Wednesday, June 16, 2010

Kitni ajeeb see hoti yeh tanhai hai

Kitni ajeeb see
hoti yeh tanhai hai
Lage apno se apni
kabhi lagti paraai hai
Rooh ki chhavi see
yeh lagti anjaani bhi
syaah se bhi kaali
kabhi lagti perchhaai hai
Chhoo nahi pati jisko
jaane hai kab bazm mein
tabha karta hai jiska hona
kabhi chubhti jiski judai hai
Karti nahi main iski arzoo
phir bhi aaghosh mein le leti hai
dum bharti hai wafaa ka
kabhi ban jaati harjaai hai
na koi aas paas ho
to samjhun ke main tanha hun
par duniya ki bheedh mein
tanha kar jaati tanhaai hai

No comments:

Popular Posts