Monday, July 19, 2010

Wo Mohabbat Ko Parastish Ka Maqaam Deta Tha


Wo Mohabbat Ko Parastish Ka Maqaam Deta Tha,
Aur Guzre Qissonko Ibadat Ka Darja Samajhta Tha,
Kehta Tha Mohabbat Mein Koi Gharz Posheeda Nahi Hoti,
Mohabbat To Begarz Aur Lafani Hoti Hai,
Kuch Ajeeb Falsafa Mohabbat Mein Uska Tha Ke,
Wo Meri Mohabbat Ka Talib Bhi Tha,
Aur Main Use Matlboob Bhi Na Thi,
Kehta Tha Ke Main Uski Rooh Mein Gazb Hoon Aise,
Ke Mujhko Paane Ki Usko Hasrat Bhi Nahi,

Ajeeb Shakhs Tha Kuch Ajeeb Si Uski Kahani Thi,
Ye Daur Ab Aisi Mohabbaton Ka Nahi Raha,
Milan Ke Bagair Mohabbaton Ka Kya Tasavvur Hai,
Deed Ke Bagair Chahaton Ke Kya Rang Hai,
Ye Dor To Faqt Aghraz Pe Mabni Hai,
Meri Mohabbat Bhi Sirf Chaar Din Ki Kahani Thi,
Koi Gadi Ek Hi Station Pe Hamesha Nahi Rukti,
Waqt Ke Sath Khayalat Badalte Jate Hai,
Mohabbat Baaqi Rehti Hai Mehboob Badalte Jaate Hai,

Maine Chaha Ke Khayalat Uske Badal Dalun Aur,
Mohabbat Ki Haqeeqi Tasveer Dikha Dun Usko,
Wo Mohabbat Ka Pujari Tha Maine,
Usko Tanhayi Ki Saza De Dali,

Mujhe Yaqeen Hai Wo Sota To Hoga Magar,
Neend Uski Aankhon Mein Na Utarti Hogi,
Mehfil Mein Wo Muskurata To Hoga Magar,
Us Tabassum Mein Ek Tees Si Uthti Hogi,
Aankh Mein Aansu To Nazar Na Aate Honge,
Palkon Tale Ek Barish Zaroor Hoti Hogi,
Meri Yaad To Uski Khoon Ki Gardish Ke Sath Thi,
Dil Dhadakta To Hoga Magar Ek Aah Bhi Nikalti Hogi,

Kyon Sochti Hoon Ye Sab Kuch Main,
Jo Taaluq Tha Wo To Maine Tod Diya,
Wo Zinda Rahe Na Rahe Mujhe Usse Kya,
Uski Saans Ruke Ya Chale Mujhe Kya Lena,
Mere Liye To Faqt Itna Kaafi Hai Ke,
Main Ek Duniya-Daar Ladki Aur
Wo Kisi Dusri Duniya Ka Baasi Tha...

Dil Faqat Dil Hai, Aashiyan Nahi Hota


Dil Faqat Dil Hai, Aashiyan Nahi Hota
Hathon Ki Lakeeron Mein Aasman Nahi Hota

Jo Log Bikhar Jate Hain Ret Ki Manind
Jalne Se Kabhi Unke Dhuwaan Nahi Hota

Kya Hua Jo Bichar Gaya Koi Raah-E-Talab Mein
Ek Shakhs Ke Jane Say Shehar Veeraan Nahi Hota

Yun To Khainchati Hain Mujh Ko Har Shahar Ki Galiyaan
Har Shahar To Magar Tera Aastaan Nahi Hota

Kyon Jalatay Ho Tum Ab Nayi Mashalein
Kiya Ghar Kay Jalnay Say Charaghaan Nahi Hota

Nasah Se Kah Do Ab Uss Ki Zarorat Nahi Rahi
Hum Hi Se Ab Taswar-Ay-Jaanaan Nahi Hota

Jab Tumhe Ye Yaqeen Ho Jaye Ke Main Tumhe Kitna Chahti Hoon,


Jab Tumhe Ye Yaqeen Ho Jaye,
Ke Main Tumhe Kitna Chahti Hoon,
Tumse Kitni Mohabbat Karti Hoon,
To Usi Din Tum Laut Ana,
Tum Mujhe Apna Muntazir Paoge,

Jab Tumhe Asia Lage Ke
Koi Tumhare Sang Nahi Hai,
Koi Tumhara Humdam Nahi Hai,
To Usi Din Tum Laut Aana,
Tum Mujhe Zaroor Apna Muntazir Paoge,

Jab Tumhe Zindagi Dushwar Lage
Jab Koi Umeed Na Koi Aas Ho
Koi Bhi Na Tumhare Pass Ho
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Agar Kabhi Yaadein Bahut Dukh De
Tanhai Ka Ehsas Bohat Sataye
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Jab Yun Lage Tumhe Ke
Tum Ab Ek Qadam Bhi Nahi Chal Sakte
Mazeed Is Aag Main Nahi Jal Sakte
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Jab Har Saans Bojh Lagne Lage
Tum Andar Hi Andar Tootne Lago
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Na Mile Panah Kisi Ki Banhoon Mein
Aur Shiddat Se Kisi Ki Zaroorat Ho
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Jab Yeh Ehsaas Tumhe Tadpane Lage
Ke Tum Ne Kabhi Takraya Tha Kisi Ko
Yaa Phir Koi Tumhein Takra De
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Aankhoon Mein Aa Jaye Agar Ashk Tumhari
Aur Koi Shaks Pouchne Wala Na Ho
Koi Gum Bant Ne Wala Na Ho
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Koi Tod De Agar Dil Tumhara
Ho Agar Na Koi Muqabil Tumhara
Tanhai Ka Ehsas Bohat Sataye
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaogi

Yeh To Dukh Deti Hain Sada
Tumhe Bhe Yaadein Sataye Jab
Mehfil Mein Bhi Khud Ko Tanha Paoo
To Us Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir Paaoge

Yeh Mera Wada Raha Tumse
Jo Kuch Bhi Maine Kaha Tumse
Yeh Sab Na Bhool Paooge
Tum Muje Sada,Sada Apna Muntazir Paooge...

Ye Tajurba Bhi Karun Ye Bhi Kar Dikhlaun Main


Ye Tajurba Bhi Karun Ye Bhi Kar Dikhlaun Main,
Ke Khudko Yaad Rakhun Usko Bhool Jaun Main,

Fareb-E-Kaar Mein Kuch To Hai Koi Baat To Hia,
Ki Jaan Bujh Ke Itne Fareb Khaun Main,

Wo Pal Kahan Hai Jo Dunia Se Jodta Tha Mujhe,
Jo Paun Tujhko To Sabke Kareeb Aaun Main,

Kabhi To Ho Mere Ehsaas-Kam-Tari Mein Kami,
Kabhi To Ho Ke Use Khulke Aaun Main,

Wo Shakhs Hai Ke Naseem-E-Saher Ka Jhonka Hia,
Bikhar Hi Jaun Jo Usko Gale Lagaun Main,

Azan Ke Baad Dua Ko Jo Haath Uthaye Wo,
Ya Khuda Apni Namazein Bhi Bhul Jaun Main..

Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha Na Sukoon Tha Na Karaar Tha


Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha, Na Sukoon Tha Na Karaar Tha,
Ye Ho Umr Thi Mere Humnahi Ke Kisiko Mujhse Bhi Pyaar Tha,

Main Samajh Raha Hoon Teri Kasak Tera Mera Dard Hai Mushtarak,
Isi Gam Ka Tu Bhi Aseer Hai, Isi Gam Ka Main Bhi Shikar Tha,

Fakat Ek Dhun Thi Ke Raat Din Isi Khwab Zaar Mein Gum Rahein,
Wo Suroor Aisa Suroor Tha Wo Khumar Aisa Khumar Tha,

Kabhi Lamha Bhar Ki Guftugoo Meri Uske Sath Na Ho Saki,
Mujhe Fursatein Na Mil Sakein Wo Hawa Ke Reth Par Sawar Tha,

Hum Ajeeb Tarz Ke Log The Hamare Aur Hi Rog The,
Main Khizan Mein Tha Uska Muntazir Use Intezar Bahar Tha,

Use Padhke Tum Na Samajh Sake Ke Meri Kitab Ke Roop Mein,
Koi Qarz Tha Kayi Roz Ka Kayi Ratjagon Ka Udhar Tha...

Guzarte Lamhon Mein Aur Is Tez Raftaar Zindagi Mein


Guzarte Lamhon Mein,
Aur Is Tez Raftaar Zindagi Mein,
Jahan Mere Paas Apne Liye Waqt Nahi Hai,
Jahan Ek Ek Lamha Tezi Se Guzar Raha Hai,
Jahan Qadam Qadam Par Ek Naya Dukh Milta Hai,
Jahan Har Waqt Ek Naye Kaam Ka Muntazar Hai,
Jahan Subah Se Shaam Aur Shaam Se Raat Tak Ka Safar,
Palak Jhapakte Hi Guzar Jata Hai,
Jahan Dhoop Hi Dhoop Hai,
Aur Koi Saaya Daar Sajar Nahi,
Jahan Qadmon Mein Thakan Hi Thakan Hai,
Jahan Saath Chalta Hua Har Shakhs Ajnabi Hai,
Jahan Sab Log Manzil Ki Talab Mein,
Aage Badh Rahe Hai,
Jahan Koi Gam Baantne Wala Nahi,
Jahan Sirf Sehra Hi Sehra Hai,
Aur Baarish Ki Ummid Nahi Hai,
Aisi Zindagi Ke Is Safar Mein,
Sirf Ek Aarzu Ek Tamanna Hai,
Ke Is Socho Bhari,
Gamon Bhari,
Daudti Hui Masroof Zindagi Mein,
Kaash Mujhe Mil Jaye,
"Ek Lamha Mil Jaye Sukoon Ka"
Ek Lamha Sukoon Ka...

Ek Masoom Si Ummid Ka Haath Thame


Ek Masoom Si Ummid Ka Haath Thame,
Ek Maddham Se Chirag Ke Saaye Mein,
Chale The Sehra Ko Gulistan Banane,
Kya Thi Khabar,
Ho Jayenge Yun Be-Amaan,
Mit Jayenge Raaston Ke Nishaan,
Lut Jayenge Karwan,
Reh Jayenge Be-Dast-O-Paa,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya,
Us Ummid Ko Panapne Hi Na Dete Kya,
Us Chirag Ko Jalne Hi Na Dete Kya,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya
Jo Likha Tha Muqaddar Mein Use Hona Hi Tha,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya?
Muqaddar Ko Apne Badal Dete Kya???

Ulfat Ki Nayi Manzil Ko Chala Tu Baanhein Daal Ke Baahon Mein


Ulfat Ki Nayi Manzil Ko Chala, Tu Baanhein Daal Ke Baahon Mein,
Dil Todnewale Dekhke Chal, Hum Bhi To Pade Hai Raahon Mein,

Kya Kya Na Jafayein Dilpe Sahi, Par Tumse Koi Shikwa Na Kiya,
Is Jurmko Bhi Shamil Kar Lo, Mere Masum Gunahon Mein,

Jahan Chandni Raaton Mein Tumne Khud Humse Kiya Ikraar-E-Wafa,
Phir Aaj Hai Hum Kyon Begane, Teri Beraham Nigahon Mein,

Hum Bhi Hai Wahi Tum Bhi Ho Wahi, Ye Apni Apni Kismat Hai faysal
Tum Khel Rahe Ho Khushiyonse, Hum Doob Gaye Hai Aahon Mein...

Tumse Pyaar Hua Yaadon Mein Basera Tera


Tumse Pyaar Hua
Yaadon Mein Basera Tera
Tu Hi To Kaal Ka Savera Mera
Zindagi Tumharein Saath Jeene Hai
Nahin To Issi Aas Mein Mar Jana Bhi Hai
Suraj Jab Dhalta Hai
Udaas Main Ho Janti Hun
Meri Kahani Ka Ujala Ho Tum
Dhal Na Jaana Meri Zindagi Se Yun
Sona Bhi Dushwaar Hua Mera
Khwaabon Mein Kyun Aate Ho Tum
Haqeeqat Ban Jao Meri Ab
Aur Baahon Mein Bhar Lo Tum...

Tum Aur Fareb Khao Bayan-E-Raqeeb Se



Tum Aur Fareb Khao Bayan-E-Raqeeb Se,
Tumse To Kam Gila Hai Zyada Naseeb Se,

Goya Tumhari Yaad Hi Mera Ilaaj Hai,
Hota Hai Pehron Zikr Tumhara Tabeeb Se,

Barbaad-E-Dilka Aakhri Sarmaya Thi Ummid,
Wo Bhi To Tumne Chheen Liya Mujh Gareeb Se,

Dhundla Chali Nigaah Dam-E-Waapsi Hai Ab,
Aa Paas Aa Ke Tujhko Dekh Loon Qareeb Se...

Kuch Din Pehle Mohabbat Ko Sapna Samjha Hum Ne


Kuch Din Pehle Mohabbat Ko Sapna Samjha Hum Ne
Muhabbat Hue Mohabbat Ko Apna Samjha Hum Ne
Mohabbat Main Iskadar Madhosh Ho Gaye
Is Ki Bewafai Ko Wafa Samjha Hum Ne?
Zakham Iskadar Mohabbat Ne Diye
Hum Ne In Zakhmo Ko Phool Samjha
Mohabbat Ki Chik O Pukaar Iskadar Thi
Ke Aass Pass Ke Logo Ki Roone Ko Asna Samjha Hum Ne
Mohabbat Ki Shidat Main Aankhen Iskadar Chandiya Gaye
Har Chamakti Chiz Ko Sona Samjha Hum Ne
Dewaana Iskadar Mohabbat Ne Bannaya Humko
Ke Apno Ko Begana Samjha Hum Ne
Mohabbat Ki Yaadein Dil Par Kuch You Naksh Kar Gaye.
Ke On Ko Bhulane Ki Khoshish Main
Khod Ko Bhula Diya Hum Ne..???

Log Kehte Hai Ishq Ka Rona Garya-E-Zindagi Se Aari Hai



Log Kehte Hai Ishq Ka Rona,
Garya-E-Zindagi Se Aari Hai,
Phir Bhi Ye Na-Muraad Jazba-E-Dil,
Aqal Ke Falsafon Pe Bhari Hai,
Aapko Apni Baat Kya Samjhaun,
Roz Bujhte Hai Hoslon Ke Kanwal,
Roz Ki Uljhano Se Takra Kar,
Toot Jate Hai Dil Ke Sheesh Mahel,
Lekin Aapas Ki Tez Baaton Par,
Sochte Hai Khafa Nahi Hote,
Aapki Sinf Mein Bhi Hai Ye Baat,
Mard Hi Bewafa Nahi Hote...
...

Waqt Thoda Hai Paas Mere Par Ab Bahut Kuch Abhi Karna Baaqi Hai


Waqt Thoda Hai Paas Mere,
Par Ab Bahut Kuch Abhi Karna Baaqi Hai,

Wo Zakhm Jo Apno Ne Diya
Use Abhi Bharna Baaqi Hai,

Teri Dosti Ki Aadat Si Apd Gayi Hai Mujhe,
Kuch Der Tere Sath Chalna Mera Baaqi Hai,

Shamshan Chhod Ke Kuch Pal Ke Liye Kahin Mat Jaa,
Warna Rooh Kahegi Ruk Jaa Abhi Tere Yaar Ka Jalna Baaqi Hai...

Tarq-E-Mohabbat Par Bhi Hogi Unko Nidamat Humse Zyada


Tarq-E-Mohabbat Par Bhi Hogi Unko Nidamat Humse Zyada,
Kisne Ki Hai Kaun Karega Unse Mohabbat Humse Zyada,

Humne Maana Aap Mein Hogi Sabr Ki Taaqat Humse Zyada,
Dekhiye Lekin Utri Hui Hai Aapki Surat Humse Zyada,

Uff Wo Tabassum Halka Halka Haaye Wo Bhigi Bhigi Palkein,
Waqt-E-Rukhsat Upnpe Giraan Tha Lamha-E-Rukhsat Humse Zyada,

Koi Tamanna Koi Masarrat Dilke Kareeb Aane Hi Na Di,faysal
Kisne Ki Hai Ishq Mein Yaaron Gam Se Mohabbat Humse Zyada...

Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar Aankhon Mein Mere


Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar
Aankhon Mein Mere Aansuon Ne Kar Liya Basera
Jati Rahi Jaan Tadapta Raha Jigar
Main Usse Bichad Ke Ro Na Saka
Main Kitna Bewafa Hoon
Main Sochne Laga Ke Jab Bhi Woh Mujh Se Milti
Jate Hue Hamesha Woh Roti Aur Tadapti
Ro Ro Ke Aansuon Ke Dariya Baha Deti
Main Palko Ko Apni Bhigo Na Saka
Main Kitna Bewafa Hoon
Uska Dil Abhi Bhi Mujhse Pyar Kar Raha Hai
Uske Dil Mein Mera Pyar Aur Badh Raha Hai
Mohabbat Ka Ek Shajar Lagataar Chadh Raha Hai
Main Mohabbat Ka Ek Beej Bhi Bo Na Saka
Main Kitna Bewafa Hoon...

Sab Log Liye Sang-E-Malamat Nikal Aaye


Sab Log Liye Sang-E-Malamat Nikal Aaye,
Kis Sheher Mein Hum Ahal-E-Mohabbat Nikal Aaye,

Ab Dil Ki Tamanna Hai To Aye Kaash Yahi Ho,
Aansu Ki Jagah Aankh Se Hasrat Nikal Aaye,

Har Ghar Ka Diya Gul Na Karo Tum Ke Na Jaane,
Kis Baam Se Khurasheed-E-Qayamat Nikal Aaye,

Jo Dar Paa-E-Pindaar Hai Un Qatl Gahon Se,
Jaan Deke Bhi Samjho Ke Salamat Nikal Aaye,

Aye Humnafson Kuch To Kaho Ahad-E-Sitam Ki,
Ek Harf Se Mumkin Hai Hikaayat Nikal Aaye,

Yaaron Mujhe Masalub Karo Tum Ke Mere Baad,
Shayaad Ke Tumhara Qad-O-Qaamat Nikal Aaye...

Meri Zindagi Hia Zaalim Tere Gam Se Aashkaara


Meri Zindagi Hia Zaalim, Tere Gam Se Aashkaara,
Tera Gam Hai Dar-Haqeeqat Mujhe Zindagi Se Pyaara,

Wo Agar Bura Na Maane To Jahan-E-Rang-O-Boo Mein,
Main Sukoon-E-Dil Ki Khatir Koi Dhund **** Sahara,

Ye Falak Falak Hawayein Ye Jhuki Jhuki Ghatayein,
Wo Nazar Bhi Kya Nazar Hai Jo Samajh Na Le Ishara,

Mujhe Aa Gaya Yaqeen Sa Yahi Hia Meri Manzil,
Sar-E-Raah Jab Kisine Mujhe Daffa'atan Pukara,

Main Bataun Farq Naasih, Jo Hai Mujh Mein Aur Tujh Mein,
Meri Zindagi Talaatum, Teri Zindagi Kinaara,

Mujhe Guftagu Se Barkar Gam-E-Izn-E-Guftugu Hai,
Wahi Baat Puchhte Hai Jo Na Keh Sakun Dobara,

Koi Aye 'Shakeel' Dekhe, Ye Junoon Nahi To Kya Hai,
Ke Usike Hogaye Hum Jo Na Ho Saka Hamara...

Aashiyaane Ki Baat Karte Ho Dil Jalane Ki Baat Karte Ho


Aashiyaane Ki Baat Karte Ho,
Dil Jalane Ki Baat Karte Ho,

Saari Duniya Ke Ranj-O-Gam De Kar,
Muskurane Ki Baat Karte Ho,

Humko Apni Khabar Nahi Yaaron,
Tum Zamane Ki Baat Karte Ho,

Ziqr Mera Suna To Chid Ke Kaha,
Kis Deewane Ki Baat Karte Ho,

Hadsa Tha Guzar Gaya Hoga,
Kiske Jaane Ki Baat Karte Ho...

Yaad Unki Humse Bhulayi Na Gayi


Yaad Unki Humse Bhulayi Na Gayi,
Lage Mele Phir Bhi Tanhayi Na Gayi,

Aankhonse Aansu To Beh Nikle Aakhir
Dil Ki Tadap Kisiko Dikhayi Na Gayi,

Kasie Guzregi Tanhayi Mein Zindagi
Humse To Ek Shab Bhi Bitayi Na Gayi,

Udasi Ka Sawan Pal Pal Barse,
Honthon Par Muskaan Layi Na Gayi,

Jal Thal Jul Thul Aakhon Se Bhi Nami,
Tanhayi Ki Jalti Chingari Bujhayi Na Gayi...

Jal Bhi Chuke Parwane Ho Bhi Chuki Ruswayi


Jal Bhi Chuke Parwane Ho Bhi Chuki Ruswayi,
Ab Khaak Udane Ko Baithein Hai Tamashayi,

Taaron Ki Ziya Dil Mein Ek Aag Lagati Hai,
Aaram Se Raaton Ko Sote Hai Saudayi,

Raaton Ki Udaasi Mein Khamosh Hai Dil Mera,
Behis Hai Tammanayein Neend Aayi Ke Maut Aayi,

Ab Dilko Kisi Karwat Se Aaram Nahi Milta,
Ek Umar Ka Rona Hai Do Dinki Shanasayi,

Ek Shaam Wo Aaye The Ek Raat Firozaan Thi,
Wo Shaam Nahi Lauti Wo Raat Nahi Aayi.

Ye Duniya Badi To Nahi Ke Ek Baar Ke Bichhde Phir Na Mil Sakein


Ye Duniya Badi To Nahi,
Ke
Ek Baar Ke Bichhde Phir Na Mil Sakein,
Bichhdo To Is Tarah
Ke
Phir Milne Ka Imkaan Na Rahe,
Mujhse Waada Karo Tum,
Bichhadne Ke Baad,
Main Tumko Nazar Aaun Agar,
Aise Zaahir Karna,
Jaise Dekha Hi Nahi,
Mujhe Dekhar Kar Tumhara,
Dil Dhadka Hi Nahi,
Kio Baat Na Karna,
Labon Se
Aur Na Hi,
Aankhon Se,
Qurbat Ka Koi Gul Na Khilana,
Na Milna Mujhe Phir Kabhi,
Ke
Main Mil Kar Phir Bichhadne Ka Azab Na Seh Sakungi...

Zulmat-E-Shab Mein Ujaalo Ki Tamanna Na Karo


Zulmat-E-Shab Mein Ujaalo Ki Tamanna Na Karo,
Khwaab Dekha Hai To Ab Khwaab Ko Ruswa Na Karo,

Bojh Suraj Ka Padega To Lachak Jayegi,
Raat Ki Surmayi Shaahon Pe Bharosa Na Karo,

Khwaab, Ummid, Nasha, Saans, Tabassum, Aansu,
Tootne Wali Kisi Shay Par Bharosa Na Karo,

Humne Aankhon Ko Jalaya Tha Ke Kuch Dhundh Chhate,
Tum Nayi Nasl Ke Sooraj Ho Tum Aisa Na Karo,

Ashq Peene Ka Hunar Seekh Lo Humse Aakar,
Jazba-E-Dil Ko Nigaahon Se Havedaa Na Karo,

Mausami Barf Hai Kuch Der Mein Pighal Jayenge,
In Badalte Hue Rishton Par Bharosa Na Karo,

Ye Fazaa Raas Na Aayegi Tumhe Aye SANAM,
Yaad Guzre Hue Lamhaat Ki Taaza Na Karo...

Khoon Se Jab Jala Diya Ek Diya Bujha Hua


Khoon Se Jab Jala Diya Ek Diya Bujha Hua,
Phir Mujhe De Diya Gaya Ek Diya Bujha Hua,

Ek Hi Daastan-E-Shab Ek Hi Silsila To Hai,
Ek Diya Jala Hua Ek Diya Bujha Hua,

Mujhko Nishaat Se Fuzoon Rasm-E-Wafa Azeez Hai,
Mera Rafiz-E-Shab Raha Ek Diya Bujha Hua,

Dard Ki Kaayenaat Mein Mujhse Bhi Roshni Rahi,
Waise Meri Bisaat Kya Ek Diya Bujha Hua,

Sab Meri Roshni-E-Jaan Harf-E-Sukhan Mein Dhal Gayi,
Aur Main Jaise Reh Gaya Ek Diya Bujha Hua...

Ye Ab Khula Hai Ke Koi Bhi Manzar Mera Na Tha



Ye Ab Khula Hai Ke Koi Bhi Manzar Mera Na Tha,
Main Jisme Reh Raha Tha Wohi Ghar Mera Na Tha,

Main Jisko Ek Umr Sambhale Phira Kiya,
Mitti Bata Rahi Wo Paikar Mera Na Tha,

Mauj-E-Hawa-E-Saher Muqaddar Jawaab De,
Dariya Mera Na Tha Ke Samundar Mera Na Tha,

Phir Bhi To Sang-Saar Kiya Jaa Raha Hoon Main,
Kehte Hai Naam Tak Sar-E-Manzar Mera Na Tha,

Sab Log Apne Apne Kabilon Ke Sath The,
Ek Main Hi Tha Ke Koi Bhi Lashkar Mera Na Tha...

Kabhi Aisa Bhi Ho Tumhari Koi Shaam Mere Naam Bhi Ho

Kabhi Aisa Bhi Ho,
Tumhari Koi Shaam Mere Naam Bhi Ho,
Tumhari Nigahein Mere Liye Sarapa Intezar Bhi Ho,

Tumhari Kisi Sochon Mein Mera Guzar Bhi Ho,
Tumhari Nazmon, Tumhari Gazlon Mein Meri Shakhsiyat Zer-E-Zikr Bhi Ho,

Tumhare Takallum Mein Mera Zikr Karte Samay Kisi Qadar Chaashni Bhi Ho,
Tumhare Dil Mein Mujhe Paa Lene Ki Justuju Bhi Ho,

Tumhari Koi Shab Bechain-O-Bekarar Bhi Ho,
Tumhare Hathon Ki Lakeeron Mein Mere Naam Ki Lakeer Bhi Ho...

Zinda Rahein To Kya Hai Jo Mar Jaye Hum To Kya



Zinda Rahein To Kya Hai Jo Mar Jaye Hum To Kya,
Duniya Mein Khamoshi Se Guzar Jaye Hum To Kya,

Hasti Hi Apni Kya Hai Zamane Ke Samne,
Ek Khwab Hai Janah Mein Bikhar Jayein Hum To Kya,

Ab Kaun Muntazir Hai Hamare Liye Wahan,
Shaam Aa Gayi Hai Laut Ke Ghar Gaye Hum To Kya,

Dilki Khalish To Sath Rahegi Tamam Umr,
Dariya-E-Gam Ke Paar Utar Jaye Hum To Kya...

Chaand Chehra Hai Tu, Sitara Hai Aankhein Unki


Chaand Chehra Hai Tu, Sitara Hai Aankhein Unki,
Honth Kalyaan Hia Tu, Mehekti Hai Saansein Unki,

Bistar Par Bhi Chain Mujhe Lene Nahi Deti,
Aakar Khwab Mein Satati Hai Baatein Unki,

Kahin Dinko Bhi Na Raat Samajh Baithe Ye Log,
Hum Isliye Hatate Hai Chehre Se Zulfein Inki,

Chaand Se Keh Do Wo Aaj Se Kahin Aur Jaa Kar Chamke,
Yahan Raushan Hai Aur Chamakti Ia Raatein Unki...

Kisi Ibteda Aur Intehaa Ke Darmiyan Hai Zindagi



Kisi Ibteda Aur Intehaa,
Ke Darmiyan Hai Zindagi,
Jahan Is Taraf Na Us Taraf,
Door Tak Kahin Kuch Nahi,
Jaise Doro Kahin Kisi Reh Guzar,
Ke Bich-O-Bich Koi Ajnabi,
Dhool Mein Kho Ke Raaston Ko,
Hichkiyon Se Ro Pade,
Jaise Rehguzar Ki Garam Ret,
Aur Aasman Ko Chhod Kar,
Nazar Ki Tamam Wusaton Mein Aur Kuch Na Mil Sake,
Dhoop Ki Tamazaton Ki Inteha Ki Wo Sar Zameen,
Jahan Hasraton Ke Bich Se Faqt Saraab Hi Khil Sake,
Us Ajnabi Ki Pyaas Kya,
Ummid Kya Aur Yaas Kya,
Bajuz Ajal Ka Intezar,
Aur Bacha Hai Uske Paas Kya,
Is Ibteda Aur Inteha Ke Darmiyan To Main Bhi Hoon,
Is Ibteda Aur Inteha Ke Darmiyan To Tu Bhi Hia,
Jaise Door Kahin Jangalon Mein,
Rail Ki Do Patriyan,
Jo Qurbaton Ki Anginat Raat-O-Din Ke Bawajood,
Ek Hath Bhar Ke Fasle Se,
Rehguzar Mein Bant Gayi,
Aah! Kya Mil Baithneki Wo Shabnami Si Hasratein,
Jo Zaviyon Ki Hair Phiar Ki Ganjalon Mein Phans Gayi,
In Intehahon Ke Darmiyan Ki Sitam Zareefi Dekhiye,
Jo Chandni Se Khwab The Wo Raaston Mein Kho Diya,
Jo Siskiyon Ke Azab The,
Wo Zindagi Ko De Diya...

Sar-E-Raah Kuch Bhi Kaha Nahi, Kabhi Uske Ghar Mein Gaya Nahi


Sar-E-Raah Kuch Bhi Kaha Nahi, Kabhi Uske Ghar Mein Gaya Nahi,
Main Janam Janam Se Usi Ka Hoon, Use Aaj Tak Ye Pata Nahi,

Use Paak Nazron Se Chumna Bhi Ibadaton Mein Shumar Hai,
Koi Phool Laakh Kareeb Ho, Kabhi Maine Use Chhua Nahi,

Ye Khuda Ki Den Ajeeb Hai, Ke Isi Ka Naam Naseeb Hai,
Jise Tune Chaha Wo Mil Gaya, Jise Maine Chaha Mila Nahi,

Isi Sheher Mein Kayi Saal Se, Mere Kuch Kareeb-E-Azeez Hai,
Unhe Meri Koi Khabar Nahi, Mujhe Unka Koi Pata Nahi...

Main Saahil Pe Likhi Koi Ibaarat Nahi



Main Saahil Pe Likhi Koi Ibaarat Nahi
Jo Lehron Se Mit Jaati Hai,
Main Baarish Ki Barasti Boond Nahi,
Jo Baras Kar Tham Jaati Hai,
Main Khwab Nahi,
Jise Dekha Aur Bhula Diya,
Main Shama Nahi
Jise Phoonka Aur Bujha Diya,
Main Chand Bhi Nahi
Jo Raat Ke Baad Dhal Jaye,
Main To Wo Ehsaas Hoon
Jo Tujh Mein Lahoo Ban Kar Gardish Karein,
Main To Wo Rang Hoon,
Jo Tere Dilpe Chade To Kabhi Na Mite,
Khwab, Ibarat, Hawa Ki Tarah Chand,
Boond Shama Ki Tarah,
Mere Mitne Ka Sawal Nahi,
Kyon Ke Main Mohabbat Hoon,
Aur Mohabbat Ko Koi Zawaal Nahi...

Ishq To Khud Hi Ho Jaata Hai Dil Bhi Apna Kho Jaata Hai



Ishq To Khud Hi Ho Jaata Hai
Dil Bhi Apna Kho Jaata Hai
Jab Aisa Ho Jaata Hai
To Dil Bekaraar Ho Jaata Hai.

Kyun Hota Hain Humko Pyaar
Mujhko Nahi Pata Yaar.

Itna Zaroor Pata Hai Mujhko
Ek Din Ye Bhi Hoga Tumko.

Jab Hoga Tumko Pyaar
Hawa Mein Udoge Tum Bhi Yaar
Khush Rahoge Hardam Tum
Pyaar Karoge Pyaar Se Tum.

Aaj Tumne Jisko Dekha Hai
Shayad Who Hee Tumhara Apna Hai
Abhi Chalega Pata Nahi
Intezaar Mein Rahna Har Ghadi...

Aag Ho To Jalne Mein Der Kitni Lagti Hai


Aag Ho To Jalne Mein Der Kitni Lagti Hai,
Barf Ke Pighalne Mein Der Kitni Lagti Hai,

Chahe Koi Ruk Jaye, Chahe Koi Reh Jaye,
Qaafilo Ko Chalne Main Der Kitni Lagti Hai,

Chahe Koi Jaise Bhi Hamsafar Ho Sadiyon Se,
Rasta Badalne Mein Der Kitni Lagti Hai,

Ye To Waqt Ke Bas Mein Hai Ke Kitni Mohlat De,
Warna Waqt Dhalne Mein Der Kitni Lagti Hai,

Soch Ke Zameeno Par Raste Juda Ho To,
Dur Ja Nikalne Mein Der Kitni Lagti Hai,

Umar Bhar Ka Bandhan Bhi Pal Bhar Mein Tut Jata Hai,
Soch Ko Badalne Mein Der Kitni Lagti Hai,

Jab Hawa Mukhalif Ho, Moj Mein Samander Ho,
Kashtiyan Ulatne Mein Der Kitni Lagti Hai...

Aansu Bhar Aaye Aankh Mein Har Ek Hansi Ke Baad


Aansu Bhar Aaye Aankh Mein Har Ek Hansi Ke Baad,
Gam Ban Gaya Naseeb Mera Har Khushi Ke Baad,

Nikla Tha Karwan Mohabbat Ki Raah Mein,
Har Mod Pe Nafrat Khadi Thi Har Gali Ke Baad,

Socha Tha Pyar Ka Main Sajaunga Gulistaan,
Har Phool Jal Gaya Mera Bankar Kali Ke Baad,

Chahat Ki Bebasi Ka Ye Kissa Hai Mukhtasir,
Dilne Sakoon Na Paya Kabhi Dillagi Ke Baad,

Ab Raakh Hi Sametta Hoon Aashiyane Ki,
Khud Hi Jala Diya Tha Jaise Aajzi Ke Baad,

Sunte Hai Baad Marne Ke Milta Hai Sab Sila,
Dekhenge Kya Milega Zindagi Ke Baad...

Ye Hai Moti Inhe Palkon Par Sajate Kyon Ho


Ye Hai Moti Inhe Palkon Par Sajate Kyon Ho,
Bana Ke Aansu Inhe Nazron Se Girate Kyon Ho,

Jaane Kya Naam De Duniya Is Shabnam Ko,
Tum Inhe Ruswayi Ka Karobar Banate Kyon Ho,

Ye Kya Har Kisi Se Haal-E-Dil Kehna,
Shikwa Mujhse Hai Duniya Ko Sunate Kyon Ho,

Duniya Ko To Ye Mahaz Ek Fasana Lagta Hai,
Tum Chaak Girebaan Samne Aate Kyon Ho,

Kaha To Tha Bahut Kuch Sayano Ne,
Dil Be-Ikhtiyar Hai Isko Samjhate Kyon Ho...

Agar Kuch Naam Dena Ho Mujhe Insaan Mat Kehna



Agar Kuch Naam Dena Ho,
Mujhe Insaan Mat Kehna,
Beshak Sabhi Ke Naam Hote Hai,
Magar Insaniya Ke Ab Yahan Par Daam Hote Hai,
Mere Tum Daam Mat Dena,
Mujhe Ye Naam Mat Dena,
Agar Kuch Naam Dena Ho To,
Mujhe Ehsaas Keh Dena,
Magar Thehro,
Mujhe Ehsaas Mat Kehna,
Mer Abas Naam Reh Jaye Mujhe Aisa Nahi Rehna,
Mujhe Ehsaas Mat Kehna,
Agar Kuch Naam Dena Ho To,
Mujhe Sawan Hi Keh Dena,
Magar Thehro,
Mujhe Saawan Mat Kehna,
Barasta Hai Magar,
Rutt Ke Badle Beet Jaata Hai,
Agar Kuch Naam Dena Ho,
Mujhe Aansu Hi Keh Dena,
Janam Lena Kisiki Aankh Mein,
Raksar Pe Marna,
Ye Hi Jiski Haqeeqat Hai,
Chalo Aansu Hi Keh Dena,
Magar Dekho,
Kisiki Aankh Mein Mujhko Kabhi Aane Na Dena,
Ke Keemat Aansuon Ki Ab Ada Tumse Nahi Hogi,
Mujhe Aansu Nahi Kehna,
Mujhe Aankhon Mein Basta Ek Haseen Sapna Hi Kehna,
Ke Sapne Aankhon Mein Taro Ki Tarah Jhilmilate Hai,
Magar Thehro,
Mujhe Sapna Na Kehna,
Ke Sapne Toot Jaate Hai,
Mujhe Apna Nahi Kehna,
Ke Apne To Rooth Jaate Hai...

Raatein Laut Aayi Hain Phir Se Maazi Ke Wo Dareechein Khulein



Raatein Laut Aayi Hai,
Phir Se Maazi Ke Wo Dareechein Khulein,
Kabhi Yunhi Kisi Sard Raat Mein Achanak,
Suhani Yaadon Ka Koi Hissa,
Kisi Barf Ke Narm Gale Ki Tarah,
Bin Mausam Ki Sardi Ki Baarish Ki Tarah,
Pichhle Peher Ki Khamosh Sarsarahat Ki Maanind,
Apne Andar Nami Ka Ehsaas Liye,
Yunhi Udti Saba Ki Tarah,
Dilko Chhu Jayega,

Phirse Dil Muskurayega,
Anjaane Se Suron Mein Dhale Geet,
Sunega,
To Us Waqt, Sun Lo Jaana!
Wo Yaadein, Wo Maazi Bhi Apna Tha,
Aur Ye Baatein Ye Haal Bhi Apna Hai,
Tum Kal Mujhse,
Mere Rag-E-Jaan Se,
Sab Se Badhke Kareeb The,
Aaj Aur Bhi Nazdeek Ho,

Mausam To Hote Hi Badalne Ko Hai,
Ye Sa'ay Se, Ye Roz-O-Shab,
Hote Ghatne Badhane Ko Hai,
Mohabbat Sirf Badhane Ko Hai,

Har Guzarta Pal,
Har Jaata Lamha, Ye Keh Raha Hai,
Wo Yaadein, Wo Maazi Bhi Apna Tha,
Aur Ye Baatein, Ye Haal Bhi Apna Hai...

Itne Chup Kyon Ho Rafeeqan-E-Safar Kuch To Kaho


Itne Chup Kyon Ho Rafeeqan-E-Safar Kuch To Kaho,
Dard Se Choor Hue Ho Ke Karaar Aaya Hai,

Bhar Gaya Hijr Ka Zakham Ke Ji Haar Chale,
Bujh Gaya Shauq Ke Paigam-E-Nigaar Aaya Hai,

Namuradi Ki Thakan Hai Ke Khumaar-E-Shab-E-Wasl
Jaan Sulagti Hai Ke Chehron Pe Nikhaar Aaya Hai,

Kitni Ujdi Hui Rutt Hai Ke Sakoon Hai Na Junoon,
Itni Befaiz Hui Bad-E-Bahari Kaise,

Nahi Kahin Nuha-E-Jaan Hai Na Kahin Nagma-E-Dil,
Kuch To Bolo Ke Shab-E-Dard Guzari Kaise,

Sar Bezanoo Ho To Kyon Chaak-E-Garebaan Walon,
Bazi-E-Raah-Talab Jeet Ke Haari Kaise...

Ho Kar Zameen Ka Aasman Ki Chah Kyon Karun



Ho Kar Zameen Ka Aasman Ki Chah Kyon Karun,
Main Tujhko Paane Ki Tamanna Kyon Karun,

Mujhko Khabar Hai Judayi Tadpayegi Har Pal,
Isliye Bata De Main Tujhse Wafa Kyon Karun,

Meri Masumiyat Ko Banaya Hai Rabne Mohabbat Ke Liye,
Tujhe Main Chahne Ki Phir Khata Kyon Karun,

Farishte Bhi Tadap Jaate Hai Jab Mere Aankh Se Ashq Chhalakte Hai
Ye Dard Main Tujhe De Kar Koi Gunaah Kyon Karun,

Teri Meri Kismat Ki Raahein Hai Juda Juda,
Main Phir Tere Bann Jane Ki Aarzu Kyon Karun,

Mere Hathon Ki Laqeeron Pe Nahi Naam Tera,
Main Tera Naam Apne Naam Se Milane Ki Justuju Kyon Karun,

Meri Baatein Tere Dil Mein Hamesha Bas Jaati Hai,
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyon Karun,

Baaton Baaton Mein Benaam Fasane Ban Jaate Hai,
Aur Aisi Adhuri Kahani Ko Main Shuru Kyon Karun,

Jo Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hai,
Ye Batao Ke Main Unka Zikr Dobara Kyon Karun,

Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai,
Usko Pyaar Se Dekh Kar Uspar Koi Jaadu Kyon Karun,

Mere Liye Ye Mumkin Nahi Ke Main Teri Ban Jaun Kabhi,
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyon Karun...

Mohababt Mein Koi Sadqa Uthana Chahiye Tha


Mohababt Mein Koi Sadqa Uthana Chahiye Tha,
Bhulaya Tha Jise Wo Yaad Aana Chahiye Tha,

Gir Gayi Ghar Ki Deewar To Sehen-E-Dil Mein Humko,
Gharonde Ka Koi To Naqsha Banana Chahiye Tha,

Uthana Chahiye Thi Raakh Seher-E-Aarzu Ki,
Phir Uske Baad Ek Toofan Uthana Chahiye Tha,

Koi To Baat Karni Chahiye Thi Khud Se Aakhir,
Kahin To Mujhko Bhi Ye Dil Lagana Chahiye Tha,

Kabhi To Ehtamam Aarzu Bhi Tha Zaroori,
Koi To Zeest Girne Ka Bahana Chahiye Tha,

Meri Apni Aur Uski Aarzu Mein Farq Ye Tha,
Mujhe Bas Wo, Use Sara Zamana Chahiye Tha...

Ishq Mein Har Qadam Pe Khudko Giraya Humne


Ishq Mein Har Qadam Pe Khudko Giraya Humne,
Kyon Phir Us Bewafa Ko Palkon Par Bithaya Humne,

Gile Shikwe Ho Jaate Hai Dafan Ye Sun Kar,
Hukm-E-Walid Sar Aankhon Navaya Humne,

Yun To Koi Ummid Nahi Taqdeer Se Hamein,
Bebas Dilko Pal Pal Bharosa Dilaya Humne,

Sang Mere Roya Hai Aaj Aasman Bhi Behad,
Dastan-E-Gam Is Tafseel Se Sunaya Humne...

Mohabbat Aur Khwahish Mein Kayi Benaam Rishte Hai


Mohabbat Aur Khwahish Mein Kayi Benaam Rishte Hai,
Magar Jo Gaur Se Dekhein,
To Dono Mein Bahut Se Faasle Bhi Is Tarah Maujood Hai Jaise,
Samundar Ek Hota Hai,
Magar Uske Kinare Ek Dooje Se Sarasar
Ajnabi Aur Makhtalif Raston Ko Chhute Hai,
So Aisa Hai,
Samme Ke Is Samundar Mein,
Jahan Har Shay Badalti Hai,
Wahan Hum Tum Bhi Badle Hai, Badalna Tha,
Ke Rishte Bhi Hamare Aqs Ki Surat,
Bahut Ahistagi Se Is Tarah Karwat Badalte Hai,
Basa Aukat Bistar Par Padi Chadar Pe Silwat Tak Nahi Padti,
Na Aankhon Mein Safar Karte Purane Rang Hi Tabdeel Hote Hai,
Na Baaton Ke Tasalsul Mein Koi Deewar Aati Hai,
Bas Itna Hai,
Ke Khwahish In Bandh Mutthi Se Wohi Jo Reet Si Pal Pal,
Phisalti Hai Usi Ke Beech Mein Shayad Wo Jazba Bhi Kahin Hota Hai,
Jisko Pyaar Kehte Hai,
Mohabbat Naam Hai Jiska,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Hamein Khud Apne Hathonse Phisalti Ret Ki,
Reezish Ka Andaza Nahi Hota,
Magar Wohi Girti Rehti Hai,
Kabhi Hum Usko Phir Se Jama Karne Aur Uthane Ke Liye,
Koshish Bhi Karte Hai,
Magar Din Raat Ki Sarkish Hawayein,
Is Qadar Mitti Udati Hai Ke Kuch Bhi Ho Nahi Pata,
Ye Dil Fariyaad To Karta Hai Lekin Ro Nahi Pata,
To Wo Aansu,
Ke Jinko Is Phisalti Ret Mein Bikhri Mohabbat Ko,
Dobara Zindagi Dena Tha Aur Shadab Karna Tha,
Nahi Behte,
Wohi Aankehin Ke Jin Mein Har Ghadi Shammayein Si Jalti Thi,
Unhi Chehron Pe Hoti Hai Magar Un Mein,
Mohabbat Aur Tailooq Ki Purai Lau Nahi Hoti,
Zamana Unke Andar Se Guzar Kar Khud To Jaane Kis Taraf Jaata,
Kahan Bisraam Karta Hai,
Magar Uske Gubaar-E-Raah Mein Uljhe Raste,
Kayi Chehre Badalte Hai,
Mohabbat Karnewale Shakhs Aur Unki Mohabbat Bhi,
Badalte Waqt Ki Yalgaar Se Bachne Ki Khatir Ek,
Nayi Surat Mein Dhalte Hai,
Wafa Haare Hue Maidan Se Jo Parcham Uthati Hai,
Unhe Lashkar Nahi Milta,
Guzarte Waqt Ke Aashoob Mein Chehra Badalta Hai,
To Phir Paikar Nahi Milta,
So Jaan-E-Jaan Agar Hum Tum,
Badalte Waqt Ki Is Tez Aandhi Mein Abhi Tak Ek Hai,
Aur Ek Duje Ke Liye Bechain Rehti Hai,
To Shayad Ye Hamare Bakht Ki Khubi, Hamari Khushnasibi Hai,
Ke Hum Dono Guzarte Waqt Ki Sarkash Rawani Mein,
Bahe Bhatakte To Hai Lekin,
Hamare Sahilon Ka Ruskh Kisi Lamhe Nahi Badla,
Ye Husn-E-Ittefaq Aisa Hai Jo Kismat Se Milta Hai,
Bahut Kadwa Sahi Lekin Yehi Sab Se Bada Sach Hai,
Ke Jo Lamha Guzar Jaye,
Wo Kitna Bhi Maqdus Qeemti Ya Khubsurat Ho,
Kabhi Wapis Nahi Aata,
Mohabbat Aur Khwahish Aur Unke Darmiyan Phaili Hui,
Benaam Rishte Bhi, Inhi Chizon Mein Shamil Hai,
Jinhe Ye Waqt Ka Dariya,
Hamare Chahne Na Chahne Se Be-Niyaz-O-Bekhabar Ho Kar,
Purnai Dairy Pichhle Calendaron Ki Tarah Tabdeel Karta Hai,
Ise Ek Mojza Kahiye,
Ke Khwahish Ke Safar Mein Humne Jitne Mod Kaate,
Jsi Qadar Rehwar Badle Hai,
Wo Sab Ek Sath Badle Hai,
Na Girti Ret Badli Hai, Na Apne Hath Badle Hai,
Ise Ek Mojza Kahiye...

Bahut Hi Yaad Aata Hai Mere Dilko Tadpata Hai


Bahut Hi Yaad Aata Hai Mere Dilko Tadpata Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mujhko Rulata Hai,

Wo Mera Teri Aankhon Ke Samundar Mein Utar Jaana,
Aur Teri Muskurahat Ke Bhanwar Mein Doobte Jaana,

Teri Awaz Ke Seher Se Na Nikal Paana,
Tujhko Dekhna Aur Bekhudi Se Dekhte Jaana,

Bahut Chaha In Guzre Hue Lamhon Ko Na Sochun,
Na Teri Yaad Mein Reh Ke Tere Sath Ka Sochun,

Bhula Dun Saari Yaadon Ko Ke Jinse Dil Tadapta Hai,
Ke Jinse Thes Uthti Hai Ke Jin Se Dard Hota Hai,

Magar Jab Raat Aati Hai To Teri Yaad Aati Hai,
Tere Hi Khwaab Hote Hai Teri Hi Baat Hoti Hai,

To Tay Paaya Ab Mumkin Nahi Tujhko Bhula Dena,
Teri Yaad Mein Rehna Tujhe Hi Sochte Rehna,

Tujhe Jab Yaad Karte Hai To Dil Apna Tadapta Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mehsoos Hota Hai...

Ek Khalish Ko Haasil-E-Umr-E-Rawan Rehne Diya


Ek Khalish Ko Haasil-E-Umr-E-Rawan Rehne Diya,
Jaan Kar Humne Unhe Naameherbaan Rehne Diya,

Kitni Deewaron Ke Saaye Hath Phailate Rahe,
IshQ Ne Lekin Hamein Bekhwanamaan Rehne Diya,

Apne Apne Hosle Apni Talab Ki Baat Hai,
Chun Liya Humne Unhe Saara Jahan Rehne Diya,

Ye Bhi Kya Jeene Mein Jeena Hai Bagair Unke "Adeeb"
Shama Gul Kar Di Gayi BaaQi Dua Rehne Diya...

Main Apne Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon


Main Apne Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon,
Main Is Jeevan Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon,

Mera Guzra Hua Kal To Mere Mazi Ka Hisah Hai
Main Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon

Khizain, Sardian, Garmi, Baharein, Barishein, Jara
Main Har Mosaam Ka Har Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon

Tumhare Dukh, Udasi, Gham, Sabhi Ranj-O-Alam Lekar
Main Ye Khushion Bhari Chagal Tumhare Naam Karta Hoon

Sitare Asmaan Ke Sab Tumhari Mang Mein Bhar Kar
Shaab-E-Tera Ka Sab Kajal Tumhare Naam Karta Hoon

Tumhare Bin Yah Har Ek Pal Mujahy Bechain Rakhta Hai
Main Apna Dil Hai Jo Bekal, Tumhare Naam Karta Hoon

Barasta Bheegta Mosaam Hai Kamzori Meri Lakin
Mein Yah Sawan, Ghatta, Badal Tumhare Naam Karta Hoon...

Jis Chirag Ko Apne Dam Se Jalaya Hai,


Jis Chirag Ko Apne Dam Se Jalaya Hai,
Usi Chirag Ne Mera Aashiyan Jalaya Hai,

Bachaya Tha Jisko Hawa Ke Ek Jhonke Se Bhi,
Usine Aaj Mujhe Toofan Mein Fansaya Hai,

Darun Kyon Na Ab Chiragon Se Main Ke
Ek Jala Tha Mere Ghar Ab Raqeeb Ke Ghar Ujala Hai,

Jism Par Jalne Ke Nishaan Uar Daman Par Kaale Daag Kaise
Chiragon Ki Sohbat Mein Bas Maine Yehi Paya Hai...

Be Zameen Logon Ko Bekarar Aankhon Ko


Be Zameen Logon Ko
Bekarar Aankhon Ko,
Badnaseeb Qadmon Ko,
Jis Taraf Bhi Le Jayein
Raasto Ki Marzi Hai,

Be-Nishaan Jazeeron Par,
Badguman Shehron Mein,
Be-Zuban Musafir Ko
Jis Taraf Bhi Bhatka Dein,
Raaston Ki Marzi Hai,

Rok Dein Ya Badhne Dein,
Thaam Le Ya Girne Dein,
Wasal Ki Lakeeron Ko,
Tod Dein Ya Milne Dein,
Raston Ki Marzi Hai,

Ajnabi Koi Laa Kar Humsafar Bana Dein,
Saath Chalne Walon Ki Raakh Bhi Uda Dalein,
Ya Musaftein Saari
Khaak Mein Mila Dein,
Raaston Ki Marzi Hai...

Haan Tum Bhi Wo Hi Aur Hum Bhi Wohi Par Waqt Badalne Se Jana


Haan Tum Bhi Wo Hi Aur Hum Bhi Wohi,
Par Waqt Badalne Se Jana,
Yun Milte Hai Hum Ek Dooje Se,
Jaise Ke Do Begane Ho,
Socho To Zara Kya Mumkin Hai???

Tum Ab Bhi Hamein Wo Baat Kaho
Jis Baat Ke Sunne Se Man Me
Dheron Se Diye Jal Jaate The,
Hum Haste The Aur Kehte The,

"Kuch Baatein Ankahi Rehne Do,
Kuch Baatein Ansuni Rehne Do,
Sab Baatein Dilki Keh De Agar,
Phir Baaqi Kya Reh Jayega?"

AB Tum Hi Kaho Aye Jaane Jahan,
Jeewan Ki Sisakti Raahon Mein,
Jab Tum Hi Nahi To Kisse Kahein,
Aur Kis Se Sunein?
Wo Baat Ke Jiske Sunne Se,
Hum Pagal Se Ho Jate The...

Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad, Chale Aana


Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad, Chale Aana,
Bhool Jaana Apni Kahi Har Baat, Chale Aana,

Juday Ka Wo Lamha Aur Wo Manzar Dhalte Sooraj Ka,
Yaad Tumko Jab Aane Lage Wo Shaam, Chale Aana,

Bhool Jao Tum Agar Manzil Kabhi Apni,
Uthana Apne Qadam Phir Meri Taraf, Chale Aana,

Had Se Guzar Jaye Jab Mera Zabt-E-Ghum,
Aur Main Pukarun Tumko Baar Baar, Chale Aana,

Tumhare Bin Jeene Ka Ab Tasavvur Nahi Dost,
Meri Maut Ka Gar Tumko Mile Payaam, Chale Aana..

Kaha Na Pyar Hai Tumse To Phir Kyon Zid Tumhari Hai



Kaha Na Pyar Hai Tumse,
To Phir Kyon Zid Tumhari Hai
Ke Jab Bhi Milo Mujhse,
Yehi Ikraar Ho Lab Par,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Tumhe Malum Hai Jaana
Mohabbat To Mohabbat Hai,
Ye To Aankhon Mein Dikhti Hai,
Haseen Se Khwab Ki Soorat,
Ye To Ek Phool Sa Jazba Hai,
Ke Jisme Rang Bhi Aur Khushbuon Ka Sath Hota Hai,
Bahut Anmol Jazba Hai,
Ye Izhaar Ki Shiddat Ka Talib B Nai Hota,
Bahut Chup Chap Jazba Hai,
Dabe Paanv Hi Chala Ata Hai,
Magar Jo Naksh Is Ke Hai Bahut Hi Gehre Hote Hai,
Inhe Kehna Nahi Padta,
Lab To Khamosh Hote Hai Magar Izhaar Hai Hota,
Kabhi Aankhon Ki Shokhi Se,
Kabhi Baaton Ki Khusboo Se,
Ye Jazbaa Chhup Nahi Paata,
Ye Sab Batein Hai Mere Jaana,
Tumhe Malum Hi To Hai,
Tumhari Hi Kahi To Hai,
To Phir Kyon Zid Se Yehi Izhaar Ho Lab Par,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Magar Tum Janti Ho Na Tumhari Baat Ko Jaana,
Nahi Main Taal Sakta Hoon,
Chalo Ikraar Karta Hoon,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai...

Gar Chaho Ke Ada Kar Sako Tum Keemat-E-Dil


Gar Chaho Ke Ada Kar Sako Tum Keemat-E-Dil,
To Tasavvur Ke Garaan Qadar Aaino Mein Basi,
Ek Khamosh Si Beloos Ibarat Padh Lo
Jiska Mafhoom Agar Samjho To Behad Sada Hai,
Har Tahayyul Ki Bulandi Par Hai Mehwe Parwaaz,
Dilki Qeemat Nahi Kabhi Saim-O-Jawahir Mein Mili,
Naa Hi Yeh Bandish-E-Khalat-E-Zamana Mein Mili,
Kisne Dekha Hai Kisi Phool Ki Khushboo Ko Kabhi,
Kyon Chhu Sakta Hai Parbat Ki Sadaon Ko Kabhi,
Kiya Kisi Aankh Se Le Sakte Ho Tum Aansu Ko Kabhi,
Kya Chura Sakte Ho Taaron Se Uski Kiranon Ko Kabhi,
Phir Bhi Chaho Ke Ada Kar Salko Tum Qeemat-E-Dil,
Pyar Ki Aanch Mein Jal Gaye Lamhe La Do,
Tumhari Yaad Mein Chhalakte Hai Jo Aansu La Do..

Popular Posts