Sunday, July 18, 2010

la phir ik baar wohi bada-o-jaam ay saqi



la phir ik baar wohi bada-o-jaam ay saqi
haath aa jaye mujhe mera maqaam ay saqi

teen so saal se hein hind ke maikhane bund
ab munasib hai tera faiz ho aam ay saqi

meri meenaye ghazal mein thi zara si baqi
shaikh kehta hai ke hai yeh bhi haram ay saqi

sher mardo se howa beshae tehqeeq tahi
reh gaye sufi-o-mulla ke ghulam ay saqi

ishq ki tegh-e-jigardar urali kis ne?
ilm ke haath mein khali hai nayam ay saqi

seena roshan ho to hai soz-o-sukhan ain hayat
hona roshan to sukhan marg-e-dawam ay saqi

tu meri raat ko mehtaab se mehroom na rakh
tere paimane mein hai maahe tamaam ay saqi

la phir ik baar wohi bada-o-jaam ay saqi
haath aa jaye mujhe mera maqaam ay saqi...

Khwab Aankhonse Ab Koi Chura Kar Le Jaye


Khwab Aankhonse Ab Koi Chura Kar Le Jaye,
Qabar Se Sukhe Hue Phool Utha Kar Le Jaye,

Muntazir Phool Mein Khushbu Ki Tarah Hoon Kabse,
Koi Jhonke Ki Tarah Aaye Uda Ke Le Jaye,

Ye Bhi Pani Hai Magar Aankh Ka Aisa Pani,
Jo Hatheli Se Rahi Mehandi Chura Ke Le Jaye,

Main Mohabbat Se Mehekta Hua Khat Hoon Mujhko,
Zindagi Apni Kitabon Mein Chhupa Kar Le Jaye,

Khaak Insaaf Hai Nabeena Buton Ke Aage,
Raat Thali Mein Charagon Ko Saja Kar Le Jaye,

Unse Kehna Ke Main Paidal Nahi Aane Wala,
Koi Baadal Mujhe Kaandhe Pe Bitha Kar Le Jaye...

Koi Nishaani-E-Gham Kar Nahi Jaate


Koi Nishaani-E-Gham Kar Nahi Jaate,
Bagoole Naqsh-E-Qadam Chhod Kar Nahi Jaate,

Kuchh Is Tarah Se Paroyi Gayi Khayalon Mein,
Wo Humko Chhod Dein, Hum Chhod Kar Nahi Jaate,

Hamein Hi Mangte Rehte Hai--Jee Nahi Bharta,
Wo Dil Mein Dard To Kam Chhod Kar Nahi Jaate,

Kabhi To Unko Hamara Khayal Aayega,
Nahi--Wo Aisa Bharam Chhod Kar Nahi Jaate...

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Nagma Bankar


Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar,

Chand Nikla Hai Teri Aankh Ke Aansu Ki Tarah,
Phool Mehke Hai Teri Zulf Ka Saya Bankar,

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Talash Hai,
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Bankar,

Dilke Kagaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah,
Mere Hothon Pe Machalta Hai Tu Nagma Bankar,

Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahi Chehre Ki Chamak,
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Bankar,

Mera Kya Haal Hai Ye Ke Kabhi Dekh To Le,
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Waada Bankar,

Dhoop Mein Kho Gaya Wo Haath Chura Kar Aanchal
Ghair Se Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar,

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Sham Mili Hai Tera Chehra Bankar...

Khizan Ke Mausam Se Gulab Maang Raha Hai



Khizan Ke Mausam Se Gulab Maang Raha Hai,
Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai,

Jaan Mangta To Main Zara Taghaful Na Karta,
Magar Wo Mujhse Mera Khwab Maang Raha Hai,

Ata Kar Ke Mere Zeest Ko Hijr Ki Aziyatein,
Aur Mujhse Visaal-E-Rut Ke Hisab Mang Raha Hai,

Khatayein Karna Hi Raha Mashghala Uska,
Main Kya Dun Sila Use Wo Sawab Mang Raha Hai,

Apni Samajh Mein Uski Guftagu Bhi Nahi Aati,
Aur Wo Ankahe Sawalon Ke Jawab Mang Raha Hai,

Mujhko Apne Wajood Pe Bhi Dastaras Nahi Hasil,
Aur Dil-E-Nadan Hai Mehtaab Mang Raha Hai,

Koi Zindagi Se Ghabra Gaya Is Kadar,
Kashti Ka Musafir Hai Aur Gardaab Mang Raha Hai...

Main Shayad Tumko Yaksar Bhulne Wali Hoon


Main Shayad Tumko Yaksar Bhulne Wali Hoon,
Shayad Jaan-E-Jaan, Shayad,
Ke Ab Tum Mujhko Pehle Se Zyada Yaad Aate Ho,
Har Dil Ghamgeen, Bahut Ghamgeen,
Ke Ab Tum Yaad Dil Dil Darane Aate Ho,
Shamim-E-Door Maanda Ho,
Bahut Ranjeeda Ho Mujhse,
Magar Phir Bhi,
Mishaam-E-Jaan Mein Meri Aashti Mandane Aate Ho,
Judai Mein Bala Ka Iltifaat-E-Mehrmana Hai,
Qayamat Ki Khabar Giri Hai,
Behad Naaz Bardari Ka Alam Hai,
Tumhare Rang Mujhmein Aur Gehre Hote Jaate Hai,
Main Darti Hoon,
Mere Ehsaas Ke Is Khwab Ka Anjam Kya Hoga,
Ye Mere Andaroon-E-Zaat Ke Taraaj Gar,
Jazbon Ke Bairi Wakt Ki Sazish Na Ho Koi,
Tumahre Is Tarah Har Lamha Yaad Aane Se,
Dil Sehma Hua Sa Hai,
To Phir Tum Kam Hi Yaad Aao,
Mata-E-Dil, Mata-E-Jaan Phir Tum Kam Hi Yaad Aao,
Bahut Kuch Beh Gaya Hai Sail-E-Mah-O-Saal Mein Ab Tak,
Sabhi Kuch To Na Beh Jaaye,
Ke Mere Paas Reh Bhi Kya Gaya Hai,
Kuch To Reh Jaaye... 

Ek Muddat Ki Thakaan Hai


Ek Muddat Ki Thakaan Hia,
Aur Zindagi Ke Maathe Par Shikan Hai,
Nazar Mein Taweel Sehra Hai,
Aur Paanv Mein Kaanto Ki Chubhan Hai,
Sochti Hoon To Gumaan Lagta Hai,
Aur Dil Mein Barabar Lagi Lagan Hai,
Neend Kaise Manaun, Palkein Moond Na Paun,
Ye Jo Toote Khwabonki Chubhan Hai,
Ilahi Jo Aankho Mein Thair Gayi Hai Wo Soorat,
Mita Doon Ya Jaga Doon Ye Uljhan Hai,
Kyon Ulajh Rhai Hoon Lehron Se Jab Ke
Jeewan Pyaas Hai Aur Pyaas Jeevan Hai...

Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saweron Ke Ufaq


Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saweron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhein Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
Palkein Khulti Hain To Yun Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatam Hui Ho
Teri Ankhein, Teri Thehri Hui Gamgeen See Ankhein
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Sachhi
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Ye Hayat

Ye Dil Tujhe Itni Shiddat Se Chahta Kyu Hai,


Ye Dil Tujhe Itni Shiddat Se Chahta Kyu Hai,
Har Saans Ke Sath Tera Hi Naam Aata Kyu Hai,

Tu Kitna Bhi Mujhse Talkh E Talluk Rakhle
Zikr Phir Bhi Tera Meri Zaban Pe Aata Kyu Hai

Yuh To Hai Kayi Fasle Tere Mere Bich
Lagta Phir Bhi Tu Mujhko Meri Jaan Sa Kyu Hai

Teri Furkat Main Tadapne Ki Ho Chuki Hai Adat Meri
Tere Dur Hone Ka Phir Bhi Ehsaas Mujko Rulata Kyu Hai

Ye Jaanti Hu Ke Tujhko Nahi Mohabbat Mujhse
Magar Phir Bhi Lab Pe Mere Tera Hi Naam Aata Kyu Hai

Hai Yaqeen Tujhko Paana Na Hoga Mumqeen Mere Liye
Ye Dil Phir Bhi Roz Umeed Ki Shama Jalata Kyu Hai

Mehsoos Ki Hai Berukhi Teri Baato Mein Kayi Baar Maine
Lehja Wo Phir Bhi Tera Mujhko Itna Bhata Kyu Hai

Hai Khabar Mujhko Nikalega Tu Meri Chahat Ka Janaza Ek Din
Mann Mera Phir Bhi Tere Khwab Sajata Kyu Hai

Gar Bichad Na Hi Hai To Khuda Humko Milata Kyu Hai
Is Dil-E-Nadaan Ko Akhir Wo Itna Satata Kyu Hai

Dil Mera Tujhko Itni Shiddat Se Chahta Kyu Hai
Har Saans Ke Sath Tera Hi Naam Aata Kyu Hai...

Yaad Beete Dino Ki Phir Se Aane Lagi



Yaad Beete Dino Ki Phir Se Aane Lagi,
Meri Tanha Raaton Ko Mehkane Lagi,

Kal Tak Dil Mohabbat Se Anjaan Tha,
Aaj Jaana Isse, Aankh Sharmane Lagi,

Dhadkan Thamti Nahi Dekh Loon Jab Use,
Mere Khwabon Mein Surat Wo Samane Lagi,

Jab Mohabbat Na Thi, Dil Tadapta Na Tha,
Aaj Reh Reh Ke Judayi Mujhko Tadpane Lagi,

Jab Mai-Khane Mein Tha, Kabhi Behka Nahi,
Aaj Uski Nazrein Nashili Mujhko Behkane Lagi,

Aaj Bekhabar Hoon Duniya Ki Uljhano Se Main,
Mohabbat Naye Naye Rang Mujhko Dikhane Lagi...

Badi Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai


Badi Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai,
Zara Si Baat Par Toofan Uthana Uski Aadat Hai,

Mohabbat Mein Bhi Wo Taza Ba-Taza Ka Hi Qail Hai,
Poori Chahaton Ko Bhool Jana Uski Aadat Hai,

Zyada Garoor Bhi Achha Nahi Hai Aisi Baaton Par,
Kisika Naam Likh Likh Kar Mitana Uski Aadat Hai,

Lagta Rehta Hai Koi Dilon Mein Aag Si Goya,
Hamesha Lakdiyan Geeli Jalana Uski Aadat Hai,

Mohabbat Mein Wo Sanjeeda Hai Kitna Dekhte Rehna,
Mohabbat Har Kisise Yun Jatana Uski Aadat Hai,

Shikayat Karne Aaye Ho To Itna Zehen Mein Rakhna,
Sabhi Baaton Ko Baaton Mein Udana Uski Aadat Hai...

Teri Aankhon Ke Samundar Mein Doob Jane Ko Dil Karta Hai


Teri Aankhon Ke Samundar Mein
Doob Jane Ko Dil Karta Hai,
Tere Husn Ke Paimane Ko,
Chhalkane Ka Mann Karta Hai,
Tere Pyaar Mein Sabse,
Lad Jaane Ko Dil Karta Hai,
Ke Is Zindagi Mein Na Hogi Tamanna Puri,
Teri Khatir Ek Aur Janam Paane Ko Dil Karta Hai...

Jabse Ehsaas Ke Sholone Bhadakna Sikha,



Jabse Ehsaas Ke Sholone Bhadakna Sikha,
Shama-E-Zeest Ne Har Aan Pighalna Sikha,

Teri Qurbat Ne Jalaye The Jo Is Dil Mein Charag,
Teri Doori Se Charagone Bhadakna Sikha,

Ek Sannata Tha, Weeran Thi Guzargah-E-Hayat,
Jaane Kab Dil Ne Mohabbat Ko Samajhna Sikha,

Aqal Wale Bhi Jahan Thokarein Kha Kha Ke Gire,
Humne Us Raah Se Darasal Sambhalna Sikha,

Dilke Har Baat Nigahon Se Ayaan Hoti Hai,
Ye Nazar Milne Pe Is Dilne Samajhna Sikha,

Saher-E-Ulfat Se Nikal Paya Na Zohra Wo Kabhi,
Jisne Is Raaz-E-Mohabbat Ko Samajhna Sikha...

Chalo Ab Bhi Palat Jayein Ek Aise Waqt Se Pehle


Chalo Ab Bhi Palat Jayein
Ek Aise Waqt Se Pehle
Ke Jab Wapsi Ka Rasta Dushwar Ho Jaye,
Baja Ki Ab Bhi Aise Lautna Aasan Nahi Hai,
Magar Tum Ye Bhi To Dekho,
Safar Behad Kathin Hai Aur Hamare Sath,
Ummidon Ka Saron Ka Koi Saman Nahi Hai,
Duwayein Tumne Bhi Ki Hai, Duwayein Humne Bhi Ki Hai,
Magar Ye Puri Ho Aisa Kio Imkaan Nahi Hai,
Chalo Tum Hausla Pakdo Meri Himmat Bandhao Tum,
Idhar Ko Main Palatti Hoon Udhar Ko Laut Jao Tum,
Mujhe Aise Na Dekho Ye Nazar Na Chaar Ho Jaye,
Kahin Ye Faisla Ye Hausla Bekar Ho Jaye,
Chalo Ab Bhi Palat Jayein,
Ek Aise Waqt Se Pehle,
Ke Jab Wapsi Ka Rasta Dushwar Ho Jaye..

Kabhi Sang-E-Dar Ki Hai Justujoo Kabhi Naqsh-E-Paa Ki Talash Hai


Kabhi Sang-E-Dar Ki Hai Justujoo,
Kabhi Naqsh-E-Paa Ki Talash Hai,
Mera Dil To Hai, Sanam Aashna,
Mujhe Kis Khuda Ki Talash Hai,

Yun Kured Mujhko Na Door Tak,
Abhi Aag Hai, Meri Raakh Mein,
Jahan Khaak-E-Jaan Zara Baith Le,
Mujhe Us Faza Ki Talash Hai,

Kahin Hasraton Ki Hama Hami,
Kahin Khamoshi Ki Hai Daldalein,
Ye Ajab Khudi Ki Hai Khudsari,
Gam-E-Khushnuma Ki Talash Hai,

Kisi Raaste Se Milan Sahi,
Koi Ho Waseela To Karger,
Teri Justuju Hai Talash-E-Haq,
Mujhe Baddua Ki Talash Hai,

Ye Gubar-E-Azmat-E-Karvan,
Yehi Manzilon Ka Nishan Hai,
Kahin Barq Raah Mein Gum Hue,
Kahin Raahnuma Ki Talash Hai...

Ye Raasto Mein Kyon Hai Faasle Kabhi Waqt Mile To Ye Sochna


Ye Raasto Mein Kyon Hai Faasle,
Kabhi Waqt Mile To Ye Sochna,
Ye Dilon Mein Kyon Hai Ranjishein,
Kabhi Waqt Mile To Ye Sochna,
Ye Hum Aur Tum Jo Itne Door Hai,
Kabhi Waqt Mile To Ye Sochna,
Kabhi Mujhe Jo Ho Samajhna,
To Mere Paas Aakar Tum Baithna,
Jo Mujhko Samajhne Mein Ho,
Dar Pesh Masle,
To Mujhko Mujhi Se Puchhna,
Agar Khudko Ho Parakhna,
To Tum Kisike Yaqeen Ko Na Todna,
Agar Khud Ko Ho Samajhna,
To Tum Apni Zindagi Ke Har Baab Ko Kholna,
Agar Kabhi Jo Waqt Mile
To Tum In Saari Baaton Ko Sochna...

Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do


Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do,
Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do,

Apne Aapko Meri Aagosh Mein Karke,
Mujhe Pariyo Ke Des Mein Khone Do,

Apni Chudiyon Ki Khan Khan Se
Mere Kaanon Mein Ras Gholne Do,

Apne Lambe Kaale Baalon Se
Ek Ghata Sawan Hone Do,

Apne Honthon Se Phir Mujhe
Ek Ghunt Jaam Pine Do,

Apni Muskurahat Se Phir Ek Seher Hone Do,
Apne Dilki Dhadkan Ko Aaj Betartib Hone Do,

Aaj Maine Teri Aankhon Mein Phir Dekha Hai Apne Aapko,
Na Band Karna Ye Palkein Kuch Der Ke Liye To Apna Hone Do,

Aaj Mujhe Ek Gunah Karne Do,
Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do...

Khud Ko Mujhse Juda Kiya Usne


Khud Ko Mujhse Juda Kiya Usne,
Jo Na Karna Tha Wo Kiya Usne,

Yaad Karne Se Bhi Na Yaad Aaun,
Aise Mujhko Bhula Diya Usne,

Tum To Bas Waqt Ki Zaroorat Ho,
Mujh Ko Aakhir Bata Diya Usne,

Khud Se Nazrein Nahi Mila Sakta,
Itna Neeche Gira Diya Usne,

Apne Haathon Se Khud Hi Likh De Mujhe,
Jaane Phir Kyon Mita Diya Usne...

Aansoon Se Ab Ye Rishta Ho Gaya Hai


Aansoon Se Ab Ye Rishta Ho Gaya Hai,
Apni Hi Nahi Dusron Ke Dard Par Bhi Beh Jaate Hai,
Jee Rahe Hai Kuch Is Tarah Se,
Har Gam Ko Apna Kiye Jaate Hai...

Zakham Milte Hai Chahat Se,
Suna Karte The Kabhi Hum Bhi,
Aaj Sunanae Wlaon Mein
Khudka Naam Bhi Likhe Jaate Hai,
Muddat Se Tum So Rahe Ho,
Phir Bhi Mere Dilse Bol Rahe Ho,
Mana Laut Kar Aana Hai Mushkil,
Par Tumko Bhool Pana Hai Namumkin...

Kahan Aansuon Ki Ye Saugaat Hogi


Kahan Aansuon Ki Ye Saugaat Hogi,
Naye Log Honge Nayi Baat Hogi,

Main Har Lamha Muskurata Rahunga,
Tumhari Mohabbat Jo Mere Sath Hogi,

Chiragon Ko Aankhon Mein Mehfooz Rakhna,
Badi Door Tak Ye Raat Hi Raat Hogi,

Musafir Hai Hum Bhi Musafir Ho Tum Bhi,
Kisi Mod Par Phir Mulakaat Hogi..

Kaam Aa Saki Na Apni Wafayein To Kya Karein


Kaam Aa Saki Na Apni Wafayein To Kya Karein,
Ek Bewafa Ko Bhul Na Jaayein To Kya Karein,

Mujhko Ye Etaraaf Duwaon Mein Hai Asar,
Jaaye Na Arsh Par Jo Duwayein To Kya Karein,

Ek Din Ki Baat Ho To Use Bhul Jaayein Hum,
Naazil Ho Roz Dil Pe Balaayein To Kya Karein,

Shab Bhar To Unki Yaad Mein Taare Gina Kiye,
Taare Se Din Ko Bhi Nazar Aayein To Kya Karien,

Un Bite Hue Lamho Ki Yaad Mein Roya Kiye Bahut,
Ab Muskura Ke Bhul Na Jayein To Kya Karein,

Ab Jee Mein Hai Ke Unko Bhula Kar Hi Dekh Lein,
Wo Baar Baar Yaad Jo Aayein To Kya Karein,

Tark-E-Wafa Bhi Jurm-E-Mohabbat Sahi Sanam,
Milne Lagein Wafa Ki Sazayein To Kya Karein...

Manzil Na De Charaag Na De Hausla To D


Manzil Na De Charaag Na De Hausla To De,
Tinke Ka Hi Sahi Tu Magar Aasra To De,

Maine Ye Kab Kaha Ke Mere Haq Mein Ho Jawab,
Lekin Khamosh Kyon Hai Tu Koi Faisla To De,

Barso Mein Tere Naam Pe Khata Raha Fareb,
Mere Khuda Kahan Hai Tu Apna Pata To De,

Beshak Mere Naseeb Pe Rakh Apna Ikhtiyaar,
Lekin Mere Naseeb Mein Kya Hai Bata To De...

Maine Kab Dard Ke Zakhmo Se Shikayat Ki Hai


Maine Kab Dard Ke Zakhmo Se Shikayat Ki Hai,
Haan Mera Jurm Hai Ke Maine Mohabbat Ki Hai,

Chalti Phirti Laasho Ko Gila Hai Mujhse,
Shaher Me Rehkar Maine Jeene Ki Hasrat Ki Hai,

Aaj Pehchana Nahi Jaata Chehra Uska,
Ek Umar Mere Dilpe Jisne Hukumat Ki Hai,

Aaj Phir Dekha Hai Use Mehfil Me Patthar Banke,
Maine Aankhon Se Nahi Dilse Bagawat Ki Hai,

Usko Bhool Jaane Ki Galti Bhi Nahi Kar Sakta,
Toot Kar Ki Hai To Sirf Mohabbat Ki Hai...

Humne Pyaar Mein Paya To Kya Paaya,


Humne Pyaar Mein Paya To Kya Paaya,
Kabhi Khud Ro Diye Kabhi Tumko Rulaya,
Halat-E-Gum Mein Beh Gaye Jo Aansun,
Wo Zindagi Mein Phir Kabhi Na Behne Paaya,
Saza Mujhe Mil Aur Saza Unhe Bhi,
Aisa Bhi Kya Insaaf Me Hai Sar Jhukaya,
Himmat Nahi Thi Usme Sath Mera Dene Ki,
Ab Tak Na Jane Wo Kaise Chal Paya...

Tukde Apne Wajood Ke Roz Jodti Hoon Main,
Usne Mere Dilko Aisa Bikhera,
Zulm Par Zulm Karte Rahe Wo Aur
Khamosh Hi Rahe, Kabhi Uff Kar Na Paaye...

Tujh Bin To Meri Zaat Mein Kuch Bhi Na Raha


Tujh Bin To Meri Zaat Mein Kuch Bhi Na Raha,
Kho Ke Tujhe Hayaat Mein Kuch Bhi Na Raha,

Haathon Mein Haath Tham Ke Chalte The Saath Saath,
Bichhde Jo Tum To Haath Mein Kuch Bhi Na Raha,

Raaton Ko Jagti Thi Teri Yaad Mein Kabhi,
Ab Tum Nahi To Raat Mein Kuch Bhi Na Raha,

Kis Kis Ko Ye Kahani Sunaoge Tum Jaanam,
Chhodo Ab Is Baat Mein Kuch Bhi Na Raha...

Mohabbat-e-yaar ki khumaari kam nahi hoti


Mohabbat-e-yaar ki khumaari kam nahi hoTi..
Ashk behTe nahi ab... aankhein nam nahi hoTi..

Paas nahi mere humsafar, mohabbaT kam nahi hoTi..
Kaash aa jaaye Taras aaj khuda ko, ki doori kam nahi hoTi...

Baarish dil jala jaaTi hai, ki boonde kam nahi hoTi..
Dil me baadh aaTi hai magar, aankhein nam nahi hoTi..

Aaine ke saamne bhi, aansoon me sharam nahi hoTi..
Chehra padh lo ab mera, ki aankhein nam nahi hoTi..

Dard-e-dil kisse kahun main, dhadkan kam nahi hoTi...
Ro padTi hai rooh meri, par aankhein nam nahi hoTi..

Dil Pe Kisi Ne Dastak Di Tum Ho Ya Tanhayi Hai



Dil Pe Kisi Ne Dastak Di,
Tum Ho Ya Tanhayi Hai,

Jagte Hai Wo Aankhon Mein,
Jisne Neend Churayi Hai,

Hosh Ude Hai Aaj Hawaon Ke,
Jaane Kiski Khushbu Aayi Hai,

Tumse Milkar Bhi Tumse Doori Hai,
Pyaar Mein Fasla Zaroori Hai,

Chahe Milna Ho Ya Bichhadna Ho,
Ek Kahani Abhi Adhuri Hai...

Gaye Dino Mein Khoobsurat Mijaz Iska Tha


Gaye Dino Mein Khoobsurat Mijaz Iska Tha,
Magar Kuch Aur Hi Andaz Aaj Iska Tha,

Main Kya Bataun Kyon Isne Bewafai Ki,
Magar Yehi Ke Kuch Aisa Mizaj Uska Tha,

Hume Bhi Dukh Hai Aye Dil! Zinda Dil Ke Marne Ka,
Kisike Paas Magar Kab Ilaj Iska Tha,

Tujhe Gila Hai Ke Isne Pher Li Aankhein,
Aye Dil! Ye To Sada Se Riwaj Iska Tha...

Dard Ki Had Se Guzarna To Abhi Baki Hai


Dard Ki Had Se Guzarna To Abhi Baki Hai,
Toot Kar Mera Bikharna To Abhi Baki Hai,

Paas Aake Mera Dukh Dard Bantnewale,
Mujhse Katra Ke Guzarna To Abhi Baki Hai,

Chand Shehron Mein Kahan Dhalti Hai Ehsaas Ki Aag,
Gam Ka Ye Rang Nikharna To Abhi Baki Hai,

Rang-E-Ruswayi Sahi Shaher Ki Diwaron Par,
Naam "Rashid" Ka Ubharna To Abhi Baki Hai,

Kitna Aasan Mohabbat Mein Hai Dhoka Karna


Kitna Aasan Mohabbat Mein Hai Dhoka Karna,
Warna Ye Ishq Faqat Sar Ka Hai Sauda Karna,

Kisko Aata Hai Bhala E'hd-E-Wafa Karna,
Warna Aata Hai Yahan Sabko Hi Dawa Karna,

Tumne Sikhi Hai Kahan Zikr Ye Be-Jaa Karna,
Baaton Baaton Mein Kisi Baat Pe Uljha Karna,

Apne Kehne Ka Bharam Rakh Na Sakoge Tum Bhi,
Phir Kahoge Kabhi Aisa, Kabhi Waisa Karna,

Tum Na Maanoge Kabhi Apni Khatayein Lekin,
Kabhi Fursat Mein Meri Baat Pe Socha Karna,

Jo Hua Mujhpe Ganwara Hai Mujhi Ko Lekin,
Phir Naa Is Tarah Kisi Aur Ko Ruswa Karna,

Chand Lamhon Mein Bikhar Jaat Hai Dilki Duniya,
Umr Lagti Hai Use Jod Ke Yak-Jaa Karna,

Ye Bhi Neki Hai Agar Jaan Lo Sab Se Badh Kar,
Dost Dushman Ke Kisse E'yb Ka Pardaa Karna,

Kaun Sikhlayega Hoti Hai Bhalayi Kaise?
Hai Bura Kaam, Burayi Ka Bhi Charcha Karna,

Tum Na Reh Paoge Insaano Ke Jangal Mein Agar,
Phir Kahin Door Pahadon Pe Basera Karna,

Tum Chale Jao, Palat Kar Nahi Dekhein Tumko,
Shart Ye Ke Khayalon Se Na Guzra Karna,

Doob Jaoge To Saahil Bhi Nai Paaoge Kahin,
Meri Aankhon Ke Samudnar Mein Na Utra Karna,

Ashq Behte Hai To Behne Do Khuda Ke Aage,
Hoon Nadamat Ke, To Sehra Ko Bhi Daryaa Karna,

Thak Gayi Chalte Hue Baad-E-Mukalif
Rukh Hawaon Ka Idhar Bhi Kabhi Moda Karna...

Din Raat Tumhare Liye Humne Aansu Bahaye Par Tum Nahi Aaye



Din Raat Tumhare Liye
Humne Aansu Bahaye
Par Tum Nahi Aaye
Har Pal Humne Ki Haay Haay
Par Tum Nahi Aaye
Baharein Aake Chali Bhi Gayi
Phool Khil Khil Murjhaye
Par Tum Nahi Aye
Kahein Tumhe Dost Ya Dushman,
Kya Kahein Koi To Bataye
Tum Nahi Aaye,
Aaj Ka Din Bhi Guzra
Par Tum Nahi Aaye
Tumhari Yaad Ne Hamein
Sau Sau Aansu Rulaye
Par Tum Nahi Aaye
Aisa Na Ho Ke Main
Yahanse Chala Jaun
Aur Log Kahein
Ke Tum Nahi Aaye???

Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein


Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein,
Phir Khwab Aagar Ho Jao To Kya,

Koi Rang To Do Mere Chehre Ko,
Phir Zakham Agar Mehkao To Kya,

Ek Aaina Tha So Tut Gaya,
Ab Khud Se Agar Sharmao To Kya,

Main Tanha Tha Main Tanha Hoon,
Tum Aao To Kya, Na Aao To Kya,

Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib,
Tum Baad-E-Saba Kehlao To Kya,

Jab Dekhne Wala Koi Nahi,
Bujh Jao To Kya Jal Jao To Kya...

Jab Tera Hukm Mila Tarq Mohabbat Kar Di



Jab Tera Hukm Mila Tarq Mohabbat Kar Di,
Dil Magar Is Pe Wo Darka Ke Qayamat Kar Di,

Tujhse Kis Tarah Main Izhaar-E-Tamanna Karta,
Lafz Soojha To Maani Ne Bagawat Kar Di,

Main To Samjha Tha Ke Laut Aate Hai Jaane Wale,
Tune Jaa Kar To Judayi Meri Kismat Kar Di,

Mujhko Dushman Ke Iradon Pe Bhi Pyaar Ata Hai,
Teri Ulfat Ne Mohabbat Meri Aadat Kar Di,

Puchh Baitha Hoon Main Tujhse Tere Kooche Ka Pata,
Teri Halat Ne Kaisi Teri Soorat Kar Di...

Kya Hua Tere Shaher Mein Raat Bhar



Kya Hua
Tere Shaher Mein
Raat Bhar
Bahut Shor Tha Bada Zikr Tha
Mere Naam Ka!
Tere Shaher Ke Baam-O-Dar Mera Naam Le Kar Pukarte The,
Kahan Hai Tu,
Laut Aa, Laut Aa, Laut Aa,
Ke Teri Zaat Se Wabasta Shakhs Junoon Ki Had Tak Pahuch Gaya,
Tera Naam!
Kaagaz, Darakht, Zameen Par Likhne,
Mein Is Qadar Magan Hai,
Log Kehte Hai Wali Hai,
Koi Na Chhedo Isko
Baddua Di To Kahan Panaah Milegi Tumko!

Ye Kya Kiya
Ye Tumne Khud Se Hi Kya Kiya?
Chale The Mujhko Surkhro Karne
Aur Apna Hi Nishaan Kho Diya
Main Laut Aaunga
Tere Shaher Mein
Simat Lunga Tujhko Chaar Soo,
Bas Is Kadar Bata Mujhe
Aye Sanam,
Kaun Kiska Naseeb Hai
Kaun Kiska Naseeb Hai...

Baithe Hue Dete Hai Wo Daman Se Hawayein


Baithe Hue Dete Hai Wo Daman Se Hawayein,
Allah Kare Hum Na Kabhi Hosh Mein Aaye,

Bekhud Yun Hi Rakhengi Humein Shokh Adayein,
Jab Saamne Ho Aap To Kya Hosh Mein Aaye,

Palla Rahe Dono Ka Mohabbat Mein Barabar,
Utni Hi Wafayein Bhi Ho Jitni Jo Jafayein,

Ho Lutf-E-Inayat Ki Ek Had Bhi Muqarrar,
Rone Lage Koi Na Wo Yahan Tak Hasayein,

Aur Iske Siwa Nooh Ko Aata Nahi Kuch Bhi,
Yaaron Mein Wo Baithe Hue Toofan Uthaye...

Usne Khat Mein Ishq Ka Matlab Puchh Liya


Usne Khat Mein
Ishq Ka Matlab Puchh Liya,
Maine Likha Hai,
Koi Chehra Dhyan Mein Aakar,
Man Aangan Mein Phool Khila De,
Jab Koi Naam Labon Ko Chhu Kar,
Dhadkan Ki Tarteeb Bhula De,
Jab Koi Jazba Kar-E-Junoon Se,
Aatish Ko Gulzaar Bana De,

Lekin Itna Dhyan Mein Rakhna,
Koi Sirat-E-Ishq Se Guzre Tab Khulta Hai,
Ishq Se Phele Ishq Ka Matlab Kab Khulta Hai...

Wo Ek Nazuk Si Ladki Baraf Ke Gale Se Nazuk Tar


Wo Ek Nazuk Si Ladki,
Baraf Ke Gale Se Nazuk Tar,
Hawa Mein Jhulti Sakoon Ki Khushbu,
Uska Lehja Tha,
Chamakte Paniyon Jaisi Subakru,
Uski Baatein Thi,

Wo Udti Titliyon Ke Rang Pehne,
Jab Mujhe Takti,
To Aankhein Meech Leti,

Magar Ab Wo Nahi Hai,
Baraf Ke Gale Bhi Gayab Hai,
Hawa Mein Jhulti Shakhon Mein,
Lehja Hai Na Khushbu Hai,
Chamakte Paniyon Par Tairte Hai,
Khadkhadate Zard Ru Patte,

Wo Udti Titliyan Jinke Paron Par,
Uski Rangat Thi,
Khuda Jaane Kahan Kis Haal Mein Hai,

Main Har Ujde Mausam Mein,
Usko Yaad Karta Hoon,
To Aankhein Meech Leta Hoon...

Bhoolna Itna Aasan Nahi Ke Main Tujhe Bhool Jaun


Bhoolna Itna Aasan Nahi,
Ke Main Tujhe Bhool Jaun,
Maine Usko Ye Samjhaya,
Ke Bhoolna Itna Asan Nahi,
Tu Agar Dilki Dhadkan Hota,
To Mera Dil Dhadkana Bhul Jata,
Tu Agar Saanso Mein Jee Raha Hota,
To Saanso Ki Dor To Hoti Hi Kachhi Hai,
Tu Agar Khayalon Ka Markaz Hota,
To Main Hosh-O-Khird Se Begana Hota,
Magar Afsos,
Tu To Meri Rooh Ka Humzaad Hai,
Us Mein Azal Se Lekar Abad Tak Abaad Hai,
Aur Rooh Kabhi Fanaa Hoti Nahi,
Kabhi Mitii Mein Jaa Kar Soti Nahi,
Kabhi Dilki Tarah Roti Nahi,
Saans Ki Dor Ki Tarah Kachhi Hoti Nahi,
Jab Rooh Se Talluq Toot Sakta Nahi,
Aur Khuda Bhi Usko Bhool Sakta Nahi,
To Aye Qarar-E-Dil,
Aaj Tu Itna Jaan Le Ke,
Bhoolna Itna Aasan To Nahi...

Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi


Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi,
Jaante The Sab Hai Mujhe Pehchanta Koi Nahi,

Hum Ne Khud Se Paida Kiye Hai Zindagi Mein Masle,
Warna Sachi Baat Ye Hai Masla Koi Nahi,

Khudkushi Bhi Jurm Hai Aur Udasi Bhi Mujrim,
Kaun Kis Mushkil Mein Hai Ye Dekhta Koi Nahi,

Saaf Lafzon Mein Hai Ye Ab Mizaj-E-Dosti,
Rabta Hai Shak Hai Sab Se Waasta Koi Nahi...

Main Gaya Tha Uski Gali Mein Kayi Khushiyan Pehen Kar



Main Gaya Tha Uski Gali Mein,
Kayi Khushiyan Pehen Kar,
Wo Jo Thi Bahut Sanasa,
Unhi Khidkiyon Se Ab Ke,
Kisi Ruki Ki Roshni Se,
Na Chirag Koi Larza,
Na Koi Sitara Chamka,
Na Hi Koi Phool Aaya,
Dil Muntazir Ke Jaanib,
Na Uthayi Koi Chilman,
Kisi Dast Par Heena Ne,
Na Saba Ki Raskhoon Se,
Koi Parda Sar Saraya,
Kisi Khwaab Se Ulajh Kar,
Na To Chudiyan Hi Chhanki,
Kisi Aankh Mein Simat Kar,
Na Hi Chand Muskuraya,
Main Gaya Tha Uski Gali Mein,
Kayi Khushbuyein Pehen Kar..

Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Ke Jinke Chalon Pe Hum



Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Jinke Chalon Pe Hum
Apni Kismat Ki Buniyadein Rakhte Hai,
Wo Taare Toot Jaate Hai,
Wo Daaman Chhut Jaate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai
Ke Ye Toote Hue Taare
Phir Se Jagmagate Hai,
Musafir Laut Aate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke WaQt Ke Sagar Se Hum
Yaadon Ke Jo Kuch Anmol Se Moti,
Dilke Dhage Mein Pirote Hai,
Gamse Jalne Lagte Hai,
Phir Bikharne Lagte Hai,
Ke Ye Bikhre Hue Moti
Phir Se Jud Bhi Jaate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Raste Hi Main Kahin Pe,
Manzil Kho Si Jaati Hai,
Kadam Badhate Hi Rehte Hai,
Hum Chalte Hi Rehte Hai
Lekin Fasle Kisi Bhi Tarahse,
Kam Nahi Hote,
Aur Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Hum Khudko Tok Bhi Dein To
Kadmon Ko Rok Bhi Dein To,
Manzar Badalne Lagte Hai,
Yakin Jaano Ye Sab Sach Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Dil Ro Ke Bhi Hasta Hai,
Ke Dil Hans Ke Bhi Rota Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Haan
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai...

Meri Jaan Kisi Din Chupke Se Mere Mann Ki Pyaasi Dharti Par



Meri Jaan Kisi Din Chupke Se,
Mere Mann Ki Pyaasi Dharti Par,
Tum Aa Ke Baras Jao To Kya,
Kuch Aise Achanak Aa Jao,
Dilko Bhi Khabar Na Ho Paye,
Aankhon Mein Baso Tum Kuch Aise,
Ke...
Umr Kate Aur Subah Na Ho,
Sun Sajna! Door Udasi Hai,
Ye Baarish Ka Mausam Sajan,
Mere Dilko Aur Jalata Hai,
Tere Pyar Mujhe Yaad Aata Hai,
Ab Aa Jao Dil Nahi Lagta,
Bin Tere Roop Bhi Nahi Sajta,
Aa Jao Bahut Akele Hai,
Aa Jao Bahut Akele Hai...

Talluq Toot Jaye Ga Mera Saary Zamany Say


Talluq Toot Jaye Ga Mera Saary Zamany Say..!!

Mere Apne Khafa Hoon Gaye Tumhain Apna Bananay Say..!!

Tumhary Sath Rehnay Say Mujhe Tasken Milti Hai..!!

Bohut Takleef Hoti Tumhare Door Jany Say..!!


Mery Ghar Ko Jala Dena Magar Ya Zehen Main Rakhna..!!

Ujala Mil Nhi Sakta Kisi Ka Ghar Jalany Say..!!

Hamari Jaan Jaye Gi Phir Jaan Jao Gey..!!

Dost..!!

Kay Hasil Kuch Nhi Hota Kisi Ko Azmany Say..!!

Tmhara Naam Kaisay Mita Doon Apni Kahani Say..!!

Bohat Gehra Talluq Hai Tera Mere Fasany Say..!!

Mohabbaton Ke Safar Mein Koi Judaiyon Ka Jo Lamha Aaye



Mohabbaton Ke Safar Mein Koi Judaiyon Ka Jo Lamha Aaye,
To Chahaton Ke Safeer Logon,
Bichhadne Walon Ko Rok Lena,
Wo Laakh Tumko Naye Ruton Ke Haseen Lamho Baantein,
Judaiyon Ke Siyah Raston Se Wapsi Ki Sarab Baantein,
To Unki Baaton, Haseen Waadon Ka Dam Na Bharna,
YaQeen Na Karna,
Ke Wapasi Ki Taweel Musafeto Se Palat Ke Aana Bahut
Kathin Hai,
Koi Agar Lutna Chahe,
To Bete Lamho Ki Tez Aandhi Tamam Wado, Wadon Ki Roshni
Chhen Kar Andheron Ko Bantti Hai,
Kisi Ki Aankhon Ke Manzaro Se Wafa Rango Ke Khatam,
Hone Ka Khauf Bhi Dilko Rokta Hai,
Aur Is Tarah Faslon Mein Khoyi Hui Kabhi Bhi Nahi Palte,
Judaiyon Ke Raston Mein Muntazir Log Apne Apne Diye Jalaye,
Bas Ek Raste Ko Dekhte Hai,
Nayi Ruton Ke Haseen Lamhon Ke Khwab Aankhon Mein Tootte Hai,
Bichhadne Wale Judayi Ke Raston Baithe, Bikharte,
Khwabon Ki Kirchiyon Ko Samette Hai,
Bichhadne Walo Agar Na Tum Ko YaQeen Aaye,
To Meri Aankhon Mein Reza Reza Bikharte Khwabon Ko Dekh Lena,
Jinhe Chahun Sametna Bhi To Mere Bas Mein Wo Ab Nahi Hai,
To Roshni Ke Safeer Logon, Bichhadne Walon Ko Rok Lena...

Abhi To Mehwe Rawan Hai Ye Zindagi Ka Safa


Abhi To Mehwe Rawan Hai Ye Zindagi Ka Safar,
Phir Uske Baad Shuru Hoga Roshni Ka Safar,

Mujhe Bhi Khadsha Hai Is Baat Ka Tumhe Bhi Hai Khauf,
Zara Si Baat Pe Toote Na Dosti Ka Safar,

Mera Wajood Meri Aasteen Mein Palta Raha,
Chalo Ke Khatam Karein Ab Ye Dushmani Ka Safar,

Zara Sukoot Hai Aur Phir Sada Ki Bechaini,
Kabhi Ruka Hai Na Rukta Hai Aadmi Ka Safar...

Tanha Hoon Is Dasht Mein Saath De Koi



Tanha Hoon Is Dasht Mein Saath De Koi,
Haathon Mein De Haath Aisa Ho Humsafar Koi,

Main Hoon Pyasa Aur Teri Aankhein Hai Jheel,
Is Jheel Tak Mujhko Pahucha To De Koi,

Nibhayengi Tamam Umar Ab Tere Sath,
Shart Ye Hai Ke Na Aaye Dusra Koi,

Main Likh To Loon Dilpe Wo Naam Magar,
Tera Naam To Mujhko Bata De Koi,

Wo Na Bhi Mila To Kya Uski Yaadein To Hai,
Bas In Yaadon Ko Na Mujhse Chhine Koi...

Shab-E-Gam Ke AshQon Ke Siwa Tere IshQ Ne Mujhe Kya Diya


Shab-E-Gam Ke AshQon Ke Siwa Tere IshQ Ne Mujhe Kya Diya,
Jis Dil Mein Teri Hi Chaah Thi, Usi Dilko Tune Jala Diya,

Tu Jo Dilka Chain-O-Qaraar Tha, Tu Jo Dillagi Ka Khumaar Tha,
Tujhe Dilse Hum Ne Mita Diya, Tujhe Dilse Humne Bhula Diya,

Wo Jo Saath Mere Tha Raat Din, Wo To Sirf Tera Khayal Tha,
Use Zehn-O-Dil Se Nikaal Kar Gaye Maaziyon Mein Chhupa Diya,

Har Ummid WaQt Ki Gard Mein Yun Dabi Ke Phir Na Ubhar Saki,
Jise Gard-E-WaQt Na Chhu Saki Use Aansuone Mita Diya,

Na To Dil Ko IshQ Ka Hai Junoon, Na Nazar Kisi Ki Talash Mein,
Teri Yaad Dil Se Samet Kar Maine AshQ AshQ Baha Diya...

Raat Bheeg Jaata Hai Chaand Bheeg Jaata Hai



Raat Bheeg Jaata Hai,
Chaand Bheeg Jaata Hai,
Jab Bhi Teri Yaadon Ke
Badalon Mein Lipatte Se,
AshQ Behne Lagte Hai,
Aur Dil Sulagte Hai,
WaQt Ki Rawani Mein,
Baadalon Ke Paani Mein,
Raat Bheeg Jaati Hai,
Chaand Bhig Jaata Hai,

Raat Ke Andhere Mein,
Teergi Ke Ghere Mein,
Roshni Bikharti Hai,
Aur Teri Yaadon Ka
Kaarwan Guzarta Hai,
Phool Band Hote Hai,
Aah Si Ubharti Hai,
Ek Ajeeb Si Dil Mein,
Khamoshi Utarti Hai,
Tab Kisiki Aankhon Mein,
Aansuon Ke Paani Mein,
Raat Bheeg Jaati Hai,
Chaand Bheeg Jaata Hai...

Raat AshQon Mein Nihaan Karke Tamannaon Ka Khoon


Raat AshQon Mein Nihaan Karke Tamannaon Ka Khoon,
Jaan Seemab Ki Manind Talatum Paiham,
Dard-E-Betaab Ke Pathar Se Tarashe Hue Honth,
IshQ-E-Pur-Josh Ke Sookha Hua Maflooj Badan,
Chaak Daaman Jo Falak-Rang Kiye Jazba-E-ShauQ,
Hath Phailaye Hue, Aankh Ko Pathraye Hue,
Rooh Khamosh Magar Bismil-O-Fariyaad-Kunaan,
Chhod De Kaash MuQaddar Bhi Adawat Apni,
Kash Ho Jaye YaQeen IshQ Ke Maghroor Gumaan...

Puchhte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai,


Puchhte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai,
Raat Khairat Ki SadQe Ki Seher Hoti Hai,

Saans Bhar Aane Ko Jeena Nahi Kehte Yaa Rab,
Dil Hi Dukhta Hai Na Ab Aasteen Tar Hoti Hai,

Jaise Jaagi Hui Aankhon Mein Chubhein Kanch Ke Khwab,
Raat Is Tara Deewanon Ki Basar Hoti Hai,

Gam Hi Dushman Hai Mera Gam Hi Ko Dil Dhundta Hai,
Ek Lamhe Ki Judayi Bhi Agar Hoti Hai,

Ek Markaz Ki Talash Ek Bhatakti Khushbu,
Kabhi Manzil Kabhi Tamheed-E-Safar Hoti Hai...

Dilki Siyaahiyon Mein Tujhe Dhundta Hua


Dilki Siyaahiyon Mein Tujhe Dhundta Hua,
Palkon Pe Aa Ruka Hai Sitaron Ka Qaafila,

Khalwat Mein Muddaton Main Jise Pujta Raha,
Dekha Qareeb Se To Wo Ek Sang-E-Surkh Tha,

Kuch Is Tarah Sabaa Se Kahi Teri Dastan,
Har Phool Muskura Ke Mujhe Dekhne Laga,

Lao Kahin Se Dhundhke Yaadonki Roshni,
TaareeQ Ho Gaya Hai Mohabbat Ka Raasta,

Haan Meri Zindagi Ki Haraarat Inhi Se Hai,
Tutega Kis Tarah Teri Yaadon Ka Silsila,

Jaise Koi Chirag Andhere Mein Jal Uthe,
Dilke Qareeb Aake Koi Yun Theher Gaya,

Daaman Mein Aansuon Ke Sharare Liye Hue,
Aankhein Mana Rahi Hai Shab-E-Gam Ka Ratjaga,

Jisne Bade Khulus Se Thukra Diya Mujhe,
IQbal Sochta Hoon Ke Wo Shakhs Kaun Tha...

Kaanton Ki Chubhan Paayi Phoolon Ka Maza Bhi


Kaanton Ki Chubhan Paayi Phoolon Ka Maza Bhi,
Dil Dard Ke Mausam Mein Roya Bhi Hansa Bhi,

Aane Ka Sabab Yaad Na Jaane Ki Khabar Hai,
Wo Dil Mein Raha Aur Use Tod Gaya Bhi,

Har Ek Se Manzil Ka Pata Puchh Raha Hai,
Gumraah Mere Sath Hua Rehnuma Bhi,

'Gumnaam' Kabhi Apno Se Jo Gam Hue Haasil,
Kuch Yaad Rahe Un Mein Kuch Bhool Gaya Bhi...

Kya mohabbat ke waade hain, kya wafa ke iraade Hai,


Kya mohabbat ke waade hain, kya wafa ke iraade Hai,
wafa ko daal banakar, bewafa kuch log ban jaate Hai,

kya ishQ mein kasmein Hain, kya pyaar ki baate Hai,
agar ho judayi, wo mulakatein yaadein ban jaate Hai,

unki yaad phir aati hai, bekhudi tadpaati Hai,
tanhayi das leti hai, duniya ujad jaati hai,

sapne toot jaate hain, khwaab bikhar jaate Hai,
jhuthi ummidion mein, hum doob jaate Hai,

ab koi zanjeer nahi, dil mein kisiki tasveer nahi,
ab koi manzil nahi, meri koi taQdeer nahi,

kisiko apne kareeb samajh loon, ye mere naseeb mein nahi,
toota taara hoon, ab mera koi thikana nahi,

kisi yaar ka intezaar nahi, dil mein kisi ka Qaraar nahi,
meri chandni doob gyai, to chandni raaton ka intezaar nahi,

jin aankhon mein khushiyon ki toli thi, ab humne isika noor nahi,
jis dil mein yaadon ki doli thi, use uthane ki ab mujhe zaroorat nahi...

Popular Posts