rooz taaron ki numaaish mein khallal parta hai;
chaand pagal hai!..andhere mein nikal parta hai.
ek deewanaa musaafir hai meri aankhon mein;
waqt be-waqt.. thahar jataa hai....chal parta hai..
apni taabeer ke chakkar mein mera jagta khwaab;
rooz sooraj ki tarah ghar se nikal parta hai.
rooz pathar ki himaayat mein ghazal likhte hain;
roz sheeshon se koi kaam nikal parta hai.
uski yaad aai hai....saanso ! zara aahista chalo;
dharkanon se bhi ....ibaadat mein..khalal partaa hai
No comments:
Post a Comment