Wednesday, April 29, 2009

Hayaat ke ujrrey dayaar meiN kuch taarikiyaaN abhi aur heiN

Hayaat ke ujrrey dayaar meiN kuch taarikiyaaN abhi aur heiN
naseeb ke biggrrey nisaab meiN kuch talkhiyaaN abhi aur heiN

mieN ney phir sey tinkey jorr kar socha ke banaaooN ik aur ghar
mujhey tabhi falaq sey nawaa mili ke wahaN bijliyaaN abhi aur heiN

yehi deikh ab ke terey khaab sab kiuN dhal gaey heiN saraab meiN
dil-e-be-khabar zaraa hosh kar ke terey imtehaaN abhi aur heiN

wo daag yaadoN ke bad numa tu ney mitaaey to heiN par sab nahi
masiha-e-waqt merey zehan par aesey kuch nishaaN abhi aur heiN

aey toofaan-e-hawaa zaraa phir sey aa in bastiyoN meiN har us jagaa 
jahaaN bach gaey heiN chand garib, aesey kuch makaaN abhi aur heiN

meiN chaahoN agar bhi to kis tarhaN supurd-e-ajal ho jaaoN abhi
ke is sookhta-jaaN ke hisaab meiN, qarz-e-dostaaN abhi aur heiN

abhi kaavishoN meiN lagey raho zara saaNs leney ko ruko nahi
mujhey hey yaqeeN yaheiN aas paas naey aasmaaN abhi aur heiN

Popular Posts