Wednesday, December 1, 2010

Jab Bhi Likhte Hain Band-E-Gham Likhte Hain


Jab Bhi Likhte Hain Band-E-Gham Likhte Hain,
Khushiyan Gar Dikh Jaaye To Kam Likhte Hain,

Mehfil Mein Pucho To Khaamosh Rehte Hain,
Dasht-E-Tanhai Wo Ahal-E-Sitam Likhte Hain,

Gum-Sum The Hothon Pe Jo Dil Ke Ehsaas,
Ankhoen Se Ja Chalke Jab Sanam Likhte Hain,

Unhe Duniyadaari Ki Samajh Itni Hai Kahan?,
Jo Saath Jeene-Marne Ki Kasam Likhte Hain,

Jab Ho Raha Tha Tab Use Tamaam Hone Diya,
Jab Ho Chuka Hai Tab Be-Sharam Likhte Hain,

Hota Gar Khuda May To Insaan Se Ye Kehta,
Tere Naam Har Ek Dair-O-Haram Likhte Hain,

Har Maqte Se Pehle Aur Har Masle Ke Baad,
Ho Hum Par Bhi Nazar-E-Karam, Likhte Hain,

Kaise Yakeen De Ab Ki Baatein Nahi Badalti,
Bismil The Bas Rahe Nahi To Hum Likhte Hain.

No comments:

Popular Posts