badal gaya to kiya huwa..ke dil ka woh bura nahin
usay yooN bad'dua na do...woh shakhs bay wafa nahin
tere jahan main Khuda...bas aik hi kami rahi
jo lut gaya, basa nahin....jo kho gaya, mila nahin
hikayataiN meri sabhi... na sun sako gay humnasheeN
yeh dastaN hai dard ki...yeh dil ka maajra nahin
ajab hi zaabtay rahay..nazar ke is dayaar main
jo aik bar gir gaya...to phir say woh utha nahin
na kholna yahaN ke dar..ke dil nagar ajeeb hai
jo zakhm ban gaya yahaN...woh umr bhar bhara nahin
kiyon manzilaiN alag huweeN? juda huwe kiyoN rastay?
ya main ulajh gaii kahiN...ya woh samajh saka nahin..!
baghair jiske aik pal bhi kaatna muhaal tha
umar huwi ke uska ab..koi ata pata nahin...
hathailiyoN main aaj tak usi ka naam darj hai
main kaisay maan looN bhala..? mera woh ab raha nahin
nahin kaho isay anaa...yeh aajzi ka zau'm hai
main toot kar bikhar gaii...magar yeh sar jhuka nahin
khabar kiya ho sakay tujhe...ke main hooN kis azaab main!
tu bay rukhi ki aag main..meri tarha jala nahin
mehaz yeh farq reh gaya .. muhabbatoN ki dorr main
main uski ho gaii magar.....woh mera ho saka nahin..!!!
No comments:
Post a Comment