Friday, June 18, 2010

Main Titli Ko Sula Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do


Main Titli Ko Sula Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do,
Main Jugnoo Ko Jaga Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do !

Kahan Aaghaz Hota Hai, Kahan Anjaam Hota Hai,
Huner Saarey Sikha Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do !

Mujhey Itni Mahaarat Hai Ke Main Saada Say Lafzon Mein,
Tumhein Dilkash Bana Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do !

Mairi Mam-naak Nazron Ko Na Daikho Tum Haqaarat Say,
Main Tum Ko Bhi Rula Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do!

Guzer hi jatay hein pal us ki yaad main


Guzer hi jatay hein pal us ki yaad main
Jisne milnay main sadion ka fasela rakha

Jagherana, bigerna, milana aur phir rooth jana
Tery in sogaton ko hum ne sambhalay rakha

Jo likhay thay tum ne kabhi fursat ke lamhon main
Teray in khaton ko hum ne dil se lagay rakha

Farasat main kabhi un ansouon ko bhi sochina
Jin ko tery berukhi pe ankhon main shupay rakha!

kaam aa sakiin na apanii vafaayen to kyaa karen

kaam aa sakiin na apanii vafaayen to kyaa karen 
ik bevafaa ko bhuul na jaayen to kyaa karen 

mujh ko ye etaraaf duaaon mein hai asar 
jaaye na arsh par jo duaayen to kyaa karen 


ik din kii baat ho to use bhuul jaayen ham 
naazil hon roz dil pe balaayen to kyaa karen 


shab bhar to un kii yaad mein taare ginaa kiye 
taare-se din ko bhii nazar aayen to kyaa karen 


ahad-e-tarab kii yaad mein royaa kiye bahut 
ab muskuraa ke bhuul na jaayen to kyaa karen 


ab jii mein hai ki un ko bhulaa kar hii dekh len 
vo baar baar yaad jo aayen to kyaa karen 

tark-e-vafaa bhii jurm-e-muhabbat sahii 
milane lagen vafaa kii sazaayen to kyaa karen

Aey dil tu us pyaar ko bhool ja

Aey dil tu us pyaar ko bhool ja 
Aey dil tu us yaar ko bhool ja  

Jo na maana kabhi tum ko apna 
Aey dil tu us dildaar ko bhool ja 

Diya hai zamaane mein us ne tumhe dhokha 
Aey dil tu us makaar ko bhool ja 

Andheri raaton mein tum aise roya na karo 
Aey dil tu un raaton ke intizaar ko bhool ja 

Kabhi aayi thi tere jeewan mein bahaar 
Aey dil tu us mausame bahaar ko bhool ja  

Us ke dil se mila tha kabhi mera yeh dil 
Aey dil tu us deedaar ko bhool ja 

Jo kiya tha kabhi tumne us se ikraar 
Aey dil tu us ikraar ko bhool jaa

Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Mille Ga


Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Mille Ga
Ghar Chor Ke Mat Jao Kaheen Ghar Na Mille Ga

Phir Yaad Bohot Aaye Gi Zulfon Ki Ghani Sham
Jab Dhoop Mein Saaya Koi Sar Per Na Mille Ga

Aansoo Ko Kabhi Oss Ka Qatra Na Samajhna
Aisa Tumhein Chahat Ka Samandar Na Mille Ga

Is Khowaab Ke Mahool Mein Be-Khowaab Hain Aankhein
Jab Neend Bohot Aaye Gi To Bistar Na Mille Ga

Yeh Sooch Lo Ab Akhri Saaya Hai Mohabbat
Is Dar Se Utho Ge To Koi Dar Na Mille Ga

Wo guzri batain choor kar Wo ghumoon say nata tore kar


Wo guzri batain choor kar
Wo ghumoon say nata tore kar
Phir say nay rishtay joor kar
Apni taqdeer aap banayaan 
Chalo phir say muskurian
Loogon ko khushian day kar
Ik nei duniya day kar
RaT main khonay waloon ko
Seeda rasta daikhainChalo phir say muskurian
Wo puranay sapnay jor kar
Wo tutay diloon ko jor kar
Wo ghuzray huway kal say
Kuch seekhain kuch seekain
Chalo phir say muskurian
Wo baybasi ko mita kar
Wo mayoosi ko hata kar
Dil k kisi koonay main deep jalain
Aur chand ko andairy raat main chamkain
Chalo phir say muskurian!!

Meri Ratain Teri Yaadoon Say Saji Rehti Hain


~*~Meri Ratain Teri Yaadoon Say Saji Rehti Hain~*~
~*~Meri Sansain Teri Khushboo Main Basi Rehti Hain~*~


~*~Meri Ankhoon Main Tera Sapna Saja Rehta Hai~*~
~*~Han Mere Dil Main Tera Aks Chupa Rehta Hai~*~


~*~Is Tarhaan Mere Dil K Pass Bohoot Ho Tum~*~
~*~Jis Tarhaan Dil K Pass Khuda Rehta Hai~*~


~*~Tum Ko Maloom Bhi Shayad Ye Kabhi Ho K Naa Ho~*~
~*~Mere Aangan K Phool Gavahee De Gay~*~


~*~Maine Arsay Say Kisi Phool Ko Dekha Bhi Nahin Hai~*~
~*~Tujh Ko Soucha Hai Tu Phir Tujh Ko Hi Soucha Hai Fakat~*~


~*~Tere Siva Kisi Ko SOucha Bhi Nahin Hai~*~
~*~Tum Ko Maloom Bhi Shayad Ye Kabhi Ho K Naa Ho~*~

Us shaks ko mera halka sa ehsaas to hai

Us shaks ko mera halka sa ehsaas to hai
bay dard sahi woh mera humraaz to hai


Woh aaye na aaye mere paas lekin
shidat se mujhe us ka intezaar to hai


Abhi nahi to kya hua mil hi jayenge kabhi
mere dil main us se milan ki aas to hai


pyaar ki gawahi mere aanoon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai

Jahan phulon ko khilna tha wahin khilte to acha tha

Jahan phulon ko khilna tha wahin khilte to acha tha
Tum hi ko humne chaha tha tum hi milte to acha tha

Koi aakar hamein puche tumhein kaise bhulaya hai
Tumhare khat ko ashkon se shab e gham mein jalaya hai
Hazaron zakham aise hain agar silte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha

Mila hai lutf humko hasin yadon ki jhilmil mein
Kati hai zindugi tum bin magar itni si hai dil mein
Agar atay to acha tha agar miltay to acha tha
Tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha

lamha lamha zindagi ka battor raha hai

lamha lamha zindagi ka battor raha hai 
bikhri hui duniya ko battor raha hai 

khwab jo kabhi pure nahi ho sakte 
aaj un tute khawab ko jor raha hai 

geeli aankhon ke behte paani se 
apne hi daman ko kar sharabor raha hai 

Kitne hi rahon pe phoolon pe chal 
aaj kaaton se muh mor raha hai 

Kalam ki siayi khatam hone par 
katre ke lie dil nichor raha hai 

"kamal" kuch hi pal ki to hai zindagi 
to aaj maut ko kyon kar door raha hai

guzartay lamho main thak gaya hoon, bikhar gaya hoon

guzartay lamho main thak gaya hoon, bikhar gaya hoon
main saathiyon say bichar gaya hoon
ye saathion kee mufarqat bhee ajeeb shay hay
kay jitna arsa ye saath chaltay hain
chotee chotee fuzool baaton pay rooth jatay hain aur lartay hain
doston kay jawaan iraday shikast kartay hain
raastay kee saaoobaton say inhain daratay hain aap dartay hain
manzilon ko pukartay hain
magar inhee kay wujood hain jo musafaton ko nikhartay hain
guzartay lamho main sathion say bichar gaya hoon
main apnee tanhaee kay tahayyur say dar gaya hoon
main wo musafir hoon jis kay paaon main manzilain hain na rehgyzar hay

is se pahale ki terii chashm-e-karam maazarat

is se pahale ki terii chashm-e-karam maazarat kii nigaah ban jaaye 
pyaar Dhal jaaye mere ashkon mein aarazuu ek aah ban jaaye 
mujh pe aa jaaye ishq kaa ilzaam aur tuu begunaah ban jaaye 
main teraa shahar chhor jaauungaa 

is se pahale ki saadagii terii lab-e-Khaamosh ko gilaa kah de 
terii majabuuriyaan na dekh sake aur dil tujhako bevafaa kah de 
jaane main beKhudii mein kyaa puuchhuun, jaane tuu beruKhii se kyaa kah de 
main teraa shahar chhor jaauungaa 

is se pahale ki tere hoton se Gair hoton ke jaam Takaraaye 
is se pahale ke zulf ke baadal ajanabii baazuyon pe laharaaye 
aur terii bebasii ke nazaare merii aankhon pe aag barasaaye 
main teraa shahar chhor jaauungaa 

chhor kar saahil-e-hayaat chalaa ab safiinaa meraa kahiin Thahare 
zahar piinaa meraa muqaddar hai aur tere hont dil-nashiin Thahare 
kis tarah tere aastaan pe rukuun jab na paanv tale zamiin Thahare 
main teraa shahar chhor jaauungaa 

mujh ko itanaa zaruur kahanaa hai vaqt-e-ruKhsat salaam se pahale 
tor lon rishtaa-e-nazar main bhii tuu utar aaye baam se pahale 
ye merii jaan meraa vaadaa hai kal kisii vaqt shaam se pahale 
main teraa shahar chhor jaauungaa 

Apne honton se lagana chahta hun

Apne honton se lagana chahta hun, 
tere dil me samana chahta hun, 

tumhe apne pyaar me rang kar, 
apna ghar basana chahta hun, 

main tumse pyaar karta hun, 
haan main tumhen ye jatana chahta hun, 

tere anchal se apna anchal bandh kar, 
tumhen main apna banana chahta hun, 

gawahi denge hamari mangal suutr or sindhoor, 
jinse main teri khobsoorti badhana chahta hun, 

tere daaman per upna sar rakh ker , 
main khudko bhool jana chahta hun, 

tera pyaar mere liye hai ya nahi , 
aaj main ye aazmana chahta hun, 

ye hain mere dil k kuch armaan, 
jo main teri zindgi se chhahta hun

mere zindagi ka her lamha teray hi naaam hai

mere zindagi ka her lamha teray hi naaam hai,, 
kabhi yadon main toh kabhi dil main tera ehsas hai,, 
her lamhay ki alag kahani hai,, 
jaisay khushiyon ki ruut suhani hai,, 
piyar main taraph piyar main ehsas hai,, 
kabhi naami hai in aankhon main,, 
kabhi khushiyon ki bahaar hai,, 
her lamha bess tera hi kheyal hai,, 
ju mere her khushi her yaad ki shurowat

ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty



ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty 
eik lamha tery bina basar kar nahi sakty 


woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai 
yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty 


khud hath say apny usay khona hi pary ga 
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty 


yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say 
k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty 


tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy 
ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty 


yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra 
is noor k darya par nazar kar nahi sakty 


har chand k meri aankh main aansoo hain larazty 
jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty 


ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say 
ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty

Ek jaisee lagtee hai CHURIYAN aur LARKIYAN


Ek jaisee lagtee hai CHURIYAN aur LARKIYAN
toot ti hai aur hastee hai CHURIYAN aur LARKIYAN

naz ki intiha hai ek zara see thais se
toot kar bikharti hai CHURIYAN aur LARKIYAN

zindagi kee dharkano ko ek ridham sa deti hai
zeest ko sajatee hai CHURIYAN aur LARKIYAN

piyar kee rutoo par bhee kia nikhar ata hai
be waja khanaktee hai CHURIYAN aur LARKIYAN

apne dukhoo ko dil ke sath rakh kar bhool jati hai
kisqadar chamakti hai CHURIYAN aur LARKIYAN

Ek jaisee lagtee hai CHURIYAN aur LARKIYAN

Kahan ansuon ki yeh soghaat hogi



Kahan ansuon ki yeh soghaat hogi
Naye log hongai nayee baat hogi

Main har lamha muskurata rahoonga
tumhari mohabbat jo meray saath hogi

Chiraghoon ko aankhon mai mehfooz rakhna
Barri door tak yeh raat hee raat hogi

Musaafir hain hum bhi musaafir ho tum bhi
kisi morr per phir mulaqaat hogi 

koi hai hamaray sa shehr mein

koi hai hamaray sa shehr mein 
jo utha ke khwab ki kirchian 
yunhi darbadar sa phira kare 
na dua kare na dawa kare 
na kabhi to uss ka pata kare 
jo qarar thaa dil-e-zar ka 
jo nazar nazar ki talab mein thaa 
faqat aik khwab jo shab mein thaa 
jise dhoondna thaa hujuum mein 
jo nahin thaa apne nujuum mein 
kisi aasman ka chand thaa 
jo thaa dastaras se kahin paray 
ussi aik shakhs ke waaste 
yunhi shehr shehr phira kare 
har ik ajnabi ko taka karay 
na dua kare na dawa kare 
jo utha ke khwab ki kirchian 
yunhi darbadar sa phira kare 
koi hai hamaray sa shehr mein....

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay 
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay 
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana 
Aisay Main Kahan Jao Gi Bersaath Bohot Hay 
Wo Keh Nay Lagi Jana Mera Bohot Zarori Hay 
Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay 
Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena 
Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay 
Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi 
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi Hay 
Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke 
SARI ZINDAGI TANHAYEE KE LIYE AAJ KI RAAT BOHOT HAY

Mainay kab Drd k zkhmo se shikayat ki hai

Mainay kab Drd k zkhmo se shikayat ki hai..
Han mera jurm hai kuk mainay mohabat ki hai..... 

Chalti phirti lashoo ko gila hai mjse...
Shahr ma rekar mainay jenay ki jesarat ki hai.. 

Aj pechana nahi jata chehra uska..
Ik umer mere dil pe jis ne hukomat ki hai..... 

Aj phir dekha hai use mehfil me pthar bnk...
Mainay ankhoo se nahi dil se baghawat ki hai... 

Usko bhool janay ki ghalti bhi nahi karsakta..
Toot krki hai tu sirf mohabbat ki hai

Han tum bhi wo hi aur hum bhi wo hi

Han tum bhi wo hi aur hum bhi wo hi
Per waqt badelne se janan!
Yon miltay hain hum ik dooje se
Jaise ke do begane hon
Socho tu zara kiya mumkin hay?

Tum ab bhi hamen wo bat kaho
Jis bat ke sunne se mun men
Dheron se diyay jul jate thay
Hum huste thay aur kehte thay

“Kuch baten unkahi rehne du
Kuch baten unsuni rehne du
Sub baten dil ki keh den ager
Phir baqi kiya reh jae ga?”

ab tum hi kaho aey jane jahan!
Jiwen ki sisukti rahon men
Jub tum hi nahin tu kis se kahen
Aur kis se sunen?
Wo bat ke jis ke sunne se
Hum pagal se hu jate thay.

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon 
Tum Yaad Aatey Ho..... 
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon 
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai.... 
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon 
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain... 
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat sunoo 
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day 
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon 
To Tumharey Labb Yaad aaye...... 
Jab Kabhi Barstey Badal dekhon 
To Tumhari Yaad Main Doobi...Woh Shaam Yaad aaye 
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon 
To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad aaye 
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko dekhon 
To Tumhari piyasi Ankhin Yaad Aaye 
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon 
To Tumhara Bepanah-wa-Bechain Piyar Yaad Aaye 
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon 
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye 
Jab Kabhi Samnder Ko Kinarey Se Takrata Dekhon 
To Tumhari Woh...Mulaqaat Yaad Aaye 
Jab Kabhi Chand ko, 
Phool Ko, 
Barastey Badlon Ko Dekhon 
To Tumhari Yaad Aaye 
Buss...Jab Jab Main Saans Loon 
To Tum Ubaid Ko Yaad Aatey Ho...!!!

koi waada nahin hum main

koi waada nahin hum main
na aapas main buhut batain
na milnay main buhut shoukhi
na aakhir shab manajati
magar aik unkahi si hai
ju hum dono samajhtay hain
ajab aik sarkhushee si hai
ju hum dono samajhtay hain
yah saray dilruba manzer
tilismi chandani raatain
sunahray dhoop kay mausum
yeh halkay sukh ki barsaatain
sabhi ik zid main rahtay hain
mujhay paham yeh kahtay hain
MUHABBAT YUN NAHIN AACHI
MUHABBAT YUN NAHIN AACHI

Hum ne pyaar main paya to kya paya

Hum ne pyaar main paya to kya paya 
Kabhi khood Ro diye kabhi Tum ko Rulaya 
Halat-e-ghum main beh gaya jho aansoon 
Who Zindagi main phir kabhi na behne paya 
Saza mujhe mili aor jaza unhain bi
Aisa bhi kya insaf me hai sir jhukaya 
Himmat nahee thi us main Saath mere dene ki 
Ab tak na jane who kaise chal paya 

MERE TOOTE HUE DIL KO, SAHARA KON DEGA

MERE TOOTE HUE DIL KO, SAHARA KON DEGA 
MERI TOOFAAN ME KASHTI, KINARA KON DEGA 

YEH KESE MOR PE LAAI HA MUJKO ZINDIGANI 
ADHOORI SEE LIKHI GYEE HA KYUN MERI KAHANI 

HA AB KIS RAAH PE CHALNA ISHARA KON DEGA 
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KON DEGA 

MAIN HOON OUR SATH MERE AB MERI TANHAAYAN HAIN 
MERI TAQDEER SE MUJKO MILI RUSWAYIAN HAIN 

MERI ANKHON KO KHUSHION KA NAZARA KON DEGA 
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KON DEGA 

aik mudat ki thakaan hai

aik mudat ki thakaan hai
aur zindagi ke maathay per shikan hai  

nazar mein taweel sehra hai
aur paoon mein kantoon ki chubhan hai 

sochti hon to guman lagta hai
aur dil mein barabar lagi lagan hai 

neend,kaisay manaon,palkein moond na paon
yeh jo totay khuwabon ki chubhan hai 

elahi jo aankho mein thair gai hai woh soorat
mita doon ya jaga don yeh uljhan hai 

kyon ulajh rahi hoon lehroon se jab ke
jeewan piyaas hai aur piyaas jeewan hai....

Ik diaa dil main jalana b bujha b daina


Ik diaa dil main jalana b bujha b daina
Yaad karna b issay rooz bhula b daina

Kia kahoon yeh mairi chahat hai k nafrat uss ki
Naam likhna b maira likh k mitta b daina

Phir na millnay ko bicharta to hoon tujh say laikin
Murr k daikhoon to palatnay ki duaa b daina

Khat b likhna uss say mayoos b rehna uss say
Jurm karna b maggar khud ko sazza b daina

Mujh ko rasmoon ka takaluf b gawara laikin
Jee main aaey to yeh deewar gira b daina

Surat-e-naqshay qadam main rehna
Apnay hoonay say na hoonay ka patta b daina

guzertay lamhoon mujhey batao

guzertay lamhoon mujhey batao
k zindagi ka asool kia hai

agar tamam hatoon mein aainey hain
to koon kisi se chupa hoa hai

agar sada ka wagood kanoon se munsalik hai
to koon khushboo mein bolta hai

agar samander ki hud hai sahil
to koon aankhoon mein phelta hai

agar tamam cheezen yehi hain
to koon cheezoon se mavra hai

kise khabar badelti rut ne
puraney patoon se kia kaha hai

yeh koon badal se ja k pochey
k itney mosam kahan raha hai

guzertey lamhoon mujhey batao
k zindagi ka asool kia hai

Aansoo mein nay rok liye hain

Aansoo mein nay rok liye hain
khawaab gharoda tor diya hai
khat bhi saray phar diye hain
dil ko mein nay bandh liya hai

band ye hsaray khol na jana
tum mujhay ab yaad na aana

sheeish mahal ka ye sunder sapnay
tu nay chakna choor kiye hain
teray naam peh behtay aansoo
khamoshi say zabt kiye hain

zabt kay bandhan tor na jana
tum mujhay ab yaad na aana

ek ek kar kay saaray panchi
apnay gharon ko chalay gaye hain
prem nagar kay waa darwazay
mein nay thak kay band kiye hain

dar yeh saray khol na jana
tum mujhay ab yaad na aana

Chalo yun Karo Talkhiyan Mujhy Day kar


Chalo yun Karo
Talkhiyan Mujhy Day kar
Mithas sari Tum Sameet Lo

Yeh Sub Haseen Rutain Tumhare Naam
Yeh Uddas Shamain mere liyan Chor do

Yeh Muskurahatain Tumhara Hissa
Inn Anson ko mere liyan Chor do

Gulab Lamhon se Tum Zoindagi Saja lo Apni
Kanto se Daman Bhar Laita hun Mein

Yeh Shokiyan,Shararatain Tumhara Naseeb
Lao Yeh Karb ka Pairahan mujhy Day do

Lo Sameet lo tum Har Khushi Jana!
Mujhy Gham k Sagar Mein Doob Jany do

Aab Zara Socho to
Kiss k Pass kiya aya?

Kiss k Hissy mein Gulab aya?
Kiss k Muqaddar mein Azab aya?

Battao to Zara Mujh ko
Iss Sary Hissab ka kiya Jawab aya?

tujh say milnay ki saza deinge tere sheher kay log


tujh say milnay ki saza deinge tere sheher kay log
yeh wafaoon ka sila deinge tere sheher kay log

kya khabar thi tere milnay par qayamat hog
mujhe deewana bana deinge tere sheher kay log

teri nazroon say giraanay kay liye jaan-e-hayaa
mujh ko mujrim bhi bana deinge tere sheher kay log

keh kay deewana mujhe mar rahay hain pathar
aur kya is kay siva deinge tere sheher kay log

manzil na de charaaG na de hausalaa to de


manzil na de charaaG na de hausalaa to de 
tinke kaa hii sahii tu magar aasaraa to de 

mai.n ne ye kab kahaa ke mere haq me.n ho javaab 
lekin Khaamosh kyuu.N hai tuu ko_ii faisalaa to de 

baraso.n mai.n tere naam pe khaataa rahaa fareb 
mere Khudaa kahaa.N hai tuu apanaa pataa to de 

beshak mere nasiib pe rakh apanaa iKhtiyaar 
lekin mere nasiib me.n kyaa hai bataa to de

Abb so jao Kyun raat ki raet pey bikharay huey

Abb so jao

Kyun raat ki raet pey bikharay huey
taroun key kankar chunti ho?
kyun sanatey ki silwat mey
lipti awazain sunti ho?
kyun apni pyasi palkoun ki jhalar mey
khuwab paroti ho?
kyun roti ho?

abb kon tumhari ankhoun mey
sadiyun ki neendh undeley ga?
abb kon tumhari chahat ki
haryali mey khul kheley ga?
abb kon tumhari tanhaee ka
un dekha dukh jhelay ga?

abb aisaa hai________?

yeh raat musalat hai jab tak
yeh shamaian jab tak jalti hain
yeh zagham jahan tak chubtey hain
yeh sansain jab tak chalti hain

tum apni soch key jungle mey rah bhatkoo aur phir kkhoo jaoo_____!!
abb soo jaoo______!!

Barsoon ke baad daikha shakhs dilruba sa

Barsoon ke baad daikha shakhs dilruba sa
Abb zehan main nahi hai par naam tha bhala sa

Abru khichay khichay say aankhain jhuki jhuki si
Baatain ruki ruki si lehja thaka thaka sa

Alfaaz thay k jugnu awaaz ke safar main
Ban jaye janglon main jis tarha raasta

Khawbon main khawb uss kay yaadon main yaad uss ki
Neendon main ghul gaya ho jaisay ke rutjaga sa

Pehlay bhi log aay kitnay he zindagi main
Wo har tarha say laiken aoron say tha juda sa

Agli mohabbaton nay wo namuradiyan deen
Tazah rafaqton say dil tha dara dara sa

honey ko to kya hoa nahi hai


honey ko to kya hoa nahi hai,
hum nay to kabhi kaha nahi hai, 

sab apnai junoon ki wehshaten hain,
tum se to koi gilla nahi hai, 

bikhron to koi samet le gaa,
is ka bhi to aasra nahi hai, 

kya zeest kern ke ab to sahab,
marnai ka bhi hosla nahi hai, 

werana e dasht e jan mai kosun,
saye ka kahin pata nahi hai, 

uljha hun kuch aisai pech o kham mai,
manzil to hai rasta nahi hai

taraste the jo milne ko kabhi


taraste the jo milne ko kabhi,
aaj wo kyon mere saye se katrate hai.
hum bhi wahi dil bhi wahi,
na jane kyon log badal jate hai.
dekhne wale thik hi kehte hai,
mere charo taraf andhera hai,
kyon tamnna-e-roshni ho mujhe,
meri aankho me noor jo tera hai.
Khwahisho ki apni ek fariyad hoti hai,
ansoo k bi apni ek aah hoti hai,
kaun rehna chahta hai door apno se,
majboori bi koi baat hoti hai..

Ham issy jeet hi lain gy dil ko yeh yaqeen tha

Ham issy jeet hi lain gy dil ko yeh yaqeen tha
Yeh khail bhi haar gaye ham koyi gumaan hony tak

Moom ka badan nah hota ya dhoop nah itni teez hoti
Ham to jhulas ke reh gaye koyi saaibaan hony tak

Ham hi kamfeham thy ya zindgi hi dushwaar thi
Intzaar mein ham reh gaye is ke aasaan hony tak

Koyi aisa dar milta keh jaan se hi guzar jaty
Ham to khud pathar rahy us but ke jaan hony tak

Umrr bhar tarasty rahy nazr-e-iltafaat ko
Ham kaheen ke nah rahy us ky mehrbaaN hony tak

Zindagi pay aik Khauf sa Taarri hai


Zindagi pay aik Khauf sa Taarri hai 
Teri Yadoon ka aik Azaab sa Jarri Hai

Bhullana tujhay iss Qadar nahi hai Aasan 
Aik Umer tere Naam pay Guzaari hai 

Thakk kar Betha hai Yahan Kaun Bhaala 
Khwahishon ka Safar Abhi Jaari hai 

Laag kar Deewar say Nidhal sa Betha Hai 
Woh Jiss nay Ro Ro kar Raat sarri Guzarri hai

Ghum Main Bhi Hum Muskura Lete Hain


Ghum Main Bhi Hum Muskura Lete Hain, 
Kuch Is Tarah Se Dard Ko Chupa Lete Hain.  

Kuch Kehte Nahi Kisi Se Magar, 
Akele Main Aansu Baha Lete Hain. 

Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai, 
Koi aankhon aankhon me mulakat kar leta hain,  

Bada mushkil hota hai jawab dena, 
Jab koi khamosh rah kar sawal kar leta hain.

roz barhataa hun jahan se aage

roz barhataa hun jahan se aage 
phir vahiin laut ke aa jaataa hun 
baarahaa tor chukaa hun jin ko 
inhiin diivaaron se takaraataa hun 
roz basate hain kaii shahar naye 
roz dharatii mein samaa jaate hain 
zal-zalon mein thii zaraa sii girah 
vo bhii ab roz hii aa jaate hain 

jism se ruuh talak ret hii ret 
na kahiin dhuup na saayaa na saraab 
kitane araman hai kis seharaa mein 
kaun rakhataa hai mazaaron kaa hisaab 
nafz bujhatii bhii bharakatii bhii hai 
dil kaa maamuul hai ghabaraanaa bhii 
raat andhere ne andhere se kahaa 
ik aadat hai jiye jaanaa bhii 

qaus ek rang kii hotii hai tuluu'a 
ek hii chaal bhii paimaanaa bhii 
goshe goshe mein kharii hai masjid 
mushkil kyaa ho gaii mayaKhaane kii 
koii kahataa thaa samandar hun main 
aur merii jeb mein qataraa bhii nahin 
Khairiyat apanii likhaa karataa hun 
ab to taqadiir mein Khataraa bhii nahin 

apane haathon ko parhaa karataa hun 
kabhii quran kabhii giitaa kii tarah 
chand rekhaaon mein samaaun main 
zindagii qaid hai siitaa kii tarah 
raam kab lautenge maaluum nahin 
kaash raavan hii koii aa jaata

milna becherna becherr ker khojana ho


milna becherna becherr ker khojana ho na juda or pihir ek hona 
rus_E_duniya hai yai nam_E_wafa laina or phir bewafa hojana 

khoo kay kia is alam mein bayy khoodi koo 
ho na kisi kay orr waqt kii sada hojana 

takhta dar bhi wo hi laian nam mehboob hi 
bay ihktiar hi uon ishaq kii interhaoo hojana 

hairat houi is mzriiz ka ilaja pay mujhay 
dekh ker is ko uon hi sehet yab hojana 

kia hai to oe yai teiri duniya ai mohsin 
asal to rahai ishq mein fana hojana 

chore mehfel duniay ko more mon bay basi ki rah say 
sajhda mein girna haqiqat hai talib dua hojana 

LOOG KITNAY AGEEB HOTAY HAIN

LOOG KITNAY AGEEB HOTAY HAIN 
DOST BAN kAR RAQEEB HOTAY HAIN 
DONYA WALOON SAY BHAGTA HOON MAIN DONYA WALY QAREEB HAOTAY HAIN 
HANSS KAR JO BANT LAYTAY HAIN DOOSAROON KA GAM 
WO KHUDA KAY KITNAY PYARY HABIB HOTAY HAIN 
ATAY HEIN JO DOSRON KAY MASEEBAT MEIN KAM WO LOG KITNAY 
WO LOG KITNAY DIL KAY AMEER HOTAY HEIN 
YAI LOG KHUDA KAY KITNAY KAREEB HOTAY HEIN HOTAY HEIN 

Mujh ko ikrar-e-mohabbat hain saza do mujh ko

Mujh ko ikrar-e-mohabbat hain saza do mujh ko 
Shola-e-ishq hoon kuch aor hawa do mujh ko 

Ban ke aansoo teri palkon pe para rehta hoon 
Tum akele mein kisi roz baha do mujh ko 

Mein nahin mangta tujh se tere daaman ki hawa 
Aakhir baar yeh soorat hi dikha do mujh ko 

To mujhe yaad kare aur pashemaan bhi na houn 
Aisi yaadon se to behter hain bhula do mujh ko

Usey Anjaan RaastOun Sey gUzar JAney Kii Khwaahish Thi


Usey Anjaan RaastOun Sey gUzar JAney Kii Khwaahish Thi
mOhabbat Mein Amar Ho Janey Kii
Mar Janey Kii Khwaahish Thi
Wo Kehta Tha Jeewan Teergii hAi
Rang Bharney hAin is Mein ROshnii Key
Aur Yeh hUm Ko mUkhtasir Sey Chand Lamhey Jo Mayassar hAin
Yeh Lamhey Hamein Aabad Karney hAin
Kisi Ko dOor Sey Dekhna 
KiSsi Sey Baat Karni hAi
Jhaan Yeh Din Guzar Jaien 
wOhien Pey Raat Karni hAi
wOh Kehta Tha 
mOhabbat Ka kOii mOusam Nahe hOta
Yeh Har mOusam Ka Jazba hAi Jo Kabhi Kum Nahi hOta
AdhOori Si mOhabbat hAi Hamein Takmeel Karni hAi
mOhabbat Ko Naye Dhab Sey Basar Karney Kii Khwaahish 
Usey Har Shab jAgati hAi
Na Janey kOn Si Chahat Usey Har Pal jAgatii hAi
Shanasa Tha Har Eik Pal Sey Per Anjaan Rehta Tha
bOhet Aabaad Tha Lekin bOhet Veeraan Rehta Tha
Usey Har Eik Ko Hairaan Kar jAney Kii Aadat Thi 
mOhabbat Mein Amar Ho Janey Kii
Mar Janey ii Khwaahish Thi 

IS MOHABBAT MEIN , MAIN AKELI THI


IS MOHABBAT MEIN , MAIN AKELI THI 


Na koi khuwaab na koi saheli thi... 
is muhabbat mein, mein akeli thi... 

ishq mein tum khaan ke sache the... 
jo azziyat thi hum ne jheli thi... 

yaad ab kuchh nahin raha lekin... 
aik darya tha ya haweli thi... 

jis ne uljha ke rakh diya dil ko... 
woh muhabbat thi ya paheli thi... 

mein zara si bhi kam wafa kerti... 
tum ne to meri jaan leli thi... 

waqt ke saanp kha gaye us ko... 
mere aangan mein aik chanbeli thi... 

is shab-e-gham mein kis ko batlaoon... 
kitni roshan meri hatheli thi...

main Omer-bhar ki Andhi parastish ke bavajood

main Omer-bhar ki Andhi parastish ke bavajood..
Phir Dasht-e-Naarsa me hon koshish ke bavajood..

Muddat ke bad Os ko jo dekha to You'n hoa..
Dil tham gia khoo'n ki gardish ke bavajood...

Meri trah kisi ki Nazr me na charh saka...
Jungle ka Phool apni Numaish ke bavajood...

Khud-ro hon Dasht-e-fun ki Riwayyat ke bar-khilaf..
Zinda hon Abr-O-rait ki sazish ke bawajood..

shayad yehi hi Jazba-e-Eisaar Dosto..
Main haarta hon Jeet ki khawish ke bawajood...!!!

Shikwa karoon bhi to kaisay karun


Shikwa karoon bhi to kaisay karun
seh kar hazar gham ab zuban se kya ada karun

Khwahishon ki ab umeed kahan,
umeed ki khwahish bhi na kya karun.

Ukta gai hun dunya ke makr-o-fareb se,
ji chahta hai neki bhi na kiya karun.

Apnon ne jala diya aanchal apnepan ka,
ab ghairon se kya aas lagaya karoon. 

Bachpan guzar gaya par na guzri woh nafrat,
ke nafrat bhi kahe kis se mohabat kiya karun

Bas kuch pal ki hai mulaqat, phir honge hum aazaad,
tum sab se dur jaenge, bas yehi dua kya karun.

Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai


Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai

Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai 
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai 

Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai 

Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai

Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat 
Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai

Ab Hogaya Jo Hona Tha

Ab Hogaya Jo Hona Tha
Bas Itna Hi Mujhko Rona Tha

Jis Dil Mein Rahe Ho Tum Salon Se
Wo Tumhare Liye To Ik Khilona Tha

Tumhe Paa Ke Khushi Se Jo Khil Si Gayeen
Un Aankhon Ko To Yunhi Bhigona Tha

Wo Pyar To Nikla Pathar Jaisa
Jo Door Se Lagta Sona Tha

Aisa Pyar Hume Mila Hi Kyu
Jisse Ab Humne Aake Khona Tha

Har Bat Pay Ab To Hasna Acha Nahi Lagta


Har Bat Pay Ab To Hasna Acha Nahi Lagta.
Gham_E_Ashiqi Say Hatna Acha Nahi Lagta.

Khirki Mai Mera Koi Intezar Nahi Karta Ab.
Teri Ghar Say Ab Guzarna Acha Nahi Lagta.

Rahoon Mai Teri Yad Kay Jugnoon Hain Ja Baja.
Ab Saath Kisi Kay Chalna Acha Nahi Lagta.

Aye Jan Tumhain Kab Tak Har Bar Manaon Mai.
Har Bat Pay Bigarna Acha Nahi Lagta.

Sono Kabhi Ankhoon Ko Khay Detin Hain Yeh Bohot Kuch.
Har Bat Zaban Say Kehna Acha Nahi Lagta.

Sawan Ki Rutoon Ko Chup Chap Ganwa Deta Hun.
Darakhtoon Say Ab Lipatna Acha Nahi Lagta.

Dastor_E_Zaban Bandi Seekhi Hai Choat Kha Kar.
Halay Dil Sabhi Say Kehna Acha Nahi Lagta.

Ab Kisi Nigah_E_Shoq Ko Intezar Nahi Hai Mera.
Ab Aass Kisi Ki Rakhna Acha Nahi Lagta.

Mai Janta Hun Wafa Ki Manzil Nahi Hai Koi.
Par Is Ab Rah Say Palatna Acha Nahi Lagta.

Popular Posts