Sochta hoon mehfooz kar loon isey apne siney main lafz-o-beyaan ki tarah
Thori hi dair main yeh mulaqaat bhi khatam ho jayegi dastaan ki tarah
Yeh rafaqat bohut mukhtasir hai mere humsafar, laa mere haath main haath de
Tu hawa-e-sar-e-rehguzar ki tarah, main kissi nakht-e-raayehaan ki tarah
Haal zaalim shikari ki soorat mujhe,waqt ki ziin se baandh kar le chala
Mera maazi mere saath chalta raha door tak aik majbhoor MAA ki tarah
Sang-e-azaar ki barishein taiz thiin, aur bachne ka koi tareeqa na tha
Rafta rafta sabhi ne saron per koi behissi taan li sayebaan ki tarah
Khwahishon kay samandar se aik mauj uthi, aur sail-e-balaa-khez banti gayi
Jism kashti ki maanind ulat'ne lage, pairahan urr gaye baadbaan ki tarah
No comments:
Post a Comment