Monday, March 15, 2010

Sharmate Hue Wo Tera Paas Aana

Sharmate Hue Wo Tera Paas Aana,
Wo Nazre Milana Milake Jhukana,

Lajate Hue Teri Palkon Ka Pehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Saawan Ki Baatein Pahadon Ka Jharna,
Un Geele Se Kapdon Mein Tera Aahein Bharna,

Saagar Si Aankhon Mein Main Utra Tha Gehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Chhoti Si Baat Pe Tera Rooth Jaana,
Bichhadte Hue Tera Haath Chhut Jana,

Tere AshQon Mein Bujhta Wo Suraj Sunehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Meethe Se Hothon Se Meethi Si Baatein,
Mohabbat Ke Nagmo Se Bheegi Si Raatein,

Teri Kami Se Jalta Ye Dil Ye Sehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra...

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadabir Kaun

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadabir Kaun,
Dast-Basta Sheher Mein Khole Meri Zanjeer Kaun,

Mera Sar Haazir Hai Lekin Mera Munsif Dekh Le,
Kar Raha Ha Imere Fard-E-Jurm Ki Taharir Kaun,

Aaj Darwazon Pe Dastak Jaani Pehchani Si Hai,
Aaj Mere Naam Lata Hai Meri Taazir Kaun,

Neend Jab Khwabon Se Pyaari Ho To Aise Ahad Mein,
Khwaab Dekhe Kaun Aur Khwabon Ko De Taabir Kaun,

Ret Abhi Pichhle Makano Ki Na Waapas Aayi Thi,
Phir Lab-E-Saahil Gharaunda Kar Gaya Taamir Kaun,

Saare Rishte Hijraton Mein Saath Dete Hai To Phir
Sheher Se Jaate Hue Hota Hai Daamangeer Kaun,

Meri Chadar To Chhini Thi Shaam Ki Tanhayi Ne,
Beridayi Ko Meri Phir De Gaya Tashaheer Kaun,

Dushamno Ke Sath Mere Dost Bhi Aazaad Hai,
Dekhna Hai Khichta Hai Mujhpe Pehla Teer Kaun...

Tumne Dil Ki Baat Keh Di Aaj Ye Achha Hua

Tumne Dil Ki Baat Keh Di Aaj Ye Achha Hua,
Hum Tumhe Achha Samajhte The Bada Dhoka Hua,

Jab Bhi Humne Kuch Kaha Uska Asar Ulta Hua,
Aap Shayad Bhulte Hai Baraha Aisa Hua,

Aapki Aankhon Mein Ye Aansu Kahan Se Aagaye,
Hum To Deewane Hai Magar Aapko Ye Kya Hua,

Aap Kisise Kya Kahein Hum Apni Daastan,
Bas KHUDA Ka Shukr Hai Jo Bhi Hua Achha Hua...

Sanam Ne Chashm Ko Jis Raah Ka Intezaar Diya

Sanam Ne Chashm Ko Jis Raah Ka Intezaar Diya,
Hum Aise The Ke Ye Jeewan Wahin Guzar Diya,

Gayi Wo Umr Magar Tees Na Gayi Dilse,
Diya Jo Zakhm Wafa Ne So Yaadgaar Diya,

Jigar Ke Waaste Paida Sharaab Kar Daali,
Khuda Ne Dil Ko Na Koi Bhi Gam-Gusaar Diya,

Jahan Kisiko Lagaya Hai Apne Seene Se,
Usi Ne Taak Ke Khanjar Wahin Utaar Diya,

Bhale Hi Chhod Diya Raaste Mein Yaaron Ne,
Hamari Zaat Ka Aakhir Koi Aitbaar Diya,

Dhula Dhula Sa Ye Chehra, Ye Surkh Si Aankhein,
Tumhare Gam Ne Hamein Aur Bhi Nikhaar Diya,

Mere Badan Pe Ye Aankhein Kuch Aisi Lagti Hai,
Kisi Ki Qabr Pe Jaise Ho Sogwaar Diya,

Dilon Se Khelna Aadat Badi Kharab Thi,
Kisi Ne Khel Ke Tumse Tumhe Sudhaar Diya...

Haath Mera Aye Meri Parchhayi Tu Hi Thaam Le

Haath Mera Aye Meri Parchhayi Tu Hi Thaam Le,
Ek Muddat Se Mujhe To Soojhta Kuch Bhi Nahi,

Shaher-E-Shab Mein Kaunsa Ghar Tha Jispar Na Di Sada,
Neend Ke Andhe Musaafir Ko Mila Kuch Bhi Nahi,

Umar Bhar Umar-E-Gurezaan Se Na Meri Ban Saki,
Jo Kare Karti Rahe Main Puchhta Kuch Bhi Nahi,

Wo Bhi Shayad Ro Pade Veeran Kagaz Dekh Kar,
Maine Usko Aakhri Khat Mein Likha Kuch Bhi Nahi

Zulmat-E-Shab Mein Ujaalo Ki Tamanna Na Karo

Zulmat-E-Shab Mein Ujaalo Ki Tamanna Na Karo,
Khwaab Dekha Hai To Ab Khwaab Ko Ruswa Na Karo,

Bojh Suraj Ka Padega To Lachak Jayegi,
Raat Ki Surmayi Shaahon Pe Bharosa Na Karo,

Khwaab, Ummid, Nasha, Saans, Tabassum, Aansu,
Tootne Wali Kisi Shay Par Bharosa Na Karo,

Humne Aankhon Ko Jalaya Tha Ke Kuch Dhundh Chhate,
Tum Nayi Nasl Ke Sooraj Ho Tum Aisa Na Karo,

AshQ Peene Ka Hunar Seekh Lo Humse Aakar,
Jazba-E-Dil Ko Nigaahon Se Havedaa Na Karo,

Mausami Barf Hai Kuch Der Mein Pighal Jayenge,
In Badalte Hue Rishton Par Bharosa Na Karo,

Ye Fazaa Raas Na Aayegi Tumhe Aye SANAM,
Yaad Guzre Hue Lamhaat Ki Taaza Na Karo...

Kya Bhala Mujhko Parakhne Ka Nateeja Nikla

Kya Bhala Mujhko Parakhne Ka Nateeja Nikla,
Zahm-E-Dil Aap Ki Nazron Se Bhi Gehra Nikla,

Tod Kar Dekh Liya Aayina-E-Dil Tune,
Teri Soorat Ke Siwa Aur Bata Kya Nikla,

Tishnagi Jam Gayi Patthar Ki Tarah Hothon Par,
Doob Kar Tere Dariya Mein Main Pyaasa Nikla...

Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi Milti

Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi Milti,
Khairaat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti,

Kuch Log Yun Hi Shaher Mein Humse Bhi Khafa Hai,
Har Ek Se Apni Bhi Tabiyat Nahi Milti,

Dekha Tha Jise Maine Koi Aur Tha Shayad,
Wo Kaun Hai Jisse Teri Surat Nahi Milti,

Hanste Hue Chehronse Hai Bazaar Ki Zeenat,
Rone Ko Yahan Waise Bhi Fursat Nahi Milti...

Jahan Mein Jaaun Hawa Ka Yehi Ishara Hai

Jahan Mein Jaaun Hawa Ka Yehi Ishara Hai,
Koi Nahi Jo Yahan Muntazir Tumhara Hai,

Meri Bujhti Hui Aankhon Ko Roshni Bakshe,
Wo Phool Jo Tere Chehre Ka Ista'aara Ho,

Chala Hoon Apni Hi Baaz Awaz-E-Baazgasht Pe Yun,
Kisine Door Se Jasie Mujhe Pukara Ho,

Ganwa Chuke Kayi Umrein Ummidwaar Tere,
Kahan Tak Aur Teri Berukhi Ganwara Ho,

Tu Paas Aate Hue Mujhse Door Ho Jaye,
Ajab Nahi Ke Yehi Haadsa Dobara Ho,

Nazar Farebi-E-Rang-Chaman Se Bach FAYSAL,
Jise Tu Phool Samajh Ke Kahin Sharara Na Ho...

Tu Paas Bhi Ho To Dil Bekarar Apna Hai

Tu Paas Bhi Ho To Dil Bekarar Apna Hai,
Ke Humko Tera Nahi Intezaar Apna Hai,

Mile Koi Bhi Tera Zikr Chhed Dete Hai,
Ke Jaise Sara Jahan Raazdaar Apna Hai,

Wo Door Ho To Baja Tark-E-Dosti Ka Khayal,
Wo Samne Ho To Kab Ikhtiyaar Apna Hai,

Zamane Bhar Ke Dhukhon Ko Laga Liya Dilse,
Aasre Pe Ke Ek Gam Gusaar Apna Hai,

FAYSAL Rahat-E-Jaan Bhi Wahi Hai Kya Kijiye,
Wo Jiske Haath Se Seena Figaar Apna Hai...

Sab Se Chhupa Ke Gum Jo Wo Muskura Diya

Sab Se Chhupa Ke Gum Jo Wo Muskura Diya,
Uski Hansi Ne To Aaj Mujhko Rula Diya,

Lehje Se Uth Rahi Thi Har Ke Dard Ki Daastan,
Chehra Bata Raha Tha Ke Sab Kuch Ganwa Diya,

Awaz Mein Thehrav Tha, Aankhon Mein Nami Thi,
Aur Keh Raha Tha Ke Maine Sab Kuch Bhula Diya,

Jaane Kya Usko Logonse Thi Shikayatein,
Tanhaiyon Ke Des Mein Khudko Basa Diya,

Khud Bhi Wo Humse Bichhad Ke Adhoora Sa Ho Gaya,
Mujhko Bhi Itne Logon Mein Tanha Bana Gaya...

WO Bazaahir Jo Zamane Se Khafa Lagta Hai

WO Bazaahir Jo Zamane Se Khafa Lagta Hai,
Hans Ke Bole Bhi To Duniya Se Juda Lagta Hai,

Aur Kuch Der Na Bujhne De Isse Rab-E-Sahar,
Doobta Chand, Mera Dast-E-Dua Lagta Hai,

Jisse Munh Fer Ke Raste Ki Hawa Guzri Hai,
Kisi Ujde Hue Aangan Ka Diya Lagta Hai,

Ab Ke Saawan Mein Bhi Zardee Na Gayi Chehron Ki,
Aise Mausam Mein To Jungle Bhi Hara Lagta Hai,

Sheher Ki Bhid Mein Kholte Hai Kahan Uske Nakoosh,
Aao Tanhayi Mein Sochein Ke Wo Kya Lagta Hai,

Munh Chhupaye Hue Guzra Hai Jo Ehbaabse Aaj,
Uski Aankhon Mein Koi Zakhm Naya Lagta Hai,

Ab To Mohsin Ke Tasavvur Mein Utar Rab-E-Jaleel,
Is Udaasi Mein To Pathar Bhi Khuda Lagta Hai...

Badi Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai

Badi Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai,
Zara Si Baat Par Toofan Uthana Uski Aadat Hai,

Mohabbat Mein Bhi Wo Taza Ba-Taza Ka Hi Qail Hai,
Poori Chahaton Ko Bhool Jana Uski Aadat Hai,

Zyada Garoor Bhi Achha Nahi Hai Aisi Baaton Par,
Kisika Naam Likh Likh Kar Mitana Uski Aadat Hai,

Lagta Rehta Hai Koi Dilon Mein Aag Si Goya,
Hamesha Lakdiyan Geeli Jalana Uski Aadat Hai,

Mohabbat Mein Wo Sanjeeda Hai Kitna Dekhte Rehna,
Mohabbat Har Kisise Yun Jatana Uski Aadat Hai,

Shikayat Karne Aaye Ho To Itna Zehen Mein Rakhna,
Sabhi Baaton Ko Baaton Mein Udana Uski Aadat Hai...

Chand Phir Udaas Hai...

Ajnabi Si Raahon Mein,
Door Tak Nigahon Mein,
Teergi Ka Mausam Hai,
Berukhi Ka Mausam Hai,
Aaj Phir Nigahon Ko
Beete Kal Ki Pyaas Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai,

Rang Phike Phike Hai,
Taare Roothe Roothe Hai,
Badalon Ka Shor Hai,
Khizaan Khizaan Ye Daur Hai,
Is Kadar Akele Mein
Pyar Ki Talash Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai,

Ajab Hai Dil Ki Wehshatein,
Aur Aas Paas Aahatein,
Jisko Dhundna Chaho,
Usko Dhund Kab Paao,
Phir Raha Hoon Darbadar,
Maujazey Ki Aas Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai,

Baat To Kare Koi,
Saath To Chale Koi,
Khamoshi Ke Pehre Hai,
Zakham Dilke Gehre Hai,
Aaj Wo Mile Mujhko Dard Jisko Raas Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai...

Utri Ajeeb Roshniyaan Raat Khwaab Mein

Utri Ajeeb Roshniyaan Raat Khwaab Mein,
Kay Kya Na Aks Tair Rahe The Sharab Mein,

Kab Se Hai Ek Harf Pe Nazrein Jami Hui,
Wo Padh Raha Hon Jo Nahi Likha Kitaab Mein,

Phir Tareeki Ki Khwaab Se Chaunka Hai Rasta,
Phir Roshni Se Door Gayi Hai Shabab Mein,

Paani Nahi Ke Apne Hi Chehre Ko Dekh L'un,
Manzar Zameen Ke Dhundta Hoon Mehtaab Mein,

Kab Tak Rahega Rooh Pe Pairhaan-E-Badan,
Kab Tak Hawa Aeer Rahegi Hubaab Mein,

Jeene Ke Sath Maut Ka Dar Hai Laga Hua,
Khooshki Dikhayi Di Hai Samundar Ko Khwab Mein,

Ek Yaad Hai Ke Chheen Rahi Hai Labon Se Jaam,
Ek Aks Hai Ke Kaanp Raha Hai Sharab Mein...

Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko

Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

TariQeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khada Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...

Mere Naseeb Ne Jab Mujhse InteQaam Liya

Mere Naseeb Ne Jab Mujhse InteQaam Liya,
Kahan Kahan Teri Yaadon Ne Hath Thaam Liya,

Faza Ki Aankh Bhar Aayi Hawa Ka Rang Uda,
Sukoot-E-Shaam Ne Chupke Se Tera Naam Liya,

Wo Main Nahi Tha Ek Harf Bhi Na Keh Paya,
Wo Bebasi Thi Ke Jisne Tera Salaam Liya,

Har Ek Khushi Mein Tere Gam Ki Aabroo Rakh Li,
Har Khushi Se Tere Gam Ne InteQaam Liya...

Dukh Fasan Nahi Ke Tujhse Kahein,

Dukh Fasan Nahi Ke Tujhse Kahein,
Dil Bhi Mana Nahi Ke Tujhse Kahein,

Aaj Tak Apni Behaali Ka Sabab,
Khud Bhi Jaana Nahi Ke Tujhse Kahein,

Ek Tu Harf-Aashna Tha Magar,
Ab Zamana Nahi Ke Tujhse Kahein,

Betarah Dil Hai Aur Tujhse,
Dostana Nahi Ke Tujhse Kahe,

Aye Khuda Dard-E-Dil Hai Bakhashish-E-Dost,
Aab-O-Dana Nahi Ke Tujhse Kahein...

Silsila tod gaya wo sabhi jaate jaate,

Silsila tod gaya wo sabhi jaate jaate,
warna itne to marasim the ke aate jaate,

Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha,
apne hisse ki koi shamma jalate jalate,

Kitna aasan tha tere hijr mein marna jaana,
phir bhi ek umr lagi jaan se jaate jaate,

jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi,
paa-bajolaan hi sahi naachte gaate,

uski wo jaane usse paas-e-wafa tha ke na tha,
tum "faraz" apni taraf se to nibhate jaate...

Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hoon Main


Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hoon Main,
Sab Ke Dilse Utar Gaya Hoon Main,

Kaise Apni Hansi Ko Zabt Karun,
Sun Raha Hoon Ke Ghar Gaya Hoon Main,

Kya Bataun Ke Mar Nahi Paata,
Jeete Jee Jab Se Mar Gaya Hoon Main,

Ab Hai Bas Apna Saamna Darpesh,
Har Kisi Se Guzar Gaya Hoon Main,

Wohi Naaz-O-Ada, Wohi Gamze,
Sar-Ba-Sar Aap Par Gaya Hoon Main,

Ajab Ilzaam Hoon Zamane Ka,
Ke Yahan Sabke Sar Gaya Hoon Main,

Kabhi Kud Tak Pahuch Nahi Paaya,
Jab Keh Vaan Umr Bhar Gaya Hoon Main,

Tumse Jaanaan Mila Hoon Jis Dinse,
Be-Tarah,Khud Se Dar Gaya Hoon Main,

Kooche-E-Janaan Mila Hoon Jis Din Se,
Ke Achanak Sudhar Gaya Hoon Main...

akser sawan rut main badil ghir ghir ker to aye bahut


akser sawan rut main badil ghir ghir ker to aye bahut
lakin bund na bersa pay masti main itray bahut

kaisy maan ki baat kahun main kaisy uss ko smjhaun
mery jazboo ko na smjhy muj ko he smjhay bahut

kheal tamasha smjhy thy wo mery sary jazboo ko
dekhi ishq ki jeb ghrai, aakhir main ghbray bahut

shehr-e-dil ko sehraa keh ker guzry thy wo beperwa
pelat k dekha veerany main tenha to pechtay bahut

aata hai jo garj garj ker badil keb wo bersy hai
kaisy piyaas bhuji gi meri khud he jo tersaay bahut

iss ne bedli reet wafa ki tum bhi badlo ab
kuch na badla itny baras tek aanso to bersaay bahut....

KhushiyaaN hamaari aaj sar-e-daar tak gayin

KhushiyaaN hamaari aaj sar-e-daar tak gayin
RuswaiyaaN bhii kuuchaa-o-baazaar tak gayin

Tanhaaiyoon ne faasale saare miTaa diye
parchaiyaaN merii terii diwaar tak gayin

Wo ehataraam-e-Gham thaa ke lab tak naa hil sake
Nazren uThiin to sar-e-hadd-e-guftaar tak gayin

Tum ne jalaayaa meraa nasheman to Gham nahin
ChingaariyaaN urin gul-o-gulazaar tak gayin

Garqaab hone waalon ko kuchh to milii madad
Sahil se kuch sadaayen majhadhaar tak gayin

kabhi teri rafaqat sey nikalna hi nai mumkin

kabhi teri rafaqat sey nikalna hi nai mumkin
kabhi daaman chura lena bohjat asaan lagta hai
kabhi tum roothtey ho tau ajab mushkil c perti hai
kabhi tumko mana lena bohat asaan lagta hai
kabhi samjha karo kuch faisle halaat kartey hen
kabhi wadey nibha lena bohat asaan lagta hai
kabhi kuch din tumharey bin guzartey hi nahin lakin
kabhi mudat bita dena bohat asaan lagta hai

Bohat Khamosh Reh Ker Wo Saddai'n Mujh Ko Deta Tha

Bohat Khamosh Reh Ker Wo Saddai'n Mujh Ko Deta Tha
Baray Bherpoor Jazboo'n Ki Qabbai'n Mujh Ko Deta Tha

Kabhi Jo Dard Ki Aatish Mujhay Sulganay Lagti Thi
Wo Apnay Saans Ki Mehki Hawaai'n Mujh Ko Deta Tha

Wo Us Ki chahattai'n Bhi Sari Dunya Se Anokhi Theen
Riazut Khud Wo Karta Tha Jazzai'n Mujh Ko Deta Tha

Meray Ehsaas Kay Sehraoo'n Mai Jo Dhoop Barhti Thi
Wo Mousam Ka Khuda Ban Kar Ghattai'n Mujh Ko Deta Tha

Usay Mai Ajnabi Samjha Mager Her More Par faysal
Wo Apnay Naam Ki Saari Duaai'n Mujh Ko Deta Tha

Ik Sira Tu Hai Salamat, Dosra Totta Howa

Ik Sira Tu Hai Salamat, Dosra Totta Howa
Aao Phir Se Jore Dain, Yeh Silsila Totta Howa

Us Ko Dekha Ek Nazer Tu Dekhtay He Reh Gaye
Us Kay Baad Ab Khud Se Bhi Hai Rabta Totta Howa

Tum Humaray Dil Kay Talib Orr Hum Ehraan Hain
Kia Karo Gay Le Kay Ab Yeh Aiena Totta Howa

Ik Tamanna Thi Meri So Wo Shikusta Ho Chuki
Ik Sapna Tha Mera Jo Reh Gaya Totta Howa

Mai Ne Jis Ko Jornay Mai Umer Apni Kaat Di
Ajj Wo Paiker Mujhay Kehnay Laga Totta Howa

Mai Hoon Darya Mai Ghotazun Guher Kay Wastay
Orr Wo Laya Hai Bhi Tu Kia, Kacha Garha Toota Howa

Muddatoo'n Kay Baad faysal Wo Mila Tu Yeh Khula
Hum Tu Bikheray He Thay Lakin Wo Bhi Tha Totta howa

Aankhein bhi wohi hein tu darecha bhi wohi hai

Aankhein bhi wohi hein tu darecha bhi wohi hai
aur soch keh aangan mein utarta bhi wohi hai

Jis ne meri jazbon ki sadaqat ko na samjha
ub meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai

Iss dil ke kharabey se guzar kiska hua hai
Aankhein bhi wohi, hont bhi, lehja bhi wohi hai

Jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ne tujh se
Iss sheher ki dewaar pe likha bhi wohi hai

Woh jis ne diey mujhko mohabbat ke khazaaney
Badal ki tarhan aankh se barsa bhi wohi ha

haiN ghar kii muhaafiz merii dahakii huii aaNkheiN

haiN ghar kii muhaafiz merii dahakii huii aaNkheiN
maiN taaq meN rakh aayaa hooN jalatii huii aaNkheiN

ik pal bhii kisii moRh pe rukane nahiiN detiiN
kaaNToN kii tarah jism meN chubhatii huii aaNkheiN

raste meN qadam phooNk ke rakhanaa mere pyaaro
haiN chaaroN taraf shahar meN bikharii huii aaNkheiN

yooN us ke bichhaRh jaane pe aaNsoo na bahaao
manzar ko taras jaayeNgii bhiigii huii aaNkheiN

qaatil ke sivaa koii samajh hii nahiiN sakataa
kyaa dekhatii haiN tasht meN rakkhii huii aaNkheiN

kyaa jaaniye kis Khvaab kii taabiir meN ghum haiN
zulfoN kii ghanii chaaNv meN ulajhii huii aaNkheiN

'faysal' shab-e-tiiraa meN ujaaloN kii amiiN haiN
nafrat ke samundar meN ye bahatii huii aaNkheiN

kiyon churaatay ho dekh kar aankhain

kiyon churaatay ho dekh kar aankhain
kar chuki meray dil mein ghar aankhain

chasham-e-nargis ko dekh lain phir hum
tum dikhaa do jo ik nazar aankhain

hai dawaa unki aatish-e-rukhsaar
senktay hain iss aag par aankhain

koi aasaan hai tera deedaar
pahlay banwaaye tow bashar aankhain

jalwaah-e-yaar ki na taab huwee
Toot aayi hain kis qadar aankhain

dil ko to ghoont-ghoont kar rakhhaa
maanti hi nahi magar aankhain

na gayi taank jhaank ki aadat
liye phirtii hain dar ba dar aankhain

kyaa yeh jaadoo_bhara na thha kaajal?
surKh kar li jo paunch kar aankhain

naavak-o-neeshtar teri palkain
sihr-pardaaz-o-fitnaagar aankhain

yeh niraala hai sharm ka andaaz
baat kartay ho dhaank kar aankhain

Khaak par kiyun ho naqsh-e-paa tera
hum bichhayen zameen par aankhain

nohaagar kaun hai muqaddar par
ronay waalon mein hain magar aankhain

yehi rona hai gar shab-e-Ghum ka
phooT jaayengi taa seher aankhain

Haal-e-dil dekhna nahi aata
dil ki banwaayen chaaragar aankhain

''DaaGh'' aankhain nikaaltay hain woh
unnko de do nikaal kar aankhain

kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko

kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko
ke zabt e gham ka saleeqa nahin hai aankhon ko

ajab bahaar -e- khizaan hai chaman main ab ki bahaar
hawa urraati phiri mere khushk pat'ton ko

safer abhi to zara sa kia hai tere baghair
abhi to rona buhat hai udaas aankhon ko

abhi to umer ka ye dasht paar kerna hai
charaagh kerna hai kuch be charaagh raaton ko

wo raasta bhi ajab tha wo humsafer bhi kamaal
jo mujh ko sounp gaya serphiri hawaaon ko

ke jin ko kaat dain khud mouja -e- bahaar ke haath
sajaye kon phir aisi bureedah shaakhon ko

chamakti jati hain or bheegti bhi jaati hain
huner ye kis ne sikhaya hai meri palkon ko

main bhool jati hoon her subah tera naam mager
main yaad kerti hoon her raat teri baaton ko

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tuj say mila toot kay roya kaisa

Zindagi maiN bhi ghazal hi ka kareena rakha
Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

Ab toH chehrun pay bhi katbuo’n ka ghuman hota hai
AankhaiN pathraey hoi haiN lab-e-goya kaisa

Dekh ab qurb ka mousam bhi na sar sabz lagay
Hijar hi hijar marasim main samoya kaisa

Aik aansoo tha kay dariya-e-nidamat tha FAYSAL
Dil say baibaak shanawar ko daboya kaisa

Yon hi si aek baat thi us ka malal kia karen

Yon hi si aek baat thi us ka malal kia karen
meer e kharab haal sa apna bhi haal kia karen

Aesi fiza kay qeher me, aesi hawa kay zeher me
zinda hen aesay sheher me aur kamal kia karen

Aur bohat si uljhanen tapq o rasan say bardh kar hen
zikr e jamal kia karen, fikr e wisaal kia karen

Dhoondh liyay hen charagar , ham nay dayar e gher mein
ghar me hamara kaon hay, ghar ka khayal kia karen

Chuntay hen dil ki kirchiyan,bikhri hen jo yahan wahan
hona tha aek din yehi, ranj e ma,aal kia karen

Us ki nazar me heech hen apni tamam mantaqen
tegh khayal kia karen, harf ki dhal kia karen

Ilhaam, wahhi ki shairi hai

Ilhaam, wahhi ki shairi hai
Iss dil pe jo aaj utar rahi hai

Yeh wasl hai ya main khwab mein hoon
Hai khwab ki wasl ki ghari hai?

Soya hai wajood aur dil mein
Ik cheez ajeeb jaagti hai

Khushboo se mehek raha hai aangan
Aur tan pay bahaar aa gaei hai

Aaghosh mein khill uthha hai gulshan
Honton pe gulon si taazgi hai

Aankhon mein charagh jall rahay hain
Maathay pe anokhi roshni hai

Kuch door pay hai khizaan ka dera
Basti yeh bahar mein basi hai

Main raah pe teri chal rahi hoon
Duniya meri simt dekhti hai

Kam hon gey aseer-e-yad-e-janan
Yeh bhi to ataey zindagi hai

meray mah-o-saal k beach maiN koi aisaa lamha gay’aa nahi

meray mah-o-saal k beach maiN koi aisaa lamha gay’aa nahi
teRa naam maiN ne lee’aa nahi tujhaY yaad maiN ne kia nahi

teRa koN sa wo madaaR tha jahaN gaR’dashaiN meRi ruk gaa’ee
teRa koN sa wo kahyal tha jisaY maiN ne damaN dee’ya nahi

meRa safaR adhoRa he rah gay’aa mujhaY manziloN ka pata nahi
maiN humsafaR isay maana tha kabhi saath jis ne dee’ya nahi

yahaN haR qadam pe haiN haadsaY ye khayal he dil ko thaka gay’aa
ye safaR k see’raat-e-taaveel hai abhi aik qadam taak utha nahi

ye meRi Ana ki hai sirkashi jo wasaf aisaY sikha gaa’ee
maiN dar’yaa hooN jo giRa nahi wo pahaR hooN jo hila nahi

koi aik aa’nsoo aisa day daR-o-baam apnaY saja looN maiN
tujhaY kia khabaR meRi raah maiN koi taRa, jugnoo, dee’ya nahi

koi be-qaRari se aaj be meray dil maiN khaaR hai khenchti
koi daRd tha jo daba nahi koi aansoo tha jo baha nahi

isay baad baRsooN ke dekh ke yuuhi aik lamhaY ko kia huwa
koi saans thei jo chali nahi koi zabat hai jo huwa nahi

ajeeb hijar parasti thi uski fitrat maiN

ajeeb hijar parasti thi uski fitrat maiN
shajar ke totay pattay talash karta tha

tamam raat wo parda hata ke chaand ke sath
jo kho’gaey haiN wo lamhay talash karta tha

dua’yaiN karta tha ujray hoo’vay mazaaroN par
baray ajeeb saha’ray talash karta tha

mujhay to aaj bataya hai badlooN ne “faysal”
wo lout aa’nay ke rastay talash karta tha

Is imtehaan main hon,dil ka baab kis ko don

Is imtehaan main hon,dil ka baab kis ko don
Nisaab-e-ishq pe likhi kitaab kis ko don

Har ek shakhs ko mujh se bohat mohabbat hai
Sawal yeh hai wafa ka jawab kis ko don

Mera khuloos,mohabbat,wafa hai sab ke liye
Sochta hon ke lab-e-lubaab kis ko don

Mere liye to sabhi log ek jese hain
Sukoon kis ko don,main izteraab kis ko don

Hujoom-e-husun ke melay main sochta hon main
Ke apne hath main thama gulaab kis ko don....

Dil bhulata nahi hai mohabbaten uski

Dil bhulata nahi hai mohabbaten uski
Pari hui theen mujhe kitni aadaten uski

Yeh mera safar uski khushbuon main guzra
Mujhe to raah dikhati theen chahaten uski

Door hone laga hon to aisa lagta hai
Ke chaaon jesi theen mujh par rafaqaten uski

Yeh kis gali main,yeh kis shehar main nikal aaye
Kahan pe reh gayen logon sadaqaten uski

Main barishon main juda ho gaya hon us se magar
Yeh mera dil meri saansen hain amaanaten uski...

Ek baar meri jaan tum ajao kisi shaam

Ek baar meri jaan tum ajao kisi shaam
Yeh husun-e-sakhawat bhi dikhlao kisi shaam

Khushboo se mohabbat ki moattar karo saansen
Kandhay pe mere zulf ko bikhrao kisi shaam

Main chashm-e-haqeeqat se tere pyar ko dekho
Anchal meri ankhon pe bhi lehrao kisi shaam

Daaman meri chahat ka ho labraiz haya se
Baahon main meri sharm se bal khao kisi shaam

Maalik se kabhi maango dua mere liye bhi
Haathon ko mere waastay pehlao kisi shaam

Waadon pe jeeta raha hon tere ab talak
Bohat yeh ho chuka,ab aa jao kisi shaam....

Mast ankhon ki hirasat main chale aye hain

Mast ankhon ki hirasat main chale aye hain
Be-emaan log hifazat main chale aye hain

Yun laga hum ko tere dil main utar ke jese
Baadshah apni riyasat main chale aye hain

Takhta-dar pe pohanchay to ab sochte hain
Aap ki chahat main kahan chale aye hain

Is jung ke asbaab to maloom nahin hain
Hum to bas Shoq-e-Shahadat main chale aye hain....

eewan-e-ghazal jis ki mohabbat mein likha tha

eewan-e-ghazal jis ki mohabbat mein likha tha,
Wo shakhs kisi aor ki qismat mein likha tha!

Har lamha mera kaatib-e-taqdeer ne shayad,
Zindaan-e-Shab-o-Roz ki wehshat mein likha tha!

Wo shaer kabhi uski nazar se nahi guzra,
Jo doob kar jazbaat ki shiddat mein likha tha!

Ab us k marasim hain meray dushman-e-jaan se,
Paimaan-e-wafa jis ki rafaqat mein likha tha!

Duniya mein to esay koi asaar nahi thay,
Shayad tera milna bhi qayamat mein likha tha!

Tu meray liye kesay badal sakta tha khud ko,
Harjaai hi rehna teri fitrat mein likha tha !!!

hum tujhe chahte the magar pehle kabhi

hum tujhe chahte the magar pehle kabhi
tujh ko apne kehte the, magar pehle kabhi

rasm-e-duniya nibhane ko mil rahi hain ab
tujhe dil se mila kerte the, magar pehle kabhi

is dil main teri chahat ka nishaan hi nahi
in ankhoon main tere khawab the, magar pehle kabhi

ab tujhe yaad ker ke dil machalta b nahi
tere naam se armaan machalte the, magar pehle kabhi

wo chala gaya chor ker hum roe bhi nahi
us ke janey per hum rote the, magar pehle kabhi

mujhe bujhaa de, meraa dard muKhtasar kar de

mujhe bujhaa de, meraa dard muKhtasar kar de
magar diye kii tarah mujh ko mo’atbar kar de

merii talaash ko be-naam-o-be-safar kar de
maiN teraa raastaa chhoRuuN to dar-ba-dar kar de

judaaiiyoN kii ye raateN to kaaTnii hoNgii
kahaaniyoN ko ko’ii kaise muKhtasar kar de

tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa huuN
ke jaise bachaa kitaabeN idhar-udhar kar de

Dua Nahi To Gila Deta Koi

Dua Nahi To Gila Deta Koi
Meri Wafaon Ka Sila Deta Koi
Jab Muqaddar Hi Nahi Tha Apna
Deta Bhi To Bhala Kya Deta Koi
Hassil_E_Ishq Faqat Dard Hai
Aey Kaash Pehle Hi Bata Deta Koi
Taqdeer Nahi Thi Agar Aasmaan Choona
Khaaq Main Hi Mila Deta Koi
Bewafa Bhi Humein Bewafa Keh Gaya
Is Se Ziyada Kya Dagha Deta Koi
Gumaan Hi Ho Jata Kisi Apne Ka
Daaman Hi Pakar Kar Hila Deta Koi
Arse Se Atka Hai Hitch Kiyon Pe Dam
Acha Hota Jo Bhula Deta Koi
Yeh To Ro Ro Ke Kat Gaye Zindagi
Kya Hota Agarche Hansa Deta Koi

jab wo shakhs wasi mujh se khafa hojaye

jab wo shakhs wasi mujh se khafa hojaye
aik sunami mere seene mein bapa ho jaye
dil mein phir kuch nahen ho ga, khala'on ke siwa
tu kisi roz agar mujh se juda ho jaye
wo bohat rakhta hai chahat ki namazon ka hisab
wo to aik sajda na bakhshe jo qaza ho jaye
taphkiyan de ke sulati hai teri yaad hamen
neend jis raat bhi ankhon se khafa ho jaye
ye taqaza hai mohabbat ki ibadat ka wasi
us ko choo lene se aik rukan ada ho jaye

Dard itna tha oss Raat keh Dil-e-Vehshi ne..

Dard itna tha oss Raat keh Dil-e-Vehshi ne..

Her Rag-e-Jaan se Olajhna chaha..

Her Ban-e-moh se tapakna chaha...

Aur kaheen Door, teray sehan me goya..

Pata Pata meray Afsorda Lahoo me Dhul ker...

Husan-e-Mehtaab se Aazarda Nazr aney laga...

Meray Veraan-e-Tan me goya...

Sarey Dhuktey hoye Resho'n ki Tannabie'n khul ker...

Silsala-war pata deney lagie'n...

Rukhsat-e-Qafla-e-Shaoq ki teyyari ka...

Aur Jab Yaad ki Bujti hoi shammo'n me Nazr aya kahee'n...

Aik Pal, Aakhri Lamha, Teri Dildari ka...

Dard itna tha keh Oss se bhe guzarna chaha...

Ham ne chaha bhe mgr Dil ne na Tehrna chaha...!!!

maiN tujhe bhool gayee, ye bhi nahiN hai, lekin

maiN tujhe bhool gayee, ye bhi nahiN hai, lekin
maiin tujhe yaad bhi har waqt nahiN kar sakti
zindagi kitni humaH-geer hai, kitni purshor
sirf ashkoN hi se daaman to nahiN bhar sakti

kaise fitrat ke takaazoN se kinara kar looN
kis tarah talkHi-e-zehraab gawaara kar looN
zindagi kitni humaH-geer hai, kitni purshoor

maiN mohabbat ke takaze bhi samajhtiN hooN magar
maiN haqiqat ke ishaare bhi to pehchaantiN hooN
maiN teri yaad meiN kHud apne se gHaafil ho jaaoN
ma'siwa apne kisi aur ko bhi janti hoon

zindagi sirf tarana hi tarana to nahiN
kuchh haqiqat bhi hai ye mahaz fasana to nahiN
maiN haqiqat ke ishaare bhi to pahchaanti hooN

sher-o-nagHma meiN guzarti hui rangiN raateN
kaun hoga jinheN nagHmaat ka ehsas nahiN
talkHi-e-gHum bhi to ik Thos haqiqat hai magar
kaun hai jisko haqiqat ka zara paas nahin

yeH dhaRhkte hue dil aur yeH khanakte hue saaz
yeH mahakte hue nagHmaat, yeH bajti aawaz
kaun hoga jise nagHmaat ka ehsaas nahiN

zindagi kitni humaH-geer hai, kitni purshor
aur iss shor meiN nagHmoN ki haqiqat kitni
maiN tujhe yaad kiye jaaooN yeH mumkin hai magar
iss humaH-geeri mein ik yaad ki fursat kitni

kitne dil-chasp haiN, ulfat ke taraane lekin
kitne rangiN hai ye saada-se fasaane lekin

iss humaH-geeri meiN in sab ki haqiqat kitni?

dard-e-dil paas-e-vafaa jazbaa-e-imaa.N honaa

dard-e-dil paas-e-vafaa jazbaa-e-imaa.N honaa
aadamiyat yahii hai aur yahii insaa.N hoaa


nau-giraftaar-e-balaa tarz-e-fuGaa.N kyaa jaane.n
ko_ii naashaad sikhaa de inhe.n naalaa.N honaa


rah ke duniyaa me.n yuu.N tark-e-havas kii koshish
jis tarah apane hii saaye se gurezaa.N honaa


zindagii kyaa hai anaasir me.n zahuur-e-tartiib
maut kya hai inhii.n ijzaa kaa pareshaa.N honaa


dil asiirii me.n bhii aazaad hai aazaado.n kaa
valvalo.n ke liye mumkin nahii.n zindaa honaa


gul ko paamaal na kar laal-o-gauhar ke maalik
hai ise turaah-e-dastaar-e-Gariibaa.N honaa


hai meraa zabt-e-junuu.N josh-e-junuu.N se ba.Dhakar
nang hai mere liye chaak garebaa.N honaa

Bujh Rahey Thay Diye Gir Rahay Thay Shajjar, Log Hanstay Rahay

Bujh Rahey Thay Diye Gir Rahay Thay Shajjar, Log Hanstay Rahay
Doobta Jaa Raha Thaa Kisi Ka Nagar, Log Hanstay Rahay

Apney Khwaboon K Raizay Saimetay Huwey Mein Tere Shehar Main
Jis Gali Se Bhi Guzra Har Ik Morh Per, Log Hanstay Rahay

Teri Yaadon Ka Ik Kaarwaan Har Qadam Merey Hamraah Thaa
Meri Tanhaayoon Pe Magar Bekhabar, Log Hanstay Rahay

Phir Wohi Saaneha Kal Zameen Per Huwa, Baarishoon K Khuda
Jhonpra Jal Raha Thaa Kisi Ka Magar, Log Hanstay Rahay

Us K naazuk Murjhaaye Huwey Haathoon Mein Mehndi Sulaghti Rahi
Aur Khushiyaan Manaatey Huwey Raat Bhar, Log Hanstay Rahay

Us K Gham Mein Sissakti Rahi Zard Patton Mein Chup K Hawa
Jis K Hontoo Pe Pheeki Hansi Dekh Kar, Log Hanstay Rahay

Likh K Naam Us Ka Ghar Ki Har Ik Cheez Par Hum Sajaatay Rahay
Dekh K Ghar K Javed, Deewaar-O-Darr, Log Hanstay Rahay

Popular Posts