Monday, March 15, 2010

Bujh Rahey Thay Diye Gir Rahay Thay Shajjar, Log Hanstay Rahay

Bujh Rahey Thay Diye Gir Rahay Thay Shajjar, Log Hanstay Rahay
Doobta Jaa Raha Thaa Kisi Ka Nagar, Log Hanstay Rahay

Apney Khwaboon K Raizay Saimetay Huwey Mein Tere Shehar Main
Jis Gali Se Bhi Guzra Har Ik Morh Per, Log Hanstay Rahay

Teri Yaadon Ka Ik Kaarwaan Har Qadam Merey Hamraah Thaa
Meri Tanhaayoon Pe Magar Bekhabar, Log Hanstay Rahay

Phir Wohi Saaneha Kal Zameen Per Huwa, Baarishoon K Khuda
Jhonpra Jal Raha Thaa Kisi Ka Magar, Log Hanstay Rahay

Us K naazuk Murjhaaye Huwey Haathoon Mein Mehndi Sulaghti Rahi
Aur Khushiyaan Manaatey Huwey Raat Bhar, Log Hanstay Rahay

Us K Gham Mein Sissakti Rahi Zard Patton Mein Chup K Hawa
Jis K Hontoo Pe Pheeki Hansi Dekh Kar, Log Hanstay Rahay

Likh K Naam Us Ka Ghar Ki Har Ik Cheez Par Hum Sajaatay Rahay
Dekh K Ghar K Javed, Deewaar-O-Darr, Log Hanstay Rahay

No comments:

Popular Posts