guzertay lamhoon mujhey batao
k zindagi ka asool kia hai
agar tamam hatoon mein aainey hain
to koon kisi se chupa hoa hai
agar sada ka wagood kanoon se munsalik hai
to koon khushboo mein bolta hai
agar samander ki hud hai sahil
to koon aankhoon mein phelta hai
agar tamam cheezen yehi hain
to koon cheezoon se mavra hai
kise khabar badelti rut ne
puraney patoon se kia kaha hai
yeh koon badal se ja k pochey
k itney mosam kahan raha hai
guzertey lamhoon mujhey batao
k zindagi ka asool kia hai
No comments:
Post a Comment