Thursday, July 1, 2010

taluqaat terk honey they kisey yeh maloom tha


taluqaat terk honey they
kisey yeh maloom tha
humain tum se bicherna tha
kisey yeh maloom tha

jin ankhoon main raqsaan theen muskarahtain
unhi ko matam kerna tha
geeton ko nohoon main badalna tha
kisey yeh maloom tha

wadoon ki dewaroon main shagaf perna they
qasmoon ke dhagey yunhi tootna they
tumhain iin se mukerna tha
kisey yeh maloom tha

Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main


Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain ..

Kya pyar mein aissa hota hai


Kya pyar mein aissa hota hai
Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai
Kay uss kay ansoo pi janay ko dil chahta hai
Kay uss kay har gham ko mitta daynay ko dil chahta hai,

Kay ussko har paal muskurata hua dekhnay ko dil chahta hai
Kay uss par zindagani lutta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ka hath pakar kar ura lay janay ko dil chahta hai
Kay usski ankhon mein kho janay ko dil chahta hai

Kay usski pyari pyari baton ko har paal sun nay ko dil chahta hai
Kay ussko har khushi daynay ko dil chahta hai
Kay ussko har chot se mehfooz rakhne ko dil chahta hai
Kay usskay rastay mein giray huay har kantay ko utha dayna ko dil chahta hai

Kay ussko dil mein chupa laynay ko dil chahta hai
Kay ussko har paal sapnon mein rakhnay ko dil chahta hai
Kya pyar mein aissa hota hai
Kay usski parchayee ko hee dekh kar dil khush hojata hai,

Kay usski ek nazar se hee dil ko sukoon ajata hai
Kay usska chehra charon tarf chajata hai
Kay usski baat baat par pyar ajata hai
Kay usskee bahon mein dil mar jana chahta hai,

Kay usski hathon ki rekhaon ko dil badal day naa chahta hai
Kay usskay naseeb mein likhi hua har gham dil apne naam karna dayna chahta hai
Kay usski har khuaesh ko dil pura kar dayna chahta hai
Kay saray jahan ki khushian dil usske kadmon mein bicha dayna chahta hai,

Kya pyar mein aissa hota hai
Kay usske sath jina to kya
Usske sath mar janay ko dil chahta hai
Kya pyar mein aissa hota hai

woh raste anjanay se kuch roothay se kuch deewanay se


woh raste anjanay se kuch roothay se kuch deewanay se
hua karte thay paas kabhee tere aashiyane se

peechay murr kar dekhti hoon to aik dhundli see tasweer nazar aatee hai
apna aapko dekhti hoon to aik tooti hui taqdeer nazar aatee hai

jin raston par chaltay thay kabhee.....woh hogayee ab baiganay
tuu na raha reh gaye bus tujhpey likhay huay kuch afsanay

dil mera ab toota sa lagta hai
mausam bhee ab mujhse rootha sa lagta hai

kiyaa karoon agar ab bhee teri yaad aatee hai
jo mujhko aksar rula sa jatee hai

aa aa kar dekh le mere ashqon ko behtey huay
ab to shayad aik muddat see hogayee tujhay kehte huay

ke na baha aansoo yeh hain qeemti motiyon kee larryan
na baha ke chaltee hain dil pey mere yeh churryan

ab kiya kahoon tere janay ke baad dil ka hua hai haal hai
ab to sahr kiya mausam-e-shaam kiya

bus ab to aakhri khwhish hai baaqi
tuu ne jo diya ghum bankay mera sathee

tujhko rulaoon main waisay hee tujhko sataoon main
waqt aagaya ke apne aanswon ka badla chukaoon main

apne haathon se yun chehre ko chupate q ho


apne haathon se yun chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho...


tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa,
pyar karte ho tou phir pyar chupate q ho...


ashq aankho mei mere dekh k rote q ho,
dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate q ho...


in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
mere shano se ye zulf hatatay q ho...


roz mar mar k mujhe jeenay ko kehte q ho,
milne aatay ho to phir laut k jatay q ho...


apne haatho se yun chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho...

agar talaash karo koi mil hii jaayegaa


agar talaash karo koi mil hii jaayegaa
magar meri tarah kaun tumhain chaahegaa

tumhain zaroor koi chaahaton se dekhegaa
magar vo ankhain hamaari kaha se laayegaa

naa jaane kab tere dil par naye si dastak ho
makaan Khaali huaa hai to koi aayegaa

main apani raah main divaar ban ke baitha hoon
agar vo aayaa to kis raaste se aayegaa

tumhaare saath ye mausam farishton jaisaa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataayegaa

Main Tum Ko Chahoon Tum Kisi Aur Ko Chahoo


Main Tum Ko Chahoon
Tum Kisi Aur Ko Chahoo
Ye Mumkin Hi Nahin
Hokar Mere Kisi Aur K Raho
Ye Mumkin Hi Nahin
Mujh Se Bewafai Karke
Kahan Chaldiye Ho Tum
Ab Kisi Our Se Wafa Karo
Ye Mumkin Hi Nahin
Maine Tumhari Khatir
Sab Kuch Chor Diya Hai
Tum Mujh Ko Chor Kar Jao
Ye Mumkin Hi Nahin
Is Dil Main Sirf Tum Ko
Maine Basaya Hai
Kisi Our Ko Dil Main Tum Basao
Ye Mumkin Hi Nahin
Zindigi Main Rahi K Ab Ahi Chuke Ho
Tum Koi Our Banao Ab Hum Safar
Ye Mumkin Hi Nahin 

MUJHE MILA YEH MERE PYAR KA SILA KAISA


MUJHE MILA YEH MERE PYAR KA SILA KAISA
WOH MUJH KO BHOOL GAI AAKHRI KALAM KE BAAD.

HUM US KI RAH MAI PALKEN BICHAEY BETHEY HAIN.
WOH PHIR NA PALTI MERE AAKHRI SALAM KE BAAD.

QUSOOR DIL KA HAI IS DIL SE HOGAEY MAJBOOR.
WAGARNA HUM BHI USKO BHOOL JATE SHAAM KE BAAD.

WOH MUJH SE ITNI KABHI BE KHABAR NO THI PEHLE.
KE JITNI AAJ HUI HAI WOH CHAND GAAM KE BAAD.

HAAN YEH YAQEEN TO NA THA KE MUJHE WOH BHOOL GAI.
MAGAR AB AAGAYA YAQEEN ITNEY AYYAM KE BAAD.

TUJH KO BHULA DENA ITNA AASAAN BHI NAHI MERE LIYE.
SHAYAD MAIN TUJH KO BHOOL JAOON APNI JAAN JANE KE BAAD.

TERI JUDAI NE MUJH KO BANA DIYA SHAER.
ATHER TU SHAER NA KEHTA YUN AADHI RAAT KE BAAD. 

dukh tu kam nahi hotey talkhiyan mitane sey


dukh tu kam nahi hotey
talkhiyan mitane sey
ya unhein chuppane se
dil mein dukh samaney se
roone or roolane se
be-wajah hansney se
khud se bhi chuppane se
ya tumhein batane se
dil ko azmaney se
rishtey toor aney se
yaad choor aney se
ghum per sabr kerne se
dil be-khuber kerne se
Aansoon ko peeney se
Ghot ghot ker jeeney se
Dukh tu kam nahi hotey !
Dukh tu kam nahi hotey

Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay


Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay
Tehreer mein tum thay,meray wajdaan mein tum thay

Ahat thi k betaab kiye deti thi mujh ko
Ehsaas yeh kehta tha k dalaan mein tum thay

Go ajnabi dastak thi magar main ne dar-e-jaah
Yeh soch k khola tha k imkaan mein tum thay

Main kia, sitaron ne bhi aankh na jhapki thi
kal shab shab-e-mehtaab thi aur dalaan mein tum thay

Kia dekhtay auron ki taraf hum se giraftaar
Har ehad mein tum thay / har paimaan mein tum thay

Har chashm-e-gul-e-tarr thi tehreer zada
Kia waqt-e-sehar mun-e-gulistan mein tum thay. 

Kisi se baat karna , bolna accha nahi lagta


Kisi se baat karna , bolna accha nahi lagta
Tujhe dekha hai jab se doosra accha nahi lagta

Teri aankhon main jab se maine apna aks dekha hai
Mere chahre ko koi aaina accha nahi lagta

Tere baare main din bhar sochta rehta hoon main lekin
Tere baare main sab se poochna accha nahi lagta

Yahan Mohabbat karne wale barbaad rehta hain
Yeh darya hai isse kaccha gharra accha nahi lagta

Main ab chahat ki us manzil per aa pouncha hoon
Teri jaanib kisi ka dekhna accha nahi lagta

kahan aansoo ki ye sogat hogi


kahan aansoo ki ye sogat hogi
nay loog hon gay nai baat hogi

main har haal main muskarata rahoon ga
tumhari mohabbat agar mere sath hogi

charagoon ko aankho main mehfooz rakhna
bari door tak raat he raat hogi

pareshan ho tum bhi pareshan hen hum bhi
chalo mekady main woheen baat hogi

cheragon ki lu say sittaron ki zu tak
tumhee main milon ga jahan raat hogi

jahan wadiyoon main nay phool ayy
hamari tumhari molaqat hogi

musafer hen hum bhi musafer ho tum bhi
kisi morr par pher molaqat hogi

aate aate meraa naam saa rah gayaa


aate aate meraa naam saa rah gayaa
us ke ho.nTho.n pe kuchh kaa.Npataa rah gayaa

vo mere saamane hii gayaa aur mai.n
raaste kii tarah dekhataa rah gayaa

jhuuTh vaale kahii.n se kahii.n ba.Dh gaye
aur mai.n thaa ki sach bolataa rah gayaa

aa.Ndhiyo.n ke iraade to achchhe na the
ye diyaa kaise jalataa huaa rah gayaa

kaash ye mukhtasir si mulaqaat hi naa hoti


kaash ye mukhtasir si mulaqaat hi naa hoti
gar na ashna hi rehty, tuo phir ye bat bhi na hoti

jo na dekhty tum mujhko, yoon nazar bacha bacha kar
meri zindagi ab aisy, andhery rat bhi na hoti

mumkin tha bhool jaty soghat yar ki
chahat ki teri us main, mithas gar na hoti

sehra ko chorny ka na kabhi sochta
khamosh teri nazar ki ham pe, barsat gar na hoti

jo hai dil pe aaj guzri, kahoon kaisy
pehly kam theen mushkaleen kia? meri zaat hi na hoti

Ab mien Aksar kuch soochta rehta hon


Ab mien Aksar kuch soochta rehta hon
chalte chalte achaanak theher jata hon

inhi soochon mien meri zindagi guzar gaye
ab mien har waqt maazi ko kosta rehta hon

na jane woh kia lamha tha mien ne zindagi ko kho dia
ab mien moot ki Ahton ko sunta rehta hon

apne kiye pe ab mien buhat pashemaan hon
apne kiye pe ab mien soochta rehta hon

zindagi ke woh nayab lamhey be maqsad guzare
Ab inhi lamhon ko har waqt soochta rehta hon

Aab key Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay


Aab key Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay

Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay

Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay

Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

Koi To Baat Hia Us Main 
 Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay 

Khabhi soocha hai tu nay dil kia kheta hai


Khabhi soocha hai tu nay dil kia kheta hai?
Khabhi socha hai kia hota jab dil tot ta hai?
kitna dard hota hai ...
Jab aapnoo say khauff hota hai ...
Woh manzar bhi kia manzar hota hai ..
Jab tu kareeb rehkar bhi door hota hai ...
Kitna kamzrro vo Shaks hota hai ...
Jo dost he ko dhoka deta hai ...
itna bandnaseeb woh q hota hai ...
Jo majmay main bhi aakela hota hai...
Judaee ka ghum bhi kia ghum hota hai...
Kyioun her koi mujh say sawal karta hai ..
Kyioun mera dil her bar roo deta hai ..
Abb tu Sayia bhi yia he sawal karta hai...
kisay jo itna khush rehta hai...??????

Talouq Toor Mat Dena Kai Mousam Guzar Jaen


Talouq Toor Mat Dena
Kai Mousam Guzar Jaen
Baharen A Kay Kho Jaen
Mera Chehra Bhulla Dena
Meri Yadeen Bacha Lena
Jo Lamhey Dard Detay Hoon Inhaen Beshak Bhula Dena
Jo Lamhey Aas Detay Hoon Inhaen Dil Se Laga Lena
Bohat Majboor Reh Lena Kahin Bhi Door Reh Lena
Mager In Fasloon Ko Tum Bahana Mat Bana Lena
Jo Ghazlen Thin Judai Ki , Inhen Tum Bhool Hi Jana
Jo Tum Pay Mail Ne Likhi Thin , Woh Nazmen Yaad Kar Lena
Kissi Mushkil Main Per Jao Tou Samjhotta Na Kar Lena
MAin Tera Asm_e_Azam Hoon Tou Mera Naam Lay Lena 

Main Yai Kahoon Tumse Mujhe Ek Baat Sunni Hai


"Agar!
Main Yai Kahoon Tumse
Mujhe Ek Baat Sunni Hai
Tumhari Boolti Aankhain
Jo Harr Lamha Ek Hi Baat Kehti Hain
Mujhe Hontoo Se Sunni Hai
Tumhain Maloom Hai Kuch K
Wo Sari Unkahi Baatain Tumhari
Jo Mujh Tak Pohanchne Se Pehle
Hawaoon Main Bikhar Jati Hain
Main Un Ko Samait Kar
Ebarat Banane Ki Saeei Karta Hoon

Sunoo Janah!
Yai Mushkil Hai
Chaloo Mana Yai Mushkil Hai
Magar
Tumhari Wo Awaaz Ki Parchaiyaan
Mujh Se Kuch Kehna Chati Hain
Magar Kuch Keh Nahi Paati
Meri Samaat Main Ghul Kar Wohi Ek Baat Keh Doo Tum
Un Hi Main Se Dhoond Loo Wo Lafz
Tumhari Shabnami Batain Jo Kehti Hai
Mujhe Wo Baat Sunni Hai Tumhari Bolti Aankhain Jo Kehti Hain
Kaho Mujhse Muhabbat Hai
Kaho Mujhse Muhabbat Hai

tanha hon is desht mai sath de koi

tanha hon is desht mai sath de koi
hathon mai de hath aisa ho humsafer koi

mai hon piyasa aur teri ankheen hain jheel
is jheel tek mujh ko pohncha to de koi

nibhaen gai tamam umr ab tere sath
sharth ye hai k na aae dosra koi

mai lekh to lon dil pe woh naam mager
tera naam to mujh ko bata de koi

woh na bhi mila to kiya us ki yadeen to hain
bus in yaadoon ko na mujh se chen paaye koi
 

Kash Mein Teri Ankh Ka Kajal Hota


Kash Mein Teri Ankh Ka Kajal Hota!
Teri Ankh Ki Jheel Ka Sahil Hota
Kash Mein Tere Honton Ki Lali Hota
Kash Mein Tere Kanon Ki Bali Hota
Tere Husn Ka Her Dam Sawali Hota
Kash Mein Teri Payal Ka Ghungru Hota
Her Waqt Tere Kadmon Mein Surkhuru Hota
Kash Mein Tere Hath Ki Lakeer Hota
Teri Kismat Khud Badalta
Kash Mein Tere Kadmon Ki Dhool Hota
Lakh Hatane Se Tere Mein Na Jata
Kash Mein Teri Sanson Ki Mehak Hota
Teri Baton Ki Chehak Hota
Kash Mein Tere Hath Ka Kangana Hota
Bas Her Pal Tujhe Dekhta Rehta
Kash Mein Tera Aaina Hota
Tera Aks Apni Ankhon Mein Utar Leta
Kash Mein Sahil Ki Rait Hota
Tere Kadmon K Parne Ka Intezar Kerta
Kash Mein Tere Labon Ki Muskan Hota
Her Pal Tere Labon Pe Chaya Rehta
Kash Mein Tere Mathey Ki Bindiya Hota
Tere Husn Mein Aur Izafa Kerta
Kash Mein Tera Anchal Hota
Tere Husn KO Sab Ki Nazar Se Bachaye Rekhta
Agar Tere Sath Koi Bhi Mera Bandhan Hota
Mein Her Pal Rab Ka Shuker Ada Kerta

Naya ik rishta paida kyu kerain hum


Naya ik rishta paida kyu kerain hum
bicherna hai tu jhagra kyu kerein hum

khamoshi se ada hu rasm-e-douree
koi hangama berpa kyu kerain hum

yeh kaafee hai k hum dushman nahi hain
wafadaree ka dawa kyu kerein hum

wafa ,ikhlaas ,qurbani ,mohubbat
ab inn lafzoon ka peecha kion kerein hum

hmahri hee tammana kyu kero tum
tumhri hee tammana kyu kerein hum

kia tha ehed jub lamhoon main hum nai
tu saree umer aiyfaa kyu kerein hum

nahi jub duniay ko Jab perwa humari
tu Phir duniya ki perwa Kyon kerein hum

khud hi hojata hai ishq ishq to khud hi hojata hai


khud hi hojata hai ishq
ishq to khud hi hojata hai
dil bi apna kho jata hai
jub aysa hojata hai
tub dil bayqarar hojata hai

q hota hai humko piyar
mujko nahi pata yar
itna zaror pata hai mujko
ik din ye bi hojay ga tumko

aur jub hoga tumko piyar
hawa mayn uro gi tum bi yar
khush raho gi har dam tum
piyar karogi piyar say tum

aaj tumnay jisko daykha hai
shayad wo hi tumhara apna hai
abi chalay ga pata nahi
intazar mayn rayhna har ghari

Ke Aik Bar Phir Mera Dil Apni dharkno Ka


Ke Aik Bar Phir Mera Dil

Apni dharkno Ka Beqaboo Hone Ka Khail

Dekhna Chahta Hai

Ab Laut Aao

Ke Aik Bar Phir Meri Palkien

Tumhari Nazroon Se Ghabra Ker

Jhukna Chahti Hain

Ab Laut Aao

Ke Aik Bar Phir Mera Qadam

Tumhare Qadmon Ke Saath

Unhin Rastoon Per Chalna Chahte Hain

Ab Laut Aao

Ke Aik Bar Phir Mera Wajood

Tumhare Ishq Ki Aag Main

Jalna Chahta Hai

Ab Laut Aao

Ke Aik Bar Phir Meri Zindagi

Tumhari Zindagi Se Jurr Ker

Khud Ko Jeena Chahti Hai...!!!

jub tum chalay jao gay to yaad mujay tum ao gay


jub tum chalay jao gay
to yaad mujay tum ao gay

cheraay per udasi chaahay gi
ankhoon mai ansoo aain gay

gham saray bhool jaoon gi
sirf aik khayaal reh jai ga

tum waapis kub ao gay

aur muj ko kitna terpaoo gay
tum yaad mujai ao gay

hatoon ko jub mein dekhoon gi
to pyar dekhai deh ga

ratoon ko jub mein sooan gi
khaboon mein sirf tum ao gay

mein rohoon gi mar jaoon gi
bus aik khayaal reh jai ga

tum waapis kub ao gay

aur mujh ko kitna terpaoo gay
tum yaad mujay ao gay 

Thora sa Piyar Hoa Tha Kuch Nahin Baqi


Thora sa Piyar Hoa Tha
Kuch Nahin Baqi

Chahaton ka Silla Yeh
Khub Tum Ney Diya Hai

Apni Duniya Basa Li
Hum ko Tanha Kiya Hai

Yeh Bata Dey Hamarey
Piyar Main Kiya Kammi Hai

Meri Palkon Main Dekho
Aaj Kitni Nammi Hai

Jesay Souraj Ho Chupa
Piyar Mera Hai Doba

Reh Gai Hai Tanhai
Kesa Iqrar Tha Tera

Kuch Nahin Baqi
Thora Sa Piyar Hoa Tha

Kuch Nahin Baqi
Kiss Nay Dekha Dard Mera

Meri Halat Hai Jani
Meri Barbadiyon Ki

To Nay Likhi Kahani
Pehlay To Dil Lagaya

Phir Usey Toor Dala
Saath Chaltey Chaltey Kiyoon

Rah Main Chor Dala
Aesi Hai Dil Ki Lagi Jo

Bhujaey Na Bhujey
Tujh Pay Itbaar Kiya Tha

Ab Kuch Nahin Baqi
Thora Sa Piyar Hoa Tha

Kuch Nahin Baqi

Teraa Yoon Sanwar Ke Aana Meray Dil


Teraa Yoon Sanwar Ke Aana Meray Dil
Aur Dhemay Say Muskurana Meray Dil

Meray Jism Say Rooh Ko Khench Leta Hay
Tera Madhoo Aankhoon Say Mujhay Dekhna Meray Dil

Main Uss Aankhoon Ki Tareef Kasay Likhoon
Mudatoon Sochna Paray Gaa Mujhay Meray Dil

Ik Hasrat Thi Uss Ka Hath Choomnay Ki
Kar Dala Uss Batt Ko Bhi Uss Nay Nishana Meray Dil

Main Kaheen Bhi Challa Jaoon Agar
Meray Mahboob Kay Pass Rahna Meray Dil

Popular Posts