Wednesday, December 1, 2010

Kisi dard ka aihsas likh raha hon main


Kisi dard ka aihsas likh raha hon main
Goya pani ki piyas likh raha hon main

Chalta mai raha door talak tanha magar
Qadmon ko hasrat-o-yaas likh raha hon main

Jugnu chamkey kaheen andheray may jab kabhi
Teri khusbu ko qiyaas likh raha hon main

Kabhi pani pe qadam tehra kartey nahi
Unhi qadmon ko asaas likh raha hon main

Sanbhal jata hon jo aksr gir ke mai Qais
Khiyal-e-vasl udaas likh raha hon main

bajaaye ashq, lahu chashm-e-tar meN rakhta hooN


bajaaye ashq, lahu chashm-e-tar meN rakhta hooN
sajaa ke Gham ki amaanat ko ghar meN rakhtaa hooN

nahiiN hai Khauf mujhe, raah ke andheroN kaa
ke manziloN ke ujaale, nazar meN rakhtaa hooN

voh ik taRhap, jo nahiiN bijliyoN ko bhii Haasil
maiN apne TooTe hue baal-o-par meN rakhtaa hooN

yeh aur baat hai, Khaamosh hooN sar-e-maHfil
hazaar shikve dil-e-Gham-asar meN rakhtaa hooN

tiraa Khayaal, tirii aarzoo, tire jalve
nah poochh mujh se, maiN kya-kya nazar meN rakhtaa hooN

maiN kyaa bataaooN ke kin azmatoN ka Haasil hai
jo zauq-e-bandagii maiN apne sar meN rakhtaa hooN

na jaane kaun sii jaanib se ko_ii aa jaaye
jalaa ke sham`a har-ik rah-guzar meN rakhtaa hooN

qafas meN mujh ko zamaanaa huaa, magar ''Kaavish''
junoon-e-raf`at-e-parvaaz sar meN rakhtaa hooN

Dhoonp kay dasht mian shishay ki ridain di hain


Dhoonp kay dasht mian shishay ki ridain di hain,
Zindagi! To nay humain kesi sazain di hain,

Shooloon jesi he ata ki hain sulagti bondain,
Aag barsati howi hum ko ghatain di hain,

Aik dua go ne rafaqat ki tasali day kr,
Umar bhar hijar main jalnay ki sazain di hain,

Dil ko bhujnay ka bahana koi darker to tha,
Dukh to yeh hy tere daman ne hawain di hain,

Kesa mahool mila hy humain jinay k liye,
Danay waloon ne humain kesi fizaain di hain.

Woh Dil nawaz hy lakin nazar shanas nahi


Woh Dil nawaz hy lakin nazar shanas nahi,
Mera ilaaj mere chara garh k pass nahi,

Tarap rahay hain zuban pr kai sawal magr,
Mere liye koi shayaan-e-iltimas nahi,

Tere jaloo main bhi dil kaanp kaanp uthta hy,
Mere mizaaj ko asoodgi bhi raas nahi,

Kabhi kabhi jo tere kurab main guzaray thay,
Ab un dinoon ka tasawar b mere pass nahi,

Guzar rahay hain ajab marhaloon se dida-o-dil,
Sahar ki aas to hy zindagi ki aas nahi,

Mujhe yeh dar hy teri aarzoo na mit jae,
Bohat dinoon se tabiyat meri udaas nahi….

Yaad ka deep jalaya to unhe yaad aaya


Yaad ka deep jalaya to unhe yaad aaya
Bhoola afsana sounya to unhe yaad aaya

Sar_e_shaam unka aana koi baat zere lab souna na
Jhuki jhuki nazre utha kar zara sa muskurana

Hum ne jab yaad dilaya to unhe yaad aaya

Wo suhani chand datein gheeli geeli chaht pe mulakatein
Milna kabhi seeriyon mein chuhp k aahat se dar jana

Soey lamho ko jagaya to unhe yaad aaya

Bari sang dil ghahri thi samne judai jab khari thi
Bheegi bheegi palkein utha k kehna hamein bhool jana

Dil ka har zakhm dikhaya to unhe yaad aaya

Chahey aese gum k saey phir na ye lub muskaraey
Kaliyo k khilne k mousam yoon to kai baar aaey

Ashq damin mein chuhpaya to unhein yaad aaya

Yaad ka deep jalaya to unhe yaad aaya
Bhoola afsana sounya to unhe yaad aaya

majboor-e- ana ho kr, paband e wafa ho kr


majboor-e- ana ho kr, paband e wafa ho kr
hum baith gai akhir razi ba-raza ho kr.

jis rut men woh bichra tha us rut k ta,qub men
dil hy k bhatakta hy rahon ki hawa ho kr.

is jism k zindaan men ek umr se qaidi hain.
urr jain ge hum akhir ik roz reha ho kr.

ab tak mere angan men phoolon ka basera hy.
guzry the mere ghar se woh bad-e-saba ho kr.

is darja hawadis se khaif hy meri hasti...
har lafz nikalta hy honton se dua ho kar

teri azmaton sy hon be-khabar ye meri nazar ka qasoor hai


teri azmaton sy hon be-khabar
ye meri nazar ka qasoor hai

teri rah-guzar mein qadam qadam
kahin Arsh hy kahin 'Toor' hai

Ye bja hy malik-e-bandagi
meri bandagi mein qasor hai

Ye khata hy meri khata Mgr
tera naam bhi to QAFOOR hai

Ye bta ky tuj sy milon kahan
mujhey Tuj sy milna zaroor hai

Kahin dil ki shart na dalna
abhi dil nigahon sy dor hai

mujh sy bicher na jaye mera saya maaN


mujh sy bicher na jaye mera saya maaN
mein kuch or bhi ho na jaoN tanha maaN

akhir kis din jism ki qaid sy chhotoN ga
kis din khola jaye ga ye pinjra maaN

jab tak teri goud mein tha, mein raja tha
ab mein hoon or mere hath mein kasa maaN

is ki laash mili thi gandey naaley sy
jis ka rasta deikh rahi thi beva maaN

sari duniya ghor andhera. kali raat
our is raat mein soraj, chand, sitara maaN

apna bikhra rizq ikhata kerna hei
majbori hei mein chalta hon, acha maaN

apney apney hamdard ky naam likho
jab ye hukm hova to mein ne likha, maaN

mitti tha mein khameer teray naaz sey utha


mitti tha mein khameer teray naaz sey utha
phir haft aasmaN meri parwaz sey utha

insaan ho kisi bhi sadi ka kahin ka ho
ye jab utha zameer ki awaaz sey utha

subh-e-chaman mein ik yehi aaftab tha
is aadmi ki laash ko ezaz sey utha

soo kartaboN sey likha geya ik ik lafz
lekin ye jab utha kisi ejaz sey utha

ae shahsawar-e-husn ye dil hai ye mera dil
ye teri sarZameeN hai qadam naaz sey utha

mein pooch looN kiya hai mera jabr-o-ikhtiyar
ya Rab ye massla kabi aghaaz sey utha

wo abr shabnami tha key nehla geya wajood
mein khwab deikhta hova ilfaz sey utha

sha`ir ki aankh ka wo sitara hova "Aleem"
qaamat mein jo qayamati andaaz sey utha

jo dil ko noor-e-haqq se hai taaba kiye hoye


jo dil ko noor-e-haqq se hai taaba kiye hoye
har bazm ko hai appni darakhshaan kiye hoye

mein jii raha hoon ashk-e-nadamat ke faiz se
har lamha un ko appna nighehbaan kiye hoye

ya Rab hai tera zikr ajab kiimiya asar
sehrah ko bhi hai mere gulistaan kiye hoye

dono jahan ka kaif samoota hai rooh mein
jiita hai app ko jo mehrbaan kiye hoye

har lamha-e-hayaat howa rashq-e-sad-hayat
us khaaliq-e-haayat pe qurbaan kiye hoye

har khoon-e-aarzo ka silla dil ko jab mila
aalam ko hai wo mazhar-e-jaana kiye hoye

kerta nahin jo appni hifazat gunah sey
gulshaan ko bhi hai aah-bayabaan kiye hoye

kesey samajh loon pa gaya wo jaam-e-maarfaat
rakhta hai jo bhi khud ko numaya kiye hoye

rakhta hai mujh ko mast khizana ye qalbb ka
hoon appne dil mein dafn kuch aarman kiye hoye

haalat badal ga_ii hai ye murshiid ke faiz se
warna thei rind zindagi viraan kiye hoya

hota hai tei ye rasta, maalik ke jalb se
karte magar hain jalb ko pinhaan kiye hoye

"Akhtar" ko kiya howa hai ke aalim mein har taraf
phirta hai appna chaak-e-gire-baan kiye hoye

ab tak to nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahuN


ab tak to nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahuN
maiN tujh ko chu sakuN to Khuda jaane kiya kahuN

lafzoN se un ko pyaar hai mafhuum se mujhe
vo gul kaheN jise maiN teraa naqsh-e-paa kahuN

ab justaju hai teri jafaa ke javaaz ki
jii chahta hai tujh ko vafaa aashnaa kahuN

tuu chal diyaa to kitane haqa’eiq badal gaye
najm-e-sahar ko marqad-e-shab kaa diya karuN

jab mere muuNh meiN meri zubaaN hai to kyuN na maiN
jo kuchh kahuN yaqiN se kahuN barmlaa kahuN

kiya jaane kis safar pe ravaN huuN azal se maiN
har intahaa ko ek naii ibtidaa kahuN

ho kyuN na mujh ko apane mazaaq-e-suKhan pe naaz
Gaalib ko kainat-e-suKhan kaa Khudaa kahuN

ham thay hamarey sath koi teesra na tha


ham thay hamarey sath koi teesra na tha
aisa haseen din kahee'n daikha suna na tha

aankho'n mai uski tair rahey thai haya k rung
palkai'n uttha k meri taraf daikhta na tha

kutch aisey uss ki jheel si aankhain thii harr taraf
ham ko siwaye doobney k raasta na tha

uskey tau ang ang mai jalney lagey diye
jadoo hai merey hath mai mujhko pata na tha

sanso'n mai tha ghulab tau honto'n pe chandni
inn manzaro'n se mai tau kabhi aashna na tha

roya kutch iss tarah merey shaney pe lag k wo 
aisa laga k jaisey kabhi be_wafa na tha

hai ishq aik raug, mohabbat azaab hai
ikk rauz ye kharab karengey kaha na tha

AMJAD waha'n pe hadd koi rehti bhi kiss tarah
rukney ko keh raha tha magar rokta na tha

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein


Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein..
Use Uski Saheliyon Ney Sajaya Hoga..

Meri Jaan Ke Gore Haathon Par..
Sakhiyon Ney Mehndi Ko Lagaya Hoga..

Boht Gehra Chadega Mehndi Ka Rang..
Us Mehndi Main Usney Mera Naam Chupaya Hoga..

Reh Reh Ker Ro Padegi..
Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga..

Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Main..
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga..

Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh..
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga..

Aaj Meri Jaan Ney..
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga..

Usney Beti Hone Ka..
Dosto Aaj Har Farz Nibhaya Hoga..

Majboor Hogi Woh Sabsey Zyada..
Sochta Hoon Kis Tarah Usney Khud Ko Samjhaya Hoga..

Apne Haathon Say Usney..
Mere Khaaton Ko Jalaya Hoga..

Khud Ko Mazboot Bana Ker Usney..
Apne Dil Say Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga..

Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Main..
Kuch Na Us Pagli Ney Mere Bageir Khaya Hoga..


Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska..
Jab Waqt Usski Bidayi Ka Aaya Hoga..

Bade Pyaar Say Meri Jaan Ko..
Maa Baap Ney Doli Main Bithaya Hoga..

Ro Padegi Aatma Bhi..
Dil Bhi Cheekha or Chilaya Hoga…

Aaj Apney Maa Baap Ke Liye..
Usney Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga..

Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse..
Der Hai K Zehar Chupke Say Us ney Khaya Hoga…

badal gaya to kiya huwa..ke dil ka woh bura nahin


badal gaya to kiya huwa..ke dil ka woh bura nahin
usay yooN bad'dua na do...woh shakhs bay wafa nahin

tere jahan main Khuda...bas aik hi kami rahi
jo lut gaya, basa nahin....jo kho gaya, mila nahin

hikayataiN meri sabhi... na sun sako gay humnasheeN
yeh dastaN hai dard ki...yeh dil ka maajra nahin

ajab hi zaabtay rahay..nazar ke is dayaar main
jo aik bar gir gaya...to phir say woh utha nahin

na kholna yahaN ke dar..ke dil nagar ajeeb hai
jo zakhm ban gaya yahaN...woh umr bhar bhara nahin

kiyon manzilaiN alag huweeN? juda huwe kiyoN rastay?
ya main ulajh gaii kahiN...ya woh samajh saka nahin..!

baghair jiske aik pal bhi kaatna muhaal tha
umar huwi ke uska ab..koi ata pata nahin...

hathailiyoN main aaj tak usi ka naam darj hai
main kaisay maan looN bhala..? mera woh ab raha nahin


nahin kaho isay anaa...yeh aajzi ka zau'm hai
main toot kar bikhar gaii...magar yeh sar jhuka nahin

khabar kiya ho sakay tujhe...ke main hooN kis azaab main!
tu bay rukhi ki aag main..meri tarha jala nahin

mehaz yeh farq reh gaya .. muhabbatoN ki dorr main
main uski ho gaii magar.....woh mera ho saka nahin..!!!

Deewana Hua Koi Aapka Abhi Abhi


Deewana Hua Koi Aapka Abhi Abhi,
Khiza Mein Ziqr Hone Laga Baharo Ka Abhi Abhi,

Daman Saja Samunder Ye Bhi Dubega Teri Aagosh Me,
Ek Aur Suraj Ug Raha Hai Yaha Abhi Abhi,

Dil Ki Baat Puri Ho Jaye To Shauk Se Chale Jana,
Tumhe Dekh Kar Ek Gazal Likh Raha Huin Abhi Abhi,

Chalo Ek Bar Aur Nazarein Mila Ke Pila De,
Saki Tere Sharab Ka Nasha Utra Hai Abhi Abhi.

Sar Pe Tohmat Zamane Bhar Ki Utha Li Jaye


Sar Pe Tohmat Zamane Bhar Ki Utha Li Jaye,
Lekin Arthi Na Sadaqat Ki Nikali Jaye,

Raaz Ko Raaz Agar Rakhna Hai To Lazim Hai,
Raaz Ki Baat Faqat Dil Me Daba Li Jaye,

Tang Aakar Hi Badal Dala Hai Mausam Ne Libaas,
Khushgawari Ki Galatfehmi Na Paali Jaye,

Zindagi Shaan Se Jini Hai To Masih Ki Tarah,
Apne Kaandhe Pe Saleeb Apni Utha Li Jaye,

Tu Masiha Hai To Kar Ishq Ke Maaron Ka Ilaaj,
Dar Se Tere Na Koii Khali Sawali Jaye,

Bijliyan Shehar Mein Gumrah Huii Hain ‘Shabnam’,
Aabroo Inki Ujadne Se Bacha Li Jaye.

Jab Bhi Likhte Hain Band-E-Gham Likhte Hain


Jab Bhi Likhte Hain Band-E-Gham Likhte Hain,
Khushiyan Gar Dikh Jaaye To Kam Likhte Hain,

Mehfil Mein Pucho To Khaamosh Rehte Hain,
Dasht-E-Tanhai Wo Ahal-E-Sitam Likhte Hain,

Gum-Sum The Hothon Pe Jo Dil Ke Ehsaas,
Ankhoen Se Ja Chalke Jab Sanam Likhte Hain,

Unhe Duniyadaari Ki Samajh Itni Hai Kahan?,
Jo Saath Jeene-Marne Ki Kasam Likhte Hain,

Jab Ho Raha Tha Tab Use Tamaam Hone Diya,
Jab Ho Chuka Hai Tab Be-Sharam Likhte Hain,

Hota Gar Khuda May To Insaan Se Ye Kehta,
Tere Naam Har Ek Dair-O-Haram Likhte Hain,

Har Maqte Se Pehle Aur Har Masle Ke Baad,
Ho Hum Par Bhi Nazar-E-Karam, Likhte Hain,

Kaise Yakeen De Ab Ki Baatein Nahi Badalti,
Bismil The Bas Rahe Nahi To Hum Likhte Hain.

Yun Zamaane Se Koi Shikayat Na Thi


Yun Zamaane Se Koi Shikayat Na Thi,
Kya Kahu Khuda Ke Ishq Ka Rang Kaisa Tha,

Faasle Yun Apno Se Kab Ke Toot Chuke The,
Thi Woh Mere Paas He Phir Woh Rishta Kaisa Tha,

Mohabbat Se Sukoon Mujhe Nahin Usse Bhi Mila,
Thi Duniya Rangeen Phir Woh Judaai Kaisi Thi,

Milta Tha saroor Bhi Aaj Kal Mujhe Maikhane,
Kya Kehta ” Masroor” Ke Tanhaai Ka Waqt Kaisa Tha,

Kya Woh Mulaaqat Joh Aksar Dikhai Deti Hai,
The Woh Kuch Nazaare Ke Woh Raasta Kaisa Tha,

Mashroof Thi Mussarat Ke Woh Logon Hi Kaha,
Roz Aati Thi Chandni Phir Mera Chand Kaisa Tha…

Aj Phir Se Teray Diyaar Main Hoon


Aj Phir Se Teray Diyaar Main Hoon
Yani Phir Teray Ikhtiyaar Main Hoon

Us Kahani Ka Yeh Howa Anjaam
Aj Main Dasht-e-Be-Kinaar Main Hoon

Koi Rasta Dekhayi Deta Nahi
Dhundh Kaisi Hai Kis Ghubaar Main Hoon

Aj Kal Kis Pay Hai Nazer-e-Karam
Main Tu Waisay Bhi Kis Shumaar Main Hoon

Hosh Kaisay Rahay Ga Dil Ko Tera

Main Teray Dard Kay Khumaar Main Hoon

Ek Dunyaa Hai Meray Dar Pay MOHSIN
Aur Main Teray Intizaar Main Hoon

Ye alag baat, ke kaha hi nahi


Ye alag baat, ke kaha hi nahi
Bin tere mai kabhi jiya hi nahi

Bawafaaii ka dars yaad rahe
Zakhm yuN, jaan kar siya hi nahi

Roothne par koi manata hai
Humko is baat ka, pata hi nahi

Dard dunia ke baanNta hi raha
Apne zakhmoN ka kuch kia hi nahi

Mujhko lai jaaye jo nagr tere
aaii aisi koi saba hi nahi

Wo mujhay **** kar chala bhi gaya
Aur ashqoN ka kuch pata hi nahi

Uske qadmo ki bas mile jannat
Yaad iske siwa dua hi nahi

Raat aankhoN mai kaise na kat_ti
Chaand baadal mai tu, chupa hi nahi

Itna gum tha meiN teri baton mai
Shor ruswaaii ka suna hi nahi

Tum hi aslam na rakh sake qaboo
Isme ashkoN ki kuch khta hi nahi

Jo Mehav thay sar-e-aaina, pas-e-aaina bhi to daikhtay


Jo Mehav thay sar-e-aaina, pas-e-aaina bhi to daikhtay
kabhi roshni main woh Tairgee ko , chupa hoa bhi to daikhtay

Sar-e-Aab jo raha tashna lab ,to yeh zabt-e-gham ki hai intayha
Mere haal pe thai jo nuqta cheen, mera hosla bhi to daikhtay !

Woh uter gaye thai jo paar khud , Mujhay beech bahar main chor ker
Tha jo Un main itna hosla, Mujhay doobta bhi to daikhtay

Jinhain mujh se hai ye gilla ke main raha , bay nayaaz -e- khaloos -o – rabt
Mere gird Rasm -o- rawaaj ka ,woh daaira bhi to daikhtay

woh Mere hansee se hain Khush GumaaN , ke nishaat-e-zeest hai mud’da
Mere Ashk-e-gham ka ruka hoa , woh Qaafila bhi to daikhtay

Hoon Saza ke baad bhi mohtram , to hain hairatoN main ye Log kion
Zara Zehr-e-Haq ka Mere Terah, kabhi zaaiqa bhi to daikhtay

Woh bohat he sehal samjh rahay thai , Mere Tashnagi See Mout ko
Meray Jism se Tooti Saans ka ,woh Raabta bhi to Daikhtay

ye chubhan akaily pun ki,ye lagan udaas shab se


ye chubhan akaily pun ki,ye lagan udaas shab se
mai hawa se lar raha hon, tujhay kaya bataon kub se

ye sehar ki saazishain theen, ke ye inteqaam-e-shab tha
mujhay zindagi ka suraj na bacha saka ghazab se

tery naam se shafa ho koi zakhm wo ataa kar
mere naama ber, milay to usay kehna ye adab se

wo jawan ruton ki shaamain, kahan kho gai hain Sagar
main to bujh ke reh gaya hoon, wo bichar gaya hai jub se...

Aye Sard Sard Raat mujhe Chand Chahye

Aye Sard Sard Raat mujhe Chand Chahye
Krni Hai Dil ki Baat Mujhe Chand chahye

Uljhi Hui Firaaq ki Raaton k darmyan
Tanha Hai meri Zaat mujhe chand Chahye

Bachpan ki Zid nahi , jawani ki Baat hai
Aye Meri Kainat mujhe Chand chahye

Dil se Berukhi ka Naqab Utar do
Ab maan jao baat mujhe chand chahye

Kyun Kiya Gham Ko Gawara “Ye Khani Phir Sahi


Kyun Kiya Gham Ko Gawara “Ye Khani Phir Sahi”,
Kis Trha Choota Sahara “Ye Kahani Phir Sahi”,

Is Dil-E-Sadchaak Ne Unke Chale Jaane Ke Baad,
Jhela Hai Kya Kya Khsara”Ye Kahani Phir Sahi”,

Hijr Ki Shab Muztarib Hokar Dil-E-Mehjoor Ne,
Baarha Kisko Pukara”Ye Kahani Phir Sahi”,

Ehl-E-Dunya Haathon Me Pathar To Laaye The Magar,
Kyun Hame Pathar Na Maara”Ye Kahani Phir Sahi”,

Hum Pe Hai Kiski Nawazish Humse Ei ‘Shabnam’na Pooch,
Kaise Toota Dil Hamara “Ye Kahani Phir Sahi”.

Tum Kise Rukhsat Karoge Gale Lag K


Tum Kise Rukhsat Karoge Gale Lag K
Jane Wale To Ja Chuke Kab Ke,

Apna Milna, Milke Bichudna,
Ache Bure Sab Faisle Rab Ke,

Saare Sahil Baha Le Gaye,
Aise Ik Maouj Aai Ab Ke,

Ek Roz Hawaon Main Bikhar Jayenge,
Ham Geet Hain Waqt Ke Lab Ke.

Gulab Rut Main Haseen chehro Hamain btao Udas kyn ho


Gulab Rut Main Haseen chehro
Hamain btao Udas kyn ho

Dilon pe Beeti sari kahaniyan
Sub sunao udas kyun ho

Jo Ranjishain Dil main pal rahi hain
Munafqat main jo Dhal rahi hain

Bhula k ahikwe,Mita k doori
Galay lgao udas kyun ho

Kitab-e-Dil k tamam safhon p
hum ne likha hai lafz muhabbat

Hamain hamari wafa k agay
Saza sunao udas kyn ho

Farreb khana bhi mashghala hai
Fareeb dena bhi mashghala hai

To dil k mlutne p kaisa maatam
Khushi manao Udas kyn ho

Haan Bhool Gaya Main Tujhe, Firbhi Tujhe Yaad Kiya


Haan Bhool Gaya Main Tujhe, Firbhi Tujhe Yaad Kiya,
Sooni Galiyon Me Aksar Bite Lamho Se Mulakat Kiya,

Door Raha Tere Saaye Se Bhi Sabke Saamne,
Or Raatbhar Sapno Me Tera Intzaar Kiya,

Kaha Ho Tum Dil Ko Kuch Khabar Nahi,
Dosto Me Apno Me, Abto Teri Jikar Nahi,

Door Hoke Mujhse, Tu Mujhe Bhool Jaye,
Khuda Se Aksar Yahi Fariyaad Kiya,
Haan Bhoolgya Main Tujhe, Firbhi Tujhe Yaad Kiya..

Lahu se "DIL" k kaghaz pr koi tehreer hoti hai



Lahu se "DIL" k kaghaz pr koi tehreer hoti hai
To Ahl-e-Dil samjhte hain yehi taqdeer hoti hai

Tujhe khawabon main aksar log mujh se cheen lete hain
Suna hai sare Khawabon ki ulat Taaber hoti hai

Yehi Chahat kisi ko Taj ki surat nazar aye
Yehi Chahat kisi k paon ki Zanjeer Hoti Hai

Wafaon ki jung Talwaron se jeeti ja nahi sakti
K sachai aur Muhabbat se Wafa ki jeet hoti Hai

Suno Ghazlain Be-sabab likhi nahi jatein
K Shayar k tassawur main koi Tasveer hoti hai

Veeran bohat hon wasl sy Tashkeel kar Mujhy


Veeran bohat hon wasl sy Tashkeel kar Mujhy,
Tu mujh say pyar kar zara tabdeel kar mujhy,

Sehra ki tapti rait sy aa kar mujhy bacha,
Tu Thanday meethay pani ki ik jheel kar mujhy,

Ho jaain na kharab kahain meri aadatain,
Har hukm par na es tarah taa'meel kar mujhy,

Ab es trah se mujh ko adhura na chhorr tu,
Main hon tera wada to ab takmeel kr mujy,

Chhu kr mera wajood tajjali si bakhash dy,
Main ik andhairi raat hon na taveel kr mujy"

khaab sath rehne k nit-naye dikhata hai


khaab sath rehne k nit-naye dikhata hai
ye jo asl mausam hai ye guzarta jata hai

khudko sabz hi rakkha aansuo'n ki baarish mai
warna hijr ka mausam kisko raas aata hai

toofa'n hai hawa ka tu, tujhko kya bhala maloom
gard e badd ghumani se dill bhi tut jaata hai

aik tum hi thai warna aadmi mohabbat mai
laakh aayain deewarain raasta banata hai

hamm to khair nada'n thai muntazir rahe warna
koi apni beenaii iss tarah ganwata hai

zakhm saarey aankho'n k khwab bunn ne lagte hain
jab hawa k honto'n pe tera naam aata hai

senkrho'n dukane hain wasl k charago'n ki
kaun hijr mai apna abb lahoo jalata hai

Sehra Mein Unki Yaad Ke Jab Hum Nikal Pade


Sehra Mein Unki Yaad Ke Jab Hum Nikal Pade,
Ankhon Se Apni Ho Ke Rawaan Ashq Chal Pade,

Manzil Ka Rehguzar Ka To Kuch Ilm Bhi Nahin,
Leke Chala Koi Jidhar Us Simt Chal Pade,

Furqat Mein Koi Khinchta Hai Dil Ko Is Kadar,
Hanste Hue Hi Chaain Na Rone Se Kal Pade,

Ulfat Ka Unki Ankh Mein Qatra Na Tha Koii,
Jaane Meri Nazar Se Kyoon Chashme Ubal Pade,

Yaa Rab! Mujhe Deedar Ko Unke Woh Aankh De,
Jhapkoon Kabhi Na Deed Mein Meri Khalal Pade,

‘Shabnam’hum Apni Umr Ki Zulf-E-Daraz Ko,
Jitna Sanwarte Rahe Utne Hi Bal Pade.

ab na vo shor na vo shor machaane vaale


ab na vo shor na vo shor machaane vaale
Khaak se baiTh gaye Khaak uraane vaale



ye alag baat mayassar lab-e-goyaa na huaa
dil main vo dhuum ki sunate hain zamaane vaale


dil saa wehshii kabhii qaabuu main na aayaa yaaro
haar kar baiTh gaye jaal bichhaane vaale



terii qurbat main guzaare huye kuchh lamhe hain
dil ko tanahaai kaa ehasaas dilaane vaale..!

Dard Ko Ashq Banane Ki Zarorat Kya Thi


Dard Ko Ashq Banane Ki Zarorat Kya Thi
Tha Jo is Dil Main Dikhane Ki Zarurat Kya Thi

Hum Ne Jo Kuch B Kiya Apni Mohabbat Main Kiya
Baat beech la k Zamane Ki, Zarorat Kya Thi

Chahatain khud hi tapak parhti hain in Aankho Se
Raaz ye sabko Batane Ki Zarorat Kya Thi

Itna Hassas Hoo'n Sansoo Se Pighal Jata Hoo'n
Bijliya,n mujh Pe Girane Ki Zarorat Kya Thi

ham to pahlay be tere haq me'n tahi dast huey
Aisy ghayal pe nishanay ki zarorat kya thi

Aise Lagta Hai K Kamzor Bohat Hai Tu Bhi
Jeet Kar Jashan Manane Ki Zarorat Kya Thi

Saad aankho'n se hai shikwa na hi dil se koi
Naqsh pani pe bananay ki zarorat kya thi

pathar sulag rahe the koi naqsh-e-paaa na thaa


pathar sulag rahe the koi naqsh-e-paaa na thaa
ham us taraf chale the jidhar raastaa na thaa

parchhaaiyon ke shahar kii tanhaaiiyaaN na puuchh
apanaa shariik-e-Gam koii apane sivaa na thaa

yuuN dekhatii hai gum_shudaa lamhon ke mor se
is zindagii se jaise koii vaastaa na thaa

cheharon pe jam gaii thiin Khayaalon kii ulajhanen
lafzon kii justajuu mein koii boltaa na thaa

Khurshiid kyaa ubhaarate dil kii tahon se ham
is anjuman mein koii sahar_aashanaa na thaa

Bas Aik Pal Hi Laga Unko Rooth Jane Main


Bas Aik Pal Hi Laga Unko Rooth Jane Main,
Hamari Umar Kati Hai Unhen Manani Main,

Meri Zameen Mujhe Bhi Kahin Samo Lena,
Hain Dafan Kitne Qazeene Tere Qazane Main,

Tumhen To Jashne Charaqan Ka Shouk Rahta Hai,
Lagado Aag Hamare Bhi Ahiyane Main,

Gareeb Dil Pe Jo Guzri Kisi Ko Kya Malum,
Maza To Aapko Aata Raha Satane Main,

Ab Unke Kooche Main Shahzad! Raat Din Baitoho,
Main Lag Gaya Hoon Meri Aabroo! Bachane Main.

Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero


Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero
Khud ko humaray naam say badNaam bhi kero

Ye kaya k in ruton mein bhi qaid_e_ana ki zid
Barpa bahaar mein koi kohraam bhi kero

Aashiq ho ger to sabar k zindaan ko torr do
Ahl_e_jahan ki saazishen naKaam bhi kero

Tark_e_tal'luq ka maatam bohat hua
Tum thak gaye ho aao kuch aaram bhi kero... .

Tum Ne Barishon Ko Mehz Barastay dekha Hai


Tum Ne Barishon Ko Mehz Barastay dekha Hai,
Maine Aksar Barishon Ko Kuch Kehtay Suntay Dekha Hai,

Tum Dekhtay Ho Barishon Ki Jal Thal Har Saal,
Maine Barsaat Ko Bar Ha palkon Pe Machaltay Dekha Hai,

Kaise Mangon Phir Barasta Sawan Apnay RAB Se,
K In Aankhon ne Bastiyon Ko Sawan Mein Ujartay Dekha Hai,

Seekh Gaye Hum Baarishon Ko Apnay Andar Utarnay Ka Fun,
Aur Phir Sab Ne Humein Har Pal Har Dam Hanstay Dekha Hai

Malum hy sab kch mgr anjan rehta hy


Malum hy sab kch mgr anjan rehta hy,
Wo mere ansu'on ko bhi pehchan leta hy,

Mn pareshan hn kahin wo faisle na kr ly,
Wo mere dil ki dharkan ko bhi jan leta hy,

Har pal khafa khafa sa rehta hy mjhse,
0r meri hr baat bhi maan leta hy,

Smjha hy k badle dale ga takderen sab ki,
Magr khud apni kismat se anjan rehta hy,

Us ne mjhe pyar kia wo janta bhi nahi,
Jo meri khushiyun k liye har dam pareshan rehta hy...!!

Wo to khushboo hai hawaon mein bikhar jaayega


Wo to khushboo hai hawaon mein bikhar jaayega,
masla phool ka hai, phool kidhar jaayega,

hum to samjhe the ke ek zakhm hai bhar jaayega,
kya khabar thi rag-e-jaan mein utar jaayega,

Wo hawaon ki tarah khaana-bajaan phirta hai,
ek jhonka hai jo aayega guzar jaayega,

wo jab aayega to phir uski rafaaqat ke liye,
mausam-e-gul mere aangan mein theher jaayega,

aakhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi,
tera ye pyaar bhi dariya hai utar jaayega...

khulii aaNkhon mein sapanaa jaagataa hai


khulii aaNkhon mein sapanaa jaagataa hai
vo soyaa hai ke kuchh kuchh jaagataa hai

terii chaahat ke bhiige jangalon mein
meraa tan mor ban ke naachataa hai

mujhe har kaifiyat mein kyon na samajhe
vo mere sab havaale jaanataa hai

kisii ke dhyaan mein Duubaa huaa dil
bahaane se mujhe bhii Taalataa hai

sarak ko chhor kar chalanaa paregaa
ke mere ghar kaa kachchaa raastaa hai

kariyaa-e-jaaN mein koi phool khilaane aaye


kariyaa-e-jaaN mein koi phool khilaane aaye
vo mere dil pe nayaa zaKhm lagaane aaye

mere viiraan dariichon mein bhii Khushbuu jaage
vo mere ghar ke dar-o-baam sajaane aaye

us se ik baar to ruuthuuN main usii kii maanind
aur merii tarah se vo mujh ko manaane aaye

isii kuuche mein kaii us ke shanaasaa bhii to hain
vo kisii aur se milane ke bahaane aaye

ab na puuchhuuNgii main khoye hue Khvaabon kaa pataa
vo agar aaye to kuchh bhii na bataane aaye

zabt kii shahar-panaahon kii mere maalik Khair
Gam kaa sailaab agar mujh ko bahaane aaye

justajuu khoye huon ki umr bhar karate rahe


justajuu khoye huon ki umr bhar karate rahe
chaaNd ke ham_raah ham har shab safar karate rahe

raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar
shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karate rahe

ham ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se
tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karate rahe

vo na aayegaa hamen maaluum thaa us shaam bhii
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe

aaj aayaa hai hamen bhii un uraanon kaa Khayaal
jin ko tere zaum mein be-baal-o-par karate rahe

isii mein Khush hoon meraa dukh koi to sahataa hai


isii mein Khush hoon meraa dukh koi to sahataa hai
chalii chaluuN ki jahaaN tak ye saath rahataa hai

zamiin-e-dil yuuN hii shaadaab to nahiin ai dost
qariib mein koii dariyaa zaruur bahataa hai

na jaane kaun saa fiqraa kahaaN raqm ho jaaye
dilon kaa haal bhii ab kaun kis se kahataa hai

mere badan ko namii khaa gaii ashkon kii
bharii bahaar mein jaise makaan Dahataa hai

dil kaa kyaa hai vo to chaahegaa musal_sal milanaa


dil kaa kyaa hai vo to chaahegaa musal_sal milanaa
vo sitam_gar bhii magar soche kisii pal milanaa

vaaN nahiin vaqt to ham bhii hain adiim-ul-fursat
us se kyaa kahiye jo har roz kahe kal milanaa

ishq kii raah ke musaafir kaa muqaddar maaluum
dasht-e-ummiid mein andeshe kaa baadal milanaa

daaman-e-shab ko agar chaak bhii kar len to kahaaN
nuur mein Duubaa huaa subah kaa aaNchal milanaa

Gulaab Haath Main Ho, Aankh Mein Sitara Ho



Gulaab Haath Main Ho, Aankh Mein Sitara Ho...!!
Koi Wujood Mohabbat Ka Iste'aara Ho..!!

Mein Gehray Paani Ki Iss Ro' K Saath Behti Rahoon..!!
Jazeera Hoo Keh Muqaabil Koi Kinara Ho....!!!

Kabhi Kabhar Usey Dekh Lein, Kahein Mill Lein..!!
Yeh Kab Kaha Tha Ke Woh Khush'badan Hamara Ho..!!

Qusoor Ho Toa Hamarey Hisaab Mein Likh Jaye..!!
Mohabbaton Mein Jo Ehsaan Ho...Tumhara Ho..!!

Yeh Itni Raat Gaye Kaun Dasta'kain Dega....??
Kahein Hawa Ka Hi Uss ne Roop Dhara Ho...!!

Ufaq Toa Kia Hay Dar-e-Kehkashaan Bhi Choo Ayein..!!
Musafiron Ko Agar Chaand Ka Ishara Hoo...!!

Mein Apne Hissey K Sukh Jiske Naam Kar Daloon...!!
Koi Toa Hoo jo Mujhe Iss Tarah Ka Pyara Hoo..!!

Agar Wujood Mein Aahang Hai Toa Wasl Bh Hay...!!
Mann Chahe Nazm Ka Tukra, Woh Nasar Para Ho....!!

dasht-e-shab par dikhaaii kyaa dengi


dasht-e-shab par dikhaaii kyaa dengi
silavaTen roshanii mein ubharengii

ghar kii diivaaren mere jaane par
apanii tanhaaiyon ko sochengii

uNgaliyon ko taraash duuN phir bhii
aadatan us kaa naam likkhengii

rang-o-buu se kahiin panaah nahiin
Khvaahishen bhii kahaaN amaaN dengii

ek Khushbuu se bach bhii jaauuN agar
duusarii nikahaten jakar lengii

khirakiyon par dabiiz parde hon
baarishen phir bhii dastaken dengii

jis ko naseeb-e-lazzat-e-aazaar bhii nahiin


jis ko naseeb-e-lazzat-e-aazaar bhii nahiiN
vah bad_naseeb jiine ka haqdaar bhii nahiiN

kal jis ke sar pe saaya-e-zulf-e-daraaz thaa
aaj us ke sar pe saaya-e-deevaar bhii nahiiN

tum haal poochhte ho, inaayat kaa shukriyah
achchhaa agar nahiiN hooN to biimaar bhii nahiiN

jalvah_garii kii aap ko mohalat nahiiN agar
merii nazar ko fursat-e-deedaar bhii nahiiN

soonii paRhii hai maNzil-e-meraaj-e-ishq bhii
ab ko_ii laayaq-e-rasan-o-daar bhii nahiiN

jo be_Khata hoN un ko farishtoN meN do jagah
insaan vo nahiiN jo Khataa_vaar bhii nahiiN

uljheNge kya vo gardish-e-lail-o-nahaar se
jo aashnaa-e-kaakul-o-ruKhsaar bhii nahiiN

jiine se taNg aa gaya har aadamii magar
marne ke vaaste ko_ii taiyaar bhii nahiiN

kyoN apne sar gunaah ka ilzaam looN ''Nazeer''
jab ek saaNs lene ka muKhtaar bhii nahiiN

yah muqaam-e-ziNdagii bhi, barhaa ibrat aafriin hai


yah muqaam-e-ziNdagii bhi, barhaa ibrat aafriin hai
jahaaN sham'a jal rahii hai, vahiiN raushanii nahiiN hai

merii ziNdagii meN tum ho, mujhe ko_ii Gham nahiiN hai
merii sub'h bhii hasiiN thii, merii shaam bhii hasiiN hai

vahii haram ho ya kaleesa, ko_ii motbar nahiiN hai
jahaaN qalb mutma'iiN ho, vahii maNzil-e-yaqiiN hai

jo nazar-nazar garaaN hai, jo nafas-nafas haziiN hai
vahii aarzoo javaaN hai, vahii ziNdagii hasiiN hai

yah tilasm-e-raNg-o-boo hai, too yahaaN na DhooNDh unko
vah jahaaN nazar paRhe the, yah muqaam vah nahiiN hai

terii bazm-e-naaz meN ho, jise izn-e-baar_yaabii
vah Khataa bhii dil_kushaa hai, vah gunaah bhii hasiiN hai

mere ashk kyoN uThaayeN, tere daamanoN ke ehsaaN
abhii apnaa pairahan hai, abhii apnii aastiiN hai

mere zauq-e-justajoo kii, hai tujhii ko sharm rakhna
mere saath be_Khudii hai, ko_ii kaarvaaN nahiiN hai

merii ziNdagii chaman hai, maiN chaman kii ziNdagii hooN
mujhe fiqr-e-gulsitaaN hai, Gham-e-aashiyaaN nahiiN hai

rifaaqaton ne diye haiN mujh ko, adaavatoN ke itaab saare


rifaaqatoN ne diye haiN mujh ko, adaavatoN ke itaab saare
mire hii dil par hue haiN naazil, muhabbatoN ke azaab saare

Khushii kii mahfil naa raas aayi, hazaar chaaha ki muskaraayeN
tapish se Gham kii jhulas gaye haiN, shaguftagii ke gulaab saare

yahii hai tadbiir-e-husn-e-gulshan, evaz guloN ke mile haiN kaaNTe
ajeeb qismat ka hai karishma, gunah bane haiN sawaab saare

Gharoor se sar uThaa rahe the, vo jashn-e-hastii manaa rahe the
havaa ne khiiNcha jab apnaa daaman, havaa hue phir hubaab saare

vo Khushbu'oN ka libaas pahne, milaa kuchh aisaa k ek pal meN
paRhe hue the jo jism-o-jaaN par, utar gaye vo naqaab saare

savaal saada-sa ziNdagii se, kiya thaa ham ne bhii ek ''Sarwat''
vo pattharoN kii huii hai baarish, ki mil gaye haiN jawaab saare

pahli shart judai hai ishq barha harjai hai


pahli shart judai hai
ishq barha harjai hai

gum haiN hosh hawaaoN ke
kis kee Khushboo aai hai

Khwaab kariibii rishtedaar
lekin neeNd paraa_ii hai

chaaNd taraashe saarii umar
tab kuchh dhoop kamaa_ii hai

maiN bichhaRha hooN Daalii se
duniyaa kyoN murjhaa_ii hai

dil par kis ne dastak dii?
tum ho, yaa tanhaa_ii hai

dariya-dariya naap chuke
muTThii bhar gahraa_ii hai

sooraj TooT ke bikhra thaa
raat ne Thokar khaa_ii hai

ko_ii maseeha kyaa jaane
zaKhm hai yaa gahraa_ii hai

vaah re paagal, vaah re dil
achchhii qismat paa_ii hai

Saanam Manoo hum Tu Kahi bhi jiya Nahi Kaarte


Saanam Manoo hum Tu Kahi bhi jiya Nahi Kaarte
Pyar Ho Gar Sacha Tu Ghamon Ka Zahar Pia Nahi Karte

Dil Ho Gar Naazrana Ishq Main Kissi Ka Meri
Sahamal Kaar Use Rakhte Hai Kissi Ko Dia Nahi Karte

Chaand Hoo Gar Aaghosh Main Tuhmare Kabhi Aye
Asmaanon Se Phir Aur Tawaaqu Kaabhi Kia Nahi Kaarte

Miley Jo Gar Kissi Ko Tere Pyaar Saa Nashaa
Tu Phir Maikhanon Se Woh Mai Kaabhi Pia Nahi Kaarte

Dil Dene Ka Takaaza Tu Haar Ashiq Kaare Meri
Humtu Jaan Bhi Tuhmain Dete Hain Par Tum Lia Nahi Karte

Aadhore Aadhore Se Laagte Hain Hum Tere Bin Aye
Kaise Kahein Tere Bin Ek Paal Bhi Aab Hum Jia Nahi Karte

Tera Pyar Jo Mila Dozak Main Jannat Ke Manind Laga Sanam
Tere Siwa Kudha Se Ab Kuch Aur Dua Kia Nahi Karte

Kehta Hai Ab ‘ Ka Dil Tera Ishq Na Le Dobe Humain
Haar Pal Tujhe Yaad Ke Siwa Hum Aur Kuch Kia Nahi Karte

Popular Posts