Sunday, May 23, 2010

Dil Jo HaMara Le Gaya, Tha Koi Ajnabi

Dil Jo HaMara Le Gaya, Tha Koi Ajnabi, 
Ek Sahara Sa De Gaya, Tha Koi Ajnabi, 

Rukhsat Kiya HuMe Usne, Itni Berukhi Se, 
Aur Shikwa Sa De Gaya, Tha Koi Ajnabi, 

Zindagi Hai Chhoti Aru Raaste Hai LaMbe, 
Tanha Jo Chhod Gaya, Tha Koi Ajnabi, 

GaM Nahi Hai ZakhMon Ka Jo Apno Se Mile, 
Jo Dil Tod Ke Gaya, Tha Koi Ajnabi, 

Aankhein Jo Dhundti Hai Wo Tasveer Nahi Koi, 
Jo Khwaabon Mein Chha Gaya, Tha Koi Ajnabi...

Ye Mere Zehen Se Yaadon Ke Diye Gul Kar Do

Ye Mere Zehen Se Yaadon Ke Diye Gul Kar Do, 
Mere Ehsaas Ki Duniya Ko Mita Do HuMdaM, 
Raat Taare Nahi Angare Liye Aati Hai, 
In Baraste Hue Sholon Ko Bujha Do HuMdaM, 
Dilki Dhadkan Ko Sula Jao Bahut Tanha Hoon,

Andheri Raat Mein Jab Chand Khilne Lagta Hai, 
TuMhare Pyar Ka Deepak Jala Ke Rota Hoon, 
TuMhare Aane Ki Jab Aas Jaane Lagti Hai, 
Main In Chiragon Ko Khud Hi Bujha Ke Rota Hoon, 
Zindagi Aisi Mita Jao Bahut Tanha Hoon, 

Sochte Sochte Jab Soch Mar Jaati Hai, 
Waqt Ke KadMon Ki Aahat Ko Suna Karta Hoon, 
Ashq Hai Aahon Ka Dhuwan Uthta Hai, 
Raatbhar Yun Hi Tadapta Hoon Jala Karta Hoon, 
Baar-E-GaM Kuch To Ghata Jao Bahut Tanha Hoon...

Agar Na Hota Main Mohabbat Ke Manoon Se Waqaf

Agar Na Hota Main Mohabbat Ke Manoon Se Waqaf,
To Khud Se Bhar Kar Na Kisi Aur Ko Chaha Hota, 

Mar Jata TuM Bin Aye Bewafa, 
Gar Tanhaiyonko Apna HuMsafar Na Banaya Hota, 

Chahat Ki TaMaM Hadon Se Bhar Kar Usko Chaha, 
Pachhtata Hoon Wapsi Ka Koi Rasta Hi Banaya Hota, 

Dere Daal Liye Hai Kyon Tune Bewafa Ke Astane Pe, 
Shayad Koi To Apna Bhi Tune Aashiyana Banaya Hota...

Apne Hue Paraye ZaMane Guzar Gaye

Apne Hue Paraye ZaMane Guzar Gaye, 
Dil Par Ye *** Khaye ZaMane Guzar Gaye, 

Wo Bhi Bichhad Ke Chain Se Soya Nahi Kabhi
HuMko Bhi Neend Aaye ZaMane Guzar Gaye, 

Fursat Agar Mile To Kabhi Mere Ghar Bhi Aa, 
Raste Ko Ghar Bane ZaMane Guzar Gaye, 

Sar Pe Meri Dhari Hai Tere GaM Ki Ghatraiyan, 
Aur Bojh Ye Uthaye ZaMane Guzar Gaye, 

Wo Jo Kisi Ke Pyaar Mein Kho Kar Hi Reh Gayi, 
HuMko Bhi Hosh Aaye ZaMane Guzar Gaye, 

Kitne Hi Dukh Hai Jo Kabhi Keh Nahi Saka, 
Is Dukh Ko Bhi Chhupaye ZaMane Guzar Gaye...

Mitti Ki IMarat Saya De Kar Mitti Mein HuMwaar Hui


Mitti Ki IMarat Saya De Kar Mitti Mein HuMwaar Hui, 
Virani Se Ab KaaM Hai Aur Veerani Kis Ki Yaar Hui, 

Dar Dar Ke QadaM Yun Rakhta Hoon Khwabon Ki Sharay Mein,
Ye Reg Abhi Zanjeer Bani Ye Chhanv Abhi Deewar Hui, 

Har Patti Bojhil Ho Ke Giri Sab Shaakein Jhook Kar Toot Gayi, 
Us Baarish Hi Se Fasal Ujdi Jis Baarish Se Taiyyar Hui, 

Ab Ye Bhi Nahi Hai Bas Mein Ke HuM Phoolon Ki Dagar Par Laut 

Chalein,
Jis Raah-Guzar Par Chalna Hai Wo Raah-Guzar Talvaar Hui, 

Chhuti Hai Zara Jab Tan Ko Hawa Chubhte Hai Ragon Mein Kaante Se, 
So Baar Khizayein Aayi Hongi Mehsoos Magar Is Baar Hui, 

Wo Naale Hai Betabi Ke Chikh Uthta Hai Sannata Bhi, 
Ye Dar Ki Shab MaluM Nahi Kab Tak Ke Liye Bedaar Hui, 

Likhi Hai Shikastein Itni Jahan Maqtal Mein Wahan Ye Bhi Likh Do, 
Kitni ShaaM-Sheeree Toot Gayi Kitne DushMano Ki Haar Hui, 

Ab Gair Hawa Kitni Hi Chale Ab GarM Fiza Kitni Hi Rahe, 
Seene Ka ZakhM Charag Bana DaMan Ki Aag Bahar Hui...

Angdayi Pe Angdayi Leti Hai Raat Judayi Ki

Angdayi Pe Angdayi Leti Hai Raat Judayi Ki, 
TuM Kya SaMjho TuM Kya Jaano Baat Meri Tanhayi Ki, 

Kaun Siyaahi Ghol Raha Tha Waqt Ke Behte Dariya Mein,
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjayi Ki, 

Wasl Ki Raat Na Jaane Kyon Israar Tha Unko Jaane Par, 
Waqt Se Pehle Doob Gaye Taaron Ne Badi Danayi Ki, 

Udte Udte Aas Ka Panchhi Door Ufaq Mein Doob Gaya, 
Rote Rote Baith Gayi Aawaz Kisi Saudayi Ki...

Mujhko Mara Haihar Ek Dard-O-Dua Se Pehle

Mujhko Mara Haihar Ek Dard-O-Dua Se Pehle, 
Di Saza Ishq Ne Har JurM-O-Khata Se Pehle, 

Aatish-E-Ishq Bikharti Hai Hawa Se Pehle, 
Honth Jalte Hai Mohabbat Mein Dua Se Pehle, 

Ab KaMi Kya Hai Tere Be-Sar-O-SaManon Ko, 
Kuchh Na Tha Teri KasaM Tark-O-Fana Se Pehle, 

Khud-Ba-Khud Chaak Hue Pairahaan-E-Lala-O-Gul,
Chal Gayi Kaan Hava Baad-E-Saba Se Pehle, 

Maut Ke NaaM Se Darte The Shauq-E-Hayat, 
Tune Maar Hi Dala Tha Qaza Se Pehle, 

Galat-E-Hasti-E-Fani Ki Bata Degi Tujhe, 
Jo Mera Haal Tha Ehsaas-E-Efana Se Pehle, 

HuM Unhe Paake Aur Bhi Kuch Kho Gaye, 
Ye Taqalluf To Na Tha Ehd-E-Wafa Se Pehle...

Raaton Mein Agar Na Ashq Bahaun To Kya Karun

Raaton Mein Agar Na Ashq Bahaun To Kya Karun,
Ek Pal Bhi Usko Bhool Na Paaun To Kya Karun, 

Maine Suna Hai Unko Andhere Nahi Pasand, 
Raahon Mein Ab Main Dil Na Jalaun To Kya Karun, 

TuM Hi Kaho Chhod De Jab Zindagi Bhi Saath, 
Phir Maut Ko Gale Na Lagaun To Kya Karun, 

Socha Tha Ke Chhod Dun Unki Gali, 
Lekin Kahin Qaraar Na Paaun To Kya Karun...

Yun Na Mil Mujhse Khafa Ho Jaise

Yun Na Mil Mujhse Khafa Ho Jaise, 
Saath Chal Mauj-E-Saba Ho Jaise, 

Log Yun Dekhkar Hans Dete Hai, 
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise, 

Ishq Ko Shart Ki Had Tak Na Badha, 
Yun Na Mil HuMse Khuda Ho Jaise, 

Maut Bhi Aayi To Is Naaz Ke Sath, 
Mujhpe Ehsaan Kiya Ho Jaise, 

Hichkiyaan Raat Ko Aati Hi Rahi, 
Tune Phir Yaad Kiya Ho Jaise, 

Zindagi Bhi Rahi Hai Danish, 
Ek BejurM Saza Ho Jaise...

Kya Khabar Thi Is Tarah Se Wo Juda Ho Jayega

Kya Khabar Thi Is Tarah Se Wo Juda Ho Jayega, 
Khwab Mein Bhi Uska Ilna Khwab Sa Ho Jayega, 

Zindagi Thi Qaid HaMein Kya Nikaloge Usse, 
Maut Jab Aayegi To Khud Riha Ho Jayega, 

Dost Bankar Usko Chhaha, Ye Kabhi Socha Na Tha, 
Dosti Hi Dosti Mein Wo Khuda Ho Jayega, 

Uska Jalwa Hoga Kya Jiska Parda Noor Hai, 
Jo Bhi Usko Dekh Lega Wo Fida Ho Jayega...

Kya Sarokaar Ab Kisise Mujhe

Kya Sarokaar Ab Kisise Mujhe, 
Waasta Tha To Tha Tujhi Se Mujhe, 

Behisi Ka Bhi Ab Nahi Ehsaas, 
Kya Hua Teri Berukhi Se Mujhe, 

Maut Ki Aarzu Bhi Kar Dekhun,
Kya UMMidein Thi Zindagi Se Mujhe,

Phir Kisi Par Na Aitbaar Aaye,
Yun Utaro Na Apne Jee Se Mujhe, 

Tere ThaM Bhi Na Ho To Kya Jeena, 
Kuch Tasalli Hai Dard Hi Se Mujhe, 

Kar Gaye Kis Kadar Tanha, 
DushMan, Andaaz-E-Dosti Se Mujhe...

Kyon HaMein Maut Ka PaigaM Diye Jaate Hai

Kyon HaMein Maut Ka PaigaM Diye Jaate Hai, 
Ye Saza KaM Hai Ke Jeeye Jaate Hai, 

Nasha Dono Mein Hai Saaki Mujhe GaM De Ya Sharab, 
May Bhi Pee Jaati Hai Ansoo Bhi Piye Jaate Hai, 

Ek Tu Hai Ke HaMari Nahi Tujhko Parwah, 
Ek HuM Hai Ke Tera NaaM Liye Jaate Hai, 

Zindagi Apni KashMakash Mein Guzarti Hai, 
Jee Nahi Chahta Jine Ko Jiye Jaate Hai...

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga, 
Ek Din Aayega Wo Shakhs HaMara Hoga, 

TuM Jahan Mere Liye Seepiyan Chunti Hogi, 
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga, 

Zindagi Ab Ke Mera NaaM ShaaMil Na Karna,
Gar Ye Tay Hai Ke Yehi Khel Dobara Hoga, 

Jiske Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi, 
Kis Tarah Uske Bagair Apna Guzara Hoga, 

Ye Achanak Jo Ujala Sa Hua Jaata Hai, 
Dilne Chupke Se Tera NaaM Pukara Hoga, 

Ishq Karna Hai To Din Raat Use Sochna Hai, 
Aur Kuch Zehen Mein Aaya To Khasara Hoga, 

Ye Jo Paani Mein Chala Aaya Sunehri Sa Garoor, 
Usne Dariya Mein Kahin Paanv Utara Hoga, 

Kaun Rota Hai Yaahn Raat Ke Sannaton Mein,
Mere Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Hoga, 

Mujhko MaluM Hai Joonhi Main QadaM Rakhunga, 
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga, 

Jo Meri Rooh Mein Badal Se Garajte Hai, 
Usne Seene Mein Koi Dard Utara Hoga,

KaaM Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Usko, 
Mera Maula Ka Joonhi Ishara Hoga...

Puchh Na Mujhse Dilke Fasane,

Puchh Na Mujhse Dilke Fasane, 
Ishq Ki Baatein Ishq Hi Jaane, 

Wo Din Jab HuM Unse Mile The, 
Dil Ke Naazuk Phool Khile, 
Masti Aankhein ChooM Rahi Thi, 
Saari Duniya JhooM Rahi, 
Do Dil The Wo Bhi Deewane, 

Wo Din Jab HuM Door Hue The, 
Dil Ke Sheeshe Choor Hue The, 
Aye Khizaan Rangeen ChaMan Mein,
Aag Lagi Jab Dil Ke Ban Mein,
Aaya Na Koi Aag Bujhane...

Meri Yaadon Mein Ek Unki Kahani Reh Jayegi,


Meri Yaadon Mein Ek Unki Kahani Reh Jayegi, 
Kuch Palon Mein Beeti Saari Zindagi Reh Jayegi, 

Kuch Kuch Palon Mein Main To Chal Dunga Duniya Chhod Kar, 
TaMaM UMr Tere Nazron Mein Ek Nishani Reh Jayegi, 

ZakhMo Ka Hisaab To HaMesha Hi Behisaab Raha, 
KaMse KaM Ek Aankh To Ye NaMi De Jayegi...

Aaj Usne Kaha TuM Mera Intezar Kyon Karte Ho?

Aaj Usne Kaha TuM Mera Intezar Kyon Karte Ho?
Sab Jaante Hue Phir Bhi Usne Yeh Sawal Kiya Hai, 
Aaj Uske Is Sawal Ne Mujhe Bataya, 
Ke Abhi Aitbaar Ka Wo LaMha Nahi Aaya Hai, 
Meri Sachi Baatein Abhi Bhi Use Jhooth Lagti Hai, 
Meri Har Ek Baat Usko Ek Bahana Lagti Hai, 
In Sab Baaton Ke Bawajood, 
Mujhe Apne Jazbon Ki Sachaiyon Ka Yaqeen Hai, 
Ek Na Ek Din Wasi Usko Yaqeen Aa Hi Jayega, 
Meri Zindagi Mein Na Sahi Meri Maut Ke Baad Hi Sahi...

Shakki Hai Wo Magar Usko Nahi Karne Ki Aadat Hai

Shakki Hai Wo Magar Usko Nahi Karne Ki Aadat Hai, 
Main Saahil Hoon Magar Mujhko Yaqeen Karne Ki Aadat Hai, 

Use Bhi Sar Bulandi Par HaMesha Naaz Rehta Hai, 
HaMein Bhi AasMano Ko ZaMeen Karne Ki Aadat Hai, 

Suna Hai Khanjar Ki Lahoo Se Pyaas Bujhti Hai, 
HaMein Bhi Khoon Surf-E-Asteen Karne Ki Aadat Hai, 

TuMhara KaaM Hai Shehron Ko Sehra Mein Badal Dena, 
HaMein Banjar ZaMeenon Ko Haseen Karne Ki Aadat Hai...

Nazar Nazar Se Haal-E-Dil Ka Pata Chalta Hai

Nazar Nazar Se Haal-E-Dil Ka Pata Chalta Hai, 
Aap HuMpe Hai Fida Saaf Pata Chalta Hai, 

ShaMa Ke Baad Ye Parwana Kahan Jalta Hai, 
Aap HuMpe Hai Fida Saaf Pata Chalta Hai, 

Ye Sach Hai Raaz-E-Dil Bhi Kahan Chhupta Hai, 
Aap HuMpe Hai Fida Saaf Pata Chalta Hai...

Yehi Nahi Ke Faqat HuM Hi Iztaraab Mein Hai

Yehi Nahi Ke Faqat HuM Hi Iztaraab Mein Hai, 
HaMare Bhoolne Wale Bhi Is Azaab Mein Hai, 

Isi Khayal Se Har ShaaM Jald Neend Aaye, 
Ke HuM Se Bichhde Hue Log Sheher-E-Khwaab Mein Hai, 

Azeez Kyon Na Ho Maazi Ka Har Waraq HuMko, 
Ke Chand Sookhe Hue Phool Is Kitaab Mein Hai...

Aaj TuMhe Batayenge HuM Ne Kya Manga Hai

Aaj TuMhe Batayenge HuM Ne Kya Manga Hai...
Apne Liye Maut Aapke Liye Jahan Manga Hia...

Jiyo Aap Apke KadMon Mein Phoolon Ki Barish Ho...
HuMn To Bas Apne Liye Ek Sukun Ka Kafan Manga Hai...

Raas Na Aya Aye Jaan HuMe Yeh Pyaar Ka Silsila...
Dua Mein HuMne TuMare Liye Ek Ba Wafa Dildar Manga Hai...

Jo Sahe Hain Dard HuMne...To Bhi HuMe Koi Gila Nahi....
Ab To Bas TuMhare Liye UMar Bhar Roshni Dene Wala Chiraag Manga 

Ahi...

Karlo SitaM Chahe Jitne HuMe Koi Sikhayat Nahi...
Na Mile TuM To Kya Hua...HuMne Khuda Se TuMara Deedar Manga Hai...

Lo Ab Chal Diye TuMari Rahon Se Kayi Dur HuM...
Muajon Se Sahil Ne Aaj Ek Ghaw Aur Manga Hai...

Mana K TuMhe Mohobbat Nahi HuMse SanaM Par Itna KaraM Kardo..
Meri Chaht Ne TuMse Bas Ek Bar Jhuta Ikrar Manga Hai..
Roshni Popat: K Le Chalo Duniya Walon HuMara Janaza K Wo Na 

Ayenge...
Meri Rooh Ne TuMari Yaadon Ka Aaj Saath Manga Hai...

HuMari To Zindagi Biiti Hai JahanuM Ki Aag Mein Jalte Jalte...
Khuda Ne Dena Chaha HuMe Jannatka Aish O AraM...
Lekin HuMne Akhri Khwaish Mein TuMari Bewafai Mein Jalne Ka Khwab 

Manga Hai

Isse Pehle Ke Teri ChashM-E-KaraM Maazarat Ki Nigah Ban Jay


Isse Pehle Ke Teri ChashM-E-KaraM Maazarat Ki Nigah Ban Jaye, 
Pyaar Dhal Jaye Mere Ashqon Mein Aarzu Ek Aah Ban Jaye, 
Mujhpe Aa Jaye Ishq Ka IlzaaM Aur Tu Begunah Ban Jaye, 
Main Tera Shaher Chhod Jaunga, 

Isse Pehle Ki Saadgi Teri Lab KhaMosh Ko Gila Keh De, 
Teri Majbooriyan Na Dekh Sake Aur Dil Tujhko Bewafa Keh De, 
Jaane Main Bekhudi Mein Kya Puchun, Jaane Tu Berukhi Se Kya Keh De, 
Main Tera Sheher Chhdod Jaunga, 

Isse Pehle Ke Tere Hothon Se Gair Hothon Ke JaaM Takraye, 
Isse Pehle Ke Zulf Ke Baadal Ajnabi Baazuon Pe Lehraye, 
Aur Teri Bebasi Ke Nazare Meri Aankhon Pe Aag Barsaye, 
Main Tera Sheher Chhdod Jaunga, 

Chhod Kar Sahil-E-Hayaat Chala Ab Safeena Mera Kahin Thehre, 
Zeher Peena Mera Muqaddar Hai Aru Tere Honth Dilnashin Thehre, 
Kis Tarah Tere Aastan Pe Rukun Jab Na Paanv Tale ZaMeen Thehre, 
Main Tera Sheher Chhdod Jaunga, 

Mujhko Itna Zaroor Kehna Hai Waqt-E-Rukhsat SalaaM Se Pehle, 
Tod **** Rishta-E-Nazar Main Bhi Tu Utar Aaye BaaM Se Pehle, 
Ye Meri Jaan Mera Wada Hai Kal Kisi Waqt ShaaM Se Pehle, 
Main Tera Sheher Chhdod Jaunga...

Ye Kya Jagah Hai Doston Ye Kaunsa Dayar Hai

Ye Kya Jagah Hai Doston Ye Kaunsa Dayar Hai, 
Had-E-Nigaah Tak Jahan Gubaar Hi Gubaar Hai, 

Ye Kis MukaaM Par Hayat Mujhko Leke Aa Gayi, 
Na Bas Khushi Pe Hai Jahan Na GaM Pe Ikhtiyar Hai, 

TaMaM UMr Ka Hisab Mangti Hai Zindagi, 
Ye Mera Dil Kahe To Kya Ye Khud Se SharMsaar Hai, 

Bula Raha Kya Koi ChilaMno Ke Us Taraf, 
Mere Liye Bhi Kya Koi Udaas Bekarar Hai, 

Na Jiski Shakal Hai Koi Na Jsika NaaM Hai Koi, 
Ek Aisi Sheh Ka Kyon HaMein Azal Se Intezar Hai...

Popular Posts