Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar kay beech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar kay beech
Apni poshak kay chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech
Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar kay beech
Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na miley
Sholey ugtay nazar aay mujhy gulzar kay beech
Dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
Sar kasheeda mera saya saf-e-ashjar kay beech
Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar kay beech
Dekhe jatey na thy aanso mere jis say Mohsin
Aj hanste howe dekha usay aghyar kay beech
No comments:
Post a Comment