main jism o jaan ke tamaam rishtoon se chahata hoon
nahi samjhta ke aisa kyon hai
na khaal-o-khud ka jamal us main
na zindgi ka kamal koi
jo us main koi hunar bhi ho ga
too mujh ko is ki khabar nahi hia
najanay phir kyon main waqt ke dairoon se bahr
kisi tasawar main urr raha hoon
khial main,khawab-o-khalwat-e-zaat-o-jalwaat-e-bazm main shab-o-rooz
mera lahu apni gardishoon main usi ke tasweer perh raha hia
jo meri chahat se bekhabar hai
kabhi kabhi wo nazar chura ker qareeb se meray yoon bhi guzra
jaise wo ba-khabar hai mujh se
dil-o-nazar ki hakayatain sun rakhi hian us nay
meri hi soorat wo waqt ke dairoon se bahir kisi tasawar main urr raha hai
khial main,khawab-o-khalwat-e-zaat-o-jalwaat-e-bazm main shab-o-rooz
wo jism-o-jaan ke tamaam rishtoon se chahata hai
mager nahi janta ye wo bhi ke aisa kyon hai
main sochta hoon, wo sochta hai
kabhi milain hum too aainoon kay batin aayan karain gay
haqiqatoon ka safar karain gay
No comments:
Post a Comment