Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Jinke Chalon Pe Hum
Apni Kismat Ki Buniyadein Rakhte Hai,
Wo Taare Toot Jaate Hai,
Wo Daaman Chhut Jaate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai
Ke Ye Toote Hue Taare
Phir Se Jagmagate Hai,
Musafir Laut Aate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke WaQt Ke Sagar Se Hum
Yaadon Ke Jo Kuch Anmol Se Moti,
Dilke Dhage Mein Pirote Hai,
Gamse Jalne Lagte Hai,
Phir Bikharne Lagte Hai,
Ke Ye Bikhre Hue Moti
Phir Se Jud Bhi Jaate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Raste Hi Main Kahin Pe,
Manzil Kho Si Jaati Hai,
Kadam Badhate Hi Rehte Hai,
Hum Chalte Hi Rehte Hai
Lekin Fasle Kisi Bhi Tarahse,
Kam Nahi Hote,
Aur Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Hum Khudko Tok Bhi Dein To
Kadmon Ko Rok Bhi Dein To,
Manzar Badalne Lagte Hai,
Yakin Jaano Ye Sab Sach Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Dil Ro Ke Bhi Hasta Hai,
Ke Dil Hans Ke Bhi Rota Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Haan
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai...
No comments:
Post a Comment