Wednesday, April 29, 2009

Be-waffaon Se Dil Lagane Ki Adat Ho Gayee....!

BE-WAFAI KI YEH INTEHA HO GAYEE 
ke tujhse juda ho kar bhi jeeney ki aadat ho gayee 

tum laut ke aao ge hum se milney 
roz dil ko behlaney ki aadat ho gayee 

tere waade pe kya bharosa kiya hum ne
keh shab bhar tera intezaar karney ki aadat ho gayee 

khushi mein bhi hum kya muskurat keh 
teri judaai mein roney ki aadat ho gayee 

kaafile nikal gaye humein chhor ke 
ke ab to tanha safar ki aadat hogayee 

har morh par mili ghum ki parchhaiyaan 
zindagi se samjhota karney ki aadat hogayee 

jaantey thay keh nahi ho sakte kabhi tum hamarey 
phir bhi khuda se tujhey maangne ki aadat ho gayee 

paiman-e-wafaa kya hai humein kya maloom Faysal*
ke be-wafaaon se dil laganey ki aadat kuch aisi ho gayee

chalay jatay jo tha jana lakin wo kuch batain to karlaitay

chalay jatay jo tha jana lakin wo kuch batain to karlaitay
taveel tha safar lakin mohabbat say daman to bhar laitay

saath apnay guzri hoi chund yadain bhi lay jatay
moti kuch ashkon kay aankhon main apni bhi bhar laytay

tanhaiyon main safar katna to tha bara kathin
wo dil kay baihlanay ko zara samaan hi karlaytay

gar hota na yeh gunah to afshan
marnay ka kuch hum bhi saman karlaytay

Mera yaqeen kabhi tor ker nahin jana

Mera yaqeen kabhi tor ker nahin jana
Ager jana hey tu kuch chor ker nahin jana
Badal gay ho tu sab kuch badal k jana tum
Ab aisay jao k phir lawt ker nahin aana
Mohabbtoon ko mein nay teray naam likh dala
Thay khali haath mager iss terha nahin jana
Mujh se apni nishaniyan bhi maang lein tu nay
Ab iss k baad khayaloon mein bhi nahin aana 
Sisaktay khawab paray hein meray darwazay per
Inhein ronday bina dehleez se nahin jana
Tapish se in ki teray haath jal na jaien kahin 
In ansoon ko kabhi ponchnay nahin aana 
Hansi k lamhay tu saray shumaar ker bethay 
Koi bhi aahh yahan chor ker nahin jana 
Mera naseeb nahin hoo tu jan loo ya bhii
Yahan pe doosra hum sa kabhi nahin aana 
Sameet la jo tujhay ab who bewafa hi nahin
Tu kirchiyon ki terha se bikher nahin jana

""WO H LARKIE BHIE AIK AJEEB PAIHALIE THIE""

Woh larkie bhie aik ajeeb paihalie thie.. 
Piyaasay hounnt thay aankh samandar jaisie thie.. 

Soorajj usko daikh kay peella parhta thaa.. 
Woh surmma kie dhoop main dhull kar niklie thie.. 

Usko apnay saaye say darr lagta thaa.. 
Soch kay sahraa main woh tanhaa hirnie thie.. 

Aatay jatay mousam usko dunssttay thay.. 
Hunsstay hunsstay palkoun say ro parhtie thie.. 

Aadhie raat ganwaa daitie thie chupp rah kar.. 
Aadhie raat kay chand say batain karti thie.. 

Door say ujraay mandarr jaisa ghar uska.. 
Woh apnay ghar main aklotie dawie thie!!! 

Momm say najukk jism sahrr ko dukhta tha.. 
Diaay jalla kar shubb bharr app pighaltie thie!!! 

Taizz hawaa ko rokk kay apnay anchall par.. 
Sookhay phool ikhataay kartie phirtie thie.. 

Sub parr zahir kardaiti thie bhaid apnaa.. 
Sub say ik tasweer chuppaay rakhtie thie.. 

Kull shubb chikna choor hua tha dill uska.. 
Yaah phir pahlie baar woh khull kar rooie thie.. 

Mohisn kiaa janay woh dhoop say bai-parwaa.. 
Woh apnay ghar kie dahlieez par baihtie thie

ab chhalakate hue saaGar nahii.n dekhe jaate

ab chhalakate hue saaGar nahii.n dekhe jaate 
taubaa ke baad ye manzar nahii.n dekhe jaate 

mast karake mujhe auro.n ko lagaa muu.Nh saaqii
ye karam hosh me.n rah kar nahii.n dekhe jaate

saath har ek ko is raah me.n chalanaa hogaa 
ishq me.n rahazan-o-rahabar nahii.n dekhe jaate 

ham ne dekhaa hai zamaane kaa badalanaa lekin
un ke badale hue tevar nahii.n dekhe jaate

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi

ehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi


Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi


Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi


Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi


Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

pathar ka ek chand dekha hai main ne

Path ar ka ik chand dekha hai mein ne
Falak se zameen per utartay dekha hai mein ne
Na roshni thi us mein na koi chamak thi
Phir bhi usay jaltay huay dekha hai mein ne
Kal shaam jharokay se nikal kar 
Usay chupkay se rotay huay dekha hai mein ne
Na us ki koi had thi na meri koi sarhad
Usay mujh hi mein samatay huay dekha hai mein ne
Woh tha to durr per phir bhi us ko apni
Aankhoun se behtay huay dekha hai mein ne
Pathar ka ik chand dekha hai mein ne
Falak se zameen per utartay dekha hai mein ne

Hayaat ke ujrrey dayaar meiN kuch taarikiyaaN abhi aur heiN

Hayaat ke ujrrey dayaar meiN kuch taarikiyaaN abhi aur heiN
naseeb ke biggrrey nisaab meiN kuch talkhiyaaN abhi aur heiN

mieN ney phir sey tinkey jorr kar socha ke banaaooN ik aur ghar
mujhey tabhi falaq sey nawaa mili ke wahaN bijliyaaN abhi aur heiN

yehi deikh ab ke terey khaab sab kiuN dhal gaey heiN saraab meiN
dil-e-be-khabar zaraa hosh kar ke terey imtehaaN abhi aur heiN

wo daag yaadoN ke bad numa tu ney mitaaey to heiN par sab nahi
masiha-e-waqt merey zehan par aesey kuch nishaaN abhi aur heiN

aey toofaan-e-hawaa zaraa phir sey aa in bastiyoN meiN har us jagaa 
jahaaN bach gaey heiN chand garib, aesey kuch makaaN abhi aur heiN

meiN chaahoN agar bhi to kis tarhaN supurd-e-ajal ho jaaoN abhi
ke is sookhta-jaaN ke hisaab meiN, qarz-e-dostaaN abhi aur heiN

abhi kaavishoN meiN lagey raho zara saaNs leney ko ruko nahi
mujhey hey yaqeeN yaheiN aas paas naey aasmaaN abhi aur heiN

Meray Dosat Tari Nazar Hain Maray Jazba-e-Dil Ki Shidatain

Meray Dosat Tari Nazar Hain Maray Jazba-e-Dil Ki Shidatain
Meray Khawab, Mari Basaratain, Mari dharkain,mari cahatain

Jo Teray Qadam Meray Sath Hon, Meray Sath Shums-o-Qamar Chalain
Tari Qurbaton Main Smait Lon Rah-e-Zindagi Ki Musafatain

Ya Rawa-y-jaa'n Tujhay So'np Do'n kay na Dhop Tugh ko Taiz Lagay
Kahin Dukh na Tugh Ko Ata Karai'n sar-e-dast-e-gam ki Tmazatain

Tera Piyar Mari Dua Rahay Yahi Fiker Mugh Ko Sada Rahay
K Lahrata Rahay Tera Nakhl-e-Jaa'n, K Naseeb Hon Tujhay Rahatain

MERAY ROZ-0-SHAB KAY NISAB MAIN MERAY PASS APNA TO KUCH NAHI 
TERA QARAZ HAY MARI ZINDAGI, MARI SAA'NSAIN TARI AMANATAIN

Maghroor hi sahi mujey acha buhat laga

Maghroor hi sahi mujey acha buhat laga
woh ajnabi tou tha mager apna buhat laga

rotha howa tha hans tou pera muj ko dekh ker
muj ko tou iss qader bhi dalasa buhat laga

sehra mein ji raha tha jo derya dili kai sath
dekh jo ghor sai tou woh payasa buhat laga

woh jis kay dam qadam sai thin basti ki ronkain
basti ujer gai tou akela buhat laga

lipta howa ho jesey kuhar mein jesey khazan ka chand
melay libas mein b woh payara buhat laga

resham pahan kai bi meri qimat na ber saki
kadher bi uss k jisam pe mehnga buhat laga

Mohsin jab aiyne pe mari sans jamm gai
mujh ko khud apna akas bhi dundhala buhat laga

Kabh i KitaaboN meiN Phool rakhnaa

Kabh i KitaaboN meiN Phool rakhnaa 
Kabhi DaraKhtoN pe Naam likhnaa 
Hamein bhi hai Yaad aaj tak wo 
Nazar se Harf-e-Salaam likhnaa 
Wo Chaand Chehre wo behki Baatein 
Sulagte Din the mehakti Raatein 
Wo cHoTe-cHoTe se KagHazoN par 
MuhabbatoN ke Payaam likhnaa
Gulaab ChehroN se Dil lagaanaa 
Wo chupke chupke Nazar milaanaa 
Wo Aarzooun ke kHawaab buNnaa 
Wo Qissaa-e-Naatamaam likhnaa 
Mere Nagar ki HaseeN Fazaao 
KahiN jo un ke Nishaan paao 
To poocHnaa ye kahaaN base ho 
KahaaN haiN un kaa Qayaam likhnaa
Gai RutoN meiN "Hassan" hamaaraa 
Bas ek hi to ye mashgHalaa thaa 
Kisi ke Chehre ko Subah kehnaa 
Kisi ki ZulfoN ko Shaam likhnaa

Ab Kay Hum Pay Kiasa Saal Para Loogo

Ab Kay Hum Pay Kiasa Saal Para Loogo
Shaher Main Awazoon Ka Kaal Para Loogo

Her Chahra Doo Tukroon Main Taqseem Howa
Ab Kay Dillon Mian Aaisa Ball Para Loogo

Jub Bhee Diyaar e Khanda Dillan Say Guzray Hain
Uss Say Aagay Shaher Milal Para Loogo

Aaiy Rut Oor Jaiy Rut Key Baat Nahee
Ab Too Umeroon Ka Junjaal Para Loogo

Talakh Nawai Ka Mujrim Tha Sirf Faraz
Phir Kyun Saray Bagh Pay Jaal Para Loogo


roshan huwa hai chand jasay noor-e-aftab say

roshan huwa hai chand jasay noor-e-aftab say
meray dil ko mili roshni kisi bekhabar kay jawab say

meray hum dum mujhay rok na safar say issi rah kay
mujhay sekhna hai abhi bohat kuch is zindagi ki kitab say

main bhala kyu heran ho us usn ki ada dekh kar
kay mahknay ka hai raz kya kabhi pocha kisi nay gulab say

louta phir thak har kay akhhir usi kay dur par
bus wohi mujhay panah mili bus khwahisooN kay sarab say

tu khuli jub woh hakekatain to meri pori roh ye pukar uthi
kathin na ho koi lamha bhi shaid aagahi kay azab say

Sham ko sougwar karte rahe

Sham ko sougwar karte rahe
Hum tera intezar karte rahe

Tu to kar-e-jahan mai tha masruf
or hum tujh se pyaar karte rahe

Dil ko bus mubtila-e-ghum rakha
wehshaton ka shumar karte rahe

Hum tere hurf-o-lub ki khushboo se
Umar ko khushgawar karte rahe......!

Un ka andaz-e-karamm un p wo ana dil ka

Un ka andaz-e-karamm un p wo ana dil ka
Haye wo waqt,wo batein,wo zamana dil ka

Na suna usne tawajo se fasana dil ka
Umar guzri par dard na jana dil ka

dil lagi,dil ki lagi bana k mita deti hai
Rog dushman ko bhi ya RAB na laga dil ka

Wo b apne na hue,dil gaya hathon se
Aise anne se tu behtar hai na ana dil ka

Un ki mehfil mai faysal un k tabbasum ki qasam
Hum dekhte rehgaye hath se jana dil ka.....

Main Haqeeqat Hoon Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey

Main Haqeeqat Hoon Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey ..

Gardash-e-Dauraan Se Keh do Housh Ki Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanon Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey..

Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey..

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey..

Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey..

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey..

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey..

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Huwe
Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey..

Yaadon ka ik jhonka aya mujh say milnay barson baad

Yaadon ka ik jhonka aya mujh say milnay barson baad
phelay itna roye nahi thay jitna roye barson baad

lamha lamha ghar ujra hai ,mushkil say ehsaas howa
pather aye barson pehlay , sheeshay tootay barson baad

bhool bhi jao kis nay tora kaisay tora kiun tora
dhond rahay ho kia galiyon main dil kay tukray,barson baad

aaj hamari lehad pay dunya ronay dhonay baithi hai
phool howay hain janay kaisay itnay sastay barson baad

dastak ki umeed lagaye , kab tak Qaiser jeetay ham
kal ka wada karnay walay milnay aye barson baad

Haal us ka tere chehray pe likha lagta hai

Haal us ka tere chehray pe likha lagta hai
Woh chup chaap kharra hai tera kiya lagta hai
.
.
Yun tau har cheez salamat hai meri duniya mein
Aik talluq hai jo toota hua lagta hai
.
.
Mainay socha tha aabaad hoon aik shehr mein main
Yahan tau har shakhs ka andaz juda lagta hai
.
.
Muddatein beet gayeen taey na hueen manzil-e-shoq
Aik aalam mere raastay mein parra lagta hai
.
.
Aey mere jazba-e-doraan mujh mein kashish hai itni
Jo khata hota hai woh teer bhi aa lagta hai
.
.
Janay kaun si pasti mein gira hoon faysal?
Suraj bhi is qadar door lagta hai k diya lagta hai...!!!

Fal-safa-e-ishq mein paish aaye savaalon ki tarah

Fal-safa-e-ishq mein paish aaye savaalon ki tarah 
Ham pareshaan hi rahay apnay khayaalon ki tarah 

Sheeshaa-gar baithay rahay zikr-e-maseehaa le ker 
Aur ham toot gaye kaanch ke pyaalon ki tarah 

Jab bhi anjaam-e-mohabbat ne pukaara khud ko 
Waqt ne paish kiya ham ko misaalon ki tarah 

Zikr jab ho ga mohabbat mein tabahi ka kahin 
Yaad ham aaein ge duniyaa ko havaalon ki tarah

use jane ki jaldi thi

use jane ki jaldi thi
yonhi baaton hi baaton mein
mujeh us ne bataya tha
pyar karne wale pyar mein dokha nhi karte
jab koi baat kare to use toka nhi karte
jisse jane ki jaldi ho use roka nhi karte
yonhi baaton hi baaton mein
mujhe us ne bataya tha
mujhe abh yaad aya
use jane ki jaldi thi...

Main gham k raastay mein chup chaap bikhar jata

Main gham k raastay mein chup chaap bikhar jata
Ik din bhi agar apni tanhai se darr jata
.
.
Main tark-e-talluq par zinda hoon,so mujrim hoon
Kaash us k liye jeeta,apnay liye mar jata
.
.
Us raat koi khushbu qurbat mein nahin jaagi
Main warna sanwar jata,aur woh bhi nikhar jata
.
.
Us jaan-e-takallum ko tum mujh se tau milwatay
Taskheer na kar paata,hairaan tau kar jata
.
.
Kal samnay manzil thi,peechhay mere aawaazain
Chalta tau bichharr jata,rukta tau safar jata
.
.
Main shehr ki ronaq mein gum ho k buhat khush tha
Ik shaam bacha leta,ik roz tau ghar jata
.
.
Mehroom fizaaon mein,maayoos nazaaron mein
Tum AZM nahin thehray main kaisay thehr jata...

us ne judaiyoN ke sheR chuN ke mujhey suna deaye

tu ney to aey rafeeq-e-jaaN aur hi gul khila deaye 
bakhyaa-gari ke shoq meiN zakham naye laga deaye 

dast-e-hawaa ne rait par pehley banaey rastey 
phir mery ghar ke rastey ghar sey terey mila deaye 

kitni thi ajnabi fiza pehley pehal firaq meiN 
dard ke ishtiraak ne kai dost naye bana deaye 

poocha tha kya pasand hey tum ko meri biyaaz meiN 
us ne judaiyoN ke sheR chuN ke mujhey suna deaye 

ik sitam-zareef ney subh-e-turb ke naam par 
apna deya bacha liya sab ke deaye bujha deeye 

kitna sukhan-shanaas tha taana diya to yuN diya 
aap ke fun ke ratjagey hijar ney jagmaga deaye

Tere sath jo musam thay un ka kia haal hoa kabhi likhna

Tere sath jo musam thay un ka kia haal hoa kabhi likhna
Mere bad tujhy koi khusi mili k malal hoa kabhi likhna,

Kabhi sath hawa nay raks kia’dukh sukh banta sach kehna
Koi sath hasa ya roya,kitna nidhal hoa kabhi likhna,

Jo tujh main tujhy talash kary or kash k aisa ho
Koi lamha jan mere jaisa sukhan-misal hoa kabhi likhna

Wohi aab-o-hawa ka mela hy k akela hy tu ab tak
Kahain phol khelay ya sabza pamal ho kabhi likhna

Mera saans say rishta baki hy’dil sath hy kia likhna
Tu chain say hy ya jeena kar-e-muhal hoa kabhi likhna….!!!

chale bhii aao vo hai qabr-e-Fani dekhate jaao

chale bhii aao vo hai qabr-e-Fani dekhate jaao 
tum apane marane vaale kii nishaanii dekhate jaao 


abhii kyaa hai kisii din Khuu.N rulaayegi ye Khaamoshii 
zubaan-e-haal ki jadd-o-bayaanii dekhate jaao 


Guruur-e-husn kaa sadaqaa ko_ii jaataa hai duniyaa se 
kisii kii Khaak me.n milatii javaanii dekhate jaao 


sune jaate na the tum se mere din raat ke shikave 
kafan sarakaao merii be-zubaanii dekhate jaao

chale bhii aao vo hai qabr-e-Fani dekhate jaao 
tum apane marane vaale kii nishaanii dekhate jaao

Apni tabeer-e-tamanna kay sarabon main utar ja

Apni tabeer-e-tamanna kay sarabon main utar ja
aey mairay khaab naey bastee kay raston main utar ja

tujh ko paa lain na kaheen dasht kay weeraanay yeh
chaand ban kar tuu samandar ki hi lehron main utar ja

har taraf dhond rahee hain tujhey zaalim si khizaain
aks-e-khushbu main badal aur meri sanson main utar ja

jin ki khatir koe suraj hi nahin chamka kabhi
chandni raat main tu unn kay dareechon main utar ja

tuu "Behar Zaad" hai " Parwarda-e-Khurseed" na ban
tuu key dhal rait main sahil ki gharondon main utar ja

woh jo larkee tujhey dehleez pay miltee hai rozana
raat ka rang pehan uss kay hi baloon main utar ja

pairahan ourhh lay masoom si ek khahish ka
ban key aa taiz hawa us kay dupatton main utar ja

tuu rida dhaanp lay khush rang gulaboon ki tarha
zaiqa ban kay sanwar chupkay say honton main utar ja

tuu sanwar qous-e-qazah ki tarha aflaak say aa
uss key aanchal kay mehaktay huey rangon main utar ja

uss kay kamray ki puranee kissi khirkee say nazar kar
ek ghazal ki tarha Hashim kay khiyaloon min utar ja

Mohabaton ka hisaab tha na adawaton ka shumar tha

Mohabaton ka hisaab tha na adawaton ka shumar tha
Kabhi uski zaat azab thi kabhi rroh ka who qarar tha,

Meri piyas itni barh gai k siraab jitney milay mujhe
Hoa dhuka jis pay ghulab ka who sulagta jalta sharer tha,

Usay main nay mur k sada na di k palat gaya tha who rah say
Main khizan hoa tu pata chala meri zaat ka who nikhar tha,

Tu bhi dor hy main bhi dor hon kiun alag hoe yeh rasty
Teri chahaton ka gurez tha ya meri ana ka hasar tha,

Who agar kisi ko milay kahin tu koi bata day usay zara
Mere faan shair ki by-khudi tere ishq ka hi khumar tha……..!!!

Marne ka tere gham main irad'a bhi nahi hai

Marne ka tere gham main irad'a bhi nahi hai 
Hai ishq magar itna ziyada bhi nahi hai 

Hai yo-o ke ibara'at ke zuba'an aur hai koi 
kaghaz meri taqeer ka sada bhi nahi hai 

Kyu dekhtay rahtay hain sitaroo'n ke taraf hum 
jub in se mulaqaat ka wada'a bhi nahi hai 

Kiss mor'h pay lay aya hamay hijray masalsal
tahada'y nigha wasal ka wadha bhi nahi hai 

Pathar ke tarha kyu sard hai ankh kisi ki 
amjaad jo bicharne ka iradha bhi nahi hai

harr tarah k jazbaat ka ailaan hain aankhai'n

harr tarah k jazbaat ka ailaan hain aankhai'n
shabnam kabhi shaula kabhi toofan hain aankhain

aankho'n se barha koi tarazoo nahii hota
tulta hai bashar jin mai wo meezan hai aankhai'n

aankhain hi milaa'ti hain zamane mai dilo'n ko
anjaan hain hum tumm, agar anjaan hain aankhain

lafz kuchh bhi kahey uss se haqiqat nahi mit'tii
insaan k sach jhoot ki pehchan hain aankhain

aankhain na jhukey teri kisi gair k aagay
dunya mai barhi cheez meri jaan hain aankhain

ہو گئے خاک! کب شکایت کی؟

بھولنے کی تجھے جو نیت کی
دل نے برپا نئی قیامت کی

ہو گئے خاک! کب شکایت کی؟
ہم نے اس طور سے محبت کی

وہ تھا کوفہ صفت، یقیناً تھا
دل مدینہ تھا، پر محبت کی

حوصلے میرے سارے زخمی تھے
آ کے امید نے عیادت کی

ہم ہیں مجبور دل کے ہاتھوں، خیر
آپ کہئے، کہ کیسے زحمت کی؟

ہم بھی آدم گزیدہ تھے لیکن
آدمی سے کبھی نہ نفرت کی

وقتِ رخصت وہ مسکرا دینا
ہائے کیا تھی گھڑی قیامت کی

سنگِ الزام پر تھا اُس کا نام 
چپ کی لیکن ہماری عادت تھی

دل صدفؔ، تیری یاد ہے موتی
ٹوٹ کر بھی تری حفاظت کی


.

تھا عشق اک فریب، گرفتار تھے ہمیں

تھا عشق اک فریب، گرفتار تھے ہمیں
اور اپنی ذات کے ہی طلب گار تھے ہمیں

اپنے ہی دل سے بر سرِ پیکار تھے ہمیں
اپنے لہو میں ڈوبتی تلوار تھے ہمیں

اپنی رضا سے دل دیا، مرضی سے لے لیا
مجبور ہم رہے ہیں تو مختار تھے ہمیں

ہم بھی گئے تھے شوقِ تماشا میں اُس طرف
اور دیکھا جب تو زینتِ بازار تھے ہمیں

مٹی کے مول تجھ کو صدفؔ مانگتے تھے لوگ
اے جنسِ بیش مایہ خریدار تھے ہمیں

yuN maatmi sey libaas meiN koi aah-o-fagaaN hey aaj bhi

yuN maatmi sey libaas meiN koi aah-o-fagaaN hey aaj bhi
jesey chahsm-e-tar meiN khaab koi pareshaaN hey aaj bhi

meiN zindagi ki raah-guzar pe dar-badar hooN is leeye
ke mohabatoN ke shehar meiN dil be'makaaN hey aaj bhi

teri aarzu hey bohat magar meri pohaNch nahi hey is qadaR
meri khuwaahishoN ke waastey tu aasmaaN hey aaj bhi

meiN toheed ke har hisaab sey wesey to musalmaan hooN
par tujhey poojney ki baat hey, to dil be'imaaN hey aaj bhi

teri anjuman tera har karam, teri chahateiN to chin gaeeN
magar dard jo mera naseeb bana wo meharbaaN hey aaj bhi

teri azyatoN ka sawaal hey to mujhey kal bhi zabt pe naaz tha
tujhey kosney ki baat hey to dil be'zubaaN hey aaj bhi

kabi dard had sey baRha bhi to meiN teRi had sey baRha nahi
meri to saaNs ki tasbeeyoN meiN ik tu hi rawaaN hey aaj bhi

so baadloN ke silsiley meri chatt pe baras kar chaley gaey 
par jala jala dhuwaaN dhuwaaN mera aashyaaN hey aaj bhi

mujhey kal miley they kuch gulaab jo terey leeye ye keh gaey
ke terey intizar meiN sog'waR gulshan ka samaaN hey aj bhi

ek pal mai ek sadi ka maza hum se poochhye

ek pal mai ek sadi ka maza hum se poochhye
do din ki zindagi ka maza hum se poochhye

bholay hai rafta rafta unhai mudato mai hum
qisto mai khud kushi ka maza hum se poochhye

agaz-e-ashiqui ka maza aap janiye 
anjam-e-ashiqui ka maza hum se poochhye

hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarha
hansiye magar hansi ka maza hum se poochhye

woh jaan he gaye k hume un se pyar hai
ankho ki mukhbari ka maza hum se poochhye

na doost banao faysal na qareeb lao kisi ko
doosto ki bewafai ka maza hum se poochhye

Us ki "chahat" ka sila yad nahi..

Us ki "chahat" ka sila yad nahi..
Yaad hai juram,"saza" yaad nahi..

Torr" kar "humsafari" ka rishta..
Wo kahan"chor" gaye yaad nahi..

Apne"girnay" ka "sabab''yaad to hai..
Kis "blundi"se "gira" yaad nahi..

Yaad hai Üs ka"bicharna" hum ko..
Phir humain jo bhi "mila" yaad nahi.!

Ankhein Bheeg Jatii Hain

Samander mein uterta hoon to ankhein bheeg jati hain,
Teri ankhoon ko pherta hoon to ankhein bheeg jati hain.

Tumhara naam likhne ki ejazat chin gaye jab se, 
Koi bhi lafz likhta hoon to ankhein bheeg jati hain.

Teri yadoon ki khushboo khirkiyoon mein rakhs kerti hai,
Tere gham mein sulaghta hoon to ankhen bheeg jati hain.

Na jane hogaya hoon is qadar hassas main kab se, 
Kisi se baat kerta hoon to ankhein bheeg jati hain.

Wo sab guzre lamhaat mujh ko yaad atay hain,
Tumhare khat jo perhta hoon to ankhein bheeg jati hain.

Main saraa din bohat masroof rehta hoon magar jonhii,
Qadam choqhat pe rakhta hoon to ankhein bheeg jati hain.

Hazaroon mosamoo ki hukumrani hai mere dil per, 
Wasi^ mein jab bhi hansta hoon to ankhein bheeg jati hain

Kama l-E-zabt ko khud bhee to aazmaoon gi

Kama l-E-zabt ko khud bhee to aazmaoon gi 
Mein apne hathon se us ki dulhan sajaoon gi 

Sapurd ker ke usey chandni ke hathon 
Mein apne ghar ke andairon ko laut aoun gi 

Badan ke karb ko woh bhee samajh na paye ga 
Mein dil mein ro'oon gi, aankhon mein muskaroon gi 

Woh kaya gaya ke rafaqat ke sare lutf gae 
Mein kis se rooth sakoon gi, kise manaoon gi 




Woh eik rishta-e-be-naam bhee nahi lekin 
Mein ab bhee us ke isharon pe sar jhukaoon gi 

Bichha diya tha gulabon ke sath apna wajood 
Woh so ke uthey to khawabon ki rakh uthaoon gi 

Jawaz dhoond raha tha nayi muhabbat ka 
Woh keh raha tha ke mein us ko bhool jaoon gi

ain hosh mein tha to phir us pe mar gaya kaise

ain hosh mein tha to phir us pe mar gaya kaise
yeh zeher mere lahu mein utar gaya kaise

Kuch us ke dil mein bagawat zaroor thi varna
woh mera haath dabakar guzar gaya kaise

Zaroor us ke tawajjo ki rehbarayi hogi
nashe mein tha to main apne hi ghar gaya kaise

Jise bhulaye huye kayi saal ho gaye  faysal
main aaj us ki gali say guzar gaya kaise!!

us ne judaiyoN ke sheR chuN ke mujhey suna deaye

tu ney to aey rafeeq-e-jaaN aur hi gul khila deaye 
bakhyaa-gari ke shoq meiN zakham naye laga deaye 

dast-e-hawaa ne rait par pehley banaey rastey 
phir mery ghar ke rastey ghar sey terey mila deaye 

kitni thi ajnabi fiza pehley pehal firaq meiN 
dard ke ishtiraak ne kai dost naye bana deaye 

poocha tha kya pasand hey tum ko meri biyaaz meiN 
us ne judaiyoN ke sheR chuN ke mujhey suna deaye 

ik sitam-zareef ney subh-e-turb ke naam par 
apna deya bacha liya sab ke deaye bujha deeye 

kitna sukhan-shanaas tha taana diya to yuN diya 
aap ke fun ke ratjagey hijar ney jagmaga deaye

aisa a lagataa hai zi.ndagii tum ho

aisa a lagataa hai zi.ndagii tum ho 
ajanabii jaise ajanabii tum ho 
ab koii aarazuu nahii.n baakii 
justajuu merii aaKhirii tum ho 
mai.n zamii.n par ghanaa a.Ndheraa huu.N 
aasamaano.n kii chaa.Ndanii tum ho 
dosto.n se vafaa kii ummiide.n 
kis zamaane ke aadamii tum ho

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta 

Koi aik adh sapna ho to phir accha be lagta hai
Hazaron khawab ankhon mein saja kar kuch nahi milta 

Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

Amal ki sookhti rag mein zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqat batein bana kar kuch nahi milta

Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mein neendein ganwa kar kuch nahi milta

Jigar ho jayega chhalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta

Ki wafa hum sai to ghair is ko jafa kehtay hain

Ki wafa hum sai to ghair is ko jafa kehtay hain
Hoti aai hai k achon ko bura kehtay hain
Aaj hum apni parashani_e_khatir un sai
Kehnay jatay to hain par dakhiay kya kehtay hain

Aglay waqton k hain yeh log inhain kuch na kaho
Jo meiy_o_naghma ko andoh_e_raba kehtay hain
Hai paray sarhad_e_adrak sai apna masjood
Qiblay ko ahl_e_nazar Qibla numa kehtay hain

Pa_e_afghar pay jab sai tujhay reham aya hai
Khar_e_rah ko hum mehar gaya kehtay hain
Ik sharrar dil main hai, Is sai koi ghabraiy ga kya
Aag matlob hai hum ko jo hawa kehtay hain

Dakhiay lati hai is shokh ki nehwat kya rang
Is ki har baat pay hum naam_e_Khuda kehtay hain
Wehashat_O_Shaifta aab marsiya kahwaien shayad
Mar gaya Ghalib aashufta nawa, kehtay hain

Aaja ab sa hai dil nazraana bus aaj ki raat main,

Aaja ab sa hai dil nazraana bus aaj ki raat main,
jhuka ke sir khara hai dewana bus aj ki raat main. 

uthaya hai hath dua ko gar kudha kabol kaare,
aasmaan ko ab jhukaana hai bus aj ki raat main.

past na karna tum kabhi apne yeh hosle Ruby,
pyar ko aab nibhaanaa hai bus aj ki raat main.

azmaishien dewanon ki kabhi khatam na hongi Ruby,
tuhmain aab azmanaa hai bus aj ki raat main.

na muraad hain woh log jo pyar ke khel samjhte hain,
pyar ab samjhaana hai unko bus aaj ki raat main 

kai dewane guzre faysal, heer laila karte karte,
humain bhi ab itihaas baanana hai bus aj ki raat main

Yeh Dil bhulata Nahi Hai Muhabbatein Us Ki

Yeh Dil bhulata Nahi Hai Muhabbatein Us Ki
Pari Hoi Thein Mujhe Kitni Adaatein Us ki

Yeh Mera Sara Safar Us Ki Khooshboun Mein Kata
Mujhe To Rah Dikhati Thein Chahatein Us Ki

Ghiri Hoi Houn Mein Chehroun Ki Bhiir Mein Lekin
Kahein Nazar Nahi Attein Shabahatein Us Ki

Yeh Kis Gali mein, Kis Shehar Mein Nikal Aye
Kahan Pe Reh Gain Logoun Sadaqaatein Us Ki

Mein Barishoun Mein Juda Hogai Houn Us Se Magar
Yeh Mera Dil Meri Sansein Amanatein Us Ki..!

Tere gham tou hain mere, Khushian tou tumhari hain

Tere gham tou hain mere, Khushian tou tumhari hain 
Rag-a-jaan mai jo chalti hain Saansain bhi tumhari hain 

Aaghaz-a-Mohabbat hai kehthi ho sitam kar kay 
Anjaam-a-Mohabbat ki shartain bhi tumhari hain 

Jis ki hai talab mujh ko Jin kay liye jeeta hun 
Heeray hai'n na moti wo Aankhain hi tumhari hain 

Phoolon ka sakoon poocho aakay tou kabhi hum say 
Hum nay tou teri shartain kantoon pay guzari hain 

A'gar tuj ko gham-e-jaan hai tou pooch lay hum say bhi 
Kuch baazi Mohabbat ki hum nay bhi tou Haari hain

Poch ay jo koi tum say kabhi haal hamara

Poch ay jo koi tum say kabhi haal hamara
Ik choti see takleef ye kar layna gawara
Anjaan say ho jana sunatay huye ahwaal
Palkon pay chamak jaye na ashkon ka sitara
Aisa na ho tum kuch kaho andaaz kahay kuch
Mathay pay paseena kahin aye na khuda raa
Kanpen na kahin lub na ho awaz main larzish
Dekho na samejh jaye koi raaz hamara
Aisa na mazkoor ho jub meri tabaahi
Gardish main meri haath nazar aye tumhara
Ahwaal batana mera asaan bohat hai
Sookhay huye patton ki taraf kar k ishara
Kehna mujhay maloom nahi thik say lekin
Suntay hain k dukh dard nay usko hai mara

naa'ey gham ki khushi maiN khwab-e-rafta kho dee'ya hum ne

naa'ey gham ki khushi maiN khwab-e-rafta kho dee'ya hum ne
mila wo chaand tu aa'pna sita'raa khoo dee'yaa hum ne

kahaiN kis se k hum ne be tumhaRay khawab dekhaY theY
huwa phiR yuuN k sapnoo'N ka aasaasa khoo de'ya hum ne

makaa'N taaReek tha tu khaal-o-khud maiN be tawazaN tha
nazaR maiN chandni utRi tu chehra khoo dee'ya hum ne

bhala pehchaaN kesaY ho jahaN itni sadaa'yeN hooN
na'moO k shooq maiN resham sa lahja khoo dee'ya hum ne

ghaana taaReek jungal hai aur aa'ho k tuu'aqaab maiN
ab itni dooR aa' niqlaY k rastaa khoo dee'ya hum ne

Guzray hain teray badh bhi kuch logh idhaR say

Guzray hain teray badh bhi kuch logh idhaR say
Lain teri khusHbu na gayE rah-e-guzaR say

Kyu doBti bujhti huwi ankhoo-N main hai roshaN
Ratoo-n ko shikayat hai to itni sehar say

Larza tha badaN is ka meray hath say choo kaR
Dekha tha is nay Mujhay ajaB mast nazar say

Kya thaaN kar nikla tha kaha akay para hai
Pochay to koi is dil-e-sharminda nazaR say

Aya hai bohat daiR main woH shakS par is ko
Jazbaat ki is bheer maiN dekho maiN kidhaR say

Asa to nahi, meri tarha sar-e-lub-e-juu
QadmooN main khra ho kisi aftaaD kay dar say

Din thay kay hamay shehr-e-badaN tak ki khabaR thi
Aur ab nahi agaH teri kher khabaR say 

"faysal" na qadaM rok, kay woH door ki maziL
Niklay gi kisi roZ isi gard-e-safar say

Yeh hadain na tourr dainaa

Yeh hadain na tourr dainaa, meray daairey mein rehnaa
Mujhey apney dil mein rakhnaa, meray haafzzey mein rehnaa

Meray mazaroun mein bassnaa, meri guftugoo mein hounaa
Meray lamss mein samaana, meray zaaiqey mein rehnaa

Kabhi dhoop kay nagar mein, mera saath chhour jaana
Kabhi meraa akss ban ker meray aainey mein rehnaa

Kabhi manziloun ki soorat, meri dastarass sey baahir
Kabhi sang-e-meel ban ker meray raastey mein rehnaa

Meray haath ki lakeerain tera naam ban kay chammkain
Meri khwaahishoun ki khushboo meray zaaichey mein rehnaa


Uss Sham Woh Rukhsat Ka Saman Yaad Rahay Ga

Uss Sham Woh Rukhsat Ka Saman Yaad Rahay Ga
Woh Shaher, Woh Koocha, Woh Makan Yaad Rahay Ga

Woh Teees Kay Ubhree Thee Idher Yaad Rahay Gee
Wog Dard Kay Utha Tha Yahan Yaad Rahay Ga

Hum Shouk Kay Sholay Key Lapak Bhool Bhee Jain
Woh Sham e Fasurda Ka Dhuwaan Yaad Rahay Ga

Haan Bazm e Shabana Main Humain Shouk Joo Uss din
Hum Thay Tairee Janib Nigraan Yaad Rahay Ga

Kuch Meer Kay Ibyaat Thay, Kuch Faiz Kay Misray
Ik Dard Ka Tha, Jin Main Biyaan Yaad Rahay Ga

Ankhoon Main Sulaghtii Howi Wahshet Kay Jaloo Main
Woh Hairat o Hasrat Ka Jahan Yaad Rahay Ga

Jaan Buxch See Uss Gul e Tar Key Tarawat
Woh Lamas e Aziz e Dojahan Yaad Rahay Ga

Hum Bhool Sakay Hain Na Tujhay Bhool Sakain Gay
Too Yaad Rahay ga Humain, Haan Yaad Rahay Ga 



Popular Posts