Friday, July 2, 2010

Mohabat main koi sazaa day raha hay


Mohabat main koi sazaa day raha hay
Keh her zakhm-e-dil abb maza day raha hay

Mujhay khatm kernay ki thani hay uss nay
Main khush hoon woh sharf-e-qaza day raha hay

Kater ker meray bal-o-par keh raha tha
Khuli her taraf yeh fizaa day raha hay

Jo maqtal main ham nay jhukaya th sar ko
Woh samjha Adab-e-raza day raha hay

Bharosa hay kaya abb meri zindagi ka
Yeh dil be wafa hay dagha day raha hay

jhalak ik dikha ker barha teer mara
Wafaon ka kaisa sila day raha hay

Hay uss ki inayet nawazish
Keh deedar waqt-e-nazah day raha hay

tujhay daikh ker najanay q rukk sa jata hoon



tujhay daikh ker najanay q rukk sa jata hoon
ho na ho main kuch bathak sa jata hoon

tum pass say guzroo to kae chahatain janam lain
main to querbatoon k is tasavver say kuch mahak sa jata hoon

dhanak ker deti hai samaan teri payal ke ik khanak
main to surelay sazoon pay lahak sa jata hoon

koe bhoola basra panchi bhi meray gher main mager
teri ik aahat par main kuch chehak sa jata hoon

teri ik nazer jo kamal hay main kia kahoon!!
ik baar jeta hoon phir merr sa jata hoon

q karoon wo baat jo sab ko bad-guman karay
sach kahoon to main kuch behak sa jata hoon

Rooh baychain hai ek dil ki azziyat kiya hai



Rooh baychain hai ek dil ki azziyat kiya hai
Dil hi shola hai to phir Soz-e-mohabbat kiya hai

Woh mujhay bhool gayi, iss ki shikayat kiya hai
Ranj to yeh hai keh ro ro kay bhulaya hoga

Jhuk gayee hogi jawan sal umangon ki jabin
Chah gaya hoga dhuwan ghoom gayee hogi zameen

Mit gayee hogi lalek , doob gaya hoga yaqeen
Apnay pehlay hi gharonday ko jo dhaya hoga

Dil ney kuch aisey bhi afsaney sunaye hongey
Ashk aankhon ney piye or na bahaye hongay

Band kamrey mein jo khat merey jalaye hongay
Har taraf mujh ko tarapta huwa paya hoga

Tum ney ghabra key nazar laakh bchayee hogi
Maiz say jab meri tasweer hatayee hogi

Shadiyanon mein meri yaad jo aayee hogi
Sar na kandhay sey sahailee key hataya hoga ..

sab se chupa kar dard jo woh muskura diya


sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya

lehje se uth raha tha har ik dard ka duhan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya

aawaz mein therao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya

jane kya us ko loghon se thi shikayatein
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya

khud bhi voh hum se bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya....

Usne kaha mujh se kitna piyar hai


Usne kaha mujh se kitna piyar hai
Maine kaha sitaron ka koi shumar hai

Usne kaha ke kon tumhe hai bohat aziz?
Maine kaha dil per jjise ikhtiyar hai

Usne kaha ke konsa tohfa tumhain main doon
Maine kaha wo sham jo ab tak udhar hai

Usne kaha khizan main mulaqat ka jawaz?
Main ne kaha qurb ka matlab bahar hai

Usne kaha sennkron gham zindagi main hain
Mai ne kaha gham nahi jab gham gusar hai

Usne kaha saath kahan tak nibhao gai
Maine kaha jitni ye sanson ki taar hai

Usne kaha mujhko yaqeen aaye kistarah
Maine kaha naam mera aitbaar hai.

zindagii main cha jisa zindagii sa badh kar


zindagii main cha jisa zindagii sa badh kar
her pal pooja usa davta sa badh kar
cahat thi woh zindagii ki asi
cahat ki duniya main koi kushboo ho jasa
jisa bhol kar bhi na bhol pao main
yaadon kee asi parchai thi woh
kun dil us ko bhola bhi na payain
kun her pal yaad us kee satayah
jisa main na caha zindagii sa badh kar
woh kun kise kee zindagii kahlaya

is ki hatheli per mere aansoo kitne ache lagte hain


is ki hatheli per mere aansoo
kitne ache lagte hain
jese subha sawere
kanwal ki pankhariyaan
shabnam se jagmag karti hoon
moti jese shabnam
phool ki aankh main jaa kar heere ki kani ban jaati hain
qatra qatra dil katta hai
khooshbo deehre deehre tan main phelti hai
shabnam phool ke rang main aakhir rang jaati hai
nanne nanne chiraagon ki lo barhti hai to
is ka chera phelay se barh kar roshan lagne lagta hai
is ki aankhon main mere aansoo
kitne ache lagte hain

Humayn zindagi mayn kuch mila hi nahi


Humayn zindagi mayn kuch mila hi nahi
Mayray rub mujhay tujh say koi gila hi nahi

Kitni udaas Sham thi wo zindagi ki
Mayn nay dhonda us ko par wo mila hi nahi

Har ghum par bhi chehray par rahti hai maskan
Dil toot kar rolayta hai par chehra ayan hi nahi

maray ahbab kayhtay hayn khusnasib mujh ko
mayra dil ka alam kisi ko pata hi nahi

kitnay khamosh muhabat hai saif tumhari
jis ko chaha us ko pata hi nahi

Pal pal dil ke pass tum rehte ho Jevan methe piyas ye


Pal pal dil ke pass tum rehte ho
Jevan methe piyas ye kehte ho
Har sham aankhon par tera aanchal lerae
Har raat yadon ke barat le aae,
Main sans leta hoon
Tere khoshbo ate ha
Ek mehka mehka sa
Pegham late ha
Meray dil ke dharkan bhi
Teray geet gati ha
pal pal dil ke pass
Kal tujh ko dekha tha
Maine apney aangan main
Jiasey keh rahe thi tum
Mujhy bandh lo bandhan main
Ye kaisa rishta ha
Ye kaisey sapney hain
Beganey ho ke bhi
Kiyon lagty apney hain
Main sooch main rehta hoon
Darr darr ke kehta hoon
pal pal dil ke pass tum rehte ho
Tum soochoge kiyon itna
Main tum se piyar karon
Tum samjhoge dewana
Main bhi eqrar karon
Dewanon ke ye battien
Dewaney jantey hain
Jalney main kia maza ha
Parwaney jantey hain
Tum yonhe jalaty rehna
Aa Aa ke khawabon main
pal pal

Na tera khuda koi aur hai na mera khuda koi aur hai


Na tera khuda koi aur hai
na mera khuda koi aur hai
yeh jo raste hain juda juda yeh moamla koi aur hai
kuon nahin dekhta tu is jahan mein har cheese la mehdood hai
jab uteeh nigah tu jhuk gai yeh moamale kuch aur hai
Allah, Allah, Allah....
yeh pahar darakht aur kinat
sab jhukay howay hain sajood mein
na tu ban saka na tu bana saka aur na phir bhe tujhe se juda howa
yeh sab usee kai hain faislay tu jaan ker bhi anjan hai
Na tera khuda koi aur hai
na mera khuda koi aur hai
yeh jo raste hain juda juda yeh moamla koi aur hai
khun shirk mein hai tu phasa howa kyun noor se tu door hai
Allah, Allah, Alah....
kyun shirk mein hai tu phasa howa kyun noor se tu door hai
kyun ghoomta hai yahan wahan
nahin Ilah koi aur hai
Na tera khuda koi aur hai
na mera khuda koi aur hai
yeh jo raste hain juda juda yeh moamla koi aur hai
jese dhontata hai yahan wahan dil mein tere mojood hai
Allah, Allah, Allah....
jese dhontata hai yahan wahan dil mein tere mojood hai
jest mil gaya eik bar Woh ussi dil mein asr-e-sajood hai
Na tera khuda koi aur hai
na mera khuda koi aur hai
yeh jo raste hain juda juda yeh moamla koi aur hai
jo parha diya insaan ko
Rehman hai Raheem hai
Allah, Allah, Allah....
jo parha diya insaan ko
Rehman hai Raheem hai
jab pas thee tu kitab thee
jo parha diya woh Quran hai
Na tera khuda koi aur hai
na mera khuda koi aur hai
yeh jo raste hain juda juda yeh moamla koi aur hai
phir ibadaton kai hain silsilay
phir qurbaton kai woh dur hain
Allah, Allah, Allah....
phir ibadaton kai hain silsilay
phir qurbaton kai woh dur hain
jo na jhuk saka woh na paa saka
yahi silsila har dur hai
Na tera khuda koi aur hai
na mera khuda koi aur hai
yeh jo raste hain juda juda yeh moamla koi aur hai
tu kuon pojhata hai insaan ko
Allah he tu Mabood hai
Allah, Allah, Alllllah.
tu kuon pojhata hai insaan ko
Allah he tu Mabood hai
phir tu kuon hai gharoor mein
ju na jhuk saka woh firoon hai
Na tera khuda koi aur hai
na mera khuda koi aur hai
yeh jo raste hain juda juda yeh moamla koi aur hai
ek bar tu phir soch lai, ek bar tu phir soch lai
Wohi Rab-e-arsh-e-Karim hai
Allah, Allah, Allah....
ek bar tu phir soch lai
Wohi Rab-e-arsh-e-Karim hai
jo na jhuk saka woh mit gaya
yehi silsala har dor hai
Na tera khuda koi aur hai
na mera khuda koi aur hai
yeh jo raste hain juda juda yeh moamla koi aur hai
Ya Rab Mujhay Tu Baksh dai
Ya Rab Mujhay Tu Baksh dai
Ya Rab Mujhay Tu Baksh dai
Ya Rab Mujhay Tu Baksh dai....
Ya Rab Mujhay Tu Baksh dai
banda tu ghuna gar hai
Allah, Allah, Allah....
Is aas per parah hoon mein
sajda mein Rab-e-Kareem key
jo mein gir gaya tha muqaam
Tu tu Rab-e-Aali Maqam hai
Allah, Allah, Alllllah...

Dil Bahelta hai kaha anjam-o-mehtaab se bhi


Dil Bahelta hai kaha anjam-o-mehtaab se bhi
Ab tho hum log gaay deeda-e-Khowab se bhi

Ro Parha hoon tho koi baath hi esi hogi
Main ke waqif tha tere hijar ki aadab se bhi

Kuch tho os Aankh ka shewa hai khafa ho jana
Aur kuch Bhool howi hai Dil-e-Betaab se bhi

Ae Samandar ki hawa tera karam bhi maloom
Piyaas sahil ki tho bujhti nahi selaab se bhi

Kuch tho ls husan ko jane hai zamana sara
Aur kuch baath chali hai mere Ahbaab se bhi

BAHARON KA YEHI KEHNA MUHABBAT MAR DETI HAI


BAHARON KA YEHI KEHNA MUHABBAT MAR DETI HAI
KAY MUJH SE DUR NA REHNA MUHABBAT MAR DETI HAI

TERI YADOON MAI TERAY KHAT KO PARHNA AUR PHIR KHUD KO
YEHI TU HAI KABHI LIKHNA MUHABBAT MAR DETI HAI

KABHI JAB DIL KAY ZAKHMON KO NEEND AA JAI TU
YEH AA KAY KHUAB MAI KEHNA MUHABBAT MAR DETI HAI

TERAY DILMAI NIBHANAY KA KHAYAL AAIYE KISI PAL TU
MUJHAY BASS ITNA LIKH DENA MUHABBAT MAR DETI HAI

KHIZAOON MAI KABHI PATTO'N KA GIRNA SOOKH KER AUR PHIR
HASSE'N PHOOLON SE YEH KEHNA MUHABBAT MAR DETI HAI

Tota Huva Shesha Phir Jora Nahi Jata


Tota Huva Shesha Phir Jora Nahi Jata
Ankh Say Nikla Huva Anso Phir Wapis Nahi Ata...

Tum Tu Keh Kay Bhool Chokee Ho Sab Kuch
Lakin Mujh Say Wo Pal Bhoolaya Nahi Jata...

Teri Muhobat Nay Zangerain Dali Hein Aysi
Kay Chorana Bhe Chahoon To Choraya Nahi Jata...

Mehfil Main Bhi Mujh Ko Tanhai Nazar Atee Hai
Teray Bin Ya Dil Kahe Or Lagaya Nahi Jata...

Meri Dil Ki Dewaroon Par Sifar Tera He Nam Likha Hai
Mitana Bhi Chahoon To Mitaya Nahi Jata...

Sans Roknay Say Pehlay Aik Jhalak Dikha Jana
Bewafa Zindagi Ka Aitbar Kia Nahi Jata

Meri tasveer mein rang aur kisi ka to nahin


Meri tasveer mein rang aur kisi ka to nahin,
Gher lein mujhko sab aake main tamaashaa to nahin,
...
Zindagi tujhsay har ik saans pe samjhautaa karoon,
Shauq jeenay ka hai mujhko magar itna to nahin,

Rooh ko dard mila dard ko aankhein na mili,
Tujhko mehsoos kiya hai tujhay dekha to nahin,

Sochtay sochtay dil Doobnay lagtaa hai mera,
Zehan ki tah mein 'Muzaffar' koi dariya to nahin......!!!!

ab Namaaz-E-Muhabbat Adaa Kiijiye


ab Namaaz-E-Muhabbat Adaa Kiijiye
Gair Ko Bhii Shariik-E-Duaa Kiijiye

Aankh Vaale Nigaahen Churaate Hain
Aa_Iinaa Kyuun Na Ho Saamanaa Kiijiye

Aankh Men Ashk-E-Gam Aa Bhii Jaayen To Kyaa
Chand Qatre To Hain, Pii Liyaa Kiijiye

Aap Kaa Ghar Sadaa Jagamagaataa Rahe
Raah Men Bhii Diyaa Rakh Diyaa Kiijiye

Zer-E-Paa Hain Samandar Kii Gaharaa_Iiyaan
Ab To Saahil Pe Bhii Tajurbaa Kiijiye

Meri qismat men b aisa koi sajda kr dy,


Meri qismat men b aisa koi sajda kr dy,
Jo mere sary gunahon ka mudawa kr dy

Sari dunya se chhura kr mujy apna kr dy,
Meri mitti ko Khudaya tu ab sona kr dy

Me tera chahny wala hun mgr hy hasrat,
Jin ko tu chahta hy muj ko b wesa kr dy

Ek nzar apny gunahgar py kr k MAULA,
Apni rehmat ka szawar hmesha kr dy

Jis traf chahun faqat tery hi jalwy dekhun,
Shauq.e.ulfat ko mery had se ziyada kr dy

Hum jo toote to is tarah toote jaise hathon se


Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

Hawa mehek uthi rang-e-chaman badalne laga


Hawa mehek uthi rang-e-chaman badalne laga
Woh mere saamne jab pairhan badalne laga

Bahum huye hain to ab guftugu nahi hoti
Bayaan-e-haal mein tarz-e-sukhan badalne laga

Andherey mein bhi mujhe jagmaga gaya hai koi
Bas ik nigaah se rang-e-badan badalne laga

Zara si dair ko barish ruki thi shaakhon per
Mizaaj-e-sosan-o-sar-o-saman badalne laga

Faraz-e-koh pe bijli kuch is tarah chamki
Libaas waadi-o-dasht-o-daman badalne laga

Bhula dete hai wo ham ko ,fakat itne bahane se


Bhula dete hai wo ham ko ,fakat itne bahane se
Ke unke aansu girty hai , hamari yaad aane se

...Ke rota hai dil unka bhi , magar kuch keh nahi pate
Kya hoga hasil , itna dilon ko aazmane se

Ke ham ko ilm na raha , ye aashiqi ka tha jonon
Bhul jate hai sabkuch ham, unki yaad aanay se

Koi kehta hai majnon hamen, koi kehta hai diwana
Bhatak rahe hai ham door apne aashiyane se

Ke main Mandir gaya ,Masjid gaya mangi yehi dua
Mila de ye jahan ham ko kisi bhi bahane se

Ye rahen hai kuch anjani ,ke manzil bhi hai begani
Ke “Rahi “ mit gaya hai apney hi ek fasane se

Ke kaise dikhlaaon tujhe ,aor kis bahane se
Jo rota hai her ek Manzar mere aansu bahane se

ek muddat hui ek zamaana hua Khaak-e-gulshan main


ek muddat hui ek zamaana hua
Khaak-e-gulshan main jab aashiyaana hua
...
zulf-e-barham ki jab se shanaasaee hui
zindagii kaa chalan mujremaanaa hua

phuul jalte rahe chand hansta raha
aarazuu kaa muqammal fasaana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil kaa muflis-kadaa jab Khazaana hua

rehbar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raaste ka nishaana hua

ham jahaan bhi gaye zauq-e-sajdaa liye
har jagah aap ka astaana hua

dekh mizaraab se khuun tapakane lagaa
saaz kaa taar marg-e-taraana hua

pehlay hoti thi koi wafa parvari
ab to Saagar ye qissaa purana hua

Kehtey Hain, Kuch Log Zindagi Mein Aatey Hain Iss Tarah


Kehtey Hain, Kuch Log Zindagi Mein Aatey Hain Iss Tarah
Kab, Kaisey Jigar Jaan Dost Ban Jaatey Hain Kya Pata
Par Mairi Wiraan Zindagi Mein Ye Hota Nahin
...Ke Main Abb Dost Koi Banaata Nahin

Kuch Log Miley Thay Mujhey Bhi Raah-e-Zindagi Mein
Saath Chalein Gey Woh Mairey Aisa Waada Tha Unn Ka
Koi Kisi Ke Liye Yahan Rukta Nahin
Ke Main Abb Dost Koi Banaata Nahin

Har Baar Mujhey Ekk Chott Lagi Hai Kuch Aisey
Ke Tukrrey Huwey Hai Kayi Aitbaar Ke Mairey
Bikhrey Unn Tukrron Ko Main Samet-ta Nahin
Ke Main Abb Dost Koi Banaata Nahin

Mairey Dil Ke Tukrrey To Har Koi Ley Gaya Mujh Say
Badley Mein Bas Ekk Soona Pan Dey Gaya Har Koi
Ke Maira Dil Bhi Abb Mairey Paas Nahin
Ke Main Abb Dost Koi Banaata Nahin …

Yun chalte phirte rahon mein, jab tum humse takraoge


Yun chalte phirte rahon mein,
jab tum humse takraoge,
dil ki baat kahoge per,
Tum humse keh naa paoge,


Rote hue jab dekhoge,
To dil bhi tumhara roega,
Tum apna hath barhaoge,
per ansu puhunch na paoge,


Jab tumse kuch kahunga mein,
to unsuna tum kardoge,
meri baat to sunna chahoge,
per afsos....k sun na paoge,,


jab kaghaz per mad-hoshi se,
tum naam jo mera likhoge,
uss naam ko choona chahoge,
per likh ker tum mitaoge,

jab tere qareeb na honge hum,
chup ke se humein pukaroge,
tum humko dekhna chahoge,
per afsos,,,k dekhna paoge,


koi esa din bhi aega,
k koi humsafar tum paoge,
hum tumko bhul na paenge,
to kia jo tum bhulaoge!!!

Yeh ik piyara sa jo rishta hai Kuch mera hai, Kuch tera hai


Yeh ik piyara sa jo rishta hai
Kuch mera hai, Kuch tera hai
Kahen likha nahin kahen parha nahin
Kahen dekha nahin, kahen suna nahin
Phir bhi jana pehchana hai
Kuch mera hai, Kuch tera hai
Kuch masoom sa, Kuch ulbela
Kuch apna sa, Kuch begana
Kuch chanchal sa, Kuch sharmila
Kuch sukh sa, Kuch sunjeeda
Kuch uljha howa, Kuch suljha suljha
Kuch masti bhara, Kuch khafa khafa
Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai
Kabhi kari dhoop main saya hai
Kabhi andheri raat main jugnu hai
Kabhi bin badal barsaat hai
Kabhi bhatkay howaon ka rah-bar hai
Kabhi rasta hai, Kabhi manzil hai
Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai
Kabhi dhagay say isay bandha nahhin
Kabhi ehad-o-paiya'n main jakra nahin
Kabhi haq bhi to apna jataya nahin
Phir bhi yeh kitna piyara hai
Jisay hum nay sachey moti ki tarhan
Dil ki sipi main qaid kiya
Sab ki nazro'n say dhanp liya
Kabhi maan diya, kabhi aetbar kiya
Sub kuch hi is par var diya
Kuch mera hai Kuch tera hai

kabhi aisa bhi hota hai kabhi miltay hain raahon main


kabhi aisa bhi hota hai
kabhi miltay hain raahon main
...woh saathi chund lamhon kay
basey jatey hain saanson main
bhulana bhi ager chaho
to woh dil say nahi jatey
jinhain hum piyar kertay hain
barey majboor hotay hain
to hum ko chor jatey hain
isay dhoka nahi kehtay
koi shikwa nahi kertay
keh sab majboor hotay hain
dua her pal yeh kertay hain
k phir kisi din safer main
ittafaaqan aa milain hum say

Duniya ko mohabbat se nafrat bahut hai


Duniya ko mohabbat se nafrat bahut hai
phir bhi hame is shai-se shiddat bahut hai
...
raste hai mushkil chalna bhi bahut hai
par kya kare saaye ki jarurat bhi bahut hai

ankho me meri ashkon ke tufaan bahut hai
sagar hai paas mere phir bhi pyas bahut hai

Aadin khidki pe roshan charag bahut hai
phir bhi lagta hai darr ki abhi raat bahut hai

kabhi youn millain koi maslayhat koi khoof dil mein zara na ho


kabhi youn millain koi maslayhat koi khoof dil mein zara na ho
mujhay apni koi khabar na ho, tujhay apna koi patta na ho
...
kabhi dhoop dai, kabhi badliyaan, dil o jaan say dono qabol hain
magar is mehal mein na qaid kar jahaan zindagi ke hawa na ho

woh hazar baghoon ka baagh ho, tairi barkatoon ke bahaar say
jahaan koi shaak hari na ho, jahaan koi phool khilla na ho

tairay ikhtiyaar mein kaya nahi, mujhay iss tarhaan say nawaz dai
youn dua'ain mairi qabool hoon mairay lab pay koi dua na ho

kabhi hum bhi iss kay qareeb thai, dil o jaan say barh kay azeez thai
magar aaj aisay milla hai woh kabhi pehla jaisay milla na ho

mujhey zindagee main qadam qadam teri raza ki talaash hai


mujhey zindagee main qadam qadam
teri raza ki talaash hai

tere ishq main aey mere KHUDA... See More
mujhay intiha ki talaash hai... See More

main gunahoun main houn ghirra houva
main zameen pey houn gira houva

jo mujhay gunahoun sey nijaat dey
mujhay us dua ki talaash hai

main nain jo kea woh boura kea
main nain khud ko khud hee tabah kea

jo TUJHEY pasand ho mere RAB
mujhay us ada ki talaash hai

TERAY der pey hai mera sur jhuka
mujhay aur kuch nahein chahey

mujhay sub sey ker de jo beniaz
mujhay us ana ki talaash hai

Ek rishta jo abhi ban raha tha


Ek rishta jo abhi ban raha tha ,
Tutne laga magar banne se pahle.

...Ek sahare se uthate the ham,
Gir gaye magar sambhalne se pahle.

Sikhane lage the aap se muskurana,
Rula diya magar hasne se pahle.

Kadam jo badhen aap ki disha me,
Ruk gaye wahi chalne se pahle.

Magne ke liye kuchh jo jholi phailai,
Khich liya haath kuchh dene se pahle.

Hamne jo jalaye ummido ke chirag,
Bujh gaye magar jalne se pahle.

Kya yahi arth hota hai rishto ka?
Tutana hota hai inhe banne se pahle

Kabhi jo hum nahi hon gay, Koho kis ko Batao Gay


Kabhi jo hum nahi hon gay, Koho kis ko Batao Gay,
Wo Aapni Uljhanain Sari, Wo Bechaini Main Doobay Pal,

Wo Aankhon main Chuppy Aansu, Kisay Phir Tum Dikhao Gay,
Kabhi jo hum nahi hon gay, Bohot Bechain Ho Gay Tum,

Bohot Tanha Reh Jao Gay, Abhi Bhi Tum Nahi Samjhey,
Hamari An-kahi Batain, Magar Jab yaad Aain Gay,

Bohot Tum ko Rulain Gay, Bohot Choho Gay Phir Bhi Tum,
Hamain Na Dhoond Pao Gay, “KABHI JO HUM NAHI HOONGAY”

parakhna mat parakhne se koi apna nahin rehta


parakhna mat parakhne se koi apna nahin rehta
kisi bhi aaeinay main dair tak chehra nahin rehta

barey logon se milne main hammesha faasla rakhna
jahan deriya samander se mila deriya nahin rehta

hazaron shair mere sou gaye kaaghaz ki qabron main
ajab maan hoon koi bachaa mera zinda nahin rehta

tumhara shehar tou bilkul naye andaaz wala hai
humarey shehar main bhi koi ab hum sa nahin rehta

muhabbat aik khushboo hai hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhayi main bhi tanha nahin rehta

koi baadal harey mausam ka phir ailaan kerta hai
khizaan k baagh main jab aik bhi patta nahin rehta

jaata hoon tere dar se mujhko tum bhula dena


jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena
ho sake to aisa bhi karna
bahut dinon tak ilzaam na dena

thoda pyaar bhi yaad rakhna
thodi muskaane bhi
aye mere haseen dost
mujhko sirf ilzaam na dena

teri yaad pal pal sataayegi
phir zindagi is patte ko udaa le jaayegi
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

kaash kuch din aur hote kismat mein
kaash main adna insaan na hota
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

tera dard ab na baat paoonga
teri kismat phir kahan sanwaar paoonga
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

ho sake to kabhi mujhe maaf kar dena
ho sake to mere liye
apne aansoo khud ponch lena
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

Mana Ke Tere Dil Mein Koi Aur Makeen Hai


Mana Ke Tere Dil Mein Koi Aur Makeen Hai,
Tu Bhi To Mera Ghum Hai Aqeeda Hai Yakeen Hai, 

Main Jabr Ke Sajdon Mein Giron Toot Na Jaun,
Pathar Ke Khudao Meri Sheeshe Ki Jabeen Hai, 

Aayne Tujhe Teri Khabar De Na Sakenge,
Aa Dekh Meri Aankh Mein Tu Kitna Haseen Hai, 

Deewar Mein Chunwa Ke Mujhe Jurm-E-Wafa Par,
Aye Mere Shahenshan Tu Pareshan To Nahi Hai, 

Palkon Se Tarasha Tha Humne Jo Wo Heera
Mat Puchh Ke Wo Kiski Angoothi Ka Nageen Hai...

Na Koi Rang Na Hathoon Pe Hina Mere Baad


Na Koi Rang Na Hathoo(n) Pe Hina Mere Baad~**~
~**~Wo Mukammal He Syaah Posh Hua Mere Baad~**~

~**~Le K Jata Raha Her Shaam Wo Phool Or Chiragh~**~
~**~Bus Yehi Us Ne Kia, Jitna Jiya Mere Baad~**~

~**~Roz Ja Kar Wo Samander K Kinaray Chup Chaap~**~
~**~Nao Kaghaz Ki Bahata He Raha Mere Baad~**~

~**~Us K Hontoo(n) Se Mera Naam Nikal Jata Tha~**~
~**~Jis Ne Apnaya Usey Chor Diya mere Baad~**~

~**~Main Ne Girnay Na Diye They Kabhi Aansu Us Ke~**~
~**~Shayad Es Wastay Woh Ro Na Saqa Mere Baad~**~

~**~Main Bhi Waisa Na Raha Us K Bichar Janay Se~**~
~**~Koi Us Ko Bhi Na Pehchaan Saka Mere Baad~**~

~**~Sari Dunia Ne Usse Maal-e-Ghanimat Samjha~**~
~**~Jo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Hua Mere Baad~**~

~**~Us Ka Hasna Mujhay Bhata Tha So Wo Shaks ~**~
~**~Baal Kholay Huye Hansta He Raha Mere Baad~**~

Jis kaa koi hasil nahi aisa ek khawab dekha tha


Jis kaa koi hasil nahi aisa ek khawab dekha tha
Raat hathoon main apnay ek mahtab dekha tha

Shab bhar khushi say jagee rahi hain aankhain
Aaj pehli bar apnay liyey usay baytaab dekha tha

Aab k bahar main bhi woh zard sa dikhaee diya
Khiza'n rut main b jis chahray ko gulab dekha tha

Jo sab kuch hee baha ker saath lay gia hai maraa
Dil kay darya main aisaa aik sailaab dekha tha

Aaj yoonhi choti see maat pay roya hai dair talk
Ye dil jisay baray baray dukhoon per shadab dekha tha

Dunya poochay taray dil kee busti kia howi Ghazal
Kaha!nahi maloom,ek baar usay zair-e-aab dekha tha....

jurm e ulfat pe hame log saza detae hain


jurm e ulfat pe hame log saza detae hain
kaise nadaan hain sholon ko hava detae hein

hum se deevane kaheen tark e wafa karte hein
jaan jaiy ke rahae baat nibhaa detae hain

takht kya cheez hai aur laal o javahar kya hain
ishq waalae tou khudayee bhi luta detae hain

hum ne dil dey bhi ...diya ehde wafa le bhi lye
aap ab shouq se den len jo saza detae hain

karta use beqarar kuch der hota agar ikhtiyar kuch der


karta use beqarar kuch der
hota agar ikhtiyar kuch der

kya royein fareb-e-aasmaan ko
apna nahin aitbaar kuch der

aankhoN mein kati pahaar si raat
so ja dil-e-beqaraar kuch der

ai shehar-e-tarab ko jaane waloN
karna mira intizaar kuch der

bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der

takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der

ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahaar kuch der

dunyaa to sada rahegi Nasir
ham log hain yaadgaar kuch der

khawab martey nahi hain


khawab martey nahi hain
khawab dil hain na aankhien na saans jo
yeh raiza raiza howe tou bikhar jayien ge
jism ki maut se yeh bhi mer jaien ge
khawab martey nahi
khawab tou roshni hain,na'wa hain,hawa hain
jo kale paharoon se rokhtey nahi
zulm k dozano se bhi pakhtey nahi
roshni aur na'waaur hawa k elm
maqtaloon mein pohanch ker bhi jhoktey nahi
khawab tou harf hain
khawab tou noor hain
khawab saqrat hain
khawab mansoor hain

usay jab yaad aay ga guzray mausam ka har lamha


usay jab yaad aay ga guzray mausam ka har lamha,
to khud hi ro paray ga woh ya khud hi muskurae ga,

usay jab yaad aay ga ke sawan laut aya ha,
bula bheje ga woh mujh ko ya khud hi laut aay ga,

usay jab yaad aay ga ke man kaisay muskurata tha,
to ankhain muskurain gi ya daman bheeg jae ga,

usay jab yaad aaye ga man kaisa...y naam leta tha,
to mera naam likhay ga ya apna bhi mitae ga….

Band kitab main khali auraq rakhta hoon


Band kitab main khali auraq rakhta hoon
Dil ko aainey ki tarah shafaf rakhta hoon

Ik bar ka milna kar deta hia mutaassir
Apni ghufgato main kuch aisa andaaz rakhta hoon

Mujh sai milo to zara fasley sai mila karoo
Main dil main utar janey ka kamal rakhta hoon

Har dukh ko yunhi bant deta hoon lafzoon main
Kuch aisa hee dostana mizaj rakhta hoon ....

Hina ka Rung Hon Main, Hath pe to Aaon ga.


Hina ka Rung Hon Main, Hath pe to Aaon ga.
Uter Gaya to Mehek Apni Chhor Jaon ga.

Ghazal ka Shair Hon, Dil ki Kitaab mein likh lo.
Bhula Diya to Kabhi Yaad Bhi na Aaon ga.

Tera he Ashq-e-Tamana Hon, Rok lo Mujh ko.
Main ek Din Teri Palkon pe Jagmagaon ga.

Khaloos-e-...Dil se Sada di Agar kisi ne Mujhe.
Gayi Bahaar ki Tarah lot Aaon ga.

Dilon ka Dard Agar koi na samjha
Main Pathron k Zamaney Main Lot Jaonga

Kabi Thak k So Gaye Hum, Kabi Raat Bhar Na Soye


Kabi Thak k So Gaye Hum, Kabi Raat Bhar Na Soye,
Kabi Hans k Ghum Chupaya, Kabi Munh Chupa k Roye,

Meri Dastan-e-Hasrat wo Suna Suna k Roye,
Mere Azmany Waley Mujhey Aazma k Roye,

Shab-e-Gham ki Aap Beeti jo Sunayi Anjuman Main,
Kai Sun k Muskraye, Kai Muskura k Roye,

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Be-Kasi hai,
Mera koi bhi Nahi hai jo Galey Laga k Roye,

Mere Paas Se Guzar ker mera Haal Tak na pucha,
Main ye Kese Maan Jaun k Woh Door Jaa k Roye?

hans ke bolaa karo bulaayaa karo


hans ke bolaa karo bulaayaa karo
aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo

muskurahaT hai husn kaa zevar
ruup barhataa hai muskuraayaa karo

had se barh kar hasiin lagate ho
jhuuThii qasmen zaruur khaayaa karo

hukm karanaa bhii ek saKhaavat hai
ham ko Khidamat ko_ii bataayaa karo

baat karanaa bhii baadashaahat hai
baat karanaa na bhuul jaayaa karo

taa ke duniya kii dil_kashii na ghaTe
nit naye pairahan mein aayaa karo

kitane saadaa mizaaj ho tum 'Adam'
us galii mein bahut na jaayaa karo

Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi


Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi…!
”“Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi…!

”“Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par…!
”“Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi…!

”“Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main…!
”“Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.!

Agar Khuda Mile T...o Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga.!
“Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi

Kaheen be-kinaar se rut-jagay, kaheen zar-nigaar se khwaab de


Kaheen be-kinaar se rut-jagay, kaheen zar-nigaar se khwaab de
tera kia asool haii zindagii, mujhe kon is ka jawaab de

ye ko khwahisho`N ka parind haii, isse mosumo`N se gharZ nahii
ye urre ga apnii hii mouj mien isse aab de ke saraab de

jo bicha sako`N tere waaste, jo saja sakien tere raaste
merii dastaras mien sitaray rakh, merii muthiyo`N mein gulaab de

kabhii yun bhii ho tere ru-baru, mae nazaR mila k ye keh sako`N
merii hasrato`N ka shumaar ker, merii khwahisho`N ka hisaab de

Yadon ka ek jhonka aaya ham say milnay barson baad


Yadon ka ek jhonka aaya ham say milnay barson baad
pehlay itna royay na thay jitna royay barson baad

Lamha lamha ghar ujrda hay mushkil say ehsas hoa hay
patthar aay barson pehlay shishay tootay barson baad

Aaj hamari khak pe dunya ronay dhonay bethi hay
phool howay hen janay kesay itnay sastay barson baad

Dastak ki umeed layay kab tak jitay ham
kal ka waada karnay walay milnay aay barson baad

Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain


Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain,
Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain

Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi,
Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain,

Ho na jayai kahin un ka dedar hamain,
Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain,

Na koi dost na sathi jub apnay paas ho,
Aisay main aankh say aansu rawan rakhtay hain,

Yeh dil tou hay nadaan laikin,
Hum bhi umeed per pukhta yaqeen rakhtay hain

Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la day


Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la day
meray bazoo, meri aankhen, mra chehra la day

Aesa darya jo kisi aur sumandar mein giray
is say behtar hay keh mujh ko mra sehra la day

kuch nahin chahyay tujh say aey mri umr e rawan
mra bachpan, mray jugnoo, mri gurdya la day

Jis ki aankhen mujhay andar say bhi pardh sakti hon
koi chehra to mray sheher mein aesa la day

Kashti e jan to bhanwar mein hay kai barson say
aeyKhuda ! ab to dubo day ya kinara la day

ab mohabbat ki wakalat nahi ki ja sakti


ab mohabbat ki wakalat nahi ki ja sakti
shehr bhar se to adawat nahi ki ja sakti

mera chehra meri ankhein hain salamat ab b
kon kehta hay wazahat nahi ki ja sakti???

bat ye hay k koi toot k chahy to sahi
har kisi se to mohabbat nahi ki ja sakti

ankh kehti hay kahein aur chalein jayen hum
dil ye kehta hay k hijrat nahi ki ja sakti

loh-e-dil pe yahi tehreer likhi hay FARAZ
ishq walon ko nasehat nahi ki ja sakti...!!!

wo bulaain toh kia tamasha ho


wo bulaain toh kia tamasha ho
hum na jain toh kia tamasha ho

wo kinaron se khelne wale
doob jain toh kia tamasha ho

banda parwar jo hum pe guzri hai
hum batain toh kia tamasha ho

aaj hum bhi teri wafaon per
muskurain toh kia tamasha ho

teri surat jo itefaq se hum
bhool jain toh kia tamasha ho

waqt k...i chaand saatain sagar
lout aain toh kia tamasha ho ..

Aur Kya Ehd-E-Wafa Hote Hai,


Aur Kya Ehd-E-Wafa Hote Hai,
Log Milte Hai Juda Hote Hai,

Kab Bichhad Jaye Hum Safar Hi To Hai,
Kab Badal Jaye Ek Nazar Hi To Hai,
Jaan-O-Dil Jis Par Fida Hote Hai,
Aur Kya Ahd-E-Wafa Hote Hai,

Baat Nikli Thi Is Zamane Ki,
Jisko Aadat Hai Bhool Jaane Ki,
Aap Kyon Humse Khafa Hote Hai,
Aur Kya Ahd-E-Wafa Hote Hai,

Jab Rulate Hai Jee Bhar Ke Hamein,
Jab Sata Lete Hai Jee Bhar Ke Hamein,
Tab Kahin Khush Wo Zara Hote Hai,
Aur Kya Ahd-E-Wafa Hote Hai...

Chahenge Tumhe Par Kabhi Ruswa Na Karenge


Chahenge Tumhe Par Kabhi Ruswa Na Karenge
Sayon Se Bhi Tere Kabhi Shikwa Na Karenge

Bhoole Se Kabhi Raah Me Mil Jaungi Tujhko
Milne Ko Dubara Kabhi Wada Na Karenge

Poochenge Hawaon Se Ghataon Se Tera Haal
Milne Ke Waste Kabhi Aaya Na Karenge

Jis Peyar Ki Tabir Kiya Karte The Pahle
Us Naam Ko Diwar Par Likha Na Karenge

dekh lo khuaab magar khuaab ka charcha na karo


dekh lo khuaab magar khuaab ka charcha na karo
log jal jayan ge sooraj ki tamanna na karo

waqt ka kaya hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo

kirchiyan tootay hoye aks ki chubh jayan gi
aur kuch roz abhi aiina dekha na karo

ajnabi lagne lage khud tumhain apna wajood
apne din raat ko itna bhi akela na karo

khuaab bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
khuaab dekha na karo khuaab dikhaya na karo

bekhiyali main kabhi ungliyan jal jayain gi
raakh guzre hoye lamhon ki kureedah na karo

See ke lab eik qayamat si uthaa di jaaye


See ke lab eik qayamat si uthaa di jaaye
reh ke khamosh zara dhoom machaa di jaaye

jisko dekho wahi sahraa mein chala aata hai
raastey mein koi deewar uthaa di jaaye

ab to sayaad ko bhee koi sazaa di jaaye
iss kafas hi mein zara aag laga di jaaaye

dil mein kab tak rahe umeed ka veeran mahal
ab to yeh gahen imaarat bhee gira di jaaye

kyaa khabar thii ke main is darjaa badal jaungaa


kyaa khabar thii ke main is darjaa badal jaungaa
Tujh ko kho duungaa tere gam se sambhal jaauungaa

ajanabii ban ke miluungaa main tujhe mahafil mein
tuu ne chhedii bhii to main baat badal jaauungaa

Dhuundh paaye na jahaan yaad bhii terii mujh ko
aise jangal mein kisii roz nikal jaauungaa

zid mein aaye hue maasuum se bachche kii tarah
Khud hii kashtii ko dubone pe machal jaauungaa

hanstey hein log yoon hi hans kar rula jatey hein log


hanstey hein log yoon hi hans kar rula jatey hein log
miltey hien yoon hi mil kar juda ho jatey hein log

par do pal ki mohabat ko umar bahar ka saath na samjo
mohabat bi kartey hein khafa be ho jatey hein log

qaid hein na janey kin kin majbooriyoon ke
kar ke izhaar e mohabat beparwa ho jatey hein log

naseeb mein wo nhin tha jo mujhe mila hi nhin
mohabat ki aar mein chupke se zehar pila detey hein log

ab kiss se karein shikwa apni qismat ka ae dost
kar ke wafa ke wadey bewafa ho jatey hein log!!

Bahwanar hai samundar main Bena samundar kuch nahin


Bahwanar hai samundar main Bena samundar kuch nahin
Yeh zindagi hia tum say es kay sawa yeh zindagi kuch nahin

Har dil main baharoun kay arman hotay hain
Main Musafir houn khazaoun ka es kay sawa yeh zindagi kuch nahin

Kuch ghumoun say aashnai rehi hai es qadar dostoo
Har moor par aik naya ghum mela es kay sawa yeh zindagi kuch nahin

Kesay darya say nekal kar samundar ho jaun
Main ek payasa sahra houn es kay sawa yeh zindagi kuch nahin

Main aksar yeh tanhai main sochta houn !!!
Zindgi hia agar khushoun say hai tu yeh zindagi kuch nahin

Abhi kia kahain abhi kia sunain


Abhi kia kahain abhi kia sunain
Keh sar-e-faseel sakoot-e-jaan
kaff-e-roz-o-shab pai sharar numa
Wo jo harf harf charaagh tha
Ussey kis hawa ney bujha dia
Kabhi labb hilain gey to poochna
Abhi kia kahain abhi kia sunain
Sar-e-sheher ehd-e-visaal-e-dil
Wo jo nikhaton ka hujoom tha
Ussey dast-e-moj-e-faraq ney
Tahh-e-khaak kab sey mila dia
Kabhi gul khilain gey to poochna
Abhi kia kahain abhi kia sunain
Yunhi khuaahishon k fishaar main
Kabhi be sabab kabhi be khalal
Kahan, kon, kis sey bichar gaya
Kisey kab kis ney ganwa diya
Kabhi phir milain gey to poochna

AARZOO NAHI KOI JUSTUJU NAHI KOI


AARZOO NAHI KOI JUSTUJU NAHI KOI
ZINDAGI MAI ABB KISI KI TALAASH NAHI KOI
WO JA CHUKEY HAIN JO PAL THEY SUHANEY
YAAR NAHI KOI INTAZAR NAHI KOI
ZINDAGI MAI ABB KISI KI TALAASH NAHI KOI
DIN HASEEN HON YA HON BHIGI BHIGI RATEYN
KHIZAAN NAHI KOI BAHAAR NAHI KOI
ZINDAGI MAI ABB KISI KI TALAASH NAHI KOI
ABB SOCHTA HOON YE KEH BEWAFAI KON KAREY
HAMSAFAR NAHI KOI HAMRAAZ NAHI KOI
ZINDAGI MAI ABB KISI KI TALAASH NAHI KOI
KHUD AHTASAAB KER ISS ZINDAGANI MAI
SAWAAL NAHI KOI JAWAAB NAHI KOI
ZINDAGI MAI ABB KISI KI TALAASH NAHI KOI
ZINDAGI JIS RAAH PER LEY CHALEY HAM CHALEY
MANZIL KA FARHAN NISHAAN NAHI KOI
AARZOO NAHI KOI JUSTUJU NAHI KOI
ZINDAGI MAI ABB KISI KI TALAASH NAHI KOI

Maloom na tha hum ko sataye ga bohat wo


Maloom na tha hum ko sataye ga bohat wo
Bichray ga to phir yaad bhi aaye ga bohat wo

ab jis ki rafaqat main bohat khanda ba lab hain
iss baar milay ga to rulaye ga bohat wo

chor aaye ga tabeer k sehra main akela
har chand hamain khawab dikhaye ga bohat wo

wo mauj e hawa bhi hai zara soch k milna
umeed ki shamain to jalaye ga bohat wo

honton se na bolay ga per ankhon ki zabani
afsanay judai k sunaye ga bohat wo

Mohabbat aag hai to phir meri rug rug mien bharki hai


Mohabbat aag hai to phir
meri rug rug mien bharki hai
meri ankhein hain ek shoula,meri saansien hain ek agan
a'laoo teri yaadoon ka mere dil mien kaheen roshan;
mujhe abh fiker hai koi na he gharz hai iss se
ke teri yaad mein shab bhar
wafa ka naam lay lay kar
kaheen hum khud jaltay hian ya ke deep jaltay hain!!!


Mohabbat yaad hai to phir
mere dil mien hai yun raksaaN
ke hum ko fiker hai koi, na he hosh hai baki
faqt ek yaad hai baki
jo dil ki baanjh dharti per, ashkoon sang bars jaye
to phir barsat ki lye mein
kaheen ek phool khilta hai
hum us phool ki khushbu tumharay naaam kartay hain
tumhari yaad mein aksar subah se shaam kartay hain!!

Mohabbat gar hai samandar
to phir__ meri wafaoon ke
sabhi ghohr o sadaf us ki, ghahrayi mien bastay hain
ke mere dil mein phala hai
ajb chahat ka ye sagar
haan jiski akhri hadd se
sabhi thahray se jazboon ko
yun humkinaar karna hai
mila kar ankh ka dariya__iss behr e kinaar ko
be_kinaar karna hai!!!

Mohabbat dasht hai koi
to phir__pairoon mein abh mere
nahi hai larzishien baki
mere pairoon se uljhay hain
jo ye rastay sab he,
mujhe tere janoon o shouq mein
__ek safar la_haq hai
ke jis ke mor per akhir_ mujhe bhatak he jana hai
aur yun hum ek tasalsul se
teri janib rawaN iss ek
musalsal he safar ki bas
ghubaar o gard he thahray
ke hum se khaaksaar to...
'sahra nord' he thahray


Mohabbat gar koi khushbu
to phir...hum sir-khushi ke ek
numayaN dairay mien hain
ke jkis ke ird gird pheli ye tere lams ki mahkaar
meri saanson mein shamil hai,
mere dil se nigahon tak
kaee aarasta rastay
teri he simt atay hain
suhanay geet gaatay hain,
mujhe teri chahat mien
yun in ka sath hasil hai
ke mujh per abh nahai zahir
manzil hai meri "khushbu"
ke khusbu "manzil" hai!!!


Mohabbat khwab hai koi
to phir khwabeeda ye ankhien
kaee neendon ke ek ghahray hisaar e sehr mien hain qaid
meri palkon pe hain bethay kaee he an ginat sapnay
ke jin ki manzilon ke abh
ameen tumhe to ho thahray
humari khwab nagri ke
makeeN tumhe to ho thahray,
so iss ahd e Mohabbat mien
nahi abh dar koi la_haq
muqabil andhioon ke in
roshan sab charagon ki__ abh tabeer ho jesi!!


Mohabbat gar fasana hai
to phir... inkaar hai hum ko
ke meri ankh mein roshan,tumharay naam ke jugnu
mere dil mien darkhshaN sab tumhari yaad ke pehlu
meri sochon pe haavi wo tumhari qurb ki khushbu
mere jazboon ki sachayi, wafaoon ke rang o lahoo
koi farzi kahani hain
na he afsana koi
mohabbat aieena sorat
ke jis mien sabat hu_ba_hu, ek aks e haqeeqat hai
Mohabbat to Mohabbat hai!
kabhi dasht o samandar hai kabhi aag ki sorat
kabhi yaadon ki khusbu kabhi khwab ki sorat
magar abh ras hai hum ko
mohabbat ke sabhi mousam, mohabbat ki her ek sorat
ke sab mansoob hain tujh se
mohabbat ke haseen rastay
mohabbat ke sabhi dariya...
teri janib rawaaN hain...yun
ke chahat ke sabhi mousam
kisi ek khaas nuktay per___
khud mein gum hojayien
sarapa tum hojayien!!
Mohabbat tum he thahray,
mohabbat gar tumhi thahray
to phir raahon mein haail in
bichraay sab he barsoon ki
qasm hai mere jazboon ko
ke wo tajdeed kar daalien, faqt itna he kah daalien
"ke kal bhi dast e ulfat ko ek matloob tum he thay
abh bhi mere lafzoon se bas maqsood tum he ho:
kal bhi tum se thi poori
meri be_hadd adhoori zaat
abh bhi mere jeewan ki
bas ek he zaroorat hai
humhien iqraar tha kal bhi
humhien iqraar hai abh bhi
humhien tum se mohabbat thi
humhien tum se mohabbat hai!!!"

Ya Rab ghum-e hijran mein itna to kya hota


Ya Rab ghum-e hijran mein itna to kya hota
jo dast jigar pay hay woh dast-e dua hota

ghairon say kaha tum nay, ghairon say suna tum nay
kuch hum say kaha hota, kuch hum say suna hota

ik ishq ka ghum afat, aur uss ppay yeh dill afat
ya ghum na diya hota, ya dill na diya hota

nakam tamanna dil, is soch mein rehta hay
youn hota to kya hota, youn hota to kya hota

bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane mein


bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane mein
ki teraa zikr bhii aayegaa is fasaane mein

baras parii thii jo ruKh se naqaab uThaane mein
vo chaandanii hai abhii tak mere Gariib-Khaane mein

isii mein ishq kii qismat badal bhii sakatii thii
jo vaqt biit gayaa mujh ko aazamaane mein

ye kah ke TuuT paraa shaaKh-e-gul se aaKhirii phuul
ab aur der hai kitanii bahaar aane mein

Udaas shaamain, ujaarh rastey kabhi bulayain tou laut aana


Udaas shaamain, ujaarh rastey kabhi bulayain tou laut aana
kisi ki aankhoun main ratjagoun k azaab aayain tou laut aana

abhi nayi waadiyoun main, nayey manzaroun main reh lo magar meri jaan
yeh saarey ik ik kar k jub tum ko chorh jaayain tou laut aana

main rouz yoonhi hawa pay likh likh kar uski jaanib yeh bhaijta hoon
k achey mausam agar pahaarhoun pay muskuraayain tou laut aana

agar andhairoun main chorh kar tum ko bhool jayain tumhaarey saathi
or apni khaatir hee apney diyey jalaayain tou laut aana

meri woh baatain jin pay bey ikhtiyaar hunsta tha khilkhila kar
bicharhney waaley meri woh baatain kabhi rulaayain tou laut aana !!

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena


Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena

Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena

Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena

Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena

Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj b Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

Hamari soch ki parvaaz ko rokay nah koi


Hamari soch ki parvaaz ko rokay nah koi
naey iflak pay pehray bitha kar kuch nahin milta

koi aik adh sapna ho tu phir acha bhi lagta hay
hazaron khawab ankhon mein saja kar kuch nahin milta

sukoon un ko nahin milta kabhi pardes ga kar bhi
jinhein apnay watan say dil laga kar kuch nahin milta

usay kehna kay palkon par na tankay khwab ki jhalar
samandar kay kinaray ghar bana kar kuch nahin milta

Ek ehsas sa jagta hai halka sa nasha cha jaata hai


Ek ehsas sa jagta hai
halka sa nasha cha jaata hai
meetha meetha sa gam leke
jeene ka maza aa jata hai

saamne hon jab wo
deedar bas hota hai
kuch suna jaata hai
na kuch kaha jaata hai

yaadein aati hain
madhosh kar jaati hain
aansuon ke saath phir
hosh aa jaata hai

aarzoo hai mere dil ki
chahoon main tumko har pal
kuch der mein hi zamana
dushman sa nazar aata hai

yaad hai ye uski
jo dil pe chayee hui hai
koi toofan nahin
jo aake guzar jaata hai

Har qadam tumhara manzil ki taraf uthay


Har qadam tumhara manzil ki taraf uthay
Aakash kay sitaro ko choo lo tum
Khushiyan har dam tumhari raha takay
Jugnuoo ki tarah jhilmilaoo tum

Kaash kay aisa ho jaye!
Kisi qadam par mehsoos na ho kami meri
Kisi maqam per mujh ko yaad na karo tum
Khushiyo may aisay apni magan raho
Kabhi mazi kay warq na palto tum

Magar yeh bhi yaad rakhna!
Agar kisi manzil per pahaunch kar koi dard mil jaye
Aankh tumhari jo kabhi pur nam ho jaye
Kabhi kisi apnay ki kami mehsoos karo to
To tum mujhay pukar laina
Aur agar yeh bhi na kar pao to!
Dil ko apnay simayt laina
Aur bas yaad mujhay tum kar laina
Aankho kay duwaro ko band kar laina
Mehsoos mujhay tum kar laina

Aur phir yun karna kay!
Saray raaz apnay dil kay
Tum mujh say keh laina
Saray dard apnay dil kay
Tum mujh say baant laina

Bas meri ek aakhri khuwaish yaad rakhna!
Jab meri hayat ka safar tamam honay lagay
Meray qadam meri akhri manzil ki taraf rawan honay lagay
Mujhay lahayd tak lay janay walay chaar apnay kandho may
Ek kanhdha tumhara bhi ho!..

dil hi kafi hai fakat haal pe rone ke liye


dil hi kafi hai fakat haal pe rone ke liye
aankh ko chhod do neend-bhar sone ke liye


tera saath mujhe deta khushiyan zamane bhar ki
or tera jana kafi hai mujhe rulane ke liye


main hansti hun gam-a dur main bhi
dil ka daria hai gam chupane ke liye


lut gaya dil ka mere sara sukun
kuch nahi pass mere ab khone ke liye


ek shana na mila dhoonde se
pal do pal chein se sone ke liye


teer si baat ayee or gyee bhi ho gyee
rehe gaya dard palkein bhigone ke liye


daro-deewar hi phir se sahara deinge
jab bhi khwahish hui rone ke liye


haas-parihaas taane-ulhane ya dard hi
hum hain haazir tera samaan dhone ke liye


jis mein sirf main or meri tanhai ho
muntezir hun aese kisi khone ke liye

Koe Shikwa Na Gila, Koe Arzoo Na Koe Gham Hey


Koe Shikwa Na Gila, Koe Arzoo Na Koe Gham Hey
Na-Janey Dil Kyun Be-qarar Or AAnkh Pur-Numm Hey

Zindagi Bher Tujhey CHahnain ka Khawab Daikha hey
Fakkat ik Zindagi k Bicher Janain ka Ghum hey

Sochta Hoon Kyun Dil Lagata Hoon Iss Dunya main
Yeh DilKash-0-Haseen Bohet Mager Ba-Wafa Kam hey

Poocha Sabab Be-qarari ka to aye ik Sada
Aey Bandey tera Khuda say Melan Bohet Kam hey

Chehrey pe banaawat ka Ghussa


Chehrey pe banaawat ka Ghussa
Aankhon se chhalakta pyaar bhi hai
Iss shauq-e-ada ko kiya kahiyey
Inkaar bhi hai Iqraar bhi hai

Hum na hongey tou kaho kaun manaaey ga Tumhein?
Yeh buri baat hai........ hur baat pe rootha na Karo

Aap burhum hi sahi, Baat tou kar lein Hum sey
Kuch na kehney sey Mohabbat ka gumaa'n hota hai

Ghussey mein jo nikhra hai Uss Husn ka kya kehna
Kuch dair abhi Hum sey, Tum yoonhi khafa rehna

Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main


Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main
Teray masoom sawalon say pareshan hoon main
Jeenay k liye soch he nahi, dard sambhalnay hoan gain
Muskuraein tou muskuranay k karz utaarnay hoon gay
Muskuraon kabhi to lagta hai
Jaisay honton pay karz rakha hai
Tujh sa...y naraz nahi zindagi, Hairan hoon main

Aaj agar bhar aaie hai boondain baras jayen gee
Kal kiya pata inn k liye aankhain taras jayen gee
Janay kahan ghum hua
Aik ansoo chupa k rakha thaa
Tujh say naraz nahi zindagi , hairan hoon main

Zindagi teray ghum nay humain rishtay naye samjhye
Milay jo humain dhoop main milay, chaoon k thanday saye
Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main
Teray masoon sawaloon say pareshan hoon main

Kahein khushk patay Fizaa lay urhay gi


Kahein khushk patay Fizaa lay urhay gi
Kahein zinagi ko qazaa lay urhay gi

Darkhton say bichrhay hooay zard patay
Hawa jab chali to hawa lay urhay gi

Hamaaray muqader ki do chaar khushiyan
Kisi Ghair ki badd doo'aa lay urhay gi

Jawaani ki aankhon ka kajraaya kaajal
Zamaany ki tehrhi nigaah lay urhay gi

Woh ishq-o-mohabat wafaon kay waa'day
Kisi sangdil ki jafaa lay urhay gi

Mohabat ka jaaga sa dil main tasawar
Kisi khoobroo ki adda lay urhay gi

Labon ki woh surkhi woh galon ka ghaza
Khulay aam shar-o-haya lay urhay gi

Bharosaa hay Almas kiya zindagi ka
Jisay maot day ker dagha lay urhay gi

Mohabat main koi sazaa day raha hay


Mohabat main koi sazaa day raha hay
Keh her zakhm-e-dil abb maza day raha hay

Mujhay khatm kernay ki thani hay uss nay
Main khush hoon woh sharf-e-qaza day raha hay

Kater ker meray bal-o-par keh raha tha
Khuli her taraf yeh fizaa day raha hay

Jo maqtal main ham nay jhukaya th sar ko
Woh samjha Adab-e-raza day raha hay

Bharosa hay kaya abb meri zindagi ka
Yeh dil be wafa hay dagha day raha hay

jhalak ik dikha ker barha teer mara
Wafaon ka kaisa sila day raha hay

Hay Almas uss ki inayet nawazish
Keh deedar waqt-e-nazah day raha hay

Kaun Kaheta Hai Woh Mere Bagair Tanha Hoga


Kaun Kaheta Hai Woh Mere Bagair Tanha Hoga
Woh Ek Chirag Hai Kahi Aur Jalta Hoga 

Yeh To Hum Hai Ek Saakin si Jheel
Woh To Bikhta Huwa Ek Dariya Hoga 

Woh To Rehta Hai Mohabbaton Ke Desh Mein
Usse Kya Khabar Koi Usko Sochta Hoga 

Woh Mere Dard Se Be-Khabar Nahi Tha Magar
Usse Dukh Baatne Ka Na Saleeqa Hoga 

Itna Naadan Nahi Ki Samajh Bhi Na Sake
Usi Ka Rzakarar Meri Har Ghazal Mei Huwa Hoga 

Banaya Gaya Tha Hume Khulus Ki Mitti Se
Hume Khabar Na Thi Woh Bad-Gumaan Hoga 

Maine Usse Chaha Tau Chahata Hi Gaya
Meri Shiddato Se Ghabra Kar Woh Chal Diya Hoga

BeBas Ho Kar Dil k Hathoon Main Ne Socha


BeBas Ho Kar Dil k Hathoon
Main Ne Socha
Aaj Main Uss ko Phone Karoon Ga
Aur Kahoon Ga
Main Ne Tum Ko Laakh Bhulaya
Loh-e-Dil Se Naam Tumhara Laakh Mitaya
Lekin Jaana!Sach Poocho To
Dil k Hathoon Haar Gaya Main
Aao Ab Ki Baar Milain To,Mar Kar Bichrein
Number Uss Ka Dial Kar k
Uss k Naram Lehjay Ki,HELLO,Sun Kar b
Chup Nahi Tooti
Dharak Dharak k Dil b Machla
Kuch To Bolo.....Lab To Kholo
Lekin Aaj Reciever Rakh Kar,Kuch b Na Keh Kar
Apnay Dil Se
Bil Aakhir Main JEET Gaya Hoon...!!!

Aaye Tum Yaad Muje Gaane Lagi Har Dhadkan


Aaye Tum Yaad Muje Gaane Lagi Har Dhadkan
Khushbu Laayi Pawan, Mahekaya Chandan

Jis Pal Naino Mei Sapna Tera Aaye
Us Pal Mausam Par Mehndi Rach Jaaye
Aur Tu Ban Jaaye, Jaise Dulhan
Aaye Tum Yaad Muje

Jab Mai Raaton Ko Taare Ginta Hu
Aur Tere Kadmon Ki Aahat Sunta Hu
Lage Muje Har Tara, Tera Darpan
Aaye Tum Yaad Muje...

Har Pal Man Mera Mujse Kahta Hai
Jiski Dhun Mei Tu Khoya Rehta Hai
Bhar De Phoolo Se, Uska Daaman

Sari Duniyaan Main faqt Tujh Se muhabbat Ki Hai


Sari Duniyaan Main faqt Tujh Se muhabbat Ki Hai,
tu Kisii Aur ki Ho Jaye Yeh Mumkin Nahi....

Zindagi Kay sabhe Yaadein hain Tujh Say Wabasta,
Tu Meri Yaad Say Gafel Ho Ja yeh Mumkin Nahi...

Main Jo Raaton Ko Jagta Hoon teri Chahat Main,
Tu Jo So Jaye Sukoon say yeh Mumkin Nahi.....

Naam Tera Aye Ga Meray Naam Se Hemesha,
Toh Kissi Aur Ki Khalaye Yeh Mumkin Nahi...

Aankhon se meri is liye laali nahi jati


Aankhon se meri is liye laali nahi jati
Yadon se koi raat jo khaali nahi jati

Ab umr na mosam na wo rustay keh wo pultay
Is dil ki mager khaam khayali nahi jati

Mangay ager tu jaan bhi tow huss ke tujhe de dein
Teri to koi baat bhi taali nahi jaati

Aaye koi aaker ye tere dard sambhalay
Hum se to ye jaageer sambhali nahi jaati

Maloom hamain bhi hain bohut se teray qissay
Per baat teri hum se uchali nahi jaati

Humrah teray phool khilati thi jo dil mey
Ab shaam wohi dard se khaali nahi jaati

Hum jaan se jayein gay tabhi baat banay gi
Tum se to koi rah nikali nahi jaati

Tumhari yaad ka mousam!


jo her ik dukh say gehra hay
na jaanay kitni mudaat hay humaray dil mein tehra hay
mager tum nay nahi jana...mager tum nay nahi socha

Tumharay piyaar ka mousam!

jo ik mousam say piyara tha
meray bay kraaaan lamhoon ka ik wahid sahara tha
mager tum nay nahi samjha...mager tum nay nahi socha

Tumharay baad ka mousam!

ik kaali ghaat jaysa
naa jeeti hoi aur na haari hoi ik maat jaysa
mager tum nay nahi samjha...mager tum nay nahi socha

Main jeet kar hara wo haar kar bi jeet gaia


Main jeet kar hara wo haar kar bi jeet gaia
wo mere dill or damag par chah gaia
muje naaz tha bohat khud par
wo mere garoor ko khak main mila gaia
marte rahe husan wale aaj tak muj par
wo muje apna deewan bana gaia
mohabat karna muje kaha aata tha
wo muje muhabat karna sehkha gaia
zinda rehne ki kab talab thee baki
wo zinda rehna sehkha gaia
main andehrooin main bhatakta raha
wo meri zindagi main shamah jala gaia
dokooin bhari dastan thi meri
wo meri jholi main khushian dall gaia
meri her gazal us ke naam hai wo muje or
mere kalum ko nai zaban sehkha gaia

Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga


Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga

Yeh Woh Busti Hai Jo Busti Hai Aujarnay Kay Lia
Ghar Kaheen Aur Hamay Ja Kar Basana Ho Ga

Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga

Dil Banay Asa Kay Ham Shooq Say Jain Warna
Dil Na Chahay Ga Magar Jaan Say Jana Ho Ga

Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga

Band Hootay Hi Khulain Gi Hamari Ankhain
Ranj-o-Hasrat Ka In Ankhoon Main Fasana Ho Ga

Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga

Dil Ujarnay Say Bachana Hai To Laila Kay Bajayeh
Apnay Dil Ko Ghamay Maula Say Sajana Ho Ga

Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga

Ba Khuda Gar Hamay Pana Hai Khuda Ko
Ba Khuda Tak Hamaray Har Haal Main Jana Ho Ga

Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga

tera dard tha teri ass thi


tera dard tha...teri ass thi..........
mein jidher gyaa mein jahan gyaa..........
mera din tu unhi guzar gyaa..........
junhi sham hoi mein bikhar gyaa.........
is abr ka mery yar sy.........
kitna milta julta mizaj tha.......
kabhi toot kar bikhar gyaa........
kabhi be rukhi sy guzar gya.........
koi bat bhi na keh saka.........
bas thori der ka sath tha........
tu mila tha raat khawa mein..........
junhi sub hoi bicher gya..........
jab chor doon ga wo galii.........
tujhy yaad ay gi tab meri...........
tu dhondy ka mujhy gali gali.........
or khaber mily gi mein MAR gya!!!!!...........

Wafa ruswa nahi karna Suno aisa nahi karna


Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehle hi akeli hoon
Mujhe tanha nahi karna

Juddayi bhi agar aaye to
Dil chota nahi karna
Bohat masroof hojaana
Mujhe socha nahi karna

Bharosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqaddar phir Muqaddar hai
Kabhi daawa nahi karna

Jo likha hai zaroor hoga
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai
Mujhe aadha nahi karna


Haqeeqat hai milan apna
Is se sapna nahi karna
Hamain tum yaad rehte ho
Hamain bhoola nahi karna .....

na gawaon naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza ganvaa diyaa

na gawaon naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza ganvaa diyaa
jo bache hain sang samait lo, tan-e-daagh daagh lutaa diyaa

mere chaaraagar ko naved ho, saf-e-dushmanaan ko Khabar karo
wo jo qarz rakhate the jaan par, wo hisaab aaj chukaa diyaa

karo kaj jabiin pe sar-e-kafan, mere qaatilon ko gumaan na ho
kay Ghuruur-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hamane bhulaa diyaa

udhar ek harf ki kushtanii, yahaan laakh uzr thaa guftanii
jo kahaa to sun ke uraa diyaa, jo likhaa to parh ke mitaa diyaa

jo ruke to koh-e-garaan the ham, jo chale to jaan se guzar gaye
rah-e-yaar hamane qadam qadam, tujhe yaadagaar banaa diyaa

Mobobat ki rahon mai her pal sitam hai


Mobobat ki rahon mai her pal sitam hai
ki jis nay mohobat mila us ko gham hai

nigahon mai her pal hai chahra usi ka
khayalon mai chaya wo mera sanam hai

ajab dastan-e-mohobat hai yaroon
ab gham-e-judai say her ankh num hai

na sochon ga us ko na chahonga usko
is nadan dil nay kiya ya azam hai

han kah to diya kay bhola dain gay tujh ko
itna kahnay say dil per laga aik zakham hai

zamanay kay dar say na mujhay choor daina
ya zamana hi Chanda bara bayraham hai

ghayal kiya jb apno ne,to garon se gila kiya kerna


ghayal kiya jb apno ne,to garon se gila kiya kerna
othaaye hain khnjer jb apno ne, to zndgi ki tammna kiya kerna

dil tha ik kanch ka gher ,so akhir wo bhi toot gyia
qismt main likhye hain jb gum ,to khuda se gila kiya kerna

tersti rahi zndgi bher jin schey rishton ke liye
jb onhon ne hi thukera diya, to garon se tawqo kiya kerna

jis ko smjha tha apna, jis ko bnaya tha apna razdan
osi ne jb dil torr diya, to gaer ko apna ker kiya kerna

muskerana jo bhool gaye hont shazi,to kiya hua
gum ko bna liya hye apna, to muskera ke ab kiya kerna

agar talaash karo koi mil hii jaayegaa


agar talaash karo koi mil hii jaayegaa
magar meri tarah kaun tumhain chaahegaa

tumhain zaroor koi chaahaton se dekhegaa
magar vo ankhain hamaari kaha se laayegaa

naa jaane kab tere dil par naye si dastak ho
makaan Khaali huaa hai to koi aayegaa

main apani raah main divaar ban ke baitha hoon
agar vo aayaa to kis raaste se aayegaa

tumhaare saath ye mausam farishton jaisaa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataayegaa

MUJHE MILA YEH MERE PYAR KA SILA KAISA


MUJHE MILA YEH MERE PYAR KA SILA KAISA
WOH MUJH KO BHOOL GAI AAKHRI KALAM KE BAAD.

HUM US KI RAH MAI PALKEN BICHAEY BETHEY HAIN.
WOH PHIR NA PALTI MERE AAKHRI SALAM KE BAAD.

QUSOOR DIL KA HAI IS DIL SE HOGAEY MAJBOOR.
WAGARNA HUM BHI USKO BHOOL JATE SHAAM KE BAAD.

WOH MUJH SE ITNI KABHI BE KHABAR NO THI PEHLE.
KE JITNI AAJ HUI HAI WOH CHAND GAAM KE BAAD.

HAAN YEH YAQEEN TO NA THA KE MUJHE WOH BHOOL GAI.
MAGAR AB AAGAYA YAQEEN ITNEY AYYAM KE BAAD.

TUJH KO BHULA DENA ITNA AASAAN BHI NAHI MERE LIYE.
SHAYAD MAIN TUJH KO BHOOL JAOON APNI JAAN JANE KE BAAD.

TERI JUDAI NE MUJH KO BANA DIYA SHAER.
ATHER TU SHAER NA KEHTA YUN AADHI RAAT KE BAAD.

usay kehna k palkon per na tankay khuwab ki jhalar


usay kehna k palkon per na tankay khuwab ki jhalar
samander k kinaeray gher bana kar kuch nahi milta

na janay konsay jazbay ki yun taskeen karta hon
bazahir to tumharay khat jalaa kar kuch nahi milta

mujhay akser sitaron say yehi awaz ati hai
kisi k hijr maain neendain ganwa kar kuch nahi milta

jigar ho jaey ga chalni ye ankhain khon roen gi
bay-faiz logon say nibha kar kuch nahi milta

dukh tu kam nahi hotey talkhiyan mitane sey


dukh tu kam nahi hotey
talkhiyan mitane sey
ya unhein chuppane se
dil mein dukh samaney se
roone or roolane se
be-wajah hansney se
khud se bhi chuppane se
ya tumhein batane se
dil ko azmaney se
rishtey toor aney se
yaad choor aney se
ghum per sabr kerne se
dil be-khuber kerne se
Aansoon ko peeney se
Ghot ghot ker jeeney se
Dukh tu kam nahi hotey !
Dukh tu kam nahi hotey

Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay


Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay
Tehreer mein tum thay,meray wajdaan mein tum thay

Ahat thi k betaab kiye deti thi mujh ko
Ehsaas yeh kehta tha k dalaan mein tum thay

Go ajnabi dastak thi magar main ne dar-e-jaah
Yeh soch k khola tha k imkaan mein tum thay

Main kia, sitaron ne bhi aankh na jhapki thi
kal shab shab-e-mehtaab thi aur dalaan mein tum thay

Kia dekhtay auron ki taraf hum se giraftaar
Har ehad mein tum thay / har paimaan mein tum thay

Har chashm-e-gul-e-tarr thi tehreer zada
Kia waqt-e-sehar mun-e-gulistan mein tum thay.

Mujhay bus itna kehna hai Kabhi main yaad aaoon to


Mujhay bus itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay

Dua hai raho Aabad iss tarha


Dua hai raho Aabad iss tarha
Chaman mayn ho phool shadab jis tarha
Chand tumhayn daykhnay aya karay yahan
Sitaray iss nazar k chamkayn tumara pass
Khusiyan tumara pass say jayin na kabhi
Tum bhol jao gham ko kuch iss tarha
Tum soch lo wo ankhain,daykh lo samandar
Shayad mil jaya pyaar ki gehrayi iss tarha
Jis main na ho nami, bas roshni rahay
Bas rahoo hamesha uss aankh ki tarha
Soocho bhi jiss ka tum, tumain mil jay
Dua hai rakhay Khuda tumayn abad iss tarha

apni aankhoon k samandar main utar jane de


apni aankhoon k samandar main utar jane de
tera mujrim hoon mujhe doob k mar jane de

aye naye dost main samjhaonga tujhe bhi apna
pehle mazi ka koi zakhm to bhar jane de

aag duniya ki lagai hoi bujh jayegi
koi aansoo mere daman pe bikhar jane de

apni aankhoon k samandar main utar jane de
tera dushman hoon mujhe doob k mar jane de

Popular Posts