Wednesday, June 16, 2010

suno kismat se larnay ki kabhi koshish nahi karna


suno kismat se larnay ki
kabhi koshish nahi karna
muqaddar jb mukhtalif hoon
duaain be_asar ho jayain
sabhii manzar bikhar jayain
to aisay main bagavat ki
koshish nahi krna
kisi k sath chalnay ki
kisi k dil main basnay ki
kabhii khwahish nahii krtay
kisi ek shakhs ki khatir
sabhii se door ho jana
kahan ki ye muhabbat hai
muhabbat ye nahii hoti
muhabbat dil main hoti hai
muhabbat aks hai rab ka
kabhii ye marr nahii skti
hamesha sath rehti hai
hamesha sath chalti hai
milay jo hamsafar tum ko
ussi k sath chalna tum
ussay dhadkhan bana lena
ussay dil main basa lena
magar kismat se lrnay ki
lakeeron se ulajhnay ki
kabhii koshish nahii krna
kabhii koshish nahii krna

ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa


ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa 
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa 


kaise mar-mar ke guzaarii hai tumhein kyaa maaluum 
raat bhar taaron bharii raat pe ronaa aayaa 


kitane betaab the rim_jhim mein piiyenge lekin 
aa_ii barasaat to barasaat pe ronaa aayaa 


kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir 
sab ko apanii hii kisii baat pe ronaa aayaa 


 ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai 
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa.. 

Na Jane Woh Mujhse Kya Chahta Hai


Na Jane Woh Mujhse Kya Chahta Hai 
Meri Maut Ya Meri Zindagi Chahta Hai  

Baatein Toh Choorhne Ki Karta Hai 
Saath Khush Hone Ki Dua Karta Hai  

Na Jane Woh Mujhse Kya Chahta Hai 
Mere Aansoo Ya Meri Hansi Chahta Hai  

Woh Shayed Mujhe Khabi Nahin Samajh Sakta 
Ish Liye Har Waqt Mujhse Door Hona Chahta Hai  

Keh Do Ush Se Dhuniya Waloon 
Woh Meri Zindagi Nahin Maut Chahta Hai  

Keh Do Ush Se Jahan Waloon 
Woh Meri Khushi Nahin Aansoo Chahta Hai

Intazar Mein Mujhe Tarpaya Mat Karo

Intazar Mein Mujhe Tarpaya Mat Karo...
Dil Ki Baat Mujh Se Chupaya Mat Karo...

Milo Mujhe Tu Apni Baatein Chhera Karo...
Kisi Or Ki Baat Mujhe Sunaya Mat Karo...

Tumhare Bin Bhool Jata Hoon Khud Ko...
Door Ja Ke Mujh Se Mujhe Yun Sataya Mat Karo...


Mein Karo Koi Baat Tu Khud Samjho Kabhi...
Pooch Kar Sawal Mujhe Uljhaya Mat Karo

Usey Kehna Mukammal Kuch Nahi Hota

Usey Kehna
Mukammal Kuch Nahi Hota
Milan bhi na mukkamal hai
Judai bhi adhori hai
Yahan ek mout pori hai!


Usey kehna
Udaasi jab ragoon main
khoon ki manind utarti hai
Bohat nuksaan kerti hai!

Usey Kehna
Bisaat-e-Ishq pe jab mout hoti hai
Dhukoon k sheher main jab raat hoti hai
Mukkamal bas KHUDA ki Zaat hoti hai

Kitni ajeeb see hoti yeh tanhai hai

Kitni ajeeb see
hoti yeh tanhai hai
Lage apno se apni
kabhi lagti paraai hai
Rooh ki chhavi see
yeh lagti anjaani bhi
syaah se bhi kaali
kabhi lagti perchhaai hai
Chhoo nahi pati jisko
jaane hai kab bazm mein
tabha karta hai jiska hona
kabhi chubhti jiski judai hai
Karti nahi main iski arzoo
phir bhi aaghosh mein le leti hai
dum bharti hai wafaa ka
kabhi ban jaati harjaai hai
na koi aas paas ho
to samjhun ke main tanha hun
par duniya ki bheedh mein
tanha kar jaati tanhaai hai

titlee jo aik mujhko mili thi kitab mai


titlee jo aik mujhko mili thi kitab mai
wo apna aks chhorh gayee merey khwab mai

ab tak wo merey zehn mai uuljha sawal hai
shamil rahi jo harr gharhi merey nisaab mai

aankho'n mai nind hai na koi khwab door tak
rehtey hain ham bhi aaj kal waisey azaab mai

milta hai mushkilo'n se galey lagg k chand bhi
aaye simat k fasley kitney saraab mai

aakhir meri wafa ka mujhey kia sila mila
likkha na aik harf bhi uss ne jawab mai....

Hum door ja rahe hain Khamoshiyon ke nishan

 Hum door ja rahe hain 
Khamoshiyon ke nishan 
Chehre ko chupa rahe hain 
Is pal mein tanhayion ki 
Wajah bata rahe hain 
Yeh soone nain pyaar ki 
boonde barsa rahe hain 
Shayad Hum Dor Jaa rahe hain 
Phoolon se jaise yeh bhavrey 
Jaise mehak chura rahe hain 
Chaand ko jaise yeh badal 
Chupa rahe hain 
Andhere hazaron jaise 
Roshni ko mita rahe hain 
Shayad Hum Dor Jaa rahe hain 
Khwaabo ki dunya kyun 
Humko sata rahi hai 
Yaadon ki dastak kyun 
Humko bula rahai hai 
Tanhayian kyun itani 
Kareeb aa gayi hain 
Shayad Hum Dor Jaa rahe hain 
Thaam lo humein 
Waapis bula lo 
Rok lo humein 
Na yun jaane do 
Rishton ke dhaage mein 
Kaske baandh lo 
Dooriyan yeh badhne se pehle 
Yeh faasle mita do 
Bas keh do ik baar ki “NAHIN”

Apni Aagosh Mein Kisi Roz Chupa Lo Mujhko


Apni Aagosh Mein Kisi Roz Chupa Lo Mujhko 
Gham-E-Duniya Se Mere Dost Bacha Lo Mujhko 

Unko De Dii Hai Isharoo Mein Ejazat Mein Ne 
Mangne se na milon to chura lo mujhko 

Apne saye se bhi ab tou mujhe dar lagta hai 
Ho jo mumkin to nigahon mein chupa lo mujhko 

Dil mein nakam tamanaoon ka tufan sa hai 
Meri uljhan meri wehshat se nikalo mujhko 

Unko likha hai Kisi Roz Yeh Khat mein ne jana
Hum to Khud k bhi nahi Apna bana lo mujhko

Intezar bhi uss ka hudd say ziada kiya



Intezar bhi uss ka hudd say ziada kiyaa 
Pyar bhi uss say bey panah kiyaa 
Khuwab bhi bohat dikhaye thay uss nay 
Lekin! beech safar mein he chor diyaa" 

"Hanstay huway chehray ki 
Baat he alug hoti hai 
Ankhon mein ansoo hotay hain 
Lekin! labon par hansi hoti hai" 

"Roz subha khud say aik waada kartay hain 
Tujhay iss dil say bhulanay ka irada kartay hain 
Apni he baat say mukkarr jatay hain maloom nahi kyoun 
Bheegti ankhon ko khuwab tornay keliye amaadah kartay hain" 

"Koi kabhi un chehron ko parhay 
Jo afsaanon ki tarha hotay hain 
Woh ankhein jin mein shokhion ki jagha 
Gehray gehray samandar hotay hain 
Woh hont jin hon nay hansi ki bajaye 
Chup ki chaadrain orhi hoti hain 
Woh dil jin mein hazar khuahishain nahi 
Tootay huway armaan chupay hotay hain" 

"Kuch rishtay aisay hotay hain 
Jo toray nahi jaa saktay 
Agar toot gaye woh kabhi 
To joray nahi jaa saktay" 

"Phir tum say baat hogi 
Kitni haseen woh raat hogi 
Na nufrat hogi na larai hogi 
Sirf tum say mohabat hogi" 

"Kartay hain tumhey yaad itna 
Ke apni haalut bhool gaye 
Tarap tarap ke rona to yaad hai 
Lekin! sharma ke hansna bhool gaye" 

"Beymaainay hotay hain woh lamhay jub tum paas nahi hotay 
Lagtaa hai mujhay aisay ke zindagi tehr gayee ho jaisay 
Aasman bhi beyrounuq sa lagtaa hai mujhay ke 
Kisi nay chand taaron ki roshni chura lee ho jaisay" 

"Sitaron ke bagher asmaan mein rakha hai kia? 
Bin teray jeenay mein rakha hai kia? 
Lagta hai sub kuch adhoora adhoora sa 
Khushi ke baghair hansnay mein rakha hai kia?" 

"Jitna tum ko chaaha tha hum nay 
Utnaa kisi ko chaah na sakay 
Socha tha bhool jaaingay kabhi na kabhi 
Lekin najaanay kyoun bhulaa na sakay 
Honton nay to chupa liye armaan dil ke 
Lekin ankhon say chupa na sakay" 

"Door kia huway jo tum say 
Zindagi achanuk ruk si gayee 
Aik roshni si thee jo ankhon mein 
Lagta hai jaisay woh bujh si gayee"

Usay mujh say mohabbat hai



!!Usay mujh say mohabbat hai..!!


Wo kehta hai usay pholon ki chahat hai
Magr jb phool khiltay hain wo unko tor leta hay

Wo kehta hai usay barish ka mausam acha lagta hai
Mager jb baarish hoti hai wo kamraay mein afsurda sa ho kar band ho jaata hai

Wo kehta hai Hawaaien ishq hain us ka
Hawaa lekin chalaay jab to wo khirki band rakhta hai

Mujhay abb darr sa lagta hai
Wo jab bhi ye kehta hai Ke

Usay mujh say mohabbat hai

Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga


Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
Yeh sheher sara hee so chukka hai main jagta hooN k kuch likhooN ga

Main pichlay mausam kee baarishooN ko phir apni aankhooN main la raha hooN
K ab kay sawan ke rutt main, main bhee yeh sochta hoon k kuch likhooN ga

Woh saaray rastay kay jin pe hum ne muhabatooN ke safar kiya thay
Main ab jo un per kabhi gaya tu yeh janta hooN k kuch likhooN ga

Bahar rut k woh khawaab saray jo mairi palkooN pe aa sajjay thay
Woh khawaab aankhooN main jal chukkay hain main jal raha hooN k kuch likhooN ga

Main lafz palkooN se chun raha hooN, main khawaab kaghaz pe bun raha hooN
Main tairi aahat bhee sun raha hoon, main janta hoon k kuch likhooN ga

Ajeeb rutt hai judaiooN kee udaas din hain udaas raatain !!!!
Main chand muhmil se lafz likh ker yeh sochta hoon k kuch likhooN ga

Mohabbatein Jab Yaad Karna To Sazeishein Bhi Yaad Karna

Mohabbatein Jab Yaad Karna To Sazeishein Bhi Yaad Karna
Jo Mere Hisse Me Aaye Hai Wo Aziyaatein Bhi Yaad Karna,

Chalaye Rakhungi Main Subah Tak TuMhare Raasto Me Apni Aankhein,
Magar Kahin Sabar Toot Jaye To Baarishein Bhi Yaad Karna

Jo Sardiyonka Udaas MausaM Me Dhadkanein Barf Hogayi Hai,
Jab Ye Ho Jaye Banjar To Bin MausaM Inka Barasna Bhi Yaad Karna,

TuM Apni Majbooriyon Ke Kisse Zaroor Likhna Wazahaton Se,
Jo Meri Aankhon Mein Jal Bhuji Hia Wo Khwahishein Bhi Yaad Karna,

Mohababtein Jab Yaad Karna To Sazishein Bhi Yaad Karna,
Jo Mere Hisse Me Aaye Hai Wo Aziyaatein Bhi Yaad Karna...

Haan Abhi Bhi Jaan Kuch Baaki Hai

Haan Abhi Bhi,
Jaan Kuch Baaki Hai,
Saans Kuch Baki Hia,
ArMaan Kuch Baaki Hia
Aur In Ashkon Ki, Rawaani Kuch Baaki Hai
HuM SaMay Ke Dariya Mein
Yun Tanha Tanha,
Aankhon Me Ashq Bhare Bhare,
In Dharaon Me Behte Behte,
KhaMosh Dishaon Mein
Kabhi Kidhar Kho Jayein
Kya Unhe Khabar Bhi Hogi Yaa Rab!!!

Ghum-o-Dukh k ye isharey tum na samjhoge

Ghum-o-Dukh k ye isharey tum na samjhoge,
jo din humne tumhare bin guzarey tum na samjhoge,

tumhe kese bataein tum hamare waastey kia ho,
samander ki teh mein kinara tum na samjhoge,

bas itna jaan lo ek shaks se humne mohabbat ki,
humare tootne ka khel pyaare tum na samjhoge,

hazaron mushkilon se khel ker jeetne wale,
ye aakhir kis jagah per aa key haarey tum na samjhoge...!!

Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To


Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya

Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya

Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya

Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya

Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To, 
Woh Pighal Gaya

Main Ne Barish Se Pyaar Kya To, 
Woh Baras K Thum Gaya

Main Ne Aag Se Pyaar Kya To, 
Woh Bujh Gai

Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To, 
Woh Murjha Gaya

Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To, 
Wo Toot Gaya

Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To, 
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay

Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To, 
Woh Be-Wafa Niklay

Hum se yon na mila karo aey tanhayee


Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee

Tanha behta baatein kerta hoon
Tanha hoon magar saath hai tanhayee

Behta rehta hoon saath us ke batein kerte
Ke kabhi apni si lagti hai tanhayee

Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee

Waqt guzerte maloom nahi hota
Batein kerte kerte sula deti hai tanhayee

Hansta rehta hoon saath us ke
Ke hanstii hai tanha dekh ker meri tanhayee

Kuch kehti nahi mere bare mein
Bina kahe kuch keh jaati hai meri tanhayee

Tanha behte baatein kerta hoon
Tanha hoon magar saath hai tanhayee

Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee

Niyyat hi Agar Theek Zamane ki Nahi Hai

Niyyat hi Agar Theek Zamane ki Nahi Hai
Jaldi to Mujhe Bhi Kahin Jaane Ki Nahi Hai

Jin Khwabon Ki Taabir Per israr Hai Tum ko
Un Khwabon Ki Tabeer Batane Ki Nahi Hai

Jis Baat Ko Phirte Ho Chupaye Hue Dil Main 
Wo Baat Kisi Se Bhi Chupane Ki Nahi Hai

Is Bheer Main Saaye Se Bicharta Hua Saaya 
Kahta Hai Yahan Saath Nibhane Ki Nahi Hai

Jalte Hue Shahron Main izafa Hi to Hoga 
Jab Rasm Koi Aag Bujhane Ki Nahi Hai

Chehron Se Parho Jabr-e-Mah-o-Saal Ki Tareekh 
Ye DaastaN Duniya Ko Sunane Ki Nahi Hai

Sab Log Khazane Ki Taraf Dor Rahe Hain 
Chabhi to Kisi k Pass Khazane Ki Nahi Hai

Jo tere Liye WaQt Se Ladte Hain Abhi tak 
Un ko to Khabar Hi Tere Aane Ki Nahi Hai

Dukh ye Hai tu Sach Sunne Ka Aadi Nahi Warna 
Ye Umr Tujhe Khwab Dikhane Ki Nahi Hai

Dard kii baarish sahii maddham zaraa aahistaa chal

Dard kii baarish sahii maddham zaraa aahistaa chal 
dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa aahistaa chal 

tere milane aur phir tere bichhar jaane ke biich 
faasalaa rusvaaii kaa hai kam zaraa aahistaa chal 

apane dil hii mein nahiin hai us kii maharuumii kii yaad 
us kii aankhon mein bhii hai shabanam zaraa aahistaa chal 

koii bhii ho ham-safar na ho Khush is qadar 
ab ke logon mein Wafaa hai kam zaraa aahistaa chal ....!!!

rooz taaron ki numaaish mein khallal parta hai

rooz taaron ki numaaish mein khallal parta hai;
chaand pagal hai!..andhere mein nikal parta hai. 

ek deewanaa musaafir hai meri aankhon mein;
waqt be-waqt.. thahar jataa hai....chal parta hai.. 

apni taabeer ke chakkar mein mera jagta khwaab;
rooz sooraj ki tarah ghar se nikal parta hai. 

rooz pathar ki himaayat mein ghazal likhte hain;
roz sheeshon se koi kaam nikal parta hai. 

uski yaad aai hai....saanso ! zara aahista chalo;
dharkanon se bhi ....ibaadat mein..khalal partaa hai

Kash hum bezubaan hote

Kash hum bezubaan hote,
Naa fir gham yun bayaan hote !!

Kash naa hoti zindagi ki samajh,
Naa fir yun afsaane jawaan hote !!

Kash naa khwahish hoti kuch paane ki,
Naa fir kuch khone k gham yahan hote !!

Gar tod jaata koi ashiyaaN humara,
Fir bhi khoobsurat saare samaan hote !!

Lut Jaati gar Roshni-e-zindagi,
Fir bhi andhere naa yahan hote !!

Toot-te hue bhi be-shubhaah hote !
Kash hum bezubaan hote !!
Kash hum bezubaan hote !!

Itne dosto mein bhi ik dost ki talash hai mujhe

Itne dosto mein bhi ik dost ki talash hai mujhe,
Itne apno mein bhi ik apne ki talash hai mujhe.

Chor aata hai har koi samundar ke beech mujhe,
Ab doob raha hun to ik sahil ki talash hai mujhe.

Lipatna chahta hoon main in andere ke gamon se,
Isliye ik shama ke ujaale ki talash hai mujhe.

Tang aa chuka hoon is bewaqt ki maut se main,
Isliye ik haseen zindgi ki talash hai mujhe.

Diwana hoon main sab yahi keh kar chaidate hain mujhe,
Jo mujhe samajh sake us shakhs ki talash hai mujhe.

Yaad aaon to itni si inayet karna

Yaad aaon to itni si inayet karna
Apnay badley huay lehjay ki wazahat karna

Tum to chahat ka shahkar hua karte thay
kis say seekha hai ye ulfat main milawat karna

Hum sazaon k haqdar banay hain kab say
Tum hi keh do k jurm hai kya mohabbat karna

Teri furqat main ye ankhein abhi tak num hain
Kabhi aana mere ashkoon ki ziyarat karna

Dil main ab bhi mohabbat k diye hain roshan
Dekh bhoolay nahi teri hasti ki ibadat karna.

apni dharkano sy kuch aisay mera naam lo

apni dharkano sy kuch aisay mera naam lo
ye waqt ruuk jaye is lamhay ko thaam lo
teri ankhon mai jhlak hai aisi mere pyar ki
sahil py jaisay dhlti haseen shaam ho
lafzon sy hota nahi hm sy izhaar pyar ka
bas meri ankhon mai dekh k khud ko pehchaan lo
jese tarastay hein sehra shabnam ko choonay ko Wasi
kabhi waisay Rab sy tum bhi kabhi mjhy maang lo.

Tumhein bakhshy he dil pe hukmaraai ' aur kia detay

Tumhein bakhshy he dil pe hukmaraai ' aur kia detay
Yahin thy bus hamari raajdhahani ' aur kia detay

Sitaaru se kisi ki maang bharna aik fasaana he
Tumharay naam likh dy zindgaani ' aur kia detay

Wo hum se maangta tha umar ka ik dilnasheen hissa
Na detay hum apni jawani ' aur kia detay

Bichartay wakt usko ik na ik tohfa to dena tha
Hamaray paas tha aankhu me paani ' aur kia detay..

Youn hi tanhai mein ab dil ko saza detay hain

Youn hi tanhai mein ab dil ko saza detay hain.
Naam likhtay hain tera likh k mita datay hain.


Jab B nakam mohabbat ka koi zikar karay.
Log hanstay hain mera naam bata datay hain.


Ab khushi ki koi tarkeeb na sojhay.
Ab ye aalam hai k gham hi maza detay hain.  


Kya zarorat hai k detay ho khud ko ye zahmat.
Lao hum khud hi nashaimen ko jala detay hain.


Ab tasalli nahi di jati mareez-e-gham ko.
Dekhnay walay B marnay ki DUa detay hain

Dhoop ke dasht main sheeshey ki ridaayen di hain


Dhoop ke dasht main sheeshey ki ridaayen di hain 
Zindagi, too ne hamen kesi sazaayen di hain

Sholon jesi hi ataa ki hain sulagti boonden
Aag barsati hui ham ko ghataayen di hain

Ik meherbaan ne rifaqat ki tasalli de kar
Umer bhar hijr main jalney ki sazayen di hain

Dil ko bujhney ka bahana koi darkar to tha
Dukh to ye he terey daman ne hawayen di hain

Kesa maahol mila he hamen jeeney ke liye
Deney waaley ne hamen kesi fazayen di hain

Kyun rakhu main ab apni kalam mein syahi

Kyun rakhu main ab apni kalam mein syahi, 
jab koi armaan dil mein machalta hi nahi,

Na jane kyun sabhi shak karte hain mujh par, 
jab koi sukha phool meri kitab main milta hi nahi,

Kashish to bahut thi mere pyar mein, 
magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi,

Agar khuda mile to usse apna pyar mangu ga, 
par suna hai wo kisi se milta hi nahi!!!!

sunder sunder sapney they


sunder sunder sapney they
kia kuch socha kartey they

sawan ki barsatoon mein
roshan chandni raton mein

khuab huwein woh batein sab
ghor howein woh ratein sab

sunder sapna toot gaya
tha jo sathi rooth gaya

aab dil ko behlatey hein
uskoo yey samjhatey hein

sapney tu bus sapney hein
sapney toot hi jatey hein

sapnoon ka phir rona kia
ro ro jewan khona kia

geet khushi key gata chal
her gham ko thukrata chal

bhool ja beti batoon ko
roshan chandni ratoon ko

par dil tu bus dil he hey
ziddi nadan pagal hey

kitna hi samjhao isko
kitna hi behlao isko

bhuley na yey beti batein
her janib hein bikhri yadein

yadoon ka aazab hey tari
ashkoon ka selab hey jari

gham khushyon sey jeet gaya hey
sukh ka sawan beet gaya hey

raat guzarna baqi hey
sans ka chalna baqi hey

Subah se sham tak hum ko Bohat se log miltay hain


Subah se sham tak hum ko,
Bohat se log miltay hain,
Koi andaz tum jesa,
Koi libas tum jesa,
Nigahoon se guzartay hain,

Magar

Tum he nahi Miltay,
Ye wohi rastay hain,

par,

Inhi raston may Jane Jaaan,
Bohat Bechain phirtay hain,
Baray betaab rehtay hain,
Dua ko hath uthtay hain,
Dua may ye b kehtay hain,
Lagi hai bheer logoon ki,
Magar is bheer may jana,
Kabhi tum b nazar ao,
Kahin tum b nazar ao.

Mujh se bichar k Mujh ko rula kar udas tha


Mujh se bichar k Mujh ko rula kar udas tha,
Meri tarah wo khud ko jala kar udas tha,

Aesay ajeeb dard k pehray thay chaar soo,
Ab k wo meray shehar may aaker udaas tha,

Mujh ko b uski yaad satati rahi bohat,
Wo b diyar-e-ghair may jaa kr udaas tha,

Meray ilawa b hai koi uska shehar may,
Itni c baat mujh ko bata kar udas tha.

Popular Posts