Sunday, June 6, 2010

Go kehnay wali too behisaab batain hain

Go kehnay wali too
behisaab batain hain 
aur meri jhooli main
beshumaar ratain hian 
beshumaar ratain jo
jaag ker guzari hain
kis tarah mere dil se 
naag ban ker lipti hain
beshumaar ratoon main 
un ginat wo lamhay hian 
jin ki bund muthi main 
sirf teri batain hain
beshumaar ratoon ki 
behisaab lamhoon ki
unkahi sabhi batain
sirf tujh se kehni hian 
na kahin too wo batain
beshumaar ratoon ki 
behisaab lamhoon ki
zindgi ki rahoon ko
khar khar ker dain gi
phir bhi ye irada hai
zindgi ki rahoon per
paoon khoon se rang jain
beshumaar ratoon ki 
behisaab lamhoon ki
unkahi sabhi batain
chahay dil ko daas jain 
tujh se kuch nahi kehna

No comments:

Popular Posts