mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho
mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai
zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho
sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua
isi mod par mere vaaste vo chiragh le kar khada na ho
vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein
jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho
vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho
mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye
inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho
isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa
vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho

No comments:
Post a Comment