Saturday, May 15, 2010

sher k parde mein main ne ghum sunaya hai bahut

sher k parde mein main ne ghum sunaya hai bahut 
marsiye ne dil ko mere bhi rulaya hai bahut 

wadi-o-kohsar mein rota hun dhare mar-mar 
dilbaran-e-shahar ne mujh ko sataya hai bahut 

wa nahin hota kisi se dil girifta ishq ka 
zahiri gam-gin use rahna khush aya hai bahut

jo is shor se 'Mir' rota rahega

jo is shor se 'Mir' rota rahega
to ham-saya kahe ko sota rahega

main wo ronewala jahan se chala hun 
jise abr har sal rota rahega 

mujhe kam rone se hardam hai nasih 
tu kab tak mere munh ko dhota rahega 

base giriya ankhen teri kya nahin hain
jahan ko kahan tak dubota rahega

mere dil ne wo nala paida kiya hai
jaras k bhi jo hosh khota rahega

tu yun galiyan gair ko shauq se de
hamain kuch kahega to hota rahega

bas ae 'Mir' mizhgan se ponch ansuon ko
tu kab tak ye moti pirota rahega

yaro mujhe muaf karo main nashe mein hun

yaro mujhe muaf karo main nashe mein hun 
ab do to jam khali hi do main nashe mein hun 

mazur hun jo paon mere betarah pare 
tum sar-garan to mujh se na ho main nashe mein hun 

ya hathon hath lo mujhe jaise k jam-e-may "mir"
ya thori dur sath chalo main nashe mein hun

tum nahin fitna-saz sach sahab

tum nahin fitna-saz sach sahab
shahar pur-shor is gulam se hai

koi tujhsa bhi kash tujh ko mile
mudda ham ko intaqam se hai

sher mere hain sab khwas pasand
par mujhe guftagu awam se hai

sahal hai 'Mir' ka samjhna kya
har sukhan uska ik maqam se hai

shikwa karun main kab tak us apne meharban ka

shikwa karun main kab tak us apne meharban ka 
al-qissa rafta rafta dushman hua hai jan ka 

di ag rang-e-gul ne wan ai saba chaman ko 
yan ham jale qafas mein sun hal ashiyan ka 

har subah mere sar par ik hadisa naya hai 
paiwand ho zamin ka, shewa is asaman ka 

kam-fursati jahan k majma ki kuch na pucho 
ahwal kya kahun main, is majlis-e-rawan ka 

ya roye, ya rulaye, apni to yun hi guzari 
kya zikr ham safiran yaran-e-shadman ka 

qaid-e-qafas mein hain to khidmat hai naligi ki 
gulashan mein the to ham ko mansab tha rauzakhwan ka 

pucho to 'Mir' se kya koi nazar para hai 
chehra utar raha hai kuch aj us jawan ka

shab ko wo pie sharab nikla

shab ko wo pie sharab nikla
jana ye k aftab nikla

qurban pyala-e-mai-nab
jaise k tera hijab nikla

masti main sharab ki jo dekha 
alam ye tamam khwab nikla

shaikh ane ko mai-qade main aya 
par ho k bahot kharab nikla 

tha gairat-e-bada aks-e-gul se
jis ju-e-chaman se ab nikla

rahi nagufta mere dil mein dastan meri

rahi nagufta mere dil mein dastan meri 
na is dayar mein samjha koi zaban meri 

barang-e-saut-e-jaras tujh se dur hun tanha 
khabar nahin hai tujhe ah karwan meri 

usi se dur raha asl-e-mudda jo tha 
gai ye umr-e-aziz ah rayagan meri 

tere firaq mein jaise khayal muflis ka 
gai hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri 

diya dikhai mujhe to usi ka jalwa "Mir" 
pari jahan mein ja kar nazar jahan meri

pata-pata buta-buta hal hamara jane hai

pata-pata buta-buta hal hamara jane hai
jane na jane gul hi na jane, bag to sara jane hai

lagne na de bas ho to us k gauhar-e-gosh k bale tak
us ko falak chashm-e-mai-o-khor ki titli ka tara jane hai 

age us mutaqabbar k ham Khuda Khuda kiya karte hain 
kab maujud khuda ko wo magrur khud-ara jane hai

ashiq sa to sada koi aur na hoga duniya main 
ji k zian ko ishq main us k apna wara jane hai 

charagari bimari-e-dil ki rasm-e-shahar-e-husn nahin 
warna dilbar-e-nadan bhi is dard ka chara jane hai 

kya hi shikar-farebi par magrur hai wo sayad bacha 
tayar urte hawa main sare apni usra jane hai

mehar-o-wafa-o-lutf-o-inayat ek se waqif in main nahin 
aur to sab kuch tanz-o-kanaya ramz-o-ishara jane hai 

kya kya fitne sar par us k lata hai mashuq apna 
jis bedil betab-o-tawan ko ishq ka mara jane hai

ashiq to murda hai hamesha ji uthta hai dekhe use 
yar k a jane ko yakayak umr do bara jane hai



rakhnon se diwar-e-chaman k munh ko le hai chipa ya'ani 
un surakhon k tuk rahne ko sau ka nazara jane hai 

tashna-e-khun hai apna kita 'Mir' bhi nadan talkhikash 
damdar ab-e-teg ko us k ab-e-gawara jane hai

na socha na samajha na sikha na jana

na socha na samajha na sikha na jana
mujhe a gaya khud bakhud dil lagana

zara dekh kar apna jalwa dikhana
simat kar yahin a na jaye zamana

zuban par lagi hain wafaon ki muhren
khamoshi meri kah rahi hai fasana

gulon tak lagayi to asan hai lekin
hai dushwar kanton se daman bachana

karo lakh tum matam-e-naujawani
pa 'mir' ab nahin ayega woh zamana

'Mir' darya hai, sune sher zabani us ki


'Mir' darya hai, sune sher zabani us ki 
Allah Allah re tabiyat ki rawani us ki 

minh to bochar ka dekha hai barste tumne 
isi andaz se thi ashk-fishani us ki 

bat ki tarz ko dekho to koi jadu tha 
par mili khak mein sab sahar bayani us ki 

marsi-e-dil k kai kah k diye logon ne 
shahr-e-dili mein hai sab pas nishani us ki 

ab gaye us k jo afasos nahin kuchh hasil 
haif sad haif ki kuchh qadr na jani us ki

mahar ki tujhse tawaqqo thi sitamgar nikla

mahar ki tujhse tawaqqo thi sitamgar nikla 
mom samajhe the tere dil ko so paththar nikla 

dag hun rashk-e-mohabbat se k itna betab 
kis ki taskin ke liye ghar se tu bahar nikla 

jite ji ah tere kuche se koi na phira 
jo sitamdida raha jake so mar kar nikla 

dil ki abadi ki is had hai kharabi k na puch 
jana jata hai ki is rah se lashkar nikla 

ham ne jana tha likhega tu koi harf ae 'Mir' 
par tera nama to ek shauq ka daftar nikla

manind-e-shama majalis-e-shab ashkbar paya

manind-e-shama majalis-e-shab ashkbar paya
al qissa 'Mir ko hamne beikhtiyar paya 

shahr-e-dil ek muddat ujra basa gamon main 
akhir ujar dena uska qarar paya

itna na dil se milte na dil ko kho k rahte
jaisa kiya tha hamne waisa hi yar paya

kya aitabar yan ka phir us ko khwar dekha
jisne jahan main akar kuch aitabar paya

ahon k shole jis jan uthe hain 'Mir' se shab
wan ja k subah dekha musht-e-gubar paya

kya kahun tum se main k kya hai ishq

kya kahun tum se main k kya hai ishq 
jan ka rog hai, bala hai ishq 

ishq hi ishq hai jahan dekho 
sare alam mein bhar raha hai ishq 

ishq mashuq ishq ashiq hai 
yani apna hi mubtala hai ishq 

ishq hai tarz-o-taur ishq ke tain 
kahin banda kahin khuda hai ishq 

kaun maqsad ko ishq bin pahuncha 
arzu ishq wa mudda hai ishq 

koi khwahan nahin mohabbat ka 
tu kahe jins-e-narwa hai ishq 

Mirji zard hote jate hain 
kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?

kabe main janbalab the ham duri-e-butan se

kabe main janbalab the ham duri-e-butan se
aye hain phir k yaron ab k Khuda k yan se

jab kaundhati hai bijli tab janib-e-gulistan
rakhti hai cher mere khashak-e-ashiyan se

kya khubi us k munh ki ae guncha naql kariye
tu to na bol zalim bu ati hai wahan se

khamoshi main hi ham ne dekhi hai maslahat ab
har ik se hal dil ka muddat kaha zaban se

itni bhi bad mizaji har lahza 'Mir tum ko
uljhaw hai zamin se, jhagra hai asman se

jo tu hi sanam ham se bezar hoga

jo tu hi sanam ham se bezar hoga
to jina hamain apna dushawar hoga 

gam-e-hijr rakhega betab dil ko 
hamain kurhte-kurhte kuch azar hoga 

jo afrat-e-ulfat hai aisa to ashiq
koi din main barson ka bimar hoga

uchtati mulaqat kab tak rahegi
kabhu to tah-e-dil se bhi yar hoga

tujhe dekh kar lag gaya dil na jana 
k is sangdil se hamain pyar hoga

jis sar ko garur aj hai yan tajawari ka

jis sar ko garur aj hai yan tajawari ka 
kal us pe yahin shor hai phir nauhagari ka 

afaq ki manzil se gaya kaun salamat 
asbab luta rah mein yan ham safri ka 

zindan mein bhi shorish na gai apne junun ki 
ab sang madawa hai is ashuftasari ka 

har zakhm-e-jigar dawar-e-mahshar se hamara 
insaf talab hai teri bedadgari ka 

is rang se jhamke hai palak par ke kahe tu 
tukra hai mera ashk aqiq-e-jigari ka 

le sans bhi nazuk ke ahista hai bahut kam 
afaq ki is karagah-e-shishagari ka 

tuk mir-e-jigar-sokhta ki jald khabar le 
kya yar bharosa hai chirag-e-sahri ka

jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya

jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya
us ki diwar ka sar se mere saya na gaya

dil k tain atish-e-hijran se bachaya na gaya
ghar jala samne par ham se bujhaya na gaya

kya tunak hausala the dida-o-dil apne ah
ek dam raz mohabbat ka chupaya na gaya

dil jo didar ka qayel ki bahot bhuka tha
is sitam-kushta se yak zakhm bhi khaya na gaya

shahar-e-dil ah ajab jaye thi par usk gaye
aisa ujra k kisi tarah basaya na gaya

iss ahad main ilahi mohabbat ko kya hua

iss ahad main ilahi mohabbat ko kya hua
chora wafa ko unne murawwat ko kya hua

ummidwar wada-e-didar mar chale
ate hi ate yaron qayamat ko kya hua

bakshish ne mujh ko abr-e-karam ki kiya khijal 
ae chashm-e-josh ashk-e-nadamat ko kya hua

jata hai yar teg bakaf gair ki taraf
ae kushta-e-sitam teri gairat ko kya hua

ibtida-e-ishq hai rota hai kya

ibtida-e-ishq hai rota hai kya
age age dekhiye hota hai kya

qafile main subah k ik shor hai
yani gafil ham chale sota hai kya

sabz hoti hi nahin ye sarzamin
tukhm-e-khwahish dil main tu bota hai kya

ye nishan-e-ishq hain jate nahin
dag chati k abas dhota hai kya

gairat-e-yusuf hai ye waqt-e-aziz
'Mir' is ko rayegan khota hai kya

hasti apni hubab ki si hai

hasti apni hubab ki si hai
ye numaish sarab ki si hai

nazuki us k lab ki kya kahiye 
pankhari ik gulab ki si hai

bar bar us k dar pe jata hun
halat ab iztirab ki si hai

main jo bola kaha k ye awaz
usi khana-kharab ki si hai

'Mir' un nim-baz ankhon main 
sari masti sharab ki si hai

gul ko mahbub main qayas kiya

gul ko mahbub main qayas kiya
farq nikla bahot jo bas kiya

dil ne ham ko misal-e-aina 
ek alam se ru-shinas kiya

kuch nahin sujhta hamain us bin
shauq ne ham ko be-hawas kiya

subah tak shama sar ko dhunti rahi
kya patange ne iltemas kiya

aise wahshi kahan hain ae khuban
'Mir' ko tum ne abas udas kiya

ghum raha jab tak k dam main dam raha

ghum raha jab tak k dam main dam raha
dil k jane ka nihayat gam raha

husn tha tera bahot alam fareb
khat k ane par bhi ik alam raha

mere rone ki haqiqat jis main thi
ek muddat tak wo kagaz nam raha

jama-e-eharam-e-zahid par na ja
tha haram main lekin na-mahram raha

faqirana aye sada kar chale

faqirana aye sada kar chale 
miyan khush raho ham dua kar chale 

jo tujh bin na jine ko kahte the ham 
so is ahd ko ab wafa kar chale 

koi na-ummidana karte nigah
so tum ham se munh bhi chipa kar chale 

bahot arzu thi gali ki teri 
so yan se lahu main naha kar chale 

dikhai diye yun ki bekhud kiya 
hamain ap se bhi juda kar chale 

jabin sajda karte hi karte gai 
haq-e-bandagi ham ada kar chale 

parastish ki yan tain ki ay but tujhe 
nazar main sabon ki Khuda kar chale 

gai umr dar band-e-fikr-e-gazal
so is fan ko aisas bara kar chale

kahen kya jo puche koi ham se "Meer"
jahan main tum aye the, kya kar chale

be-khudi le gai kahan ham ko

be-khudi le gai kahan ham ko 
der se intazar hai apna 

rote phirte hain sari-sari rat 
ab yahi rozgar hai apna 

de k dil ham jo ho gae majbur 
is main kya ikhtiyar hai apna 

kuch nahin ham misal-e-anqa lek 
shahar-shahar ishtahar hai apna 

jis ko tum asman kahte ho 
so dilon ka gubar hai apna

dekh to dil k jan se uthta hai

dekh to dil k jan se uthta hai 
ye dhuan sa kahan se uthta hai

gor kis dil-jale ki hai ye falak
shola ik subah yan se uthta hai

khana-e-dil se zinhar na ja 
koi aise makan se uthta hai 

nala sar khenchata hai jab mera 
shor ek asman se uthta hai

larti hai us ki chashm-e-shokh jahan 
ek ashob wan se uthta hai

sudh le ghar ki bhi shola-e-awaz
dud kuch ashiyan se uthta hai

baithne kaun de hai phir us ko
jo tere astan se uthta hai

yun uthe ah us gali se ham
jaise koi jahan se uthta hai

ishq ik 'Meer' bhari paththar hai
bojh kab natawan se uthta hai

dil se shauq-e-rukh-e-niko na gaya


dil se shauq-e-rukh-e-niko na gaya 
jhankna takna kabhu na gaya 

har qadam par thi us ki manzil lek 
sar se sauda-e-justaju na gaya 

sab gaye hosh-o-sabr-o-tab-o-tawan 
lekin ai dag dil se tu na gaya 

ham Khuda k Kabhi qayal to na the 
un ko dekha to Khuda yad a gaya

dil mein kitne masaude the wale 
ek pesh us k ru-ba-ru na gaya

subah gardan hi 'Mir' ham to rahe 
dast-e-kotah ta sabu na gaya

barang-e-bu-e-gul, is bagh k ham ashna hote

barang-e-bu-e-gul, is bagh k ham ashna hote 
k ham-rah-e-saba tuk sair karte, aur hawa hote 

sarapa arzu hone ne banda kar diya hamko 
wagarna ham khuda the, gar dil-e-bemudda hote 

falak, ai kash! hamko khak hi rakhta, ki us mein ham 
gubar-e-rah hote ya kisi ki khak-e-pa hote 

ilahi kaise hote hain jinhen hai bandagi khwahish 
hamein to sharm daman-gar hoti hai, khuda hote 

kahen jo kuch malamatgar, baja hai 'Mir' kya jane 
unhen malum tab hota, ki waise se juda hote

ashk ankhon main kab nahin ata

ashk ankhon main kab nahin ata 
lahu ata hai jab nahin ata 

hosh jata nahin raha lekin 
jab wo ata hai tab nahin ata 

dil se rukhsat hui koi khwahish 
girya kuch be-sabab nahin ata

ishq ka hausala hai shart warna 
bat ka kis ko dhab nahin ata 

ji main kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan ta ba-lab nahin ata

andoh se hui na rihai tamam shab

andoh se hui na rihai tamam shab 
mujh dil jale ko nind na ai tamam shab 

chamak chali gai thi sitaron ki subah tak 
k asman se didabarai tamam shab 

jab main ne shuru qissa kiya ankhen khol din 
yaqini thi mujh ko chashm numai tamam shab 

waqt-e-siyah ne der mein kal yawari si ki 
thi dushmanon se in ki larai tamam shab 

tare se teri palkon pe qatre the ashk k 
de rahe hain "Mir" dikhai tamam shab

ab jo ik hasrat-e-jawani hai

ab jo ik hasrat-e-jawani hai 
umr-e-rafta ki ye nishani hai 

khak thi maujzan jahan mein, aur 
ham ko dhoka ye tha k pani hai 

giriya har waqt ka nahin behech 
dil mein koi gam-e-nihani hai 

ham qafas zad qaidi hain warna 
ta chaman parfashani hai 

yan huye 'Mir' ham barabar-e-khak 
wan wahi naz-o-sargirani hai

arzuen hazar rakhte hain

arzuen hazar rakhte hain 
to bhi ham dil ko mar rakhte hain 

barq kam hausla hai ham bhi to 
dil ek beqarar rakhte hain 

gair hai murad-e-inayat hae 
ham bhi to tum se pyar rakhte hain 

na nigah na payam na wada 
nam ko ham bhi yar rakhte hain 

ham se khush zam-zama kahan yun to 
lab-o-lahja hazar rakhte hain 

chote dil k hain butan mashur 
bas yahi aitbar rakhte hain 

phir bhi karte hain "Mir" sahib ishq 
hain jawan ikhtiyar rakhte hain

ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna

ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna 
ashiq ka apane akhri didar dekhna 

kaisa chaman ke ham se asiron ko mana hai 
chak-e-qafas se bag ki diwar dekhna 

ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se 
meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna 

ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar 
laga hai mere paon mein a kar dekhna 

hona na char chashm dik uss zulm-paishah se 
hoshiyar zinhar khabardar dekhna 

sayad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag 
tujh ko bhi ho nasib ye gulzar dekhna 

gar zamzama yahi hai koi din to hamsafar 
is fasl hi mein ham ko giraftar dekhna 

bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar 
ho jayega gale ka kahin har dekhna 

shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim 
girbal kar ke kucha-e-dildar dekhna 

us khush-nigah ke ishq se parhez kijio 'Mir' 
jata hai leke ji hi ye azar dekhna

aa jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan

a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan 
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan 

yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin 
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan 

ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke 
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan 

hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein 
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan 

is butkade mein mani ka kis se karen sawal 
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan 

ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein 
teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan 

mere hilak karne ka gam hai abas tumhen 
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan 

shayad ke kam subh tak apana khinchena 'Mir' 
ahawal aj sham se darham bahut hai yan

bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye

bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye 
us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye 

bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda 
jab tu nahin to shahar main tujh sa kahan se aye 

har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai 
ab admi ko zindagi karna kahan se aye 

wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko 
be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye 

jar se ukhar gaye to badalati ruton se kya 
be-ab ainon main sarapa kahan se aye 

sayon pe aitamad se ukta gaya hai ji 
tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye 

gam k thapere le gaye nagin se lambe bal 
raton main jangalon ka wo saya kahan se aye 

'Naheed' faishanon ne chupaye hain aib bhi 
chashmain na hon to ankh ka parda kahan se aye

kahaniyan bhi gain qissa khwaniyan bhi gain


kahaniyan bhi gain qissa khwaniyan bhi gain 
wafa k bab ki sab bezubaniyan bhi gain 

wo beziyabi-e-gam ki sabil bhi na rahi 
luta yun dil k sabhi be-sabtiyan bhi gain 

hawa chali to hare patte sukh kar tute 
wo subah ai to hairannumaiyan bhi gain 

we mera chehra mujhe aine main apna lage 
usi talab main badan ki nishaniyan bhi gain 

palat palat ke tumhen dekha par mile bhi nahin 
wo ahad-e-zabt bhi tuta shitabiyan bhi gain 

mujhe to ankh jhapakana bhi tha garan lekin 
dil-o-nazar ki tasawwurshi'ariyan bhi gain

chand tanha hai asman tanha

chand tanha hai asman tanha 
dil mila hai kahan kahan tanha 

bujh gai as chup gaya tara 
thartharata raha dhuan tanha 

zindagi kya isi ko kahte hain 
jism tanha hai aur jan tanha 

hamsafar koi gar mile bhi kahin 
donon chalte rahe tanha tanha 

jalti bujhti si raushani k pare 
simta simta sa ek makan tanha 

rah dekha karega sadiyon tak 
chor jayenge ye jahan tanha

ham k magub-e-guman the pahle


ham k magub-e-guman the pahle
phir wahin hain k jahan the pahle

khwahishen jhurriyan ban kar ubhrin
zakhm sine main nihan the pahle

ab to har bat pe ro dete hain
waqif-e-sud-o-ziyan the pahle

dil se jaise koi kanta nikla
ashk ankhon se rawan the pahle

ab faqat anjumanarai hain
aitabar-e-dil-o-jan the pahle

dosh pe sar hai k hai barf jami
ham to sholon ki zuban the pahle

ab to har taza sitam hai taslim 
hadse dil pe garan the pahle 

meri hamzad hai tanhai meri 
aise rishte bhi kahan the pahle

hasrat hai tujhe samne baithe kabhi dekhun


hasrat hai tujhe samne baithe kabhi dekhun
main tujh se mukhatib hun tera hal bhi puchun

dil main hai mulaqat ki khwahish ki dabi ag
mehndi lage hathon ko chupa kar kahan rakhun

jis nam se tune mujhe bachpan se pukara
ik umr guzarne pe bhi wo nam na bhulun

tu ashk hi ban k meri ankhon main sama ja
main aina dekhun to tera aks bhi dekhun

puchun kabhi gunchon se sitaron se hawa se
tujh se hi magar a k tera nam na puchun

ai meri tamanna k sitare tu kahan hai
tu aye to ye jism shab-e-gam ko na saunpun 

Popular Posts