Saturday, September 5, 2009

amavas meiN nikalty thy to wehshat banT'ty thy,

amavas meiN nikalty thy to wehshat banT'ty thy,
kabhi sa'ye kabhi dil meiN bagulay nachty thy

ghani chaoN k neechy aaj wo sasta rhy haiN,
jo kal tak waqt se agy nikalna chahty thy

abhi jo mas'ala hay hurmat-e-alfaz ka hay
kahaN kasa ba-kaff thy, yaar ham kab mangty thy

tumheN malum hay ahwal us basti ka yaro?
wahaN k log sary ism-e-Azam janty thy

makaN se la-makaN tak hukmrani thi hamari
kabhi jinn-o-malak ham ko hi qibla janty thy

charagh-e-aasmaN, mehtab ye sary sitary
falak pr apni khatir hi to soty jagty thy

mery Mola (r.a.) to faysal aasmaN k rastoN ko
zameeN se bhi ziada jaanty pehchaanty hty...

bar bar kya krty eitbar kya krty

bar bar kya krty
eitbar kya krty

haar man beTha tha,
us pe waar kya krty

tu bata k tery bad,
mery yaar! kya krty

khud se bhi adawat thi,
tum se pyar kya krty

wo ana se khela tha,
derkinar... kya krty

pyar pyar hota hay
karobar kya krty

gham se pyar tha faysal,
ghamgusar kya krty

---------------------------

Dost! Rehta hy mujhy dhyan hmesha us ka

Dost! Rehta hy mujhy dhyan hmesha us ka
ab bhi rakhta huN maiN her cheiz meiN hissa us ka

wo to khair us k gali koochy thy us ka aangan,
ho gaya gaoN ko jata hua rasta us ka...

gham ne to ailchi hi maar di'ay haiN sary,
aur hay charoN taraf sara eilaqa us ka

dil-e-khasta ki terha pehna hy khirqa jis ne,
sochty rehty haiN khush-posh saleeqa us ka

jang baqi na rahi, reh gaya jany kesy,
mery ander kahiN jalta hua khaima us ka

ashk tasbeeh k dany haiN, giraty rahi'ay,
kabhi moqoof na kij'ay ga wazeefa us ka

haN try sath guzary hu'ay pal tery haiN,
haN meri umr-e-guzishta ka wo arsa us ka

ye to ham thy na hmaiN ho saka dhoka werna,
chand chehroN ne tarasha lab-o-lehja us ka

wo to kuch tujh se rah-o-rasm nikal aaei hay,
kis ko raas aata hay aafat-zada khitta us ka

--------------------------

Mahabbat

ajeeb se khadd-o-khaal wali,
k jis k chehry pe hijr k anginat nishanaat, zakhm ban kr khily hu'ay thy,
wo kitni sadiaN musafarat ki thakan ko oRhy huay thi,
us ka shikaasta lehja bata raha tha,
jo maiN ne pocha, "to kaun hay, kis nagar ki baasi, kahaN hay jana?"
to wo gharoor aur tamkinaat se kuch aisy boli,
(k khawb manzer meiN her taraf ik muheeb san'nata chaa gaya tha...
"mujhy nahiN janty ho tum kya?"
"siwa'ye mery kisi bhi shay ki koi haqeeqat nahiN jahaN maiN"
mujhy to khallaq-e-la'makan-o-makaaN azal se bana chuka hy,
Khuda-e-quddoos ne mujhy
apny dast-e-shafqat se un diloN k liay banaya, jo narm-o-nazuk haiN,
aur jin ki bunat meiN aab-e-hayaat shamil hay
aur mitti bhi khaas jan'nat se lee gaei hay...

suno! k Hafiz ka sara deewan meri mid'hat ki hay gawahi,
ye Meer-o-Ghalib ne meri khatir hi shairi ko sukhan banaya,
kisi bhi shay ki koi haqeeqat nahiN yahaN pr , siwa'ye mery,
sabhi "Mahabbat" k naam se mujh ko janty haiN...

meri taRap meiN machalny waloN ne mujh ko paaya,
main her kisi ko kahaN mayassar huN is jahaN meiN,
jo mujh ko pany ki justuju meiN laga hua ho,
to us ka maiN imtihaan leti huN pehly pehly,
k aaya qaabil bhi hay wo mery,
kisi ko kachy ghaRy pe darya meiN phainkti huN,
kisi k paoN meiN jhanjreN Daalti huN,
kanoN ko chaidti huN,
kisi ko maiN na'ra-e-An-al-Haq se daar tak ka safar karaoN,
utaar leti huN un k jismoN se khaal un ki

maiN jis k his'sy meiN aa gaei wo amar hua hay,
k manziloN ne khud aa k us k qadam liay haiN,
tamaam us ka safar hua hay,

jab apny bary baRi hi tafseel se wo mujh ko bata rahi thi,
sarapa-e-iltijaa bana maiN us k aagy khaRa hua tha,

sawaal hoNtoN pe aany waly,
sehar zada papRioN ki surat meiN Dhal chuky thy....

---------------------------

Riwaj

agar maiN tum se kahuN falak k tamam tary,
tumhary qadmoN meiN Dhair kr duN,
damakta chand aur dekhakta suraj,
ye aabsharoN k geet sary,
samundroN k sabhi kinary,
ye leh'lahaaty haseeN nazary,
tumhary sadqy meiN daan kr duN,
to kesy mumkin tumhary ander khushi ki lehreN na mojzan hoN,
magar haqeeqat jo ham se pucho,
sarab hoti haiN Jaan-e-Ejaz aisi bateN,
magar kreN kya, k dukh to ye hy,
isi terha ki bohat si bateN (saraab haiN jo),
tumhary jesy bohat se logoN ki mang thehreiN,
ye rishty naty, ye dosti k aTooT bandhan,
isi terha ki munafiqat hi pe pal rahy haiN,
ajeeb ter haiN ye log sary,
qusoor tera nahiN hay pyary,
k khud ko dhoky meiN rakhy rehna,
zamany bher ka riwaaj sa banta ja raha hay.....

--------------------------

tanha rahoon mein chalne waley manzil ka pata kahan jante hain

tanha rahoon mein chalne waley manzil ka pata kahan jante hain
ham to thokar khaney ko hi zindgi ka samaan jante hain

tum rehney wale ho kis nager ke kahan se aye mery dunia mein
ham to koe aisi zameen na aisa asmaan jante hain

hamry dil mein rehti hain sada se murjhaey howi umeedein
kab bahar ati hay kia janein ham to sirf khazan jante hain

dunia samjhti hay hamein kia kia khabar loog kia kahte hain
ham to tery har lafz ko apne liay aakhri farman jante hain

kabe masjid nahe gaey kabe mandir nahe daikha
ham to sirf tery naam ke azaan jante hain

muslim o esai hain kon hindo o yahoudi hain kia
hamry liay itna hi boht hey ham ko insaan jante hain

nafrat bhari dunia mein sirf gham o udasi hi miley gee  faysal
chal khushion ke nagar mein ham aisa ik jahan jante hain

chahy kuch bhee na rahy sary ka sara ja'ye

chahy kuch bhee na rahy sary ka sara ja'ye
chand ko apny hi aangan meiN utraara ja'ye

daikhna sail-e-rawaN aik qayamat ho gi,
is meiN apna koi Dooby ya tumhara ja'ye

paar kr aaya hay wo kacchy ghaRy pr darya,
is pe logoN ko ye zidd hay k dobara ja'ye

youN to sawan bhi tery bin nahiN kaaTy kaT'ta,
tu bata kesy desamber ko guzara ja'ye

ik anaa hay jo hmaiN rok rahi hay faysal,
wo to laut aa'ye ager us ko pukara ja'ye

JAANA dil ka shehar nagar afsoos ka hay

JAANA dil ka shehar nagar afsoos ka hay
tera mera sarah safar afsoos ka hay

Kis chahat sey shehar-e-tammana manga tha
Ab hathoon mein sagar Afsoos ka hay

Ik dhehleez pe jaa kar dil khush hota tha
Ab toh shehar mein har ik dil afsoos ka hay

Hum ney Ishq Guna sey bhar kar jaana tha
Aur dil pe pehlaa pathar afsoos ka hay

Dekhoo ess chahat k pairh ki shakhoon par
Phool ous hassi ka hay Samar afsoos ka hay

Koi pachtawa sa pachtawa hay FARAZ
Dukh ka nehi afsoos magar afsoos ka hay

zamany tu ne kari bohat hay,

zamany tu ne kari bohat hay,
jo ho chuki hay, yahi bohat hay

ye khawhish-e-wasl bhi ajab hay
kabhi nahiN hay, kabhi bohat hay

nahiN mili na mily mahabat
mujhy to la-hasili bohat hay

dikhaei deti nahiN hay, lekin
ye choT mujh ko lagi bohat hay

mazeed us ko nahiN batana
usy to ye aagahi bohat hay

Moaaf krna k khizr teri
yahaN talak rehbari bohat hay

jahaN nazer kuch nahiN hy aata
to kya wahaN roshni bohat hay?

kh'laa ki intaha tak aa gya hay

kh'laa ki intaha tak aa gya hay
wo mery naqsh-e-paa tak aa gya hay

meri neindoN k dushman, dast-e-furqat
tery band-e-qabaa tak aa gya hay

yahaN se waapsi mumkin nahiN hay
zamana Karbalaa tak aa gya hay

wohi jo baat bhi sunta nahiN tha,
wohi ab iltijaa tak aa gya hay

maiN tery jesa ho jaoN ga aakhir
k mujh ko bholna tak aa gya hay

hamari soch ka pehla paRao,
teri fikr-e-rasaa tak aa gya hay

tery hathoN meiN pehly ik diya tha
aur ab to aaeina tak aa gya hay

sitam phir se hmaiN seh'na hay  faysal
wo phir ehl-e-rayaa tak aa gya hay


----------------------------

Meri aankhon mein sitaron ke siwa kuch bhi nahin

Meri aankhon mein sitaron ke siwa kuch bhi nahin
Us ke aachal ke isharon ke siwa kuch bhi nahin

Tirre seene peh chamakte hain tirre shamsh-o-qamar
Mirri aaghosh mein taron ke siwa kuch bhi nahin

Main to karta hon shab-o-roz hi batain teri
Mirre honton peh saparon ke siwa kuch bhi nahin

Main samajhta hon keh hain dafn khazane is mein
Gher to khastah si jiddaron(dewaron) ke siwa kuch bhi nahin

Mujh se poocho to samunder mein nahati kirnain
Us ke purnoor nazaron ke siwa kuch bhi nahin

Main ne daikhi hain wohi aag mein jalti shakhain
Jin ki sochon mein baharon ke siwa kuch bhi nahin

Wo jo din raat chamakte hain mirri sochon mein
Us ke aanchal ke sitaron ke siwa kuch bhi nahin

Jub bhi daikhon to yehi kehti hain jalti aankhain
Hai to chehra pah shararon ke siwa kuch bhi nahin

Hai usse shauq keh gardaab mein doobe kashti
Mirri manzal to kinaron ke siwa kuch bhi nahin

Main samajhta hon keh hr cheez hai meri laikun
Mirri duniya mirre yaron ke siwa kuch bhi nahin

Wo to phirta hai kai phool sajaay  faysal
Tirre damun mein to kharon ke siwa kuch bhi nahin.

zameeN apna Thikana aasmaN hony se pehly tha,

zameeN apna Thikana aasmaN hony se pehly tha,
hamary sar pe sayaa sa'aybaN hony se pehly tha

diloN pr badshahat thi, kahiN pr saltanat bhi thi,
maiN kitna baish-qeemat, raaeigaN hony se pehly tha

mery khoon-e-gijar ko youN na be-maaya kaho sahib,
samunder bhi to qatra, be-karaaN hony se pehly tha

yahaN ab teergi ka raaj hay tum der se pohanchy,
mukamal dhoop ka suraj dhuaaN hony se pehly tha

ajab halaat ne ik dusr ko joR rakha hay,
wo jhagRa to dareeda badbaaN hony se pehly tha

chalo mana mahabat thi, magar ik baar to socho,
wo kitna ba-wafa ik imtihaN hony se pehly tha

mahabat hay to phir faysal, na maiN puchuN na tum socho
jo mery aur tumhary darmiyaN hony se pehly tha

murgh-e-ana hay daam k qurb-o-jawar meiN,

murgh-e-ana hay daam k qurb-o-jawar meiN,
qissa hay ikhtataam k qurb-o-jawar meiN...

kaghar pe be-dhyaan wo likhta chala gay,
ik naam apny naam k qurb-o-jawar meiN

shehr-e-khayal-e-yarjo bar-e-digar huN maiN
kuch gham thy mery kaam k qurb-o-jawar meiN

wo surkhi-e-falak, wo ghaTa, aur kohsaar,
ham thy haseen sham k qurb-o-jwarr meiN...

din phool titlioN meiN kaTa hay to raat ko,
jugnu haiN kush kharam k qurb-o-jawar meiN...
faysal ne toba ki hay k rindoN se dosti
tukRy paRy haiN jaam k qurb-o-jawar meiN...

--------------------------

jisy ab khastagi ka saamna hay,

jisy ab khastagi ka saamna hay,
usy girty falak ko thamna hay

ye tum pr hay k is rakht-e-safar ko,
hmaiN ab kholna ya bandhna hay

tery zimmy tha dil meiN beej bona,
mery zimmy ab in ko kaaTna hay

rida-e-gham mujhy aadhi na dena,
mujhy pory badan ko dhanpna hay

kari hay neind jis ne mery ander,
usy ab meri khatir jagna hay

naei basti na'ye chehry haiN faysal,
yahaN kis ne tujhy pechan'na hay

Amar ho jaooN.. mar janay say pehlay..

Amar ho jaooN.. mar janay say pehlay..
tumhaiN chu looN.. bikhar janay say pehlay..
tum ab zarrah kaho, ya khaak samjho..
maiN sheesha thi.. bikhar janay say pehlay..
safar maiN uski khushbu auRh rakhti..
woh mil jata agar.. janay say pehlay
uRa do yaad k saaray parinday..
jala do sab shajar.. janay say pehlay..
mere aanchal maiN chup kar khoob roya..
woh mujh ko choR kar janay say pehlay..
bohat say an kahay lafzoN k jugnu..
tumhaiN dainay haiN mar janay say pehlay..
musaafir lauT kar aatay kahaN haiN!
woh mera tha.. magar.. janay say pehlay..
yeh behr-e-hijr na gharqaab kar day..
tujhe faysal~.. utar janay say pehlay..

qariya-e-girya sajany ko gharoN se nikly,

qariya-e-girya sajany ko gharoN se nikly,
ham wo deewany thy jo deedawaroN se nilky

koi surat nazar aaye k ye halat ho bahaal,
koi tadbeer kye soda saroN se nikly

daam-e-sayyad jala aur hua khakastar,
kuch sharar paoN se kuch mery paroN se nikly

kon imdaad ko aata tha hawa-e-khud sar,
kon thy jo teri dastak pe gharoN se nikly

izn hi zaad-e-safar tha, tery hijrat zaady
be amaN be sar o samaN jo gharoN se nikly

kya tera zikr chiRa zikr-e-wafa se pehly
kuch khirad mand bhi aashufta saroN se nikly

--------------------------

naz kab tak uTha'aiN tery zindgi

naz kab tak uTha'aiN tery zindgi
tery bin ham to youNhi bhaly zindgi

konsy moR pr gum hu'ay kya khabar,
jo tujhy DhunDty reh ga'ay zindgi

dekh ley, soch ley, ja'ye gi tu kahaN,
uTh k ham bhi agar chal di'ay zindgi

khawhish-e-wasl ko ye batana paRa,
qurbateN maut haiN, faaslay zindgi

ain mumkin hay tera gala ghonT duN,
haN kabhi jo mera bas chaly zindgi,

us ko pa kr ye ehsas hony laga,
asl meiN thy kaThin rasty zindgi

faisla bad mein dena, pehly bata,
kitny lamhy bhala ham ji;ay zindgi

haaN sar-e-daar mery siwa kon tha
kis ne tujh ko lagaya galy zindgi

tera Shakir bhi DhunDy se milta nahiN
kon hay jo tujhy ab kahy zindgi
--------------------------

Kabhi Yaad Aye Tu Pochna

Kabhi Yaad Aye Tu Pochna
Zara Apni Khilwat e Shaam Se
Kise Ishq Tha Teri Zaat Se
Kise Pyar Tha Tere Naam Se
Zara Yaad Kero K Woh Koun Tha
Ju Kabhi Tujhe Bhi Azeez Tha
Woh Ju Jee Utha Tere Naam Se
Woh Mer Mita Tere Naam pe
Humain Berukhi Ka Nahin Gila
K Yahi Wafaon Ka Hai Sila
Mager Aisa Jurm Tha Koun Sa
Gaye Hum Dua Salam Se
Na Kabhi Visaal Ki Chah Ki
Na Kabhi Firaq Main Aah Ki
Kya Mera Tareeqa e Bandagi
Hai Juda Tareeqa e Aam Se..???


__________________

Kabhi khud hi mere paas aa

Kabhi khud hi mere paas aa
meri baat sun mera saath de
jo khalish hay dil se nikal ker
mujhe uljhanoon se nijaat de
tujhe sochna mera mashghala
tujhe dekhna meri aarzoo
mujhe din de apne khayal k
mujhe kurb ki aik raat de
meri zindagi mere saath chal
mere hath main apna haath de
mujhe gham khushi se kabool hay
jo tu ager mera saath de.......
__________________

Adhori batain he zindagi hain

Adhori batain he zindagi hain
wo gozri batain he zindagi hain
agar'chy dil ki udaas ujri hoe rotoun main
bikhar gae hain
kae zamanoun se sari batain
wo gozri batain
sulagti shamoun k jalte bujhte aalaao he main
pighal gae hain
adhori batain,zarori batain
ye khushk hoti hoe ragoun ki siyah qabron main neem murda
dasi hoe khawahishon k hamrah,gudhi hoe hain
ye aankh ki potlioun main thak k
khatakti palkon pe so gae hain
tamaam batain durust jana
tamaam khadshe baja hain lekin
har ek imkan-e-zindagi main
ragoun main aur roh ki zamen par
unhi ki yadain bhatak rahai hain
unhi k dam se zaaef jazbon,thitharte lafzon
bujhi tamannoun main ramaq hai
adhori batain he zindagi hain
wo gozri batain he zindagi hain,khayaal rakhna
adhori batain bhola na dena,zarori batain
wo gozri batain bhola na dena
khayaal rakhna.......khayaal rakhna

~`~iss qadar chair na tu hum sey preshaano ko~`~

~`~iss qadar chair na tu hum sey preshaano ko~`~


iss qadar chair na tu hum sey preshaano ko
raakh kar dayngay jala kar teray aaiwaano ko

chaak seenon sey har ek simat sharrar phaylayn gay
hum ko haajat nahi seeney ki greebano ko

tum samajhty ho key dab jaaiy gi aawaz mere
kaat daynay sey meray jism ki shariiyano ko

jis ki raato main utarta tha chamkta suraj
ab wohi sehar toh sharmaay hai weerano ko

woh toh kahiye key hai kuch zabt ka
warna aata hai chaalkna mery paymaano ko
__________________

~`~Kisi ranjish ko hawa do k main zinda hoon abhi~`~

~`~Kisi ranjish ko hawa do k main zinda hoon abhi~`~

Kisi ranjish ko hawa do k main zinda hoon abhi

Mujh ko ehsaas dila do k main zinda hoon abhi

Mere ruknay se meri saansain bhi ruk jayengi

Faaslay or barha do k main zinda hoon abhi

Zehar peenay ki to aadat thi zamanay waalon

Abb koi or dawa do k main zinda hoon abhi

Chalti raahon main tunhi aankh lagi hai

Bheer logon ki hata do k main zinda hoon abhi
__________________

Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko

Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein Sula Dey Mujh Ko

Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko

Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko

Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko

Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar JAoun Kahein
Main Houn Saktey Mein Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko

Dekh Main Ho Gya Houn Badnaam Kitboun Ki Trah
Meri Tashheer Na Kar Ab To Jala Dey Mujh Ko

Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata HAi
Aisy Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko

Aur Kuch Nahein Manga Meray MAlik Tujh Sey
Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dey Mujh Ko

Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nighal Jata HAi
Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko

Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko

koi choudvin ka chand ban ker tumahray tasawur mein aaya tu hoga

koi choudvin ka chand ban ker tumahray tasawur mein aaya tu hoga
kisi se tu ki hogi tum ne mohbat kisi ko galay se lagaya tu hoga

tumaray khayalon ki angrahiyun mein meri yaad ka phool mehka tu hoga
kabi apni aankhon ke kajal se tum ne mera naam likh kar mitaya tu hoga

labon se mohabbat ka jadu jaga kar bhari bazm mein sab se nazrein bacha kar
nigahon ki rahon se dil mein sama kar kisi ne tumhein bhi churaya tu hoga

kabhi aainay se nigahein mila kar jo lee hogi bharpur angarai tune
tu ghabarake Khud teri angaraiyon ne tere husn ko gud_gudaya tu hoga

nigahon mein shama-e-tamana jala kar taki hongi tum ne bhi rahein kisi ki
kisi ne to vada kiya hoga tum se kisi ne tumhein bhi rulaya tu hoga

Nigahon ke samandr ka thikana chahta hun

Nigahon ke samandr ka thikana chahta hun
Mujhe tum se mohabbat hai btana chahta hun

Tumhen mein pyar krta hun ye DIL ki awaz hai lekin
Ye hi ek baat mein duniya se chupana chahta hun

Tum se milta nhi phir b mere DIL mein rehte ho tum
Dharkan is DIL ki tum ko sunana chahta hun

Mera ghar tu roshan hai mere Naam se lakin
Tumhare Naam se jeewan sajana Chahta hun

Mujhe her haal mein tum se "AQIDAT" hai "MOHABBAT" hai "faysal"
Tumhare pass aane ka "BAHANA" chahta hun


Uski Rukh-e-Mahtab Us K Hath Choom Lon,

Uski Rukh-e-Mahtab Us K Hath Choom Lon,
Jo Bas Chalay Toh Uski Har Baat Choom LOn,

Chu JAye Agar Usko BArish Ki Boond,
WOh Boond Kya, Barish Kya, Mousam-e-Barsat Choom Lon,

Aa Jaye Jo Kabhi Khuwab Bhool Kar,
Woh Khuwab Kya, Neend Kya, Woh Raat Choom Lon,

Mujhe Kuch Nahi Chahiye Bas Khaali Hath Pay Mere,
Rakh Day Woh Apna HAth, Main Woh Hath Choom Lon,

Woh Rota Hua Lag Jaye Mere Seenay Se,
Main Uski Honth, Uski Aankhein, Uski Saari Zaat Choom Lon...!!!
---------------------
__________________

Popular Posts