koee phool dhoop ke patioon mein haray ribbun say bandha howa
woh ghazal ka lehja naya naya, na kaha howa na suna howa
jissay lay gaiee hai abhi hawa, woh warq tha dil ke kitaab kaa
kaheen ansoon say mita howa, kaheen ansoon say likha howa
kaee meel rait ko kaat kar koye mouj phool khilla gayee
koi pair payaas say mar raha hai nadi kay paas khara howa
wohi khat keh jis pay jaga jaga do mehaktay hontoon kay chand thai
kisee bholay bisray say taaq par teh gard hoo ga daba howa
mujhay hadsoon nay saja saja kay bohat haseen bana diya
mara dil bhi jaisay dulhan ka haath hoo mehandiyon say racha howa
wohi sehar hai wohi rastay wohi ghar hai aur wohi lawn bhi
magar iss dareechay say poochna woh darakhat anar ka kaya howa
mairay sath jugnoo hai humsafar, magar iss sharar ke bisaat kaya
yeah chiragh koi chiraagh hai, na jalla howa, na bujha howa
No comments:
Post a Comment