Wednesday, December 1, 2010

kariyaa-e-jaaN mein koi phool khilaane aaye


kariyaa-e-jaaN mein koi phool khilaane aaye
vo mere dil pe nayaa zaKhm lagaane aaye

mere viiraan dariichon mein bhii Khushbuu jaage
vo mere ghar ke dar-o-baam sajaane aaye

us se ik baar to ruuthuuN main usii kii maanind
aur merii tarah se vo mujh ko manaane aaye

isii kuuche mein kaii us ke shanaasaa bhii to hain
vo kisii aur se milane ke bahaane aaye

ab na puuchhuuNgii main khoye hue Khvaabon kaa pataa
vo agar aaye to kuchh bhii na bataane aaye

zabt kii shahar-panaahon kii mere maalik Khair
Gam kaa sailaab agar mujh ko bahaane aaye

No comments:

Popular Posts