Friday, March 13, 2009

Tujhay Bhoolne Ki Koshish Mein

Tujhay Bhoolne Ki Koshish Mein
Tujhay Bhoolnay Ki Koshish Mein, Jab Dil Ye Zidd Pe Aa Gaya, Main Aankh Muund Ke Baith Gaya, Tu Khayaal Pe Phir Chaa Gayi......
Ye Dhadkan Kahi Ruk Jaaye Na, Meri Nabz Thaher Na Jaaye Kahin, Tunay Waqt Kiya Mera Lamha-Lamha Magar Maot Ko Aasan Bana Gayi...
Meri Har Daleel Ko Kiya An-Suni, Meri Fariyaad Bhi To Suni Nahii, Main Hairan Hun, Han Kuch Pareshan Hun, Aisaa Faisla Mujhay Tu Sunaa Gayi.....
Mujhay Chand Ki Kabhi Talab Na Thi, Mujay Suraj Ki Bhi Fikar Nahi, Bas Aankh Kholna Hi Chahtay Thay Hum, Magar Tu Roshni Hi Buujha Gayi....
Be-Shak Bhoolna Tujay Chaha Bahot, Hans Kar Kabhi, Ro Kar Kabhii, De Kar Ye Aansoo Ki Saughat Mujhay, Tu Daaman Apna Bachaa Gayi........

Umr Bhar Gardishon Mein Qadam Rahay,

Umr Bhar Gardishon Mein Qadam Rahay, Phir Bhi Na Aashnayi Manzil Hum Rahay.
Phir Taaza Ho, Rasm-e-Inkaar Magar...!! Zer-e-Labb Ek Halka Sa Tabassum Rahay.
Phir Labon Pe Teray Naam Ka Naghma Tahere, Pesh-e-Nigaah Tasweer Mujassam Rahay...!
Ek Zaraa Teri Yaad Ki Khushboo Maheke, Ta-Der Phir Qarya-e-Jaan Mein Matam Rahay.
Aankhe Hi Dariya Mizaaj Mili Hai Humko, Naseeb-e-Daman Yahi Hai Ke Namm Rahay.
Umr Mohabbat Ki Is Se Kai Kam Hai, Saamnay Suraj Ke Jitni Der Shabnam Rahay.
Aawargi Kab Kisko Raas Aayi Shaheen, Khayaal-e-Pareshan Se Kaho Ke Tham Rahay.

Kabhi Udaas Jo Dekho, To Tum Udaas Na Hona

Kabhi Udaas Jo Dekho, To Tum Udaas Na Hona, Kabhi Naraz Jo Dekho, To Tum Naraz Na Hona, Mohabbat Ke Dino Mein To Aksar Aisa Hota Hai, Kio Naraz Hota Hai, Koi Udaas Hota Hai, Magar Ye Yaad Rakhna Ke, Mohabbat Hi Ki Taqat Hai, Udaas Jeevan Ko Jo Khushiyon Se Bhar Daale, Naraz Dilon Ko Jo Phir Se Mila Daale, Khwabon Mein, Khayalon Mein, Raaton Mein, Ujalon Mein, Koi Jab Yaad Aata Hai, Aankhon Mein Bas Sa Jaata Hai, Dil Mein Utar Sa Jata Hai, Aise Mein Kisi Soorat, Phir Dilko Chain Nahi Padta, Magar Ye Yaad Rakhna Ke, Yaad Wohi Aata Hai, Jo Dil ko Pyara Hota Hai..................!!

Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.

Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi. Auron Se Thi Jooda Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Tahreer Uskey Chehre Pe Ek Ajnabi Si Thi, Aankhe Thi Aashna Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Tark-e-Talluq Ka, Jo Ban Gayi Sabab, Wo Baat Thi Zaraa Si, Magar Yaad Ab Nhai.
Kuch Yaad Aa Raha Hai Ke Aagaz Hijr Mein, Chhayi To Thi Udaasi Magar Yaad Ab Nahi.
Aankho Ki Khushk Jheel Mein Utre To Ye Khula Thi Rooh Kitni Pyaasi Magar Yaad Ab Nahi.
Kuch Usko Der Ho Gayi Aane Mein Aur Kuch, Thi Umr Be Wafaa Si, Magar Yaad Ab Nahi

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai,

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai, Ye Jo Raasta Hai Mera,
Tum Agar Na Saath Dogay To Ye Kis Tarhaa Kateyga
Meri Sonch Ki Hadon Tak, Ye Gumaan Bhi Kaise Aaye,
Koi Pal Bina Tumhare, Bhalaa Kaise Beet Jaaye..
Mere Paas Tum Nahi Ho, Mere Paas Kab Nahi Ho.
Meri Yaad Ke Nagar Mein Mere Khawab Ke Safar Mein
Meri Sonch Ke Tahon Tak, Meri Aankh Ke Bhanvar Mein
Mere Dil-o-Jaan Mein Tan Mein Meri Hasraton Ke Ban Mein.
Mere Dil Ki Teergi Mein, Meri Shab Ki Roshni Mein.
Haan, Tum Hi Ho Har Kahin Ho, Merey Paas Kab Nahi Ho....

Meri Har Duaa Ka Mahwar, Bas Ek Aarzoo Tumhari,
Iss Aarzoo Ke Aagay, Koi Raasta Nahi Hai.......

Tumhe Kis Qadar Hai Chaha, Ye Tumhe Pata Nahi Hai....!!

Popular Posts