad-e-wafa
Adhori baat
Aankh ka kajal
Udta houa aanchal

Ye sub bhi rakha hai
Inhey zad na pohanchey
Chalo sarey khuwab amar karlain

Zikar kar raha tha Aik bheegi raat ka

Zikar kar raha tha
Aik bheegi raat ka
Iss baras ke sawan ka har aik qatra
Yaad agayi shayed usay bhi
uss naazneen ki bipta

Uss raat zooron ka menh baras raha tha
Chahai thien kaali ghatain
Karakti thi bijliyan bhi
Jaise toota ho aasman kaheen pe

Tu aangan may khadi mehaw-e-nazara-e-barsat thi
Hatheliyun pe lekar pani ke qatrey
Chhomti thi unko phir walehana jhoom kar
Janey sawan betaab tha
Ya
Tera wajood
Lagta tha dono hi jal rehay hain

Phir tum muskati hoi ja pohanchi
Barasti boondon ke darmiyan
Wo bharakta sa shoula
Mai bhola nahi kabhi bhi
Khelta raha sawan
teray wajood-e-naghmageen se
sangeet baj raha tha jaisey

jab takrati thein boondain
teray reshmi badan se
bhoola nahi wo manzr
jab karki jo zor se bijli
to
aan lagi thein tum
galey se meray

yaad dila gaya sub iss baras ka sawan
phir se jala gaya wo dil may
wo bhuji agan

Raahi wo khalwaton ka chalta chala gaya

Raahi wo khalwaton ka chalta chala gaya
Sahil pe kashtiyan dabota chala gaya

Ajeeb dastan thi shama ke pighalne ki
Sunta raha mai aur jalta chala gaya

Rastey chuney they jo purkhar nikley sarey
Uljha buhat lekin sanbhalta chala gaya

Chahai thi tanhai dil ke nagar may itni
Dasht ki wusaton may simat-ta chala gaya

Chaha to buhat tha pholon se mehkey jeevan
Lekin milley jo dard sehta chala gaya

Meri neendon ke khuwab mat jagao tum

Meri neendon ke khuwab mat jagao tum
Zarah khaak ka hon tara mat banao tum

Janey kis moor pe phir samna ho jaye
Mujhey wajah-e-judai mat samjhao tum

Bhunwar kaie dekh kar aya hon sehraon se
Naya andesha-e-toofan mat sunao tum

Abhi to naya naya zakhm lagaya hai
Lafzon ke chubhtey marham se mat behlao tum

Janey shab bhar kis ki yaad tarpati rehi
Soney do ab meethi neend mat jagao tum

Jisney aazmaya hi nahi meri wafa ko
Qissa ulffat ka usay phir mat sunao tum

Mitti taley buhat aaram hai ab
Dosto mehfil-e-yaaran se mat bullao tum

Han mujhey yaad hai Tum ne kaha tha

Han mujhey yaad hai
Tum ne kaha tha
Meray wajood se udasiyan
Jhalakti hain
Ye udasiyan tumharey bekul maan ko
Khatakti hain
Jaisey kisi veeraney may
Aahatain panapti hain

Tum ne ye bhi to kaha tha
Mai oorh lon
Tabassumon ka libaas
Na rahon bunker
Tasveer-e-hasrat-o-yaas

Lo phir jaanan
Mai ne saja li hain
Laboon pe muskarahatain
Sun rehi hogi tum bhi
Meray wajood se uthti
musaraton ki aahatain
mehsos to ho rehi hon gi
chanchal baharon ki sarsarahatin

yehi chahti thi na tum
lekin na janey
tumhari takmeel-e-chah may
kaheen mai gum ho raha hon
khud ko jaisey koh sa raha hon
shayed
main khud ke liye ajnabi ho raha hon



_________________

Kal shab wo baadlon ki oout Se nikal aya

Kal shab wo baadlon ki oout
Se nikal aya
Wo chand mujh se milney
Chala aya
Mai ne poocha kaise ho
Wo bola acha hon
Mai ne kaha tanha tanha se lagtey ho

Hans diya aur bola
Teri nazron ka dhoka hai
Unginnat taaron ke jhurmat may
Mera baseera hai
Phir bhala kaise mai tanha hota hon

Main muskara diya uski iss
Ada-e-saadgi-o-masomiyat pe

Magar na janey kiyun
Meri palkain bheeg si gayi thein
Shayed mai uss may
Ayina dekh betha

Kis ke kehnay par tum khat jalatey ho

Kis ke kehnay par tum khat jalatey ho
Phr kiyun chup bethay ashk bahatey ho

Tum ne khud chuni thie rahain judai ki
Ab wapsi ki baat kar key satatey ho

Hum to hijr ke maray houay log hain
Tum kiyun zikr-e-vasl se behlatey ho

May chala jata hon dasht-e-tanhai may
Tum phr mujhe anjuman may bulatey ho

Jis gali zindagi ki sham ho
Us gali phir kiyun diya jalatey ho

Nangey paaon

Nangey paaon

Wo alhar si dosheeza
Aankhon may hiyat ki
Tammam tar raanaiyan smaitey
Haathon may sut-rangi chooriyun
Ki khanak ke sang
Aangan may raqsan chandni may bheegi
Nangey paaon
Yahan se wahan athla rehi thi

Mai ne pass bulaya
Usko samjhaya
Nangey paaon na raha karo
Narmi tumharey paaon ki
Sakhti seh nahi sakti raigzaaron ki
Naadan wo muska ke bhaag gayi
Meri baat hawa may udaa gayi

Aaj barson baad jo uss se mulaqat hoi
Chehray pe jaise uske raat hoi
Wo qareeb ayi
Aur
Junbish-e-lab se sirf itna kaha

Nangey paaon waqai seh na sakey
Aangaron ke safar may
Aabla pa ho chuki hon
Mai zinda hon per mar chuki hon
Nangey paaon ab mai sehra may nikal
Chuki hon

_________________

Kal shab Aik hawa ka jhonka aya

Kal shab
Aik hawa ka jhonka aya
Phir se uski aahat ka dhoka aya
Ashkon ki barsat thi shayed
Jo hawa ke sang koi
Lamha roota aya
Shayed
Naag-e-tanhai ne dassa hai usay
Khusbu-e-zehar may mehka
Wo jhonka aya

Kitna tanha hogaya ho ga wo
Jo har sandesa uska tanha sa aya
Silsila-e-rafaqat to khud hi
Qatta kar gaya tha wo
Kiyun phir hawa ka har pehlu
Khuwahish-e-vasl may behta aya

Peepal ke paide taley bethi Aik mohni surat wali larki

Peepal ke paide taley bethi
Aik mohni surat wali larki
Na janey kin soochon may
Gum rehti hai
Matti may janey kiski murat banati hai
Phir khud hi usay mita kar
Neer bahati hai

Titliyun ko sunati hai dastan-e-gham
Phir pehron unhey rulati hai
Lout kar aye ga wo man ka piyya
Khud ko pagli wo ye samjhati hai
Kabhi lekar haath may phool gulab ka
Tora karti hai uski aik aik patti
Shayed koi khail hai ke
Qismat aazmati hai

Aasman pe udtey parindon ko dekh kar
Janey kiyun phir wo muskati hai
Shayed usay aazad hawaon se piyar hai
Nahi janti wo khud aik aisa parinda hai
Jiskey par dunya kat-ti hai

Wo mohni surat wali larki
Kitni bholi bhali hai….

_________________

Kabhi jo tum lout kar asako To sang apney

Kabhi jo tum lout kar asako
To sang apney

Wo madaratain
Wo rat jagon ki suhbatain
Wo adohri si muhabbtain
Wo lahu lahu chandni raatain
Wo zakhm hoti qurbatain

Wo paniyun pe likhi
Wafa ki dastaanain
Wo teray lams ki sargoshiyan
Wo teri muskan ki jhilmilati roshniyan
Wo bad-e-saba ki udasiyan
Wo meray aks ki kirchiyan

Wo lamhon may guzari hoi sadiyan
Wo hashar barpa karti hoi
Teri nazron ki mastiyan
Wo meray qadmon ki larkarahatain
Wo teri saanson ki dabi dabi si aahatin
Wo meray muqadar ki vasl suhbatain
Wo wafa pe lagi tohmatain

La sako to khudara
Letay aana
Mai muntizar milon ga
Saahil ke usi kinaray per
Jahan toot gaya tha
Hamarey rishtey ka
Kacha dhaaga

Kabhi jo tum lout kar asako
Piyaas meri rooh ki jo tum bhuja sako

_________________

Wo bhori aankhon wali larki

Wo bhori aankhon wali larki
Aik nazneen
Aik mah jabeen
Lehja jiska hai dilnasheen
Janey kiyun naraz hai
Apney hi wajood-e-nazuk se
Dunya-e-takhiyul may
basa kar maqtal
khud apney armanoon ka karti
hai roz qatl-e-aam
phir khud hi nooha kanaan hoti hai
mizaj may kaie khizain chupaye
baharon se khelti rehti hai

wo bhori aankhon wali larki
khud ko khud may dhondti si
raaton ko apni hi parchai
se jhagarti si
andehron may aankhain moondey
sisakti si

wo bhori aankhon wali larki
janey kis manzil se bhatki hoi hai
lagta hai apney hi
nasheman se sehmi hoi hai
wo aik firashton sa noor liye
bhori aankhon wali larki……….

_________________

phir se wo shokhi-e-saani lout ayi hai

phir se wo shokhi-e-saani lout ayi hai
na janey kiyun wo seelani lout ayi hai

safar-e-hiyat may kaise kaise sitm houay
zakhm kuradney ko wo kahani lout ayi hai

abhi puraney naasor hi khatm na houay they
zakhm denay ko duniya siyani lout ayi hai

thak kar jehd-e-musalsal se hum so gaye hain
sada koi jaisey behlati lout ayi hai

deedar jo houa kal shab khuwab may tumhara
andar koi piyasi betabi lout ayi hai

Popular Posts