Sunday, July 4, 2010

Haath uthein hain magar lab pe dua koi nahi


Haath uthein hain magar lab pe dua koi nahi
Ki ibaadat bhi woh jiski jaza koi nahi

Yeh bhi waqt aana tha ab tu gosh har awaaz hai
Aur mere barbaad-e-dil main sadaa koi nahi

Aaa kay ab tasleem kar lein,tu nahi tu main sahi
Kon maneyga kay hum mein bewafaa koi nahi

Waqt ne woh khaak uraayii hai kay dil kay dasht pe
Qaafiley guzrey hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahi

Khud ko yun mahasur kar betha hoon apni zaat main
Manzilein chaaron taraf hain rastaa koi nahi

Kaise raaston se chala aur kis jagah ponhche Faraz
Yaan hujoom-e-dostaan tha saath yaa koi nahi

No comments:

Popular Posts