Tuesday, September 1, 2009

Bakhabar tha ik nazarme do jahan le jaega

Bakhabar tha ik nazarme do jahan le jaega
Meri jaan ban kar wo ik din meri jaan le jaega

Aakhri hichki se pahle chaaragar se poochloon
Jo nazar aata nahi rishta kahan le jaega

Maikada daer-o-haram yaan koyi diwanoki bazm
Tujhse yeh bichhada hua lamha kahan le jaega

Voh jo pichhle saal sab kheton ko sona de gaya
Ab ke wo toofan kis kis ka makaan le jaega

Wo chala jaega mujhse karke iqraar-e-wafa
Tod jaega safina baadbaan le jaega

Ishq me isne to jalana hi nahi seekha Kabhi
Aag de jaega mujhko khud dhuan le jaega

ab ye hogaa shaayad apanii aag me.n Khud jal jaaye.nge

ab ye hogaa shaayad apanii aag me.n Khud jal jaaye.nge
tum se duur bahut rah kar bhii kyaa paayaa kyaa paaye.nge

dukh bhii sachche sukh bhii sachche phir bhii terii chaahat me.n
ham ne kitane dhoke khaaye kitane dhoke khaaye.nge

aql pe ham ko naaz bahut thaa lekin ye kab sochaa thaa
ishq ke haatho.n ye bhii hogaa log hame.n samajhaaye.nge

kal ke dukh bhii kaun se baaqii aaj ke dukh bhii ka_ii din ke
jaise din pahale kaaTe the ye din bhii kaT jaaye.nge

ham se aabalaa-paa jab tanhaa ghabaraaye.nge saharaa me.n
raaste sab tere hii ghar kii jaanib ko mu.D jaaye.nge

aa.Nkho.n se ojhal honaa kyaa dil se ojhal honaa hai
mujh se chhuut kar bhii ahal-e-Gam kyaa tujh se chhuut jaaye.nge



_________________

phir shab e tanhai mein

phir shab e tanhai mein
dil ka koocha
yaad se abad hua hai
rastoon ki dhool aaj
qadmoon se mere lipti hai
aankh mein kuch
benaam sa paani tahra hai
aag k shooloon mein
narsaai ki tamaash pahli
zehan k aaine mein
dhudla sa naksh ubrah hai
haath ki lakeeroon mein
kuch tabdeeli lagti hai
ya phir…………..
aankh ka sara dhoka hai

"suno" Aisa nahin kertey,

"suno"
Aisa nahin kertey,

K jis dil men b rehte hon,

usey tura nahin kertey,

"Suno"
Kuch dair ruk jao,

Koi tadbeer ker len ge,

Jo sare khwab dekhey hen,

Unhen tabear kerlen ge,

"Suno"
Bina tere ye zindagi hum,

Kaho kesey bitayen ge,

Qasam se toot jayen ge,

"Suno"
Jub yad aaoo ge,

Bohut royen ge hum,

Tumhen kese bhulaen ge,

"Suno"
Jub dard hoo ga to,

Tarap ker mer he jayen ge,

"TUMHEN NA BHOOL PAYEN GE".

Chalo ye raat ham ik dosre ke naam karte hain,

Chalo ye raat ham ik dosre ke naam karte hain,
Chalo ik dosre ke aj ham dukh dard sunte hain,
Bhatakte ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamtan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehte ho hazaron dard sehte ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor sunte hain,
Chalo acha yon karte hain,
Suno tum ham sunate hain,
Ham apne dil ke har ik zakhm se parda uthate hain,
Dikhate hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti jarahi hay zindagi faysal,
Tarapte hain sulagte hain magar khamosh rehte hain,
Chalo ye rat ham ik dosre ke naam karte hain,
Chalo ik dosre ki aj ham tanhaiyan banten



_________________

Kahin sehra kahin sookhy shajar achy nhi lgty

Kahin sehra kahin sookhy shajar achy nhi lgty

Muje ab khwabzaaron k safar achy nhi lgty

Jawabi khat me yun usne mery bary me likha tha

Bura b keh nahi sakty mgr achy nahi lgty

Nahi masroof main itna k ghar ka rasta bholon

Koi jab muntazir na ho to ghar achy nahi lagty

Smandr tairti lashon se ye kehta raha shab bhar

Mujhy b doobny walo, bhanwar achy nahi lgty

Nahi aisa k ab parwaz ki taqat nahi baqi

Meri ummeed k panchi ko pr achy nahi lgty...



_________________

Meri zindgi ka tasawwar mery hath ki lakiren

Meri zindgi ka tasawwar mery hath ki lakiren

Inhain kaash tum bdaltay to kuch or baat hoti

Ye khulay khulay se gesoo inhain laakh tum sanwaro

Meray hath sey sanwartay to kuch or baat hoti

Main tera aaina tha main tera aaina hon

Mery samnay sanwarty to kuch or baat hoti

Abhi aankh hi larri thi k gira diya nazar se

Ye jo silsila barhatay to kuch or baat hoti

Hamein apni zindgi ka kuch ghum nhi hai lekin

Tery "aastaan" pe marty to kuch or baat hoti



_________________

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna
Bohut Aasaan Nahin Hota, Judai Mangte Rehna

Zara Sa Ishq Karlena, Zara Si Aankh Bhar Lena
Phir Is K Baab Main Sari Khudaai Mangte Rehna

Kabhi Mehroom Honton Pe Dua Ka Hurf Rakh Dena
Kabhi Wehshat Main Us Ki Narsai Mangte Rehna

Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Roth Jati Hai
Kahani Main Zara Si Bewafai Mangte Rehna

Ajab Hai Wehshate Jan Bhi K Aadat Hogai Dil Ko
Sakot-E-Sham-E-Gham Se Ham Nawaai Mangte Rehna

Kabhi Bache Ka Nannhe Hath Pe Titli K Per Rakhna
Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna



_________________

Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi

Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi



_________________

yeah muhabaton ke asool hain

mujhay chashm-e-naz se mut gira
mairay hum nafas, mairay sathiya
teray saray arz qabool hain
yeah muhabaton ke asool hain

rahon kab talak tery rahon main
mujhay rakh ke daikh nigahon main
mairy khawahishien teri chah main
kisi guzray waqat ki dhol hain
yeah muhabaton ke asool hain

mairy zindagani dhuwan dhuwan
teray sath jaoon kahan kahan
mairy arzoien khizan khizan
teray pas phol hi phol hain
yeah muhabaton k asool hain

mujhay mairy zat pe qudratien
kahan main. kahan mairy hasratien
tery be rukhi, tery raghbatien
mairy zindagi ka hasool hain
yeah muhabaton ke asool hain



_________________

…:::Maa’n (mother):::…

Zindagani Ke Safar Main Gardishoon Ki Dhoop Main
Jab Koye Saya Nahi Milta To Yaad Ati Hai Maa’n

Payar kahtay Hain Kise Aur Mamta Kiya Cheez Hai
Koye Un Bachoon Se Pochay Jin Ki Mar Jati Hai Maa’n

Ghar Se Jab PPardes Ja Ta Hai Kooye Noor-e-Nazar
Hath Main Qur’an Le Ker Dar Pe Aajati Hai Maa’n

De Ke Bachay Ko Zamanat Main Razaye Pak Ki
Peechay Peechay Sir Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa’n

Kanpti Aawaz Se Kehty Hai Baita “Ulwida”
Samnay Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa’n

Jab Perayshani Main Ghar Jatay Hain Hum Pardes Main
Ansoon Ko Poonchnay Khawaboon Main Aajati Hai Maa’n

Dair Ho Jati Hai Ghar Anay Main Aksar Jab Hamain
Rait Per MAchli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Martay Dum Tuk uska Bacha Na Ghar aye Pardes Se
Apni Dono Putliyaan Chokhat Pe Rukh Jati Hai Maa’n

Baad Mar Janai Kai Phir Baite Ki Khidmat Kai Leye
Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa

ae larki suuno

ae larki suuno

tumhari dilruba aankhain
jab sharam se jhuukti hain
tumhare honton ki hiddat se
tumhari gaak li laali
mujhe sab kuch batati hai
tumhain kitni mohabat hai
tumhain kis ki zaroorat hai
magar
ik ehsas hota hai
rishte kitne bhi sache hon
jana hi nuqaddar hai
ghari bhar ki mulaaqaten
samjho to ghaneemat hain



_________________

Seeny Main Koi Lamha Utar Kar Toot Jata Hai !

Seeny Main Koi Lamha Utar Kar Toot Jata Hai !
Kabi Mudat Ke Padesi
Agar Apny Na Any Koi Begam Bhajyn
Aor Makanon Pe Likhi Umeed Benaai Ganwa Bethy
Chaton Pe Banjpun Ka Dukh Utaar Aayy
Udasi Thehar Jati Hai
Kabhi Bichry HuOON ka Dukh
Kisi Bi Sham Ki Weranion Se Lug Ke Rota Hai
Shabyn BeArzoo Ho Kar Khamosi Orh Leti Hain
Kabhi Jab Dil Ki Nazuk Tar Se Likha Gia Koi Khat
Kahin Rasty Main Kho Jay
Ya KHat Ki Muntazar KHahish Ko Koi Rog Lug Jayy
Jahan Mauka Nikal Ayyyy
Jahan Sorat Bany Gham Ki
Jaahan Beronki Ka Koi Bhi Pehlo Nikalta Ho
Wahin KHema Lagati Hai faysal
Udasi Thehar Jati Hai ...............



_________________

samajh rahe haiN aur bolne ka yaaraa nahiiN

samajh rahe haiN aur bolne ka yaaraa nahiiN
jo hamse mil ke bichhaD jaaye, vo hamaara nahiiN

samandaroN ko bhii hairat huii ki Duubte waqt
kisii ko hamne madad ke liye pukaaraa nahiiN

jo ham nahiiN the to phir kaun thaa sar-e-bazaar
jo kah rahaa thaa ki biknaa hameN gavaaraa nahiiN

abhii se barf ulajhne lagii hai baaloN se
abhii to qarz-e-maah-o-saal bhii utaaraa nahiiN

ham ahl-e-dil haiN muhabbat kii nisbatoN ke amiiN
hamaare paas zamiinoN kaa ghoshvaaraa nahiiN hai



_________________

kahii sunii pe bohat etbaar karne lage

kahii sunii pe bohat etbaar karne lage
mere hii log mujhe sangsaar* karne lage

puraane logoN ke dil bhii haiN khushbuoN kii tarah
zaraa kisii se mile, etbaar karne lage

naye zamaane se aaNkheN nahiiN milaa paaye
to log guzre zamaane se pyaar karne lage

koi ishaara, dilaasa na koii vaada magar
jab aaii shaam teraa intezaar karne lage

hamaarii saadamizaajii ki daad de ki tujhe
baGair parkhe teraa etbaar karne lage

sun kar mirii Ghazal ko kahiiN muskura na de

sun kar mirii Ghazal ko kahiiN muskura na de
yaanii mire Khayaal ko paikar banaa na de

yooN Gham chhupa ke haNstaa hooN jaise nayaa ra'iis
ahbaab ko bhii apnaa puraana pataa na de

ik aur Gham yah hoga ko_ii ham_navaa nahiiN
yah dasht-e-Gham hai dekh, kisii ko sadaa na de

diivaana kahne vaalo tumhaarii Khataa nahiiN
maalik kisii ko zabt-e-alam kii sazaa na de

sab kuchh luTaa ke ab yah duaa maaNganii paRhii
Allaah dil to de, dil-e-dard aashnaa na de

jo sar uThaa ke chalne kii tarGhiib de mujhe
aisaa urooj merii Ghazal ko Khudaa na de

Apni Beeti Hui Rangeen Jawani Dega,

Apni Beeti Hui Rangeen Jawani Dega,
Mujh Ko Tasveer Bi Dega To Purani Dega.

Aadatein Milti Hein Sooraj Se Bohat Kuch Uski,
Waqt-e-Rukhsat Bi Wo Ik Sham Suhani Dega.

Mere Maathe Ki Lakeeron Mein Izafa Ker K,
Wo Bi Maazi Ki Tarha Apni Nishani Dega.

Barf Hojayega Jab Mere Lahu Ka Dariya,
Tab Kahin Ja K Wo Mojon Ko Rawani Dega.

Maine Ye Soch K Boye Nahi Khuwabon K Darakht,
Kon Jangal Mein Lage Pair Ko Pani Dega..?



_________________

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN


kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN


kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN


ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN


voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN


ajab ilzaam huuN zamaane kaa
ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN


kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN


tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN


kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

udaas raaton mien tez coffee ki talkhiyon mien,

udaas raaton mien tez coffee ki talkhiyon mien,
wo kuch ziyada hi yaad ata hai sardiyon mien,

mujhey ijazat nahin hai us ko pukaarney ki,
jo goonjta hai lahu mien,seeney ki dharkanon mien,

wo bachpan jo udaas rahon mien kho gaya tha,
mien dhondta hun usey tumhari sharartoun mien,

usey dilasey to dey raha hun magar ye such hai,
kahien koi khauf barh raha hai tasalliyon mien,

tum apni pouron sey janey kia likh gaye thay jana,
charagh roshan hain ab bhi meri hatheliyon mien,

jo tu nahin hai to ye mukammal na ho sakiengien,
teri yehi ehmiyat hai meri kahaniyon mien,

mujhey yaqeen hai wo thaam ley ga, bharam rakhey ga,
ye maan hai to diye jalaye hain andhiyon mien,

har ik mausam mien roshni si bekhairtey hain,
tumharey ghum key charagh meri udasiyon mien….



_________________

Ye mashq-e-gham-naveesi mera shoq tu nahin hey

Ye mashq-e-gham-naveesi mera shoq tu nahin hey
na hi zindagi ka noha mera khaas mashghala hey
par sochta hoon waqt ney mujhey aesa kya dia hey
jisey koi wajah bana kar mein khushi sey jhoom jaaoon
mein aainon ke rukh par muskaan apni deikhoon
ya mosamon ki dhun par koi naghma gun’gunaaoon!
mein wafoor-e-dard-o-ranj sey jo kuch bhi seekh paaya
wo tajurbat bechney ko koi dukaan nahi sajaai
ye haadson ke qissey to bas yunhi likh raha hoon
mein ney kaaghzon ke ooper koi numaaish nahi lagaai!



_________________

Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon

Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon

ankhon ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon

har husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon

duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon

pahale pahal ka ishq abhi yad hai 'Faraz'
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa

Chaloo Choroo! Muhabbat Jhoot hai…

Chaloo Choroo!
Muhabbat Jhoot hai…
“Ahed-e-wafa” ik shughal hai bekar logoon ka
“Talab” Sokhay hoye patoon ka be ronaq jazeera hai
“Khalish” Demak zada awraq per
Boseeda satroon ka zakheera hai

Chaloo choro!
Ke Ab tuk main andheroon ki
Dhamak main saans ki Zarboon pe
Chahat ki bunyad rukh ker Safer kerty rahy hoon
mujhe ihsas hi kub tha…
Ke Tum bhi mousmoon ke sath
Apnay pairhun ke rung badloo gay…

Chaloo choro!

Maira hona na hona ik baraber hai
Tum apnay haal-o-hud ko Aiynay main phir bikhrnay do
Tum apni ankh ki basty main phir se ik naya mousam utarnay do
“Mairay Khawaboon ko Murnay do”
Chaloo Choro!
Muhabbat Jhoot hai…!

main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta

main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahta hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khata bar bar nahi karta

aa bhii jaao kii zindagii kam hai

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahi ho to har Khushii kam hai


vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii
shahar me aaj raushanii kam hai


jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaandani kam hai


aayinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai


tere dam se hii mai mukammal huun
bin tere meri zindagi kam hai

Shehr-e-Dil ki Galiyoon main

Shehr-e-Dil ki Galiyoon main
Shaam se bhataktay hain
Chand k Taman-na-ee
Baiqarar Saudaii
Dil Gudaz Tarikii
Jan Gudaz Tanhai
Rooh-o-Jaan ko Dasti haii
Rooh-o-Jaan main Basti hai
Shehr-e-Dil ki Galiyoon maain

Taak-e-Shab ki bailoon per
Shabnami Sarshakoon ki
Beqarar Logon nay
Beshumaar Logon nay
yadgaar chorhi hay
Itni Baat Thori Hai ?

Sud-Hazar batain thin
Hela-e-Shakebaee
Soraton ki Zebai
Qamaton ki ranaii
In siah raton main
Aik bhi na yaad aae
Ja bja bhataktay hain
Kis ki rah taktay hain
Chand kay taman’naee

Ye Nagar Kabhi Pehlay
Is Qadar Na Veeran Tha
Kehnay walay kahte hain
Qarya-e-Nigaraan Tha
Khai apnay Jeenay Ka
Yeh bhi aik samaan tha

Aaj Dil main Veerani
Abr ban kay Ghiraaii
Aaj Dil ko kya Kahiyea
Ba-Wafa Na Haarjae
Phir Bhi Log Diwanay
Aa gayay hain samjhanay
Apni wehshat-e-dil k
Bun liyay hain afsanay
Khush khayal dunya nay

Garmiaan to Jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab Maluul raton may
Doston ki baton may
Ji na chain payay ga
Aur oob jayay ga
Aahaton say Gonjain gi
Shehar-e-Dil ki Pinhaee
Aur chand raton main
Chandni kay Shedaii
Har bahanay niklain gay
Aarzoo ki Gairaii
Dhondnay ko Ruswaii
Sard Sard Raton ko
Zard Chand Bakhshay ga
Bay-Hisaab Tanhaii
Bay-Hijaab Tanhaii
Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main………!!

Hum ney tu khir tujh se shikayat kabhi naa ki

Hum ney tu khir tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki


kis haa main hain tere satyee howyy log
tu ney yeh poochney ki zehmat kabhi naa ki


mehsoos kaya kary ga woh oroon k darad ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii


chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
uss tarah se uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii


her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii


ek khawab tha apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii


ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa

Jo Khayal Thay, Na Kayas Thay, Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaey

Jo Khayal Thay, Na Kayas Thay, Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaey
Jo Mohabbaton Ki Assas Thay, WOhi Log Mujh SeyBichar Gaey

Jinhein Manta Hi Nahi Yah Dil, Wohi Log Merey Hain Hum Safar
Mujhey Har Tarah Sey Jo Raas They, Woho Log Mujh Sey Bichar Gaey

Mujhey Lamha Bhar Ki Rafaqaton, Kay Sarab Aur Sataein Gay
Meri Umar Bhar Ki Jo Piyaas Thay, Wohi Log Mujh sey Bichar Gaey

Yah Khayal SArey Hain Arzi, Yah Gulab Sarey Hain Kagzi
Gul Aszoo Ki Jo Baas Thay, Wohi Log Mujh Sey Bichar GAey

Jinhein Ker Saka na Qabool MAIN, Woh Shareek Rah-e-Safar Howey
Jo Meri Talab, Meri Aas Thay, Wohi Log Mujh Sey Bichar Haey

Meri Dharkanon Kay Qareeb Thay, Meri Chah Thay, Mera Khawab Thay
Woh Jo Roz-o-Shab Mery Pass Thay, Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaey


Haan Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaey

main to iss karb-e-nazara say tadap utha hoon

main to iss karb-e-nazara say tadap utha hoon
Kitnay aaisay hain jinhain hasrat-e-bainaee hai
Jin ki qesmat main kabhi dolat-e-deedar nahi
Jin ki qesmat main tamasha na tamashaee hai

Jo tarsatay hain k kirnoo'n ko barasta dakhei'n
Jo yah kahtay hain k manzil nahi rasta dekhei'n

Unn say kah do k vo aaein maree aankhain lay lain
iss say pahlay k jisam mara fana ho jaey
Iss say pahlay k yah khakstar-e-jaa'n bhi na rahay
iss say pahlay k hashar bapa ho jaey
Apnay chahray pay laga lay koi maree aankhain

Kon sah paey ga lakin maree aankhoo'n k aazab
Kis ko yah hosla ho ga k hamaisha dekhay
Apni palkoo'n ki saliboo'n say utartay howay khawab

Jin ki kircheeo'n ki chubhan rouh main bas jati hai
Zindagi,zindagi bhar k liyey kurlati hai!!!!!!!!!
__________________

Apna hissa shumar karta tha,

Apna hissa shumar karta tha,
Mujhse itna woh pyar kerta tha,

Woh banata tha meri tasveerain,
Unse bataen hazaar karta tha,

Mera dukh bhi khuloos-e-niyat se,
Apnaa dukh he shumar karta tha,

Such samajhta tha jhoot bhi mera,
Yun mera aitbaar karta tha,

Pehle rakhta tha phool rastay main,
Phir mera intazaar karta tha,

Aaj pehlu main woh nahi Faraz!
Jo mujh pe jaan nisaar karta tha.



_________________

himat-e-iltija nahi baqi

himat-e-iltija nahi baqi
zabt ka hosla nahi baqi

ik teri deid chin gayi mujh se
warna duniya mein kya nahi baqi

apni mashqe sitam se hath na kench
mein nahi yad-e-wafa nahi baqi

teri chishm-e-alam nawaz ki khair
dil mein koi gila nahi baqi

ho chuka khatam-e- ehad hijr-o-wisal
zindagi mein maza nahi baqi



_________________

sahal yun rah-e-zindagi ki hai

sahal yun rah-e-zindagi ki hai
her kadam hum ne ashiqi ki hai

hum ne saja dil mein liye gulshan
jab baharon ne berukhi ki hai

zehar se dhoo liye hain hont apne
lutf-e-saqi ne jab kami ki hai

tere koche mein badshahi ki
jab se nikle gadagari ki hai

bus wohi surkhro hoa jis ne
behr-e-khoon mein shanawari ki hai

jo guzarte hte daag per sadmein
ab wohi kaifiat sabhi ki hai



_________________

Teri Samundar Ankhon Mein"

Teri Samundar Ankhon Mein"

Yah dhup kinara shaam dhalen,
Milte hain dono waqt jahan,
Jo raat na din, jo aaj na kal,
pal bhar ko amar, pal bhar mein dhuaan
Is dhup kinaare pal do pal.
Hothon ki lapak
Baahon ki khanak
Yah mel hamaara jhooth na sach
Kyon raar karen, kyon dosh dharen
kis kaaran jhoothi baat karen
Jab teri samandar aankhon mein
Is shaam ka suraj dubega
Sukh soyenge ghar dar waale
Aur rahi apni rah lega.



_________________

Kuch Aur Rauz Meri Jaan Faqat Kuch Hi Rauz

Kuch Aur Rauz Meri Jaan Faqat Kuch Hi Rauz

Zulm Ki Chaaon Main Dum Lene Pe Majboor Hain Hum

Aur Kuch Dair Sitam Seh Lain Tarap Lain Ro Lain

Apne Milan Ki Raatein Hain Aur Majboor Hain Hum

Jism Par Qaid Hai Jazbaat Pe Zanjeerein Hain

Fikr_E_Mehboob Hai Aur Dil Main Aarzooyein Hain

Apni Himmat Hai Ke Hum Phir Bhi Jiye Jaate Hain

Lekin Ab Zulm Ki Miyaad Ke Din Thore Hain

Ik Zara Sabar Ke Faryaad Ke Din Thore Hain

Arsa_E_Daraz Ki Lipti Huyi Veerani Main

Hum Ko Rehna Hai Par Yun Hi To Nahin Rehna

Is Zaalim Zamaane Ka Beshumaar Sitam

Kuch Din Sehna Hai Hamesha To Nahin Sehna Hai

Ye Tere Husn Se Lipti Huyi Mere Ishq Ki Daastaan

Apni Do Roza Jawani Ki Shikaston Ka Shumaar

Chandni Raaton Ka Bekaar Behakta Huya Dard

Dil Ki Be Intiha Tarap Jism Ki Mayoos Pukaar

Kuch Rauz Meri Jaan Faqat Kuch Hi Rauz



_________________

is soch main hoon aaj k tum kon ho kia ho?

is soch main hoon aaj k tum kon ho kia ho?

is soch main hoon aaj k tum kon ho kia ho?
aik khawab ho!khoshbo ho!mairy dill ki sada ho!

main is k elawa tumhain kuch keh nahie sakti
tum mairee manajat ho tum maire dua ho

ye silsila-e-shooq kaheen toot na jayee
tum karab ho, tum dard ho, aur tum hi dawa ho

hy dill ko yaqeen aye gaa wo loot k ek rooz
jysy wo koe cheez yahan bhool gaya ho

sima mairee yadoon k kanwal bheeg rahy hain
jis terhan taira ashak sir-e-dast-e-saba ho

Dekhi Hui Rahon Se Nikal Kar Use Dekhain,

Dekhi Hui Rahon Se Nikal Kar Use Dekhain,
Is Baar Chalo Shehr Badal Kar Use Dekhain

Pani Ki Tarha Dhoop Me Urh Kar Use Dekhain,
Jangal Ki Tarha Aag Me Jal Kar Use Dekhain

Ye Sabza-e-Be Khwab Ye Jaga Hua Mehtab,
Aisa Hai K Ab Neend Mein Chal Kar Use Dekhain

Kab Tak Yuon Hi Khamosh Tamashai Rahen Hum,
Kab Tak Youn Hi Aaine Mein Dhal Kar Use Dekhain

Wo Bhi To Kai Roop Mein Aata Hai Muqabil,
Hum Bhi To Koi Rung Badal Kar Use Dekhain...



_________________

Yeh Kiss Ne Kaha Tum Koooch kro Insha JI

Yeh Kiss Ne Kaha Tum Koooch kro Insha JI


yeh kis ne kaha, tum kooch karo
baatein na banao insha ji,
yeh shehar tumhara apna hai
issay chor na jao, insha ji,

ek rooz to kiya wo hashar talak
rakhay gi khula darwaazay ko
kab laut ke ghar ko aao gaiy
sajni ko batao, insha ji,

kiya sooch ke tumne seenchi thi
ye kaisi kiyaari chahat ki
tum jinko hansaatay aye ho
unko na rulao, insha ji,



tum laakh seyaahat ke ho dhani
ek baat humari bhi maano
koi jaa ke jahan se aata nahi
uss des na jao insha ji,


nahi sirf Qateel ki baat yahan
kahin Sahir, kahin Aali hain
tum apnay puraanay yaaroN se
daaman na churaao insha ji,

ye shehar tumhara apna hai
issay chor na jao, insha ji, insha ji, insha ji

ye kis ne kaha, tum kooch karo....

Kuchh din to baso merii aankhon mein

Kuchh din to baso merii aankhon mein

phir khvaab agar ho jaao to kyaa



koii rang to do mere chehare ko

phir zakhm agar mahakaao to kyaa



ik aaiinaa thaa so tuut gayaa

ab khud se agar sharmaao to kyaa



main tanahaa thaa main tanahaa huun

tum aao to kyaa na aao to kyaa



jab ham hii na mahake phir saahib

tum baad-e-sabaa kahalaao to kyaa



jab dekhane vaalaa koii nahiin

bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa



_________________

duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage

duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaaNd taaron kaa aaNchal usii kaa hissaa hai
koii jo duusaraa oDhe to duusaraa hii lage

nahiin hai mere muqaddar men raushanii na sahii
ye khiDakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke hansataa hai
main chaahataa huuN Khafaa ho to vo Khafaa hii lage



_________________

Jo ahl e dill ho wo dard aashna hi hota hai

Jo ahl e dill ho wo dard aashna hi hota hai
Ghaney darakht ka saya ghana hi hota hai

Mujhey to raas na aaya kabhi tera milna
K tujhsey mill k mera gham siwa hee hota hai

Ye kia k tujhsey bitcharh kar bhi mai nahee'n tanha
Jidhar bhi jaoo'n tera samnaa hee hota hai

Agarchai ghair hee karta hai chhupp k waar aksar
Magar wo ghair koi aashna hee hota hai

Sabhi k bass ka nahee dasht e aagahi ka safar
Wo koi meri tarah sarr phira hee hota hai

Utchhal sakta hai darya bhi yoo'n to sahil par
Magar wo shakhs jisey doobna hee hota hai

Khula ye raaz bhi apne sulook se  faysal
K ahle ishq ka dill aaina hee hota hai



_________________

moti nahi hon, rait ka zarra to main b hon

moti nahi hon, rait ka zarra to main b hon
dariya tere wajood ka hissa to main b hon

ae qehqahe bekherne waale tu khush b hai?
hansne ki baat chor k hansta to main b hon

mujh aur us main sirf muqaddar ka farq hai
werna wo shakhas jitna hai,utna to main b hon

us ki to soch duniya main jis ka koi nahi
tu kis liye udaas hai tera to main b hon

aik aik ker k doobte taare faysal gaye
mujh ko b doobna hai,sitara to main b hon



_________________

Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai

Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai
Zaheen Hai, Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay!!!

Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay!!!

Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay!!!

Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay!!!

Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay!!!

Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay!!!

Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay!!!

Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay!!!

Woh Muntazir Meri Rehti Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chawoon Nikal Rakhti Hay...!!!



_________________

Tum nay apna ghar bana liya

Tum nay apna ghar bana liya
To kiya hum ajnabi ho gaye
Tum nay ik humsafar chun liya
To kiya hum rastay ka pathar ho gaye
Koi tumhari muhabat ka haqdar thehra
To kia hum dil se door ho gaye

Humari iltaja ki sunwai na hoi
Humare aansoo qeemti na rahe
Kia tumari sooch par bhi
kisi kay hukm kay taley lagg gaye
hum to tarastey hi rahey
tumhari muhabat kay liye

muhabat bhi qaid ho sakti hay
hum kaisy maan lain
majboori aur duniyadari hein
sirf rait ki deewarain
tum nay kaisay pasand kar leen
kisi ki razamandi ki zanjeerain



_________________

uss ne kaha k ishq ka nasha utar gaya

uss ne kaha k ishq ka nasha utar gaya
maine kaha k husn bhi aankho'n se tarr gaya

uss ne kaha k tujhko dilani hain churhiya'n
maine kaha k abb wo zamana guzar gaya

uss ne kaha k kya hai ye kajal ki dhaar si
maine kaha k aankh se darya guzar gaya

uss ne kaha k kiya mila mujhse bighaarh k
maine kaha k waqt to achha guzar gaya

uss ne kaha k khwab mai aane ka waqt do
maiane kaha k nind ka mausam guzar gaya

uss ne kaha k chand se chehrey ka kya huwa
maine kaha k wo merey dil mai utar gaya

uss ne kaha k wo nahi dega tumhara sath
maine kaha k wo chalo wa'ada to karr gaya

nazro'n se you'n giraya jaha'n bhar k saamne
shayar to uska aik hi lamhe mai marr gaya

shab se bhi marasim mere barhtay howay nahin

shab se bhi marasim mere barhtay howay nahin
din main bhi ujalay mughe sajtay howay nahin

jalatay rahay shab-e-chiraag haan to yun hoa
rastay main musafir koi bhatkay howay nahin

mere shehr ki veerani sab dastaan keh rahi hai
laashon k dhair ab jo ruktay howay nahin

hai shor-o-ghul saans ki tanhaiyon main shaamil
sannatay bhi meri zaat se simtay howay nahin

chaltay rahay ta-hayaat mohabbat k wastay
rukay bohat jagah magar thaktay howay nahin

mohabbat bhi ek ajab dastaan hai suno
mil k rahay per saath rehtay howay nahin

khaaif hai zamana mere andaaz-e-tor se
guzar rahi hai umer per jhuktay howay nahin

mohabbat, inayat, ishq-o-aarzugi
rishtay mile bohat per apnay howay nahin

rooh ne uthaya hai zillat ka her safar
perhan pe mere khaar jo liptay howay nahin

najaane kaun tha woh roshniyaan saath le gaya
deepak kisi bhi haath main jaltay howay nahin

har shaks hai ku-baku magan shab-o-roz main
pochay koi kyun un say sajday howay nahin



_________________

tu chale saath to aahaT bhii na aaye apanii

tu chale saath to aahaT bhii na aaye apanii
daramiyaa.N ham bhii na ho yuu.N tujhe tanhaa chaahe

zaahiirii aa.Nkho.n se kyaa dekh sakegaa ko_ii
apane baato.n pe bhii ham faash honaa chaahe

jism-poshii ko mile chaadar-e-aflaak hame.n
sar chhupaane ke liye vusa'at -e-seharaa chaahe

Khvaab me.n roye to ehasaas ho sairaabii kaa
ret par soye.n magar aa.Nkh me.n dariyaa chaahe

bhe.NT cha.D jaauu.N na mai.n apane hii Khair-o-shar kii
Khuun-e-dil zabt kare zaKhm tamaashaa chaahe

zindagii aa.Nkh se ojhal ho magar Khatm na ho
ek jahaa.N aur pas-e-pardaa-e-duniyaa chaahe

aaj kaa din to chalo kaT hii gayaa jaise bhii kaTaa
ab Khudaa-ba.nd se Khairiyat-e-fardaa chaahe

aise tairaak bhii dekhe hai.n 'faysal' hamane
Garq hone ke liye bhii jo saharaa chaahe

jab se bul-bul tuu ne do tinake liye

jab se bul-bul tuu ne do tinake liye
TuuTatii hai bijaliyaa.N in ke liye

hai javaanii Khud javaanii kaa sinGaar
saadagii gahanaa hai us sinn ke liye

kaun viiraane me.n dekhegaa bahaar
phuul jangal me.n khile kin ke liye

saarii duniya ke hain vo mere sivaa
mai.n ne duniyaa chho.D dii jin ke liye

baaGabaa.N kaliyaa.N ho.n halke rang kii
bhejanii hai.n ek kamasin ke liye

sab hasii.n hai.n zaahido.n ko naapasand
ab ko_ii huur aayegii in ke liye

vasl kaa din aur itanaa muKhtasar
din gine jaate the is din ke liye

Kitni Shammein Roshan Hon Gi Kitne Deep Jalao Gi

Kitni Shammein Roshan Hon Gi Kitne Deep Jalao Gi
Pyaar Ki Pehli Saalgirah Tum Kiske Saath Manao Gi

Main To Rukhsat Ho Hi Raha Hoon Aaj Tumhari Galiyo Se
Ab Tum Kiske Saath Raho Gi Kiska Saath Nibhao Gi

Aakhir Wo Din Kab Aaye Ga Jab Khalwat Mein Mujhse Tum
Mere Dil Ka Haal Suno Gi Apna Haal Sunao Gi

Farz Karo Gar Baad-e-Furqat Main Tumko Mil Jaoon To
Hairat Mein Parr Jao Gi Ya Seene Se Lag Jao Gi

Jane Se Pehle Bus Itna Soch Lo Gar To Behtar Hai
Dil Ki Galiyan Band Milein Gi Jab Tum Laut Ke Aao Gi

Theek Hai Tum Lauta Do Mujhko Mere Tohfe Aur Khatoot
Lekin Jo Din Pyar Mein Guzre Wo Kese Lautao Gi

Ho Jao Tum Laakh Kisi Ki Lekin Sun Lo Phir Bhi Tum
Mujhse Hi Mansoob Raho Gi Meri Hi Kehlao Gi



_________________

Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay

Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
kOii ilaaj hUm Dil e Barham Na Kar Sakay

Dil Kay Dyar e ShOq Mein jAlta hUa Diya
Lou Us Kii Khwahishaat Kii Madham Na Kar Sakay

Sazeena e Hayaat Ko Chaira tO Baar Baar
Sur Mein Kisi Bhi Saans Ki Sargam Na Kar Sakay

ZakhmOn Ko Meray jO bOhet hUmdardiyaan Milien
Alfaaz Meray dArd Ka Marham Na Kar Sakay

RasmOn Nay Daalii PaaOn Mein Zanjeer Is Trah
Kuch tUm Na Kar Sakay Kabhi Kuch hUm Na Kar Sakay

AansOo Diye Kisi Nay Kisi Say Millay Faraib
hUm Dastras Mein Wasl Kay mOusam Na Kar Sakay

Badlay Meri Hayaat Kii Eik Eik Saans K
faysal mUjhay wO Pyar Faraham Na Kar Sakay



_________________



badban khulne se pahle ka ishara dekhna

badban khulne se pahle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna

yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna

kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna

aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

December Kay Mahinay Ka Woh Shaid Akhri Din Tha

December Kay Mahinay Ka Woh Shaid Akhri Din Tha
Baras Guzray Kayen
Main Nay “Mohabat” Lafz Likha Tha
Kisi Kagaz Kay Tukray Per!
Achanak Yaad Aya Hay
Baras Guzray Kayen
Muj Ko Kisi Say Bat Kerni Thi
Usay Kehna Tha
Jaan-Nay Jaan! “Mujay Tum Say Mohabat Hay”
Magar Main Keh Nahi Paya
Woh Kagaz Ag Tak Lipta Para Hay Dhool Main Lakain
Kisi Ko Day Nahi Paya
Dobara Cha Ker Bhi Main Mohabat Ker Nahi Paya!

Zindegi Be-Qaraar Bhi Tu Nahi

Zindegi Be-Qaraar Bhi Tu Nahi
Ab Tera Intezaar Bhi Tu Nahi

Tarq-e-Ehad-e-Waffa Azaab Sahi
Dil Mager Sharumsaar Bhi Tu Nahi

Kis Pay Afshaa Hoon Wehshatain Apni
Pairhan Taar Taar Bhi Tu Nahi

Sir-Farazi Pay Naaz Kon Karay??
Surkhroo Shaakh-e-Daar Bhi Tu Nahi

Kaffla Kis Taruf Gaya Hoo Ga?
Rehguzzer Mai Ghbaar Bhi Tu Nahi

Rahattain Kis Hisaab Mai Likheye?
Ranjishoo'n Ka Shumaar Bhi Tu Nahi

Jantay Hain Wo Be-Waffa Hai Mager
Dil Pay Ab Ikhtiyaar Bhi Tu Nahi

Rang-e-Aks-e-Khizaa'n Bhi Kia Lena
Sir Pay Qarz-e-Bahaar Bhi Tu Nahi

Dil Se Roudaad-e-Gham Kahoon Kaisay
Dil Mera Raazdaar Bhi Tu Nahi

Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata

Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata.

Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai...Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..

Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata...

Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata...

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!

Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha

Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss kay Lafaz Thai Chehra Chaman Sa Tha

Daikha Ussay Tu Bool Paray Uss Kay Khud o Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha

Tunhaiyoon Kee Rutt Mein Bhi Lag'ta Tha Mut'mayeen
WOh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha

SOocha Ussay Tu Mein Kaiee Rungoon mein Khoo Gaya
Alam Tamaam Uss Kay Haseen Payr'han Saa Tha

Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Laboon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha

Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bhoolpan Saa Tha

Asaan Samajh Rahay Thai Ussay Shehar e Jaan Kay Loug
Mushkil Tha Iss Qadar Kay Mairay Apnay Fun Sa Tha

Woh Guftagoo Thee Uss Ke, Ussi Kay Liyeah Hee Thee!
Kehnay Ko Youn Tu Mein Bhi Shareek e Sukhan saa Thai

Taray Thai Chandini mein Keh Tuhmat Kay Daagh Thai
faysal Kal Asmaan Bhi Mairay Kafaan Sa Tha



_________________

abh ke us ki ankhon mien

abh ke us ki ankhon mien
besabab udaasi thi
abh ke us ke chehray per
dukh tha...behawasi thi

abh ke yun mila mujh se
yun ghazal suni...jese
mein bhi na_shanasa hoon
wo bhi ajnabi jesse

zard khaal o khad uss ke
sogawar daman tha
abh ke uss ke lahjay mein
kitna khudra pan tha

wo ke umer bhar jis ne
shahr bhar ke loogon mien
mujh ko hum sukhan jana
khud se mehrban samjha
mujh ko "Dilruba" likha

abh ke sada kaghaz per
surkh roshnai se
us ne talkh lahjay mein
mere naam se pehle!
sirf "Bewafa" likha



_________________

Woh be naqaab jo fasl e bahaar meN aawe


Woh be naqaab jo fasl e bahaar meN aawe
To behr e deed her ik gul qataar meN aawe

Usay ho meri nazar ka jo imtehaaN darkaar
To ba naqaab hazaaroN hazaar meN aawe

Siwaa ho jis ki zameeN aasmaan say wusat
Woh kaisay tang nazar kay hisaar meN aawe

Tu dast e baad e sabaa per payaam e aamad bhej
To lutf aur tiray intezaar meN aawe

Agar yeh sach hay k sohbat say KHoo badalti hay
To rang o nakhat e gul kuchh to KHaar meN aawe

husaini doulat e duniya ki justajoo hay abus
KHazaanay us say bharo jo mazaar meN aawe

parda karay hay ziyada jalwa bhi KHoob hoga

parda karay hay ziyada jalwa bhi KHoob hoga
aankheN to pur kashish heN chehra bhi KHoob hoga

uski enaayatoN ka chachaa bhi KHoob hoga
mashhoor woh bohat hay ruswa bhi KHoob hoga

meray ghar pay un ki aamad hay raqeeb per qayaamat
chehra bujha bujha hay jalta bhi Khoob hoga

meray dil ko toR kar woh mehfil meN muskuraaya
tanhaaeeyoN meN lekin roya bhi KHoob hoga

mehsoos ho rahi hay tayri tapish yahaN tak
ae shams e husn tayra saaya bhi KHoob hoga

meray lafz lafz per thay youN to hazaar parday
lekin woh sub kay maani samjha bhi KHoob hoga

woh chupna chahta tha sar e bazm sirf mujh say
is justajoo meN mujh ko DhoonDa bhi KHoob hoga

shikwa abuas husaini kartay ho zindagi ka
khoya agar bohat hay paaya bhi KHoob hoga



_________________

tujh se mil ker bhi kuch khafa hein hum

tujh se mil ker bhi kuch khafa hein hum
be-maruwut nahin tau kya hein hum

hum ghum-e karwaan mein baithe thay
laug sumjhe shikasta pa hein hum

is turhan se humein raqeeb milay
jaise mudat ke aashna hein hum

raakh hein hum agar yeh aag bujhi
juz ghum-e-dost aur kya hein hum

khud ko sunte hein iss turhaaN jaise
waqt ki aakhri sadaa hein hum

kyon zamane ko dein faysal ilzaam
wo nahin hein tu be wafa hein hum

Ek Chehra Saath Sath Raha Jo Mila Nahin,

Ek Chehra Saath Sath Raha Jo Mila Nahin,
Kis Ko Talaash Karte Rahe Kuchh Pata Nahin.

Shiddat Ki Dhoop Tez Hawaaon Ke Bawajood,
Main Shaakh Se Gira Hoon Nazar Se Gira Nahin.

Aakhir Ghazal Ka Taj Mahal Bhi Hai Makbara,
Hum Zindagi They Hum Ko Kisi Ne Jiya Nahin.

Jis Ki Mukhaalfat Huyee Mashhoor Ho Gaya,
In Patthron Se Koi Parinda Gira Nahin.

Taareekion Mein Aur Chamakti Hai Dil Ki Dhoop,
Sooraj Tamaam Raat Yahan Doobta Nahin.

farz karo tum chat par bethi dhup mein bal sukhati ho

farz karo tum chat par bethi dhup mein bal sukhati ho
farz karo yuon bethay bethay gehri soch mein kho jao
baal sukhana bhul kar sar guthno par rakh kar so jao
farz karo us neend mein tumnay dekha aisa sapna ho
bekal ho kar maan yeh chahaye kash yeh sapna apna ho
farz karo afsana likhnay ki khuwaish man mein paati ho
afsane kay hero ko shayad dewana likhti ho
afsane ki heroin bhi afsane hi likhti ho
farz karo alqab par ah kar haath tumhara rukh jaye
nazar tumhari dhak dhak kartey dil ki janib jhuk jaye
farz karo aik naam likho likh kar kato aur phir likho
farz karo woh naam tumhara apne is shayar ka ho
farz karo tum khat likhnay ki khuwaish man mein paati ho
likhnay se pehley khat par khushbo khub lagati ho
farz karo haan farz karo
farz karo hum dono ka dil bas aik saath dharakta ho
Farz karo yah sab baatain tumhian farz na kerna padhti houn.

aur kuuch nahi hota!!!

aur kuuch nahi hota!!!




Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaoon jin mein jukrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay......
kiun keh......

Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!



_________________

wo mujh ko jurm-e- mohabat ki yu saza dega

wo mujh ko jurm-e- mohabat ki yu saza dega
k lohe dil se mera naam tak meta dega
mujhe ye zid hai k meri ana rahe baqi
use ye zaum k akhir mujhe jukha dega
me ranjeshon se zamane k har jaaon agar
wo aik shaks mera hosala barha dega
bajaye dost k tum apne doshmano se milo
k ye ammal tu kaiy ranjeshey meta dega
mere baghar mukamal nahi hai zat us ki
ye ighteraf-e- mohabat mujhe rula dega

Banjaray Hain Rishton Ke Tijarat Nahi Kertay..

Banjaray Hain Rishton Ke Tijarat Nahi Kertay..
Hum Logon Ko Dikhaway Ki Mohabbat Nahi Kertay..

Milna Hai To Jeet Lay Meidan Mein Hum Ko..
Hum Apnay Qabeelay Say Baghawat Nahi Kertay..

Toofano Say Larnay Ka Tareka Hai Zarori..
Hum Dobnay Walon Ke Himayat Nahi Kertay..

Ankhon Main Sitary Hain Shubnam Hai Na Jugnoo..
Iss Terhan To Dushman Ko Bhi Rukhsat Nahi Kertay..

Her Simt Bary Logon Ke Bheer Hai..
Hum Itnay Khudaon Ki Ebadat Nahi Kertay!!!!!

Gum apni Mohabbat mein donon nayab ho tum nayab hain hum

Gum apni Mohabbat mein donon nayab ho tum nayab hain hum
kia hum ko khuli ankhain daikhain ik khvab ho tum ik khvab hain hum

aankhain jo hain apne chehre par ik sawan hai ik bhaadon hai
aey gham ki nadii tu fikrr na kar is waqt barray sairab hain hum

iss waqt talatum khaiz hain hum gardish mein tumhain b le lain ge
iss waqt na tair aey kashti-e-dil is waqt to khud gerdab hain hum

ikk hans puranii yaadon kaa baithaa huva kankarr chuntaa haii
tapti huii hijr ki gharriyon mein sookha huva ik tailab hain hum

aey chashm-e-falak aey chashm-e-zameen hum log to phir ane k nahin
do chaar gharri ka sapna hain do chaar gharri ka khvab hain hum

Darya Se Koh’saar Se Pehle Ki Baat Hai

Darya Se Koh’saar Se Pehle Ki Baat Hai
Insaan Her Aitbaar Se Pehle Ki Baat Hai

Nafrat Se Aur Pyar Se Pehle Ki Baat Hai
Ye Tujh Pe Aitbaar Se Pehle Ki Baat Hai

Jumbish Thi Aankh Main Bhi Badan Main Bhi Rooh Thi
Ye Baat Intezaar Se Pehle Ki Baat Hai

Dil Meray Ikhtiaar Main Hota To Tha Magar
Ye Teray Ikhtiaar Se Pehle Ki Baat Hai

Jab Dil Pen Eel Ban Ke Dikhi Theen Na Khuahishain
Ye Tujh Sitam Shuaar Se Pehle Ki Baat Hai

Kuch Saar’baan Thay Aur Jaras Ki Sadaa Bhi Thi
Ye Baad-e-Raigzaar Se Pehle Ki Baat Hai

Ek Kaarwaan Aur Aik Tha Mehmil Bhi Darmiaan
Ye Raah Ke Ghubaar Se Pehle Ki Baat Hai

Wo Aah-E-Dil’shagaaf Adeem Aur Wo Tarap
Ye Dard Ke Khumaar Se Pehle Ki Baat Hai

Ek Dard Tha Kisi Ki Nishani Dia Hua
Lekin Ye Teray Pyaar Se Pehle Ki Baat Hai

Ek Aashiaan Tha Uss Main Parinday Bhi Thay  faysal
Ye Mausam-e-Bahaar Se Pehle Ki Baat Hai



_________________

Gham Ke Her Ek Rang Se Mujh Ko Shanasa Ker Gaya

Gham Ke Her Ek Rang Se Mujh Ko Shanasa Ker Gaya
Wo Mera Mohsin Mujhe Pathar Se Heera Ker Gaya

Ghoorta Tha Main Faza Main To Sajee Theen Mehfilain
Mera Aankhon Ka Jhapakna Mujh Ko Tanha Ker Gaya

Her Taraf Urnay Laga Tareek Saayon Ka Ghubaar
Shaam Ka Jhonka Chamakta Sheher Maila Ker Gaya

Chaat Li Kirno’n Ne Meray Jism Ki Saari Mithaas
Main Samander Tha Wo Suraj Mujh Ko Sehra Ker Gaya

Aik Lamhay Main Bharay Bazaar Soonay Ho Gaye
Aik Chehra Sab Puranay Zakhm Taaza Ker Gaya

Main Usi Ke Raabtay Main Jis Tarha Malboos Tha
Yuun Wo Daaman Kheech Ker Mujh Ko Bareh’na Ker Gaya

Raat Bhar Hum Roshni Ki Aas Main Jaagay  faysal
Aur Din Aaya To Aankhon Main Andhera Ker Gaya

shoR sa aik haR aik simt bapaa lagta hai

shoR sa aik haR aik simt bapaa lagta hai
wo khamoshi hai k lamha b sadaa lagta hai

kitna saakat nazaR aa'ta hia hawaoon ka badaN
shaakh pe phool b pathraa'ya huwa lagta hia

sheekh uthti huwei har ghaR se nazaR aa'ti hai
haR makaa'N shahaR ka aa'saib zadaa lagta hai

aankh har rah pe chipki he chali jaati hai
dil ko haR moRe pe kuch khoo'ya huwa lagta hia

kitna haa'sad hooN k ik tu he meRa apna hai
auR tu theek se hanstaa bhi buRaa lagta hai

jaaN tu kis leay apNi ganwaata hai "faysal"
khubsooRat hai wo lakiN teRa kia lagta hai



_________________

dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin

dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin


Dabati jati hain mitti main badan ki kashtiyan
dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin


jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
pair par phal bhi nahin angan main patthar bhi nahin

Khushk tehni par parinda hai ki patta hai 'Adeem'
ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin


jitni pyari hain meri dharati ko zanjirain 'faysal'
itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin

Ager Poocha Ke Mujh Se Kaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Ager Poocha Ke Mujh Se Kaam Kia Hai Kia Kahoonga Main
Kaha Iss Kaam Ka Anjaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Mujhe Pehchaan’nay Se Uss Ne Ger Inkaar Ker Daala
Ager Poocha Ke Tera Naam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Payaami Ban Ke Jaon Main Bichharnay Ka, To Kia Boloon
Ager Poocha Tera Paighaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Khushi Ka Din Kisay Kehtay Hain Main Ye To Bata Doonga
Ager Poocha Ghamon Ki Shaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Main Uss Ke Muun Pe Uss Ko Bewafa Kehnay Ko To Keh Doon
Ager Poocha Tera Anjaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Adeem Uss Ko Bura Kehna Mujhe Acha Nahi Lagta
Ager Poocha Tera Ilzaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Mohabbat jab laho ban kar

Mohabbat jab laho ban kar
ragoon main ser saray to
koi bhola hua chehra
achanak yaad aye to
kadam mushkil se uthte hoon
irada dagmagay to
koi madham se lahje main
tumhain wapas bolay to
thahr jana
samjh lana
ke ab wapas paltne ka amal aghaaz hota ha
kabhi tanhaiyoon ka dard
ankhoon main samay to
koi lamha ghuzishta chahatoon ka
jab sataye to
kisi ki yaad main rona
tumhain bhi khoon rulay to
agar tum se tumhara dil
kisi dam roth jay to
kabhi anhooniyoon ka darr
parindoon ko urhae to
hawa jab darkht se ik zard sa
patta giray to
thahr jana
samjh lana
Ke ab wapas paltne ka amal aghaaz hota ha

samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe

samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe

anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu bare divaanagii bahaal rahe

hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe

tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe

Ham tujh se kis hawas ki falak justaju karen

Ham tujh se kis hawas ki falak justaju karen
Dil hi nahin raha hai jo kuchh arazu karen

MiT jayain ek an main kasarat namayan
Ham aine ke samane a kar jo hu karen

Tar-damani pe sheiKh hamari na jaio
Daman nichor den to farishte wazu karen

Sar ta qadam zaban hai jun shama go ke ham
Par yai kahan majal jo kuchh guftagu karen

Har chand aina hun par itana na qabul
Munh pher le wo jisake mujhe ru-ba-ru karen

Ne gul ko hai sabat ne ham ko aitabar
Kis bat par chaman hawas-e-rang-o-bu karen

Rastoun Pe Kub Talak Rangoun Ke Paiker Deekhte

Rastoun Pe Kub Talak Rangoun Ke Paiker Deekhte
Roo Baroo Ho Ker Kabhi Apna Bhi Manzer Deekhte

Tum Ne Deekha Hai Faqt Bahir Se Dewaroun Ka Rang
Dil Pe Kiya Guzri, Pas-e-dewar Aa Ker Deekhte

Ankh Ke Shabnam To Barse Badloun Ke Os Main
Kitna Gehra Hai Dil-o-jaan Ka Samander Deekhte

Kheench Lein Khud Hi Lakeerein Hum Ne Apne Hathoun Per
Kis Ko Fursat Thi Ke Hathoun Ka Muqader Deekhte

Dil Ke Bahar To Wohi Berangi Ka Sheher Hai
Apne Ander Ke Kharabe Mein Uter Ker Deekhte

Chaar So Apne He Logoun Ke Hawa Mein Haath The
Kon Si Janib Se Aya Kis Ka Phathar Deekhte

Zard Patoun Ki Tarhaan Kub Se Hawa Ki Zad Pe Hein
Ik Zara Andhi Jo Thamti, Tujh Ko Mur Ker Deekhte.

Koi ye kesy batey k wo Tanha kion hai'

Koi ye kesy batey k wo Tanha kion hai'
wo jo apna tha wohi or kisi kion ha
yehi dunia hai to phir aesi ye dunia kion hai
yehi hota hai to akhir yehi hota kion hai

ik zara hath barha do to pakar lein daman
on k seeny mn sama jay hmari dharkan
itni Qurbat hai to phir Fasla itna kion hai

tum mussarat ka kaho ya isy gam ka rishta
kehty hn pyar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kion hai

mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho

mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho

mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai
zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho

sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua
isi mod par mere vaaste vo chiragh le kar khada na ho

vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein
jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho

vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho

mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye
inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho

isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa
vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho

Khayal-o-Khwab hue hain muhabbaten kaisi

Khayal-o-Khwab hue hain muhabbaten kaisi

Lahu main nach rahan hain yai wahashaten kaisi


Na shab ko chand hai achchha na din ko mehar achchha

Yai ham pe bat raha hain qayamaten kaisi


Azab jin ka tabassum sawab jin ka nigah

Khinchi hui hain pas-e-janan suraten kaisi


Hawa ke dosh pe rakkhe hue charaG hain ham

Jo bujh gayai to hawa se shikayaten kaisi


Jo beKhabar koi guzara to sada yai di hai

Main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi


Jo aa rahe so wo bhi ab sang-o-Khisht lata hai

Faza yai ho to dilon ki nazakaten kaisi



_________________

Tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha

Tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
Barabar hai duniya ko dekha na dekha

Mera Guncha-e-dil hai woh dil-girifata
Ke jis ko kaso ne kabhi wa na dekha

Aziat musibat malamat balayen
Tere ishq main ham ne kya kya na dekha

Kiya mujh ko daGon sarv-e-chiraGan
Kabho tu ne akar tamasha na dekha

TaGaful ne tere ye kuchh din dikhaye
Idhar tu ne lekin na dekha na dekha

Hijab-e-ruKh-e-yar the ap hi ham
Khuli ankh jab koi parada na dekha

Shab-o-roz aye "Dard" darapai huun us ke
Kaso ne jise yan samajha na dekha



_________________

chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din

chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din

chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din

raazo.n kii tarah utaro mere dil me.n kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din

pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.N
baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din

Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phuulo.n kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din

phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzare.n jo mere ghar se to ruk jaaye.n sitaare
is tarah merii raat ko chamakaao kisii din

mai.n apanii har ik saa.Ns usii raat ko de duu.N
sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din

Zindagi taiz, bohot taiz hawa ka jhonka

Zindagi taiz, bohot taiz hawa ka jhonka
jalti bujhti huee sham'ain hain mah-o-sal meray
dhalta suraj meray maazi ki lehad ka katba
raig-e-sehra ki lakirain hain khad-o-khal meray

chaand meray tan-e-majrooh par sang-e-e'zaaz
dhuup chhaun meray sad chaak libaday ka khiraj
sab sitaray meri poshaak kay pewand-e-naheef
meray aansoo mera wirsa meri aankhon ka mizaj

mera chehra meray maqtool hunar ki tareekh
meri aankhain meri dukhti huee raton kay charagh
meray honton pay meri paay kay nohon ka hujoom
meray seenay pay darakhshaan meri toheen kay daagh

aah ju shaam, ke har saal issi shaam ke sath
meri ukhri hoi sansoon mien girah lagti hai
asmaan waqt ke anchal mein dhanak bunta hai
sari dharti tan e uryaan ki zirah lagti hai

aaj ki shaam ke har saal mere zakhan nawaz
muskuratay hoye kuch phool ata kartay hain
kuchh masiha meri kharit mera dil rakhnay ko
khat mein jeenay ki dua bhej diya kartay hain

saal ha saal guzarnay pe bhi ye dil zadgan
aaj ki shaam manatay hoye dar lagta hai
muskuratay houe chehron kay bhanwar hain laikin
aakhri shaam aa jalatay hoye darr lagta hai

dil dharakta hai ke jalti huee shaamon ka dhuwan
shola e karb mein tehleel na ho jaye kahin

aoo kuch dair ko ham zakham shumari kar lien
aur kuch dair mein har shaam pighal jaye gi
aaj ki bazm mein kho jain kahin so jain
aaj ki shaam bhi kuch dair mein dhall jaye gi

jalti bujhti huee shamoon ka bharosa kiya hai
zindagi taiz bohat taiz hwa ka jhonka.....

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.


Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.
Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.


Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.
Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.


Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega.
Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.


Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha.
Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.


Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.
Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin?

Dard jalta hai kabhi khawb jalta hai

Dard jalta hai kabhi khawb jalta hai
log jisse kehtay hain wohi saath, jalta hai

bekhudi ki musafat kabi kam, kabhi ziyada
aise raste pe rakha har qadam, jalta hai

ye zeast kesi, is zeast ka hona kesa
yahan har lamha, har ik sans, jalta hai

Yaron ka karam hai, ye unki meharbani hai
yahan har guzarta jhonka bhi jese, jalta hai

gham-e-yaar na ho to sakon-e-qalb kesa
maza ata hai jab har ansoo, jalta hai

khof na kar belos hai ye ’faysal’
yahan har ankh jalti hai yahan har nafs, jalta hai

mujh ko us se bhi ziada hai zaroorat us ki

chup ke alam mein woh tasweer si soorat us ki
bolti hai to badal jati hai rangat us ki

seerhiyan charhte achanak woh mili thi mujh ko
us ki awaaz mein mojood thi hairat us ki

haath chhooloon to laraz jaati hai patte ki tarah
wohi nakarda gunahi pe nadamat us ki

kisi tehri hoi sa-at ki tarah mehar ba lab
mujh se dekhi nahin jati ye aziyat us ki

aankh rakhte ho to us ki aankh ki tehreer parho
moun se iqrar na kerna to hai aadat us ki

khud woh aagosh kushada hai jazeere ki tarah
phele daryaon ki maanand muhabbat us ki

roshni rooh tak aati hai magar chhan chhan ker
sust roo abar ka tukra hai tabeat us ki

hai abhi lams ka ehsas mere honton per
sabat pheli hoi banhon pe harat us ki

woh agar jaa bhi chuki hai to na kholo ankhein
ab be mehsoos kiye jao rafaqat us ki

dil dharakta hai to woh aankh bulati hai mujhe
saans aati hai to milti hai basharat us ki

woh kabhi aankh bhi jhapke to lazar jaata hoon
mujh ko us se bhi ziada hai zaroorat us ki

woh kaheen jan na le rait ka tela hoon mein
mere kandhon pe hai tameer imarat us ki

Dost jaisi kabhi dushman kee tarah lagti hai

Dost jaisi kabhi dushman kee tarah lagti hai
Zindagi bhee kisi uljhan kee tarah lagti hai

Tairai aankhooN main udassi hai mairay ghar kee tarah
Tairi haalat mairay aangan kee tarah lagti hai

Aik lamhay main mairay mann ko bhego daiti hai
Uss ke her baat hee Sawan kee tarah lagti hai

Tu bhee chahat ke taqazoon se nahin waqif hai
Tairi Uljhan Mairi Uljhan Kee Tarah Lagti Hai

humme apni baat ka khud yaqeen nahi hay

humme apni baat ka khud yaqeen nahi hay
ke woh dil nashee dil mein nashee nahi hay

teree wade ki chalaki ko samajh sakee
janab dil mera itna zaheen nahi hay

sab barbaad kar chukee to khayal aya
ke woh bewafa itna haseen nahi hay

itne salike se ujra meree dil ka nagar
makan to hay koi makeen nahi hay

akhri hichki  pe janab muskura kar bolee
yeh to mar gaya qabil_e_yaqeen nahi hay

Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga

Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
Yeh sheher sara hee so chukka hai main jagta hooN k kuch likhooN ga

Main pichlay mausam kee baarishooN ko phir apni aankhooN main la raha hooN
K ab kay sawan ke rutt main, main bhee yeh sochta hoon k kuch likhooN ga

Woh saaray rastay kay jin pe hum ne muhabatooN ke safar kiya thay
Main ab jo un per kabhi gaya tu yeh janta hooN k kuch likhooN ga

Bahar rut k woh khawaab saray jo mairi palkooN pe aa sajjay thay
Woh khawaab aankhooN main jal chukkay hain main jal raha hooN k kuch likhooN ga

Main lafz palkooN se xhun raha hooN, main khawaab kaghaz pe bun raha hooN
Main tairi aahat bhee sun raha hoon, main janta hoon k kuch likhooN ga

Ajeeb rutt hai judaiooN kee udaas din hain udaas raatain !!!!
Main chan muhmil se lafz likh ker yeh sochta hoon k kuch likhooN ga

Ham ne ye wafa ye muhabbat tere naam ki

Ham ne ye wafa ye muhabbat tere naam ki
Ham ne apni Chahat tere naam ki
sab Gham or Dard Hain Hamare Liye
Ham ne Tamam umar ki khushyan tere naam ki
Hamari to na Manzil Hai na Rasta
Ham ne phir B apne DIL ki Dunya tere naam ki
Ham Hain Bewafa kabi soachna B Mat
Ham ne to ek umar ki wafa tere naam ki

Popular Posts