Rooh baychain hai ek dil ki azziyat kiya hai
Dil hi shola hai to phir Soz-e-mohabbat kiya hai
Woh mujhay bhool gayi, iss ki shikayat kiya hai
Ranj to yeh hai keh ro ro kay bhulaya hoga
Jhuk gayee hogi jawan sal umangon ki jabin
Chah gaya hoga dhuwan ghoom gayee hogi zameen
Mit gayee hogi lalek , doob gaya hoga yaqeen
Apnay pehlay hi gharonday ko jo dhaya hoga
Dil ney kuch aisey bhi afsaney sunaye hongey
Ashk aankhon ney piye or na bahaye hongay
Band kamrey mein jo khat merey jalaye hongay
Har taraf mujh ko tarapta huwa paya hoga
Tum ney ghabra key nazar laakh bchayee hogi
Maiz say jab meri tasweer hatayee hogi
Shadiyanon mein meri yaad jo aayee hogi
Sar na kandhay sey sahailee key hataya hoga ..
No comments:
Post a Comment