Sunday, July 4, 2010

ajeeb shaks tha her ek se

Jo bhi dukh yaad na tha yaad aya


Jo bhi dukh yaad na tha yaad aya
Ajj kya janiye kya yaad aya

Phir koi hath hai dil par jaise
Phir tera ahd-e-wafa yaad aya

Jiss tarah dhund main liptey huwe phool
Aik aik naqsh tera yaad aya

Aisi majboori kay aalam main koi
Yaad aya bhi tu kya yaad aya

Aye rafiqoon sar-e-manzil ja kar
Kya koi abla'pa yaad aya

Yaad aya tha bicharna tera
Phir nahi yaad kay kya yaad aya

Jab koi zakhm bhara daagh bana
Jab koi bhool gaya yaad aya

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz
Jis ko bhoole woh sada yaad aya

Teri yaad main jeetey jeetey aik zamana beet gaya



Teri yaad main jeetey jeetey aik zamana beet gaya
Humko apne app se bichrey zamana beet gaya

Pani kay pardey per tumne naam wafa ka likha tha
Pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

Ankhoon mein kuch khwaab basaa kar humne jeena chaha
Ankhoon main khwaaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya

Jaatey jaatey phir milne ki aas na dete, Acha tha
Phir milne ki aas main jaltey jaltey aik zamana beet gaya

Kon suney faryaad kissi ki, Kon kissi ka dard sahey
Apne aap se baatein karte aik zamana beet gaya

Ye aarzoo hai kay jab bhi galay lagaon usay


Ye aarzoo hai kay jab bhi galay lagaon usay
Hisaar-e-zaat se baahar nikaal laon usay

Woh aj raha tha kadi dhoop ki tamazat mein
Mila jo ab tou urhahonga apni chaaon usay

Ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-ahad-e-vafaa
Woh aazmaaye mujhe aur main aazmaaon usay

Woh shahar shahar-e-chiraaghan sahi magar ik din
Hawayein yaad dilayengi apna gaaon usay

Woh apnay khwaab mein shayad mujhay ko dekhta ho
Main tishna lub sahi sotay mein kya jagaon usay

Sach baat maan lijiye chehre pe dhool hai


Sach baat maan lijiye chehre pe dhool hai
Ilzaam aaino'on pe lagana fazool hai

Teri nawazishein hon tu kaanta bhi phool hai
Gham bhi mujhe qabool, Khushi bhi qabool hai

Uss paar ab tu koi tera muntazir nahi
Kacche ghare pe tair kar jana fazool hai

Jab bhi milaa hai, zakhm ka tohfa diya mujhe
Dushman zaroor hai woh magar Baa-usool hai

Ranjish hi sahi dil hi dukhane kay liye aa


Ranjish hi sahi dil hi dukhane kay liye aa
Aa phir se mujhe chor jaane kay liye aa

Pehle se maraseem na sahi phir bhi kabhi tu
Rasm-o-raah duniya hi nibhaney k liye aa

Kis kis ko batayenge judaai ka sabab hum
Tu mujhse khafaa hai tu zamaane kay liye aa

Kuch tu mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manaane kay liye aa

Aik umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi meharoom
Aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane kay liye aa

Ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain umeedein
Yeh aakhri shamein bhi bujhaane kay liye aa

Sitaaroon se aagay jahaan aur bhi hain


Sitaaroon se aagay jahaan aur bhi hain
Abhi ishq kay imtehaan aur bhi hain

Yehi zindagi se nahi yeh fizaayein
Yahaan sain'karoon karvaan aur bhi hain

Qanayat na kar alm-e-qang-o-boo per
Chaman aur bhi hain, aashiyan aur bhi hain

Agar kho gaya aik nashemaan tu kya gham
Muqamaat-e-aa'ho'fghaan aur bhi hain

Tu shaheen hai parwaaz nahi tera kaam
Tere samnay aasmaan aur bhi hain

Issi roz-o-shab main ulajh kar na reh ja
Key tere zamaan aur makaan aur bhi hain

Gaye din thy kay main tanha tha anjuman mein
Yahaan ab mere raaz'daan aur bhi hain

Jinhein main dhoondta tha assmanoon mein zameenoon mein


Jinhein main dhoondta tha assmanoon mein zameenoon mein
Woh nikley mere zulmat-e-khana-e-dil kay makeeno mein

Maheeney visaal kay ghariyoon ki soorat main urtey jatay hain
Magar ghariyaan judaai ki guzarti hain maheeno'on mein

Mujhe rokey ga tu ay na Khuda kya gharq honey se
Kay jinko doobna hai doob jatey hain safeeno'on mein

Jala sakti hai sham-e-kushtaa ko mauj-e-nafs unki
Elaahi kya chuppa hota hai ahal-e-dil kay sino'on mein

Tamaana dard-e-dil ki ho tu kar khidmat faqeero'on ki
Nahi milta yeh gohar Badshaahoon kay khazano'on mein

Muhabbat kay liye dil dhoond koi tootne walaa
Yeh woh meh hai jisse rakhte hain nazuk aabgino'on main

Bura samjhoo'n unhein, mujhse tu aisa ho nahi sakta
Kay main khud bhi tu Hoon "Iqbal" apne nukta'cheenoon mein

Uss phool se chehre kay naam


Uss phool se chehre kay naam
Jiss ne zindagi ko udaas kar diya

Woh bura hai tu kya huwa mat kaho bura usko
Kay jo huwa so huwa, KHUDA khush rakhe usko

Mat dekh koi shukhss gunaahgaar hai kitna
Yeh dekh tere saath waafadaar hai kitna

Shikwa karte hain zubaan se , Na gila karte hain
Tum salamat raho bass yehi DUA karte hain

Zaara si roshni milti, Chiraag-e-dil jala letey
Nazar ki pyaas bujh jaati, ghari bhar muskura detey

Judaai ka pata hota tere pyar se pehle
Marne ki DUA karte tere deedar se pehle

Muhobbat main dil-e-nadaan sukoon paya nahi karte
Jazbey jin kay saadiq hon woh ghabraya nahi karte

Kabhi kissi ko mukammal jahaan nahi milta
Kahin zameen tu kahin aasmaan nahi milta

Woh kehte thy ronay se nahi badaltey naseeb
Unki iss baat ne umr bhar ronay na diya

Tamaan raat mere ghar ka aik dar khula raha
Hum raah dekhte rahe woh raasta badalta raha

Meea tu jo bhi qadam hain woh teri raah main hain
Kay tu khain par bhi rahe tu TU meri nigaah main hai

Kantoon per bhi neend aye, saath agar dilbar ho
Bin dilbar neend na aye, chahey phoolon ka bistar ho

Jiss simt bhi dekhoon nazar ataa hai kay tum ho


Jiss simt bhi dekhoon nazar ataa hai kay tum ho
Ay jaan-e-jahaan ye koi tumsa hai kay tum ho

Yeh khwaab hai khushboo hai kay jhonka hai kay pal hai
Yeh dhund hai baadal hai kay saya hai kay tum ho

Iss dee'd ki saa't main kayii rang hain larzaan
Main hoon kay koi aur hai duniya hai kay tum ho

Dekho yeh kissi aur ki abkhein hain kay meri
Dekhoon yeh kissi aur ka chehra hai kay tum ho

Yeh umr-e-gurezaan kaheen thehrey tu yeh janoon
Har sanss mein mujhko yeh lagta hai kay tum ho

Har bazm mein mozu-e-sukhan dil zad'gaan ka
Ab kon hai sheeren hai kay Laila hai kay tum ho

Aik dard ka phelaa huwa sehraa hai kay main hoon
Aik mauj main aya huwa durriya hai kay tum ho

Woh waqt na aye kay dil-e-zaar bhi soche
Iss shehar main tanha koi humsa hai kay tum ho

Aabaad hum aashufta saron se nahi maqtal
Yeh rasm abhi shehar main zinda hai kay tum ho

Ay jaan-e-Faraz itni bhi taufeeq kisse thi
Humko gham-e-hasti bhi ganwaara hai kay tum ho

Haath uthein hain magar lab pe dua koi nahi


Haath uthein hain magar lab pe dua koi nahi
Ki ibaadat bhi woh jiski jaza koi nahi

Yeh bhi waqt aana tha ab tu gosh har awaaz hai
Aur mere barbaad-e-dil main sadaa koi nahi

Aaa kay ab tasleem kar lein,tu nahi tu main sahi
Kon maneyga kay hum mein bewafaa koi nahi

Waqt ne woh khaak uraayii hai kay dil kay dasht pe
Qaafiley guzrey hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahi

Khud ko yun mahasur kar betha hoon apni zaat main
Manzilein chaaron taraf hain rastaa koi nahi

Kaise raaston se chala aur kis jagah ponhche Faraz
Yaan hujoom-e-dostaan tha saath yaa koi nahi

Inhin khushgumaniyoon mein kaheen jaan se bhi na jaan


Inhin khushgumaniyoon mein kaheen jaan se bhi na jaan
Woh jo chaaragar nahi hai usse zakhm kyun dikhaon

Yeh udaasiyon kay mausam kaheen raayegaan na jaayein
Kissi zakhm ko kureedo kissi dard ko jagao

Woh kahaniyaan adhoori jo na ho sakeingi poori
Unhein main bhi kyun sunaon, unhein tum bhi kyun sunao?

Mere humsafar puraaney mere ab bhi muntazir hain
Tumhrin saath chorna hai tu abhi chor jao

Yeh judaaiyon kay rastey barii door tak gaye hain
Jo gaya woh phir na lauta meri baat maan jao

Kissi bewafa ki khatir ye junoon Faraz kab tak
Jo tumhein bhula chuka hai usse tum bhi bhool jao

Tu pass bhi ho tu dil beqarar apna hai



Tu pass bhi ho tu dil beqarar apna hai
Kay humko tera nahi, intezar apna hai

Miley koi bhi tera zikar chair detey hain
Kay jaise sara jahan raazdaar apna hai

Woh door ho tu bajaa, tark-e-dosti ka khayal
Woh samney ho tu kab ikhteyaar apna hai

Zamaney bhar kay dukhoon ko lagaa liya dil se
Iss aasrey pe kay aik ghamgusaar apna hai

Faraz rahat-e-jaan bhi wohi hai kya kijiye?
Woh jiske haath se sina figaar apna hai

Chehra mera tha nigaahein uski


Chehra mera tha ,nigaahein uski
Khamoshi main bhi woh baatein uski

Mere chehre pe ghazal likhtii gayi'in
Shair kehti huwi, ankhein uski

Shokh lamkhoon ka pata deine lagi'in
Taiz hoti huwi sansein uski

Aise mausam bhi guzarey humne
Subhein jab apni thi shaamein uski

Dhyaan mein uske yeh alaam tha kabhi
Ankh mahtaab ki yaadein uski

Faislaa mauj-e-hawa ne likha
Andhiyaan meri, baharein uski

Neend iss soch se tooti aksar
Kiss tarha katt'ti hain raatein uski?

Door reh kar bhi saada rehti hain
Mujhko thaamey huwe bahein uski

Aghaaz hota hai anjaam nahi hota


Aghaaz hota hai anjaam nahi hota
Jab meri kahani main woh naam nahi hota

Jab zulf ki kaalakh main ghul jaye koi raahi
badnaam sahi lekin gumnaam nahi hota

Hans hans kay hum jaawan dil kay kyun na chunney tukrey
Har shukhss ki kismat main inaam nahi hota

Behte huwe anso'on ne ankhoon se kaha tham kar
Jo meh se pighal jaye, woh jaam nahi hota

Din doobey hain yaan doobi baraat liye kashtii
Sahil pe magar koi kohraam nahi hota

Poochte ho tu suno kaise basar hoti hai


Poochte ho tu suno kaise basar hoti hai
Raat khairat ki, Sadkey ki sahar hoti hai

Sanss barhaney ko tu jeena nahi kehte YA RAB
Dil hi dukhata hainaa ab aasteen tar hoti hai

Jaise jaagi huwi ankhoon mein chubein kaanch kay khwaab
Raat iss tarah deewano'on ki basar hoti hai

Gham hi dushman mera gham hi ko dil dhoondh'ta hai
Aik lamhe ki judaai bhi agar hoti hai

Aik markaz thi talaash, aik bhatakti khushboo
Kabhi manzil kabhi tehmeed-e-safar hoti hai

Gham na kar tere liye chiraag ban jaonga


Gham na kar tere liye chiraag ban jaonga
Khud jal kar teri raah mein roshni kar jaonga

Darr hai kay mujhse ruswayan na milein tumhe
Tark-e-taluk main khud hi sey kar jaonga

Tere anchal main hon phool khwahishein meri
Apna daman main kantoon se bhar jaonga

Lakh bhoolaney se bhi na bhool sako gi tum
Main pyar hi tum se itna kar jaonga

Sanwaaro apna naseeb tum khushi se
Main kay barf pey bani tasveer, akhir mitt jaonga

Tu bata ay dil-e- betaab, kahan aatey hain


Tu bata ay dil-e- betaab, kahan aatey hain
Humko khush rehney kay aadaab kahan aatey hain

Mein to yakmusht usey sonp doon sab-kuch lekin
Aik muthi mein merey khwaab kahan aatey hain

Muddaton baad tujhey dekh kay dil bhar aaya
Warna sehraon mein sailaab kahan aatey hain

Meri bedaar nigahon mein agar bhooley se
Neend aaye bhi to ab khwaab kahan aatey hain

Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai-noshi hai
Hosh mein ab terey betaab kahan aatey hain

Hum kissi tarah terey dar pe thikana kar lein
Hum faqiron ko ye aadaab kahan aatey hain

Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi
Ab muyassar hamein who khwaab kahan aatey hain

Sochta hoon mehfooz kar loon isey apne siney main


Sochta hoon mehfooz kar loon isey apne siney main lafz-o-beyaan ki tarah
Thori hi dair main yeh mulaqaat bhi khatam ho jayegi dastaan ki tarah

Yeh rafaqat bohut mukhtasir hai mere humsafar, laa mere haath main haath de
Tu hawa-e-sar-e-rehguzar ki tarah, main kissi nakht-e-raayehaan ki tarah

Haal zaalim shikari ki soorat mujhe,waqt ki ziin se baandh kar le chala
Mera maazi mere saath chalta raha door tak aik majbhoor MAA ki tarah

Sang-e-azaar ki barishein taiz thiin, aur bachne ka koi tareeqa na tha
Rafta rafta sabhi ne saron per koi behissi taan li sayebaan ki tarah

Khwahishon kay samandar se aik mauj uthi, aur sail-e-balaa-khez banti gayi
Jism kashti ki maanind ulat'ne lage, pairahan urr gaye baadbaan ki tarah

Main kab kahta hoon woh acha bohut hai


Main kab kahta hoon woh acha bohut hai
Magar uss ne mujhe chaha bohut hai

Khudaa iss shaher ko mahfuz rakhe
Yeh bacho'on ki tarah hansta bohut hai

Main har lamhe mein sadiyaan dekhta hoon
Tumhare saath aik lamha bohut hai

Mera dil baarisho'on mein phool jaisaa
Yeh bacha raat mein rota bohut hai

Woh ab laakho'on dilon se khelta hai
Mujhe pehchan le, itnaa bohut hai

Shola-e-ishq bujhana bhi nahi chahta hai


Shola-e-ishq bujhana bhi nahi chahta hai
Woh magar Khud ko jalana bhi nahi chahta hai

Usko manzoor nahi hai meri gumraahi bhi
Aur mujhe raah pe laana bhi nahi chahta hai

Sair bhi jism kay sehraa ki Khush aatii hai magar
Dair tak Khaak uRana bhi nahi chahta hai

Kaise uss shuKhss sey tabeer pey israar karein
Jo koi khawaab dikhaana bhi nahi chahta hai

Apne kis kaam mein laayega batata bhi nahi
Humko auroN pe ganwaana bhi nahi chahta hai

Mere lafzoon mein bhi chhuptaa nahi paikar uska
Dil magar naam batana bhi nahi chahta hai

Kya umeed karain hum unse jin ko wafa maloom nahi


Kya umeed karain hum unse jin ko wafa maloom nahi
Gham deina maloom hai lekin gham ki dawa maloom nahi

Jin ki gali main umr gan'waa di, jeevan bhar hairaan rahe
Pass bhi akay pass na aye, jaan kay bhi anjaan rahe

Kon si akhir ki thi humne, aisi khataa maloom nahi
Ay mere pagal armaano' jhoothey badhan tor bhi do

Ay meri zakhmii umeedo, Dil ka daaman chorr bhi do
Tumko abhi iss nagri main jeeney ki saza maloom nahi

Dekhna hai woh mujh per meherbaan kitna hai


Dekhna hai woh mujh per meherbaan kitna hai
Asliyat kahan tak hai aur gumaan kitna hai

Kya Panaah deiti hai aur yeh zameen mujhko
Aur abhi mere sar pe asmaan kitna hai

Kush khabar nahi ati kiss ravish pe hai tufaan
Aur kata phata baaqi baadabaan kitna hai

Tor phor karti hain roz khwahishein dil main
Tung in makano'on sey yeh makaan kitna hai

Kya uthaye phirtaa hai baar-e-aashiqi sar per
Aur dekhne mein woh dhaan-paan kitna hai

Hurf-e-arzoo sun kar janchney laga yaani
Iss main baat kitni hai aur beyaan kitna hai

Phir udhass kar deigi sarsari jhalak uski
Bhool kar yeh dil usko shaadmaan kitna hai

Raah-e-talib mein kon kisi kaa, apne bhi begaane hain



Raah-e-talib mein kon kisi kaa, apne bhi begaane hain
Chand sey mukhre rashk-e-Ghazlaan sab jaane pehchane hain

Uff yeh talaash-e-husn-o-haqeeqat kis jaa thehrein jaayein kahan
Sehan-e-chaman mein phool khiley hain sehra mein deewane hain

Tanhayi hi tanhayi hai kaise kahein kaise samajhayein
chashmo-o-lab-o-rukhsaar ki tah mein Rooho'on kay viraaney hain

Apne wujood ki mastii sey hamari needon ke ahwaal na pooch
Qadam qadam par ched Khirad se nafs nafs may'khane hain

Dil aakhir thak haar kay yaaro ham ne bhi tasleem kiya
Apni zaat se ishq hai sacha baaqi sab afsaney hain

Mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai



Mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai
Khamoshi bhi hai awaaz bhi hai

Nasheman kay liye betaab taa'iir
Wahan pabandi-e-parwaaz bhi hai

Khaamoshi pey bharosa karne walo
Khaamoshi gham ka ghamaz bhi hai

Meri Khamoshi-e-dil par na jaao
Kay iss mein Rooh ki awaz bhi hai

Dil-e-begana-Khuu, duniyaa mein tera
koi hamdam koi hamraaz bhi hai

Hai meraaj-e-Khirad bhi arsh-e-azeem
Junoon ka farsh-e-paa andaaz bhi hai

Dil kay sun'saan jaziroo'n ki khabar layega



Dil kay sun'saan jaziroo'n ki khabar layega
Dard pehlu sey judaa ho ke kahan jayega

Kon hotaa hai kisi kaa shab-e-tanhayi mein
Gham-e-furqat hi Gham-e-ishq ko bhelayega

Chand ke pehlu mein dam saadh ke roti hai kiran
Aaj taaro'on ka fusuon khaak nazar ayega

Raakh mein aag dabii hai gham-e-meharumi ki
Raakh ho kar bhi yeh shola hamein sulgayega

Waqt Khaamosh hai roothey huwe yaaro'on ki tarah
Kon lau detey huwe zakhmo'on ko sehlayega

Dhoop ko dekh kay us jism pe par'ti hai jhamak
Chaa'on dekheinge to us zulf ka dheyaan ayega

Zindagi chal kay zaraa maut kaa dam'kham dekhein
Warna yeh jazbaa lahad tak hamein le jayega

Yahi bohut hai kay dil usko dhoond laya hai


Yahi bohut hai kay dil usko dhoond laya hai
Kisi kay saath sahi woh nazar to aya hai

Karoon shikayatein takta rahoon kay pyaar karoon
Gaye bahaar ki soorat woh laut aya hai

Woh samney tha magar yeh yaqeen na ata tha
Woh aap hain kay meri Khwaahisho'on ka saya hai

Azaab hoop ke kaise hain barishein kya hain
Fasil-e-jism giri jab to hosh aya hai

Main kya karoonga agar woh na mil sakaa Amjad
Abhi abhi mere dil mein Khayaal aya hai

Dil udhaas hai bohut koi paighaam hi likh do



Dil udhaas hai bohut koi paighaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar aik shaam hi likh do

Zuroori nahi kay mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Yeh jaanta hoon kay umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thehre hum
Koi enaam na likho koi ilzaam hi likh do

Khwaab-nagar hai aankhein kholey dekh rahaa hoon


Khwaab-nagar hai aankhein kholey dekh rahaa hoon
Usko apni jaanib aatey dekh raha hoon

Kiss ki aahat qarya qarya phail rahi hai
Deewaroon kay rang badalte dekh raha hoon

Kon mere jaadu sey bach kar jaa saktaa hai!
Aainaa hoon, sab kay chehre dekh raha hoon

Darwazey par taiz hawa'oN ka pehraa hai
Ghar ke andar chup kay saaye dekh raha hoon

Jaise mera chehra mere dushman kaa ho
aainey mein khud ko aise dekh raha hoon

Manzar manzar viraani ney jaal taaney hain
Gulshan gulshan bikhrey pattey dekh raha hoon

Manzil manzil hol mein Doubi awazein hain
Rasta rasta Khauf kay pehrey dekh raha hoon

Shehar-e-sangdil mein Amjad har raste par
awazoN kay patthar chalte dekh raha hoon

Badan kay dono kinaaro se jal rahaa hoon main

Badan kay dono kinaaro se jal rahaa hoon main
Kay chhuu rahaa hoon tujhe, aur pighal rahaa hoon main

Tujhii pey Khatam hai jaanaa mere zawaal ki raat
Tu ab tualuh bhi ho jaa, ke dhaal raha hoon main

Bulah raha hai meraa jaama-e-zaib milne ko
Tu aaj pairahan-e-jaan badal rahaa hoon main

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hoslaa bhi tu dekh
Hawa-e-taaza! tere saath chal rahaa hoon main

Kab uskaa visaal chahiye tha


Kab uskaa visaal chahiye tha
Bas aik Khayaal chahiye tha

Kab dil ko jawaab se Gharz thii
Honthoon ko sawaal chahiye tha

Shok aik nafss tha aur wafaa ko
Paas-e-maah-o-saal chahiye tha

Aik chehra-e-sadaa tha jo hamko
Be-misl-o-misaal chahiye tha

Aik qarb main zaat-o-zindagii hain
Mumkin ko muhaal chahiye tha

Aik hunar hai jo kar gayaa hoon main


Aik hunar hai jo kar gayaa hoon main
Sab kay dil se utar gayaa hoon main

Kaise apnii hansii ko zabt karoon
Sun rahaa hoon kay ghir gayaa hoon main

Kyaa bataao'on kay mar nahii paataa
Jiite ji jab sey mar gayaa hoon main

Abb hai bus apna saamnaa darpesh
Har kisii sey guzar gayaa hoon main

Wohi naaz-o-adaa, Wohi Ghamzey
Sar-ba-sar aap par gayaa hoon maiN

Ajab ilzaam hoon zamaane ka
Kay yahaan sab ke sar gayaa hoon main

kabhi khud tak pohanch nahi paya
Jab kay vaaN umr bhar gayaa hoon main

Tum se jaana milaa hoon jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa hoon main

Kuu–e–jaana mein sog barpaa hai
Kay achaanak, sudhar gayaa hoon main

Kissi hurf main, kissi baab mein nahi ayega


Kissi hurf main, kissi baab mein nahi ayega
Tera zikar meri kitaab main nahi ayega

Nahi jayegi kissi ankh se koi roshni
Koi khwawaab ab kay azaab main nahi ayega

Koi khud ko sehraa nahi karega, meri tarah
Koi khwaisho'on kay saraab main nahi ayega

Dil badgumaan tere mausamo'on ki noveed hO
Koi haar dast-e-gulaab main nahi ayega

Issey lakh Dil se pukaar lo, issey dekh lo
Koi aik hurf jawaab main nahi ayega

Teri raah taktey rahe,agarchey khabar bhi thi
Kay yeh din bhi mere hisaab main nahi ayega

Khawaab saath rehne kay nat naye dikhata hai


Khawaab saath rehne kay nat naye dikhata hai
Yeh jo asal mausam hai guzarta jata hai

Khud ko sabz hi rakha ansoo'on ki baarish main
Warna hijar ka mausam kisko raas ata hai

Tu hawa'on ka mausam, tujhko kya khabar jaana
Gard-e-badgumani se DIL bhi Toot jata hai

Aik tum hi the warna admi muhobbat main
laakh ayen diwaren, rastey banata hai

Hum tu khair nadaan the, muntazir rahe warna
Koi apni binaayi iss tarah gaanwata hai?

Kitne khawaab ankhoon mein zakhm ban'ney lagte hain
Jab hawa kay honthon pe tera naam ata hai

Sinkaroon dukaney hain visaal kay chiraghon ki
Kon hijar mein apna Ab lahu jalata hai

Jins-e-duniya se guzar jatay hain


Jins-e-duniya se guzar jatay hain
Aisa karte hain kay mar jatay hain

Kaise hotey hain bicharney walay
Hum yeh sochein bhi tu darr jatay hain

Dil jo tootey tu sar-e-mehfil bhi
baal bewaja bikhar jatay hain

Ab na dekho meri banjar ankhein
Chartey durrya tu utar jatay hain

Ab na mour mour kay pukaro unko
Log rastey main tehar jatay hain

Haali damaan se shikayat kaisi?
Ashk ankhon mein tu bhar jatay hain

Tum kahan jaoge socho Mohsin?
Log thak-haar kay ghar jatay hain

Junoon ka zabta gum ho gaya hai


Junoon ka zabta gum ho gaya hai
Mera shehar-e-wafa gum ho gaya hai

Ajeeb hai besir-o-samaan muhobbat
Mera Hurf-e-dua gum ho gaya hai

Mein aks-e-yaar jiss mein dekhti thi
Woh dil ka ainaa gum ho gaya hai

Mere ahl-e-junoon bhi darbadar hain
Kay ghar ka rasta gum ho gaya hai

Abhi tu shujer-e-gham ko katnaa tha
Abhi se hosla gum ho gaya hai

Woh dil ki baatein zamaneybar ko na yun sunata, mujhe batata


Woh dil ki baatein zamaneybar ko na yun sunata, mujhe batata
Woh ik dafa tu meri muhobbat ko azmata, mujhe batata

Zubaan-e-halqat sey janay kya kya bawar kara raha hai
Kissi bahaney ANA ki deewar girata, mujhe batata

Zamaney waloon ko kya pari hai sunein jo haal-e-dil shikasta
Magar meri tu yeh arzoo thi mujhey bulata, mujhe batata

Mujhe khabar thi chupke chupke andherey isko nighal rahe hain
Mein isss ki raah mein apne dil ka diya jalata, mujhe batata

Munir iss ne sitam kiya kay shehar chor diya khamoshi kay saath
Mein iss ki khatir yeh duniya chor jata, mujhe batata

Wohi galiyaan,wohi koochey wohi sardi ka mausam hai


Wohi galiyaan,wohi koochey wohi sardi ka mausam hai
Issi andaaz sey apna nizaam-e-zeest barham hai

yeh husn-e-itefaaq aisa kay nikhrii chandni bhi hai
Wohi har simm't veraani,udaasi tishnagi si hai

Wohi bheer sochoon ki, wohi tanhaiyaan phir se
Musafir ajnabi aur dasht ki panhaiyaan phir se

Mujhe sab yaad hai, kuch saal pehle ka yeh qissa hai
Wohi lamhey tu viraney ka ik abaad hissa hai

Meri ankhon mein woh ik lamha maujood ab bhi hai
Woh zinda raat mere saath lakhoon bar jaagi hai

Kissi ne raat ki tanhayi mein sarghoshiyaan ki thii'n
Kissi ki narm-guftaari ne dil ko loriyaan di thii'n

Kissi ne meri tanhayi ka sara qurb ban'ta tha
Kissi ne raat ki chunri mein roshan chaand tan'ka tha

Chamktey jugnoo'on ka ik cell bakhshaa tha ratoon ko
Dharakta sa anwaan diya tha mere khawaboon ko

Mere shairo'on mein ilhaam ki soorat utra tha
Maafi ban kay jo lafzoon mein pehli bar dharka tha

Dekhey huwe kissi ko bohut din Guzar gaye



Dekhey huwe kissi ko bohut din Guzar gaye
Iss dil ki bebassi ko bohut din guzar gaye

Har shab chaath per chaand utarta tu hai magar
Iss ghar main chandni ko bohut din guzar gaye

Koi jawaaz dhoondh gham-e-nashanaas ka
Bewaja be-kulli ko bohut din guzar gaye

Ab tak akelepan ka musalsal azaab hai
Duniya mein dosti ko bohut din guzar gaye

Muddat huwi toot kay roya nahi hoon
Iss chain ki gharri ko bohut din guzar gaye

Ab kay yun dil ko saza di hum ne


Ab kay yun dil ko saza di hum ne
Iss ki har baat bhula di hum ne

Aik aik phool bohut yaad aya
Shakh-e-Gul jab woh jala di hum ne

Ajj talak jis per woh sharmatey hain
Baat woh kab ki bhula di hum ne

Shehar jaan raakh se abaad huwa
Agg jab dil ki bhuja di hum ne

Ajj phir yaad bohut Aya woh
Ajj phir iss ko dua di hum ne

Koi tu baat hai iss main Faiz
Har khushi jiss pe Luta di hum ne

Woh dey raha hai dilasey tu umar bhar kay mujhe


Woh dey raha hai dilasey tu umar bhar kay mujhe
Bichar najaye kahiin phir udaas kar kay mujhe

Jahan na tu na teri yaad kay qadam honge
Darra rahe hain wohi marhaley safar kay mujhe

Huwa-e-dasht mujhe ab tu ajnabi na samanjh
Kay ab tu bhool gaye rastey bhi ghar kay mujhe

Yeh chand ashk tere hain shaam-e-gham lekin
Ujalne hain abhi haal-o-wakhd seher kay mujhe

Dil tabah tere gham ko talney kay liye
Suna raha hai afsaney idher udher kay mujhe

Qabay-e-zakham badan per saja kay nikla hoon
Woh ab mila bhi tu dekhe ga ankh bhar kay mujhe

Kuch iss liye bhi ous se bichar gaya Mohsin
Woh dour dour sey dekhey tehar tehar kay Mujhe

Deepak raag hai chahat apni, kahey sunayen tumhey



Deepak raag hai chahat apni, kahey sunayen tumhey?
Hum tu sulagtey hi rehte hain, kyun sulgayen tumhey?

Tarek-e-muhobbat, tarek-e-tamana kar chukney kay baad
Yeh mushkil ann pari hai, kaise bhulayen tumhey?

Dil kay zakham ka rung tu shayed ankhon mein bhar aye
Rooh kay zakhmoon ki gehrayii kaise dikhayen tumhey?

Dard hamari mehroomi ka tum tab jano ge
Jab khaney ayengi chup ki sa'yen sa'yen tumhey

Sanatta jab tanhayi kay zeher mein bhujta hai
Woh gariyaan kyunkar tikti hain, kaise batayen tumhey?

Jin baatoon ney pyar tumhara nafrat mein badla
Darr lagta hai woh baatein bhi bhool na jayen tumhey

Woh nazar se tu door hain, magar yeh ajeeb soorat-e-haal hai


Woh nazar se tu door hain, magar yeh ajeeb soorat-e-haal hai
Har waqt pesh-e-nazar bhi hain, na firaak hai na visaal hai

Na woh hum se kum na hum unse kum, woh udhar khafa hum idher khafa
Na inhein humara khayal hai, na humein deemagh-e-sawal hai

Yehi Qurbatein yehi fasley tu khaloos-e-ishq ki jaan hain
Kabhi gird-e-ranj o malal hai, kabhi fikar yeh pesh-e-haal hai

Yeh tumhari kaj adhaiyan koi aur seh kar dikhaye tu
Yeh jo hum mein tum mein nibah hai , yeh mere hosle ka kamaal hai

Mujhe iss ka koi bhi gham nahi kay kissi ne mujhse wafa nahi ki
Main kissi kay kaam na asaka , mujhe sirf iska malal hai

Jo guzar rahi hai guzaar do, Na bura kaho na gila karo
Jo tumhara haal hai dostoo, wohi sarey shehar ka haal hai

Woh kahan se laon roshni? Jo kissi kay shehar main lut gayi
Woh ainoo ka shehar bhi lut gaya, mujhey iska aur malal hai

Ankhon se meri iss liye lali nahi jati



Ankhon se meri iss liye lali nahi jati
Yaadoon se koi raat jo khali nahi jaati

Ab umar na woh rastey na woh mausam kay paltay
Iss dil ki magar kham khayali nahi jati

Humrah tere jo phool khilati thi dil main
Ab shaam wohi dard se khaali nahi jaati

Koi akay tere yeh dukh dard sambhaley
Hum se tu yeh jagheer sambhali nahi jaati

Mangey tu agar jaan bhi, tu hanss kar tujhey dey doon
Teri tu koi baat bhi taali nahi jaati

Hum jaan se jayenge tabhi baat baney gi
Tum se tu koi raah nikaali nahi jaati

Main tera shehar chor jaonga


Mere azeez tujhe yeh khushi mubarak ho
Nayii bahar nayii zindagi mubarak ho
Iss se pehle kay teri chashm-e-karam
Maazraat ki nigaah ban jaye
Pyar dhal jaye mere ashkoon mein
Arzooo aik aah ban jaye
Mujhpe ajayeeee ishq ka ilzam
Aur tu begunnah ban jaye
Main tera shehar chor jaoonga
Mein tera shehar chor jaonga
Iss pehle kay sadgi teri
Lab-e-khamosh ko gila keh dey
Teri majbooriyan nah dekh sakey
Aur dil tujhko bewafa keh de
Jaaney main bekhudi main kya poochoon?
Jaanay tu berukhi se kya keh dey..?
Main tera shehar chor jaonga
Main tera shehar chor jaonga
Chor kar saahil-e-muraad chala
Ab safinaa mera kahin tehre
Zehar peena mera muqaddar hai
Aur tere hont dil nasheen tehre
Iss tarah tere astaan pe rukoon
Jab na paon taley zameen tehre
Main tera shehar chor jaonga
Main tera shehar chor jaonga
Mujhko itna zaroor kehna hai
Waqt-e-rukhsat salaam se pehle
Tor loon rishtaa-e-nazar main bhi
Tum utar jao baam se pehle
Yeh meri jaan mera waada hai
Kal kissi waqt shaam se pehle
Main tera shehar chor jaonga!

Laghzishhon sey mara tu bhi nahi main bhi nahi



Laghzishhon sey mara tu bhi nahi main bhi nahi
Dono insaan hain khuda tu bhi nahi main bhi nahi

Tu jafa ki main wafa ki raah par hain gamzan
Peechey moor kar dehkta tu bhi nahi main bhi nahi

Tu mujhey main tujhey ilzaam dharta hoon
Apne mann main jankta tu bhi nahi main bhi nahi

Maslihat ne kar diye dono main paida ikhtelaaf
Warna fitrat ka bura tu bhi nahi main bhi nahi

Badgumani shehar main kisne phelaadi jabke
Aik doosre se khafa tu bhi nahi main bhi nahi

Jurm ki novitoon main kuch tafawat ho to ho
Darhakeekat parsa tu bhi nahi main bhi nahi

Jaan-e-Mohsin tu bhi tha ziddi ANA mujh mein bhi thi
Dono khudsar the juka tu bhi nahi main bhi nahi!

Utar chukey ho Samander mein hosla rakhna


Utar chukey ho Samander mein hosla rakhna
hawa chaley na chaley badban khula rakhna

kabhi na jaltey charaghoun ka silsila tutey
jo aik bhujney lagey sath dusra rakhna

yahee kamal hey barish mein beegtey rehna
aur apny jisam ki matii ko bhii bacha ker rakhna

hadud-e-zat key ander na koi jhank sakey
taluqat mein ik aisa fasla rakhna

kaheen pey donu kinarey zarur milty hein
bas apney app ko derya mein tum baha rakhna

Woh kaisa shakhs hai kay her roz saza deta hay


Woh kaisa shakhs hai kay her roz saza deta hay
Phir hansata hay wo itna kay bhula deta hay

Kabhi jo ro doon to mujhay manna leita hay
Aur phir manna kay mujhay hansaa dayta hay

Us say poochon kay bata kiss say muhabbat hay tumhe?
Naam Sarghoshi main Mera he suna dayta hay

Khud he kehta hai na dohraon purani yaadain
Main na dohraon to phir khud he suna deta hay

khud he likhta hai kay jazbat main halchal na karo,
aur phir khud he naye aag laga deta hay

Sahil, rait, samandar, lehrain



Sahil, rait, samandar, lehrain,
Basti, jungle, sehra, darya,
Khushbu, mousam, phool, dareechay,
Baadal, suuraj, chaand, sitaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!

Khwaab ki baatain, yaad k qissay,
Soch k pehlu, neend k lamhay,
Dard k aansu, chain k naghmay,
Urtay waqt k behtay dhaaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!

Rooh ki aahat, jism ki junbish,
Khoon ki gardish, saans ki larzish,
Aankh ka pani,
Chahat k unwaan ye saray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!

Yeh jo palkon peh rim jhim sitaron ka maila sa hai



Yeh jo palkon peh rim jhim sitaron ka maila sa hai
Yeh jo teray bina koi itna akaila sa hai
Zindagi teri yaadon say mehka howa shehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai

Sahilon peh gharonday banaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Rang barish main kaisay urraaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Janay kis kailiye ghar sajaaye they hum nay, tumhain yaad hai?

Koii khushboo ka jhonka idher aa nikalta kahiin
Gum hai niindon key sehra main khwabon ka rasta kahiin

Her khushi aatay jaatay howay waqt ki lehar hai
Sub muhabbat ka ik pehar hai

Zindagi dhoop chaoon ka ik khail hai, bheerr chat'tii nahin
Aur issi khail main din guzarta nahin, raat kat'ti nahin
pyar kartay howay aadmi ki kabhi, umer ghat'ti nahin

Dil ki dehleez per aks-e-roshan teray naam say
Rat jagay aaiinon main khilay hian kahin shaam say

Aik darya hai chaaron taraf darmyaan lehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai

Yeh jo palkon peh rim jhim sitaron ka maila sa hai
Yeh jo teray bina koi itna akaila sa hai
Zindagi teri yaadon say mehka howa shehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai..........!!

Meri Zaat Zarra-e-Benishan


Tere siwa kya jaane koi dil ki haalat Rabba
Saamne tere guzri mujh per kesi qayamat Rabba


main wo kis tarah se karoon bayaan
jo kiye gae hain sitam yahaan
sune kon meri ye daastan
koi hamnasheen he na raazdaan
jo tha jhoot wo bana sach yahaan
nahi kholi mene magar zubaan
ye akela pan, ye udaasiyaan
meri zindagi ki hain tarjumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan



kabhi sooni subh main ghoomna
kabhi ujri shaamon ko dekhna
kabhi bheegi aankhon se jaagna
kabhi beete lamhon ko sochna
magar aik pal he ummeed ka
he mujhe Khuda ka jo aasra
na hi mene koi gila kiya
na hi mene di hain duhaaiyaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan


main bataoun kya, mujhe kya mile?
mujhe sabr hi ka sila mile
kisi aagahi ki rida mile
kisi dard hi ka sira mile
kisi gham ki dil me jagah mile
jo mera he wo mujhe aa mile
rahe shaad yoon hi mera jahaan
ke yaqeen me badle mera gumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

Nahi mil raha hey yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey



Nahi mil raha hey yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey
sun aey jus'tuju dey jawaab tu ke ley aai hey ye kahaaN mujhey!

wo sabaq meiN parrh ke bhula chuka ke osool banatey heiN zindagi
mujhey mantaqi si daleel dey, ye muhawarey na suna mujhey

tujhey kya khabar meiN dil meiN dard, leeye phi raha hooN ajab ajab
teri mashq puraani hey yaar tu, kya ghaao dey ga naya mujhey

nahi kuch gila ke ye sab hey kya, bhaley kuch ajab hey ye maajra
ke merey aek jurm pe baar baar, koi dey raha hey sazaa mujehy

ye jo chaahatoN ke bazaar heiN yahaaN bik raha hey sabhi magar
yahaaN kon ley ga wafaa ki jins, bhala kya miley ga nafaa mujhey!

merey hum'nawa bhala meiN kahaN, terey waastey mujhey bhool ja
tu ney khuwahishoN ke aoraaq par, kaheeiN likh dia to mitta mujhey

yuN diye na rakh merey haath pe ke katteiN ge nahi phir raastey
kabhi rok leiN gi baarisheiN to kabhi tang karey gi hawaa mujhey

kattaa zindagi ka katthin safar, meiN muflisi meiN maraa magar
meiN gulshanoN ka makeen tha, zara khushbuweiN to laga mujhey

Kab talak shama jali yaad nahi



Kab talak shama jali yaad nahi
Sham-e-gham kaise dhali ? Yaad nahi

Iss qadar yaad hai apne the sabhi
Kiss ne kya chaal chali yaad nahi

Hum zamane main kuch aise bhatke
Ab tu unn ki bhi gali yaad nahi

Abur tha jaam tha par app na the
Woh Ghari kaise talli yaad nahi

Kat gayi umar kissi tarah Qateel
Woh buri thi kay bhali? Yaad nahi

Meri Talib tha aik shukhss,woh jo nahi mila tu phir



Meri Talib tha aik shukhss,woh jo nahi mila tu phir
Haath dua se yun gira, bhool gaya sawal bhi

Uski sakhun taraziyan mere liye bhi dhaal thii'n
Uski hunsi mein chup gaya apne ghamo'on ka haal bhi

Gah qareeb-e-shahrug, Gah baeed wehm-o-khawaab
Uski rafaqato'on main raat hijr bhi tha visaal bhi

Uske hi bazo'on main aur usko hi sochte rahe
Jism ki khwaisho'on pe thy Rooh kay aur jaal bhi

Shaam ki nasamnjh hawa pooch rahi hai ik pataa
Mauj-e-haway-e koh-e-yaar bhi, Kuch tu mera khayal bhi

Kuch tu hawa bhi sard thi, Kuch tha tera khayal bhi


Kuch tu hawa bhi sard thi, Kuch tha tera khayal bhi
Dil ki khushi kay saath saath hota raha malal bhi

Baat woh adhi raat ki, Raat woh poorey chaand ki
Chaand bhi ain cheet ka,Ouss pe tera jamaal bhi

Sab se nazar bacha kay, woh mujhko kuch aise dekhta
Aik dafa tu ruk gayii Gardish mah-o-saal bhi

Dil tu chamak sakay ga kya?, Phir bhitarsh kay dekh lein
Sheeshagaran-e-shehar kay haath ka yeh kamaal tha

Isko na paa sakay thy jab, Dil ka ajeeb haal tha
Ab jo palat kay dekhein, baat thi kuch mahal bhi

Dukh afsana nahi kay tujh se kahein


Dukh afsana nahi kay tujh se kahein
Dil bhi mana nahi kay tujh se kahein

Ajj tak apni be-kulli ka sabab
Khud bhi jana nahi kay tujh se kahein

Aik tu hurf-e-ashnaa tha magar
Ab zamana nahi kay tujhse kahein

Ayy Khuda dard-e-dil bakhshish-e-dost
Abb-o-daana nahi kay tujh se kahein

Aik Woh kay faqat rooth kay janay kay liye tha


Aik Woh kay faqat rooth kay janay kay liye tha
Aur main kay Ousse roz mana'ne kay liye tha

Hum jis ki tamana mein huwe tark-e-duniya
Woh shukhss kissi aur zamaney kay liye tha

Ghairoon kay liye tumne jisse tor diya tha
Woh Ah'd-e-rafaqat tu nibhaney kay liye tha

Har bar woh dhoney se numaya hi huwa hai
Ik daagh jo ouss dil se mitanay kay liye tha

Ouss ko tu kabhi mujhse Muhabbat hi nahi thi
Yeh khel tu duniya ko dikhaney kay liye tha~

Chamaktey chaand ko toota huwa taara bana daala


Chamaktey chaand ko toota huwa taara bana daala
Meri awargi ne mujh ko awara bana daala

Bara dilkash, bara rangeen hai yeh shehar kehte hain
Yahan per hain hazaron ghar, gharoon main log rehte hain

Mujhe iss shehar ne galiyoon ka banjara bana daala
Main iss duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hoon

Naa mujhse bann saka chota sa ghar, din raat rota hoon
Khudaya ! TU ney kaise yeh jahan sara bana daala

Mere MAALIK ! Mera dil kyun tarapta hai Sulagta hai ?
TERI marzi, TERI marzi pe kiss ka zor chalta hai?

Kissi ko Gul, Kissi ko TU ney angara bana daala
Yehi aghaaz hona tha, Yehi anjaam hona tha

Mujhe barbaad hona tha, Mujhe nakaam hona tha
Mujhe Taqdeer ne Taqdeer ka mara bana daala!!

Ye Raaz-e-mohabbat chupa raha hai koi


Ye Raaz-e-mohabbat chupa raha hai koi
Hai Ashk ankhon mein aur muskura raha hai koi

Nazar nazar mein kissi ka aks dikha raha hai koi
Nafaz nafaz pey mujhe yaad aa raha hai koi

Dhoke hii dhoke hain saare waade aur kasmein Uski
Na aa raha hai koi aur Na jaa raha hai koi

Ye Husn-o-IshQ ki tasveer kay hain do manzar
Roo raha hai koi muskura raha hai Koi

Hashr mein Ponhche tu hum ney kya dekha
Kissi kay haath sey daaman Chhura raha hai koi..

Main khayyal hoon kissi aur ka,mujhe sochta koi aur hai



Main khayyal hoon kissi aur ka,mujhe sochta koi aur hai
Sar-E-Aaina mera aks hai,pas-e-aaina koi aur hai

Main kissi kay dast-e-talab mein hoon,tau kissi k hurf-e-dua mein hoon
Main naseeb hoon kissi aur ka mujhe maangta koi aur hai

Ajeeb aitebaar-o-bay aitebaari kay darmiyaan hai zindagi
Main qareeb hoon kissi aur kay mujhe jaanta koi aur hai

Meri roshni tere khaal-o-khad se mukhtalif tau nahi magar
Tu qareeb aa tujhe dekh loon,tu wohi hai ya koi aur hai

Tujhe dushmano'on ki khabar na thi,mujhe doston ka pata nahi
Teri daastaan koi aur thi,mera waaqia koi aur hai

Wohi munsifon ki rewaayatein,wohi faisalon ki ibaaratein
Mera jurm tau koi aur tha par meri saza koi aur hai

Kabhi laut aayein tau poochhna,nahi dekhna unhain ghor se
Jinhain raastay mein khabar huwi k yeh raasta koi aur hai

Jo meri riyaazat-e-neem shab ko  subah na mil saki
Tau phir is k ma'aani tau yeh huay k yahan KHUDA koi aur hai...!!!

Mere siwa sar-e-maqtal muqaam kis ka hai



Mere siwa sar-e-maqtal muqaam kis ka hai?
Kaho kay ab lab-e-qatil pe naam kis ka hai ?

Yeh takht-o-taaj-o-qaba sab inhey mubarak ho
Magar yeh nok-e-sanaa ehteraam kis ka hai?

Hamari lash pe dhoondo na unglion kay nishaan
Humein khabar hay azeezo! Yeh kaam kis ka hai

Fanaa kay haanptey jhonkhey Hawa se poochtey hain
Jabeen-e-waqt pe naqsh-e-dawaanm kis ka hai?

Tumhari baat tu hurf-e-ghalat thi, mitt bhi gayii
Utar gaya jo Dilo'on main woh kalaam kis ka hai?

Woh mut'mayeen thy bohut qatal kar kay Mohsin
Magar yeh zikr-e-wafa subah, shaam kis ka hai?

Aankh se door na ho dil se utar jayega



Aankh se door na ho dil se utar jayega
Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Itna maanuus na ho Khilvat-e-Gham se apni
Tu kabhi Khud ko bhi dekhega to darr jayega

Tum sar-e-raah-e-wafaa dekhte rah jaaoge
Aur woh baam-e-rafaaqat se utar jayega

Zindagii teri ataa hai to ye jaan'ne wala
Terii baKhshiish terii dehleez pe dhar jaaega

Doobte Doobte kashtii to ochhaalaa de doon
Main nahi koi to saahil pe utar jayega

Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
Zalim ab ke bhi na royega to mar jayega

Zikr-e-shab-e-firaq se wahshat usey bhi thi


Zikr-e-shab-e-firaq se wahshat usey bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka
Rasta badal ke chalane ki adat usey bhi thi

Us raat dair tak wo raha mahw-e-guftaguu
Masroof main bhi kam tha faraGhat usey bhi thi

Mujh se bichhar ke shehar mein ghul mil gaya wo shaKhs
Halanke shahar bhar se raqabat usey bhi thi

Woh mujh se barh ke zabt ka adi tha jee gaya
Warna har ek sans qayamat usey bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zaroorat usey bhi thi

Tanha huwa safar mein tu mujh pe khula yeh bhaid
Saye se pyar, dhoop se nafrat usey bhi thi

Mohsin mein ousse keh na saka yun bhi haal-e-dil
Dar pesh aik tazaa musibat usey bhi thi

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA


KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA

MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA

TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH’SHESHEN, SO NAHE RAHEN
MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA

MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA

MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA

MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar kay beech


Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar kay beech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar kay beech

Apni poshak kay chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar kay beech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na miley
Sholey ugtay nazar aay mujhy gulzar kay beech

Dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
Sar kasheeda mera saya saf-e-ashjar kay beech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar kay beech

Dekhe jatey na thy aanso mere jis say Mohsin
Aj hanste howe dekha usay aghyar kay beech

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai


Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai

Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai


Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai
Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai

Kisi Ki Yaad Mein Jo Zindagi Hum Ne Guzaari Hai
Hamein Woh Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai

Woh Aayein Ru-Ba-Ru Hum Dastaan Apni Sunayein Ge
Kuch Apna Dil Jalayein Ge, Kuch Unnko Aazmayein Ge

Dabe Paaon Hamein Aa Kar Kisi Ka Gud-Gudaa Dena
Woh Apna Rooth Jana Aur Woh Unnka Manaa Lena

Woh Manzar Jhaankte Hain Aaj Bhi Yaadon Ki Chilman Se
Bhula Sakta Hai Kaise Koi Woh Anzaad Bachpan Ke

Hamein Aata Nahi Hai Pyar Mein Be-Aabru Hona
Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafaa Mein Surkhuroo Hona

Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Maang Bhar Dein Ge
Yeh Dil Kya Cheez Hai, Hum Jaan Bhi Qurbaan Kar Dein Ge

Raazdaro se bachkar chalta hoon


Raazdaro se bachkar chalta hoon
ghamghusaaron se bachkar chalta hoon
mujhko dhoka diya sahaaron ne
ab sahaaron se bachkar chalta hoon
==

shab-e-gham ki seher nahih hoti
ho bhi to mere ghar nahin hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab-e-gham mukhtasar nahin hoti
==
maine masoom baharon mein tumhe dekha hai
main puurnoor sitaron mein tumhe dekha hai
mere mehboob tere parda nasheeni ki kassam
main ashqon ki kataroon mein tumhe dekha hai

Popular Posts