Thursday, July 1, 2010

woh raste anjanay se kuch roothay se kuch deewanay se


woh raste anjanay se kuch roothay se kuch deewanay se
hua karte thay paas kabhee tere aashiyane se

peechay murr kar dekhti hoon to aik dhundli see tasweer nazar aatee hai
apna aapko dekhti hoon to aik tooti hui taqdeer nazar aatee hai

jin raston par chaltay thay kabhee.....woh hogayee ab baiganay
tuu na raha reh gaye bus tujhpey likhay huay kuch afsanay

dil mera ab toota sa lagta hai
mausam bhee ab mujhse rootha sa lagta hai

kiyaa karoon agar ab bhee teri yaad aatee hai
jo mujhko aksar rula sa jatee hai

aa aa kar dekh le mere ashqon ko behtey huay
ab to shayad aik muddat see hogayee tujhay kehte huay

ke na baha aansoo yeh hain qeemti motiyon kee larryan
na baha ke chaltee hain dil pey mere yeh churryan

ab kiya kahoon tere janay ke baad dil ka hua hai haal hai
ab to sahr kiya mausam-e-shaam kiya

bus ab to aakhri khwhish hai baaqi
tuu ne jo diya ghum bankay mera sathee

tujhko rulaoon main waisay hee tujhko sataoon main
waqt aagaya ke apne aanswon ka badla chukaoon main

No comments:

Popular Posts