Sunday, August 11, 2013

Apne maazi se jo virsay main mile hain hum ko


Apne maazi se jo virsay main mile hain hum ko
In asoolon ki tijarat nahin hogi hum se

Ehd-e-Hazir ki her ik baat humain dil se qabool
Sirf toheen-eriwayat nahin hogi hum se

Jhoot bhi bolain, sadaqat ke payambar bhi banain
Hum ko bakhsho, ye siyasat nahin hogi hum se

Zakhm bhi khayen, raqebon ko duain bhi dain
Itni makhdosh sharafat nahin hogi hum se

Hai ita’at ke liye apna faqat aik khuda
Na-khudaon ki ita’at nahin hogi hum se

Gher mashroot rafaqat ke tarafdar hain hum
Shart ke saath rafaqat nahin hogi hum se

Sirf ye batain agar aap gawara karein
Aap ko koi shikayat nahin hogi hum se

wohi firaq ki baatein wohi hikayat-e-wasl

wohi firaq ki baaten wohi hikayat-e-wasl..
       Nai kitaab ka ek ek warq purana tha.....!! 

Kuch Aisay Haadsay Bhi Zindagi Mein Hoty Hain

Kuch Aisay Haadsay Bhi Zindagi Mein Hoty Hain
K Insan Bach To Jata Hai Mager Zinda Nahi Rehta.

Teri nafrat mein woh dam nahi jo meri chahat ko mita de

Teri nafrat mein woh dam nahi jo meri chahat ko mita de
Meri chahat ka samandar Teri soch se bi gehra hai

Hum Na Badlenge Waqt Ki Raftaar Ke saath

Hum Na Badlenge Waqt Ki Raftaar Ke saath
Jab bhi milenge Dekh Lena Andaz Purana Hi hoga

Kaif e hayaat tere siwa kuch nahi raha

Kaif e hayaat tere siwa kuch nahi raha
teri qasam hai tujh se juda kuch nahi raha

wallah sub rutain hain pareshan teray baghair
wallah mousamoun ka maza kuch nahi raha

toufan sahiloun ko uratay chalay gaye
kaisay kahon k kuch bhe raha kuch nahi raha

afsoos zakhm-e-jan ka marham nahi naseeb
afsoos dard-e-dil ka dawa kuch nahi raha

ham mekashoun pe kufr k fatwe diye gaye
ehl e khuda ko khouf e khuda kuch nahi raha

ham tu wafa parast rahain gain tamaam umar
mana k unko pas-e-wafa kuch nahi raha

kaify main kis tarha se wo manzar bayan karoun
main ne jo roo k un se kaha kuch nahi raha

dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha

dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha
aag sehra mein lagi aur dhuwan ghar se utha

dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha...

taabish e husn bhi thii aatish e dunya bhi magar
shola jis ne mujhe phoonka mere ander se utha

dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha

kissy mosum ki faqeerron ko zarort nai rahi
aag bhi aber bhi , toofan bhi saager sy utha

dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha

chand say shikwa balab hon ky sulaya q tha
main kay khursheed- e- jahantab ki thoker sy utha

dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha

safar shuroo waseeat tamaam kerta hoon...by faisal ajmi


pukarta hoon to najane kahan se aate hain...by faisal ajmi


Loog heeraan thay kirdaar ki dushwari per...by faisal ajmi


Khud apna haath jalata raha charage se main...by faisal ajmi


Dhoond k gehre samandar se guzar aaya hoon... by faisal ajmi


Hamaray dil ne Tumhain bhulanay ki thaan li hai

Hamaray dil ne
Tumhain bhulanay ki thaan li hai
Magar ye mumkin hi kis tarha hai tumhain bhula dain
Hamari palko’n ki chilmano’n mein tumhara chehra chupa hua hai
Tumhain jo dekha
Hamari dharkan k taar baajay
Khananan khananan chooriya’n pukarain
Chananan chananan payalo’n ne cherra, fazain jhoomain
hathelio’n ko hina ne chooma to choomti hi chali gai hai
Ye zulf gainday ki khushbuo’n mein rachi basi hai
Tumhain jo dekha
Hawa ne sargoshio’n mein poocha
Ho khoi khoi c kis liye tum?
Suno saheli chupa rahi ho. .
Tumhain muhabbat hui kis se?
Tumhain muhabbat hui kis se?

main tanhai ka haasil hoo gaya hoon


Ghum-gashta mohabbat k khwabon ki tarah hai

Ghum-gashta mohabbat k khwabon ki tarah hai
Woh rooh k sehra mein sarabon ki tarah hai

Wo zeest k maktab mein nisabon ki tarah hai
Parhta hoon usse roz, kitabon ki tarah hai

Ab un se khayalon mein hii ho jatii hien baatien
Gou beech mein parda sa hijabon ki tarah hai

Us shaks k lehjay mein sheeshay ki khanak hai
Rug rug mein uterta hai, sharabon ki tarah hai

Us shaks k paikar mein hai shaakhon ki lachak si
Us shaks ka chehra bhee gulabon ki tarah hai

Dunya mein koi uska khareedar hi nahin


Dunya mein koi
uska khareedar hi nahin ...

Mein beychta zaroor,
jo bikta mera naseeb..!

Tere Sang bitaya hua har lamha yaad ata hai mujhko

Tere Sang bitaya hua har lamha yaad ata hai mujhko,
Chale aao ke yeh hijr ki raatain bohat rulaati hain mujhko,

Tere aashiyane ko jaana, hum bhala kese aajaye,
Tere sheher ke log bohat satate hain mujhko,

Tu chahe kitna hi chupaa le, Mein phir bhi janta hoon,
Teri soch har mehwar yaad karta hai mujhko,

Khud mein jhaankta hoon tou yeh khayal ata hai,
Bin tere jeena bhi muhaal lagta hai mujhko,

Mein andheron ki nagri ka kamzor sa musafir,
Ab ujaalon ki musaaftain kahan raas ati hain mujhko,

Tere deed ki pyaas hi ab taskeen deti hai,
Teri miti huyi arzuyain hi chain deti hain mujhko,

Ae Husnain tamasha dekhne wale koi kam tou na they,
Ruswayiyon ke soghaat diye tere apnon ne mujhko..

Beeti huyi ruton mein kho sa gaya hoon

Beeti huyi ruton mein kho sa gaya hoon,
Chale aao ke teri yaad mein mar sa gaya hoon,

Teri kalaam karti ankhen, Tera muskurata chehra,
Un ki deed ko ab mein taras sa gaya hoon,

Woh aik pal ka milna dushwaar kar gaya mujhko,
Ke bagher ab tere mein toot sa gaya hoon,

Tere bicharne ki duhaayi doon ya bhula doon tujhko,
Tujhe yaad karte karte ab thak sa gaya hoon..

Mohabbat ka rasta itna doshwar kion hai?

Mohabbat ka rasta itna doshwar kion hai?
Sehme hoe paton me bhi itni sansanahat kion hai?

Nikal dia tha joo hum ne use zindagi se apni
To bhari mehfil me abb, uss ki yad kion ati hai?

Ikk modat k bad ae hain hum tere sheher me
Tere baghair ye sheher itna odas kion hai?

Hamare sath to kisi ki subh-o-sham hoa karti thi
Tujh se bichar kar abb hum zinda kion hai?

Pighal jate hain kohsar bhi mohabbat ki sadaqt par
Tera dil phir itna be dard kion hai?

Kitne chehre hain abb hamare aass pass
ankhon ko bus teri deed ki hi pias kion hai?

Takara jate the hum har aik tofan se
Tere shehar k tofan se itni dehshat kion hai?

Sabhi diwane ho jate hain chand ko daikh kar
Phir chand me bhi aik dagh kion hai?

Khosh ho agar tum apnon ki ridaon me
Teri ankh me phir yee annso kion hai?

Tujhe bhala k bhi na bhola paen hum
Iss bat par phir humen itna malal kion hai?

Lag jo jati hai nazar tujhe bhare sheher me
Apne ashiane se phir to nikalti kion hai?

Rond dale the jo tum ne phool sar-e-mehfil
Un golabon me abb bhi itni nazakat kion hai?

Toor die the sabhi rishte hum ne usi din
Ajj bhi phir humen tera intizar kion hai?

Bus choke the tum mere dil me dharkan ki tarah
Tere bin abb jene ka hosala kion hai?

Har aik hi pakeza hai hum se hath milane wala
Tere asteen me phir chopa sanmp kion hai?

Nafrat si ho gai hai humen apni sorat se
Mere kamre me phir aina kion hai?

Mang choka tha maffi me apne kie ki
Tere dil me phir bhi mere lie itni nafrat kion hai?

Raas jo aa gai hai abb khoshi tere jane k bad
Hamari shairi me abb bhi itna ranjh kion hai?

Tapak k gir jate hain mere annsoo

Tapak k gir jate hain mere annsoo
 Yaad karta hon mein jab bhi tere annsoo

Baha rahi hai to apni ankhon se jo
 Anmool kitne hain mere liye ye annsoo

Yaad hai mujh ko to kaha karti hai
Sachi mohabbat ka sabot hote hain annsoo

Toot k bikharane laga hon main
Rook na pata hon jab yee annsoo

Karta nahin hai rad Khoda bhi duaon ko
Nikal ate hain jab ankhon se suche annsoo

Yahi soch kar abb bahate hain jii bhar k
Suna tha k arash hila daite hain annsoo

Odas hota hai jab bhi ye nela asman
Baha daita hai zameen ki khatir apne annsoo

Dard jab bhoj ban kar dil par chata hai
Aise me dil ko sakon daite hain annsoo

Hota hain nadam jab apne gunahon par koi
Bahata hai Sajade me ja kar phir annsoo

Bhale lakh chopae koi apne dil ki batain
Dil ka har sach beyan kar daite hain annsoo

Nikal de  apni palkon se iss darya ko
Ankhon me teri , abb jhachate nahin hain annsoo

Iss par bhi daikha uss par bhi daikha

Iss par bhi daikha, uss par bhi daikha
Mohabbat kahen bhi nahin, dunia ko azma k bhi daikha

Karte hain nafrat jahan bhar k log
Tere sheher k koche me aa k bhi daikha

Mafad k andheron me sub jakare hoe hain log
Nazar k deyyon ko hum ne jala k bhi daikha

Samjha nahin koi bhi hamare dard ki shidat ko
Har aik ko hal-e-dil suna k bhi daikha

Bharte nahin hain zakham hamare kisi bhi tarah se
Apni ankh ka har anso hum ne gira k bhi daikha

Kharida nahin hum ko kisi ne bhi nilami me
Khod ko sar-e-bazar pesh kar k bhi daikha

Bholate nahin ho tum , humen zindagi k safar me
Dar-e-hijar me kai bar bhola k bhi daikha

Ata nahin hai wapis ,kabhi beta hoa zamana
Lamhat ki dor ko wapis ghoma k bhi daikha

Ate nahin ho kabhi bhi hamare khawabon me
Ankhon ki nagari ne tujh ko bola k bhi daikha

Bhola nahin pate hain tujh ko kisi bhi tarah se
Ghairon ko pehlo me, bitha k bhi daikha

Chorati nahin hain pecha teri batakati hoi yadain
Tere shehr-e-ashwab ko chor k bhi daikha

Kash wo rok jati ,aik pal k liye to
Mohabbat k waste us ko de k bhi daikha

main ne har dour mein insaan hi marte dekha


aye ehd-e-rafta


doobi hain lahoo mein


Mujh se kehne lagi

Mujh se kehne lagi…
Bad us k…
Shaid na milain dubara…
Shaid akhari mulaqat hai yee…
Mere sare cards…
Sabhi tasveren…
Jala daina…
Mohabbat ki solo par charh jana…
Mujhe abb bhol jana
Jo waqat hum ne guzara tha…
Use abb bhol jana
Aur yad rakhana…
Tumhare beghair ye zindagi guzar to jae gi
 Lakin…
Siskiyon bhari ahon me…
Ashkon bhari palkon me
Ghamon ki jageron me…
Hijar ki karwi raton me
Mohabbat ki jostajo me…
Kanton ki taj me
Mot ki anghan me
Khod se batain karte karte
Guzare gi…
K jaise…
Koi jisam ka hisa chin gea ho mujh se…
Aur kehte kehte…
Us ki ankhain nam ho gaen
Aur itne me barish ho gai
Aur pholon se khoshboo door ho gai
Aur kehne lai…
Suno…
Kheal rakhna apna…
Apne lie nahin ti kisi aur k lie…
  mein pochon gi khawabon me aa kar…
Bus yahi soch kar…
Ajj khod ka kheal rakhata hon…
K agar wo mill jae
To khafa na ho jae
Khawabon me…

Bata to sahi teri be rukhi ka sabab kia hai

Bata to sahi teri be rukhi ka sabab kia hai
Salon ki nafraton me bhi akhir rakha kia hai

Juda ho kar to kin ki sohbaton me chala gea
Ghairon ki mehfalon me bhi akhir rakha kia hai

Kanton k bistar hain abb hamare muqadar me
Pholon k sejh me bhi akhir rakha kia hai

Ban gae hai abb to kamzoor si nagari k musafir
Shohrat ki bolandiyon me bhi akhir rakha kia hai

Doob choka hon mukamal sumandar ki lehron me
Otare hoe sahil me bhi akhir rakha kia hai

Chor de dosti ,karte hain sabhi natak yahan
Zamane ki olfat me bhi akhir rakha kia hai

Dua hai Khoda se , abb kabhi na daikhon tujh ko
Teri deed k shoq me bhi akhir rakha kia hai

Mila hi laita hai abb ,tamam doston se hath apna
Purani dushmaniyan nibhane me bhi akhir rakha kia hai

Bhola de HUSSNAIN aur to kitna roe ga
Guzari hoi baton me bhi akhir rakha kia hai

Chor de HUSSNAIN likhana un ghazalon tehriron ko
Dard si bhari ahon me bhi akhir rakha kia hai

Meri chahat ka bharham talash kare gi

Mohabbat ko dunia bhar me talash kare gi

Aik din yohi dor chalte chalte
Jo kho gae wo raste talash kare gi

Tote hoye dil k baghon mein
Rafaqat k khole phool talash kare gi

Mere liye mange gi dua Khoda se
 Mere liye wo wasele talash kare gi

Ghantiyan bajate hoe apne dil ki
Meri wo hoi ahat talash kare gi

Meri sabbhi baton ko sach man kar
Khod me chopi khamiyan talash kare gi

Pherate hoe chori apni ragon par
Apne dard ki shidat talash kare gi

Kisi masom bache ko bitha kar samane apne
Meri wo adaen talash kare gi

Kari dhop me khare ho kar
Rida ka saibhan talash kare gi

Almari k kisi kone ko khol kar
Meri tasveer k tokare talash kare gi

Sari rat annso baha kar hamari yaad me
Subh ankhon me kajhal talash kare gi

Dil ki purani qabaron ki khodate hoe
Hasarton ki lashain talash kare gi

Thak jaye ga wo nafrat se jab bhi
Mohabbat k chope dar talash kare gi

Ja k khawabon ki dunia me wo
Bichara hoa mazi talash kare gi

Apni zaat ki talashi le kar
Khod me meri sans talash kare gi

Khod ko Qasmain de kar hamari
Chehre par apne muskarahat talash kare gi

Rasta pochate hoe kisi manzil ka
Mujh se bat karne k hele talash kare gi

Sanwarate hoe apni zolfon ko wo
Aine me meri sorat talash kare gi

Din wo bhi door nahin hai HUSSNAIN
Jab wo mujhe apni zaat me talash kare gi

Tujhe bhoolane ko ek pal chahiye


Maa meri achi maa


Chalte chalet mil hi jate hain raston mein

Chalte chalet mil hi jate hain raston mein
Maqadar jin k likhe hoon raston mein

Likh kar piar ki kuch lambi dastanain
Phenk aye wo khat onhin raston mein

Tujhe sochate hoye abb ghatan si hoti hai
Chor aye hum teri yadon ko raston mein

Wo jin se kholta hai hamari khoshiyon ka tala
Chabi phenk aye un ki tere raston mein

Pata mil jaye mujhe mohabbat ki manzil ka
Mein duaein karta rehta hon raston mein

Laho daikh kar paon mein yee ehsas hoa hai
Kanton k sehra biche the raston mein

Abb koi bhi dard mehsos nahi hota
Sare dard chor aye hain raston mein

Ye soch kar chal parta tha me yonhi
Kahen dedar ho jaye tera raston mein

Aa raha hai to milne,bus aik bar keh de
Pholon ki chaderain bicha de gain raston mein

HUSSNAIN ye kaisa bachpana hai hamari adat mein
Tera intazar karte hain abb bhi raston mein

uss ne daman apna churaya hai


Go zaraa si baat par barson ke yaarane gaye

Go zaraa si baat par barson ke yaarane gaye
Lekin itnaa to huaa kuchh log pahchane gaye

maiN ise shohrat kahuuN ya apnii rusvaaii kahuuN
mujh se pahle us galii meN mere afsaane gaye

yuuN to voh merii rag-e-jaaN se bhii the nazdiik-tar
aan.suoN kii dhundh meN lekin na pahchaane gaye

vahshateN kuchh is taraH apna muqaddar ho gayiiN
ham jahaaN pohaNche, hamaare saath viirane gaye

kya qayaamat hai ki Khaatir, kushta-e-shab bhii the ham
subah bhii aai to mujrim ham hii gardaane gaye

Suno! mujhay yaad naa aaya karo

Suno!
mujhay yaad naa aaya karo
jub main apnay dostoun k darmiyaan baitha bol raha hota hoon
kisi imtihaan ki tayyari main masroof nazar aaoon
ya kisi masroof sarhak par drive kar raha houn
mausam acha ho or main akaila
ya khaas taur par aisey waqt
jub kisi ko khat likh raha houn
ya kisi bohat hee piyaarey shakhs ki yaadoun main gum
dunya-o-maafeeha say beykhabar ho jaoon
Tum mujhay yaad naa aaya karo!!

Mujhay yaad hai

Mujhay yaad hai
pichley saal inhi dinoun main
main nay tumhain apney andar
saatween baar qatal kar k waheen kaheen
kisi weeraaney main dafan kia tha
or tumhaari qabar
faramoshi k bhaari patharoun say bhar di thi
or us say pehlay aik baar
door daraaz say aaney waaley kisi dev-heekal
parindey k pairoun say
tujhay baandh kar urha dia tha
or phir us say bhi pehlay inhi dinoun main
main nay tumhain mukammal taur par jala kar
tumhaari raakh aik taiz raftaar daryaa main
bahadi thi..
Lakin is saari jaan kaahi k bawajood tum aaj phir
hamaisha ki tarah meri aankhoun main aankhain daaley
meray dil ko apni muthi main jakrhey
meray saamney kharey ho!!

Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota

Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota
Hum ne auroun ko na youn dukh mein pokara hota

Jitni siddat se main wabasta tha tum se Farhat
Kis tarha mera tere baad guzara hota...........!

Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalane k liye
main nahota tu koi aur tumhara hota

Aur hum baith k khamoshi se roye jate
Sham hoti kisi darya ka kinara hota

Dil se dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki
kis tarha ojdha hoa shehar gawara hota

Chand hota k meri Jaan sitara hota
Hum ne ik tere siwa dil se otara hota

Tu ne socha hai kabhi kitna mohabat k baghair
Rooh farsaa dil-e-viraan ka nazara hota !!

Tu Is Qadar Mujhe Apne Kareeb Lagta Hai

Tu Is Qadar Mujhe Apne Kareeb Lagta Hai
Tujhe Alag Sa Jo Sochun Ajeeb Lagta Hai

Hadood-E-Zaat Se Bahar Nikalke Dekh Zara
Na Koi Gair, Na Koi Raqeeb Lagta Hai

Jise Na Husn Se Matlab Na Ishq Se Sarokar
Wo Shakhs Mujhko Bahut Badnaseeb Lagta Hai

Ye Dosti, Ye Marasim, Ye Chahatein Ye Khaloos
Kabhi Kabhi Ye Sab Kuch Ajeeb Lagta Hai

Ufaq Pe Door Chamakta Hua Koi Taara
Mujhe Charag-E-Dayaar-E-Habeeb Lagta Hai

Na Jaane Kab Koi Tufaan Aayega Yaaron
Buland Mauj Se Saahil Qareeb Lagta Hai

ab bhala chhor k ghar kia kartay

ab bhala chhor k ghar kia kartay
Shaam k waqt safar kia kartay

Tairi masroofiyatain jantay thay
Apnay aanay ki khabar kia kartay

Jab sitaaray hi nahi mil paaey
Lay k hum Shams- o- Qamar kia kartay

Woh musafir hi khuli dhoop ka tha
Saaey phaila k shajar kia kartay

Khaak hi awwal-o-aakhir thehri!!!
Kar k zarray ko gohaar kia kartay

Raaey pahlay sy hi bana li tu nay
Dil main aab hum tairy ghr kia kartay

Ishq nay saaray saleekay bakhshay
Husan say kasb-e-hunar kia kartay

Ujaar Ujaar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Ujaar Ujaar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Na Pooch Kaisey Ghuzarti Hai Terey Hijar Ki Shaam?

Yeh Barg Barg Udaasi Bekhar Rahi Hai Merey...!
K Shaakh Shaakh Utarti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Ujaar Ghar Main Koi Chaand Kab Utarta Hai...?
Sawal Mujh Say Yeh Karti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Merey Safar Main Ek Aisa Bhi Moor Atta Hai
Jab Apnay Aap Say Darti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Buhat Aziz Hain Dil Ko Yeh Zakhm Zakhm Ruttain
Unhi Ruttoon Main Nekharti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Yeh Mera Dil, Yeh Sara Sar Nighar Khana-E-Ghum
Sadda Isi Main Utarti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Jahan Jahan Bhi Milain Teri Qurbatoon K Nishaan
Wahan Wahan Say Ubharti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Yeh Haadsa Tujhay Shayad Uddas Kar Dey Ga
K Merey Saath Hi Marti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Chalo ye mojza hi aaj kyoun na sar kar loon

Chalo ye mojza hi aaj kyoun na sar kar loon
Main apnay qalb e shikasta ko tera ghar kar loon

Yeh jaanta hon HawA ka mizaaj rakhtay ho
*Main bun kay khushbo teray sung kuch safar kar loon

Shab-e-alam kay andheron say mujhko der kaisa
Main rutjagon mein teri yaad say sehar kar loon

Dukhon ki dhoop hai, aur zindagi hai abla'pa
Main teray hijar kay saye ko hi shajar kar loon

Kabhi to meri muhabbat ka wo yaqeen kar lay
Main kash tarz-e-sukhan hi mein kuch asar kar loon

Woh khush kharaam, jo ik din idhaR be aa niklay
Tu khud wajooD ko apnay main rahguzar kar loon

Tera wasal jo wus'at ho asmaanon ki
Teri qasam teri chahat ko baal o par kar loon

Bicharnay Wale....!

Bicharnay Wale....!
Tujhe Khaber Hai?
K Tere Jaanay se Mera Jeevan
Hazaar KhanooN main Batt Gaya Hai!
Tujhay Khabber Hai Bicharnay Waalay!
K Mairi Khushiyan hee Kho Gai Hain
Main Kitna Tanha Sa Ho Gaya HooN
Wajood Maira Tu Iss Safar Main
*Yeh Daikh ZakhmooN se Att Gaya Hai
Main Sochta HooN!
Mager Yeh Sochain,
Kyun Aik Nuqtay Pe Jamm Gai Hain,
Mujhay Yeh Mehsoos Ho raha Hai!
K Jaisay Saansain Hee Thamm Gai Hain
Mujhay Bata Day Bichrnay Waalay!
K Khud ko Kaisay Sambhalna Hai
Hijar K RastoooN Pe Chaltay Chaltay!
Yeh Mairay PaaoN Laho main Terr Hain
Yaqeen Ker Lay Main Thak Gaya HooN
Bicharnay Waalay!
Tujhay Khabber Hai
Main Kab ka Khud Se Bichar Chukka HooN....!!!

Hansi ki baat ke us ne wahan bula ke mujhey

Hansi ki baat ke us ne wahan bula ke mujhey
Bahut rulaya kahani meri suna ke mujhey

Har aik lamha mera khauf ki giraft mai hai
Muhafizon se bachayega kon aa ke mujhey

Kammale fun se liya kaam us ne mujh se bhi
Tabah apne udoo ko kiya bacha ke mujhey

Wo baagh baagh hua hai to besabab bhi nahee
Mila hai kuchh to usey khak mai mila ke mujhey

Usey banaya tha maine badi muhabbat se
Khuda gawaah ke wo bhi chala sake na mujhey

Usey kaho ke mai hazir mazeeed dukh de de
Bahut sukoon mila hai agar sata ke mujhey

hasrat wasal mili lamha e bekaar k saath

hasrat wasal mili lamha e bekaar k saath
bakhat soya hay mera deeda e baydaar k saath

kiya karay jazba e warfatgi shouq e nahaan
dil ko gul rung kiya gosha e purkhaar k saath

aey meray dost ! zara dekh mayn hara toh nahi
mera sar bhi toh para hay meri dasstaar k saath

ayk ehsaas pass e haraf e tasalli uss ka
kaash woh ghao lagata mujhay talwaar k saath

na koe saayafagan hay na koe dhoop badasst
tera deewana para hay teri deewar k saath

bar lab e naaz gul e shaakh e dua meray liye
asmaan ! dekh mujhay chasham e guhar k saath

kiyun woh ungasht badnadaan say meri hayrat pe
mayn toh ayena huwa nargas e beemar k saath

apna mizaaj e kaar badalnay nahi diya

apna mizaaj e kaar badalnay nahi diya
Dil ne koi nazaam bhi chalnay nahi diya

Aey mahtaab e husn humara kamal dekh
tujh ko kissi bhi rung mayn dhalnay nahi diya

gardish mayn hum rahay hayn toh apna qasoor kiya
Tu ne humayn kashish se nikalnay nahi diya

gir yeh kiya Toh aankh mayn bharta geyya dhuwaan
Dil mataa e dard ko jalnay nahi diya

thori si wazaa dari toh iss dil k waastay
Tu ne toh iss mayn waham bhi palnay nahi diya

tehzeeb apni ki mohabbat ne Saad yun
iss Dil ko hum ne had se nikalnay nahi diya

Is se pehlay k aankh khul jaye

Is se pehlay k aankh khul jaye
Aa k honto’n se meri aankhon per
Koi anmol khuwab likh jao
Mera chehra gulaab likh jao
Baad mein aa k apny hathon se
Mera jeewan saraab likh jao.
Dair Ki Ma'azrat, Sawera Hoon Mein
Mujh Ko Parti Hai Raat Rasty Main.

Tujhy bhula k jiyun aisi bad-dua bhi na de

Tujhy bhula k jiyun aisi bad-dua bhi na de
Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de


Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol
Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de


Ye umer meine tery naam be-talab likh di
Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de


Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha
Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de


Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’
Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de

Mohabbat Dekh li Main Ne


Mohabbat Dekh li Main Ne
Zamane Bhar Ke Logon Ki

Jahan Kuch DAAM Ziyada Hon
Wahan Insan Bikte Hain

Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Gay

Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Gay
Khwaab Ho Jao Ge, Afsano Mein Dhal Jao Gay

Ab to chehron ke khad-o-khal bhi pehle se nahin
Kis ko maloom tha tum itne badal jao Gay

Apne parcham ka kahin rang bhula mat dena
Surkh sholon se jo khelo ge to jal jao Gay

De rahe hain tumhain to log rafaqat ka fareb
In ki tareekh parho ge to dehal jao Gay

Apni Mitti Pe Hi Chalny Ka Saleeqa Seekho
Sang-e-Mar.Mar Pe Chalo Ge Tou Phisal Jao Gay

Khwabgahon se nikalte hue dartay kyon ho
Dhoop itni to nahin hai ke pighal jao Gay

Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Gay

Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho
Thokarain Khao Ge To Khud Hi Sambhal Jao Gay

Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat ke Chiraagh
Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho ke Dhal Jao Gay

Subh sadik mujhe matloob hai kis se mangon
Tum to bholay ho, chraghon se behal jao Gay

Yoon tera intazaar kerta hoon

Yoon tera intazaar kerta hoon
Jaisay main tujhko yaad hoon ab tak

Tum abr-e-guraizan hoo

Tum abr-e-guraizan hoo
Main sehra ki manind hoon.
Do boond jo barso ge,
Be-kaar mein barso ge.
Hai khushk bohat matti,
Har simt bagolay hain,
Sehra k bagolon se,
Uthtay hi to sholay hain.
Tum khul k agar barso,
To sehra mein gulistaan ho,
Par tum se kahain kaisay.?
Tum abr-e-guraizan ho.
 JAL THAL jo agar ker do,
TANN MANN mein nami bhar do.
Hai khushk bohat matti,
Poori jo kami kar do,
Phir tum ko bataein ge...

Khwahish Hai Kay Iss Tour Se Jeevan Ko Guzaroon

Khwahish Hai Kay Iss Tour Se Jeevan Ko Guzaroon
Her Aks Teray Husan Ka Ankhoo'n Main Utaroo'n

Wo Tashnalabi Hai Kay Samjh Kuch Nahi Atta
Derya Ko Sadda Doon Kay Samander Ko Pukaroo'n

Jeevan Bhi Uljhi Hoi Dorroo'n Ki Terhan Hai
Iss Soch Mai Gum Hoon Kay Issay Kaisay Sanwaroo'n

Ab Iss Kay Siwa Mera Koi Khawab Nahi Hai
Her Saans Ko Khushnood-e-Janaa'n Pay Main Waroo'n

Behter Hai Ab Mout Ko Seenay Se Laga Loon
Iss Man Ko Teray Hijar Mai Ab Kitna Main Maroo'n

Pehlay Faqat Husrat-e-Deedar Thi Wasiq
Abb Yeh Bhi Tallab Hai Kay Usay Jeet Kay Haroon

Apnay Khuwabon Mein Tujhe Jisne Bhi Dekha Hoga

Apnay Khuwabon Mein Tujhe Jisne Bhi Dekha Hoga,
Aankh Khultay Hi Tujhay Dhundnay Nikala Hoga,

Zindagi Sirf Tere Naam Se Mansoob Rahay,
Janay Kitnay Hi Dimaghon Ne Yeh Socha Hoga,

Dost Hum Usko Hi Paigham-e-Karam Samajheingay,
 Teri Furkat Ka Jo Jalta Hua Lamha Hoga,

Daman-e-Zeest Mein Ab Kuch Bhi Nahi Hai Baqi,
Mout Ayi Toh Yaqeenan Usay Dhoka Hoga,

Roshni Jis se Utar Ayi Lahu Mein Mere,
Aay Maseeha Woh Mera Zakhm-e-Tamanna Hoga......!!!!

Bana K Banjar Ye Dil Ki Basti

Bana K Banjar Ye Dil Ki Basti
Ujaar Jaate Hen Soch Lena!!
Mohabton Men to Ese Ese
Selaab Aate Hen Soch Lena
Ye Uljhi Zulfen,
Ye Lal Ankhen,
Ye Maily Kaprey,
Ye Zard Chehra
Hasas Logon Ki Zindgi Men
Ye Baab Aate Hen Soch Lena !!
Aadha Din To Sulagtey Sehra Ki
Jalti Raiton Pe Chal Lia Kar
K Hijraton Mein To Is Se Barh Kar
Azaab Aate Hen Soch Lena !!
Hijar Ne Mere Tabah Kia Hai
To Chor Do Na Ye Pyar Krna
K Unki Janib Se Is Trah B
Jawab Aate Hen Soch Lena

Popular Posts