Sunday, June 6, 2010

Dard be-reham hai jalaad hia dard


Dard be-reham hai
jalaad hia dard
dard kuch kehta nahi
sunta nahi
dard bas hota hia 
dard ka mara hoa
roonda hoa
jism too ab haar gia
rooh zidi hia 
laray jati hia 
hanpti
kampti
ghabrai hoi
dard ke zoor se
tharai hoi
jism se lipti hai
kehti hai nahi chooron gi
moot chookath pe khari hia kab se
sabr se dekh rahi hia us ko
aaj ki raat janay kia hoo

Tum kya jano yadon main kho kar ankhain kitna roti hain


Tum kya jano yadon main kho kar ankhain kitna roti hain
dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain

tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai
barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain.

ab toh chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai
halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain.

ab toh ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai
din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain.

zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say
apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain 

Unki har baat dil lubhaati hai

Unki har baat dil lubhaati hai, 
Har adaa , har khataa bhi bhati hai. 
Dil mai.n mere khayaal aaye to, 
Baat unki zubaa.n pe aati hai . 
Paas baithe.n to aisa lagataa hai, 
Jaise woh har janam ki saathi hai.n 
Sab Mere haal par pareshaan hai.n 
Ek woh hain ki muskuraati hai.n . 
Geet meraa likhaa hi hai shaayad, 
Woh jo haule se gun gunaati hai.n ,

main tujhe chata nahi laikin

main tujhe chata nahi laikin... 
phir bhi jab tu paas nahee hoti 
khud ko kitna udas pata hoon 
gum se apne hawaas pata hoon 
janai kya dhun samai rehti hai 
ek khamoshi si chaai rehti hai 
dil se bhi guftugu nahee hoti 

main tujhe chata nahi laikin... 
phir bhi shab ki taweel khalwat mein 
tere auqaat sochta hoon main 
teri hur baat sochta hoon main 
kaun se phool tum ko bhaate hain 
rung kya kya pasand aatai hain 
kho sa jata hoon teri janat main 

main tujhe chata nahi laikin... 
phir bhi ehsaas se nijaat nahi 
sochta hoon toh ranj sa hota hai 
dil ko jaise koi dubota hai 
jis ko itna sarhata hoon main 
jis ko is darje chata hoon main 
is main teri si koi baat nahi 

main tujhe chata nahi laikin........

Phir wohi main,wohi tu


Phir wohi main,wohi tu 
Phir wohi shaam, wohi tanhai
Phir wohi geeet,wohi jankhar
Phir wohi baat,wohi raaz
Phir wohi din,wohi raat
Phir wohi gham,wohi aass
Phir wohi rang, wohi roop
Phir wohi agaz,wohi anjam
Phir wohi main,wohi tu 
Phir wohi sur,wohi sangeet
Phir wohi jaan,wohi pahchan
Phir wohi log,wohi khuda
Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi shaam,wohitanhai 
Phir wohi yaad,wohi naam 
Phir wohi paal,wohi lamhay
Phir wohi tum,wohi main
Phir wohi ruthna,wohi manana,
Phir wohi aakar ,wohi dur jana
Phir wohi hansii, wohi rona
Phir wohi main, wohi tu,
Phir wohi sham,wohi Tanhai

is vaqt to yuun lagataa hai ab kuchh bhii nahiin hai

is vaqt to yuun lagataa hai ab kuchh bhii nahiin hai
mahataab na suuraj na andheraa na saveraa
aankhon ke dariiche mein kisii husn kii jhalakan
aur dil kii panaahon mein kisii dard kaa Deraa
mumkin hai koii vaham ho mumkin hai sunaa ho
galiyon mein kisii chaap kaa ek aaKhirii pheraa
shaaKhon mein Khayaalon ke ghane per kii shaayad
ab aake karegaa na koii Khvaab baseraa
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishtaa
teraa koii apanaa na paraayaa koii meraa
maanaa ki ye sun-saan gharii saKht barii hai
lekin mere dil ye to faqat ek gharii hai
himmat karo jiine ko abhii umr parii hai

Wo na door hai na qareeb hai

Wo na door hai na qareeb hai 
Ye jo hijr hai ye naseeb hai 

Jo visal tha vo to Khvab tha 
Ye Khayal kitana ajeeb hai 

Wahi ansoo.un mn, duaon mn 
Wahi dukh sukh mn qareeb hai 

Jo main sochata hoon kah sakun 
Mera harf harf raqeeb hai 

Ye falak zameen ko sameT le 
Mera dil bhi kitanaa Gariib hai

inn ansoo ki bhi ha zaban pukaree tuj ko herr pal


inn ansoo ki bhi ha zaban
pukaree tuj ko herr pal
per tu masroof ha tamasha dekhnay mai
chup reh ker azma raha ha mujhay
yaad rakhna ki ansoo na hoge kabhi katham
aisa na ho ki kul koi samander ho teri rah mai
woh samander nahi mere ansoo ruke ge tujhe
ha yaqeen ki tu sang dil koi aur rasta lee ga dhond
perr yaad rakhna ki herr rastay mai tuj ko na milee ga 
jo chaheye tujha itna toot ker
meray ansooyon ki kashish
shayad lee ayee tujhe merray daaar
meray ansoyoun ki koi kemat nahi teri nazar mai
yaad rakhna ki meray ansoo ha buhut anmol

Dhondnay jis mein zindagi nikli

Dhondnay jis mein zindagi nikli 
Wohee us shakhs kee gali nikili 

Teray lehjay mein tha nahee kia kuchh 
Sirf such kee zara kami nikli 

Woh jo legti thi kanch ki guriya 
zZarb perhnay pe aahini nikli 

us haveli mein shaam dhelnay per 
her dereechay se roshni nikli 

Woh hawa tu nehi thi lerki thi 
Kis liye itni sirphri nikli 

Woh teray asmaan ka kia kerti 
Jis ki mitti se dosti nikli

Dekho tumhari chah main hum jee rahain hay kiss tarh

Dekho tumhari chah main
hum jee rahain hay kiss tarha
keh
naa hosh hay naa khabar koi
naa hay rasta naa safar koi
naa hain mushkeelain naa bhanwar koi
Bass intezar hee intezar
keh
to kabb karay gaa ikk nazar
orr bolay gaa yeah satar
"HAMAIN TUM SAY PIYAR"
HAMAiN TUM SAY PIYAR"
dekho tumhari chah main
hum jee rahay hain
kiss tarah

raat ne jalti tanhai main

raat ne jalti tanhai main
andheron ke jaal buney they
deewaron par tareeki ki gard jami tho
khusbu ka ehsas fiza main toot raha tha
ghar aangan khamoshi oorhay jaag rahi tha
darwazey banhey phailaye oongh rahe they
duur samandar paar hawaian badlon se baatein karti theen
aise main ik neend ka jhonka
lehar bana aur guzar gaya
phir aankh khuli to
is mausam ki pehli baarish
aur teri yaadein
dono mil kar
tooot kar barsii--

Basi hain ajab khawashain mere dil main


Basi hain ajab khawashain mere dil main 
Mujhe chahe jane ki khawaish nahi hai 
Hameisha rahe woh mere samne bas 
Main us se kahoon aur woh mujh ko sune bas 
Mere dil main utre yeh hasrat nahi hai 
Basi hain ajab khawaishein mere dil main 
Mujhe chahe jane ki khawahish nahi hai 
Woh khud hi ho ruswa khudi maan jaye 
Jo main rooth jaon to mujh ko manaye 
Mere paas aaye zara muskaraye 
Jo main ro paroon to woh aansoo bahaye 
Dopatte ke pallu se meri bheegi palkon k aansoo samete 
Mere paas baithe 
Mujhe batlaye, Mujhe samjhaye 
Yeh har pal udaasi kuch achi nahi hai 
Tumhari nigahon main rim jhim yeh shabnam 
Kuch sajti nahi hai 
Nahi chahta main k woh mujh ko soche 
mujhi ko woh chahe 
Mujhe apne jeewan ka hissa banaye 
Mujhe us ki chahat se matlab nahi hai 
Us ki mohabbat ki chahat nahi hai 
Haan khawahish hai jis ki 
Hai woh lafz Tawajjah 
Woh shab Dosti hai

bas yoon hi rasmi rasmi sa


bas yoon hi rasmi rasmi sa
ik be-mafhoom taruf tha
us nay mera number mang lia
phir ik din telefone kia
phir fone kia
ik rooz thi barish zoroon per
badal garjay, bijli chamki
phir bondain barseen khirki per
tab us ka telefone aaya
be sakhta main nay us se kaha
barsat main tanhai ki saza
kyon deti ho
kyon kerti ho tum fone mujhe
kuch lamhoon tuk wo chup se rahi
phir kehnay lagi
jo aap ka dheema lehja hai
mujhe be-haad acha lagta hia 
awaz jo aap ke hoonton se 
tashna kanoon tuk aati hia 
mujhe us ki yaad delati hia 

wafa ki khair manata hon bewafaee mein bhi


wafa ki khair manata hon bewafaee mein bhi
mein os ki qaid mein hon qaid se rihaee mein bhi 

laho ki aag mein jal bujh gaye badan to kula
rasaee mein bhi khasara hai na rasaee mein bhi 

badalte rehte hain mosam guzarta rehta hai waqt
magar ye dil ke wahen ka wahen judaee mein bhi 

lihaz-e-hurmat peman na pass hum khawabi
ajab tarha ke tasadam thai aashnaee mein bhi 

mein das baras se kisi khwab ke azab mein hon
wohi azab dar aya hai is dahaee mein bhi 

tasadam dil-o-dunya mein dil ki haar ke baad
hijab ane laga hai ghazal saraee mein bhi 

mein jaa raha hon ab os ki taraf osi ki taraf
jo merey sath tha meree shikasta paee mein bhi

Ijazat ho to teri aabroo ho jaon

Ijazat ho to teri aabroo ho jaon 
Jesa tu chahey Hoo bahoo ho jaon 

dil mein thi hamesha se ik khawahish 
ke mein bhi teri arzoo ho jaon 

tera mera talauq ho kuch iss tarha se 
tu piyar ki ik kali, mein teri khushboo ho jaon 

arzoo-e-dil k tere naam se mera naam ho 
tera charcha banoon aur koo-bakoo ho jaon

Aik umeed hai lotoo gay aik din tum loog

Aik umeed hai lotoo gay aik din tum loog
ik isi Aas pay khood ko sambhal rakha hai 
koi ghum Aay isay dil pay rook laitay hain 
per kisi toor bhee hum khood ko
bikhranay nahi daitay
hamari chokhatoon pay daikhtay hoo deep jo tum
yeh intizar hai charagh nai
or in main hasratoon ka indhian hai
jo sham -0- saher 
hamaray saath jala karta hai.
kuch nahi chaiya gari na koi bangla hamain
tum nay jo khawab dikhay thay hamain jatay haoy
k tumharay kisi pardais chalay janay se
ghar ka angan haseen khoshioon se mahek jay ga
thik hi kahtay thay tum
tum nay dollar hi itnay baijhay k
jo bhee chain kharid laitay hain 
jo bhee chaiya kharid saktay hain
Aa k daikhoo to sabhee kuch hai hamaray ghar main 
her nay dhang ka electronics 
her nay rang k Aasiyaishin hain 
garian , zaverat , bank balance
kon se cheez dastiab nahin ?
jan-e-man tum jo meray pass nahin 
saanp ban kar yeh hamain rooz rooz dasa karti hain.
tum nahi to chand raat ko bhee
ghar main waranian hi raqs kia karti hain.....

Ankhon ko choh rahe hain sitaron ke narm hath

Ankhon ko choh rahe hain sitaron ke narm hath 
palkon pe aa ruki hai tamanna-e kehkashan 
zulfon ke taar taar se phooti hain mastiyan 
hoton ko chomti hai shararat se chadni 
pairon ki laghzishen hain surahi ki hichkiyan 
raston main har taraf hain gul-e-yasmeen khelay 
khushbo main kiyon na bandh lain phoolon kay haar hum 
suntee hain chandni younhi barsay gi raat bhar 
mujh ko pukariye to zara ihtiyaat se 
aisa na ho ki kanch ki deewaar gir pare 
main khwaab ke safar main hon 
aahista boliye

Uski yeh khamoshi aik sada hai


Uski yeh khamoshi aik sada hai 
Jaise mohabbat uss ki juda hai 
Bani ghum ki woh aik tasveer hai 
Shayad yahi uski taqdeer hai 
Kahan se laaye woh ussey bula kar 
Jo chala gaya hai ussey rula kar 
Uss ke bin na jaaney woh kaise jiye ja rahi hai 
Ghum ke yeh ansoon yun hi buss piye ja rahi hai 
Aisa na ho ke lautne mein ho jaaye buhaat dair 
Aa jaoo tum kisi bhi sada ke baghair 
Na ho aisa jab tum aaoo laut kar 
To tum bhi yun hi bulaate raho ussey umar bhar

Mujhay Tum Yaad atey ho


Mujhay Tum Yaad atey ho
Kissi Sunsaan Sapney ki Hidat main
Kissi Masroofiyat kay Mour par 
Tanhai kay Sehrao'n main
Ya phir kissi Anjaan Be'maari ki Shidat main
Mujhay tum yaad atey ho
Kissi Bicharay howay ki Chasham Pur'naam kay Nazaray par
Kissi Beetay howay din ki thakan ki Oat main 
Ya phirr tumhare zikar main guzri hoi Shab kay Isharay par
Kissi Basti ki ba'ronak Sharak par
Aur kissi Dariya , kissi Jungle kay Kinaray par
Mujhay tum Yaad atey ho
Meri Chup kay Kuwe'n main 
Arzo'n kay badan jab ter'tay hian 
Aur Kinaray say koi Boley
Tu lagta hai Ajal Awaz deti hai
Meri Bechain'niyo'n main jab tumhare tund kho Ranjhish Khatk'ti hai
Tumhare Be'sabab dori shulagti hai
Ya phir jab bhi meri Ankh kay Sehara main 
Tumhare Yaad ki Tasveer Jalti hai , Judai Hath matli hai 
Mujhay tum yaad atey ho
Mujhay tum Yaad atey ho
Maqdar kay Sitaro'n par
Zamaney kay Isahrao'n par
Udasi kay kinarao'n par
Kabhi Veeran Sheharo'n main
kabhi Sunsaan Rashto'n par
Kabhi Heran ankho'n main
Kabhi Be'jaan lamho'n par
Mujhay tum Yaad atey ho
Suhani Shaam ho koi
Kahin bad'naam ho koi
Bhalay Gulfaam ho koi
Kissi kay naam ho koi
Mujhay Tum yaad atey ho
Kahin Barish baras jay
Kahin Sehara Taras jay
Kahin Kali ghata utray
Kahin Bad-e-Saba tehray
Tumharay aur meray Darmiyan aa kar Khuda Teharay
Tu , meri Zindagi kay Awal -o-Akhir
Tum us Lamhay
Khuda kay baad atey ho
Mujhay tum Yaad atey ho

Muhabat kiss ko kehtay hain


Muhabat kiss ko kehtay hain 
Hamay tum nay sikhaya tha 
Ibadat kis ko kehtay hain yeh bhi tum nay bataya tha 
Magar jab hum muhabat ki kisi wadi main kho-ay thay 
Suhanay khawab mairi jaagti ankhoon main so-ay thay 
Hamain tanha kiya tum ne koi awaz tak na dee 
Humhain dhoondha bohat sapnay sajati mairi aankhooN ne 
Buhat khushfehmian pali 
Buhat hi door ja niklay 
Jahan say loot anay main 
Hamay ik umer lagni thee 
To uss damm aik pal socha! 
Keh kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain 
Kisi nayi oor ja niklain 
Kisi kay sath phir hum bhee 
Khail muhabat ka phir khailain 
Kisi ka toor dain dill hum 
Kisi ko sooz main daikhain 
Magar mushkil pari hum ko 
Keh hum pathar nahen balkay dharakta dill hi rakhtay hain

Mujhe koi aisa raasta bata


Mujhe koi aisa raasta bata
Ke jis per chal kar
Mein tujhe bhool sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi raah dikhlaa
Jis per chaltay huwe
Mein tere saath guzre huwe
Lamhoon ki rafaaqat
Ek khwaab samajh kar
Bhula sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi simt bataa
Jahaan jatay huwe
Mein tujhe na sochoon
Na hi tujhe yaad karoon
Aur
Agar aisa koi raasta
Aisi koi raah
Aisi koi simt
Nahe hai tere paas
Tu phir
Mujhe mere haal pe chor day

Jagte main bhi soti hain


Jagte main bhi soti hain 
Kuch ankhein aisi hoti hain
Be mausam kalyon ki soorat hole hole khilti hain
Dunya ki is bheer main yunhi ek lamhe ko milti hain
Mehfil mehfil ghoomne wale
Loag akele ho jate hain
In ankhon ki khoj main aksar
Apne aap ko kho jate hain
Main ne bhi dekhi theen ek din
Aisi hi do mushkil ankhein
Halki sabz aur bojhal ankhein
Yoon to ab tak jitni guzri khush chashmon main guzri hai
Lekin aise gehre sagar
Lekin aisi sahil ankhein..!
Yoon lagta tha jese meri rooh main rasta ban jaey ga
Ya phir ek be naam sa parda har manzar per tan jaey ga
Yoon lagta tha jese ab woh
Maur bas ane wala hai
Jis ke baad ujala hai
Ya phir baqi uamr ka rasta ek be maani haala hai!
Un ankhon ki raah main sab yeh
Khwab aur khadshe rakhoon ga
Ab jo un ko dekhoon ga
Aur dekh saka….
To puchoon ga….!

Go kehnay wali too behisaab batain hain

Go kehnay wali too
behisaab batain hain 
aur meri jhooli main
beshumaar ratain hian 
beshumaar ratain jo
jaag ker guzari hain
kis tarah mere dil se 
naag ban ker lipti hain
beshumaar ratoon main 
un ginat wo lamhay hian 
jin ki bund muthi main 
sirf teri batain hain
beshumaar ratoon ki 
behisaab lamhoon ki
unkahi sabhi batain
sirf tujh se kehni hian 
na kahin too wo batain
beshumaar ratoon ki 
behisaab lamhoon ki
zindgi ki rahoon ko
khar khar ker dain gi
phir bhi ye irada hai
zindgi ki rahoon per
paoon khoon se rang jain
beshumaar ratoon ki 
behisaab lamhoon ki
unkahi sabhi batain
chahay dil ko daas jain 
tujh se kuch nahi kehna

phir hur-e-fay bahar ho beathay

phir hur-e-fay bahar ho beathay 
janay kis kis ko aaj ro beathay 

thi,muger ittni rahigaan b na thi 
aaj kuch zindgi say kho beathay 

teray dur tuk pohunch kay loot aayey 
ishq ki abroo duboo beathay ............ 

sari duniya say door ho jayey 
jo zara teray pass ho beathay 

na gui teri bay rukhi na gui 
hum teri arzoo b kho bethay 

FAIZ hotta rahy jo hona hay 
sher likhutay raha kuro bethay 

tujhse harain k tujhay maaat karain

tujhse harain k tujhay maaat karain 
tujhse khushbo k marasim hain tujhse kaise kahain 
meri soochoon ka ufak teri mohabbat ka fasoon 
meray jazboon ka dil teri inayat ki nazar 
kaise khawaboon k jazeeron ko hum ta raaj karain 
tujhe ko bhool k kaise yaad karain 
ab koi aur nahi meri tamana ka dil 
ab to baqi hi nahi kuch ,jisay barbaad karain 
teri takseem kisi tor humain manzoor na thee 
phir sar zam jo aaye to thee daman aaye 
chun liya dard maseeha 
teri dil dar nagahi k ghoz 
hum ne jee har day lut bhi gaye 
kaise mumkin hai bhala 
khud ko teri sehar se azad karain 
tujhe ko bhoolain k tujhey yaad karain 
iss kadar sahal nahi meri chahat ka safar 
hum ne kaantay bhi chunay roh k azad bhi sahay 
hum se jazboon ki shara ho na saki kya kartay 
bas teri jeet ki khawahish ne kiya hum ko nidhaal 
ab iss sooch mein guzrain gay may vasaal maray 
tujse harain k tujhey maat karain 

har haqiiqat majaaz ho jaaye

har haqiiqat majaaz ho jaaye 
kaafiro.n kii namaaz ho jaaye 

minnat-e-chaaraasaaz kaun kare 
dard jab jaa.N navaaz ho jaaye 

ishq dil me.n rahe to rusavaa ho 
lab pe aaye to raaz ho jaaye 

lutf kaa intazaar karataa huu.N 
jor taa hadd-e-naaz ho jaaye 

umr besuud kaT rahii hai 'Faiz' 
kaash afshaa-e-raaz ho jaaye

Ager tum dhoondhna chahoo too main tum ko


Ager tum dhoondhna chahoo 
too main tum ko 
khizan rasida, be saya darakhtoon main miloon ga 
jahan mehtaab se mehroom ratoon ko khizan aaram kerti hai 
jahan girtay hoay patoon ke matam main 
hawa ka saaz shamil hai 
meri awaz shamil hai 
ager tum dhoondhna chahoo 
too main tum ko 
kisi veran basti main 
kisi be-aab sehra mai miloon ga 
ke main sehra ki urti rait ke zaroon ka hisa hoon 
koi bhooli kahani hoon 
koi qisa purana hoon 
kisi din tum jo aa niklo 
kisi veraan qariye main 
kisi aisay kharabay main 
jahan koi nahi rehta 
jahan tareek ratoon ko 
khamoshi cheekh ker apnay makinoon ko bulati hai 
achanak is kharabay main 
kahin baitha hoa dekho 
kisi tanha musafir ko 
too phir itna samjha lena ke tum nay pa lia mujh ko 
ager tum dhoondhna chahoo

tumhe.n udaas saa paataa huu.N mai.n kaa_ii din se


tumhe.n udaas saa paataa huu.N mai.n kaa_ii din se 
naa jaane kaun se sadame uThaa rahii ho tum 
vo shoKhiyaa.N, vo tabassum, vo kah_kahe na rahe 
har ek chiiz ko hasrat se dekhatii ho tum 
chhupaa chhupaa ke Khamoshii me.n apanii bechainii 
Khud apane raaz kii taashiir ban gaii ho tum 

merii ummiid agar miT gaii to miTane do 
ummiid kyaa hai bas ek paas-o-pesh hai kuchh bhii nahii.n 
merii hayaat kii Gam_Giii.nio.n kaa Gam na karo 
Gam hayaat-e-Gam yak naqs hai kuchh bhii nahii.n 
tum apane husn kii raanaaiio.n par raham karo 
vafaa fareb tul havas hai kuchh bhii nahii.n 

mujhe tumhaare taGaaful se kyuu.n shikaayat ho 
merii fanaa meer ehasaas kaa taqaazaa hai 
main jaanataa huu.N ke duniyaa kaa Khauf hai tum ko 
mujhe Khabar hai ye duniyaa ajiib duniyaa hai 
yahaa.N hayaat ke parde me.n maut chalatii hai 
shikast saaz kii aawaaz me.n ruu naGmaa hai 

mujhe tumhaarii judaaii kaa koii ra.nj nahii.n 
mere Khayaal kii duniyaa me.n mere paas ho tum 
ye tum ne Thiik kaha hai tumhe.n milaa na karuu.N 
magar mujhe bataa do ki kyuu.N udaas ho tum 
hafaa na ho merii jurrat-e-taKhtab par 
tumhe.n Khabar hai merii zi.ndagii kii aas ho tum 

meraa to kuchh bhii nahii.n hai mai.n ro ke jii luu.Ngaa 
magar Khudaa ke liye tum asiir-e-Gam na raho 
huaa hii kyaa jo zamaane ne tum ko chhiin liyaa 
yahaa.N par kaun huaa hai kisii kaa socho to 
mujhe qasam hai merii dukh bharii jawaanii kii 
mai.n Khush huu.N merii mohabbat ke phuul Thukaraa do 

mai.n apanii ruuh kii har ek Khushii miTaa luu.Ngaa 
magar tumhaarii masarrat miTaa nahii.n sakataa 
mai.n Khuud ko maut ke haatho.n me.n sau.Np sakataa huu.N 
magar ye bar-e-musaaib uThaa nahii.n sakataa 
tumhaare Gam ke sivaa aur bhii to Gam hai.n mujhe 
nijaat jin se mai.n ek lahaza paa nahii.n sakataa 

ye uu.Nche uu.Nche makaano.n kii deva.Diiyo.n ke tale 
har kaam pe bhuuke bhikaariiyo.n kii sadaa 
har ek ghar me.n aflaas aur bhuuk kaa shor 
har ek simt ye insaaniyat kii aah-o-bukaa 
ye karaKhaano.n me.n lohe kaa shor-o-gul jis me.n 
hai dafn laakho.n Gariibo.n kii ruuh kaa naGmaa 

ye sharaho.n pe ra.ngiin saa.Diio.n kii jhalak 
ye jho.Npa.Diyo.n me.n Gariibo.n ke be-kafan laashe.n 
ye maal road pe karo.n kii rail pail kaa shor 
ye paTariyo.n pe Gariibo.n ke zard_ruu bachtche 
galii galii me.n bikate hue javaa.N chehare 
hasiin aa.Nkho.n me.n afsurdagii sii chhaii huii 

ye jang aur ye mere vatan ke shoKh javaa.N 
khariidii jaatii hai.n uThatii javaaniyaa.N jinakii 
ye baat baat pe kanuun aur zabte kii giraft 
ye ziisq ye Gulaamii ye daur-e-majabuurii 
ye Gam hai.n bahot merii zi.ndagii miTaane ko 
udaas rah ke mere dil ko aur ranj na do

Haqeeqat aashna mere tujhe shayad khabar ho gi

Haqeeqat aashna mere 
tujhe shayad khabar ho gi 
mujhe teri muhabat nay 
bohat buzdil bana dala 
main har us shay se darta hon 
tujhe jo cheen sakti hai 
main un lamhoon se darta hoon 
judai jin main rehti hai 
main un ashkoon se darta hoon 
jo ban ker yaad behtay hain 
main un lafzoon se darta hoon 
jo khamoshi main rehtay hain 
bicharnay ki mere hamdam 
main har sorat se darta hoon 
tujhe shayad khabar ho gi 
mujhe teri muhabat nay 
bohat buzdil bana dala

aao ki koii Khvaab bunen kal ke vaaste


aao ki koii Khvaab bunen kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa umr phir na koii hasiin Khvaab bun saken
go ham se bhaagatii rahii ye tezgaam umr
Khvaabon ke aasare pe kaTii hai tamaam umr
zulfon ke Khvaab, honThon ke Khvaab,aur badan ke Khvaab
meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab
tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab
zindaaN ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab
ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the
ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the
ye Khvaab mar gaye hain to be-rang hai hayaat
yuuN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

Talash

Talash

Saray Mousam
Sare Batain
Aas gulab Wohi Hain

Jagnay Wali Aankhain
Or Un K Khuwab Wohi Hain

Lakin itna Farq parha Hay

Jab Tum Muj Say Phone Pay Batain Kartay ho
Lafzon Main Ab khud Ko Dhondna Parta Hay...

Ajj Bhi Taapti Dhoop Ka Sahra

Ajj Bhi Taapti Dhoop Ka Sahra
Taray Naraam Laboon Ki Shabnaam 
Teri Bikhri Bikhri Zulfoon Kay
Saaye Sey.......Mahroom Raha
Ajj Bhi Pather Hajar Ka Lahma
Sadiyoon Sey Baye Khu-aab Rutoon Ki
Aankoon Ka.......Mak-soom Raha
Ajj Bhi Apnay Wasal Ka Tara
Rakh Uraati.....Shookh-e-Shafaak Ki
Manzal Sey.......Madoom Raha
Ajj Bhi Shaiher Main Pagal Dil Ko
Teri Deedh Ki Aas Rahi
Mudaat Ki Gum Sum Tanhai
Ajj Bhi Meray Pass Rahi
Ajj Bhi Shaam Udass Rahi.

Tum jahan bhi jao Jahan bhi thehro


Tum jahan bhi jao 
Jahan bhi thehro 
Chahey zameen k kisi 
Aakhri koney ki 
Taraf nikal jao 
Beshak 
Humain tum 
Bhool jao 
Magar 
Itna yaad 
Rakhna 
Tumharey saarey 
Hawalon ko 
Hum zameen ki panah gahon 
Mein mehfooz rakhain gay 
Tumhari saari baaton ko 
Tumharey sang beetey 
Lamhon'saari yaadon ko 
Dil k pass rakhain gay 
Suno 
Tumhain hum 
Yaad rakhain gay

Gehree gehree aankhon waali uljhee uljhee paagal larki


Gehree gehree aankhon waali
uljhee uljhee paagal larki ..
tu yeh kis ki dhun main aakhir , lambi lambi palkon ooper..
motay motay aansu le ker..
sunder komal pairon neechay , jalti balti dharti day ker
kariya kariya bhaag rahee hai, kis ki khaatir jaag rahee hai ..

Tujhko ye maloom naheen kya
tujh jaisi najaanay kitnee gehree gehree aankhon waali..
kaisi kaisi sunderta kay dhair khazaanay lay ker nikleen
lekin phir bhi is rastay say manzil tak puhnchaanay waala...
HAR iK SAATHi JHOOTA NiKLA
ik ik aasha dushman niklee ik ik sapna dhoka nikla
sacha har ik khadsha nikla
Dekho ! tum bhi jaanay do ab
nadaani ka jitna rasta tum nay ab tak tey ker daala
us rastay say ghar ki manzil
ab bhi itni door naheen hai
ab bhi waapis jaa saktee ho,sab kuch waapis paa saktee ho
ab bhi gar tum nadaani kay is rastay say ghar na palteen
to phir ik din aisa na ho ga
SUNDER AANKHAin MAR JAAYEiN GEE
palkain khoon say bher jaayeingee
jaan labon per aa jaaye gee
Tan kay saaray ujlay-pan ko ghor musafat khaa jaaye gee
us din phir tum chilao gee , lekin kuch na haasil ho gaa
saaray lums kay bhookay saathi punkh laga kay urr jaayeingay
tum rastay main reh jao gee , rasta bhi wo jis ke peechay
DARR ki gehree daldal ho gee , aagay ghum ka jungal ho ga , sir per gehra baadal ho gaa

Us din ke aanay say pehlay , Us din tak jaanay say pehlay
waqt milay to dhalnay waalay
HAR LAMHAY Ki ZAAT PAY SOCHO
duniya ki bareek nazar say , duniya ki har baat pay socho
Jazbon ki aukaat hi kya hai
jazbon ki aukaat pay socho
Wo Dekho ! ik saaye per phir weeraanay main bijlee karki...
GEHRi GEHRi AANKHON WAALi , ULJHi ULJHi PAAGAL LARKi !

Teri Ankhoon Si Ankhien aaj aik chehray pe dekhi hien


Teri Ankhoon Si Ankhien 
aaj aik chehray pe dekhi hien 
Wuhi rungut ' banawat 
aur waisi beyrukhi un mien 
bichurtay waqt ju main ne 
Teri ankhoon mein dekhi thi 

Teri ankhoon si ankhoon ne 
mujeh aik PuL ko dekha tha 
wuh puL aik aam sa puL tha 
mager os aam se puL mien 
puraanay kitnay mausum' kitnay munzur main ne dekhay thay 
Meri jaa'n main samjha tha 
teri ankhoon si ankhien jub 
meri ankhoon ko dekheingi 
tao ik Lumhay ko soochaingi 
keh in ankhoon ko pehLay bhi 
kisi chehray pe dekha hai 
Mager in jheeL ankhoon mein 
shanasaayi nahi jaagi 
Meri Ankhien ~!! 
teri ankhoon si ankhoon ke Liey 
kaab khaas ankhien thien 
teri ankhoon ne shaayid yeh 
kaayi chehroon per dekhi hoon 
keh yeh to AAM ankhien hain 

Main aisa sooch sakta tha 
mager main kya keroon diL ka 
ju ub yeh yaad rukheyga 
teri ankhoon si ankhien 
main ne aik chehray pe dekhi thien 
phir os k baad kitnay din 
meri ankhoon mein sawan tha

chalo yun hi sahi uss shakhs ko bhool jatey hain


chalo yun hi sahi
uss shakhs ko bhool jatey hain
nahin, hum kuch nahin kehtey
hum apney khwab atish-dan main rakhney ko razi hain
tamana'on bharey daman ko uth ker jharr detay hain
wo jo ik shoq tha dil main useey anqa samjhtey hain
hum apney aap ko apney liye moquf kertey hain
tumhein hum kuch nahin kehtey

bus ik khwahish hay, so es ko bhi tum nazer-e-Mohabbat ki tarah jano
wohi khushboo jo apni jan hay, ab ajnabi tehrey
chalo yun hi sahi, 
ik baat lakin zehan main rakhna
"kisi mosam k mathey per humarey hont ubhren gay
kisi roshan zamaney main humari bhi talab ho gi
kisi tareek jungle main humarey naam k jugnoo janam len gay
kisi lamhey ki ankhon main humarey ishq ka kajal laga ho ga
kisi bay saya basti main shajer hum say harrey hon gay" 

Adhore khuwab ke ander



Adhore khuwab ke ander 
kabhi palken beechana mat 
adhure khuwab aankhon ko bohat takleef dete hain 
adhuri yaad ko dil ki zamin me tum nahi bona 
adhuri yaad dharkan me bohat chubti, sisakti hai 
khalish ban ker khatakti hai 
lahu me bijlian ban ker bhatakti hai 
adhure pyar ko.....lekin chalo jane do isko tum 
Mohabat, pyar, chahat, Ishq hote hi adhure hain

AADAT SI PAR GAI HAI


AADAT SI PAR GAI HAI 
Aalam Jhailney ki 
Ashkon key saath Jaisey 
Sar-e-Sham Khelney ki 
Jab Tak Na Chashm tar ho 
Dil ko Sukoon Nahin Hai 
Ek Dukh Ho to Bataoon 
Mere Bas Main kuch Nahin Hai 
Ab ki Baar Lekin ...... 
Dukh Aisa kuch Mila hai 
Key Jaan to Baqi hai 
Par Saans Ruk Gai Hai 
Aur Dua bhi .........Janey 
Kidhar ko Bhatak Gai Hai 
Mujhe Itne Dukh Na de key 
Mera Sabr Toot Jai 
Is Kashmakash Main Mujh Se 
Meri Jaan Hi Rooth Jai 
Key ab ki Baar "Ansab" 
Mujhe Phir se Dukh Miley to 
Ab key Na Seh Sakoon ga

tum mere paas raho

tum mere paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho
jis ghaDii raat chale
aasamaano.n kaa lahuu pii kar siyah raat chale
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas chale
bain karatii hu-ii, haNsatii hu-ii, gaatii nikale
dard kii kaasanii paazeb bajaatii nikale
jis ghaDii siinon men Duubate huye dil
aastiinon main nihaaN haathon kii rah takane nikale
aas liye
aur bachchon ke bilakhane kii tarah qul-qul-e-may
bahr-e-naasudagii machale to manaaye na mane
jab ko-ii baat banaaye na bane
jab na ko-ii baat chale
jis ghaDii raat chale
jis ghaDii maatamii, sun-saan, siyah raat chale
paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho

Aitebar Mat Kerna Chand ki udasi ka


Aitebar Mat Kerna 
Chand ki udasi ka 
Manzilon ki Qurbat ka 
Dard ki Judai ka 
Bekali ki Furqat ka 
Chahton mai Khushion ka 
Rasty main Logon ka 
Shehar ki Muhabat ka 
Pyar k Musafir ka 
Hijar k Bahany ka 
Aitebar mat kerna 
Ansoo'n k behny ka 
Umar bhar zmany ka 
Aitebar Mat Kerna !!

Log kahtay hown ajnabi tum ko

Log kahtay hown ajnabi tum ko 
Ajnabi mari zandagii tum ho 


Dil kisi ka na ho paya 
Arzoo mari ajj bhi tum ho 


Muj ko apna sikray-e-ghum kar lo 
Youn aiklay hi bohat dukhi tum ho 



Dostoo say wafa ki umeedian 
Kis zamanay kay admi tum ho 



Main zameen pay utra hoon 
Tum asmanoun ki chandni ho

tum ab ager mill bhi jao

tum ab ager mill bhi jao 
too kia hasil 
ke ab hum zindgi ke us moor per hain 
jahna humain kisi cheez ki khawahish nahi 
na tumhain panay ki na kho denay ki 
na hasnay ki na roo denay ki 
tumhain maloom hai 
ke khawahishoon ki ik umr hoa kerti hai 
meri tamam khawahishain maar chuki hain 
aur tum bhi unhi khawahishoon main shamil hoo

Bohat Mumkin tha Merey Paoo'n , Meri Zeest ke


Bohat Mumkin tha 
Merey Paoo'n , Meri Zeest ke 
Kaantey Nikal Jaatey 
Bohat Mumkin tha 
Meri Raah ke Pathar Pighal Jaatey 
Jo Deewaarein Merey Raste mein Haayel Thein 
Merey Aagey Se Hatt Jaatein 
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey 
Kohsaaroo'n ki taraf Aik Pal 
Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo se Katt Jatein 
Bohat Munkin tha Angaaroo'n Bhari Iss Zindegaani mein 
Tumhaarey Paaoo'n ke Ujley Kanwal Khiltey 
Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein 
Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey 
Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti 
Hamari Rooh kab Ham se Khafa Rehti ? 
Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha 
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey 

Nahin shaam-e-safar aisa nahin hai


Nahin shaam-e-safar aisa nahin hai
Musafir laut kar aya nahin hai

Hum itne dukh main bhi bikhrey nahin hain
Humara haal tum jaisa nahin hai

Main aise shehar main tanha khara hoon
Jahan tanhai bhi tanha nahin hai

Mere jaisa naa tha abaad koi
Mere jaisa koi ujraa nahin hai

Tumhare naam ka ansoo koi bhi
Humari ankh mein thehraa nahin hai

Koi mousam to aisa ho

Koi mousam to aisa ho 
Kay jab bichray huo'n ki yaad kay jugnu 
Chamak kho dei'n 
Kisi kay hijr main ronay say pehlay hi 
Meri aankhain kabhi so dei'n 
Koi mousam to aisa ho 
Kay jab sab phool ulfat kay 
Kisi anmit mohabbat kay 
Merey dil main khilain par 
Un main woh khushbu na ho baaqi 
Woh khushbu jo tumharay qurb say mehsoos hoti thi 
Koi mousam to aisa ho 
Kay dil kay zakhm bhar jaein 
Agar aisa nahi hota to phir 
Kitna hi acha ho 
Kay saari khuahishei'n dil ki 
Woh sarey khuab aur arma'n 
Yun'hi ghut ghut kay mar jaein 
Mujhay aazaad kar jaein 
Koi mousam to aisa ho 
Kay jo mousam tumhari yaad ka mousam na ho...

kaho to haath utthaa ke thumhein rabb se mang loon

kaho to … 
haath utthaa ke… 
thumhein rabb se mang loon 
agar chaho to… 
thumhein cha’h loon 
tumhari masoom nazron ka 
sadqa utar loon 

kaho to yeh sare 
chanda sooraj aur tare 
tumhari jholi mein bhar doon 
bas tumhein pa loon 
tumhein cha’h loon 
aur piyar ker loon 

kaho to… 
tumhari masoomiyat ke waste 
mar jaon…… 
piyar amar ker doon 
bas tumhein pa loon 

kaho to.. 
han… agar kaho to…

Ab wo aankhoon k shagufay hain na chehroon k gulaab

Ab wo aankhoon k shagufay hain na chehroon k gulaab
Aik manhoos udasee hai k mittee hi nahi
Itni bay rang hain yeh rang ki khugar aankhain
Jeisay is shehr-e-tamanah say koi rabth na tha
Jeisay dekha tha sarab
Dekh layta hoon agar koi shanasa chehra
Aik lamhay ko usey dekh k ruk jata hoon
Sochta hoon k berhoon oor koi baat karoon
Us say tajdeed-e-mulaqaat karoon
Laykin us shaks ki manoos guraizaan nazrain
Mughko ehsas delatee hain k ab us k leay
Main bhi anjaan hoon aik aam tamashaee hoon
Rah chaltay hwey in doosray loogoon ki terha

na jaane ashk se aankhoun mein kyoun hai aaye hue


na jaane ashk se aankhoun mein kyoun hai aaye hue
guzar gayaa hai zamaanaa tujhe bhulaaye hue

jo manzilein hain to bas raharavan-e-ishq kii hain
vo saans ukhadii huii paanv dagmagaaye hue

na rahzanoun se ruke raaste mohabbat ke
vo kaafile nazar aaye lute lutaaye hue

ab is ke baad mujhe kuchh khabar nahiin un kii
Gam aashanaa hue apane hue paraaye hue

ye iztiraab saa kyaa hai ki muddatein guzarii
tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahiin


pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahiin
kaisaa baadal hai jisakaa koii saayaa bhii nahiin

beruKhii is se barii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hamen us ne sataayaa bhii nahiin

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii nahiin

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii nahiin

tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahiin

TAMAM ARAZ O SUMA KO GWA KARTAY HOWAY

TAMAM ARAZ O SUMA KO GWA KARTAY HOWAY 
KOI GUZAR GYA MUJ PER NIGHA KARTAY HOWAY 

JO BOOJ APNAY NAHE WO BE DHONAY PERTAY THAY 
IS AAB O HAK SAY MUJ KO NIBHA KARTAY HOWAY 

MAIN CHUP KARAA HOON YAHAN AUR GUZARTA JATA HAY 
KOI SAWAL KOI INTIBA KARTAY HOWAY 

JAHAN AJER O SIZA MAIN BAJIZ DIL AZAREE 
MAIN SOCHTA NAHI KOI GUNA KARTAY HOWAY 

JO HARF CHTAA HOON, LIKH NAHI SAKA AAB TAK 
ZAMANA HO GYA KAGAZ SIA KARTAY HOWAY 

AAB IS PAY TARK MARASIM K WAQAT GOR NA KAR 
JO BAT SOCHNEE THE RASIM O RAWA KARTAY HOWAY 

SANWAL WAR BEE OCHA NAHI KIA LIKEN 
WOHA THA RANJ BE IS KO TABA KARTAY HOWAY

kabhi ghum yoon bhi hota hai


kabhi ghum yoon bhi hota hai 
ke sansain toot jati hain 
kisi ki rah tuk aa ker 
nigahain sookh jati hain 
jinhain aana hoo jevan main 
wohi aanay nahi patay 
jinhain aana hoo khawaboon main 
wo rasta bhool jatay hain 

kabhi ghum yoon bhi hota hai 
jahan dil apna khilta hai 
wohin mosam badaltay hain 
humain jo naam lena hoo 
amanat aur ki hoo wo 
humain jo baat kerni hoo 
sira wohi nahi milta 

kabhi ghum yoon bhi hota hai 
jahan phoolon ki aahat hoo 
khizaan bhitaan ke aati hai 
koi dharkan sunaye gi 
humain kia raaz ki batain 
kabhi jab hath dil per hoo 
too dil hi mil nahi patay 

kabhi ghum yoon bhi hota hai 
ke lawa beh nahi pata 
khawahish aisi hoti hai 
magar hum roo nahi saktay 
sar-e-maqtal kharay ho ker 
kabhi tum ko pukarain too 
sadain mil nahi sakti 
kabhi ghum yoon bhi hota hai 
ke maar janay ko dil chahay 
koi marnay nahi deta 
kabhi ghum yoon bhi hota hai 
humain hi ghum kyon hota hai 
usay ghum kyon nahi hota

samajhaa thaa main mujhe kisii qaabil banaa diyaa

samajhaa thaa main mujhe kisii qaabil banaa diyaa 
ye kyaa kiyaa ki dard ko phir dil banaa diyaa

Gam ne taGaiyuraat ke qaabil banaa diyaa 
jo dard apanii had se barhaa dil banaa diyaa


itane muGaalate diye ummiid-o-biim ne 
saahil ko mauj mauj ko saahil banaa diyaa


itanii karii nigaah se dekhaa na kiijiye 
har rishta-e-nazar ko rag-e-dil banaa diyaa


ye kyaa banaane vaale tere jii mein aa gaii 
bijali banaa rahaa thaa magar dil banaa diyaa

har zarraa rah guzar kaa to hiiraa nahiin' 
jis mein salaahiyat thii use dil banaa diyaa

Popular Posts