Sunday, June 20, 2010

Sookhay hont,sulagti ankhain,sarsoon jaisa rang


Sookhay hont,sulagti ankhain,sarsoon jaisa rang 
Barsoon baad wo dykh k mujh ko rah jaye ga dang 

Mazi ka wo lamha aj bi mujh ko khoon k ansoo rulaye 
Ukheri ukheri batain us ki gairoon jaisay dhang 

Dil ko pahly hi dard ki deemak chat gai thi 
Rooh ko bhi ab khata jaye tanhaee ka rang 

In hi ky sadkay ya rab mairi mushkil asaan kar dy 
Mairy jaisy ar bi hain jo dil k hathun tang 

sab kuch dy kar hans di ar phr kahny lagi taqdeer 
Kabi na poori hogi tairy dil ki umang 

Kiyun na apni chooreeun ko kirchi kirchi kar daloon 
Dykhi hai aj aik sundar nari piyary pee k sang 

Shabnam koi jo tujh sy haary,jeet py maan na karna 
Jeet wo hogi jab jito gi apny jo ap sy jang

No comments:

Popular Posts