Jins-e-duniya se guzar jatay hain
Aisa karte hain kay mar jatay hain
Kaise hotey hain bicharney walay
Hum yeh sochein bhi tu darr jatay hain
Dil jo tootey tu sar-e-mehfil bhi
baal bewaja bikhar jatay hain
Ab na dekho meri banjar ankhein
Chartey durrya tu utar jatay hain
Ab na mour mour kay pukaro unko
Log rastey main tehar jatay hain
Haali damaan se shikayat kaisi?
Ashk ankhon mein tu bhar jatay hain
Tum kahan jaoge socho Mohsin?
Log thak-haar kay ghar jatay hain
No comments:
Post a Comment