shikwa karun main kab tak us apne meharban ka
al-qissa rafta rafta dushman hua hai jan ka
di ag rang-e-gul ne wan ai saba chaman ko
yan ham jale qafas mein sun hal ashiyan ka
har subah mere sar par ik hadisa naya hai
paiwand ho zamin ka, shewa is asaman ka
kam-fursati jahan k majma ki kuch na pucho
ahwal kya kahun main, is majlis-e-rawan ka
ya roye, ya rulaye, apni to yun hi guzari
kya zikr ham safiran yaran-e-shadman ka
qaid-e-qafas mein hain to khidmat hai naligi ki
gulashan mein the to ham ko mansab tha rauzakhwan ka
pucho to 'Mir' se kya koi nazar para hai
chehra utar raha hai kuch aj us jawan ka
No comments:
Post a Comment