Sunday, July 18, 2010

Main Shayad Tumko Yaksar Bhulne Wali Hoon


Main Shayad Tumko Yaksar Bhulne Wali Hoon,
Shayad Jaan-E-Jaan, Shayad,
Ke Ab Tum Mujhko Pehle Se Zyada Yaad Aate Ho,
Har Dil Ghamgeen, Bahut Ghamgeen,
Ke Ab Tum Yaad Dil Dil Darane Aate Ho,
Shamim-E-Door Maanda Ho,
Bahut Ranjeeda Ho Mujhse,
Magar Phir Bhi,
Mishaam-E-Jaan Mein Meri Aashti Mandane Aate Ho,
Judai Mein Bala Ka Iltifaat-E-Mehrmana Hai,
Qayamat Ki Khabar Giri Hai,
Behad Naaz Bardari Ka Alam Hai,
Tumhare Rang Mujhmein Aur Gehre Hote Jaate Hai,
Main Darti Hoon,
Mere Ehsaas Ke Is Khwab Ka Anjam Kya Hoga,
Ye Mere Andaroon-E-Zaat Ke Taraaj Gar,
Jazbon Ke Bairi Wakt Ki Sazish Na Ho Koi,
Tumahre Is Tarah Har Lamha Yaad Aane Se,
Dil Sehma Hua Sa Hai,
To Phir Tum Kam Hi Yaad Aao,
Mata-E-Dil, Mata-E-Jaan Phir Tum Kam Hi Yaad Aao,
Bahut Kuch Beh Gaya Hai Sail-E-Mah-O-Saal Mein Ab Tak,
Sabhi Kuch To Na Beh Jaaye,
Ke Mere Paas Reh Bhi Kya Gaya Hai,
Kuch To Reh Jaaye... 

No comments:

Popular Posts