Friday, June 4, 2010

Dil Bhi Karta Hia Yaad Chhup Ke Tujhe


Dil Bhi Karta Hia Yaad Chhup Ke Tujhe,
Naam Leti Nahi Zubaan Tera, 

Ye Bhi Nahi Mujhe Malum, 
Kis Mohalle Mein Hai Makaan Tera, 
Kaunsi Shaakh-E-Gul Pe Raqsaan Hai, 
Rashk-E-Firdaus Aashiyaan Tera, 
Jaane Ki Vaadiyon Mein Thehra Hai, 
Girat-E-Husn Kaaravan Tera, 
Kisse Puchhunga Main Khabar Teri, 
Kaun Batlayega Nishaan Tera, 

Teri Ruswaiyon Se Darta Hoon, 
Jab Tere Shaher Se Guzarta Hoon,

Haal-E-Dil Bhi Na Keh Saka Garche
Tu Rahi Muddaton Qareeb Mere 
Kuch Teri Azmaton Ka Dar Bhi Tha, 
Kuch Khayalat The Ajib Mere, 
Aakhir Kaar Wo Ghadi Aayi
Baar-E-Dar Ho Gaye Raqeeb Mere, 
Tu Mujhe Chhod Ke Chali Bhi Gayi,
Khair Kismat Meri Naseeb Mere, 

Ab Main Kyon Tujhse Pyaar Karta Hoon,
Jab Tere Shaher Se Guzarta Hoon, 

Wo Zamana Teri Mohabbat Ka
Ek Bhuli Hui Kahani Hai, 
Tere Kuche Mein Umr Bhar Na Gaye, 
Saari Duniya Ki Khaak Chhani Hia, 
Lazzat-E-Qarb Ho Ke Zakhm-E-Firaaq, 
Jo Bhi Hai Teri Meherbaani Hia, 
Kis Tamanna Se Tujhko Chaha Tha, 
Kis Mohabbat Se Haar Mani Hia, 

Apni Kismat Pe Naaz Karta Hoon, 
Jab Tere Shaher Se Guzarta Hoon...

No comments:

Popular Posts