Aik hunar hai jo kar gayaa hoon main
Sab kay dil se utar gayaa hoon main
Kaise apnii hansii ko zabt karoon
Sun rahaa hoon kay ghir gayaa hoon main
Kyaa bataao'on kay mar nahii paataa
Jiite ji jab sey mar gayaa hoon main
Abb hai bus apna saamnaa darpesh
Har kisii sey guzar gayaa hoon main
Wohi naaz-o-adaa, Wohi Ghamzey
Sar-ba-sar aap par gayaa hoon maiN
Ajab ilzaam hoon zamaane ka
Kay yahaan sab ke sar gayaa hoon main
kabhi khud tak pohanch nahi paya
Jab kay vaaN umr bhar gayaa hoon main
Tum se jaana milaa hoon jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa hoon main
Kuu–e–jaana mein sog barpaa hai
Kay achaanak, sudhar gayaa hoon main
No comments:
Post a Comment