Hawa mehek uthi rang-e-chaman badalne laga
Woh mere saamne jab pairhan badalne laga
Bahum huye hain to ab guftugu nahi hoti
Bayaan-e-haal mein tarz-e-sukhan badalne laga
Andherey mein bhi mujhe jagmaga gaya hai koi
Bas ik nigaah se rang-e-badan badalne laga
Zara si dair ko barish ruki thi shaakhon per
Mizaaj-e-sosan-o-sar-o-saman badalne laga
Faraz-e-koh pe bijli kuch is tarah chamki
Libaas waadi-o-dasht-o-daman badalne laga
No comments:
Post a Comment