Ankhon ko choh rahe hain sitaron ke narm hath
palkon pe aa ruki hai tamanna-e kehkashan
zulfon ke taar taar se phooti hain mastiyan
hoton ko chomti hai shararat se chadni
pairon ki laghzishen hain surahi ki hichkiyan
raston main har taraf hain gul-e-yasmeen khelay
khushbo main kiyon na bandh lain phoolon kay haar hum
suntee hain chandni younhi barsay gi raat bhar
mujh ko pukariye to zara ihtiyaat se
aisa na ho ki kanch ki deewaar gir pare
main khwaab ke safar main hon
aahista boliye
No comments:
Post a Comment