Friday, August 13, 2010

Chand Chehra Gulab Lab uskay hum pe wajib hay muhabbat karna



Chand Chehra Gulab Lab uskay
ham pe wajib hay muhabbat karna

mazhabe ishq ka rukan thehra
raat din dard tilawat karna

uskay ankhon k samnadar ka kanwal~
Dil k sehra pe qayyamat karna

chor kar lafz yadgaron se
rooth jaoungi gila mat karna

Uss Lamhay se iss Lamhay tak'

kal shaam thi kesi shaam udas~
wo shaks jo khawabon jesa tha,
Rangeen gulabon jesa tha,
wo jiski batain khushbu si
awaz thi jiski jadu si,
wo bolay to uss laehjay se,
kuch phool bikhar se jatay thay
ham bat kahan phir suntay thay...?
bus ankhom main kho jatay thay
tasweer se uski lag ker Ham
is dil ki batain kehtay thay
kehtay kehtay so jatay thay

wo chalta tha to chand usay
jhuk jhuk ker dekha karta tha
ye pagal si madhosh hawa
usay choonay ko ruk jati thi,
wo hont gulabon jese thay
wo jin se paani peeta tha
to dil main hasrat utthi thi
ay Kash katora hotay ham
un hoton ko choo laitay ham!

kal sham thi kesi sham kanwal...?
wo behkay behkay qadmon se
chal ker aya, kuch paas hua
un narm gulabi honton nay
ye hont chooye, ye jism chooa
ham ankh jhapakna bhool gaye,
phir palkain sharm se mond gaain,
us lamhay ye ehsas hua
un narm gulabi honton se,
hay jism ye sara mehka sa
har qadam hay kuch kuch behka sa,
uski sanson main ghul ker ham!
jis lamhay ko madhosh huay,
wo muska ker kuch dooor hata,
or See You" keh kar lout gaya!

or ham gum sum se chup chup se,
us lamhay se is s lamhay tak,
un lamhon ka ehsas liye
kuch mann hi mann main soch rahay!
un lamhon ka ehsas meri
rag rag main behta jata hay
us lamhay se iss lamhay tak
ye jism mehakta jata hay

Sab tumharay liye.Jaan-e-jaan yeh jahaan, yeh zameen aasmaan


Sab tumharay liye.

Jaan-e-jaan yeh jahaan, yeh zameen aasmaan.

yeh mere raat din khaak main tere bin.

yeh meri zindgi, dosti , dushmani.

rastay , wastay sab tumharay liye.

tum jo dekho to mere shab-o-roz ko
koi matlab millay.

tum jo poocho to mere har ik harf ko.
koi rutba millay koi munsib millay.

tum jo socho mere wastay kuch bhi.

main sitaaroon ko muthi main bhar laoon ga.

tum agar aik mujh ko awaz do.
main jahan per bhi hoon laot kar aaooon ga.

yeh mere jism-o-jaan mere sheir-o-sakhan.

meri tanhayiaan bazam araayiaan

ab tumharay liye

SAB tumharay Liye

Tumharay naam k harfoon se behter harf main Nahi Hain


Tumharay naam k harfoon se behter harf main Nahi Hain

Najanay kab se yeh mosam

Sitaaroon ki tarha dharti k seenay per farozaan hain.
magar in ki nigahoon ne.
tumharay wasal k lamhoon se behter waqat
dekha hai na socha hai.
hawa ne manzroon per aaj tak jo kuch bhi likha hai.
tumharay naam likha hai.

khala main toot,tay taray tumharay baam se guzrein.
to ruknay ko machaltay hain.
falak ko choomtay jazbaat tumhaari aankh se utrein.
to pataloon main girtay hain.

tumharay khawab se roshan minaaray.
waqat k darya-e- be hadd main nahi.

tumharay naam k harfoon se behter harf main nahi hain.

September k maheenay ka woh shaid aakhri din tha


September k maheenay ka woh shaid aakhri din tha.

Baras Guzray kai.
Main ne "Mohabbat" lafaz likha tha.
kissi kaghaz k tukray per.!
Achanak yaad aya hai.
baras guzray kai............
Mujh ko kissi se baat karni thi.
ussay kehna tha.

Jaan-e-jaaan "Mujhay tum se Mohabbat hai".
magar main keh nahi paya.
woh kaghaz aaj tak lipta para hai dhool main lekin.
kissi ko de nahi paya.
dobara chah kar bhi main "Mohabbat kar nahi paya."

yeh barish khoobsoorat hai ek arsay baad



yeh barish khoobsoorat hai
ek arsay baad
meri rooh main
sairaab honay ki tamanna jaag uthi hai
magar badal kay rustay main
bohat say pai'r aatay hain
main pal bhar kay liye shadaab hoon
aur apni baki umar
phir sehra main kaatoo'n?


main apni pyaas par raazi rahoon gi
meray aansoo meray dil ki kafalat kay liye kaafi rahain gay.

Kai chand dhund main kho gaye


Kai chand dhund main kho gaye.
kai jaag jaag k so gaye.

Magar is sitaara-e-Meharbaan.
jo gawaah tha.

sarr-e-shaam se damm-e subaah tak

kissi wasal-e rang si raat ka.
kissi be kunaar se lutaf ka.
kissi mushkbaar si baat ka

Mere saath tha.
Mere saath hai.

Ab yehi aakhri sahara hai


Ab yehi aakhri sahara hai,
Main tera tou mera kinara hai,

Loatna ab nahin raha mumkin,
Tu ne kis morr pe pukara hai,

Kya tumhein ab bhi yaad aata hai,
"chand ke pass jo sitara hai

Yeh tou sajta hai aasmano pe,
Tu ne palkon pe kyun utara hai,

Hum koi khaas khush nahin Ferhat,
Zindagi kya hai,bas guzara hai

Woh Ek Khuwahish Woh Ek Kasuk Woh Ek Sapna


Woh Ek Khuwahish

Woh Ek Kasuk

Woh Ek Sapna

Jo Ke Mere Dil Ki Atha Gehraiyon Main

Sakoot OrdayDum Sadhay Betha Hai

Or Us Din Ka Muntazir Hai

Jab Isse Zinda Hona Hai

Or Ek Tofaan Ki Manind

Her Shey Ko Baha Ker Lejana Hai

Mager Nahin......

Mujhey Usse Rookna Hoga

Apni Khuwahishon Ko Dabana Hoga

Apnay Sapnon Ko Tordna Hoga

Kahin Woh Apnay Saath

Mera Sab Khuch Na Baha Ker Le Jay

Kahin Mera Dost Na Mujhse Chin Jay

Kahin Woh Bhi Na Mujhse Chin Jay

Jo Kabhi Mujhe Mila Hi Nahin

Jo Ke Mera Apna Hai

Mera Sapna Hai

Kahin Aasa Na Ho

Is Tofaan Ke Bais

Meri Chahat Mujhse Chin Jay

Kahin Aasa Na Ho Kissi Ka Dil Toot Jay

Koi Rooth Jay

Haan Mujhe Aasa Hi Karna Hai

Is Juzbey Ko

Is Chahat Ko

Apnay Dil Main Qeed Karna Hai

Kiya Maloom

Uski Bhi Koi Chahat Ho

Uska Bhi Koi Piyaar Ho

Haan Main Yeh Ehsaas

Dil Ki Gehraiyon Main

Dafun Kar Longa

Or Usko Bhool Jaonga

Kiyon Ke Piyar Panay Ka Naam Nahin

Bulke Khone Ka Naam Bhi Piyar Hi Hai

Piyar....

Piyar Jo Qorbani Maangta Hai

Mujhe Qorbani Hi To Deni Hai

Apnay Juzbon Ki Qorbani

Apnay Sapnon Ki Qorbani

Or Sab Se Bard Ker

Apnay Piyar Ki Qorbani

Rasm_e_sajda bhi uthaa di hum ne


Rasm_e_sajda bhi uthaa di hum ne
Azmat_e_ishq barrha di hum ne

Jub koi taaza shagoofa phoota
Kii gulistan mein manaadi hum ne

Jub chaman mein kahin chain na mila
Dar_e_zindaan pe sada di hum ne

Aanch saiyad k ghar tak pohnchi
Etni sholon ko hawa di hum ne

Khoon_e_dil say dar_e_maikhana per
Teri tasveer bana di hum ne

Dil ko aanay laga basnay ka khayal
Aag jub ghar ko laga di hum ne... .

Kuch Aisi Baat Thi Tum Me Ke Hum Bhula Naa Sake


Kuch Aisi Baat Thi Tum Me Ke Hum Bhula Naa Sake
Tumhare Baad Kisi Se Bhi Dil Laga Naa Sake

Tumhe Toh Mil Gaya Dil Ka Makeen Laikin Hum
Khud Apne Aapko Bhi Khone Se Bacha Naa Sake

Jo Meri Aankh Me Aansoo The Sabne Dekh Liye
Jigar Ke Ghav Hum Kisi Ko Bhi Dikha Naa Sake

Woh Kaisa Waqt The Jisme Hum Pehroun Soncha Karte The
Kyun Inn Lakeeroun Me Hathoun Ke Samaa Naa Sake

Ek Aur Zindagi Hum Khuda Se Maangenge
Jo Dil Ki Baatein Thi Dil Me Hi Reh Gayi Madfan
Agar Hayath Moujooda Me Hum Tumhe Paa Naa Sake

Main uss ka dost hon woh etraaf kerta tha



Main uss ka dost hon woh etraaf kerta tha,
Magar wo batein bhi mere khilaaf kerta tha,

Suna hai gir ke mera badalon ki sirri se,
Wo aasman ki chat mein shigaaf kerta tha,

Kamal hai ke hua woh bhi nazar-e-be,khabri,
Jo hum pe roz naye inkishaaf kerta tha,

Woh qatal ho gaya badsuraton ki mehfil mein,
Jo sare sheher ke aainey saaf kerta tha...,

Qateel ab tou mazaron ka bhi hai woh qail,
Khuda se bhi jo kabhi inhiraaf kerta tha

Khushi Aur Unki Mohabbat Ki Jo Dua Mangi Hum Nai


Khushi Aur Unki Mohabbat Ki Jo Dua Mangi Hum Nai
Mila Sirf Dard -E -Tanhai Aur Bichadne Ka Ghum Hum KO

Naseeb Mein Jo Likha Tha Judaai ka Ghum Sehna
Jab Bicharna Hi Tha To Kya Fir Milna Zaroori Tha Hum KO

Saza Ye Hum Ko Kaise Mile Mohabbat Karne Par
Ke khud Muskan Nai Bagawat KI Hum Say Aur Deya Aansoo Hum KO

Na Main Heer, Na Tu Hai Raanjha



Na Main Heer, Na Tu Hai Raanjha
Pyar Me Dard Magar Hai Sehna

Mile Jo Ranjha Ban Kar Mujhe Tum
Husn Mera, Ho Gaya Kaatil Tera

Pyar Se, Bahut Chaao Se Tum Kehte
Meri Heer Tu Meri Raato Ka Taara Hai
Koyal Jaisi Meethi Hai Aawaaz Teri
Kaano Me Ghol Di ho Jaise Misri Ki Dali

Meri Zulfo Ko Chhu Jaate Tere Lab
Bhar Ke Aankho Me Ajeeb Si Shararat

Chal Pade Hum Anjaan Safar Par
Kabhi Socha Na Anjaam Humne

Mohabbat Se Laga Jo Dar Thaa
Khabar Hui Mujhe Aur Zamaane Ko

Piya Maine Zeher Ka Pyaala Pyaar Me
Mehndi Ka Rang Hua Laal Khoon Se
Siya Tune Zakhmo Ko Kaanto Se
Machal Uthi, Tadap Uthi Dharti phir Se
Heer Raanjha Ki Daastaan Se

Main tere khyaalo me duub kar Apni chaahato se, apni wafaao ka


Main tere khyaalo me duub kar
Apni chaahato se, apni wafaao ka
Ek haseen tajmahal taameer to kar du

Magar mere mehboob
Kuchh dard bhari karaahe
Kisi bhooke ki sadaaye
Nange rote-bilakhte bachche

Bam Se Tabaah Koi Dilkharaash Manzar
Mujhe Waapis Kheench Laate Hain
Haqeeqat Me, Dard Bhari Haqeeqat Me

Kandho Pe Phaile Tere Baalo Ko
Teri Aankho Ke Kaajal Ko
Main Raat Se Taabeer To Kar Du

Magar Mere Mehboob
Ye Raat, Ye Kaali Raat
Kitne Zulm Ko, Kitni Nafrato Ko Samoye Hai
Kitne Maasoomo Ko
Gehre Kaale Khoon Me Bhigoye Hai

Ye Jo Aag Mere Dil Me Lagi Hai
Ishq Ki, Judaai Ki
Milan Ke Baad Bujh To Jaayegi
Jaise Paani Se Aag

Magar Mere Mehboob
Ik Baahar Lagi Hai, Andar Se Bhi Shadeed
Jal Rahe Hain Jangal, Sehra Aur Pahaad
Jal Rahe Hain Makaan-O-Dukaan
Aur Jal Rahi Hai Insaaniyat

Hamaari Mohabbat To Jawaan Hai
Aur Jawaantar Hoti Jaayegi
Dilo Me, Khyaalo Me, Jazbo Me Hamaare

Magar Mere Mehboob
In Haalaat Me, Aise Zamaane Me
Kya Hamaari Mohabbat Manzil Ko Paayegi
Wo Khwaab Jo Teri Aankho Me Machal Rahe Hain
Kya Haqeeqat Ban Paayenge

Woh Milta Tha Roz Hanste Hoe Hum Se


Woh Milta Tha Roz Hanste Hoe Hum Se
Aarzoo-e-Dil Ko Chupa Kar Hum Se


Barso Se Bunta Tha Sapno Ko Palkoon Pe
Par Kahayalo Mein Khe Jata, Hum Se

OOs ki Hichkichaahat the Rokaawat
Par Itebaar Buland The Hum Se

Dil-Shaad Kar Gai Uski Mohabbat Mujhko
Raha Nahi Gaya Kuch Bole Bagir Humse

Nigaho Mein Basa Liya Us Farishta Ko
Aur Keh Deya, Jo Tawaqqo The Uski, Hum Se

Falak Pe Jab Koi Sitaara Taabinda Nikla


Falak Pe Jab Koi Sitaara Taabinda Nikla
Ek Aansoo Aankho Se Naadeeda Nikla

Kal Talak Jis Mehfil Ki Hum Raunak The
Usi Mehfil Se Aaj Main Namdeeda Nikla

Chadha Diya Logo Ne Jise Phaansi
Murdaa Sheher Me Wohi Shakhs Zinda Nikla

Nafrate Thii Jis Ke Liye Mere Dil Me
Usi Shakhs Ka Main Pasandeeda Nikla

Lalak Sabhi Ko Hai Sair-E-Falak Ki
Aasmaa Ko Chhune Waala Ek Parinda Nikla

Katl Ke Baad 'Zafar' Manzar Ajab Dekha
Mehfil Me Nam Sirf Kaatil Ka Deeda Nikla

wafa ki khair manata houn bewafae main b


wafa ki khair manata houn bewafae main b
main us ki kaid main houn kaid say rahae main b

lahoo ki aag main jal buj gay badan to khula
rasae main b khasara hai narsae main b

badalty rehty hain mosam guzarta rehta hai waqat
magar yh dil wahein ka wahein judae main b

main ja raha houn usi ki traf usi ki traf
jo mery sath tha meri shikista pae main b

Ye bas zara si safaii ka bayaa he mera


Ye bas zara si safaii ka bayaa he mera
Dekh lo har din kesa imtehaa he mera
Main subha se sham tak nahaya karta ho
Sarf istemaal karta ho khob jhag banaya karta ho
Din raat me apni safaii me guzarta ho
Mel bhi saf karta ho or khal bhi owtarta ho
Wo or log hai jo jumme ke jumme nahate hai
Ye ham hi hai jo khud ko rooz rooz chamkate hai
Magar kia karo phir bhi dil ki bekarari nahi jati
Sar bhi bhari rheta he bezari nahi jati
Ab me kia bayaa karo ke asal haqiqat kia he
Dara sal mere sath kharish ka masla he
Ab is masle ko kis tarha hal karo kuch samaj nahi ata
As liye rooz rooz ho me is qadar nahata

Is Dil Ko Teri Yaad Buhat Aaye


Is Dil Ko Teri Yaad Buhat Aaye
Phoot Ker Roe,Aur Neend Buhat Aaye

Aankho Ki Ras Ko Qaid Kya Muthi Me
Moti Dekha, Khushi Raas Buhat Aaye

Chand Ki Kirno Mein, Fairshta aya
Janat dekhe,Chehre Pe Ronak Buhat Aaye

Phoolo Ki Kangan Se,Sajayi jo kaalai
Mehki khusbo,khud se Sharm buhat aaye

Har Chera Me Tera Chera Nazar Aaya
Jo Na Tha,Us Pe Be-Dard Barish Buhat Aaye

Thikaanaa khoya, Thokar Buhat Khai
Kabhi Taqdeer Pe Roe,Kabhi Hanse Buhat Aaye

Apni Tamana apne dil me he rah gai
Par us ko Apne Maa ki Duaine yaad Buhat aye

Rah ho gai he gum rasta nazar nahi ata


Rah ho gai he gum rasta nazar nahi ata
Kia howa he waha pe kuch khabar nahi pata
Koi waha se batai ke kio ye rasta band howa hai
Koi kaam kia unko na pasnd howa hai
Kahi gunha gaar ki saza ka iyrada to nahi
Kahi mera koi gunha itna ziada to nahi
Kahi meri deri pe wo naraz to nahi
Kahi mere likhe pe unko eteraz to nahi
Bas jo bhi ho to aap ana to batana
Haqiqat kia hai us se parda zara hatana

Tumne kya socha thaa ki Tum har manzil ko paaoge Sitaare tod laaoge


Tumne kya socha thaa ki
Tum har manzil ko paaoge
Sitaare tod laaoge
Qadmo pe zamee hogi
Aur labo pe hansi
Tumhe kuchh maaloom na thaa
Zindagi ke bazaaar me
Khwaab beche khareede jaate hain
In saudo ki haqeeqat kuchh nahi hoti
Sachhe khwaabo ki keemat kuchh nahi hoti

Ae khwaabo ko dekhne waale
Khwaabo ki taabeer ko samajhte
Use afsaanwi rang to na dehte
Khwaabo ki taareeki me na duub kar
Unko zindagi ki roshni me laate

AasmaaN ke hisaar se Aur zameeN ki pukaar se Duur Majbuur


AasmaaN ke hisaar se
Aur zameeN ki pukaar se
Duur
Majbuur
JahaN jannat aur jahannam ka silsila hai
JahaN shar-o-baatil shikast-o-past haiN
Sadaa-e-haq ki guuNj jahaN fizaaoN me hai
JahaN duaayeN kabhi be jawaab nahi haiN

WahiN ek laachaar cheeNkh
Un-suni ho rahi hai
WahiN madad ko tarasti aaNkh
Laa-manzar ho rahi hai
WahiN wafaaoN ka baadal
Paani ko taras raha hai
WahiN ummeedoN ka dhuaaN
Bikhar raha hai, TuuT raha hai

Hum nai kya manga zindagi se


Hum nai kya manga zindagi se
Khushi, pyar aur sukoon
Mila aab-e-chaahm annkho ko
Khoya apna Ehsas
Aas ko lagai aag
Toot gaya jazba

Baaqee raha apna khali makbara
Jurm tha, mujrim the, jigar kata
Bezari hoe khud se
Rooh nai jism choda
Tan bhi sukh gay
Jazba chane Ka
Kabhi kaam na hoa

Dosto ki mehfil mein aaj phir se aaj hai sabkaa milnaa



Dosto ki mehfil mein aaj phir se aaj hai sabkaa milnaa...
Bahuut dino baad hai ek dusrai se apnaa dukhh dard baantnaa
Laayai hain aaj hum dosto ke liyai khushiyon ki saugaat
Sab pran karengai jeevan bhar denai ka ek dusre ka saath
Laayai hain ek dusre ke liyai pyaar bharaa paigaam
Naa tootegaa ye saath humaara khushi ho ya gumm
Hotaa hai do dilo do aatmaon ka maill.......
Kho jaatein hain ek dusro mein essa jazbaato ka khel
Kehtai hain dosti zaroori hai zindagi ke liyai
Tabhi to aaj bhi zindaa hai aap jaise dosto ke liye

Tanhai me aansu gir kar fanaa ho gaye


Tanhai me aansu gir kar fanaa ho gaye,,,
Pal do pal me gulshan sehra ho gaye,,,
Wo aaye hamari zindagi me kuch aise
Koi kagaz kalam bayaan na kar sake jaise,,
Saath guzaara har lamha, awaaz deta hai,
Reh reh kar gurbat me muskurane ki aas deta hai,,
Wo muskurahat, jise dekhkar hum jee uthte,,,
Patjhar me jaise phool khil uthe,,,
Har lamha intezaar rehta tha,,,
Tere kadmon ki aahat ke liye dil bekarar rehta tha,,
Moti bane aanso unke hamari yaad me,,
Par wo izhaar na kar sake apni fariyaad me,,
Wo chehra dekh, tashn lab kuch bayan na kar sake
Darte the shayad naqab posh me ruswa na kar de
Na jaane kam zarf ho gaye hamare apne,,
Aur bad-bakht bane kaamil sapne,,
Dil-e-jigar dard-e-nasoor ban gaye,,
Apni hi parchayi kafan bana kar so gaye,,
Tadap rahi hai jaan,kuch aur pal jeene ko
Ki maut kehti hai,,koi ba'ab nahi rukhsat ko,,

Zabt ki kon si manzil thi,kis muqam pe a k haare hein


Zabt ki kon si manzil thi,kis muqam pe a k haare hein
itna to tumhen malum he hai,tere nam pe a k haare hein,

Kbhi khud pe jabr kia hum ne,kbi khud ko yun be-mol kia,
hum subhon k lotne wale they,ik shaam pe a k haare hein,

Ik dard musalsal hota hai,ik baarish ander hoti hai,
k heeron jese log yahan ilzam pe a k haare hein....

Kb jeet ka dawa hum ne kia,ye azal abd ka qissa hai,
hum bekhabri k aalam mei Anjam pe a k haare hein....!

Tum ne baarishon ko mehz barste dekha hai


Tum ne baarishon ko mehz barste dekha hai
main ne aksar barishon ko kuch kehte suntey dekha hai,

Tum dekhte ho barishon ki jal thal her saal,
mene barsat ko barhaa palkon pe machalte dekha hai,

Kese mangun barstaa saawan apne RABB se??
in ankhon ne bastion ko saawan mei ujarte dekha hai,

Seekh gay hum barishon ko apne undar utarne ka fun,
or phir sab ne hamen har pal hr dum hanste dekha hai...!

Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai


Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai
Usse kehna be-fikar main b nahi hoon

Suna hay wo gumsum rehti hai
Usse kehna hazir zehan main b nahi hoon

Suna hay wo raaton ko jaga karti hai
Usse kehna sota main b nahi hoon

Suna hay wo chup chup k roti hai
Usse kehna hansta main b nahi hoon

Suna hai wo mujhe yaad buhat karti hai
Usse kehna bhoola main b nahi hoon

Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
Usse kehna bewafa main b nahi hoon

Dil ko dil ki khaber zarori hai


Dil ko dil ki khaber zarori hai,
Ab dua mein asar zarori hai ,

Loat aana hai jane walon ne,
Ik diya baam pe zarori hai ,

Umer ki iss karri musafat mein,
Rastay mein shajar zarori hai ,

Manzil-e-ishq ke liye jag mein ,
Husan ki rah guzar zarori hai ,

Koi awaz khenchti hai Naveed,
Ab tou koi safar zarori hai

tamam shab yunhi dekhaingi soo e dar ankhain


tamam shab yunhi dekhaingi soo e dar ankhain
tuje ganva k na soyengi umr bhar ankhain

tulo e subah se pehley hi bujh na jayen kahin !
yeh dasht e shab mein sitaron ki humsafar ankhain

sitam yeh kam to nahi dil giraftagi k liye !
main shehar bhar mein akaila, idher udher ankhain

shumar uski sakhafat ka kia karain k vo shakhs
chiraag baant'ta phirta hai cheen kar ankhain

voh paas tha to zamaney ko dekhti hi na thein
bicher geya to huyen phir se darbadar ankhain

abi kahan tuje pehchan'ney ki zid kijey
abi to khud se b thehri hain beykhaber ankhain

main apney ashak bacha luunga kis tarha Mohsin ?
zamana sang bakaf hai to sheeshagar ankhain

kabi jo ahd e wafa meri jaan terey merey darmyaan tootey



kabi jo ahd e wafa meri jaan terey merey darmyaan tootey
main chahta hon k is se pehley zameen pe yeh asmaan tootey

teri judayee mein hoslon ki shikast dil pe azaab thehri
k jesey munh zor zalzalon ki dhamak se koi chattaan tootey

usey yaqiin tha k us ko merna hai phir b khuwahish thi usk dil mein
k tez chalney se paishtar dast e dushmanaan mein kamaan tootey

sab daleelain sanbhal kar b merey vakeelo yeh soch lena
vahin pe meri shikast hogi jahan b mera byaan tootey

fana k teeley pe khaima e jaan hava k jhonkey se yun gira hai
k jesey badqismati se buzdil shikaryun ki machaan tootey

voh sang hai to girey b dil par voh aina hai to chubh hi jaiega
kahin to mera yaqiin bikhrey kahin to mera gumaan tootey

ujarr ban ki udas rut mein gazal to Mohsin ne chairr di hai
kisey khaber hai k kis k masoom dil pe ab k yeh taan tootey ?

Jaein gay door tak jo khiyalon ke silselay


Jaein gay door tak jo khiyalon ke silselay ,
Khud un se aa milein gay ujalon ke silselay,

Kuch iss liye bhi ho gaye gosha nasheen hum,
Had se hi barr chalay thay sawalon ke silselay,

Fursat nahin ke pursish-e-ehwal ker sakein,
Hum jantein hain bhoolney walon ke silselay,

Rah-e-wafa kathan hai sambhal ke chalo yahan,
Lamhon mein toot jatey hain saalon ke silselay,

Muddat ke baad aayein hain ghar ko jo loat ke,
Paayein hain muntazir wohi jaalon ke silselay ,

Taey jab talak na ho yeh biyabaan-e-zindagi,
Pairon ke sath sath hain chaalon ke silselay

Teer tou gheir ki kaman ke thay


Teer tou gheir ki kaman ke thay,
Hath per aik meherban ke thay,

Iss ke lehjay mein sach tou tha lekin,
Rang gheray mere guman ke thay,

Main jab aai tou wo safar mein tha,
Aur iraday bhi aasman ke thay ,

Main teherti ya wo teher jata,
Saaye bas aik sayeban ke thay,

Na ussey na mujhe hi raas aaye,
Rastay ye jo dermiyan ke thay,

Jab hawa tham gai tabhi jana,
Tuar kuch aur baadban ke thay

Tum saath ho to mujhe andheron ki parwaah nahi


Tum saath ho to mujhe andheron ki parwaah nahi
tum manzil ho meri mujhe mushkilon ki parwaah nahi

baadlon mein chupa chaand phir dekho muskurata hai
yeh waqt do ghadi ka hai mujhe gardishon ki parwaah nahi

raah-e-zindagi mein waqt kaise kaise imtehaan leta hai
tum hamsafar ho jab mujhe natijon ki parwaah nahi

Dhoop ke safar mein aik din chain bhi Aaye ga
hausla tum ne diya hai to mujhe faaslon ki parwaah nahi

gham ke samandar se Umeedon ka kenara ab dur nahi
tum kaashti ho meri mujhe Tufaanon ki parwaah nahi

majboor e ana ho kar, paband e wafa ho kar


majboor e ana ho kar, paband e wafa ho kar
hum baith gai akhir razi ba-raza ho kr.

jis rut men woh bichra tha us rut k ta,qub men
dil hy k bhatakta hy rahon ki hawa ho kr.

is jism k zindaan men ek umr se qaidi hain.
urr jain ge hum akhir ik roz reha ho kr.

ab tak mere angan men phoolon ka basera hy.
guzry the mere ghar se woh bad-e-saba ho kr.

is darja hawadis se khaif hy meri hasti...
har lafz nikalta hy honton se dua ho kar

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe


Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha nahi mujhe

Aaj dulhan k laal joray main Usay uski sahelyon nay sajaya hoga


Aaj dulhan k laal joray main, Usay uski sahelyon nay sajaya hoga
Meri jaan K goray hathon per mehndi ko lgaya hoga.

Bohot gehra charhega mehndi ka rung
Or mehndi main mera naam chupaya hoga.

Lag rahi hogi bohot pyari, hoor hai woh
Aaj chand bhi usko dekh kr sharmaya hoga.

Reh reh kr ro pari hogi
Jab jab usko mera khayal aaya hoga.

Aaj meri jaan nay, Apnay maa baap ke izzat ko bachaya hoga
Usnay Bety Honay Ka Haq Nibhaya Hoga.

Hogaey hongay laal mehndi walay hath
Jab kanch k tukro ko usnay uthaya hoga.

Bhooki hogi woh janta hoon main
Kuch na us pagli nay meray baghair khaya hoga.

Kesay sambhala hoga khud Ko usnay
Jab rukhsati ka waqt aaya hoga.

Kanpta hoga jism uska
jab uska hath logo nay dulhay ko thamaya hoga.

Ro ro k hogya hoga bura haal uska
Jab rukhsat usko kiya ja raha hoga.

Bray pyar say meri jaan ko
us k maa baap nay doli main bithaya hoga

Majboor to main bhi tha
Usko us k maa baap say manga bhi bohot tha

Manga to Rab say bhi bohot tha
per usko bhi yeh manzoor na tha

Rehna paey ge woh mujhse juda ho kr, Janta hun main
Dar hai mujhe, K chup k say usnay bhi zeher khaya hoga

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon



Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon,
Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon,

Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai,
Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kardoon,

Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon,
Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardoon,

Tu mujhe mohabbat ka aghaaz de sanam,,
Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon,

Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai,
Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon,

Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai,
Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon…….?

Kiya ishq tha jo baa-issay ruswaii ban gaya


Kiya ishq tha jo baa-issay ruswaii ban gaya
Yaaro tamam shehr tamashai ban gaya

Bin mangay mill gai meri aankhon ko rat jaggay
Main jab say aik chand ka shaydaii ban gaya

Dekha jo uska dast-e-hinai qareeb se
Ahsas goonjti hoowi shehnaii ban gaya

Barham hoowa tha meri kisi baat par koee
Wo haadsa hi wajh-e-shanasaii ban gaya

Karta raha jo roz mujhay uss say bad gumaan
Wo shakhs bhi ab usska tamannai ban gaya

Wo tayri bhi to pehli muhabbat na thi Qateel
phir kiya hoowa agar koi harjaaii ban gaya

Teray ishq nay bakhshi hai yeh soghat musalsal


Teray ishq nay bakhshi hai yeh soghat musalsal
Tera ziker hamesha teri baat musalsal

Ek muddat howi tere baam o darr se niklay
Rehti hai phir bhi tujh se mulaqat musalsal

Dil laggi dil ki laggi ban jati hai
Jab tasawar mein guzarti hai raat musalsal

Jab se dekha zulf e pareshan ka aalam
Uljhey howe rehte hain mere din raat muslasal

Mein mohabbat mein is muqam pe pauncha hon jahan
Meri zaat mein rehtiii hai teri zaat musalsal ...!

Popular Posts