Sunday, June 20, 2010

Khoya Tumhay Aisay Kay Apna Nishaa’n Kho Baithay


Khoya Tumhay Aisay Kay Apna Nishaa’n Kho Baithay
Na Pa Sakay Manzilain Aur Karwaa’n Kho Baithay


Ajab Saneha, Hay Sab Kuch, Aur Sara Jahaa’n Kho Baithay
Qadmon Say Zamee’n Serkee, Sar Say Aasmaa’n Kho Baithay


Hooey Afshaa Raaz Sab Aur Raazdaa’n Kho Baithay
Sehraa Main Hain Kharay Aur Gulsitaa’n Kho Baithay


Dushman Hooa Zamana, Halqa-e-Dostaa’n Kho Baithay
Bass Yaad Rahee’n Galyaa’n Un Ki Apna Makaa’n Kho Baithay


Toofaan-e-Baad-o-Baraa’n Main Ham Aashiyaa’n Kho Baithay
Khoya Tumhay Aisay Kay Apna Nishaa’n Kho Baithay

hazaroN log dunia mein hamey miltey to heiN lekin

hazaroN log dunia mein hamey miltey to heiN lekin
jo mujh tak khud palat aaye, wohi mujh ko nahiN milta

to abb yooN hai ke kuch bhi ho mohabbat ho nahiN saktee
yeh rastey to adhoorey hai, yahan kuch bhi nahiN milta

kabhi chup chap amber ko younhi ek baar dekho to
tumhay mehsoos ho khushiaN chura ker kuch nahiN milta

hamaree zindagi tum ne ajeeran ker to dee lekin
kisi ke haath ki mehndee mitaa ker sukh nahiN milta

tumharee soch naqis thi wagerna ham wohi per they
yeh sach hai heh kisi ko seep se motee nahiN milta

to ban jao kuch aisey keh her koi hi talib ho
mein hairaN hooN tumhay kyuN ek bhi aisa nahiN milta

har shamma bojhi rafta rafta har khoab jala dhere dhere


har shamma bojhi rafta rafta har khoab jala dhere dhere 
shisha na sahi, patthar bhi na tha, dil toot gaya dhere dhere 

barsoon main marasim bante hain lamhoo 
main bhala kia tootain ge 
to mojh se bicharna chahe to dewar otha dhere dhere 

dil kise jala kis waqat jala,hum ko bhi pata akhir main chala 
otha he dhoan dhere dhere solgi he chita dhere dhere 

ehsas hoa barbadi ka jab sare ghar main dhool ori 
aaee he humare angan main patjhar ki hawa dhere dhere 

woh hath paraee ho bhi gaye ab dour ka rishta 
ati he meri tanhaee main khoshbo-e-hina dhere dhere

Kitna Pyaar diya usse per milla kuch bhi nahin

Kitna Pyaar diya usse per milla kuch bhi nahin 
Itni gehri Chahat ka hasil o hasool kuch bhi nahin 

Woh hum se khafa the to Jaan nikal gayi thi hamari 
Hum un se khafa hain to un ko malaal kuch bhi nahi 

Is qadar dukh diye hain na jaane kis khata per 
Par hum bhi Sabar kargaye aur kiya sawal kuch bhi nahi 

Us ki khushi main Hansne wale Khaas hain us ke liye 
Dukh main us ke saath hum, hamari misaal kuch bhi nahi!!!

na rok ab mujhe ghar jalaney se

na rok ab mujhe ghar jalaney se
kon hai jo isey abaad karey

roney doh ab hum ko jee bhar kar
kon hai jo ab mujhe shaad karey

bichara iss tarah ke saarey gham mere naam kar gaya
kon hai jo iss gham se mujhe azaad kar gaya

ab toh dil_e_betaab se yehi doua nikley
khudaya yoon kissi ko koi na barbaad karey

yoon toh meri zindagi ka qatil nikla wo
magar kon hai jo mere insaaf karey

maaf kar dein oss ko magar aik shart par
ke aye aur apney gunahoon ka aetraaf karey

lootney wala hi jub nazar nhin aa raha
malik phir bhala kiss se faryaad karey

Terey baarey mein jab, socha nahin tha


Terey baarey mein jab, socha nahin tha
Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Teri tasveer sey karta tha baatein
Merey kamrey mein ' Aaina ' nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Samander ne Mujhey, Pyaasa hi rakha
Mein jab Sehra mein tha, Pyaasa nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Manaaney roothney ke khail mein Hum, 
Bichhar jaaein gey, Yeh socha nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Suna bund kar leen, Uss ne Aankhein
Kai Raaton sey Woh, soya nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Mainkush kahin deewana pukara gaya mujhay


Mainkush kahin deewana pukara gaya mujhay 
Deewaron main zabardasti chunwaya gaya mujhay 

Bad-naam hay zara per mera naam ishq hay 
Pholoon ki nermiyon say banaya gaya mujhay 

Meri ibtida wahan say jahan zindagee bani 
Or zindagee say pehlay banaya gaya mujhay 

Main to wahin rahon ga jo hay mera thikana 
Sab aashiqon kay dil main basaya gaya mujhay 

Mita saka na koi akbar bhi aashiqee ko 
Ban ker saleem sooli cherhaya gaya mujhay 

Wo kon loog hain jo ker rahay jafaain 
Kum zerf naam un ka bataya gaya mujhay 

Meri to aasman pay farishton nay perwarish ki 
Laa ker zaeem pay kitna sataya gaya mujhay 

Mertey nahin deewanay shaiki amer huay or 
Un ki wafa ka sehra pehnaya gaya mujhay

Agar jo Dil ki sunoge to haar jaoge

Agar jo Dil ki sunoge to haar jaoge 
Hum jaisa Pyaar phir kahan paoge 

Jaan dene ki baat to her koi karta hai 
Zindagi banane wala kahan se laoge 

Jo ek nazar dekhoge tum humain 
To her taraf sirf hum hi ko paoge 

Yaqeen apni Mohabbat per itna hai mujhe 
Meri chahat ko dekhoge to laut aaoge 

Meri aankhon ke samandar main doob gaye to 
Kahin jaana bhi chaho ge to na ja paoge

hum baddal sakte hain mahool bhi afkar ke saath

hum baddal sakte hain mahool bhi afkar ke saath 
garmi-e-shauq ho gar narmi-e-guftar ke saath 

haey yeh kashmakash-e-naz usay kya kheay 
un ki nazroon me tha iqrar bhi inkar ke saath 

un ki hum bazm me jate bhi tu kaise jate 
aik dewar bhi thi saya-e-dewar ke saath 

chahate ho ke woh qaid-e-gham-e-hasti me rahe 
na karo zulm chara garo bemar ke saath

ishq mein budhawas ho jesey


ishq mein budhawas ho jesey
koi badal ke pass ho jesey

naam kesa zubaan pe aya hai
barsoo barsoo ki payas ho jesey

yoon hawa se kalaam karta hoon
tu haqeeqat mein pass ho jesey

kut rahi hai kuch iss tarah se 
dum nikalney ki aas ho jesey

hijr kii pahalii shaam ke saaye duur ufaq tak chhaaye the


hijr kii pahalii shaam ke saaye duur ufaq tak chhaaye the
ham jab us ke shahar se nikale sab raaste sanvalaaye the

jaane vo kyaa soch rahaa thaa apane dil mein saarii raat
pyaar kii baaten karate karate us ke nain bhar aaye the

mere andar chalii thii aandhii Thiik usii din patajhar kii
jis din apane juure mein usane kuchh phuul sajaaye the

usane kitane pyaar se apanaa kufr diyaa nazaraane mein
ham apane iimaan kaa saudaa jis se karane aaye the

kaise jaatii mere badan se biite lamhon kii Khushbuu
Khvaabon kii us bastii mein kuchh phuul mere ham-saaye the

kaisaa pyaaraa manzar thaa jab dekh ke apane saathii ko
per pe baiThii ik chiriyaa ne apane par phailaaye the

ruKhsat ke din bhiigii aankhon us kaa vo kahanaa haa_e "Qateel"
tum ko lauT hii jaanaa thaa to is nagarii kyuun aaye the

Mohabbat Is Tarhan Chora Nahin Kartay

Mohabbat Is Tarhan Chora Nahin Kartay
Taaluk Is Tarhan Tora Nahi Kartay


K Phir Say Jorna Dushwar Ho Jaye
Hayat Aik Zehar Main Dobi Hui Talwar Ki Manind


Mohabbat Is Tarhan Chora Nahin Kartay
Rawadari Ka Hargiz Rasta Chora Nahin kartay


Mohabbat Main Sabhi Aik Dusray Ko Aazmatay Hain
Magar Aisa Nahin Kartay


K Har Umeed Har Imkaan Toot jaye
Kahan Tak Khinchi Ho Dor Ya Andaza Rakhtay Hain


Humesha Chaar Dewari Main Aik Darwaza Rakhtay hain
Judai Mustakil Ho Tu Zindagi Zindaan Ho jaye


Tu Suno!
Jeenay Say Mo Mora Nahin Kartay
Mohabbat Is Tarhan Chora Nahin kartay

soz-e-Gam deke mujhe us ne ye irshaad kiyaa


soz-e-Gam deke mujhe us ne ye irshaad kiyaa
jaa tujhe kash-ma-kash-e-dahar se aazaad kiyaa

vo karen bhii to kin alfaaz mein teraa shikavaa
jin ko terii nigaah-e-lutf ne barbaad kiyaa

dil kii choTon ne kabhii chain se rahanaa na diyaa
jab chalii sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa


aise mein main tere taj-takalluf pe nisaar
phir to farmaaye vafaa aap ne irshaad kiyaa


is kaa ronaa nahiin kyon tumane kiyaa dil barbaad
is kaa Gam hai ki bahut der mein barbaad kiyaa

itanaa maasuum huuN fitarat se, kalii jab chaTakii
jhuk ke main ne kahaa, mujhase kuchh irashaad kiyaa


merii har saans hai is baat kii shaahid-e-maut
main ne har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiyaa


mujhako to hosh nahiin tumako Khabar ho shaayad
log kahate hain ki tumane mujhe barbaad kiyaa

vo tujhe yaad kare jisane bhulaayaa ho kabhii
hamane tujh ko na bhulaayaa na kabhii yaad kiyaa

kuchh nahiin is ke sivaa  hariifon kaa kalaam
vasl ne shaad kiyaa hijr ne naashaad kiyaa

barbaad tamannaa pe ataab aur zyaadaa


barbaad tamannaa pe ataab aur zyaadaa 
haan merii mohabbat kaa javaab aur zyaadaa 

roye na abhii ahal-e-nazar haal pe mere 
honaa hai abhii mujh ko Kharaab aur zyaadaa 

aavaaraa-va-majanun hii pe maukuuf nahiin kuchh 
milane hain abhii mujh ko Khitaab aur zyaadaa 

uThenge abhii aur bhii tuufaan mere dil se 
dekhuungaa abhii ishq ke Khvaab aur zyaadaa 

Tapakegaa lahuu aur mere diidaa-e-tar se 
dharakegaa dil-e-Khaanaa_Kharaab aur zyaadaa 

ai mutrib-e-bebaak koii aur bhii naGmaa 
ai saaqii-e-fayyaaz sharaab aur zyaadaa

Aaghaz May Nay Kia Ikhtataam Tum Kar Do


Aaghaz May Nay Kia Ikhtataam Tum Kar Do
Jab Chaho Meray Jazboon Ko Bay Naam Tum Kar Do 

Baat Ager Zarf Ki Hay To Yoon Karo
Tum Jeet Jao Or Haar Meray Naam Kar Do 

Meri Hansi Kay Gulab Meri Muskurahatoon Kay Phool Lay Lo
Apnay Saray Dukh Saray Gham Meray Naam Tum Kar Do 

Musafat Hay Kathin Manzil Hay Door 
Jo Ho Manzoor To Apna Sath Meray Naam Tum Kar Do

mein dard ki faseel par khara hua dekhta hon char soo


mein dard ki faseel par khara hua
dekhta hon char soo
khara hua be arzoo
ek nazar jo mujhe dhoondti hai
nagar nagar wo mujhe khojti hai
mein dard ki faseel par
os se chup ke khara hua hon
aaj os ne mujhe dekh liya
bilakhir mujh ko khoj liya
mein aaj amar hone ko hon
mein aaj amar ho jaon ga.

Teri baahon ki tapish main pighalne laga hon


Teri baahon ki tapish main pighalne laga hon
Teri sanson ki mehek main sulagne laga hon,

Raat ki tanhaai main lipti khumaar ki baatein
Tere baaton ki kashish main machalne laga hon,

Sulagti raat ki bikharti chandni main hum-tum
Behekne lage jazbaat aur bhadakne laga hon,

Ruan-ruan tere pyaar main sarabor hone laga
Tere baahon ke gheron main dhadakne laga hon ,

Tere sath bitaai lamhon ki kasak seene main
Zindagi jeene ki “aarzoo“ main tadapne laga hon....

Ab kiya likhein hum kagaz per Ab likhne ko kiya baki hai

Ab kiya likhein hum kagaz per 
Ab likhne ko kiya baki hai 
Ik dil tha su wo tuth giya 
Ab lutne ko kiya baki hai 

Ik shaks ko hum ne caha tha 
Ik reet pe naqsh banaya tha 
In reet ke zarun ko hum ne 
Phir apne dil main sajaya tha 
Wo reet tu kab ki bikhar gay 
Wo naqsh kahan ab baki hai 
Ab kiya likhein hum kagaz per 
Ab likne ko kiya baki hai 

Hum jin ko apni nazmoon ka 
Unwan banaya karte the 
Lafzun ka bana kar taj mehal 
Kagaz par sajaya karte the 
Wo hum ko akela choor gay 
Sab rishtoon se mun murr gay 
Ab rishte sare sune hain 
Wo piyar kahan ab baki hai 
Ab kiya likhein hum kagaz per 
Ab likne ko kiya baki hai

Jub Seena Ghum Say Bojhal Hoo Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho


Jub Seena Ghum Say Bojhal Hoo Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tab Kamray Main Band Hojana Aur Chupkay Chupkay Roo Laina


Jub Aankhain Baghi Hojian Aur Yaad Main Teri Bhar Aaian
Phir Khud Ko Dhoka Mat Daina Aur Chupkay Chupkay Roo Laina


Jub Palkain Karb Say Mondhi Hoon Aur Sub Samjhain Tum Sootay Ho
Tab Moun Pay Takiya Rakh Laina Aur Chupkay Chupkay Roo Laina


Ya Dunia Zalim Dunia Ha Ya Baat Bohat Phaliea Gee
Tum Samnay Sub Kay Chup Rehna Aur Chupkay Chupkay Roo Laina


Jub Barish Cehra Dhoo Dalay Aur Ashak Bhi Bondain Lagtay Hoon
Woh Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupkay Chupkay Roo Laina

Chaha Tumhein Deewanon Ki Tarhan Par Izhaar Na Kar Paye

Chaha Tumhein Deewanon Ki Tarhan 
Par Izhaar Na Kar Paye 
Dil Toota Glass Se Chalke Pani Ki Tarhan 
Par Ikraar Na Kar Paye 
Dil Ki Awaaz Hum Tumhein Suna Na Paye 
Dil Roya Par Aansoo Tak Dikha Na Paye 
Dil Bhi Hamara Ajab Cheez Hai 
Jo Tote Ek Sheesha Bhi Toh Awaaz Karta Hai 
Dil Hamara Toota Par Aah Bhi Na Kar Paye 
Tumehin Toh Chaha Hum Nein Toot Kar 
Par Tum Toh Wafa Bhi Na Kar Paye 
Zindagi Khali Si Hai Tumhare Bina 
Par Hum Chalna Seekh Chuke Hain 
Tum Hamari Parwah Karo Ya Na Karo 
Hum Sanbhalna Seekh Chuke Hain

YUN WOH YAAD ATA HAI

YUN WOH YAAD ATA HAI 
JAB PEHLI BAAR NAZAR MILI TU 
LAGA KE WOH SIRF MERAY LIYE HI BANA HO 
US KE CHALAY JANAY KE BAD WOH YUN YAAD ATA HAI 
KE MERI SASOON MAY PASS HOTA HAI 
US KI KHUSHBOO 
US KA EHSASS 
US KA YUN DEKHNA 
US KE JANAY KE BAD 
APNA SAB KUCH CHOR JATA HAI 
YUN PHIR WOH YAAD ATA HAI

Sookhay hont,sulagti ankhain,sarsoon jaisa rang


Sookhay hont,sulagti ankhain,sarsoon jaisa rang 
Barsoon baad wo dykh k mujh ko rah jaye ga dang 

Mazi ka wo lamha aj bi mujh ko khoon k ansoo rulaye 
Ukheri ukheri batain us ki gairoon jaisay dhang 

Dil ko pahly hi dard ki deemak chat gai thi 
Rooh ko bhi ab khata jaye tanhaee ka rang 

In hi ky sadkay ya rab mairi mushkil asaan kar dy 
Mairy jaisy ar bi hain jo dil k hathun tang 

sab kuch dy kar hans di ar phr kahny lagi taqdeer 
Kabi na poori hogi tairy dil ki umang 

Kiyun na apni chooreeun ko kirchi kirchi kar daloon 
Dykhi hai aj aik sundar nari piyary pee k sang 

Shabnam koi jo tujh sy haary,jeet py maan na karna 
Jeet wo hogi jab jito gi apny jo ap sy jang

Tere Dil Se agar uthar jaaein

Tere Dil Se agar uthar jaaein 
Too hi batla ke hum kidher jaaein

Zinda Tere Bagher reh Lengein
Ranj Esa nahi ky Mar jaaein

Tu na Rakhe Sunmbhal kar jo humein
Rait ki tarah hum bikhar jaaein

Main naye musamon mein sochta hoon
Shayed is baar Zakhm bhar jaaein

Mere Humrah Ro rahe hai Wo 
Sare Musam Yunhi Guzar jaaein

Khoshi ka Ghum hai,na Ghum ki koi Khoshi ab To


Khoshi ka Ghum hai,na Ghum ki koi Khoshi ab To !
Bohat Udaas Guzarti hai Zindgee Ab To !

Tere Bagher bhi Dil ki Tasaliun ke liye
lk intzaar ki Shab thi, So dhal chuki ab To !

lk Ashna ke bicharne se koi Nahi badla 
Hawa-e-Shehar bhi Lagti hai Ajnabi ab To !

Tamam Raat Rahi Dil mein Roshni ki Lakeer
Misaal-e-Shama Sehar Wo bhi Jal bujhi ab To !

Kaha Gaye Wo Shanasa Wo Ajnabi Chehray
Ujarhi si Nazar Ati hai , har Gali ab To !

Badlee badlee see faaza lagtee hai

Badlee badlee see faaza lagtee hai 
sarry dunya hi khafa lagtee hai 

Dil ka darwaza khula chor diya 
tairay qadmoon ki sada lagtee hai 

Saikroon chayeed hain , is mein lakin 
kitnee achi yeah rida lagtee hai 

Chand ho jaisay sitaron say allaag 
aisay nainoo mein haya lagtee hai 

Tairee qurbaat mein jhuki see yeah nazar 
aik MASOOM dua lagtee hai 

Marhalla maut ka mushkil hai magar 
zindagi is say siwa lagtee hai 

Abb kay roothay , na manaya tum nay 
yeah bicharnay ki ada lagtee hai 

kis ki aankhoon ka asar hai yeah
kali kali see ghaata lagtee hai

dard kii had se guzaranaa to abhii baaqii hai


dard kii had se guzaranaa to abhii baaqii hai 
TuuT kar meraa bikharanaa to abhii baaqii hai 

paas aake meraa dukh-dard baTaanevaale 
mujhase kataraa ke guzaranaa to abhii baaqii hai 

chand sheron mein kahaan Dhalatii hai ehasaas kii aag 
Gam kaa ye rang nikharanaa to abhii baaqii hai 

rang-e-rusvaa_ii sahii shahar kii diivaaron par 
naam  mera ubharanaa to abhii baaqii hai

Tujhe Pyaar mera satayega

Tujhe Pyaar mera satayega
Yaadon ke toofan utthaye ga

Mera naam likh ker kitabon main
Tu logon ke darr se mitayega

Zikar mera aksar karne se pehle
Tu kuch soch ker muskuraye ga

Baatein meri yaad aayengi
Jitna tu unhain bhulaye ga

Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chahe
Tu nazron ko phir bhi jhukaye ga

Jis ne mujhe itna sataya hai
Us ka chain bhi koi churaye ga

Dhoop Ki Shidaat Kiya Hai Pairoon Say Koyi Poochey

Dhoop Ki Shidaat Kiya Hai Pairoon Say Koyi Poochey
Lafzoon Ki Cubhan Kiya Hai Hum Say Koyi Poochey

Kiya Sunayein Tumhein Apney Ghum Ki Kahani
Yadoon Ki Tarap Kiya Hai Hum Say Koyi Poochey

Kis Terhaan Hum Nay Khayey Hain Yahan Dhokey
Judayi Kisey Kehtay Hain Hum Say Koyi Poochey

Haal-e-Dil bayan Tu Kartay Hain Sab Hi Mager
Bayan Karnay Ka Saliqua Kiya Hai Hum Say Koyi Poochey

justajuu jis kii thii us ko to na paayaa ham ne

justajuu jis kii thii us ko to na paayaa ham ne
is bahaane se magar dekh lii duniyaa ham ne

tujh ko rusavaa na kiyaa Khud bhii pashemab na huye
ishq kii rasm ko is tarah nibhaayaa ham ne

kab milii thii kahan bichrii thii hamen yaad nahiin
zindagii tujh ko to bas Khvaab mein dekhaa ham ne

ai 'Ada' aur sunaaye bhii to kyaa haal apanaa
umr kaa lambaa safar tay kiyaa tanhaa ham ne

Chahat Kay Is Dharay Per, Darya Or Kenaray Per


Chahat Kay Is Dharay Per, 
Darya Or Kenaray Per
DIL Ko Aaj Azaad Kia , 
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,


Tanhaee Ke Ratoon Main, 
Khud He Batoon Batoon Main
Is DIL Ko Yoon Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,


Jab Say Tum Ko Dekha Hay, 
Jab Say Tum Ko Chaha Hay,
Har Ak Pal Faryaad Kia, 
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,


Is Jewan Kay Nesaaboon Main, 
Or Ratoon Kay Khawaboon Main,
Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia, 
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,


Phool Ka Khilnay Say Phelay, 
Tum Ko Milnay Say Phelay,
Khud Ko Tu Barbadd Kia, 
Main Nay Tum Ko Yaad Kia.

ya rab humain tuj say koi gilla bhi nahi


ya rab humain tuj say koi gilla bhi nahi
wo naseeb main nahi tha is leya mila nahi 

seencha tha jiss chaman ko apnay dill kay lahoo say
phir keyo barsaat main koi phool khila nahi 

na lagaay koi *** is dill_e_ natawan per
abhi tu phichla zhkam bhi muj say siila nahi 

mangaa tha jhooliian utha utha kar usay
magher humain dowaoon ka koi siila mila nahi

Zara Sochnay do Itni JAldi bhi nahi Achi

Zara Sochnay do... 
Itni JAldi bhi nahi Achi... 
Main yeh Tasleem KErti hoon 
Tumhain Mujh Se Mohabat hai... 
Magar yeh kia khabar Tum ko ... 
Mujhe Kis Ki Zarorat hai... 
Mujhe Kis Se Mohabat Hai.. 
Baja Kahtay Ho Zalim Karb_E_Tanhayi... 
Anokhay Zakham Deta hai... 
Faqat IK Ghum Rafaqat hai... 
yeh chahat Aien Fitrat hai... 
Mujhe bhi Apni Tanhayi... 
Bohat Mehsoos hoti hai... 
bataien kia kisi ko... 
muztarib dil ki jo halat hai... 
Musalsil Runj O Majrohi... 
Yehi Ab Meri Kismet Hai... 
Tum Ache ho... 
mujhe bhi Ache lagtay ho... 
Magar mujh se Kahien barh Kar... 
Wo Duniya khoobsurat hai... 
Jo Doulat mand armanoon ki janat hai... 
Zara sochoo tumharay dil mein jo mere liye hai... 
pur josh rughbat aur chahat hai... 
yeh sab kuch... 
kia Tumharay pyaar ki belos jazboon ki... 
Alamat hai... 
nahi Aisa nahi hai... 
is durd pur ashoob mein pyaari... 
Wohi Kuch besh keemat hai... 
Jo Ik jins_E_Tijarat hai...

Benaam Sa Ye Dard Thehar kyon Nahi Jata

Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata 
Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata. 



Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein 
Kya Baat Hai...Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata.. 



Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein 
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata... 



Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha 
Jate Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata... 



Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai 
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!

Aansoo May Na Dhoondna Humey



Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,

Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.

Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman *** Jaayega,


Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.

Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,

Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,


Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,


Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.

Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge

Popular Posts