Friday, June 4, 2010

Kamaal-E-Ishq Hai Deewana Ho Gaya Hoon Main

Kamaal-E-Ishq Hai Deewana Ho Gaya Hoon Main, 
Ye Kis Ke Haath Se Daaman Chhuda Raha Hoon Main, 

Tumhi To Ho Jise Kehti Hai Naakhuda Duniya
Bacha Sako To Bacha Lo Ke Dubta Hoon Main, 

Ye Mere Ishq Ki Majburiyan Maaz-Allah, 
Tumhara Raaz Tumhi Se Chupa Raha Hoon Main, 

Is Ek Hijaab Pe Sau Be Hijaabiyan Sadke,
Jahan Se Chahta Hoon Tumko Dekhta Hoon Main, 

Batane Wale Wahin Par Batate Hia Manzil, 
Hazaar Baar Jahanse Guzar Chuka Hoon Main,

Kabhi Ye Zom Ki Tu Mujshe Chhup Nahi Sakta, 
Kabhi Ye Wahem Ki Khud Bhi Chhupa Hua Hoon Main,

Mujhe Sune Na Koi Mast-E-Baada-E-Isharat,
"Majaz" Tute Hue Dil Ki Ek Sada Hoon Main...

Main Kyon Na Tarq-E-Taluq Ki Ibteda Karta


Main Kyon Na Tarq-E-Taluq Ki Ibteda Karta, 
Wo Door Des Ka Baasi Tha Kya Wafa Karta, 

Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha, 
Main Hans Ke Zakhm Na Khata To Aur Kya Karta, 

Hazar Aaine Khano Mein Bhi Na Paa Saka, 
Wo Aaina Jo Mujhe Khudse Aashna Karta, 

Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna, 
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sun Liya Karta, 

Meri Zameen Tu Agar Mujhko Raas Aa Jaati, 
Main Rifaton Mein Tujhe Aasman Sa Karta, 

Gam-E-Jahan Ki Mohabbat Lubha Rahi Thi Mujhe, 
Main Kis Tara Teri Chahat Pe Aasra Karta, 

Agar Zuban Na Katti To Shaher Mein MOHSIN
Main Pattharon Ko Bhi Ek Roz Hamnawa Karta...

meri zindagi main bas aik kitab hai aik charagh hai

meri zindagi main bas aik kitab hai aik charagh hai 
aik khuwab hai or tum kahoo 
ye kitab o khuwab ke darmiyan jo manzalin hain, main chahhata tha 
Tum hare saath basar karoon 
Yehe kull assasa zindage hai is ko zardey safar karoon 
kise or semit nazar karoon to mere dua main asar na hoo 
mere dil ke jada khush khaber pey bajzar tumhare khabii kise ka ghuzar na hoo 
maghar is tarha ke tumhain be is ke khaber na hoo 
is ahtehat main sare omer ghuzar geye 
woh jo arzoo the kitab o khuwab ke saath tum be shareek ho woh he mar geye 
is kashmakhash ne kahe sawal utaye 
woh sawal jin ka jawab mere kitab main hai na khuwab main 
Mere Dil ke Jada khush khaber ke rafiq 
tum he bataoo phir ye ke karobar e hayat kis ke hisab main 
mere zindage main bas aik kitab or aik charagh hai 
aik khuwab hai or tum hoo 

kisi din meray ghar aao

kisi din meray ghar aao 
meray kamray main baitho 
aur aik aik shay ko ghour say dekho 
bookshelf main pari hooi kitaabain aur diarian 
guldaan main murjahay hooay phool 
daraaz main mojood cassettes 
deevaaron par khuday hooay horoof 
aur bister par naqash-e bay qarari 
yum par aayan karay ghi. 

kay meri aarzoun nay kis tarha tumhaari aarzoo ki 
aur kaisay meray khawaabon nay tumhaaray khawaab dekhay 

agar ho sakay to........... 
kisi din meray ghar aao.

Dhal gaee shaam intezaar-e-yaar main

Dhal gaee shaam intezaar-e-yaar main 
Hota hay yehi aksar aitbaar main 

Wo phool jo kisi kay piyaar main khilay 
Murjha gaye usi kay intezaar main 

Duniyaan ki ronaqain younhin simat gaeen 
Ban ker wafa nigaah-e-ashkbaar main 

Sazish nahin kisi ki qismat ki baywafaee 
Dooba hua jiger hay intishaar main 

Weeraniyon kay dayray zameen-o-aasman pay 
Kahin koi khushi nahin ikhtiyaar main 

Dherkan main jaagti jeeti jawan umang 
Qaid ho gaee hay kisi mazaar main 

Muskaan-e-shab koi chandi thi shayad 
Toota sitara daykha deedar-e-yaar main 

Khushboo khareed layna sasti milay jo shahm 
Girti hain roz qeematain lalazaar main.

Abh Kiya Lekhay Kagaz Per?

Abh Kiya Lekhay Kagaz Per? 
Abh Lekhnay Ko Kiya Baki Hai? 

Aik Dil Tha So Abh Toat Giya 
Lutnay Ko Abh Kiya Baki Hai 

Aik Shakes Ko Hum Nay Caha Tha 
Kuch Rate Per Naksh Banaiya Tha 

En Rate Kay Razuoo Ko Hum 
Nay Dil Mian Sajiya Tha 

Woh Rate Tuo Kabh Ke Bekhar Ge 
Woh Naksh Abh Kahan Baki Hain? 

Abh Kiya Lekhay Hum Kagaz Per 
Woh Jin Ko Hum Apni Nazmo 

Ka Anwan Banaiya keartay thay 
Woh Lafzo Ka Bana Kay Taj_Mahal 

Kagaz Per Sajaiya kertay thay 
Woh Hum Ko Akela Chor Giya 

Saab Ristuoo Say Mooh Moor Giya 
Abh Ristay Saray Sunay Hain 

Woh payra Abh Kahan Baki Hai 
Abh Kiya Lekhay Kagaz Per 
Abh Lekhnay Ko Kiya Baki Hai..............

khubsurat gulaabon jaisi

khubsurat gulaabon jaisi 
khawab aur saraabon jaisi 
thori si anmol thori si beqadar 
shayad suhanay khawabon jaisi 
woh aisi hi masoom si larki hai 

us ki baaton main saadgi behisaab 
us ki tabiat main dillagi lajawaab 
na woh afsaana hai na koi raaz 
us ki zindagi jaisay ek khuli kitaab 
woh aisi hi ek masoom si larki hai 

Mujhay roshni k jazeeron say

Mujhay roshni k jazeeron say ... 
Is tarhaan mili ho tum ... 
Jaisay taareek rahoon main ... 
Koi diya ho mad’dham sa ... 
Jis ki roshni main khud ko daikh to sakta hoon magar ... 
Yeh roshni ka safar shayad mera hamsafar na ho ... 
Shayad k tera milna kabhi bhi meri zindagi ka muqaddar na ho ... 
So aaj inhi lamhoon main ... 
Lota dain jitni chahatain hain ... 
Mere dil k nehaan khanoon main ... 
Jitni un kahi batain hain ... 
Phir kal fursat milay na milay ... 
Jis tarhaan saji hai aaj apni mehfil ... 
Phir yeh bazam sajay na sajay ... 
Kyon k main janta hoon ... 
Kay meri natamaam khuahishoon main ab ... 
Tumhain bhi shamil hona hai ... 
Aaj paya hai tumhain muqaddar say ... 
Kal isi tarhaan ... 
Tumhain bhi khona hai .

KAHA NA PIYAR HAI TUM SAY

KAHA NA PIYAR HAI TUM SAY 
TU PHIR KIUN ZIDD TUMARI HAI 
KAY JAB BHI TUM MILLO MUJH SAY 
YAHE IQRAAR HO LAB PEY 
MUJHAY TUM SAY MUHABBAT HAI 

TUMAIN MALOOM HAI JAANAN! 
MUHABBAT TU MUHABBAT HAI 
YEH TU AANKHONE MEIN DIKHTI HAI 
HASEEN SAY KHUWAB KEE SOORAT 
YEH TU EK PHOOL SA JAZBAA 
KAY JISS MAIN RANG BHI AUR KHUSHBUONE KA SATHH HOTA HAI 
BUHAT ANMOL JAZBA HAI 
YEH IZHAAR KI SHIDDAT KA TAALIB TU NAHINE HOTA 
BUHAT CHUP CHAAP JAZBA HAI, DABAY PAAONE HE CHALTA HAI 
MAGAR JO NAQASH ISS KAY HEIN BUHAT HE GEHRAY HOTAY HEIN 
UNHEIN KEHNA NAHINE PARTAA 
LAB TU KHAMOSH HOTAY HEIN, MAGAR IZHAAR HOTA HAI 
KABHI AANKHONE KI SHOKHI SAY, KABHI BAATONE K KHUSHBOO SAY 
YEH JAZBA CHHUP NAHINE PAATA 
YEH SAB BAATEIN MERI JAANAN! TUMHEIN MALOOM HE TU HEIN 
TUMHARI HE KAHI TU HEIN 
TU PHIR KIUN ZID TUMARI HAI KAY JAB BHI 
MAIN MILOON TUM SAY YAHE IZHAAR HO LAB PEY 
MUJHAY TUM SAY MUHABBAT HAI 

MAGAR TUM JAANTAY HO NA! TUMARI BAAT KO JAANAN 
NAHINE MEIN TAAL SAKTA HOON 
CHALLO IQRAAR KARTA HOON 
MUJHAY TUM SAY MUHABBAT HAI 
BUHAT ZEAADA MUHABBAT HAI .

Zindagi ki raahon main

Zindagi ki raahon main 
aik lamha lagta hai 
dil kisee pay anay main 
mujh ko bhi mila tha woh 
jis ko dekhtay hi dil 
betahasha dharka tha 
mujh se keh raha tha woh 
tum se pyar hai mujh ko 
muskura kay main nay bhi 
phool le lia us say 
haath haath main le kar 
pyar kay ata karda aasman pay hum dono 
chahtay thay saath urna 
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia 
haath haath se choota 
aik sitara jo toota 
tab khabar hui mujh ko 
aik lamha lagta hai 
dil kay toot janay main 
aur umar lagtee hai 
kirchian uthanay main

Isee khayal mein taron ko raat bhar dekhon

Isee khayal mein taron ko raat bhar dekhon 
Ki tujhey subah qayamat sey paishtar dekhon 

Is ek chiragh ki lau chubh rahi hai ankhon mein 
Taman sheher ho shanasa to apna ghar dekhon 

mujhey khud apni tabeyat pey aitemad nahi 
khuda karey key tujhey ab umer bhar na dekhon 

saday-e-gol bayaban na ho yeh awazah 
mera wajood hai pathar jo lut kar dekhon 

Nazar azaab hai pagon mein ho agar zanjeer 
faza key rang ko dekhun key bal-o-per dekhun 

juda sahi meri manzil bichar nahi sakta 
mein kis tarah tujhey auron ka hamsafar dekhon 

woh lab faraz agar kar sakein maseehai 
bakol-e-dard mein sau sau tarah sey mar dekhon

Mujhay appnay zabt pay naaz tha


Mujhay appnay zabt pay naaz tha 
sar-e-bazm raat yah kia hua 
meri ankh kaisay chalak gai 
mujhay ranj hai yah bura hua 
meri zindagi kay chiragh ka 
yah mezaj kuch naya nahi 
abhi roshni abhi teergi 
na jala hua na bujha hua 
mujhay jo bhi dushman-e-jan mila 
wo pukhta kar-e-jehan mila 
na kisi ki zerb ghalat pari 
na kisi ka teer khata hua 
mujhay rastay main para hau 
aik ajnabi ka khat mila 
kahin khoon-e-dil say likha hua 
kahin ansoun say mita hua 
mujhay humsufer bhi mila to woo 
sitam zareef meri tarah 
kai manzilon ka thaka hua 
kai raston main lutta hua

Dukh anmol hotey hain

Dukh anmol hotey hain 
qudrat ki wadeeat hain 
kabhi kuch dey k jaatey hain 
kabhi sub cheen laitey hain 
kabhi beychain kartey hain 
kabhi jeena sikhaatey hain 
kabhi bantey hain jub aansoo 
umar bhar lahoo rulaatey hain 
kabhi lub ki hunsi bun kar 
nayi dunya sajaatey hain 
kabhi meethi kasak ban kar 
anjaani khalish bun kar 
makeen-e-dil yeh bantey hain 
kisi soorat nahin mit'tey 
jo in say door bhaago tou 
kaheen jaaney nahin detay 
naa zinda rehnay detay hain 
naa yeh aazaad kartey hain 
nahin jiski dawa koi 
yeh aisa dard hotey hain 
magar yeh bhi ik haqeeqat hay 
hur aik ko to nahin miltey 
barey nayaab hotey hain 
Dukh anmol hotey hain!!

Titliyon k mausam main

Titliyon k mausam main 
nochna gulabon ka 

reet iss nagar ki hai 
aur janay kab se hai 

sheher k ye bashinde 
nafraton ko bo ker bhi 
intazar kerte hain 
fasl ho mohabbat ki 

bhool ker haqeeqat ko 
dhoondna sarabon ka 

reet is nagar ki hai 
aur jane kab se hai 

abhi tum naye ho na 
isi liye pereshan ho 
aasman ki jaanib 
iss tarha se mat dekho 

aafatain jab aani hoon 
tootna sitaroon ka 

reet iss nagar ki hai 
aur jane kab se hai 

khamshi mera sheva 
guftagoo hunar uss ka 
meri begunahi ko 
loag kese manain gay 

baat baat per jab k 
maangna hawalon ka 

reet iss nagar ki hai 
aur jane kab se hai 

ajnabi fizaoon main 
ajnabi musaafir se 
apne har ta'aluq ko 
daayemi samajh lena 

aur jab bichar jana... 
mangna duaaoon ka 

reet is nagar ki hai 
aur jane kab se hai

Kabhi kabhi main sochta hoon

Kabhi kabhi main sochta hoon 
keh khwaabon ko haqeeqat ka roop dena 
kitna mushkil hota hai 

Kitna mushkil hota hai 
seene se dil ko nikaal kar phaink dena 
thukraye jaane ke ehsaas se guzarna 
judai ko mehsoos karna 
uss waQt sambhaalna khud ko 
jab apne haathon hi 
khushyion ko dafan karna ho.. 

Mohabbat ko nafrat ki mitti mein dabaana ho 
Ehsasaat ko lafzon ki lari mein pirona ho 
kisi ko chahne ke ba-wajood pyar 
ke liye tarsana ho.. 

Kitna mushkil hota hai woh lamha.. 
jab yeh maloom hota hai keh 
kis ko be-intehaa chahne par sila miley sirf be-rukhi 
kisi ke paas hone ke ehsaas se guzar kar 
usey khud se door karna ho.. 

Kitna mushkil hota hai.. 
kabhi kabhi main sochta hoon.. 
keh 
yeh sab mohabbat mein hi kyun hota hai 
sochta rehta hoon main.. 

Lekin! haan main tau bhool gaya 
soch tau hai meri ek hadh tak.. 
Aur 
Mohabbat tau hoti hi la mehdood hai..

Kitne Bahane Dhoondta Hai Dil faqat usse Bhoolane Ko


Buhat Si Kitabein 
Buhat Si CDs Aur Cassetes 
Buhat Si Betuki Oppointments 
Doston se Phone Par Lambi Taweel Guftagu 
Yah Phir Uljhi Rahon Par Chalte 
Yonhi Waqat Bitana 
Be Simat Raston Par Bewajah Khaak Urana 
Yah Phir Net Ke Uljhawon Mein 
Be Tarah Khud Ko Uljhana 
Baat Be Baat Hansne Ke Bahanay 
Buhat Hain Khush 
Duniya Ko Dikhane Ko 
Kitne Bahane Dhoondta Hai Dil 
faqat usse Bhoolane Ko..........

Jaan ik buut pe fida kertay ho, kia kertay ho


Jaan ik buut pe fida kertay ho, kia kertay ho 
phir bhi umeed-e-wafa kertay ho, kia kertay ho 

hum se paiman-e-wafa kertay ho, kia kertay ho 
tark-e-dastoor-e-wafa kertay ho, kia kertay ho 

wada kertay ho wafa kertay ho, kia kertay ho 
jurm-e-qanoon-e-jafa kertay ho, kia kertay ho 

khak main hum ko milaya too khoob kia 
ab pasheman hoa kertay ho, kia kertay ho 

khoon-e-dil ashkoon se bola ye umeed ker kal raat 
aap hi aap baha kertay ho, kia kertay hoo 

gher jo zindaan hain, too werana bana dena tha 
dar-o-dewaar taka kertay ho, kia kertay ho

main tujhe chata nahi laikin...

main tujhe chata nahi laikin... 
phir bhi jab tu paas nahee hoti 
khud ko kitna udas pata hoon 
gum se apne hawaas pata hoon 
janai kya dhun samai rehti hai 
ek khamoshi si chaai rehti hai 
dil se bhi guftugu nahee hoti 

main tujhe chata nahi laikin... 
phir bhi shab ki taweel khalwat mein 
tere auqaat sochta hoon main 
teri hur baat sochta hoon main 
kaun se phool tum ko bhaate hain 
rung kya kya pasand aatai hain 
kho sa jata hoon teri janat main 

main tujhe chata nahi laikin... 
phir bhi ehsaas se nijaat nahi 
sochta hoon toh ranj sa hota hai 
dil ko jaise koi dubota hai 
jis ko itna sarhata hoon main 
jis ko is darje chata hoon main 
is main teri si koi baat nahi 

main tujhe chata nahi laikin........

cherey perhta, aankhain likhta rehta hoon

cherey perhta, aankhain likhta rehta hoon 
main bhi kaise batain likhta rehta hoon ? 

saray jism darakhtoon jaise lagtay hain 
aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon 

tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gia 
aarhi tirchi satrain likhta rehta hoon 

tere hijr main aur mujhe kia kerna hai 
tere naam kitabain likhta rehta hoon 

tujh se mill ker saray dukh dohraoon ga 
hijr ki sari batain likhta rehta hoon 

sookhay phool, kitabain, zakham judai ke 
teri sab soghatain likhta rehta hoon 

us ki bheegi palkain hansti rehti hain 
MOHSIN jab tuk ghazlain likhta rehta hoon 

Tu saawan ka pehla qatra

Tu saawan ka pehla qatra
tu barsaat ki pehli boond
tu barkha ki meethi rim jhim
tu matti ki meethi soond

jis bhi saaz pay barish gaa'ye
tu us geet ka pehla sur
jo bhi dil ki baazi paa'ye
tu us jeet ka pehla gur

jitni bhi hein piyar ki gazleiN
tu un sab ka pehla misra
jitnay bhi hein dil kay qissay
tu un sab ka pehla fiqra

tu awaz ka pehla jadu
khaamoshi ki aakhri dhun
jis nay tum say piyar kiya hay
us ki tu awaz bhi sun

tu is dil ki pehli dhaRkan
tu is aankh ka aakhri ashk
tu saaNso'n ki pehli halchal
tu jeewan ki aakhri kask....!!!!

Barisho'n k mausam main aur kuchh nahee hota

Barisho'n k mausam main

aur kuchh nahee hota,

log yaad aate hain,

chahato'n ki dharti par,

dil k gulsitano'n mai,

pehli boond parhte hi,

zakhm khilne lagte hain,

dard jaag utthey hain,

yaad aane lagte hain,

zindagi k wo lamhey,

jo guzarey jate hain,

aik umr mai sabko,

khushgawar lamho'n mai,

zindagi ki raho'n mai,

rootthna bhi hota hai,

tootna bhi hota hai,

sath chalne waley jab,

raah ko badalte hain,

to dafn karna parhta hai,

chato'n k lamho'n ko,

bhool na hi hota hai,

barisho'n k mausam main,

aur kuchh nahii hota,

chahato'n k wo lamhey,

phir se jaag utth'te hain,

zakhm khilne lagte hain..!!!

Har Haseen Mousam Ki

Har Haseen Mousam Ki
Har Haseen Barish Main
Dard Tum Jagatay Ho
Bewajah Sataatay Ho
Mousamoon K Lutf Ko Tum
Dard Main Bahaatay Ho
Zindagi K Naam Say Tum
Gi Mera Jalaatay Ho
Lutf K Sab He Lamhay
Yaad Main Ganwaatay Ho
Har Haseen Mousam Ki
Har Haseen Barish Main
Tum Kion Itna Yaad Aatay Ho ..??

Barishon Mein Bheeg Kar

Barishon Mein Bheeg Kar,
Wo Aksar Kaha krti Thi. . . .

Mujhe 2 chezaen Bhot pyari lagti han
ik Barish Aur Ik Tum,

Barish mujhe isliye Pyari lgti hai,
Q K barish Tmhari Yaden Le Kr Ati hai,

Tum mujhe isliye pyare lgte ho,
Q K tmhari Yaden,

Barish Ko or B Pyara bna deti Han,
Aj Barish Main Akele Bheeg Kr,

JANE Q. . !!!!!

Mera Dil Mjse Bar Bar Keh RAha Tha,
K Me Barish Ki hr ik Bound SePuchun,

Kya Usy Barish Aj Bhi Pyari Lagti HAin . . .

Agar hum door ho jayein

Agar hum door ho jayein ,

kahin duniya mein kho jayein ,

batao kya karo gi tum ?

Hamain dhoondo gi

ya Phir,

Hamain bhool jao gi ,

Hamain awaz do gi

Ya phir,,,

Kisi Guzri Kahani mein

Hamara Naam Likh Do Gi....

Chalo Aisa Hi Kr Lena

Tum Khud bhi Badal Jana...

Hamein Tum Bhol hi Jana,,,

Magar itni Guzaris Hay....

Hamara Zikr Jab aaye,,,

Thoda muskura dena...

Khushi ka ho ya Gham Ka ho,,,,

Bas Ek Aansu Baha dena....

Subha se shaam tak Ham Ko

Subha se shaam tak Ham Ko ...
Bohat se log miltay hain

Nigahon se guzartay hain

Koi andaaz tum jesa...

Koi humnaam tum jesa,,,

Magar, tum he nahin miltay

Bohat bechain phirtay hain,,,

Baray betaab rehtay hain,,,

Dua ko haath uthtay hain,,,

Dua mein ye he kehtay hain,,,

Lagi hai bheer logon ki...

Magar iss bheer mein Jaana..!

Kabhi, tum bhi nazar aao....

Kabhi, tum bhi nazar aao!!!!

Chupke chupke, sakhiyon se voh baatein karna bhool gayi

Chupke chupke, sakhiyon se voh baatein karna bhool gayi
Mujhko dekha, panghat pe toe, paani bharna bhool gayi 

Pehle shaayad usko mere chehre ka andaaz na tha
Mujhse aankhein takrayi toe, khud pei marna bhool gayi 

Sach puccho toe meri vajah se usko aisa rogg laga
Kaajal mehndi kangan bindiya se sawarna bhool gayi 

Kya jaane kabh ushse milne aa jaaoon ish khwaish mein
Chatt par beithi rehti hei voh chatt sei utarna bhool gayi

Tumharay raah badalney ki baat kis se karon


Tumharay raah badalney ki baat kis se karon
mein apnay khawb bikharnay ki baat kis se karon

abhi wo jaan-e-ghazal duur hai nighahon se
abhi mein jaan se guzernay ki baat kis se karon

abhi to hijer ki taarikiyaan hain chaaron taraf
abhi mein chand nikalnay ki baat kis se karon

abhi to apnay ghamo se nidhaal hain sabhi
abhi mein teray bicharney ki baat kis se karon

Alfaz ka jadu woh asay jagata kiyoon hai

Alfaz ka jadu woh asay jagata kiyoon hai
Her aek ko woh asay pagal banata kiyoon hai

Lamha lamha apnay her ik pal ki khaber daynay wala
Asay sab ki wafa ko azmaata kiyoon hai

Rona roay jo aj her pal kisi ki bewafai ka
Apni jhooti wafa k qisay sunata kiyoon hai

Ger ki thi us nay deewangi ki had tak muhabat
Aj kisi k galay mein wafa ki mala pehnata kiyoon hai

Kuch nahi hai sab khail hai lafzoon ki jadu gari ka
Khail asa khail ker woh hum ko berbad kerta kiyoon hai

Us nay tau ki thi janoon ki had tak muhabat
Phir aj woh lafzoo k teer chalata kiyoon hai

usay keh do ja ker asa khail na hum say khailay
Humein apnay aap say b beagana banata kiyoon hai

Na janay kab ho gee us k dil ki tamanah poori
Hamaray her aek rastay per kantay bichhata kiyoon hai

Huemin her pal khusi ko soghaat daynay wala
Aj humein khoon k ansoo rulata kiyoon hai

MAIN KUCH KEHNA KI IBTADA KESA KARTA

MAIN KUCH KEHNA KI IBTADA KESA KARTA
USS KI KHAMOSHI PA KOI SADA KESA KARTA......

JAB USS NA HANS KA TAL DENA THA
PHIR USS SA KOI GILA KESA KARTA....... 

YA JANTA HUA KISI AUR KA HONA HA
MERA SATH WO EHD-E-WAFA KESA KARTA.......

JAB WO KHUSH THA KISI AUR KA HONA MAIN
PHIR DIL USSA PANA KI DUA KESA KARTA.....

JISSA HUM SA KABHI MUHABAT NA HUE
WO SHAKS HUM SA KOI DAGHA KESA KARTA......

USS BHOLNA, KHUD KO SAMJHNA, KHUSH REHNA
MAIN YA SAB KAAM TANHA KESA KARTA.............

Phir Aaj Koi Ghazal Usk Naam Na Ho Jaye

Phir Aaj Koi Ghazal Usk Naam Na Ho Jaye
Aaj Kahin Likhte Likhte Sham Na Ho Jaye 

Kar Rahe Hain Intezar Usk Izhar-e-Mohabbat ka
Isi Intezar Mien Kahin umar tamam Na Ho Jaye 

Nahi Laite Hain Uska Naam Sar?e Aam Is Darr Se
Kahin Naam Uska Badnamam Na Ho Jaye 

Mangtay Hain Dua Jab Wo Yaad Atay Hain
K Judai Mere Pyar Ka Anjam Na Ho Jaye 

Sochte Hain Aksar Darte Hain Tanhai Mien
Uske Dil Mie Kisi Aur Ka Mukam Na Ho Jaye

Tumhin kis nay kaha pagli


Tumhin kis nay kaha pagli
mujhay tum yaad aati ho
bohat khush faham ho tum bhi
tumharai khush gumani hai
meeri ankhon ki surkhi main
tumhari yaad ka matlab???????
meeray shab bhar kay jagnay main
tumharay khwaab ka matlab???
yah ankhien to hameesha say hi
meri surkh rehti hain
tumhin malom hi hoga
is shahar ki faza kitni aloda hai
tu yah sozish,,ussi fizza kay bayes hai
tumhin kis nay kaha pagli
ka main shab bhar nhin sota
mujhay is nokri kay sab jhameelon say
kabhi fursat milay to tab hai na
meeri baaton main larzash hai???
main aksar kho sa jata hon??
tumhin kis nay kaha pagli
mohabbat kay ilawa aur bhi to dard hotay hain
fikar-e-muaash,sukh ki tlaash,
aisay aur bhi gham hain
aur tum
un sab ghamon kay baad aati ho
tumhin kis nay kaha pagali
mujhay tum yaad aati ho
yah dunya walay pagal hain
zara si baat ko yah to afsaana samjhtay hain
mujhay ab bhi yah pagal tera dewana samjhaty hain
tumhin kis nay kaha pagli!!!
magar shyed!!!!!!!
magar shyed main jhhota hon
main reeza reeza ,toota hon

Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi


Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat ka Hasil 0 Hisaal kuch Bhi Nahi,

Wo Hum se khafa thy to Jan Nikal Gayi thi Hamari,
Hum Unse khafa Hain to Unko Malal kuch Bhi Nahi,

Is Qadar Dukh Diya Hai Na Jane kis khata Par Hamen,
0r Hum Bhi Sabar karte Gaye kiya Sawal kuch Bhi Nahi,

Uski khushi Mein Hansne Wale khas Hain Ab Us k Liye,
Dukh Mein Us k Sath Hain Hum Or Hamari Misal kuch Bhi Nahi

Na tujhe chohrd saktey hain tere ho bhi nahi saktey


Na tujhe chohrd saktey hain tere ho bhi nahi saktey
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum roo bhi nahi saktey

Yeh kaisa dard hai pal pal hamhe tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai tou phir soo bhi nahi saktey

Chupa saktey hain aur na dikha saktey hain logun ko
Kuch aise dagh hain Dil par jo hum dho bhi nahi saktey

Kaha tou thah chohrd deyinge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhe paa tou nahi saktey magar kho bhi nahi sakte

Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tou
Jeeyein kaise ke tum sey door reh bhi nahi saktey

sherein bhi nahin , lelaa bhi nahin

sherein bhi nahin , lelaa bhi nahin
main heeer nahin , azra bhi nahin
wo qissa hain afsanaa hain
wo geet han prem tarana hain
MAIN zinda aik haqeeqat hun
Main juzba-e-ishq ki shiddat hun
main tumko dekh k jeeti hun
main her pal tum pe merti hon
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

jub haath dua ko uthtay hain
alfaaz kahin khoo jatay hain
bus dehaan tumhara rehta hai
aur ansoo behtay rehtey hain
her khowab tumhara pora ho
is Rub ki minnat kerti hun
main aesi muhabat kerti hon
tum kaisi muhabat kertey ho?


mujhay thundak raas nahin aati
mujhay barish se khauf aata hai
per jis din se maloom huaa
ye mosum tumko bhaataa hai
ab jub bhi sawan aataa hai
baarish mein bheegtii rehti hon
qatroon mein tumhi ko dhondti hun
bondoon se tumhara pochtii hun
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

tum jub bhi gher per aatay ho
aur sub se baatein kertey hoo
main aoot se perdey ki jaanaa'n
bus tumko dekhti rehti hon
ik tumko dekhnay ki khaatir
main kitni pagal hoti hun
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

jub darwazay per dustak hoo
yaa ghanti phone ki bajti ho
main chohrr k sub kuch bhaagti hon
per tumko jub nahin paati hon
jee bher k roonay lagti hon
main aesi muhabat kerti hon
tum kaisi muhabat kertey ho? 

Tamanna Ho Agar Milney Ki

Tamanna Ho Agar Milney Ki
Aankhon Main Nazar Aayenge
Lamha Lamha Waqt Guzer Jayega
Channd Lamhon Mein Daaman *** Jayega
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse
Kal Kya Pata Kaun Aapke Zindagi Main Aa Jayega
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hain
Hum Akele They Akele Hi Reh Jaate Hain
Dil Ka Dard Kissey Dikhaaye
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jate Hain
Waqt Tu Humey Bhula Chuka Hai
Muqqaddar Bhi Na Bhula Dey
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Kartey
Kyunki Darte Hain Koi Phir Se Na Rula Dey
Zindagi Main Hamesha Naye Log Milengey
Kahin Zyaada Toh Kahin Kamm Milengey
Aitbaar Zara Soch Kar Karna
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge
Khushboo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge
Sukoon Ban kar Dil Main Utar Jayenge
Mehsoos Karne Ki Koshish Toh Kijiye
Door Hotey Huye Bhi Pass Nazer Aayenge

Wafa ruswa nahi karna Suno aisa nahi krna

Wafa ruswa nahi karna Suno aisa nahi krna
Main pehlay he akela hon, Mujhy tanha nahi krna

Judai b jo aa jai, Tu dil chota nahi krna
Buhat musrof ho jana Mujhy socha nahi krna

Barosa b zarori hai Magar sab ka nahi krna
Muqadar phir muqadar hai, Kabi daawa nahi krna

Jo likha hai wahi ho ga Kbhi shikwa nahi krna
Meri takmeel tum se hai Mujhay adha nahi karna

Haqeeqat hai milan apna, Isay spna nai krna
Hamain tum yad rehtay ho, Hamen bhoola nahi krna ..

Kab Kon Kisi Ka Hota Hai

Kab Kon Kisi Ka Hota Hai
Sub Jhute Rishtey Naate Hain

Sub Dil Rakhney Ki Batein Hai
Sub Asal Roop Chupatey Hain

Mohabbat Ke Khali Log Yaha
Lafzo Ke Teer Chalete Hain

Ek Bar Nigahon Mai Agar
Phir Sari Zindagi Rulate Hain

Woh Jis Ne Diya Hai Asshk Humey
Ab Woh Hi Hum Ko Bhool Jatey Hain

taskeen na ho jis se woh raaz badal dalo

taskeen na ho jis se woh raaz badal dalo
jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

tum ne bhi suni ho gi bari aam kahawat hai
anjaam ka ho khatra aaghaz badal dalo

pur soz dilo ko jo, muskan na de paye
sur hi na mile jis se woh saaz badal dalo

dushman ke irado ko hai zahir agar karna
tum khel wohi khaylo andaz badal dalo

ay dost karo himmat kuch door sawera hai
gar chahte ho manzil to parwaz badal dalo

Jeene ke liye bhi waqt nahi

Jeene ke liye bhi waqt nahi……!!!!!!!!!!!!

Har khushi hai logon ke Daman main…
Par ek hansi ke liye waqt nahi…
Din raat daurti duniya main…
Zindagi k liye hi waqt nahi…



Maa ki loree ka ehsaas to hai…
Par Maa ko Maa kehne ka waqt nahi…
Saare rishton ko to hum mar chuke…
ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi…



Sare naam mobile mein hain…
Par dosti ke liye waqt nahi…
Gairon ki kya baat kahain…
Jab apno ke liye hi waqt nahi…



Aankhon main hai neend baree..
Par sone k liye waqt nahi…
Dil hai gamon se bhara howa…
Par rone ko bhi waqt nahi…



Paison ki daur mein aise daure…
K thakne ko bhi waqt nahi…
Paraye ehsason ki kya kadar karain…
Jab apne sapno ke liye hi waqt nahi…



Tu hi bata ae Zindagi…
Is zindagi ka kya hoga…
K har pal marne walon ko…
Jeene ke liye bhi waqt nahi……!!!!!!!!

Zindagi talkh haqeeqat kay siwa kuch bhi nahi

Zindagi talkh haqeeqat kay siwa kuch bhi nahi
Merey daaman mein silwatoon kay siwa kuch bhi nahi

Aik omar lagi taraashney mein khud ko magar
Mila haathoon ko zakhmoon kay siwa kuch bhi nahi

Bazahir dil to har aik baat par dharakta hai
Warna is mein teri murat kay siwa kuch bhi nahi

Raas aaya hi nahi haqeeqat kay ujaloon ka safar
Aur takhaiuul mein bhi andheroon kay siwa kuch bhi nahi

Main ney sehraa-e-zeest mein barsoon khaak chaani hai
Reh gaya jholi mein wehshatoon kay siwa kuch bhi nahi

Silsiley teri mulaqatoon kay, terey khayaal kay
Aur aankhoon mein ratjagoon kay siwa kuch bhi nahi

Kabhi jo dekhta hoon deevar-o-dar apney makaan kay
Nazar aata hai mujhey patharoon kay siwa kuch bhi nahi

Kia dhoondtey ho Waris~, khizaan ki manind wujood mein tum
Is shajar mein sookhey pattoon kay siwa kuch bhi nahi

Tum Rooth Jao Mugh se Aisa Kabhi Na Karna

Tum Rooth Jao Mugh se
Aisa Kabhi Na Karna

Main Ek Nazr Ko Tarsu
Aisa Kabhi Na Krna

Main Puch Puch Haroon
So So Sawal Kar k

Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna

Mugh se Hi Mil K Hasna
Mugh Hi Mil K Rona

Mujh se Bichar K Jee Lo
Aisa KABHI Na Karna

Tum CHAND Ban K Chamko
Me Dekhti Rahun Gi

KISI ROZ Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Karna

Tum Dur Jao Jab Bhi
Dekhon TUMHARA Rasta

Tum LOUT Kr Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna

Chalo ek ghar banayein hum


Chalo ek ghar banayein hum..
saja den uss ko phoolon se..
na deewarien 
na darwaze..
na koi uss me Rozan ho..
hamare apney sapno ki chatein sar par rahey har dam..
wahin Taron ka jhurmut ho..
wahin par chaand bhi nikley..
koi aisa banayein ghar..
jahan jharney ka pani ho..
jahan par har subha ek nit naye anzaad me kuch gungunati hon..
bhaley sadiyan guzer jayein..
qayamat aa ke mil jaye..
ye sapney na kabhi tootein..
Mere iss haath se ye Haath Tera na kbabhi chhootey..

Chalo ek ghar banayein hum

Pyar ke samandar me har utarney wale ko

Pyar ke samandar me
har utarney wale ko
Raasta nahi milta..
aor mil bhi jayey to..
badban nahi khultey..
Aor khul bhi jayein to..
NAKHUDA nahi milta..
Aor mil bhi jayey to...
Simt ke Tauuyun me
Umr beet jati hai..
Simt mil bhi jayey to..
Aaaney wale toofan ka..
Kuch pata nahi milta..
Ishq ke samandar me..
har utanney waley par..
imtehan utarta hai..
Aor Uss ke aagey phir..
Ek dasht E Gum Gashta..
Jiss me har musafir ko...bas bhatakna padta hai..
aor Uss ke aagey phirrr
Jo na khatm ho payein mushkilein wo sahra hai..
Mushlikon ko tayey kar le..hausla na gar chodey..Raah khatm honey par

Ek aisa RASTA hai..
Jiss ke khatm honey par..


Ishq karney wale se 
ISHQ khud hi milta hai...!!!!!

Dil Bhi Karta Hia Yaad Chhup Ke Tujhe


Dil Bhi Karta Hia Yaad Chhup Ke Tujhe,
Naam Leti Nahi Zubaan Tera, 

Ye Bhi Nahi Mujhe Malum, 
Kis Mohalle Mein Hai Makaan Tera, 
Kaunsi Shaakh-E-Gul Pe Raqsaan Hai, 
Rashk-E-Firdaus Aashiyaan Tera, 
Jaane Ki Vaadiyon Mein Thehra Hai, 
Girat-E-Husn Kaaravan Tera, 
Kisse Puchhunga Main Khabar Teri, 
Kaun Batlayega Nishaan Tera, 

Teri Ruswaiyon Se Darta Hoon, 
Jab Tere Shaher Se Guzarta Hoon,

Haal-E-Dil Bhi Na Keh Saka Garche
Tu Rahi Muddaton Qareeb Mere 
Kuch Teri Azmaton Ka Dar Bhi Tha, 
Kuch Khayalat The Ajib Mere, 
Aakhir Kaar Wo Ghadi Aayi
Baar-E-Dar Ho Gaye Raqeeb Mere, 
Tu Mujhe Chhod Ke Chali Bhi Gayi,
Khair Kismat Meri Naseeb Mere, 

Ab Main Kyon Tujhse Pyaar Karta Hoon,
Jab Tere Shaher Se Guzarta Hoon, 

Wo Zamana Teri Mohabbat Ka
Ek Bhuli Hui Kahani Hai, 
Tere Kuche Mein Umr Bhar Na Gaye, 
Saari Duniya Ki Khaak Chhani Hia, 
Lazzat-E-Qarb Ho Ke Zakhm-E-Firaaq, 
Jo Bhi Hai Teri Meherbaani Hia, 
Kis Tamanna Se Tujhko Chaha Tha, 
Kis Mohabbat Se Haar Mani Hia, 

Apni Kismat Pe Naaz Karta Hoon, 
Jab Tere Shaher Se Guzarta Hoon...

Dil Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha Hai

Dil Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha Hai, 
Tere Laut Aane Ka Imkaan Saja Rakha Hai, 

Saans Tak Bhi Nahi Lete Hain Tujhe Sochte Waqt 
Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hai  

Rooth Jaate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho 
Hum Ne Yah Soch Ke Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai 

Tum Jise Rota Hua Chhod Gaye The Ek Din 
Hum Ne Us Shaam Ko Seene Se Laga Rakha Hai  

Chin Lene Nahi Deta Ye Kisi Tor Mujhe 
Teri Yaadone Jo Toofaan Utha Rakha Hai 

Jaane Wale Ne Kaha Tha Ke Woh Laut Aayega Zaroor 
Ek Isi Aas Pe Darwaaza Khula Rakha Hai  

Tere Jaane Se Jo Ek Dhool Uthi Thi Ghum Ki 
Humne Us Dhool Ko Aankhon Mein Basa Rakha Hai...

Tera Kehna Hai...

Tera Kehna Hai... 
"Mujh Ko Khaliq-E-Kon-O-Makaan Ne 
Kitni Dhero Nematein Di Hain 
Meri Aankhon Mein Gehri Shaam Ka Daaman Kushaan Jadoo 
Meri Baaton Mein Ujle Mausamon Ki Gul Fishaan Khushboo 
Mere Lehje Ki Garmi Mauja-E-Gul Ne Tarashi Hai 
Mere Alfaz Par Qaus-E-Qazah Ki Rang Paashi Hai 
Mere Honton Mein Daisy Ke Gulabi Phool Ki Rangat 
Mere Rukhsaar Per Gulnaar Shaamon Ki Jawan Hiddat 
Mere Haathon Mein Pankharion Ki Shabnam Lams Narmi Hai 
Mere Baalon Mein Barsaaton Ki Raatein Apna Rasta Bhool Jaati Hain 
Mein Jab Dheeme Suron Mein Geet Gaati Hoon 
Tu Sahil Ki Hawaein 
Adh Khule Honton Mein, Pyase Geet Leker 
Saaya-E-Gul Mein Samet Kar Baith Jati Hain 
Mera Fun Soch Ko Tasveer Deta Hai 
Mein Hurfon Ko Naya Chehra 
Tu Chehron Ko Huroof Nau Ka Rishta Nazar Karti Hoon 
Zaban Takhleeq Karti Hoon " 
Tera Kehna Mujhe Tasleem Hai 
Main Maanti Hoon 
Usne Meri Zaat Ko Behad Nawaza Hai 
Khuda-E-Barg-O-Gul Ke Saamne 
Main Bhi Dua Mein Hoon, Sarapa-E-Shukar Hoon 
Us Ne Mujhe Itna Bohot Kuch Dedia...Lekin 
Tujhe De De Tu Mein Jaanoon!

Ghar Banana Chahta Hoon, Mera Ghar Koi Nahi

Ghar Banana Chahta Hoon, Mera Ghar Koi Nahi, 
Daman-E-Kohsar Mein Ya Daman-E-Sehra Ke Paas, 
Oonchi Oonchi Chotiyon Mein Sarhade Sehra Ke Paas, 
Mushaffaq Aabadiyon Mein Wusatay Tanha Ke Paas, 
Roz-E-Roshan Ke Kinare Ya Shub-E-Yulda Ke Paas, 
Is Pareshani Mein Mera Humsfar Koi Nahi...

Qareeb Maut Khadi Hai Zara Thaher Jao

Qareeb Maut Khadi Hai Zara Thaher Jao,
Qazaa Se Aankh Ladi Hia, Zara Thaher Jao, 

Thaki Thaki Si Fizayein Bujhe Bujhe Taare, 
Badi Udaas Ghadi Hai Zara Thaher Jao, 

Nahi Ummid Ki Hum Aaj Ki Sahar Dekhein,
Ye Raat Hum Pe Kadi Hia Zara Thaher Jao, 

Abhi Na Jao Ki Taaron Ka Dil Dhadakta Hai, 
Tamaam Raat Padi Hai Zara Thaher Jao, 

Phir Is Ke Baad Kabhi Hum Na Tumko Rokenge, 
Labon Pe Saans Adi Hai Zara Thaher Jao, 

Dam-E-Firaaq Mein Jee Bhar Ke Tumko Dekh To Lo'on, 
Ye Faisle Ki Ghadi Hai Zara Theher Jao...

Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein


Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein, 
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein, 

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti, 
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein, 

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron, 
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein, 

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao, 
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein, 

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta, 
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hia, 
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein, 

'Sagar' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai, 
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...

Kitni Azeeyat Se Usne Mujhko Bhulaya Hoga

Kitni Azeeyat Se Usne Mujhko Bhulaya Hoga, 
Meri Yaadone Uskko Khoob Rulaya Hoga, 

Baat Be Baat Yunhi Aankh Jo Teri Chhalki Hogi, 
Usne Chehre Ko Bazooun Mein Chhupaya Hoga, 

Socha Hoga Usne Din Mein Kayi Baar Mujhko,
Naam Hatheli Par Likh Likh Kar Mitaya Hoga, 

Jahan Mera Zikr Suna Hoga Usne Kisise, 
Uski Aankhon Mein Aansu To Aaya Hoga, 

Hoke Nidhaal Meri Yaadon Se Tune Jaana, 
Meri Tasveer Par Sar Tikaya Hoga, 

Raat Ke Bhigne Tak Nind Nahi Aayi Hogi Tujhe,
Tune Takiye Ko Bhi Baahon Mein Chhupaya Hoga, 

Puchha Hoga Jo Kisine Teri Halat Ka Sabab, 
Tune Baaton Mein Usse Khoob Chhupaya Hoga...

Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Saka

Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Saka, 
Wo Dhund Thi Ki Ye Manzar Kio Na Dekh Saka, 

Talash Karate Hue Ungliya Jala Dalin, 
Wo Tiragi Thi Ke Main Shama Bhi Na Dekh Saka, 

Mila Tha Shaam Mujhe Ek Bujha Hua Suraj, 
Main Uske Baad Phir Roshni Na Dekh Saka, 

Jo Rabt Baaki The Sab Qataa Kar Liye Usne, 
Wo Meherbaan Meri Bechaargi Na Dekh Saka, 

Nigaah Wiase To Baam-E-Falak Ko Chhu Aayi, 
Main Jis Zameen Pe Khada Tha Wahin Na Dekh Saka, 

Wahi Hai Aaina Khaana Wahi Hain Tasveerein,
Main Umr Bhar Koi Surat Na Dekh Saka, 

Tamaam Shaher Mein Wo Deedavaar Hua Mashoor, 
Wo Apni Naak Se Aage Kabhi Na Dekh Saka...

Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali

Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali,
Jaane Kis Arsh Pe Rehta Hai Khuda Shaam Ke Baad, 

Itna To Hota Nahi Khandir Shaam Ke Baad, 
Jitna Veeran Hua Jaata Hai Ghar Shaam Ke Baad, 

Toot Padti Ahi Nayi Roz Khabar Shaam Ke Baad,
Waqt Hota Hai Azabon Mein Basar Shaam Ke Baad, 

Meri Aankhon Se Baraste Hue Daryaon Mein,
Doob Jaati Hai Teri Reh-Guzar Shaam Ke Baad, 

Gher Lete Hai Mujhe Raaste Teri Yaadon Ke, 
Jab Bhi Karta Hoon Tere Baad Safar Shaam Ke Baad, 

Din Bhi Veeran Hi Guzarta Hai Hamara Lekin,
Aur Badh Jaata Hai Veerani Ka Dar Shaam Ke Baad, 

Hijar Ke Saaye To Har Roz Hi Aa Jaate Hai, 
Kya Kabhi Hoga Tumhara Bhi Guzar Shaam Ke Baad, 

Aankh Ban Jaati Hai Sawan Ki Ghata Shaam Ke Baad, 
Laut Jaata Hai Agar Koi Khafa Shaam Ke Baad, 

Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Shaam Ke Baad, 
Koi To Tha Ke Jo Deta Tha Dua Shaam Ke Baad, 

Shaam Tak Qaid Raha Karte Hai Dil Ke Andar, 
Dard Ho Jaate Hai Saare Riha Shaam Ke Baad, 

Khwab Takra Ke Palat Jaate Hai Band Aankhonse, 
Jaane Kis Jurm Ki Kisko Hai Saza Shaam Ke Baad, 

Maar Deta Hai Ujad Jane Ka Daheera Ehsaas, 
Kaash Ho Koi Kisise Na Juda Shaam Ke Baad, 

Laut Aaye Kisi Roz Wo Awara Mijaz,
Khol Rakhte Hai Isi Aas Par Dar Shaam Ke Baad...

Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aaya

Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aaya, 
Wo Shakhs Aisa Gaya Phir Nazar Nahi Aaya, 

Wafa Ke Dasht Mein Rasta Nahi Mila Koi, 
Siwaye Gard-E-Safar Humsafar Nahi Aaya, 

Kisi Chirag Ne Puchhi Nahi Khabar Meri, 
Koi Bhi Phool Mere Naam Par Nahi Aaya, 

Palat Kar Aane Lage Shaam Ke Parinde Bhi, 
Hamara Subah Ka Bhoola Magar Nahi Aaya, 

Hamein YaQeen Hai Wo Wafa Khilaaf, 
Ye Umar Kaise Kategi Aur Nahi Aaya...

Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya

Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya, 
Uska Mujhse Alag Raasta Ho Gaya, 

Wo Chala ThaaM Kar Haath Mera Magar, 
Bich Raaste Mein Mujhse Juda Ho Gaya, 

Koi Saya Nahi Tha Kadi Dhoop Mein,
Dil Pighalte Pighalte Fana Ho Gaya, 

Maine Dekha Jise Maine Socha Jise, 
Jisko Chaha Wohi Bewafa Ho Gaya...

Mujhe Yaad Mat Kiya Karo

Mujhe Yaad Mat Kiya Karo, 
Mujhe Dilke Aangan Mein Kahin Dafan Kar Do, 
Us Pe Charagh-E-TaManna Bujha Dalo,
Sar-E-Shab Teeragi Mein Guzre Din, 
Yun Talash Mat Kiya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Chandni Se Na Kuch Kaho,
Na Yun Hanso Na Baatein Karo,
Sar-E-Raah Apna BharaM Yun Tabah Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Gulistan Mein Koi Gul Khile,
Aur Koi Rahroo Use Tod Le,
To Hasrat Se Na Toka Karo, 
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

SaMandar Ke Paas Jao Kabhi
To Lehron Mein Paanv Dale Hue, 
Aati Jaati Maujon Se Yun
KalaM Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Sar-E-ShaaM ShafaQ Ko Dekh Kar, 
Yun Na Nazron Mein Bhar Liya Karo, 
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Kabhi Kholo Purani Dairy, 
To TaMaM Sefhey Padha Karo, 
Mera NaaM Dekh Kar
Safha Palat Mat Diya Karo, 
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Barasti Barish Mein Tehla Karo
Khoob Hanso Khoob Baatein Karo
Yun Katra Katra ThaaM Kar, 
Mera NaaM Mat Liya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Shab Ko Yun Guzaro Ke, 
Tanhayi Na Paas TuMhare Aaye, 
Na Dareechon Se Jhank Jhank Kar, 
TuMhe Chandni Sataye
To TuM Der Talak Chand Se
Yun Baatein Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Popular Posts